Soorah-e-Hood
Soorah Number 11
Aayaat 123
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai
1
Alif Laam Raa Yeh Wo
Kitaab Hai Jis Ki Aayatain Mustehkam Hain Aur Khuda-E-Hakeem-O-Khabeer Ki Taraf
Se Ba Tafseel Bayan Kar Di Gai Hain.
2
Wo Yeh Ke Khuda Ke
Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo Aur Main Us Ki
Taraf Se Tum Ko Darr Sunaane Wala Aur Khushkhabri Dene Wala Hoon.
3
Aur Yeh Ke Apne
Parwardigaar Se Bakhshish Mango Aur Us Ke Aage Touba Karo, Wo Tum Ko Aik Waqt-E-Muqarrar
(Fix Time) Tak Mataa-E-Naik Se Behra Mand Kare Ga Aur Har Sahib-E-Buzurgi Ko Us
Ki Buzurgi Ki Daad De Ga.Aur Agar Ruu Gardaani Karo Ge Toh Mujhe Tumhare Bare
Main Qiamat Ke Bare Din Ke Azaab Ka Darr Hai.
4
Tum Sab Ko Khuda Ki
Taraf Lout Kar Jaana Hai Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.
5
Daikho Yeh Apne
Seenoun(Chest) Ko Dohra Karte Hain Taa-Ake Khuda Se Parda Karain.Sunn Rakho Jis
Waqt Yeh Kaproun(Cloths) Main Lipat Kar Parte Hain Tab Bhi, Wo Un Ki Chupi Aur Khuli
Batoun Ko Jaanta Hai. Wo Toh Diloun (Hearts)
Tak Ki Batoun Se Aagaah Hai.
6
Aur Zameen Par Koi
Chalne Phirne Wala Nahi Magar Us Ka Rizq Khuda Ke Zimme Hai, Wo Jahaan Rehta
Hai , Usse Bhi Janta Hai Aur Jahan Sounpa Jata Hai Usse Bhi . Yeh Sab Kuch
Kitaab-E-Roshan Main Likha Hua Hai.
7
Aur Wo Hi Toh Hai Jis
Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Che(6) Dinn Main Banaya Aur Us Waqt Us Ka Arsh
Paani Par Tha.Tumhare Paida Karne Se Maqsood Yeh Hai Ke Wo Tum Ko Aazmaaye, Ke
Tum Main Amal Ke Lehaaz Se Koun Behtar
Hai Aur Agar Tum Kaho Ke Tum Loug Marne Ke Baad Zinda Kar Ke Uthaye Jaao Ge Toh
Kaafir Keh Dain Ge, Ke Ye Toh Khula Jaadu Hai.
8
Aur Agar Aik Muddat-E-Moiyaan
(Fix Time) Tak Ham Un Se Azaab Rok Dain Toh Kahain GE Ke Koun Si Cheez Azaab
Roke Hue Hai.Daikho Jis Roz Wo Un Par Waqe Hoga Phir Tallne Ka Nahi, Aur Jis Cheez
Ke Sath Yeh Istehzaa Kia Karte Hain Wo
Un Ko Ghair Le Gi.
9
Aur Agar Ham Insaan Ko
Apne Paas Se Naimat Bakhshain Phir Us Se Us Ko Cheen Lain Toh Na Umeed Aur Na
Shukra Ho Jata Hai.
10
Aur Agar Takleef
Pohonchne Ke Baad Aasaaish Ka Mazah Chakhaayen, Toh Khush Ho Kar Kehta Hai Ke Aa-Ha Sab Sakhtiyan Mujh Se Door Ho Gayee. Be
Shak Wo Khushiyan Manaane Wala Aur Fakhar Karne Wala Hai.
11
Haan Jinhoun Ne Sabar
Kia Aur Amal-E-Naik Kiye. Yeh Hi Hain
Jin Ke Liye Bakhshish Aur Ajar-E-Azeem Hai.
12
Shayad Tum Kuch Cheez
Wahi Main Se Joh Tumhare Paas Aati Hai Chor Do, Aur Is Khayaal Se Tumhara Dil
Tang Ho Kar, Keh Kaafir Yeh Kehne Lagain
Ke Us Par Koi Khazana Kion Nahi Naazil Hua, Ya
Us Ke Sath Koi Farishta Kion Nahi Aaya. Ae Muhammad S.A.W. ! Tum Toh
Sirf Naseehat Karne Wale Ho. Aur Khuda Har Cheez Ka Nigehbaan Hai.
