Soorah-E-Fatir
Aayaat-45
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Sab Taareef Khuda Hi
Ko Sazawar Hai, Joh Aasmaanoun Aur Zameen Ka Paida Karne Wala Aur Farishtoun Ko
Qaasid Banane Wala Hai, Jin Ke Do Do Aur Teen Teen Aur Chaar Chaar Par Hain. Wo
Apni Makhlooqaat Main Joh Chahta Hai Barhata Hai. Be Shak Khuda Har Cheez Par
Qaadir Hai.
2
Khuda Joh Apni Rehmat
Ka Darwaza Khol De Toh Koi Us Ko Band Karne Wala Nahi. Aur Joh Band Kar De Toh
Us Ke Baad Koi Us Ko Kholne Wala Nahi.Aur Wo Ghaalib Hikmat Wala Hai.
3
Lougo Khuda Ke Joh Tum
Par Ehsaanaat Hain, Un Ko Yaad Karo.Kia Khuda Ke Siwa Koi Aur Khaliq Aur Raaziq
Hai Joh Tum Ko Aasmaan Aur Zameen Se Rizqq De. Is Ke Siwa Koi Maabood Nahi Pas
Tum Kahan Behke Phirte Ho?
4
Aur Ae Peigambar
S.A.W. Agar Ye Loug Tum Ko Jhutlaayen Toh Tum Se Pehle Bhi Paigambar Jhutlaye
Gaye Hain. Aur Sab Kaam Khuda Hi Ki Taraf Loutaye Jaayenge.
5
Lougo Khuda Ka Waada
Sacha Hai. Toh Tum Ko Dunia Ki Zindagi Dhoke Main Na Daal Se Aur Na Shaitaan
Faraib Dene Wala Tumhain Faraib De.
6
Shaitaan Tumhara
Dushman Hai Tum Bhi Usse Dushman Samjho.
Wo Apne Pairwi Karne
Waloun Ke Guroh Ko Bulata Hai, Taa-Ake Wo Dozakh Waloun Main Houn.
7
Jinhoun Ne Kufur Kia
Un Ke Liye Sakht Azaab Hai. Aur Joh Eeman Laaye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Un
Ke Liye Bakhshish Aur Bara Sawab Hai.
8
Bhala Jis Shakhs Ko Is
Ke Aamaal-E-Bad Aaraasta Kar Ke Dikhaye Jaayain Aur Wo Unko Umda Samajhne Lage,
Toh Kia Wo Naiko Kaar Aadmi Jaisa Ho Sakta Hai. Be Shak Khuda Jis Ko Chahta Hai
Gumraah Karta Hai Aur Jis Ko Chahta Hai Hidayat Deta Hai.Toh Un Lougon Par
Afsos Kar Ke Tumhara Dam Na Nikal Jaye. Ye Joh Kuch Karte Hain Khuda Us Se
Waqif Hai.
9
Aur Khuda Hi Toh Hai
Joh Hawaayen Chalata Hai Aur Wo Baadal Ko Ubhaarti Hain, Phir Ham Us Ko Aik Be
Jaan Sheher Ki Taraf Chalate Hain. Phir Us Se Zameen Ke Marne Ke Baad Zinda Kar
Dete Hain. Issi Tarha Murdoun Ko Jee Uthna Hoga.
10
Joh Shakhs Izzat Ka
Talabgaar Hai, Toh Izzt Toh Sab Khuda Hi Ki Hai. Ussi Ki Taraf Paakeeza Kalmaat
Charhte Hain Aur Naik Amal Us Ko Buland Karte Hain. Aur Joh Loug Bure Bure
Makkar Karte Hain, Un Ke Liye Sakht Azaab Hai. Aur Un Ka Makkar Nabood Ho Jaye
Ga.
