Tuesday, 19 April 2016

54-Soora-Al-Qamar-Aayat-55




Soorah-Al-Qamar

Aayaat-55

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Qiamat Qareeb Aa Pohonchi Aur Chaand Shaqq Hogaya.

2
Aur Agar Kafir Koi Nishani Daikhte Hain, Toh Moonh Phair Lete Hain Aur Kehte Hain Ke Ye Aik Hamesha Ka Jaadu Hai.

3
Aur Unhoun Ne Jhutlaya Aur Apni Khuahishoun Ki Pairwi Ki Aur Har Kaam Ka Waqt Muqarrar Hai.

4
Aur Un Ko Aise Halaat-E Saabqeen Pohonch Chuke Hain Jin Main Ibrat Hai.

5
Aur Kamil Danaaye Ki Kitab Bhi,  Lekin Darana Un Ko Kuch Faaida Nahi Deta.

6
Toh Tum Bhi Un Ki Kuch Parwah Na Karo. Jis Din Bulane Wala Un Ko Aik Na Khush Cheez Ki Taraf Bulaye Ga .

7
Toh Aankhain Neechi Kiye Hue Qabroun Se Nikal Parain Ge, Goya Bikhri Hui Tiddiyaan Hain.


8
 Us Bulane Wale Ki Tarf Dorte Jate Hounge. Kafir Kahainge Ye Din Bara Sakht Hai.

9
Un Se Pehle Nooh-A.S. Ki Qoum Ne Bhi Takzeeb Ki Thi,  Toh Unhoun Ne Hamare Bande Ko Jhutlaya Aur Kaha Ke Deewaa Hai Aur Unhian Daanta Bhi.

10
Toh Unhoun Ne Apne Parwardigar Se Dua Ki,  Ke Baar-E-Ilaha Main Un Ke Muqable Main Kamzor Hoon,  Tu Un Se Badla Le.

11
Pas Ham Ne Zor Ke Meenh Se Aasmaan Ke Dahaahne Khol Diye

12
Aur Zameen Main Chashme Jarri Kar Diye,  Toh Pani Aik Kaam Ke Liye Joh Muqadar Ho Chuka Tha Jama Ho Gaya.

13
Aur Ham Ne Nooh A.S. Ko Aik Kashti  Par,  Joh Takhtouon Aur Maikhon Se Taiyaar Ki Gai Thi Sawar Kar Liya.

14
Wo Hamari Aankhoun Ke Saamne Chalti Thi . Ye Sab Kuch Us Shaks Ke Intiqaam Ke Liye Kia Gaya,  Jis Ko Kafir Maante Na The.

15
Aur Ham Ne Us Ko Aik Ibrat Bana Chora,  Toh Koi Hai Ke Soche Samajhe?

16
So Diakh Lo Ke Mera Azaab Aur Darana Kaisa Hua?



17
Aur Ham Ne Quraan Ko Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Toh Koi Hai Ke Soche Samjhe?

18
Aad Ne Bhi Takzeeb Ki Thi,So Daikh Lo Ke Mera Azaab Aur Darana Kaisa Hua.

19
Ham Ne Un Par Sakht Manhoos Din Main Aandhi Chalyee.

20
Wo Lougon Ko Is Tarha Ukhaire Daalti Thi,  Goya Ukhri Hui Khajooroun Ke Tanne Hain.

21
So Daikh Lo Ke Mera Azaab Aur Darana Kaisa Hua.

22
Aur Ham Ne Quraan Ko Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Hai,  Toh Koi Hai Ke Soche Samjhe?

23
Samood Ne Bhi Hidayat Karne Walouun Ko Jhutlaya.

24
Aur Kaha Ke Bhala Aik Aadmi Joh Ham Hi Main Se Hai,  Ham Us Ki Pairwi Karain?  Youn Ho , Toh Ham Gumrahi Aur Deewangi Main Par Gaye.

25
Kia Ham Sab Main Se, Ussi Par Wahi Nazil Hue Hai, Nahi Balke Ye Jhoota Khud Pasand Hai.

26
Un Ko Kal Hi Maloom Ho Jaye Ga, Ke Koun Jhoota Khud Pasand Hai.

27
Ae Saaleh Ham Un Ki Aazmaaish Ke Liye Oontni Bhajne Wale Hain Toh Tum Un Ko Daikhte Raho Aur Sabar Karo.

28
Aur Un Ko Aagaah Kar Do,  Ke Un Main Paani Ki Bari Muqarrarr Kar Di Gai Hai. Har Bari Wale Ko Apni Bari Par Aana Chahiye.

