Tuesday, 19 April 2016

68-Soorah-Al-Qalam-Aayaat-52



Soorah-Al-Qalam

Aayaat-52

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bare Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Noon. Qalam Ki, Aur Joh Ehl-E-Qalam Likhte Hain Us Ki Qasam.

2
Ke Ae Muhammad S.A.W. Tum Apne Parwardigar Ke Fazal Se Deewane Nahi Ho.

3
Aur Tumhare Liye Be Intiha Ajar Hai.

4
Aur Tumhare Ikhlaq Bare Aali Hain.

5
So Anqareeb, Tum Bhi Daikh Lo Ge Aur Ye Kafir Bhi Daikh Lainge.

6
Ke Tum Main Se Koun Deewana Hai.

7
Tumhara Parwardigar Us Ko Bhi Khoob Jaanta Hai Joh Us Ke Raaste Se Bhatak Gaya, Aur Un Ko Bhi Khoob Janta Hai, Joh Seedhe Raaste Par Chal Rahe Hain.

8
Toh Tum Jhutlane Waloun Ka Kaha Na Maan-Na.


9
Ye Loug Chahte Hain Ke Tum Narmi Ikhtiyaar Karo, Toh Ye Bhi Naram Ho Jaayen.

10
Aur Kisi Aise Shakhs Ke Kahe Main Na Aajana Joh Bohot Qasamain Khaane Wala Zaleel Ouqaat Hai.

11
Taa-N Aamaiz Ishaartain Karne Wala Chugliyan Liye Phirne Wala.

12
Maal Main Bukhal Karne Wala, Hadd Se Barha Hua Badkaar.

13
Sakht Khou Aur Is Ke Ilawa Badzaat Hai.

14
Is Sabab Se Ke Maal Aur Baite Rakhta Hai.

15
Jab Is Ko Hamari Aayatain Parh Kar Sunayee Jati Hain, Toh Kehta Hai, Ke Ye  Agle Lougon Ke Afsaane Hain.

16
Ham Anqareeb Us Ki Naak Par Daagh Lagayen Ge.

17
Ham Ne Un Lougon Ki Issi Tarha Aazmaaish Ki Hai, Jis Tarha Baagh Waloun Ki Aazmaaish Ki Thi. Jab Unhoun Ne Qasmain Kha Kha Kar Kaha, Ke Subh Hote Hote Ham Is Ka Maiwa Tour Lainge.

18
Aur Inshaallah Na Kaha.



19
So Wo Ahbi So Hi Rahte The, Ke Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Raatoun Raat Us Par Aik Aafat Phir Gai.

20
Toh Wo Aisa Ho Gaya Jaise Kaati Hui Khaiti.

21
Jab Subha Hui Toh Wo Loug Aik Doosre Ko Pukarne Lage.

22
Ke Agar Tum Ko Kaatna Hai, Toh Apni Khaiti Par Sawaire Hi Ja Pohoncho.

23
Toh Wo Chal Pare Aur Apas Main, Chupke Chupke Kehte Jate The.

24
Ke Aaj Yahan Tumhare Paas Koi Faqeer Na Aane Paaye.

25
Aur Koshish Ke Sath Sawaire Hi Ja Pohonche, Goya Khaiti Par Qaadir Hain.

26
Jab Baagh Ko Daikha, Toh (Weeraan), Kehne Lage Ke Ham Raasta Bhool Gaye Hain.

27
Nahi Balke Ham (Bar Gashta Bakht) Be Naseeb Hain.

28
Aik Joh Un Main Farzana Tha Bola Kia Main Ne Tum Se Nahi Kaha Tha Ke Tum Tasbeeeh Kion Nahi Karte?



29
Tab Wo Kehne Lage, Ke Hamara Parwardigar Paak Hai, Be Shak Ham Hi Qasoor Waar The.

30
Phir Lage Aik Dosore Ko Ru Dar Ru Malamat Karne.

31
Kehne Lage Haaye Shamat, Ham Hi Had Se Barh Gaye The.

32
Ummeed Hai Ke Hamara Parwardigar Is Ke Badle Main Hamain Is Se Behtar Baagh Inayat Kare,  Ham Apne Parwaredigar Ki Taraf Se Rujoo Laate Hain.