11
Aur Khuda Hi Ne Tum Ko
Matti Se Paida Kia Phir Nutfe Se, Phir Tum Ko Jora Jora Bana Dia. Aur Koi Aurat
Na Haamla Hoti Hai Aur Na Janti Hai, Magar Us Ke Ilm Se. Aur Na Kisi Bari Umar
Wale Ko Umar Ziada Di Jati Hai Aur Na Us Ki Umar Kam Ki Jati Hai, Magar Sab
Kuch Kitaab Main Likha Hua Hai.Be Shak Ye Khuda Ko Aasaan Hai.
12
Aur Dono Darya Mill
Kar Yaksan Nahi Ho Jate. Ye Toh Meetha Hai Piyaas Bujhane Wala. Jis Ka Paani
Khushgawaar Hai Aur Ye Khari Hai Karwa. Aur Sab Se Tum Taaza Gosht Khate Ho Aur
Zewar Nikaalte Ho Jisse Pehente Ho. Aur Tum Darya Main Kashtiyoun Ko Daikhte Ho
Ke Paani Ko Phaarti Chali Aati Hain, Taa-Ake Tum Us Ke Fazal Se Moaash Talash
Karo Aur Taa-Ake Shukar Karo.
13
Wo Hi Raat Ko Din Main
Daakhil Karta Aur Wo Hi Din Ko Raat Main Daakhil Karta Hai Aur Ussi Ne Sooraj
Aur Chaand Ko Kaam Main Laga Dia Hai. Har Aik Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Chal Raha
Hai. Ye Hi Khuda Tumhara Parwardigar Hai Us Ki Baadshahi Hai. Aur Jin Lougoun
Ko Tum Us Ke Siwa Pukaarte Ho Wo Khajoor Ki Guthli Ke Chilke Ke Barabar Bhi Toh
Kisi Cheez Ke Malik Nahi.
14
Agar Tum Un Ko Pukaro
Toh Wo Tumhari Pukaar Na Sunain Aur Agar Sunn Bhi Lain Toh Tumhari Baat Ko
Qabool Na Kar Sakain. Aur Qiamat Ke Roz Tumhare Shirk Se Inkar Kar Dainge. Aur
Khudaaye Ba Khabar Ki Tarha Tumko Koi Khabar Nahi De Ga.
15
Lougo Tum Sab Khuda Ke
Mohtaaj Ho Aur Khuda Be Parwa Sazawar-e-Hamd-O-Sana Hai.
16
Agar Chaahe Toh Tumko
Nabood Kar De, Aur Nai Makhlooqaat La Abaad Kare.
17
Aur Ye Khuda Ko Kuch
Mushkil Nahi.
18
Aur Koi Uthaane Wala
Doosre Ka Bojh Na Uthaaye Ga. Aur Koi Bojh Main Daba Hua, Apna Bojh Bataane Ko, Kisi Ko Bulaye, Toh Koi
Us Main Se Kuch Na Uthaaye Ga, Agarcha Qarabat Daar Hi Ho. Ae Paigambar S.A.W.
Tum Un Hi Lougon Ko Naseehat Kar Satke Ho Joh Bin Daikhe Apne Parwrdigar Se
Darte Aur Namaaz Biltizaam Parhte Hain. Aur Joh Shakhs Paak Hota Hai Wo Apne Hi
Liye Paak Hota Hai. Aur Sab Ko Khuda Hi Ki Taraf Lout Kar Jaana Hai.
19
Aur Andha Aur Aankh
Walaa Barabar Nahi.
20
Aur Na Andhaira Aur
Roshni.
21
Aur Na Saaya Aur Na
Dhoop.
22
Aur Na Zinde Aur Murde
Barabar Ho Sakte Hain. Khuda Jis Ko Chahta Hai Suna Deta Hai. Aur Tum Un Ko Joh
Qabroun Main Madfoon Hain Suna Nahi Sakte.
23
Tum Toh Sirf Hidayat
Karne Wale Ho.
24
Ham Ne Tum Ko Haq Ke
Sath Khushkhabri Sunane Wala Aur Darane Wala Bhaija Hai. Aur Koi Ummat Nahi,
Magar Us Main Hidayat Karne Wala Guzar Chukka Hai.
