170
Aur Jab Un Logoiun Se Kaha Jata Hai Ke Joh Kitaab Allah Ne Naazil Farmaayee Hai Us Ki Pairwi Karo Toh Kehte Hain Nahi, Balke Ham Toh Usi Cheez Ki Pairwi Karen Ge Jis Par Ham Ne Apne Baap Dada Ko Paaya . Bhala Agarcha Un Ke Baap Dada Na Kuch Samajhte Hon Aur Na Seedhe Raste Par Ho Tab Bhi Woh Unhi Ki Taqleed Kiye Jayen Ge.
171
Joh Loug Kafir Hain Un Ki Misaal Us Shakhs Ki Si Hai Joh Kisi Aisi Cheez Ko Awaaz De, Joh Pukaar Aur Awaz Ke Siwa Kuch Sun Na Sake. Yeh Behre Hain Goonge Hain Andhe Hain, Ke Kuch Samajh Hi Nahi Sakte.
172
Ae Ehle-E-Eemaan Joh Pakeeza Cheezain Ham Ne Tum Ko Ata Farmaayee Hain Un Ko Khao Aur Agar Allah Hi Ke Bande Ho Th Us Ki Naimaton Ka Shukar Bhi Ada Karo.
173
Us Ne Tum Par Mara Hua Janwar Aur Lahoo Aur Sooar (Pigg) Ka Gosht(Meat) Aur Jis Cheez Par Allah Ke Siwa Kisi Aur Ka Naam Pukaara Jaye Haraam Kar Dia Hai, Haan Joh Naachaar Ho Jayain Bashart Ye Ke Allah Ki Nafarmani Na Kare Aur Had-E-Zaroorat Se Bahar Na Nikal Jaye Us Par Kuch Gunnah Nahi. Beshak Allah Bakhashne Wala Aur Rehem Karne Wala Hai.
174
Joh Loug Allah Ki Kitaab Se Un Aayaton Aur Hidayaton Ko Joh Us Ne Naazil Farmayee Hain Chupate Aur Un Ke Badle Thori Si Qeemat Yani Dunyavi Munfiyat(Profit) Hasil Karte Hain Woh Apne Paiton Main Mehez Aag Bharte Hain.Aise Lougon Se Allah Qiamat Ke Din Na Kalaam Kare Ga Aur Na Un Ko Gunahon Se Paak Kare Ga. Aur Un Ke Liye Dukh Dene Wala Azaab Hai.
175
Yeh Woh Loug Hain Jinhon Ne Hidayat Chor Kar Gumrahi Aur Bakhshish Chor Kar Azaab Khareeeda. Yeh Aatish-E-Jahannum Ki Kaisi Bardaasht Karne Wale Hain.
176
Yeh Is Liye Ke Allah Ne Kitaab Sachyee Ke Sath Nazil Farmayee. Aur Jin Lougon Ne Is Kitaab Main Ikhtailaaf Kia Woh Zidd Main Aakar Naiki Se Door Ho Gaye Hain.
177
Naiki Yehi Nahi Ke Tum Mashriq Ya Magrib Ko Qibla Samjh Kar Un Ki Taraf Moonh Kar Lo Balke Naiki Yeh Hai Ke Loug Allah Par Aur Roz-E-Aakhrat Par Aur Farishton Par Aut Allah Ki Kitaab Par Aur Paigambron Par Eemaan Laayen. Aur Maal Bawajood Azeez Rakhne Ke Rishta Daaron Aur Yateemon Aur Mohtaajon Aur Musafiron Aur Maangne Walon Ko Dain Aur Gardanoun Ko Churane Main(Matlab Ghulaam Azaad Karwane Main) Kharch Karain Aur Namaaz Parhain Aur Zakaat Dain . Aur Jab Ehed Kar Lain Toh Us Ko Poora Karain. Aur Sakhti Aur Takleef Main Aur Maarka Kaar Saaz Ke Waqt Sabit Qadam Rahain . Yeh Hi Loug Hain Joh Eemaan Main Sache Hain Aur Yeh Hi Hian Joh Allah Se Darne Wale Hain.
178
Momino! Tum Ko Maqtooloun Ke Baare Main Qassas, Yani Khoon Ke Badle Khoon Ka Hukum Diya Jata Hai Is Tarha Par, Keh Azaad Ke Badle Azaad Mara Jaye, Aur Ghulaam Ke Badle Ghulaam Aur Aurat Ke Badle Aurat Aur Agar Qatil Ko Us Ke Maqtool Bhai Ke Qassaas Main Se Kuch Moaaf Kar Dia Jaye Toh Waaris-E-Maqtool Ko Pasandeeda Tareeq Se Qarraar Daad Ki Pairwi Yaani Mutaalba-E-Khoon Baha Karna Aur Qatil Ko Khush Khoyee Ke Sath Ada Karna Chahiye ,Yeh Parwardigaar Ki Taraf Se Tumhare Liye Asaani Aur Meherbaani Hai Joh Is Ke Baad Ziaadti Kare Us Ke Liye Dukh Ka Azaab Hai.
179
Aur Ae Ehl-E-Aqal Hukum-E-Qassaas Main Tumhari Zindagani He ,Ke Tum Qatlo-O-Khoon Raizi Se Bacho.
180
Tum Par Farz Kia Jata Hai, Ke Jab Tum Main Se Kisi Ko Mout Ka Waqt Aa Jaye Toh Agar Woh Kuch Maal Chor Jaanee Wala Ho Toh Maan Bap Aur Rishta Daaro Ke Liye Dastoor Ke Mutabiq Wasiyat Kar Jaye Allah Se Darne Walon Par Ye Aik Haq Hai.
181
Joh Shakhs Wasiyat Ko Sunne Ke Baad Badal Daale Toh Us Ke Badalne Ka Gunnah Unhi Lougon Par Hai Joh Us Ko Badlain . Aur Be Shak Allah Sunta Janta Hai.
172
Agar Kisi Ko Wasiyat Karne Wale Ki Taraf Se Kisi Waris Ki Taraf Daari Ya Haq Talfi Ka Andaisha Ho Toh Agar Woh Wasiyat Ko Badal Kar Waarison Main Sullah Kara De Toh Us Par Kuch Gunnah Nahi . Be Shak Allah Bakhashne Wala Aur Rehem Wala Hai.
183
Momino! Tum Par Roze Farz Kiye Gaye Hain. Jis Tarha Tum Se Pehle Lougon Par Farz Kiye Gaye The Taa-Ake Tum Paarhaizgaar Bano.
184
Rozon Ke Din, Ginti Ke Chand Roz Hian, Joh Shakhs Tum Main Se Bimaar Ho Ya Safar Main Ho Toh Doosre Dinon Main Rozoun Ka Shumaar Poora Kar Le Aur Joh Loug Roza Rakhne Ki Taaqat Rakhain , Lekin Rakhain Nahi, Toh Woh Roze Ki Badle Mohtaaj Ko Khana Khila Dain Aur Joh Koi Shoq Se Naiki Kare Toh Us Ke Haq Main Ziada Acha Hai. Aur Agar Samjho Toh Roza Rakhna Hi Tumharea Haq Main Behtar Hai.
185
Rozoun Ka Maheena(Month) Ramzaan Ka Maheena Hai , Jis Main Quran Awwal Awwal Nazil Hua ,Joh Lougon Ka Rehnuma Hai Aur Jis Main Hidayaat Ki Khuli Nishaniyan Hain Aur Joh Haq-O-Batil Ko Alag Alag Karne Wala Hai Toh Jon Koi Tum Main Se Is Maheene Main Mojood Ho Chahiye Ke Poore Maheene Ke Roze Rakhe Aur Joh Bimaar Ho Ya Safar Man Ho Toh Doosre Dinoun Main Rakh Kar Un Ka Shumaar Poora Kar Le. Khudda Tumhare Haq Main Asaani Chahta Hai Arur Sakhti Nahi Chahta Aur Ye Aasaani Ka Hukum Is Liye Dia Gaya Hai Ke Tum Rozon Ka Shumaar Poora Kar Lo Aur Is Ehsan Ke Badle Ke Allah Ne Tum Ko Hidayat Bakhshi Hai Tum Us Ko Buzurgi Se Yaad
Karo Aur Us Ka Shukar Karo.