13
Ye Kia Kehte Hain Ke
Us Ne Quran Az Khud Bana Liya Hai? Keh Do Ke Agar Sachhe Ho Toh Tum Bhi Aisi
Das (10) Soortain Bana Laao Aur Khuda Ke Siwa Jis Ko Bula Sakte Ho ,Bula Bhi
Lo.
14
Aur Agar Wo Tumhari
Baat Qabool Na Karain Toh Jaan Lo Ke Wo Khuda Ke Ilm Se Utra Hai, Aur Yeh Ke Us
Ke Siwa Koi Maabood Nahi Toh Tumhain Bhi Islam Le Aana Chahiye.
15
Joh Loug Dunia Ki
Zindagi Aur Us Ki Zaib-O-Zeenat Ke Taalib Houn Ham Un Ke Aamaal Ka Badla Unhain
Dunia Main Hi De Dete Hain Aur Us Main Un Ki
Haq Talfi Nahi Ki Jaati.
16
Yeh Wo Loug Hain Jin
Ke Liye Aakharat Main Aatish-E-Jahannum Ke Siwa Aur Kuch Nahi Aur Joh Amal
Unhoun Ne Dunia Main Kiye Sab Barbaad Aur Joh Kuch Wo Karte Rahe Sab Zaaya Hua.
17
Bhala Joh Loug Apne
Parwardigaar Ki Taraf Se Roshan Daleel Rakhte Houn Aur Un Ke Sath Aik Aasmaani
Gawah Bhi Us Ki Janib Se Hom Aur Us Se Pehle Moosa Ki Kitaab Ho Joh Paishwa Aur
Rehmat Hai, Toh Kia Wo Quraan Par Eemaan Nahi Layen Ge, Yeh Hi Loug Toh Us Par
Eemaan Late Hain, Aur Joh Koi Aur Firqoun Main Se Un Se Munkir Ho Toh Us Ka
Thikana Aag Hai. Toh Tum is Quraan Se Shak Main Na Hona. Yeh Tumhare
Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai Lekin Aksar Loug Eemaan Nahi Late.
18
Aur Us Se Barh Kar
Zaalim Koun Hoga Joh Khuda Par Jhoot Iftiraa Kare, Aise Loug Khuda Ke Saamne
Paish Kiye Jayen Ge Aur Gawah Kahain GE Ke Yehi Loug Hain Jinhoun Ne Apne
Parwardigaar Par Jhoot Bola Tha. Sunn
Rakho Ke Zalimoun Par Khuda Ki Laanat Hai.
19
Joh Khuda Ke Raste Se
Rokte Aur Us Main Kajji Chahte Hain Aur Wo Aakhrat Se Bhi Inkaar Karte Hain.
20
Yeh Loug Zameen Main
Kaheen Bhaag Kar Khuda Ko Hara Nahi Sakte, Aur Na Khuda Ke Siwa Koi Un Ka
Himaayati Hai. Ae Paigambar S.A.W. in Ko
Dugna Azaab Dia Jaye Ga, Kion Keh Yeh
Shiddat-E-Kufur Se Tumhari Baat Nahi Sunn Sakte The Aur Na Tum Ko Daikh
Sakte The.
21
Yehi Hain Jinhoun Ne
Apne Taiee (Themselves) Khasaare Main Daala Aur Joh Kuch Wo Iftiraa Kia Karte
The Un Se Jaata Raha.
22
Bila Shuba (No Doubt) Yeh
Loug Akhrat Main Sab Se Ziada Nuqsaan Paane Wale Hain.
23
Joh Loug Eemaan Laaye
Aur Amal-E-Naik Kiye Apne Parwardigaar Ke
Aage Aajzi Ki. Yeh Hi Sahib-E-Jannat Hain Hamesha Us Main Rahain Ge.
24
Dono Firqoun Yaani
Kaafir-O-Momin Ki Misaal Aisi Hai Jaise Aik Andha Behra Ho Aur Aik Daikhta
Sunta . Bhala Dono Ka Haal Yaksaan Ho Sakta Hai? Phir Tum Sochte Kion Nahi ?
25
Aur Ham Ne Nooh Ko Un
Ki Qoum Ki Taraf Bhaija Toh Unhoun Ne Un Se Kaha, Ke Main Tum Ko Khol Khol Kar
Darr Sunaane Aur Yeh Paigaam Pohonchane Aaya Hoon.
