Tuesday 19 April 2016

53-Soorah-An-Najm-Aayaat-62




Soorah-An-Najam

Aayaat-62

Shroo Allah Ke Naam Se Joh  Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.


1
Taare(star) ki qasam jab ghaaib hone lage.

2
Keh Tumhare Rafeeq Muhammad S.A.W. Na Raaste Bhoole Hain, Na Bhatake Hain.

3
Aur Na Khuahish-E-Nafs Se Moonh Se Baat Nikaalte Hain.

4
Ye Quraan Toh Hukm-E-Khuda Hai,  Joh Un Ki Taraf Bhaija Jata Hai.

5
Un Ko Nihayat Quwwat Wale Ne Sikhaya.

6
Yaani Jibrail Taqat War Ne, Phir Wo Poore Nazar Aaye.

7
Aur Wo Aasmaan Ke Oonche Kinare Main The.

8
Phir Qareeb Hue Aur, Aur Aage Barhe.
9
Toh Do Kamaan Ke Fasle Par Ya us Se Bhi Kam.

10
Phir Khuda Ne Apne Bande Ki Taraf Joh Bhaija So Bhaija.

11
Joh Kuch Unhoun Ne Daikha Un Ke Dil Ne Us Ko Joot Na Jana.

12
Kia Joh Kuch Wo Daikhte Hain, Tum Us Main Un Se Jhagarte Ho?

13
Aur Unhoun Ne Us Ko Aik Aur Baar Bhi Daikha Hai.

14
Parli Had Ki Beri Ke Paas.

15
Ussi K Paas Rehne Ki Behshat Hai.

16
Jab Ke Us Beri Par Cha Raha Tha Joh Cha Raha Tha.

17
Un Ki Aankhn  Na Toh Aur Tarf Maail Hui Aur Na Had Se Aage Barhi.

18
Unhoun Ne Apne Parwardigar Ki Qudrat Ki Kitni Hi Bari Bari Nishaniyan Daikheen.

19
Bhala Tum Louon Ne Laat Aur Uzaa Ko Daikha.

20
Aur Teesre Mannaat Ko, Ke Ye Butt Kahin Khuda Ho Sakte Hai.
21
Mushrkio!  Kia Tumhare Liyy Toh Bete Aur Khuda Ke Liye Betiyaan.

22
Ye Taqseem Toh Bohot Be Insaafi Ki Hai.

23
Wo Toh Sirf Naam Hi Naam Hain,  Joh Tum Ne Aur Tumhare Baap Dada Ne Gharr Liye Hain. Khuda Ne Toh Un Ki Koi Sanad Nazil Nahi Ki. Ye Loug Mehez Zann-E-Fasid Aur Khuahishaat-E-Nafs Ke Peeche Chal Rahe Hain. Halanke Un Ke Parwardigar Ki Taraf Se Un Ke Paas Hidayat Aa Chuki Hai.

24
Kia Jis Cheez Ki Insaan Aarzoo Karta Hai, Wo Usse Zaroor Milti Hai.

25
Aakhrat Aur Dunia Toh Khuda Hi Ke Hath Main Hai.

26
Aur Asmaanoun Main Bohot Se Farishte Hain, Jin Ki Sifarish Kuch Bhi Faaida Nahi Deti,  Magar Us Waqt Ke Khdua Jis Ke Liye Chahe Ijazat Bakhshe Aur Sifarish Pasnad Kare.

27
Joh Loug Aakhrat Par Eemaan Nahi Laate, Wo Farishtoun Ko Khuda Ki Larkiyoun Ke Naam Se Mosoom Karte Hain.

28
Halanke Un Ko Us Ki Kuch Khabar Nahi. Wo Sirf Zann Par Chalte Hain. Aur Zann Yaqeen Ke Muqable Main Kuch Kaam Nahi Aata.

29
Toh Joh Hamari Yad Se Roo Gardaani Kare Aur Sirf Dunia Hi Ki Zindagi Ka Khuahaan Ho,  Us Se Tum Bhi Moonh Pahir Lo.
30
Un Ke Ilm Ki Ye Hi Intiha Hai.Tumahra Parwardigar Us Ko Bhi Khoob Jaanta Hai Joh Us Ke Raaste Se Bhatak Gaya Aur Uss Se Bhi Khoob Waqif Hai Joh Raaste Par Chala.