186
Aur Ae Paigambar Jab Tum Se Mere Bande Mere Bare Main Daryaaft Karain Toh Keh Do Ke Main Toh Tumhare Paas Hoon, Jab Koi Pukarne Wala Mujhe Pukarta Hai Toh Main Us Ki Dua Qabool Karta Hoon, Toh Un Ko Chahiye Ke Mere Hukmoun Ko Maanain Aur Mujh Par Eemaan Laayain Taa-Ake Naik Rasta Payain.
187
Rozon Ki Raaton Main Tumhare Liye Apni Aurton Ke Paas Jaana Jaaiz Kar Dia Gaya Hai Woh Tumahari Poshaak Hain Aur Tum Un Ki Poshaak Ho Allah Ko Maloom Hai Ke Tum Un Ke Paas Jaane Se, Apne Haq Main Khiyanat Karte The, So Us Ne Tum Par Meherbaani Ki Aur Tumhari Harkaat Se Darguzar(Excuse) Farmaayee. Ab Tum Ko Ikhtiyaar Hai Ke Un Se Haq-E-Zojiyat Karo. Aur Allah Ne Joh Cheez Tumhare Liye Likh Rakhi Hai Yaani Aulad Us Ko Allah Se Talab
Karo Aur Khao Aur Piyo Yahan Tak Ke Subh Ki Safaid Dhaari Raat Ki Siyah Dhaari Se Alag Nazar Aane Lage. Phir Roza Rakh Kar Raat Tak Poora Karo, Aur Jab Tum Masjidon Main Aitkaaf Main Baithe Ho Toh Un Se(Bive Se)Door Raho. Yeh Allah Ki Hadain Hain.Un Ke Paas Na Jana .Isi Tarha Allah Apni Aayatain Lougon Ke Samjahne Ke Liye Khol Khol Kar Bayaan Farmata Hai Taa-Ake Woh Parhaiz Gaar Banain.
188
Aur Aik Doosre Ka Maal Nahaq Na Khao Aur Na Us Ko Rishwatan Haakimon Ke Paas Pohonchao Taa-Ake Lougon Ke Maal Ka Kuch Hissa Najaaiz Tor Par Na Kha Jao Aur Use Tum Jaante Bhi Ho.
189
Ae Muhammad S.A.W. Loug Tum Se Naye Chand Ke Bare Main Daryaaft Karte Hain Ke Ghat-Ta Barhta Kiyon Hai Keh Do Ke Woh Lougon Ke Kaamon Ki Miyaadain Aur Haj Ke Waqt Maloom Hone Ka Zariya Hai, Aur Naiki Is Baat Main Nahi Ke Ehraam Ki Halat Main Gharon Main Un Ke Pichware Ki Taraf Se Aao. Balke Naiko Kaar Woh Hai Joh Parhaiz Gaar Ho Aur Gharon Main Un Ke Darwazoun Se Aaya Karo Aur Allah Se Darte Raho Taa-Ake Nijaat Paao.
190
Aur Joh Loug Tum Se Larte Hain Tum Bhi Allah Ki Raah Main Un Se Laro Magar Ziadti Na Karna Ke Allah Ziaadti Karne Walon Ko Dost Nahi Rakhta.
191
Aur Un Ko Jahan Pao Qatal Kar Do, Aur Jahan Se Unhon Ne Tum Ko Nikala Hai Yaani Makke Se Wahan Se Tum Bhi Un Ko Nikaal Do. Aur Deen Se Gumraah Karnne Ka Fisaad Qatl-O-Khoon Raizi Se Kaheen Barh Kar Hai Aur Jab Tuk Woh Tum Se Masjid-E-Mohtaram Yaani Khaana Kaaba Ke Paas Na Larain Tum Bhi Wahan Un Se Na Larna. Haan Agar Woh Tum Se Larain Toh Tum Un Ko Qatal Kar Daalo. Kaafiron Ke Yeh Hi Saza Hai.
192
Aur Agar Woh Baaz Aa Jayain Toh Allah Bakhasne Wala Aur Rehem Karne Waala Hai.
193
Aur Un Se Kaho Us Waqt Tak Larte Rehna Ke Fisaad Nabood Ho Jaye Aur Mulk Main Allah Hi Ka Deen Ho Jaye Aur Agar Woh Fisaad Se Baaz Aa Jayen Toh Zalimon Ke Siwa Kisi Par Ziadti Nahi Karni Chahiye.
194
Adab Ka Maheena Adab Ke Maheene Ke Muqabil Hai Aur Adab Ki Cheezian Aik Dosre Ka Badla Hain. Pas Agar Koi Tum Par Ziadti Kare Toh Jaisi Ziadti Woh Tum Par Kare Waisi Hi Tum Us Par Karo. Aur Allah Se Darte Raho Aur Jaan Rakho Ke Allah Darne Walon Ke Sath Hai.
195
Aur Allah Ki Raah Main Maal Kharch Karo Aur Apne Aap Ko Halakat Main Na Dalo Aur Naiki Karo Be Shak Allah Naiki Karne Walon Ko Dost Rakhta Hai.
196
Aur Allah Ki Khusnoodi Ke Liye Haj Aur Umre Ko Poora Karo. Aur Agar Raaste Main Rouk Liye Jao Toh Jaisi Qurbani Moyassar Ho Kar Do Aur Jab Tak Qurbaani Apne Maqaam Par Na Pohonch Jaye Sar Na Mundaao. Aur Agar Koi Tum Main Bimaar Ho Ya Us Ke Sar Main Kisi Tarha Ki Taklef Ho Toh Agar Woh Sar Munda Le Toh Us Ke Badle Roze Rakhe Ya Sadqa De Ya Qurbani Kare Phir Jab Takleef Door Ho Kar Tum Muttmainn Ho Jao, Toh Joh Tum Main Haj Ke Waqt Tak Umre Se Faaida Uthana Chahie Woh Jaisi Qurbani Moyassar Ho Kare. Aur Jis Ko Qurbani Na Mile Woh Teen Roze Ayaam-E-Haj Main Rakhe Aur Sat (7) Jab Wapas Ho. Yeh Poore Das Hue . Yeh Hukum Us Shakhs Ke Liye Hai Jis Ke Ehl-O-Ayaal Makke Mian Na Rehte Hon Aur Allah Se Darte Raho Aur Jaan Rakho Ke Allah Sakht Azaab Dene Wala Hai.
197
Haj Ke Maheene Moiyann(Decided) Hain Joh Maloom Hain Toh Joh Shakhs In Maheenon Main Haj Ki Niyat Kar Le Toh Haj Ke Dinon Main Na Aurton Se Ikhtilat Kare Na Hi Bura Kaam Kare Na Kisi Se Jhagre.Aur Joh Naik Kaam Tum Karo Ge Woh Allah Ko Maloom Ho Jaye Ga Aur Zad-E-Raah Yani Raste Ka Kharch Sath Le Jao Kioyon Ke Behtar Faaida Zad-E-Raah Ka Parhaizgaari Hai Aur Ae Ehle-E-Aqal Mujh Se Darte Raho.
198
Is Ka Tumhain Kuch Gunnah Nahi Ke Haj Ke Dinon Main Bazariya Tijarat Apne Parwardigaar Se Rozi Talab Karo Aur Jab Araafaat Se Wapas Hone Lago Toh Mashaar-E-Haraam Yaani Muzdalfe Main Allah Ka Zikar Karo Aur Us Tarha Zikar Karo Jis Tarha Us Ne Tum Ko Sikhaya .Aur Is Se Paishtar Tum Loug In Tareeqon Se Mehez Na Waqif The.
199
Phir Jahan Se Aur Loug Wapas Houn Waheen Se Tum Bhi Wapas Ho Aur Allah Se Bakhsish Maango.Be Shak Allah Bakhahsne Wala Aur Rehmat Karne Wala Hai.
200
Phir Haj Ke Tamaam Arkaan Poore Kar Chuko Toh Mina Main Allah Ko Yaad Karo. Jis Tarha Apne Baap Dada Ko Yaad Kia Karte The Balke Us Se Bhi Ziada Aur Baz Loug Aise Hain Joh Allah Se Iltija Karte Hai Ke Ae Parwardigaar Ham Ko Joh Daina Hai Dunia Hi Main Inayat Kar Aise Lougon Ka Aakhrat Main Kuch Hissa Nahi.
201
Aur Baaz Aise Hain Ke Dua Karte Hain Ke Parwardigaar Ham Ko Dunia Main Bhi Naimat Ata Farma Aur Aakhrat Main Bhi Naimat Bakhashiyo
Aur Dozakh Ke Azaab Se Mehfooz Rakhiyo.
