Friday, 22 April 2016

41-Soorah-e-Fussilat-Aayaat-54



Soorah-E-Fussilat

Aayaat-54

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Haa Meem.

2
Ye Kitaab Khudaa-E-Rehman-O-Rahim Ki Taraf Se Utri Hai.

3
Aisi Kitaab Jis Ki Aayatian Waazeh-Ul-Maani (Meaning Full) Hain Yaani Quraan-E-Arabi, Un Lougon Ke Liye Joh Samajh Rakhte Hain.

4
Joh Bisharat Bhi Sunta Hai Aur Khof Bhi Dilata Hai Lekin Un Main Se Aksaroun Ne Moonh Phair Liya Aur Wo Sunte Hi Nahi.

5
Aur Kehne Lage Ke Jis Cheez Ki Taraf Tum Hamain Bulate Ho Us Se Hamare Dil Pardoun Main Hain Aur Hamare Kaanoun Main Bojh Yaani Behra Pan Hai Aur Hamare Aur Tumhare Darmayan Parda Hai Toh Tum Apna Kaam Karo, Ham Apna Kaam Karte Hain.

6
Keh Do Ke Main Bhi Aadmi Hoon Jaise Tum. Haan Mujh Par Ye Wahi Aati Hai Ke Tumhara Maabood Khuda-E-Wahid Hai Toh Seedhe Ussi Ki Taraf Mutawajoh Raho Aur Ussi Se Maghfirat Mango Aur Mushrikoun Par Afsos Hai.

7
Joh Zakaat Nahi Dete Aur Aakhrat Ke Bhi Qaail Nahi.

8
Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Un Ke Liye Aisa Sawaab Hai Joh Khatam Hi Na Ho.

9
Kaho Kia Tum Us Se Inkaar Karte Ho, Jis Ne Zameen Ko Do Din Main Paida Kia. Aur Buttoun Ko Us Ke Madd Muqabil Banate Ho. Wo Hi Toh Saare Jahan Ka Malik Hai.

10
Aur Ussi Ne Zameen  Main Us Ke Oopar Pahaar (Mountains) Banaye Aur Zameen Main Barkat Rakhi Aur Us Main Samaan-E-Maeeshat Muqarrar Kia, Sab Chaar Din Main.Aur Tamaam Talabgaaroun Ke Liye Yaksaan (Evenly).

11
Phir Aasmaan Ki Taraf Mutawajoh Hua,  Aur Wo Dhuaan Tha, Toh Us Ne Us Se Aur Zameen Se Farmaya Ke Dono Aao Khuah Khushi Se Khuah Na Khushi Se. Unhoun Ne Kaha Ke Ham Khushi Se Aate Hain.

12
Phir Do Din Main Saat Aasmaan Banaye Aur Har Aasmaan Main Us Ke Kaam Ka Hukum Bhaija Aur Hamne Aasmaan Dunia Ko Charagoun Yaani Sitaaroun Se Muzzaiyan Kia Aur Shaitaanoun Se Mehfooz Rakha. Ye Zabardast Aur Khabardaar Ke Muqarrar Kiye Hue Andaaze Hain.

13
Phir Agar Ye Moonh Phair Lain Toh Keh Do Ke Main Tumko Aisi Chinghaar Ke Azaab Se Aagah Karta Hoon Jaise Aad Aur Samood Par Chinghaar Ka Azaab Aaya Tha.





14
Jab Un Ke Paas Paighamabar, Un Ke Aage Aur Peeche Se Aaye, Ke Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo. Kehne Lage Ke Agar Hamara Parwardigar Chahta Toh Farishte Utaar Deta So Joh Tum De Kar Bhaije Gaye Ho Ham Us Ko Nahi Maante.

15
Joh Aad The Wo Na Haq Mulk Main Garoor Karne Lage Aur Kehne Lage Ke Ham Se Barh Kar Quwwat Main Koun Hai?  Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Khuda Jis Ne Un Ko Paida Kia Wo Un Se Quwwat Main Bohot Barh Kar Hai. Aur Wo Hamari Aayatoun Se Inkaar Karte Rahe.