26
Ke Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo. Mujhe Tumhari Nisbat
Azaab-E-Aleem Ka Khof Hai.
27
Toh Un Ki Qoum Ke
Sardar Joh Kaafir The Kehne Lage, Keh Ham Tum Ko Apne Hi Jaisa Aik Aadmi
Daikhte Hain, Aur Ye Bhi Daikhte Hain Ke Tumhare Pairo Wo Hi Loug Hue Hain, Joh
Ham Main Adna Darje Ke Hain. Aur Wo Bhi
Raay-E-Zahir Se, Na ghOur-O-Taamull Se Aur Ham Tum Main Apne Oopar Kisi Tarha
Ki Fazeelat Nahi Daikhte Balke Tumhain Jhoota KhayaL karte Hain.
28
Unhoun Ne Kaha Keh Ae
Qoum ! Daikho Toh Agar Main Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Daleel-E-Roshan
Rakhta Hoon, Aur Us Ne Mujeh Apne Haan Se Rehmat Bakhshi Ho, Jis Ki Haqeeqat
Tum Se Poshida Rakhi Gai Hai. Toh Kia Ham Us Ke Liye Tumhain Majboor Kar Sakte
Hain Aur Tum Ho Ke Us Se Na Khush Ho Rahe Ho.
29
Aur Ae Qoum ! Main is
Naseehat Ke Badle Tum Se Maal-O-Zarr Ka Khuahaan Nahi Hoon, Mera Sila Toh Khuda
Ke Zimme Hai, Aur Joh Loug Eemaan Laaye Hain ,Main Un io Nikaalne Wala Bhi Nahi
Hoon.Wo Toh Apne Parwardigaar Se Milne Wale Hain Lekin Main Daikta Hoon Ke Tum
Loug Nadaani Kar Rahe Ho.
30
Aur Baradraan-E-Millat
! Agar Main Un Ko Nikaal Doon Toh Azaab-E-Khuda Se Bachaane Ke Liye Koun Meri
Madad Kar Sakta Hai. Bhala Tum Ghour Kion Nahi Karte?
31
Main Na Tum Se Yeh
Kehta Hoon Ke Mere Paas Khuda Ke Khazaane Hain, Aur Na Ye Ke, Main Ghaib Jaanta
Hoon Aur Na Ye Kehta Hoon Ke Main
Farishta Hoon, Aur Na Un Lougon Ki Nisbat Jin Ko Tum Haqarat Ki Nazar Se
Daikhte Ho Yeh Kehta Hoon Ke Khuda Un Ko Bhali Yaani Amaal Ki Jazaye-E-Naik
Nahi Dega, Joh Un Ke Diloun Main Hai Usse Khuda Khoob Jaanta Hai. Agar Main
Aisa Kahoon Toh Be Insaafoun Main Hoon.
32
Unhoun Ne Kaha Ke nOoh
Tum Ne Ham Se Jhagra Toh Kia Aur Jhagra Bhi Bohot Kia. Lekin Agar Sache Ho Toh
Jis Cheez Se Hamain Daraate Ho Wo Ham Par La Nazil Karo.
33
Nooh Ne Kaha Ke Us Ko
Khuda Hi Chaahe Ga tOh Nazil Kare Ga. Aur Tum Us Ko Kisi Tarha Hara Nahi Sakte.
34
Aur Agar Main Yeh
Chahoon Ke Tumhari Khair Khuahi Karoon Aur Khuda Yeh Chahahe Ke Tumhain Gumraah
Kare, Toh Meri Khair Khuahi Tum Ko Kuch Faaida Nahi De Sakti. Wohi Tumhara Parwardigaar
Hai Aur Tumhain Usi Ki Taraf Lout Kar Jaana Hai.
35
Kia Yeh Kehte Hain Ke
is Paigambar Ne Quraan Apne Dil Se Bana Liya Hai. Keh Do Ke Agar Main Ne Dil Se
Bana Liya Hai Toh Mere Gunnahah Ka Wabaal Mujh Par Aur Joh Gunnah Tum Karte Ho
Uss Se Main Bari-Uz-Zimma Hoon.