202
Yeh Hi Loug Hain Jin Ke Liye Un Ke Kaamon Ka Hisaa Yaani Ajar Naik-E-Taiyaar Hai Aur Allah Jald Hisaab Lene Wala Aur Jald Ajar Dene Wala Hai.
203
Aur Qiaam-E-Minaa Ke Dinon Mian Joh Ginti Ke Din Hain Allah Ko Yaad Karo. Agar Koi Jaldi Kare Aur Do Hi Din Main Chal De Toh Us Par Bhi Kuch Gunnah Nahi.Aur Joh Baad Tak Tehra Rahe Us Par Bhi Kuch Gunnah Nahi .Yeh Batain Us Shakhs Ke Liye Hain Joh Allah Se Dare Aur Tum Loug Allah Se Darte Raho Aur Jaan Rakho Ke Tum Sab Us Ke Paas Jama Kiye Jaao Ge.
204
Aur Koi Shakhs Toh Aisa Hai Jis Ki Guftugu Dunia Ki Zindagi Main Tum Ko Dilkash Maloom Hoti Hai Aur Woh Apne Maaf-Uz-Zameer Par Allah Ko Gawah Banata Hai Haalaanke Woh Sakht Jhagraaloo Hai.
205
Aur Jab Peeth(Back) Phair Kar Chala Jata Hai Toh Zameen Main Dorta Phirta Hai Taa-Ake Us Main Fitna Angaizi Kare Aur Khaiti Ko Barbaad Aur Insaanon Aur Haiwaano Ki Nasal Ko Nabood Kar De Aur Allah Fitna Angaizi Ko Pasand Nahi Karta.
206
Aur Jab Us Se Kaha Jata Hai Ke Allah Se Khof Kar, Toh Garoor Us Ko Gunnah Main Phansa Deta Hai .So Aise Ko Jahannum Sazawaaar Hai. Aur Woh Bohot Bura Thikana Hai.
207
Aur Koi Shakhs Aisa Hai Ke Allah Ki Khusnoodi Hasil Karne Ke Liye Apni Jaan Baich Daalta Hai Aur Allah Bandoun Par Baohot Meherbaan Hai.
208
Momino! Islaam Main Poore Poore Daakhil Ho Jao Aur Shaitaan Ke Peeche Na Chalo Woh Toh Tumhara Sareeh Dunsman Hai.
209
Phir Agar Tum Ehkaam-E-Roshan Pohonch Jaane Ke Baad Lar Khara Jao Toh Jaan Rakho Ke Allah Gaalib Aur Hikmat Wala Hai.
210
Kia Yeh Loug Isi Baat Ke Muntazir Hain Ke Un Par Allah Ka Azaab Baadal Ke Saaibaanon Main Aa Nazil Ho Aur Farishte Bhi Utar Aayen Aur Kaam Tamaam Kar Diya Jaye Aur Sab Kaamon Ka Rujoo Allah Hi Ki Taraf Hai.
211
Ae Muhammad S.A.W. Bani Israaeel Se Poocho Ke Ham Ne Un Ko Kitni Khuli Nishaaniyan Deen.Aur Joh Shakhs Allah Ki Naimat Ko Apne Paas Aane Ke Baad Badal De Toh Allah Sakht Azaab Karne Wala Hai.
212
Aur Joh Kaafir Hain Un Ke Liye Dunia Ki
Zindagi Khusnuma Kardi Gai Hai, Aur Woh Mominon Se Tamaskhurr Karte Hain Lekin Joh Parhaiz Gar Hain Woh Qiamat Ke Din Un Par Gaalib Hongge, Aur Allah Jis Ko Chahta Hia Be Shumaar Rizq Deta Hai.
213
Pehle Toh Sab Lougo Ka Aik Hi Mazhab Tha Lekin Woh Apas Main Ikhtilaaf Karne Lage, Toh Allah Ne Un Ki Taraf Basharat Dene Wale Aur Dar Sunane Wale Paighambar Bhaije Aur Un Par Sachaayee Ke Sath Kitaabain Nazil Kee Taa-Ake Jin Amoor Main Loug Ikhtilaaf Karte The Un Ka Un Main Faisala Kar De. Aur Is Main Ikhtilaaf Bhi In Hi Logon Ne Kia Jin Ko Kitaab Di Gai Thi, Ba Wajood Yeh Ke, Un Ke Paas Khule Hue Ehkaam Aa Chuke The, Aur Yeh Ikhtilaaf Unhon Ne Sirf Apas Ki Zidd Se Kia Toh Jis Amar-E-Haq Main Woh Ikhtilaaf Karte The Allah Ne Apni Meherbaani Se Mominon Ko Us Ki Raah Dikha Di. Aur Allah Jis Ko Chahta Hai Seedha Rasta Dikha Deta Hai.
214
Kia Tum Yeh Khayal Karte Ho Ke Youn Hi Behshat Main Daakhil Ho Jao Ge.Aur Abhi Tum Ko Pehle Lougon Ki Si Mushkilain Toh Paish Aayee Hi Nahi. Un Ko Bari Bari Sakhtiyaan Aur Takleefain Pohonchee Aur Woh Saoobaton Main Hila Hila Diye Gaye. Yahan Tak Ke Paigambar Aur Momin Loug Joh Un Ke Sath The Sab Pukaar Uthe Ke Kab Allah Ki Madad Aye Gi. Daikho Allah Ki Madad An Qareeb Aa Hi Chahti Hai.
215
Ae Muhammad S.A.W. Loug Tum Se Poochte Hain Ke Allah Ki Raah Main Kis Tarha Ka Maal Kharach Karen. Keh Do Ke Joh Chaho Kharch Karo. Lekin Joh Maal Kharch Karna Chaho Woh Darja Badarja Ehl-E-Istehqaaq Yaani Maan Baap Ko Aur Qareeb Ke Rishte Daron Ko Aur Yateemon Ko Aur Mohtaajoun Ko Aur Musafiron Ko Sab Ko Do Aur Joh Bhalayee Tum Karo Ge Allah Us Ko Jaanta Hai.
216
Musalmano! Tum Par Allah Ke Raste Main Larna Farz Kar Dia Gaya Hai Woh Tumhain Nagawaar Toh Hoga Magar Ajab Nahi Ke Aik Cheez Tum Ko Buri Lage Aur Woh Tumhare Haq Main Bhali Ho Aur Ajab Nahi Ke Aik Cheez Tum Ko Bhali Lage Aur Woh Tumhare Liye Moozir Ho.Aur In Baton Ko Allah Hi Behtar Jaanta Hai Aur Tum Nahi Jante.
217
Ae Mohammad S.A.W. Loug Tum Se Izzat Wale Maheenon Main Larayee Karne Ke Baare Mian Daryaaft Karte Hain Keh Do, Ke In Main Larna Bara Gunnah Hai Aur Allah Ki Raah Se Rokna Aur Is Se Kufur Karna Aur Masjid-Ul-Haram Yaani Khaana-E-Kaaba Main Jane Se Mana Karna. Aur Ehl-E-Masjid Ko Is Main Se Nikaal Dena Joh Yeh Kuffaar Karte Hain, Allah Ke Nazdeek Is Se Bhi Ziada Gunna Hai. Aur Fitna Angaizi Khoonraizi Se Bhi Barh Kar Hai. Aur Yeh Loug Hamesha Tum Se Larte Rahain Ge Yahan Tak Ke Agar Maqdoor Rakhian Toh Tumko Tumhare Deen Se Phair Dain . Aur Joh Koi Tum Main Se Apne Deen Se Phir Kar Kaafir Ho Jaye Ga Aur Kaafir Hi Mare Ga Toh Aise Lougon Ke Aamaal Dunia Aur Aakrat Dono Main Barbad Ho Jayen Ge Aur Yeh Hi Loug Dozakh Main Jane Wale Hain Jis Mai Hamesh Rahain Ge.
218
Joh Loug Eemaan Laye Aur Allah Ke Liye Watan Chor Gaye Aur Kuffaar Se Jang Karte Rahe Woh Hi Allah Ki Rehmat Ke Umeeedwaar Hain. Aur Allah Bakhashne Wala Aur Rehmat Karne Wala Hai.
