Friday, 22 April 2016

45-Soorah-Al-Jathiyah-Aayat-37




Soorah-Al-Jathiyah.

Aayaat-37

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Haa Meem.

2
Is Kitaab Ka Utaara Jana Khudaa-E-Ghalib Aur Daana Ki Taraf Se Hai.

3
Be Shak Aasmaanoun Aur Zameen Main Eemaan Waloun Ke Liye Khuda Ki Qudrat Ki Nishaniyan Hain.

4
Aur Tumhari Paidaaish Main Bhi. Aur Janwaroun Main Bhi, Jin Ko Wo Phailata Hai, Yaqeen Karne Waloun Ke Liye Nishaniyan Hain.

5
Aur Raat Aur Din Ke Aage Peeche Aane Jaane Main, Aur Wo Joh Khuda Ne Aasmaan Se Zariya-E-Rizq Nazil Farmaya, Phir Us Se Zameen Ko Us Ke Mar Jane Ke Baad Zinda Kia,  Us Main Aur Hawaoun Ke Badalne Main Aqal Waloun Ke Liye Nishaniyan Hain.

6
Ye Khuda Ki Aayatain Hai Jo Ham Tum Ko Sachaye Ke Sath Parh Kar Sunate Hain.Toh Ye Khuda Aur Us Ki Aayatoun Ke Baad Kis Baat Par Eemaan Layen Ge.

7
Har Jhoote Gunnehgaar Par Afsos Hai.
8
Keh Khuda Ki Aayatain Us Ko Parh Kar Sunai Jati Hain, Toh Un Ko Sunn Toh Leta Hai Magar Phir Garoor Se Zidd Karta Hai, Ke Goya Un Ko Suna Hi Nahi. So Asie Shakhs Ko Dukh Dene Wale Azaab Ki Khushkhabri Suna Do.

9
Aur Jab Hamari Kuch Aayatain Isse Maloom Hoti Hain Toh, Un Ki Hansi Uraata Hai.Aise Lougon Ke Liye, Zaleel Karne Wala Azaab Hai.

10
Un Ke Samne Dozakh Hai.Aur Joh Kaam Wo Karte Rahe Kuch Bhi Un Ke Kaam Na Ayen Ge. Aur Na Wo Hi Kaam Aayen Ge Jin Ko Inhoun Ne Khuda Ke Siwa Maabood Bana Rakha Tha Aur Un Ke Liye Bara Azaab Hai.

11
Ye Hidayat Ki Kitaab Hai. Aur Joh Log Apne Parwaredigar Ki Aayatoun Se Inkaar Karte Hain, Un Ko Sakht Qisam Ka Dard Dene Wala Azaab Hoga.

12
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Darya Ko Tumhare Qaabu Main Kar Dia, Taa-Ake Us Ke Hukum Se Is Main Kashtiyan Chalain Aur Taa-Ake Tum Is Ke Fazal Se Moaash Talash Karo Aur Taa-Ake Shukar Karo.

13
Aur Joh Kuch Aasmaanoun Main Hai Aur Joh Kucch Zameen Main Hai Sab Ko Apne Hukum Se Tumahre Kaam Main Laga Dia. Joh Loug Ghour Karte Hain, Un Ke Liye Is Main Qudrat-E-Khuda Ki Nishaniyan Hain.

14
Mominoun Se Keh Do, Ke Joh Loug Khuda Ke Dinon Ki Joh Aamaal Ke Badle Ke Liye Muqarrar Hain Tawaqoh Nahi Rakhte Un Se Dar Guzar Karain.Taa-Ake Wo In Lougon Ko In Ke Aamal Ka Badle De.
15
Joh Koi Amal-E-Naik Kare Ga Toh Apne Liye.Aur Joh Bure Kaam
Kare Ga Toh Un Ka Zarrar Ussi Ko Hoga.Phir Tum Apne Parwardigar Ki Taraf Lout Kar Jaao Ge.

16
Aur Ham Ne Bani Israil Ko Kitab-E-Hidayat Aur Hukumat Aur Naboowat Bakhshi Aur Paakeeza Cheezain Ata Farmaayen Aur Ehl-E-Aalam Par Fazeelat Di.

17
Aur Un Ko Deen Ke Bare Main Daleelain Ata Keen. Toh Unhoun Ne Joh Ikhtilaaf Kia, Toh, Ilm Aa Chukne Ke Baad, Aapas Ki Zidd Se Kia. Be Shak Tumahara Parwardigar Qiamat Ke Din Un Main Un Batoun Ka Jin Main Wo Ikhtilaf Karte The Faisla Kare Ga.

18
Phir Ham Ne Tumko Deen Ke Khule Raaste Par Qaaim Kar Dia, Toh Ussi Raste Par Challe Chalo Aur Nadaanoun Ki Khuahishoun Ke Peeche Na Chalna.

19
Ye Khuda Ke Saamne Tumhare Kisi Kaam Nahi Aayain Ge. Aur Zallim Loug Aik Doosre Ke Dost Hote Hain. Aur Khuda Parhaizgaroun Ka Dost Hai.