36
Aur Nooh Ki Taraf Wahi
Ki Gai Ke Tumhari Qoum Main Joh Loug Eemaan La Chuke, (La Chuke),Un Ke Siwa Aur
Koi Eemaan Nahi Laye Ga tOh Joh Kaam Yeh Kar Rahe Hain Un Ki Waja Se Gham Na
Khaao.
37
Aur Aik Kashti Hamare
Hukum Se Hamare Ru Baru Banao. Aur Joh Loug Zalim Hain Un Ke Bare Main Ham Se
Kuch Na Kehna Kion Ke Wo Zaroor Gharaq Kar Diye Jayen Ge.
38
Toh Nooh Ne Kashti
Banana Shroo Kar Di. Aur Jab Un Ki Qoum Ke Sardaar Un Ke Paas Se Guzarte Toh Un
Se Tamaskhurr Karte. Wo Kehte Ke Agar Tum Ham Se Tamaskhur (Mazak-Fun) Karte Ho
Toh Jis Tarha Tum Ham Se Tamaskhuur Karte Ho isi Tarha Aik Waqt Ham Bhi Tum Se
Tamaskhar Karen Ge.
39
Aur Tum Ko Jald Maloom
Ho Jaye Ga Ke Kis Par Azaab Aata Hai Joh Usse Ruswa Kare Ga Aur Kis Par Hamesha
Ka Azaab Nazil Hota Hai.
40
Yahan Tak Ke Jab
Hamara Hukum Aa Pohoncha Aur Tanoor Josh Maarne Laga Toh Ham Ne Nooh Ko Hukum
Dia, Ke Har Qisam Ke Jaandaaroun Main Se, Jora Jora, Yaani Do Do Janwar. Aik
Aik Nar Aur Aik Aik Maada Le Lo, Aur Jis Shakhs Ki Nisbat Hukum Ho Chukka Hai
Ke Hlaak Ho Jaye Ga Us Ko Chor Kar Apne Ghar Waaloun Ko, aur Joh Eemaan Laaya
Ho Us Ko Kashti Main Sawaar Kar Lo Aur Un Ke Sath Eemaan Bohot Hi Kam Loug Laay
The.
41
Hoon Ne Kaha Ke Khuda
Ka Naam Le Kar Ke Ussi Ke Hath Main is Ka Chalna Aur Teherna Hai is Main Sawar
Ho Jao .Be Shak Mera Parwardigaar Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
42
Aur Wo Un Ko Le Kar
Toofaan Ki Lehroun Main Chalne Lagi. Lehrain Kia Theen Goya Pahaar The, Us Waqt
Nooh Ne Apne Bete Ko, Ke Kashti Se Alag Tha Pukara Ke Beta Hamare Sath Sawar Ho
Ja Aur Kaafiroun Main Shamil Na Ho.
43
Us Ne Kaha Ke Main
Abhi Pahaar Se Ja Lagoon Ga, Wo Mujhe Paani Se Bacha Le Ga. Unhoun Ne Kaha Ke
Aaj Khuda Ke Azaab Se Koi Bachane Wala Nahi, Aur Na Koi Bach Sakta Hai Magar Us Par Khuda Rehem Kare. Itne Main Dono
Ke Darmayan Leher Aa Hail Hui Aur Wo Doob Kar Reh Gaya.
44
Aur Hukum Dia Gaya Ke Ae
Zameen Apna Paani Nigal Ja Aur Ae Aasmaan Tham Ja. Toh Paani Khushk Ho Gaya Aur
Kaam Tamaam Kar Dia Gaya Aur Kashti Koh-E-Joodi Par Ja Tehri. Aur Keh Dia Gaya
Ke Be Insaaf Lougon Pe Laanat.
45
Aur Nooh Ne Apne
Parwardigaar Ko Pukara Aur Kaha Ke
Parwardigaar Mere Beta Bhi Mere Ghar Waloun Main Hai, Toh Us Ko Bhi Nijaat De,
Tera Waada Sacha Hai Aur Tu Sab Se Behtar Haakim Hai.
46
Khuda Ne Farmaya Ke Nooh
Wo Tere Ghar Waloun Main Nahi Hai Wo Toh Na Shaaista Afaal Hai, Toh Jis Cheez
Ki Tum Ko Haqeeqat Maloom Nahi Us Ke Baare Main Mujh Se Sawal Hi Na Karo. Aur
Main Tum Ko Naseehat Karta Hoon Ke Nadaan Na Bano.