219
Ae Paigaambar Loug Tum Se Sharaab Aur Joowe Ka Hukum Daryaaft Kartte Hain . Keh Do Ke In Main Nuqsaan Bare Hain Aur Lougon Ke Liye Kuch Faaide Bhi Hain Magar In Ke Nuqsaan Faaidon Se Kaheen Ziada Hian Aur Yeh Bhi Tum Se Poochte Hain Ke Allah Ki Raah Main Konsa Sa Maal Kharc Karen.Keh Do Ke Joh Zaroorat Se Ziada Ho. Is Tarha Allah Tumhare Liye Apne Ehkaam Khol Khol Kar Bayan Farmata Hai Ta-Aake Tum Socho.
220
Yaani Dunia Aur Aakhrat Ki Baton Main Gor Karo Aur Tum Se Yateemoun Ke Baare Main Bhi Daryaaft Karte Hain Keh Do, Ke Un Ki Halat Ki Islaah Bohot Acha Kaam Hai. Aur Agar Un Se Mill Jull Kar Rehna Yaani Kharch Ikhatta Karna Chaaho, Toh Woh Tumhare Bhai Hain Aur Allah Khoob Jaanta Hai Ke Kharabi Karnee Wala Koun Hai Aur Islaah Karne Wala Koun . Aur Agar Allah Chahta Toh Tum Ko Takleef Main Daal Deta. Beshak Allah Galib Aur Hikmat Wala Hai.
221
Aur Mominon Mushrik Aurton Se Jab Tak Ke Eemaan Na Laayen Nikaah Na Karna. Kiyon Ke Musrik Aurat Khuah Tum Ko Kaisi Hi Bhali Lage Us Se Momin Loundi Behtar Hai.Aur Isi Tarha Mushrik Mard Jab Tak Eemaan Na Laayen Momin Aurton Ko Un Ko Zojiyat Main Na Dena Kion Ke Mushrik Mard Se Khuwa Woh Tumko Kaisa Hi Bhala Lage Momin Ghulam Behtar Hai. Yeh Mushrik Lougon Ko Dozakh Ki Taraf Bulate Hain. Aur Allah Apni Meherbaani Se Behshat Aur Bakhsish Ki Taraf Bulata Hai. Aur Apne Hukum Lougon Se Khol Khol Kar Bayan Karta Hai Ta-Ake Naseehat Haasil Karain.
222
Aur Tum Se Haiz Ke Bare Main Daryaaft Karte Hain.Keh Do Ke Woh Toh Nijasat Hai. So Ayaam-E-Haiz Main Aurtoun Se Kinara Kash Raho. Aur Jab Tak Paak Na Ho Jayain Un Se Muqarbat Na Karo. Haan Jab Paak Ho Jayain To Jis Tareeq Se Allah Ne Irshaad Farmaya Hai Un Ke Paas Jaao. Kuch Shak Nahi Ke Allah Touba Karne Walon Aur Paak Saaf Rehne Walon Ko Dost Rakhta Hai.
223
Tumhari Aurtain Tumhari Khaiti Hain, Toh Apni Khiati Main Jis Tarha Chaaho Jao. Aur Apne Liye Naik Amal Aage Bhaijo. Aur Allah Se Darte Raho Aur Jaan Rakho Ke Aik Din Tumhain Us Ke Ru Baru Hazir Hona Hai Aur Ae Paigambar Eemaan Walon Ko Basharat Suna Do.
224
Aur Allah Ke Naam Ko Is Bat Ka Heela(Bahana) Na Banana Ke Us Ki Qasmain Kha Kha Kar Salook Karne Aur Parhaizgaari Karne Aur Lougon Main Sulah-O-Saazgaari Karaane Se Rukk Jao. Aur Allah Sab Kuch Sunta Aur Jaanta Hai.
225
Allah Tumhari Lagaw(Fizool) Qasmon Par Tum Se Mawakhda Na Kare Ga.Lekin Joh Qasmain Tum Qasad(Sacche) Dili Se Kahow Ge Un Par Mawakhida Kare Ga. Aur Allah Bakhahne Wala Burrdbaar Hai.
226
Joh Loug Apni Aurto Ke Paas Jaane Se Qasam Kha Lain Un Ko Chaar Maheene Intizaar Krana Chahiye. Agar Is Arse Main Qasam Se Rujooh Kar Lain Toh Allah Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
227
Aur Agar Tallaq Ka Irada Kar Lain Toh Bhi Allah Sunta Aur Jaanta Hai.
228
Aur Tallaq Wali Aurtain Teen Haiz Tak Apne Taiee Roke Rahain . Aur Agar Woh Allah Aur Roz-E-Qiamat Par Eemaan Rakhti Hain Toh Un Ko Jaaiz Nahi Ke Allah Ne Joh Kuch Un Ke Shikam Main Paida Kia Hai Us Ko Chupayain. Aur Un Ke Khaawind Agar Phir Muwafiqat Chahain To Us Muddat Main Woh Un Ko Apni Zojiyat Main Le Laine Ke Ziada Haqdaar Hain. Aur Aurtoun Ka Haq Mardon Par Waisa Hi Hai Jaise Dasrtoor Ke Mutabiq Mardon Ka Haq Aurtoun Par Hai. Albatta Mardoun Ko Aurton Par Fazeelat Hai Aur Allah Gaalib Aur Sahib-E-Hikmat Hai.
229
Tallaq Sirf Do Baar Hai..Yaani Jab Do Dafa Tallaq De Di Jae Toh Phir Aurton Ko Ya Toh Batreeq Shaaista Nikah Main Rehne Dena Ya Bhalaiee Ke Sath Chor Dena. Aur Ye Jaaiz Nahi Ke Joh Meher Tum Un Ko De Chuke Ho Us Main Se Kuch Wapas Le Lo. Haan Agar Zan-O-Shohar Ko Khof Ho Ke Woh Allah Ki Hadoun Ko Qaaim Nahi Rakh Sakain Ge Toh Agar Aurat Khawind Ke Hath Se Rehayee Paane Ke Badle Main Kuch De Daale , Toh Dono Par Kuch Gunnah Nahi . Yeh Allah Ki Muqarrar Ki Hui Hadain Hain Un Se Bahar Na Nikalna.Aur Joh Loug Allah Ki Hadoun Se Bahar Nikal Jaye Ge Woh Gunnehgaar Honge.
230
231
Aur Jab Tum Aurton Ko Do Dafa Tallaaq De Chuko Aur Un Ki Iddat Poori Ho Jaye Toh Unhain Ya Toh Husn-O-Salook Se Nikah Main Rehne Do , Ya Batareeq Shaista Rukhsat Kar Do, Aur Is Niyat Se Un Ko Nikaah Main Na Rehne Dena Chahiye, Ke Unhain Takleef Do, Aur Un Par Ziaadti Karo. Aur Joh Aisa Kare Ga Woh Apna Hi Nuqsaan Kare Ga Aur Allah Ke Ehkaam Ko Hansi Aur Khail Na Banao Aur Allah Ne Tum Ko Joh Naimatain Bakhsi Hain Aur Tum Par Joh Kitaab Aur Danaayee Ki Batain Nazil Ki Hain Jin Se Woh Tumhain Naseehat Farmata Hai Un Ko Yad Karo. Aur Allah Se Darte Raho Aur Jaan Rakho Ke Allah Har Cheez Se Waqif Hai.
232
Aur Jab Tum Aurtoun Ko Tallaq De Chuko Toh Un Ki Iddat Poori Ho Jaye, Toh Un Ko Doosre Shohroun Ke Sath Jab Woh Apas Main Jaaiz Toar Par Raazi Ho Jayain Nikaah Karne Se Mat Roko. Is Hukum Se Us Shakhs Ko Naseehat Ki Jati Hai Joh Tum Main Allah Aur Roz-E-Aakrat Par Yakeen Rakhta Hai. Yeh Tumhare Liye Nihayat Khoob Aur Bhot Pakeezgi Ki Baat Hai Aur Allah Jaanta Hai Aur Tum Nahi Jante.