31
Aur Joh Kuch Aasmanaoun Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai,  Sab Khuda Hi Ka Hai Aur Us Ne Khalqat Ko Isliye Paida Kia Hai , Ke Jin Lougon Ne Bure Kaam Kiye Un Ko Un Ke Amaal Ka Bura Badla De Aur Jinhoun Ne Naikiyaan Kee Un Ko Naik Badla De.

32
Joh Sagheera Gunahoun Ke Siwa,  Bare Bare Gunahoun Aur Be Hayatee Ki Batoun Se Ijtinaab Karte Hain. Be Shak Tumhara Pawradigar Bari Bakhshish Wala Hai. Wo Tum Ko Khoob Jaanta Hai. Jab Us Ne Tum Ko Matti Se Paida Kia Aur Jab Tum Apni Maaon Ke Pait Main Bachhe The , Toh apne Ap Ko Paak Saaf Na Jataoo. Joh  Parhaizgaar Hai Wo Us Se Khoob Waqif Hai.

33
Bhala Tum Ne Us Shaks Ko Daikha Jis Ne Moonh Phair Liya.

34
Aur Thora Sa Dia Phir Hath Rok Liya.

35
Kia Us Ke Paas Ghaib Ka Ilm Hai, Ke Wo Usse Daikh Raha Hai.

36
Kia Joh Baatain Moosa A.S. Ke Saheefoun Main Hain, Us Ki Us Ko Khabar Nahi Pohonchi.

37
Aur Ibrahim A.S. Ki Jinhoun Ne Haq-E-Taa-At-O-Risalat Poora Kia.

38
Wo Ye Ke Koi Shaks Doosre Ke Gunaah Ka Bojh Nahi Uthaye Ga.
39
Aur Ye Ke Insaan Ko Wo Hi Milta Hai,  Jis Ki Wo Koshish Karta Hai.

40
Aur Ye Ke Us Ki Koshsish Dikhai Jaye Gi.

41
Phir Us Ko Us Ka Poora Poora Badla Dia Jaye Ga.

42
Aur Ye Ke, Tumhare Parwardigar Hi Ke Pas Pohonchna Hai.

43
Aur Ye Ke Wo Hansaata Aur Rulaata Hai.

44
Aur Ye Ke Wo Hi Maarta Aur Jilata Hai.

45
Aur Ye Ke Wo Hi Nar Aur Mada, Do Qisam Ke Haiwan Paida Karta Hai.

46
Yaani Nutfe Se, Joh Rehem Main Daala Jaata Hai.

47
Aur Ye Ke Qiamat Ko Ussi Par Dobara Uthana Lazim Hai.

48
Aur Ye Ke Wo Hi Dolat Mand Banata Aur Muflis Karta Hai.

49
Aur Ye Ke Wo Hi Shoraa Ka Malik Hai.

50
Aur Ye Ke Ussi Ne Aad-E-Awwal Ko Haalak Kar Dala.
51
Aur Samood Ko Bhi,  Gharz Kisi Ko Baqi Na Chora.

52
Aur Un Se Pehle Qoum-E-Nooh A.S. Ko Bhi. Kuch Shak Nahi Ke Wo Loug Bare Hi Zalim Aur Bare Hi Sarkash The.

53
Aur Ussi Ne Ulti Hui Bastiyoun Ko De Patkha.

54
Phir Un Par Chaaya Joh Chaaya.

55
Toh Ae Insaan Tu Apne Parwardigar Ki Koun Koun Si Namat Par Jhagre Ga.

56
Ye Muhammad S.A.W. Bhi,  Agle Dar Sunaane Waloun Main Se Aik Dar Sunane Waale Hain.

57
Aane Wali Yaani Qiamat Qareeb Aa Pohonchi.

58
Us Din Ki Takleefoun Ko Khuda Ke Siwa Koi Door Nahi Kar Sakte Ga.

59
Ae Munkareen-E-Khuda Kia Tum Is Kalaam Se Taajub Karte Ho?

60
                              Aur Hanste Ho Aur Rote Nahi?

61
Aur Tum Gaflat Main Par Rahe Ho.

62
Toh Khuda Ke Aage Sajda Karo Aur Ussi Ki Ibadat Karo.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!