25
Aur Agar Ye Tumahri
Takzeeb Karain Toh Joh Loug Un Se Pehle The Wo Bhi Takzeeb Kar Chuke Hain, Un Ke Pas Un
Ke Paigamabar Nishaniyan Aur Saheefe Aur Roshan Kitaabain Le Le Kar Aate
Rahe.
26
Phir Main Ne Kaafiroun
Ko Pakar Liya, So Daikh Lo Ke Mera Azaab Kaisa Hua.
27
Kia Tum Ne Nahi Daikha
Ke Khuda Ne Aasmaan Se Meenh Barsaya .Toh Hamne Us Se Tarha Tarha Ke Rangoun Ke
Maiwe Paida Kiye .Aur Paharoun Main Safaid Aur Surkh Rangoun Ke Qataat Hain Aur
Baaz Kaale Siyaah.
28
Insaanoun Aur
Jaanwaroun Aur Chaarpaaiyoun Ke Bhi Kai Tarha Ke Rang Hain. Khuda Se Toh, Us Ke
Bandoun Main Se, Wo Hi Darte Hain, Joh Sahib-E-Ilm Hain. Be Shak Khuda Gaalib
Aur Bakhashne Wala Hai.
29
Joh Loug Khuda Ki
Kitaab Parhte Aur Namaaz Ki Paa Bandi Karte Hain, Aur Joh Kuch Ham Ne Un Ko Dia
Hai Us Main Se Posheeda Aur Zahir Kharch Karte Hain, Wo us Tijarat Ke Faaide Ke
Umeedwaar Hain Joh Kabhi Tabah Nahi Hogi.
30
Kion Ke Khuda Un Ko
Poora Poora Badla De Ga, Aur Apne Fazal Se Kuch Ziada Bhi De Ga. Wo Toh
Bakhashne Wala Aur Qadardaan Hai.
31
Aur Ye Kitaab Joh
Hamne Tumhari Taraf Bhaiji Hai, Bar Haq Hai. Aur Un Kitaboun Ki Tasdeeq Karti
Hai, Joh Is Se Pehle Ki Hain. Be Shak Khuda Apne Bandoun Se Khabardaar Aur Un
Ko Daikhne Wala Hai.
32
Phir Ham Ne Un Lougon
Ko Kitab Ka Waaris Thehraya Jin Ko Apne Bandoun Main Se Burguzeeda Kia. Toh
Kuch Toh In Main Se Apne Aap Par Zulm Karte Hain Aur Kuch Miyana Rou Hain. Aur
Kuch Khuda Ke Hukum Se Naikiyoun Main Aage Nikal Jaane Wale Hain. Ye Hi Bara
Fazal Hai.
33
In Lougon Ke Liye
Behshat Jawedaani Hai, Jin Main Wo Daakhil Houge. Wahan Un Ko Sone(Gold) Ke
Kangan Aur Moti Pehnaye Jaayen Ge.Aur Un Ki Poshaak Reshmi Hogi.
34
Wo Kahain Ge Ke Khuda
Ka Shukar Hai Jis Ne Ham Se Gham Door Kia. Be Shak Hamara Parwardigar Bakhshne
Wala Aur Qadardaan Hai.
35
Jis Ne Hamko Apne
Fazal Se Hamesha Ke Rehne Ke Ghar Main Utaara. Yayan Na Toh Ham Ko Ranj
Pohonche Ga Aur Na Hamain Thakaan Hi Hogi.
36
Aur Jin Lougon Ne
Kufur Kia Un Ke Liye Dozakh Ki Aag Hai. Na Unhain Mout Aaye Gi, Ke Mar Jaayen Aur Na Us Ka Azaab Hi Un Se
Halka Kia Jaye Ga. Ham Har Aik Na Shukre Ko Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.