233
Aur Maayen(Mothers) Apne Bachon Ko Poore Do Saal Doodh Pilaayain, Yeh Hukum Us Shakhs Ke Liye Hai Joh Poori Muddat Tak Doodh Pilwaana Chahe. Aur Doodh Pilaane Wali Maaoun Ka Khaana Aur Kapra Dastoor Ke Mutabiq Baap Ke Zimme Hoga.Kisi Shakhs Ko Us Ki Taaqat Se Ziada Takleef Nahi Di Jati . Toh Yaad Rakho Ke Na Toh Maan Ko Uske Bache Ke Sabab Nuqsan Pohonchaya Jay Aur Na Baap Ko Us Ki Aulaad Ki Waja Se Nuqsaan Pohnchaaya Jaye, Aur Isi Tarha Naan Nifqa Bache Ke Waaris Ke Zimme Hai. Aur Agar Dono Yaani Maan Bap Aapas Ki Raza Mandi Aur Salah Se Bache Ka Doodh Churana Chahain Toh Un Par Kuch Gunnah Nahi. Aur Agar Tum Apni Aulad Ko Doodh Pilwana Chaho Toh Tum Par Kuch Gunnah Nahi Basharat Ye Ke Tum Doodh Pilaane Waliyoun Ko Dastooor Ke Mutabiq Un Ka Haq Do Jo Tum Ne Dena Kia Tha De Do, Aur Allah Se Darte Raho Aur Jaan Rakho Ke Joh Kuch Tum Karte Ho Allah Us Ko Daikh
Raha Hai.
234
Aur Joh Loug Tum Main Se Mar Jaaye Aur Aurtain Chor Jaaye Toh Aurtain Chaar Maheene Aur Das Din Apne Aap Ko Roke Rakhain .Aur Jab Ye Iddat Poori Kar Chukain Aur Apne Haq Main Pasandeeda Kaam Yaani Nikka Kar Lain Toh Tum Par Kuch Gunnah Nahi . Aur Allah Tumhare Sab Kaamon Se Waaqif Hai.
235
Aur Agar Tum Kanaaye Ki Baton Main Aurtoun Ko Nikaah Ka Paigaam Bahijo Ya Nikaah Ki Khuahish Karo Apne Diloun Main Makhfi Rakho Toh Tum Par Kuch Gunnah Nahi. Allah Ko Maloom Hai Ke Tum Un Se Nikah Ka Zikar Karo Ge. Magar Aiyaam-E-Iddat Main Is Ke Siwa Ke Dastoor Ke Mutabiq Koi Bat Keh Do Poshida Toar Par Un Se Qoul-O-Qraar Na Karna. Aur Jab Tak Iddat Poori Na Ho Le Nikaah Ka Pukhta Iraada Na Karna. Aur Jaan Rakho Ke Joh Kuch Tumhare Diloun Main Hai Allah Ko Sab Maloom Hai Toh Us Se Darte Raho Aur Jaan Rakho Ke Allah Bakhashne Wala Aur Ilm Wala Hai.
236
Aur Agar Tum Aurton Ko Un Ke Paas Jaane Ya Un Ka Meher Muqarrat Karne Se Pehle Tallaq De Do To Tum Par Kuch Gunnah Nahi.Haan Un Ko Dastoor Ke Mutabiq Kuch Kharch Zaroor Do Yaani Maqdoor Wala Apne Maqdoor Ke Mutabiq De Aur Tangdast Apni Haisiyat Ke Mutabqi . Naik Lougon Par Ye Aik Tarha Ka Haq Hai.
237
Aur Agar Tum Aurton Ko Un Ke Paas Jaanse Se Pehle Tallaaq De Do Lekin Meher Muqaraar Kar Chuke Ho Toh Aadha Meher Dena Hoga. Haan Agar Aurtain Meher Bakhash Dain Ya Mard Jin Ke Hath Main Aqad Naikaah Hai Apna Haq Chor Dain.Aur Poora Meher De Dain Toh Un Ko Ikhtiyaar Hai, Aur Agar Tum Mard Loug Hi Apna Haq Chor Do Toh Yeh Parhaizgaari Ki Baat Hai. Aur Apas Main Bhalai Karne Ko Faramosh Na Karna. Kuch Shak Nahi Ke Allah Tumhare Sab Kamoun Ko Daikh Raha Hai.
238
Musalmano! Sab Namazain Khasoosan Beech Ki Namaaz Yaani Namaaz-E-Asar Poore Iltizaam Ke Sath Ada Karte Raho.Aur Allah Ke Aage Adab Se Khare Raaha Karo.
239
Agar Tum Khof Ki Halat Main Ho Toh Piyaade Ya Sawaar Jis Haal Mai Ho Namaaz Parh Lo Phir Jab Aman-O-Itminaan Ho Jaye Toh Jis Tareeq Se Allah Ne Tum Ko Sikhaya Hai, Joh Tum Pehle Nahi Jaante The Allah Ko Yad Kia Karo.
240
Aur Joh Loug Tum Main Se Mar Jayain Aur Aurtain Chor Jayain Woh Apni Aurton Ke Haq Main Wasiyat Kar Jayain Ke Un Ko Aik Saal Tak Kharch Dia Jaye, Aur Ghar Se Na Nikali Jaye. Haan Agar Woh Khud Ghar Se Nikal Jayain Aur Apne Haq Main Pasandeeda Kaam Yani Nikaah Kar Lain Toh Tum Par Kuch Gunnah Nahi. Aur Allah Zabardast Hikmat Wala Hai.
241
Aur Mutaliqa Aurton Ko Bhi Dastoor Ke Mutabiq Naan-O-Nafqa Dena Chahiye Parhaizgaaron Par Yeh Bhi Haq Hai.
242
Isi Tarha Allah Apne Ehkaam Tumhare Liye Bayaan Farmata Hai Taa-Ake Tum Samjho.
243
Bhala Tum Ne Un Lougoun Ko Nahi Daikha Joh Shumaar Main Hazaaroun Hi The Aur Mout Ke Dar Se Apne Gharoun Se Nikal Bhaage The. Toh Allah Ne Un Ko Hukum Dia Ke Mar Jaow. Phir Un Ko Zinda Bhi Kar Dia. Kuch Shak Nahi Ke Allah Lougon Par Meherbaani Rakhta Hai. Lekin Aksar Loug Shukar Nahi Karte.
244
Aur Musalmano! Allah Ki Raah Main Jahaad Karo Aur Jaan Rakho Ke Allah Sab Kuch Sunta Aur Sab Kuch Jaanta Hai.
245
Koi Hai Ke Allah Ko Qarz-E-Hasna De Ke Woh Us Ke Badle Us Ko Ke Hisse Ziada De Ga. Aur Allah Hi Rozi Ko Tang Karta Aur Woh Hi Usse Kushaada Karta Hai. Aur Tum Us Ki Taraf Lout Kar Jaao Ge.
246
Bhala Tum Ne Bani Israeel Ki Aik Jamaat Ko Nahi Daikh Jis Ne Moosa Ke Baad Apne Paigambar Se Kaha Ke Ap Hamare Liye Aik Baadshah Muqarar Kar Dain Taake Ham Allah Ki Raah Main Jahaad Karain.Paighambar Ne Kaha Ke Agar Tum Ko Jahaad Ka Hukum Dia Jaye Toh Ajab Nahi, Ke Larne Se Pehle Tahi Karo. Woh Kehne Lage Ke Ham Rah-E-Allah Main Kion Na Larain Ge Jab Ke Ham Watan Se Khaarij Aur Baal Bachon Se Juda Kar Diye Gaye. Lekin Jab Un Ko Jahad Ka Hukum Dia Gaya Toh Chand Ashkhaas Ke Ilawa Sab Phir Gaye. Aur Allah Zaalimon Se Khoob Waqif Hai.
247
Aur Paigambar Ne Un Se Yeh Bhi Kaha Ke Allah Ne Tum Par Taloot Ko Badshah Muqarrar Farmaya Hai. Woh Bole Ke Use Ham Par Baadhaahi Ka Haq Kiyoon Kar Ho Sakta Hai Baadhaahi Ke Mustahiqq Toh Ham Hain Aur Us Ke Paas Toh Bohot Si Doslat Bhi Nahi. Paighambar Ne Kaha Ke Allah Ne Is Ko Tum Par Fazeelat Di Hai Aur Baadhahhi Ke Liye Muntakhib Farmaya Hai Us Ne Ise Ilm Bhi Bohot Bakhsha Hai Aur Tan-O-Tosh Bhi Bara Ata Kia Hia Aur Allah Ko Ikhtiyaar Hai Jisse Chahe Baadhsahi Bakhse.Woh Bara Kushaaish Wala Aur Dana Hai.