47
Nooh Ne Kaha
Parwardigaar Main Tujh Se Panaah Mangta Hoon Ke Aisi Cheez Ka Tujh Se Sawal
Karoon Jis Ki Haqeeqat Mujhe Malom Nahi. Aur Agar Tu Mujhe Nahi Bakhshe Ga Aur
Mujh Par Rehem Nahi Kare Ga Toh Main
Tabaah Ho Jaoonga.
48
Hukum Hua Ke Nooh Hamari
Taraf Se Slamti Aur Barkatoun Ke Sath Joh Tum Par Aur Tumhare Sath Ki Jamaatoun
Par Nazil Ki Gai Hain Utar Aao. Aur Kuch Aur Jamaatain Houngi Jin Ko Ham Dunia
Ke Fawaaid Se Mehzooz Karen Ge, Phir Un Ko Hamari Taraf Se Azaab-E-Aleem
Pohonche Ga.
49
Yeh Halaat Minjumla
Gaib Ki Khabroun (News) Ke Hain Joh Ham Tumhari Taraf Bhaijte Hain. Aur Us Se
Pehle Na Tum Hi Un Ko Jaante The Aur Na Tumhari Qoum Hi Un Se Waqif Thi, Toh
Sabar Karo Ke Anjaam Parhaizgaaroun Hi
Ka Bhala Hai.
50
Aur Ham Ne Aad Ki
Taraf Un Ke Bhai Hood Ko Bhaija Unhoun Ne Kaha Ke Meri Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat
Karo, Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi.Tum Shirk Kar Ke Khuda Par Mehez
Bohtaan Baandhte Ho.
51
Meri Qoum ! Main Is
Waaz-O-Naseehat Ka Tum Se Kuch Sila Nahi Mangta.Mera Sila Toh Us Ke Zimme Hai
Jis Ne Mujhe Paida Kia. Bhala Tum Samajhte Kion Nahi?
52
Aur Ae Qoum! Apne
Parwardigaar Se Bakhshish Mango Phir Us Ke Aage Touba Karo. Wo Tum Par Asmaan Se
Moosladhaar Meenh (Rain) Barsaaye Ga, Aur Tumhari Taqat Par Taaqat Barhaaye Ga
Aur Daikho Gunnehgaar Ban Kar Ru Gardaani Na Karo.
53
Wo Bole Hood Tum
Hamare Paas Koi Daleel Zahir Nahi Laye Aur Ham Sirf Tumhare Kehne Se Na Apne
Maaboodoun Ko Chorne Wale Hain, Aur Na Tum Par Eemaan Lane Wale Hain.
54
Ham Toh Ye Samajhte
Hain Ke Hamare Kisi Maabood Ne, Tumhain Aasaib Pohoncha Kar Deewana Kar Dia Hai.
Unhoun Ne Kaha Ke Main Khuda Ko Gawaah Karta Hoon Aur Tum Bhi Gawaah Raho Ke
Jin Ko Tum Khuda Ka Shareek Banate Ho Main Un Se Baizaar Hoon.
55
Yaani Jin Ki Khuda Ke
Siwa Ibadat Karte Ho, Toh Tum Sab Mil Kar Mere Bare Main Joh Tadbeer Karni
Chaho, Kar Lo, Aur Mujhe Mohlat Na Do.
56
Main Khuda Par Joh
Mera Aur Tumhara Sab Ka Parwardigaar Hai Bharosa Rakhta Hoon, Zameen Par Joh
Chalne Phirne Wala Hai Wo Is Ko Choti Se Pakre Hue Hai. Be Shak Mera
Parwardigaar Seedhe Raste Par Hai.
57
Agar Tum Ru Gardaani
Karo Ge, Toh Joh Paigaam Mere Hath Tumahri Taraf Bhahija Gaya Hai, Wo Main Ne
Tumhain Pohoncha Dia Hai. Aur Mera Parwardigaar Tumhari Jaga Aur Lougon Ko La
Basaye Ga. Aur Tum Khuda Ka Kuch Bhi Nuqsaan Nahi Kar Sakte. Mera Parwardigar
Toh Har Cheez Par Nigehbaan Hai.
58
Aur Jab Hamara
Hukum-E-Azaab Aa Pohoncha Toh Ham Ne Hood Ko Aur Joh Log Un Ke Sath Eemaan Laye
The Un Ko Apni Meherbaani Se Bacha Liya. Aur Unhain Azaab-E-Shadeed Se Nijaat
Di.