29
Toh Un Lougn Ne Apne Rafeeq Ko Bulaya Aur Us Ne Oontni Ko Pakar Kar Us Ki Koonchain Kaat Daaleen.

30
So Daikh Lo, Ke Mera Azaab Aar Darana Kaisa Hua.

31
Ham Ne Un Par Azaab Ke Leyi Aik Cheehk Bhaiji , Toh Wo Aise Ho Gaye Jaise Baar Wale Ki Sookhi Aur Tooti Hui Baar.

32
Aur Ham Ne Quraan Ko Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Hai,  Toh Koi Hai Ke Soche Samhjhe?

33
Loot Ki Qoum Ne Bhi Dar Sunaane Walon Ko Jhutlaya Tha.

34
Toh Ham Ne Un Par Kankar Bhari Hawa Chalyee,  Magar Loot Ke Ghar Wale,  Ke Ham Ne Un Ko Pichli Raat Hi Se Bacha Liya.

35
Apne Fazal Se Shukar Karne Wale Ko Ham Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.



36
Aur Loot Ne Un Ko Hamaari Pakar Se Dara Bhi Dia Tha,  Magar Unhoun Ne Daraane Main Shak Kia.

37
Aur Un Se Un Ke Mehmaanoun Ko Le Lena Chaha,  Toh Ham Ne Un Ki Aankhain Mita Deen,  So Ab Mere Azaab Aur Daraane Ke Maze Chakho.

38
Aur Un Par Subha Sawaire Hi Atal Azaab Aa Nazil Hua.

39
Toh Ab Mere Azaab Aur Daraane Ke Maze Chakho.

40
Aur Ham Ne Quraan Ko Samajhne Ke Liye Asaan Kar Dia Hai,  Toh Koi Hai Ke Soche Samjhe?

41
Aur Qoum-E-Firown Ke Pas Bhi Dar Sunaane Wale Aaye.

42
Unhoun Ne Hamari Tamaam Nishaniyoun Ko Jhutlaya Toh Ham Ne Un Ko Is Tarh Pakar Lia Jis Tarh Aik Qawi Aur Ghalib Shakhs Pakar Leta Hai.

43
Ae Ehl-E-Arab Kia Tumhare Kafir Un Lougon Se Behtar Hain,  Ya Tumhare Liye Pehli Kitaboun Main Koi Faarigh Khati Likh Di Gai Hai.

44
Kia Ye Loug Kehte Hain Ke Hamari Jamaat Bari Mazboot Hai.



45
Anqareeb Ye Jamaat Shikast Khaye Gi Aur Ye Loug Peeth Phair Phair Kar Bhaag Jaye Ge.

46
Un Ke Wade Ka Waqt Toh Qiamat Hai Aur Qiamat Bari Sakht Aur Bohot Talkh Hai.

47
Be Shak Gunnehgaar Loug Gumraahi Aur Deewangi Main Mubtila Hain.

48
Us Roz Moonh Ke Bal Dozakh Main Ghaseete Jaaye Ge,  Ab Aag Ka Mazah Chakho.

49
Ham Ne Har Cheez Andaza-E-Muqarrarr Ke Sath Paida Ki Hai.

50
Aur Hamara Hukum Toh Aankh Ke Jhapakne Ki Tarha Aik Baat Hoti Hai.

51
Aur Ham Tumhare Ham Mazhaboun Ko Halak Kar Chuke Hain, Toh Koi Hai Ke Soche Samjhe?

52
Aur Joh Kuch Unhoun Ne Kia, Un Ke Amaal Namoun Main Mundarij Hai.

53
Yaani Har Chota Aur Bara Kaam Likh Dia Gaya Hai.

54
Joh Parhaizgaar Hain, Wo Baaghoun Aur Nehroun Main Hounge.

55
Yaani Paak Makaam Main, Har Tarha Ki Qudrat Rakhne Wale Baadshah Ki Baar Gah Main.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!