248
Aur Paighambar Ne Un Se Kaha Ke Un Ki Baadhsaahi Ki Nishani Yeh Hai Ke Tumhare Paas Aik Sandooq Aye Ga Jis Ko Farishte Uthaaye Hue Honge Us Main Tumahre Parwardigaar Ki Taraf Se Tassalli Bakhasne Wali Cheez Hogi Aur Kuch Aur Cheezain Bhi Hongi Joh Moosa Aur Haroon Chor Gaye The. Agar Tum Eemaan Rakhte Ho Toh Yeh Tumhare Liye Aik Bari Naishani Hai.
249
Garz Jab Taloot Fojain Le Kar Rawana Hua Toh Un Se Un Se Kaha Ke Allah Aik Neher Se Tumhari Aazmaaish Karne Wala Hai . Joh Shakhs Us Main Se Paani Pee Le Ga . Us Ki Nisbat Tassawur Kia Jaaye Ga Ke Woh Mera Nahi. Aur Joh Na Piye Ga Woh Samjha Jay Ga Ke Mera Hai. Haan Agar Koi Hath Se Chulloo Bhar Paani Pee Le Toh Khair. Jab Woh Loug Neher Par Pohonche Toh Chand Shakhson Ke Siwa Sab Ne Paani Pee Liya. Phir Jab Taloot Aur Momin Loug Us Ke Sath The Neher Ke Paar Ho Gaye Toh Kehne Lage Ke Aaj Ham Main Jaloot Aur Us Ke Lashkar Se Muqabla Karne Ki Taaqt Nahi. Joh Loug Yakeen Rakhte The Un Ko Allah Ke Ru Baru Hazir Hona Hai Woh Kehne Lage Ke Basa Auqaat Thori Si Jamaat Ne Allah Ke Hukum Se Bari Jamaat Par Fatah Hasil Ki Hai Aur Allah Ishtaqlaal Rakhne Waloun Ke Sath Hai.
250
Aur Jab Loug Jaloot Aur Us Ke Lakshkar Ke Muqaable Main Aaye Toh Allah Se Dua Ki Ke Ae Parwardigaar Ham Par Sabar Ke Dahaane Khol De Aur Hamain Larayee Main Sabit Qadam Rakh Aur Lashkar-E-Kuffaar Par Fatah Yaab Kar.
251
Toh Taloot Ki Fouj Ne Allah Ke Hukum Se Un Ko Hazeemat(Haar) Di.Aur Dawood Ne Jaloot Ko Qatal Kar Daala. Aur Allah Ne Us Ko Baadshahi Aur Daanayee Bakhshi Aur Joh Kuch Chaha Sikhaya. Aur Agar Allah Lougon Ko Aik Doosre Par Charhayee Aur Hamla Karne Se Na Hataata Rehta,Toh Mulk Tabah Ho Jata Lekin Allah Aalam Par Bara Mehebaan Hai.
252
Yeh Allah Ki Aayatain Hain Joh Ham Tum Ko Sachayee Ke Sath Parh Kar Sunaate Hain Aur Ae Muhammad S.A.W. Tum Bila Shuba Paighambaroun Main Se Ho.
253
Yeh Paighambar Joh Ham Waqtan Fawaqtan Bhaijte Rahe Hain.In Main Se Ham Ne Baaz Ko Baaz Par Fazeelat Di Hai. Baaz Aise Hain Jin Se Allah Ne Gukftugu Ki, Aur Baaz Ke Doosre Amoor Main Martabe Buland Kiye. Aur Eesaa Ibn-E-Maryam Ko Ham Ne Khuli Hui Nishaaniyaan Ataa Ki Aur Rooh-Ul-Quddoos Se Un Ko Madad Di. Aur Agar Allah Chahta Toh Un Se Pichle Loug Apne Paas Khuli Nishaniyan Aane Ke Baad Aapas Main Na Larte, Lekin Unhoun Ne Ikhtilaf Kia To Un Main Se Baaz Toh Eemaan Le Aye Aur Baaz Kaafir Hi Rahe. Aur Agar Allah Chahta Toh Yeh Loug Baham Jang-O-Qattal Na Karte. Lekin Allah Joh Chahta Hai Karta Hai.
254
Ae Eemaan Waalo Joh Maal Ham Ne Tum Ko Dia Hai Us Main Se Us Din Ke Aane Se Pehle Pehele Kharch Kar Lo, Jis Min Na Aamaal Ka Souda Ho Aur Na Dosti Aur Sifarish Ho Sake, Aur Kufur Karne Waale Loug Zaalim Hain.
255
Allah Woh Mabood Barhaq Hai Ke Us Ke Siwa Koi Ibaadat Ke Laaiq Nahi Zinda Hamaisha Rehne Wala, Ussse Na Oongh Ati Hai Na Neend, Joh Kuch Aasmaaono Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Usssi Ka Hai, Koun Hai Joh Us Ki Ijazat Ke Bagair Us Se Kisi Ke Sifaarish Kar Sake. Joh Kuch Lougon Ke Ru Baru Ho Raha Hai Aur Joh Kuch Un Ke Peeche Ho Chuka Hai Use Sab Maloom Hai Aur Woh Us Ki Maloomaat Main Se Kisi Cheez Par Dastaras Hasil Nahi Kar Sate Haan Jis Qadar Woh Chahta Hai Usi Qadar Maloom Kara Deta Hai. Us Ki Baadshahi Aur Ilm Asmaan Aur Zameen Sab Par Haavi Hai Aur Usse In Ki Hifazat Kuch Bhi Dushwaar Nahi Woh Bara Aali Rutba Aur Jaleel-Ul-Qadar Hai.
256
Deen-E-Islaam Main Zabardasti Nahi Hai..Hidayat Saaf Tor Par Zahir Aur Gumhari Se Alag Ho Chuki Hai Toh Joh Shahkhs Button Se Aitqaad Na Rakhe Aur Allah Par Eemaan Laye Us Ne Aisi Mazboot Rassi Hath Main Pakar Li Hai Joh Kabhi Tootne Wali Nahi Aur Allah Sab Kuch Sunnta Aur Sab Kuch Jaanta Hai.
257
Joh Loug Eemaan Laaye Hain Un Ka Dost Allah Hai, Ke Andhairon Se Nikaal Kar Roshni Main Le Jaata Hai Aur Joh Kafir Hain Un Ke Dost Shaitaan Hain Ke Un Ko Roshni Se Nikaal Kar Andhairon Main Le Jaata Hai, Yeh Hi Loug Ehl-E-Dozakh Hain Ke Us Main Hamesha Rahainge.
258
Bhala Tum Ne Us Shakhs Ko Nahi Daikha Joh Us Garoor Ke Sabab Se Ke Allah Ne Us Ko Saltanat Bakhshi Thi Jab Ibrahim Se Parwardigaar Ke Bare Main Jhagarne Laga . Jab Ibrhim Ne Kaha Mera Parwardigaar Toh Woh Hai Joh Jilata Hai Aur Maarta Hai. Woh Bola Ke Jila Aur Mar Tou Main Bhi Sakt Hoon.Ibraheem Ne Kaha Ke Allah Toh Sooraj Ko Mashriq Se Nikaalta Hai Aap Usse Magrib Se Nikaal Dejeiey . Yeh Sunn Kar Kafi Hairaan Reh Gaya Aur Allah Be Insaafon Ko Hidayat Nahi Dia Karta.
259
Ya Ussi Tarha Us Shakhs Ko Nahi Daikha Jisse Aik Gaaon Main, Joh Apni Chaton Par Gira Para Tha, Ittifaaq Guzar Hua . Toh Us Ne Kaha Ke Allah Is Ke Baashindoun Ko Marne Ke Bad Kiyon Kar Zinda Kare Ga. Toh Allah Ne Us Ki Rooh Qabz Kar Li Aur So Baras Tak Us Ko Murda Rakha. Phir Us Ko Jila Uthaya Aur Poocha Tum Kitna Aarsa Mare Rahe Ho Us Ne Jawab Dia Ke Aik Din Ya Iss Se Bhi Kam.Allah Ne Farmaya Nahi Balke So Baras Mare Rahe Ho.Aur Apne Khane Peene Ki Cheezon Ko Daikho Ke Itni Muddat Main Mutliq Sari Bussi Nahi Aur Apne Gadhe Ko Bhi Daikho Joh Mara Para Hai. Garz In Baatoun Se Yeh Hai Ke Ham Tum Ko Lougon Ke Liye Apni Qudrat Ki Nishani Banayain, Aur Haan Gadhe Ki Hadyioun Ko Daikho Ke Ham Un Ko Kiyon Kar Jore Dete Aur Un Par Kis Tarha Gosht Post Charha Dete Hain. Jab Yeh Waaqiyaat Us Ke Mushahide Main Aaye Toh Bol Utha Ke Main Yakqeen Karta Hoon Ke Allah Har Ceez Par Qaadir Hai.