37
Wo Us Main Chillayen
Ge, Ke Ae Parwardigar Ham Ko Nikaal Le
Ab Ham Naik Amal Kia Kariange. Na Wo Joh Pehle Karte The. Kia Ham Ne Tumko Itni
Umar Nahi Di Thi, Ke Us Main Joh Sochna Chahta Soch Leta Aur Tumahre Paas Daraane
Wala Bhi Aaya. Toh Ab Maze Chakho. Zaalimoun Ka Koi Madadgaar Nahi.
38
Be Shak Khuda Hi
Aasmaanoun Aur Zameen Ki Posheeda Baatoun Ka Jaan-Ne Wala Hai.Wo Toh Dil Ke
Bhaidoun Tak Se Waqif Hai.
39
Wo Hi Toh Hai Js Ne Tumko
Zameen Main Pehloun Ka Janasheen Banaya. Toh Jis Ne Kufur Kia Us Ke Kufur Ka
Zarrar Ussi Ko Hai. Aur Kaafiroun Ke Haq Main Un Ke Kufur Se Parwardigar Ke
Haan Na Khushi Hi Barhti Hai Aur Kaafiroun Ko Un Ka Kufur Nuqsaan Hi Ziada
Karta Hai.
40
Bhala Tum Ne Apne
Shareekoun Ko Daikha, Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho. Mujhe Dikhao Ke
Unhoun Ne Zameen Se Koun Si Cheez Paida Ki Hai, Ya Bataow Ke Aasmaanoun Main Un
Ki Shirkat Hai. Ya Ham Ne Un Ko Kitaab Di Hai, Toh Wo Us Ki Sanad Rakhte Hain,
In Main Se Koi Baat Bhi Nahi, Balke Zaalim Joh Aik Doosre Ko Waada Dete Hain
Mehez Faraib Hai.
41
Khuda Hi
Aasmaanoun Aur Zameen Ko Thaame Rakhta
Hai, Ke Tall Na Jayen. Agar Wo Tall Jaye Toh Khuda Ke Siwa Koi Aisa Nahi Joh Un
Ko Thaam Sake. Be Shak Wo Burdbaar Aur Bakhashne Wala Hai.
42
Ye Khuda Ki Sakht
Sakht Qasmain Khaate Hain Ke Agar Un Ke Paas Koi Hidayat Karne Wala Aaye, Magar
Jab Unke Paas Hidayat Karne Waala Aaya, Toh Us Se Un Ko Nafrat Hi Barhi.
43
Yaani Unhoun Ne Mulk
Main GHaroor Karna Aur Buri Chaal Chalna Ikhtiyar Kia, Aur Buri Chaal Ka Wabaal Us Ke Chalne Wale Hi
Par Parta Hai. Ye Agle Lougon Ki Rawish Ke Siwa Aur Kisi Cheez Ke Muntazir
Nahi. So Tum Khuda Ki Aadat Main Har Gizz Tabbaddul Na Paao Ge. Aur Khuda Ke
Tareeqe Main Kabhi Tagaiyuur Na Daikho Ge.
44
Kia Unhoun Ne Zameen
Main Sair Nahi Ki, Taa-Ake Daikhte Ke Joh Loug Unse Pehle The Un Ka Anjaam Kia
Hua, Halanke Wo Un Se Quwwat Main Bohot Ziada The. Aur Khuda Aisa Nahi Ke
Aasmaanoun Aur Zameen Main Koi Cheez Us Ko Aajiz Kar Sake. Wo Ilm Wala Aur
Qudrat Wala Hai.
45
Aur Agar Khuda Lougon
Ko Un Ke Aamal Ke Sabab Pakarne Lagta. Toh Roo-E-Zameen Par Aik Chalne Phirne
Wale Ko Na Chorta. Lekin Wo Un Ko Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Mohlat Diye Jata Hai.
So Jab Un Ka Waqt Aa Jaye Ga Toh Us Ke Aamaal Ka Badla De Ga Khuda Toh Apne
Bandoun Ko Daikh Raha Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!