16
Toh Ham Ne Bhi Un Par Nahoosat Ke Dinoun Main Zour Ki Hawa Chalyee Taa-Ake Un Ko Dunia Ki Zindagi Main Zillat Ke Azaab Ka Mazah Chakha Dain. Aur Aakhrat Ka Azaab Toh Bohot Hi Zaleel Karne Wala Hai Aur Us Roz Un Ko Madad Bhi Na Mile Gi.

17
Aur Joh Samood The Un Ko Ham Ne Seedha Rasta Dikha Dia Tha Magar Unhoun Ne Hidayat Ke Muqable Main Andha Rehna Pasand Kia, Toh Un Ke Aamal Ki Saza Main Karak Ne Un Ko Aa Pakra. Aur Wo Zillat Ka Azaab Tha.

18
Aur Joh Eemaan Laye Aur Parhaizgaari Karte Rahe Un Ko Ham Ne Bacha Liya.

19
Aur Jis Din Khuda Ke Dushman Dozakh Ki Taraf Chalaye Jaayen Ge Toh Tarteeb Waar Kar Liye Jaayen Ge.

20
Yahan Tak Ke Jab Us Ke Paas Pohonch Jayen Ge Toh Un Ke Kaan Aur Aankahin Aur Chamre(Skin) Yaani Doosre Aaza Un Ke Khilaf Un Ke Aamaal Ki Shahadat Dainge.
21
Aur Wo Apne Chamroun Yaani Aaza Se Kahian Ge Ke Tum Ne Hamare
Khilaaf Kion Shahadat Di? Wo Kahainge  Ke Jis Khuda Ne Sab Cheezoun Ko Nutaq Bakhsha Ussi Ne Ham Ko Bhi Goyaayee Di Aur Ussi Ne Tum Ko Pehli Baar Paida Kia Tha Aur Ussi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jaana Hai.

22
Aur Tum Is Baat Ke Khof Se Toh Parda Nahi Karte The, Ke Tumhare Kaam Aur Tumhari Aankahin Aur Chamre Tumhare  Khilaaf Shahdat Dainge, Balke Tum Ye Khyal Karte The Ke Khuda Ko Tumhare Bohot Se Amaloun Ki Khabar Hi Nahi.

23
Aur Ussi Khayal Ne, Joh Tum Apne Parwardigar Ke Bare Main Rakhte The Tum Ko Halak Kar Dia Aur Tum Khasara Paane Waaloun Main Ho Gaye.

24
Ab Agar Ye Sabar Karainge Toh Un Ka Thikana Dozakh Hi Hai. Aur Agar Touba Kariange Toh Un Ki Touba Qabool Nahi Ki Jaye Gi.

25
Aur Ham Ne Shaitanoun Ko Un Ka Ham Nasheen Muqarrar Kar Dia
Tha Toh Unhoun Ne Un Ke Agle Aur Pichle Aamaal Un Ko Umda Kar Dikhaye The Aur Jinnat Aur Insaanoun Ki Jamaatain Joh Un Se Pehle Guzar Chuki, Un Par Bhi Khuda Ke Azaab Ka Waada Poora Ho Gaya. Be Shak Ye Nuqsan Uthane Wale Hain.

26
Aur Kaafir Kehne Lage Ke Is Quraan Ko Suna Hi Na Karo Aur Jab Parhne Lagain Toh Shor Macha Dia Karo Taa-Ke Tum Galib Raho.

27
So Ham Bhi Kaafiroun Ko Sakht Azaab Ke Mazeh Chakyane Ge Aur Un Ke Bure Amaloun Ki Joh Wo Karte The Saza Dainge.
28
Ye Khuda Ke Dushmanoun Ka Badla Hai, Yaani Dozakh. Un Ke Liye Ussi Main Hamesha Ka Ghar Hai. Ye Is Ki Saza Hai Ke Hamari Aayatoun Se Inkaar Karte The.

29
Aur Kafir Kahainge, Ke Ae Hamare Parweardigar Jinnoun Aur Insaanoun Main Se Jin Lougon Ne Ham Ko Gumrah Kia Tha Un Ko Hamain Dikha, Ke Ham Un Ko Apne Paaon Ke Tale Rond Daalain Taa-Ake Wo Nihayat Zaleel Houn.

30
Jin Lougon Ne Kaha, Ke Harma Parwardigar Khuda Hai, Phir Wo Us Par Qaaim Rahain, Un Par Farishte Utrain Ge Aur Kahain Ge Ke Na Khof Karo Aur Na Ghamnaak Ho Aur Behshat Ke Jis Ka Tumse Waaada Kia Jata Hai Khushi Manao.