260
Aur Jab Ibraheem Ne Allah Se Kaha Ke Ae Parwardigaar Mujhe Dikha Ke Tu Murdoun(Dead) Ko Kiyon Kar Zinda Kare Ga. Allah Ne Farmaya Kia Tum Ne Is Baat Ko Baawar Nai Kia. Unhon Ne Kaha Kion Nahi. Lekin Main Daikhna Isliye Chahta Hoon Ke Mera Dil Itminaan Kaamil Haasil Kar Le. Allah Ne Farmaya Ke Chaar Janwar Pakar Kar Apne Paas Manga Lo Aur Tukre Tukre Kara Do.Phir Un Ka Aik Tukra Har Aik Pahar Par Rakh Do Phir Un Ko Bulaao Toh Woh Tumhare Pas Dorte Chale Ayen Ge. Aur Jaan Rakho Ke Allah Ghaalib Aur Saahib-E-Hikmat Hai.
261
Joh Loug Apna Maal Allah Ki Raah Main Kharach Kate Hain, Un Ke Maal Ki Misaal Uss Daane Ki Si Hai Jis Se Saat Baalain Ugaain, Aur Har Aik Baal Main Sou Sou Daane Hon Aur Allah Jis Ke Maal Ko Chahta Hai Ziada Karta Hai . Aur Woh Bari Kushaaish Wala Aur Sab Kuch Jaan-Ne Wala Hai.
262
Joh Loug Apna Maal Allah Ke Raste Main Sarf Karte Hain Phir Us Ke Baad Na Us Kharch Ka Kisi Par Ehsaan Rakhte Hain, Aur Na Kisi Ko Takleef Dete Hian. Un Ka Sila Un Ke Parwardigaar Ke Paas Taiyaar Hai. Aur Qiamat Ke Roz Na Un Ko Kuch Khof Hoga Aur Na Ghamgeen Honge.
263
Jis Khairaat Dene Ke Baad Lene Wale Ko Eeza Di Jaye Us Se Toh Narm Baat Keh Deni Aur Us Ki Be Adbi Se Darguzar Karna Bhetar Hai Aur Allah Be Parwa Aur Burddbaar(Decent) Hai.
264
Momino! Apne Sadqaat-O-Khairat, Ehsaan Rakhne Aur Eeza Dene Se Us Shaks Ki Tarha Barbaad Na Kar Dena. Joh Lougon Ko Dikhawe Ke Liye Maal Kharach Karta Hai Aur Allah Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhta. Toh Us Ke Maal Ki Misaal Uss Chattaan Ki Si Hai Jis Par Thori Si Mitti Pari Ho Aur Us Par Zor Ka Meena (Rain) Baras Kar Usse Saaf Kar Dale. Usi Tarha Ye Riyakaar Loug Apne Aamaal Ka Kuch Bhi Sila Haasil Nahi Kar Sakenge. Aur Allah Aise Nashukroun Ko Hidayat Nahi Dia Karta.
265
Aur Joh Loug Allah Ki Khusnoodi Hasil Karne Ke Liye Khaloos-E-Niyat Se Apna Maal Kharch Karte Hain Un Ki Misaal Aik Baagh Ki Si Hai Joh Oonchi Jagha Par Waaqe Ho.Jab Us Par Meenh Pare Toh Dugna(Double) Phall Laye. Aur Agar Meenh Na Bhi Pare Toh Khair Phuaar(Little Rain) Hi Sahi Aur Allah Tumhare Kaamoun Ko Daikh Raha Hai.
266
Bhala Tum Main Koi Yeh Chahta Hai Ke Us Ka Khajooron Aur Angooroun Ka Baagh Ho Jis Main Nehrain(Lakes) Beh Rahi Houn Aur Us Main Us Ke Liye Har Qisam Ke Maiwe Mojood Houn Aur Usse Burhaapa Aa Pakre Aur Us Ke Nannhe Nanahe Bache Bhi Houn. Toh Nagahaan Us Baagh Par Aag Ka Bhara Hua Bagoola Chale Aur Woh Jal Kar Raakh Ka Dhair Ho Jaye. Is Tarha Allah Tum Se Apni Aayatain Khol Khol Kar Bayaan Farmaata Hai Ta-Aake Tum Socho Aur Samjho.
267
Momino! Joh Pakeeza Aur Umda Maal Tum Kamaate Ho Aur Joh Cheezain Ham Tumhare Liye Zameen Se Nikaalte Hain Un Main Se Raah-E-Allah Main Kharach Karo. Aur Buri Aur Napaak Cheezain Daine Ka Qasad Na Karna Ke Agar Woh Cheezain Tumhain Di Jayain, Toh Bajuz Is Ke, Ke Lete Waqt Aankhain Band Kar Lo, Un Ko Kabhi Na Lo.Aur Jaan Rakho Ke Allah Be Parwah Aur Qaabil-E-Sattaaish Hai.
268
Aur Daikhna Shaitaan Ka Kehna Na Maan-Na Woh Tumhain Tang Dasti Ka Khof Dilata Aur Be Hayaee Ke Kaam Karne Ko Keheta Hai . Aur Allah Tum Se Apni Bakhshish Aur Rehmat Ka Wada Karta Hai. Aur Allah Bari Kushaaish Wala Aur Sab Kuch Jannne Wala Hai.
269
Woh Jis Ko Chahta Hai Danaayee Bakhshta Hai Aur Jis Ko Danaayee Mili Be Shak Us Ko Bari Naimat Mili. Aur Nasihat Toh Woh Hi Loug Qabool Karte Haih Joh Aqalmand Hain.
270
Aur Tum Allah Ki Raah Main Jis Tarha Ka Kharch Karo Ya Koi Niaaz Maano Allah Us Ko Jaanta Hai Aur Zaalimoun Ka Koi Madagaar Nahi.
271
Agar Tum Khairaat Zahir Do Toh Woh Bhi Khoob Hai Aur Agar Poshida Do,Aur Do Bhi Ehl-E-Hajat Ko Toh Woh Khoob Tar Hai Aur Is Tarha Ka Daina Tumhare Gunaahoun Ko Bhi Door Kar Dega. Aur Allah Ko Tumhare Sab Kamoun Ki Khabar Hai.
272
Ae Mumhammad S.A.W. Tum Un Lougon Ki Hidayat Ke Zimme Daar Nahi Ho, Balke Allah Hi Jis Ko Chahta Hai Hidayat Bakhashta Hai. Aur Momino Tum Joh Maal Kharch Karo Ge, Toh Us Ka Faaida Tumheen Ko Hai Aur Tum Joh Kharch Karo Ge Allah Ki Khushnoodi Ke Liye Karo Ge. Aur Joh Maal Tum Kharch Karo Ge Woh Tumhain Poora Poora De Dia Jaye Ga Aur Tumhara Kuch Nauqsan Nahi Kia Jaye Ga.
273
Aur Haan Tum Joh Kharch Karo Ge Toh Un Haajat Mandoun Ke Liye Joh Allah Ki Raah Main Ruke Baithe Hain Aur Mulk Main Kisi Taraf Jaane Ki Taaqat Nahi Rakhte Aur Maangne Se Aar Rakhte Hain, Yahan Tak Ke Na Maangne Ki Wajha Se Na Waaqif Shakhs Un Ko Ghani Khayal Karta Hai Aur Tum Qayaafe Se Un Ko Saaf Pehchaan Lo Ke Hajat Mand Hai Aur Sharam Ke Sabab Lougon Se Moonh Phor Kar Aur Lipat Kar Nahi Maang Sakte Aur Tum Joh Maal Kharch Karo Ge Kuch Shak Nahi Ke Allah Us Ko Jaanta Hai.
274
Joh Loug Apna Maal Raat Aur Din Aur Poshida Aur Zaahir Raah-E-Allah Main Kharch Karte Rehte Hain Un Ka Sila Parwardigaar Ke Paas Hai Aur Un Ko Qiamat Ke Din Na Kisi Tarha Ka Khof Hoga Aur Na Gham.