59
Ye Wo Hi Aad Hain
Jinhoun Ne Khuda Ki Nishaniyon Se Inkaar Kia Aur Us Ke Paigambaroun Ki
Nafarmaani Ki Aur Har Sarkash-O-Mutakabbar Ka Kaha Maana.
60
Toh Is Dunia Main Bhi
Laaanat Un Ke Peeche Lagi Rahi Aur Qiamat Ke Din Bhi Lagi Rahe Gi. Daikho Aad
Ne Apne Parwardigaar Se Kufur Kia. Aur Sunn Rakho, Hood Ki Qoum Aad Par Phitkaar Hai.
61
Aur Samood Ki Taraf Un
Ke Bhai Sualeh Ko Bhaija, Toh Unhoun Ne Kaha Ke Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat Karo,
Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi. Ussi Ne Tum Ko Zameen Se Paida Kia Aur is
Main Aabaad Kia Toh Us Se Magfirat Mango Aur Us Ke Aage Touba Karo. Be Shak
Mera Parwardigaar Nazdeek Bhi Hai Aur Dua Ka Qabool Karne Wala Bhi Hai.
62
Unhoun Ne Kaha Ke
Sualeh is Se Pehle Ham Tum Se Kai Tarha Ki Umeedain Rakhte The, Ab Wo Munqataa
Ho gayee, Kia Tum Ham Ko Un Cheezoun Se Mana Karte Ho Jin Ko Hamare Buzurg
Poojte Aaye Hain? Aur Jis Baat Ki Taraf Tum Hamain Bulate Ho, Us Main Hamain
Qawi Shuba Hai.
63
Sualeh Ne Kaha Qoum! Bhala
Daikho Toh Agar Main Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Khuli Daleel Par Hoon, Aur
Us Ne Mujhe Apne Haan Se Naboowat Ki Naimat Bakhshi Ho, Toh Agar Main Khuda Ki
Nafarmani Karoon Toh Us Ke Samane Meri Koun Madad Kare Ga? Tum Toh, Kufur Ki
Batoun Se Mera Nuqsaan Karte Ho.
64
Aur Yeh Bhi Kaha Ke Ae
Qoum! Yeh Khuda Ki Oontni (Camal) Tumhare Liye Aik Nishaani Yaani Moujza Hai Toh
Is Ko Chor Do Ke Khuda Ki Zameen Main Jahan Chahe Chare, Aur Is Ko Kisi Tarha
Ki Takleef Na Dena Warna Tumhain Jald
Azaab Aa Pakre Ga.
65
Magar Unhoun Ne Is Ki
Koonchain Kaat Daali.Toh Sualeh Ne Kaha Ke Apne Gharoun Main Teen Din Aur
Faaide Utha Lo.Yeh Wada Hai Ke Jhoota Na Hoga.
66
Jab Hamara Hukum Aa
Gaya Toh Ham Ne Sualeh Ko Aur Jo Loug Un Ke Sath Emaan Laye The, Un Ko, Apni
Meherbaani Se Bacha Liya.Aur Us Din Ke Ruswaai Se Mehfooz Rakha.Be Shak Tumhara
Parwardigaar Taqatwar Aur Zabardast Hai.
67
Aur Jin Lougon Ne Zulm
Kia Tha Un Ko Chinghaar Ki Soorat Main Azaab Ne Aa Pakra To Wo Apne Gharoun
Main Oundhe Pare Reh Gaye.
68
Goya Kabhi Un Main
Base Hi Na The. Sunn Rakho Ke Samood Ne Apne Parwardigaar Se Kufur Kia. Aur Sun
Rakho Samood Par Phitkaar Hai.
69
Aur Hamare Farishte
Ibraahim Ke Paas Bisharat Le Kar Aaye, Toh Salam Kaha. Unhoun Ne Bhi Jawab Main
Salam Kaha. Abhi Kuch Waqfa Nahi Hua Tha Ke Ibrahim Aik Bhuna Hua Bachra Le
Aaye.
70
Jab Daikha Ke Un Ke
Hath Khaane Ki Taraf Nahi Jaate Yaani Wo Khana Nahi Khaate Toh Un Ko Ajnabi
Samajh Kar Dil Main Khof Kia. Farishtoun Ne Kaha Ke Khof Na Kijiye , Ham
Qoum-E-Loot Ki Taraf Un Ke Halak Karne Ko Bhaije Gaye Hain.