20
Ye Quraan Lougon Ke Liye Daanayee Ki Batain Hain Aur Joh Yaqeen Rakhte Hain Un Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

21
Joh Loug Bure Kaam Karte Hain Kia Wo Ye Khayal Karte Hain Ke Ham Un Ko Un Lougon Jaisa Kar Dainge,  Joh Eemaan Laaye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Aur Un Ki Zindagi Aur Mout Yaksaan Hogi. Ye Joh Daawe Karte Hain Bure Hain.


22
Aur Khuda Ne Aasmanaoun Aur Zameen Ko Hikmat Se Paida Kia Hai Aur Taa-Ake Har Shakhs Apne Aamaal Ka Badla Paaye Aur Un Par Zulm Nahi Kia Jaye Ga.

23
Bhala Tum Ne Us Shakhs Ko Daikha,  Jis Ne Anpi Khuahish Ko Maabood Bana Rakha Hai Aur Ba Wajood Jaan-Ne Boojhne Ke Gumrah Ho Raha Hai,  Toh Khuda Ne Bhi Us Ko Gumrah Kar Dia Aur Un Ke Kaanoun Aur Dil Par Mohar Laga Di Aur Us Ki Aankhoun Par Parda Daal Dia. Ab Khuda Ke Siwa Us Ko Koun Raah Par La Sakta Hai. Toh Kia Tum Naseehat Nahi Pakarte.

24
Aur Kehte Hain Ke Hamari Zindagi Toh Sirf Dunia Hi Ki Hai,  Ke Yaheen Marte Aur Jeete Hain Aur Hamain Toh Zamana Maar Deta Hai. Aur Un Ko Is Ka Kuch Ilm Nahi. Sirf Zann Se Kaam Lete Hain.

25
Aur Jab Un Ke Saamne Hamari Khuli Khuli Aayatain Parhi Jati Hain Toh Un Ki Ye Hi Hujjat Hoti Hai,  Ke Agar Tum Sache Ho Toh Hamare Baap Dada Ko Zinda Kar Laao.

26
Keh Do Ke Khuda Hi Tum Ko Jaan Bakhashta Hai Phir Wo Hi Tumko Mout Deta Hai,  Phir Tumko Qiamat Ke Roz Jis Ke Aane Main Kuch Shak Nahi Tum Ko Jama Kare Ga,  Lekin Bohot Se Loug Nahi Jaante.

27
Aur Aasmaanoun Aur Zameen Ki Baadshahat Khuda Hi Ki Hai. Aur Jis Roz Qiamat Barpa Hogi Us Roz Ehl-E-Batil Khasare Main Par Jaye Ge.




28
Aur Tum Har Aik Firqe Ko Daikho Ge, Ke Ghutnoun Ke Bal Baitha Hoga. Aur Har Aik Jamaat Apni Kitaab-E-Aamal Ki Taraf Bulaye Jaye Gi. Joh Kuch Tum Karte Rahe Ho Aaj Tum Ko Us Ka Badla Dia Jaye Ga.

29
Ye Hamari Kitaab Tumhare Baare Main Sach Sach Bayaan Kar De Gi. Joh Kuch Tum Kia Karte The Ham Likhwate Jate The.

30
Toh Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe, Un Ka Parwardigar Unhain Apne Parwardigaar Ki Rehmat Ke Baagh Main Dakhil Kar Ga. Ye Hi Sareeh Kaamyabhi Hai.

31
Aur Jinhoun Ne Kufur Kia. Un Se Kaha Jaye Ga Ke Bhala Hamari Aayatain Tum Ko Parh Kar Sunai Nahi Jati Thee?  Magar Tum Ne Takkabur Kai Aur Tum Nafarmaan Loug The.

32
Aur Jab Kaha Jata Tha, Ke Khuda Ka Waada Sacha Hai Aur Qiamat Main Kuch Shak Nahi, Toh Tum Kehte The Ke Ham Nahi Jaante Ke Qiamat Kia Hai. Ham Us Ko Mehez Zanni Khayal Karte Hain Aur Hamain Yaqeen Nahi Aata.

33
Aur Un Ke Aamal Ki Buraiyan, Un Par Zaahir Ho Jayen Gi Aur Jis Azaab Ki Wo Hansi Uraate The Wo Un Ko Aa Ghaire Ga.

34
Aur Kaha Jaye Ga Ke Jis Tarha Tum Ne Is Din Ke Aane Ko Bhula Rakha Tha,  Ussi Tarha Aaj Ham Tumhain Bula Dainge Aur Tumhara Thikana Dozakh Hai Aur Koi Tumhara Madadgaar Nahi.



35
Ye Is Liye Ke, Tum Ne Khuda Ki Aayatoun Ko Mazaak Bana Rakha Tha Aur Dunia Ki Zindagi Ne Tumko Dhoke Main Daal Rakha Tha. So Aaj Ye Loug Na Dozakh Se Nikale Jayen Ge Aur Na In Ki Touba Qabool Ki Jaye Gi.

36
Pas Khuda Hi Ko Har Tarha Ki Taareef Sazawaar Hai, Jo Aasmanoun Ka Malik Aur Zameen Ka Malik Aur Tamaam Jahan Ka Parwardigar Hai.

37
Aur Aasmaanoun Aur Zameen Main Ussi Ke Liye Barai Hai. Aur Wo Ghaalib Aur Daana Hai.

----------------------------

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!