275
Joh Loug Sood Khaate Hain Woh Qabroun Se Is Tarha Hawaas Baakhta Uthain Ge Jaise Kisi Ko Jin Ne Lipat Kar Deewana Bana Dia Ho, Ye Is Liye Ke Woh Kehte Hain Ke Soda Baichna Bhi Toh Nafa Lehaaz Se Waisa Hi Hai Jaise Sood(Interest) Lena Halaanke Soude Ko Allah Ne Halaal Kia Hai Aur Sood Ko Haraam. Toh Jis Shakhs Ke Paas Allah Ki Nasihat Pohonchi Aur Woh Sood Laine Se Baaz Aa Gaya Toh Joh Pehle Ho Chuka Woh Us Ka . Aur Qiamat Main Us Ka Maamla Allah Ke Supurd, Aur Joh Phir Lene Laga Toh Aise Loug Dozakhi Hain Ke Hamesha Dozakh Main Jalte Rahain Ge.
276
Allah Sood Ko Nabood Yaani Be Barkat Karta Aur Khairaat Ki Barkat Ko Barhaata Hai Aur Allah Kisi Na Shukre Gunnehgaar Ko Dost Nahi Rakhta.
277
Joh Loug Eemaan Laaye Aur Naik Amal Karte Aur Namaz Parhte Aur Zakaat Dete Rahe Un Ko Un Ke Kaamoun Ka Sila Allah Ke Haan Mile Ga Aur Qiamat Ke Din Un Ko Na Kuch Khof Hoga Aur Na Woh Ghamnaak Honge.
278
Momino!Allah Se Daro Aur Agar Eemaan Rakhte Ho Toh Jitna Sood Baaqi Reh Gaya Hai Us Ko Chor Do.
279
Agar Aisa Na Karo Ge Toh Khabardaar Ho Jaaow Ke Tum Allah Aur Rasool Se Jung Karne Ke Liye Taiyaar Hote Ho, Aur Agar Touba Kar Lo Ge Aur Sood Chor Do Ge Toh Tum Ko Apni Asli Raqam Lene Ka Haq Hai, Jis Main Na Auroun Ka Nauqsaan Aur Na Tumhara Nuqsaan .
280
Aur Agar Qarz Lene Wala Tang Dast Ho Toh Use Kushaaish Ke Haasil Hone Tak Mohlat Do Aur Agar Zar-E-Qaraz(Qarz Ki Raqam) Bakhsh Do Toh Wo Tumhare Liye Ziada Acha Hai Bashart Yeh Ke Samjho.
281
Aur Us Din Se Daro Jab Ke Tum Allah Ke Huzoor Lout Kar Jaao Ge Aur Har Shaks Apne Aamaal Ka Poora Poora Badla Paaye Ga. Aur Kisi Ko Kuch Nuqsaan Na Hoga.
282
Momino! Jab Tum Apas Main Kisi Miyaad-E-Moyian (Fix Time) Ke Qraz Ka Moaamla Karne Lago Toh Us Ko Likh Liya Karo Aur Likhne Wala Tum Main Kisi Ka Nuqsan Na Kare Balke Insaaf Se Likhe, Neez Likhne Wala Jaisa Allah Ne Usse Sikhaaya Hai Likhne Se Inkaar Bhi Na Kare Aur Dastaweez Likh De. Aur Joh Shakhs Qraz Le Woh Hi Dastaaweez Ka Mazmoon Bol Kar Likhwaaye Aur Allah Se, Ke, Us Ka Malik Hai Khof Kare Aur Zar-E-Qaraz Main Se Kuch Kam Na Likhwaye. Aur Agar Qarz Lene Wala Be Aqal Ya Zaeef Ho Ya Mazmoon Likhwaane Ki Qaabliyat Na Rakhta Ho Toh Joh Us Ka Wali Ho Woh Insaaf Ke Sath Mazmoon Likhwaye. Aur Apne Main Se Do Mardoun Ko Aise Moaamle Ke Gawah Kar Liya Karo. Aur Agar Do Mard Na Houn Toh Aik Mard Aur Do Aurtain Jin Ko Tum Gawah Pasand Karo Kafi Hain Ke Agar Un Main Se Aik Bhool Jaye Gi Toh Doosri Usse Yaad Dila De Gi. Aur Jab Gawah Gawahi Ke Liye Talab Kiye Jayain Toh Inkar Na Karen. Aur Qarz Thora Ho Ya Bohot Us Ki Dastaweez Ke Likhne Likhaane Main Kaahili Na Karna.Yeh Baat Allah Ke Nazdeek Nihayat Qareen-E-Insaaf Hai Aur Shahadat Ke Liye Bhi Yeh Bohot Durust Tareeqa Hai. Iss Se Tumhain Kisi Tarha Ka Shak-O-Shuba Bhi Nahi Pare Ga. Haan Agar Soda Dast Badast Ho Joh Tum Apas Main Lete Dete Ho Toh Agar Aise Moaamlaat Ki Dastaweezaat Na Likho Toh Tum Par Kuch Gunnah Nahi. Aur Jab Khareed-O-Farokht Kia Karo Toh Bhi Gawah Kar Liya Karo. Aur Kaatib-E-Dastaweez Aur Gawah, Moaamla Karne Walon Ka Kisi Tarha Nuqsaan Na Karen.Agar Tum Loug Aisa Karo Toh Yeh Tumhare Liye Gunnah Ki Baat Hai. Aur Allah Se Daro Aur Daikho Ke Woh Tum Ko Kaisi Mufeed Batain Sikhata Hai Aur Allah Har Cheez Se Waaqif Hai.
283
Aur Agar Tum Safar Par Ho Aur Dastaweez Likhne Wala Mil Na Sake Toh Koi Cheez Rehen Ya Qabza Rakh Kar Qarz Le Lo Aur Agar Koi Kisi Ko Ameen Samajhe Yaani Rehen Ke Bagair Qarz De De, Toh Amaanat Daar Ko Chaahiye Ke Sahib-E-Amnat Ki Amanat Ada Kar De Aur Allah Se Joh Us Ka Parwardigaar Hai Dare. Aur Daikhna Shahadat Ko Mat Chupana . Joh Is Ko Chupaye Ga Woh Dil Ka Gunehgaar Hoga. Aur Allah Tumhare Sab Kamon Se Waaaqif Hai.
284
Joh Kuch Asmaanoun Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Allah Hi Ka Hai . Tum Apne Diloun Ki Baat Ko Zahir Karo Ge Toh, Aur Chupaaow Ge Toh Allah Tum Se Us Ka Hisaab Le Ga Phir Woh Jisse Chahe Maghfirat Kare Aur Jisse Chahe Azaab De Aur Allah Har Ceez Par Qaadir Hai.
285
Rasool Us Kitaab Par, Joh Un Ke Parwardigaar Ki Taraf Se, Un Par Naazil Hui, Eemaan Rakhte Hain Aur Momin Bhi Sab, Allah Par Aur Us Ke Farishtoun Par Aur Us Ki Kitaboun Par Aur Us Ke Paigambaroun Par Eemaan Rakhte Hain Aur Kehte Hain Ke Ham Us Ke Paigambaron Main Se Kisi Main Kuch Farq Nahi Karte Aur Woh Allah Se Arz Karte Hain Ke Ham Ne Tera Hukum Suna Aur Qabool Kia.Ae Parwardigaar Ham Teri Bakhshish Maangte Hain Aur Teri Hi Taraf Lout Kar Jana Hai.
286
Allah Kisi Shakhs Ko Us Ki Taaqat Se Ziada Takleef Nahi Deta. Ache Kaam Kare Ga Toh Us Ko Un Ka Faaida Mile Ga, Bure Kare Ga Toh Use Un Ka Nuqsaan Pohonche Ga. Ae Parwardigaar Agar Ham Se Bhool Ya Choook Ho Gai Ho Toh Ham Se Moaakhiza Na Kijiyo . Ae Parwardigaar Ham Par Aisa Bojh Na Daaliyo Jaisa Tu Ne Ham Se Pehle Lougon Par Dala Tha. Ae Parwardigaar Jitna Bojh Uthane Ki Ham Main Taqat Nahi Utna Hamare Sar Par Na Rakhiyo.Aur Ae Parwardigaar Hamare Gunaahoun Se Darguzar Kar Aur Hamain Bakhsh De. Aur Ham Par Rehem Farma. Tu Hi Hamara Malik Hai Aur Ham Ko Kaafiron Par Gaalib Kar.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!