31
Ham Dunia Ki Zindagi Main Bhi Tumhare Dost The Aur Aakhrat Main Bhi Tumahre Rafeeq Hain .Aur Wahan Jis Naimat Ko Tumhara
Ji Jchaahe Ga, Tum Ko Mile Gi Aur Joh Cheez Talab Karo Ge Tumhare Liye Mojood Hogi.

32
Ye Bakhashne Wale Meherbaan Ki Taraf Se Mehmaani Hai.

33
Aur Us Shakhs Se Baat Ka Acha Koun Ho Sakta Hai Joh Khuda Ki Taraf Bulaye Aur Amal-E-Naik Kare Aur Kahe Ke Main Musalmaan Hoon.

34
Aur Bhalayee Aur Burayee Barabar Nahi Ho Sakti.Toh Sakht Kalami Ka Aise Tareeq Se Jawab Do Joh Bohot Acha Ho Aisa Karne Se Tum Daikho Ge Ke Jis Main Aur Tum Main Dushmani Thi Goya Wo Garam Josh Dost Hai.

35
Aur Ye Baat Un Hi Lougon Ko Hasil Hoti Hai Joh Bardaasth Karne Wale Hain. Aur Un Hi Ko Naseeb Hoti Hai Joh Bare Sahib-E-Naseeb Hain.

36
Aur Agar Tumhain Shaitaan Ki Janib Se Koi Waswasa Paida Ho Toh Khuda Ki Panaah Maang Liya Karo. Be Shak Wo Sunnta Jaanta Hai.

36
Aur Raat Aur Dinn Aur Sooraj Aur Chand Us Ki Nishaniiyoun Main Se Hain.Tum Loug Na Toh Sooraj Ko Sajda Karo Aur Na Chaand Ko Balke Khuda Hi Ko Sajda Karo, Jis Ne Un Cheezoun Ko Paida Kia Hai Agar Tum Ko Us Ki Ibadat Manzoor Hai.

38
Agar Ye Loug Sarkashi Karain Toh Khuda Ko Bhi Un Ki Parwah Nahi Joh Farishte Tumhare Pawardigar Ke Pas Hain Wo Raat Din Us Ki Tasbeeh Karte Rehte Hain Aur Kabhi Thakte Hi Nahi.

39
Aur (Ae Bande Ye) Ussi Ki Qudrat Ke Namoone Hain, Ke Tu Zameen Ko Dabe Hue Yaani Khushk Daikhta Hai. Jab Ham Us Par Paani Barsa Dete Hain Toh Shadaab Ho Jati Hai Aur Phoolne Lagti Hai Toh Jis Ne Zameen Ko Zinda Kia Wo Hi Murdoan Ko Zinda Karne Wala Hai. Be Shak Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.

40
Joh Loug Hamari Aayatoun Main Kajj Rahi Karte Hain, Wo Ham Se Posheeda Nahi Hain. Bhala Joh Shakhs Dozakh Main Dala Jaye Wo Behtar Hai Ya Wo Joh Qiamat Ke Din Aman-O-Amaan Se Aaye.Toh Khair Joh Chaho So Kar Lo.Joh Kuch Tum Karte Ho Wo Us Ko Daikh Raha Hai.

41
Jin Lougon Ne Naseehat Ko Na Maana Jab Wo Un Ke Paas Aaye.Aur Ye Toh Aik Aali Rutba Kitaab Hai.

42
Is Par Jhoot Ka Dakhal Na Aage Se Ho Sakta Hai Na Peeche Se. Aur Dana Aur Khoobiyoun Wale Khuda Ki Utaari Hui Hai.

43
Tum Se Wo Hi Baatian Kahi Jati Hain Joh Tumse Pehle Aur Paigambaroun Se Kahi Gayee Thi.Beshak Tumhara Parwardigar Bakhash Dene Wala Bhi Hai Aur Azab-E-Aleem Dene Wala Bhi Hai.

