Tuesday, 19 April 2016

58-Soorah-al-Mujadilah-Aayaat-22




Soorah-Al-Mujadilah

Aayaat-22

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Paigambar S.A.W. Joh Aurat Tum Se Apne Shohar Ke Bare Main Behes-e-Jaddal Karti Aur Khuda Se Shikayat Ranj-O-Malaal Karti Thi. Khuda Ne Us Ki Iltija Sunn Li Aur Khuda Tum Dono Ki Guftugu Sunn Raha Tha.Kuch Shak Nahi Ke Khuda Sunta Daikhta Hai.

2
Joh Loug Tum Main Se Apni Aurtoun Ko Maan(Mother) Keh Dete Hain, Wo Un Ki Maayen Nahi Ho Jateen. Un Ki Maayen Toh Wo Hi Hain Jin Ke Batan Se Wo Paida Hue. Be Shak Wo Na Maqool Aur Jhooti Baat Kehte Hain Aur Khuda Bara Moaf Karne Wala Aur Bakhshe Wala Hai.

3
Aur Joh Loug Apni Biwiyoun Ko Maan(Mother) Keh Baithain, Phir Apne Qoul Se Rujoo Kar Lain, Toh Un Ko Ham Bistar Hone Se Pehle Aik Ghulaam Azaad Karna Zaroori Hai. Momino Is Hukum Se Tumko Naseehat Ki Jati Hai. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Us Se Khabardaar Hai.

4
Jis Ko Gulaam Na Mile Wo Mujamiyat Se Pehle Mutwatir Do Maheene Ke Roze Rakhe, Jis Ko Is Ka Bhi Maqdoor Na Ho, Usse Sath Mohtaajoun Ko Khana Khilana Chahiye .Ye Hukum Is Liye Hai Ke Tum Khuda Aur Rasool Ke Farmbardaar Ho Jao. Aur Ye Khuda Ki Hadain Hain. Aur Na Maan-Ne Waloun Ke Liye Dard Dene Wala Azaab Hai.
5
Joh Loug Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Mukhalfat Karte Hain, Wo Ussi Tarha Zaleel Kiye Jayen Ge, Jis Tarha Un Se Pehle Loug Zaleel Kiye Gaye The Aur Ham Ne Saaf Aur Sareeh Aayatian Nazil Kar Di Hain. Joh Nahi Maante Un Ko Zillat Ka Azaab Hoga.

6
Jis Din Khuda Un Sab Ko Jila Uthaye Ga, Toh Joh Kaam Wo Karte Rahe, Un Ko Jatayae Ga .Khuda Ko Wo Sab Kaam Yaad Hain Aur Ye Un Ko Hbool Gaye Hain Aur Khuda Har Chez Se Waqif Hai.

7
Kia Tum Ko Maloom Nahi Ke Joh Kuch Aasmanoun Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Khuda Ko Sab Maloom Hai. Kisi Jaga Teen Shaksoun Ka Majmaa Aur Kanoun Main Salah-O-Mashwara Nahi Hota,  Magar Wo Un Main Chotha(4th)  Hota Hai Aur Na Kahin Panch Ka, Magar Wo Un Main Chata(6th) Hota Hai Aur Na Is Se Kam Ya Ziada, Magar Wo Un Ke Sath Hota Hai,  Khuah Wo Kahin Houn. Phir Joh Joh Kaam Ye Karte Rahe Hain Qiamat Ke Din Wo Aik Aik In Ko Bataye Ga. Be Shak Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.

8
Kia Tum Ne Un Lougn Ko Nahi Daikha, Jin Ko Sar Goshiyaan Karne Se Mana Kia Gaya Tha. Phir Jis Kaam Se Mana Kia Gaya Tha Wo Hi Phir Karne Lage Aur Ye Toh Gunnah Aur Zulm Aur Rasool-E-Khuda Ki Nafarmani Ki Sargoshiyan Karte Hain. Aur Jab Tumhare Paas Aate Hain Toh Jis Kalme Se Khuda Ne Tum Ko Dua Nahi Di, Us Se Tumhain Dua Dete Hain.Aur Apne Dil Main Kehte Hain Ke Agar Ye Waqayee Paigambar Hain, Toh Joh Kuch Ham Kehte Hain Khuda Hamain Us Ki Saza Kion Nahi Deta? Ae Paigamabar S.A.W. Un Ko Dozakh Hi Ki Saza Kafi Hai. Ye Ussi Main Dakhil Honge.Aur Wo Buri Jaga Hai.





9
Momino! Jab Tum Apas Main Sar Goshiyaan Karne Lago, Toh Gunnah Aur Ziadti Aur Paigamabar Ki Nafaremani Ki Baatain Na Karna, Balke Naiko Kari Aur Parhaizgaari Ki Baatin Karna. Aur Khuda Se Jis Ke Saamne Jama Kiye Jao Ge Darte Rehna.