33
Daikho Azaab Youn Hota Hai. Aur Aakhrat Ka Azaab Is Se Kahin Barh Kar Hai. Kash ! Ye Loug Jaante Hote.

34
Parhaizgaaroun Ke Liye Un Ke Parwardigar Ke Haan Naimat Ke Baagh Hain.

35
Kia Ham Farmabardaaroun Ko Nafarmanoun Ki Tarha Naimatoun Se Mehroom Kar Dainge?

36
Tumhain Kia Ho Gaya Hai, Kaisi Tajweezain Karte Ho?

37
Kia Tumhare Pas Koi Kitab Hai, Jis Main Ye Parhte Ho.

38
Ke Joh Cheez Tum Pasand Karo Ge, Wo Tumko Zaroor Mile Gi.


39
Ya Tum Ne Ham Se Qasmain Le Rakhi Hain,  Joh Qiamat Ke Dinn Tak Chali Jaye Gi,  Ke Jis Shae Ka Tum Hukum Karo Ge, Wo Tumahare Liye Haazir Ho Gi.

40
Un Se Poocho Ke Un Main Se, Un Ka Koun Zimma Leta Hai?

41
Kia Is Qoul Main Un Ke Aur Bhi Shareek Han?  Agar Ye Sache Hain Toh Apne Shareekoun Ko La Saamne Karain.

42
Jis Din Pindli Se Kapra Utha Dia Jaye Ga Aur Kuffaar Sajde Ke Liye Bulaye Jayen Ge,  Toh Wo Sajda Na Kar Sakain Ge.

43
Un Ki Aankhain Jhuki Hui Houngi Aur Un Par Zillat Cha Rahi Hogi, Halanke Pehle Us Waqt Sajde Ke Liye Bulaye Jaate The, Jab Ke Sahee-O-Salam The.

44
Toh Mujh Ko Is Kalaam Ke Jhutlaane Waloun Se Samajh Lene Do. Ham Unko Aahista Aahista Aise Tareeq Se Pakrainge, Ke Un Ko Khabar Bhi Na Hogi.

45
Aur Main Un Ko Mohlat Diye Jata Hoon Meri Tadbeer Qawi Hai.

46
Kia Tum Un Se Kuch Ajar Maangte Ho, Ke Un Par Tawaan Ka Bojh Par Raha Hai.

47
Ya Un Ke Paas Ghaib Ki Khabar Hai, Ke Usse Likhe Jate Hain.


48
Toh Apne Parwardigar Ke Hukum Ke Intizar Main Sabar Kiye Raho Aur Machli Ka Luqma Hone Wale Younas Ki Tarha Na Hona,  Ke Unhoun Ne Khuda Ko Pukara Aur Wo Gham-O-Gusse Main Bhare Hue The.

49
Agar Tumhare Parwardigar Ki Meherbaani Un Ki Yaawri Na Karti Toh Wo Chatyal Maidaan Main Daal Diye Jaate Aur Un Ka Haal Badd Tar Ho Jata.

50
Phir Parwardigar Ne Un Ko Burguzeeda Kar Ke Naiko Karoun Main Kar Liya.

51
Aur Kafir Jab Ye Naseehat Ki Kitaab Sunte Hain,  Toh Youn Lagte Hain Ke Tum Ko Apni Nigaahoun Se Phusla Dainge Aur Kehte Hain Ke Ye Toh Deewana Hai.

52
Aur Lougo Ye Qruan Ehl-E-Aalam Ke Liye Naseehat Hai.

_____________________________________

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!