44
Aur Agar Ham Is Quraan Ko Gair Zaban Arab Main Nazil Karte Toh Ye Loug Kehte Ke Is Ki Aayatian Hamri Zabaan Main Kion Khol Kar Bayan Nahi Ki Gayee. Kia Khof Ke Quraan Toh Ajmi Aur Mukhatib-E-Arabi. Keh Do Ke Joh Eemaan Laate Hain Un Ke Liye Ye Hidayat Aur Shifa Hai. Aur Joh Eemaan Nahi Laate Un Ke Kaanoun Main Garani, Yaani Behra Pann Hai Aur Ye Un Ke Haq Main Moajjab-E-Na Benaayee Hai. Giraani Ke Sabab Un Ko Goya Door Jaga Se Awaaz Di Jati Hai.

45
Aur Ham Ne Moosa Ko Kitaab Di Toh Us Main Ikhtilaaf Kia Gaya. Aur Agar Tumahare Parwardigar Ki Taraf Se Aik Baat Pehle Se Theher Chuki Hoti Toh Un Main Fiasla Kar Dia Jata.Aur Ye Is Quraan Se Shak Main Ulajh Rahe Hain.

46
Joh Naik Kaam Kare Ga Toh Apne Liye.Aur Joh Bure Kare Ga Toh Un Ka Zarrar Ussi Ko Hoga. Aur Tumhara Parwardigar Bandoun Par Zulm Karne Wala Nahi.







47
Qiamat Ke Ilm Ka Hawala Ussi Ki Taraf Dia Jata Hai Yaani Qiamat Ka Ilm Ussi Ko Hai Aur Na Toh Phal(Fruits)  Gaabhoun Se Nikalte Hain Aur Na Koi Maada(Female) Haamla(Pregnant) Hoti Hai Aur Na Janti Hai Magar Us Ke Ilm Se.Aur Jis Din Wo Un Ko Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Shareek Kahan Hain Toh Wo Kahain Ge Ke Ham Tujh Se Arz Karte Hain Ke Ham Main Se Kisi Ko In Ki Khabar Hi Nahi.

48
Aur Jin Ko Pehle Wo Khuda Ke Siwa Pukara Karte The Sab Un Se Ghayaaib Ho Jayen Ge Aur Wo Yaqeen Kar Lainge Ke Un Ke Liye Mukhlasi Nahi.

49
Insaan Bhaliye Ki Duaain(Prayers) Karta Karta Toh Thakhta Nahi Aur Agar Takleef Pohounchayee  Jati Hai Toh Na Umeed Ho Jata Aur  Aas Tour Baithta Hai.

50
Aur Agar Takleef Pohonchne Ke Baad Ham Us Ko Apni Rehmat Ka Mazah Chakhate Hain, Toh Kehta Hai Ke Ye Toh Mera Haq Tha Aur Main Nahi Khayal Karta Ke Qiamat Barpa Ho. Aur Agar Qiamat Sach Much Bhi Ho Aur Main Apne Parwardigar Ki Taraf Loutaya Bhi Jaaon Toh Mere Liye Us Ke Haan Bhi Khushhali Hai. Pas Kafir Joh Amal Kia Karte Hain Wo Ham Zaroor Un Ko Jatayen Ge Aur Un Ko Sakht Azaab Ka Mazah Chakhaye Ge.

51
Aur Jab Ham Insaan Par Karam Karte Hain Toh Moonh Mour Leta Hai Aur Pehlu Phair Kar Chal Deta Hai. Aur Jab Us Ko Takleef Pohounchti Hai Toh Lambi Lambi Duaayen Karne Lagta Hai.

52
Kaho Ke Bhala Daikho Toh , Agar Ye Quraan Khuda Ki Taraf Se Ho Phir Tum Us Se Inkaar Karo Toh Us Se Barh Kar Koun Gumraah Hai Joh Haq Ki Parle Darje Ki Mukhalfat Main Ho.
53
Ham Anqareeb Un Ko Itaraaf-E-Alam Main Bhi Aur Khud Un Ki Zaat Main Bhi Nishaniyan Dihkayen Ge Yahan Tak Ke, Un Par Zahir Ho Jaye Ga Ke Quraan Haq Hai.Kia Tumko Ye Kafi Nahi Ke Tumhara Parwardigar Har Cheez Se Khabardaar Hai.

54
Daikho Ye Apne Parwardigar Ke Ru Baru Hazir Hone Se Shak Main Hain.Sunn Rakho Ke Wo Har Cheez Par Ahaata Kiye Hue Hai.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!