10
Kaafiroun Ki Sar Goshiyan Toh Shaitaan Ki Harkaat Se Hain, Joh Is Liye Ki Jati Hain, Ke Momin Un Se Ghamnaak Houn, Magar Khuda Ke Hukum Ke Siwa Un Se Unhain Kuch Nuqsaan Nahi Pohonch Sakta. Toh Mominoun Ko Chahiye Ke Khuda Hi Par Bharosa Rakhain.

11
Momino! Jab Tum Se Kaha Jaye Ke Majlis Main Khul Kar Baitho
Toh Khul Baitha Karo. Khuda Tum Ko Kushaadgi Bakhshe Ga. Aur Jab Kaha Jaye Ke Uth Kahare Ho Toh Uth Karhe Hua Karo. Joh Loug Tum Main Se Eemaan Laye Hain Aur Jin Ko Ilm Ata Kia Gaya Hai, Khuda Un Ke Darje Buland Kare Ga. Aur Khuda Tumhare Sab Kaamoun Se Waqif Hai.

12
Momino! Jab Tum Paigambar Ke Kaan Main Koi Bat Kaho Toh Baat Kehne Se Pehle Masakeen Ko Kuch Khairaat De Dia Karo, Ye Tumhare Liye Bhot Behtar Aur Pakeezgi Ki Baat Hai. Aur Agar Khairaat Tum Ko Moyasar Na Aaye, Toh Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

13
Kia Tum Is Se Ke Paigambar Ke Kaan Main Koi Baat Kehne Se Pehle Khairaat Dia Karo,  Dar Gaye? Phir Jab Tum Ne Aisa Na Kia Aur Khuda Ne Tumhain Moaaf Kar Dia, Toh Namaz Parhte Aur Zakaat Dete Raho Aur Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabadaari Karte Raho. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Us Se Khabardaar Hai.


14
Bhala Tum Ne Un Lougn Ko Nahi Daikha Joh Aisoun Se Dosti Karte Hain, Jin Par Khuda Ka Ghazab Hua. Wo Na Tum Main Hain Na Un Main. Aur Jaan Boojh Kar Jhooti Baatoun Par Qasmain Khate Hain.

15
Khuda Ne Un Ke Liye Sakht Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai. Ye Joh Kuch Karte Hain Yaqeenan Bura Hai.

16
Unhoun Ne Apni Qasmoun Ko Dhaal Bana Liya Aur Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Rok Dia Hai, So Un Ke Liye Zillat Ka Azaab Hai.

17
Khuda Ke Azaab Ke Saamne Na Toh Un Ka Maal Hi Kuch Kaam Aye Ga Aur Na Aulad Hi Kuch Faida De Gi. Ye Loug Ehl-E-Dozakh Hain Is Main Hamesha Jalte Rahain Ge.

18
Jis Din Khuda Un Sab Ko Jila Uthaye Ga Toh Jis Tarha Tumhare Saamne Qasmain Khaate Hain,  Issi Tarha Khuda Ke Saamne Qasmain Khayen Ge Aur Khayal Karainge, Ke Aisa Karne Se Kaam Le Nikle Hain. Daikho Ye Jhoote Aur Barsar Galat Hain.

19
Shaitaan Ne Un Ko Qaaboo Main Kar Liya Hai. Aur Khuda Ki Yaad Un Ko Bhula Di Hai. Ye Jamaat Shaitaan Ka  Lashkar Hai. Aur Sunn Rakho Ke Shaitaan Ka Lashkar Nuqsaan Uthaan Wala Hai.

20
Joh Loug Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Mukhalfat Kartre Hain Wo Nihayat Zaleel Hounge.




21
Khuda Ka Hukum-E-Natiq Hai, Ke Main Aur Mere Paighambar Zaroor Galib Rahainge. Be Shak Khuda Zour Aawar Aur Zabardast Hai.

22
Joh Loug Khuda Par Aur Roz-E-Qiamat Par Eemaan Rakhte Hain Tum Un Ko  Khuda Aur Us Ke Rasool Ke Dushman Se Dosti Karte Hue Na Daikho Ge, Khuah Wo Un Ke Baap Ya Bete Ya Bhai Ya Khandaan Hi Ke Loug Houn. Ye Wo Loug Hain Jin Ke Diloun Main Khuda Ne Eemaan Pathar Par Lakeer Ki Tarha Tehreer Kar Dia Hai Aur Faiz-E-Ghaibi Se Un Ki Madad Ki Hai. Aur Wo Un Ko Behshatoun Main, Jin  Ke Tale Nehrain Beh Rahi Hain, Dakhil Kare Ga , Hamesha Un Main Rahain Ge. Khuda Un Se Khush Aur Wo Khuda Se Khush.Ye Hi Guroh Khuda Ka Lashkar Hai. Aur Sunn Rakho Ke Khuda Hi Ka Laskhar Muraad Hasil Karne Wala Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!