71
Aur Ibrahim Ki Biwi
Joh Paas Khari Thi, Hans Pari Toh Ham Ne Us Ko Ishaq Ki Aur Ishaq Ke Baad
Yaqoob Ki Khushkhabri Di.
72
Us Ne Kaha Ae Hai Mere
Bacha Hoga? Main Toh Burhiya Hoon Aur Yeh Mere Miyan Bhi Boorhe Hain. Ye Toh
Bari Ajeeb Baat Hai.
73
Unhoun Ne Kaha Kia Tum
Khuda Ki Qudrat Se Taajub Karti Ho? Ae Ehl-E-Bait Tum Par Khuda Ki Rehmat Aur
Us Ki Barkatain Hain. Wo Sazawaar-E-Taareef Aur Buzurgwaar Hai.
74
Jab Ibrahim A.S. Se
Khof Jaata Raha Aur Un Ko Khushkhabri
Bhi Mill Gai Toh Qoum-E-Loot Ke Bare Main Lage Ham Se Behes Karne.
75
Beshak Ibrahim
A.S.Bare Tahammul Wale, Naram Dil Aur Rujoo Karne Wale The.
76
Ae Ibrahim A.S. Is
Baat Ko Jaane Do.Tumhare Parwardigaar Ka Hukum Aa Pohoncha Hai.Aur Un Lougon
Par Azaab Aane Wala Hai Joh Kabhi Nahi Talne Ka.
77
Aur Jab Hamare
Farishte Loot A.S. Ke Paas Aaye Toh Wo Un Ke Aane Se Ghamnaak Aur Tang Dil Hue
Aur Kehne Lage Keh Aaj Ka Din Bari
Mushkil Ka Din Hai.
78
Aur Loot A.S. Ki Qoum
Ke Loug Un Ke Paas Be Tahaasha Dourte Hue Aye Aur Ye Loug Pehle Hi Se Fail-E-Shaneeh
Kia Karte The. Loot Ne Kaha Ke Ae Qoum! Yeh Joh Meri Qoum Ki Larkiyan Hain,Yeh
Tumhare Liye Jaaiz Aur Paak Hain. Toh Khuda Se Daro Aur Mere Mehmaanoun Ke Bare
Main Meri Aabru Na Kho. Kia Tum Main Koi Bhi Shaaista Aadmi Nahi.
79
Wo Bole Tum Ko Maloom
Hai Ke Tumhari Qoum Ki Baitiyoun Ki Hamain Kuch Haajat Nahi. Aur Joh Hamari
Garz Hai Usse Tum Khoob Jaante Ho.
80
Loot A.S. Ne Kaha Ae
Kaash Mujh Main Tumhare Muqaable Ki Taqat Hoti Ya Kisi Mazboot Qille Main
Panaah Pakar Sakta.
81
Farishtoun Ne Kaha Ke
Loot A.S. Ham Tumhare Parwardigaar Ke Farishte Hain. Yeh Loug Har Gizz Tum Tak Nahi
Pohonch Sakain Ge, Toh Kuch Raat Rahe Se
Apne Ghar Waloun Ko Le Kar Chal Do Aur Tum Main Se Koi Shakhs Peeche Phir Kar
Na Daikhe. Magar Tumahari Biwi, Ke Joh Aafat Un Par Parne Wali Hai Wo Hi Us Par
Pare Gi. Un Ke Azaab Ke waade Ka Waqt Subh Hai. Aur Kia Subh Kuch Door Hai?
82
Toh Jab Hamara Hukum
Aaya Ham Ne Us Basti Ko Ulat Kar Neeche Oopar Kar Dia Aur Un Par Pathar Ki Teh
Ba Teh Yaani Pae Dar Pae Kankriyan Barsaayeen.
83
Jin Par Tumhare
Parwardigaar Ke Haan Se Nishaan Kiye Hue The Aur Wo Basti Un Zaalimoun Se Kuch
Door Nahi.
84
Aur Madyan Ki Taraf Un
Ke Bhai Shoaib Ko Bhaija Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ae Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat Karo
Ke Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi.Aur Maap Aur Toul Main Kami Na Kia Karo.
Main Toh Tum Ko Aasooda Haal Daikhta Hoon Aur Agar Tum Eemaan Na Lao Ge, To
Mujhe Tumahre Bare Main Aik Aise Din Ke Azaab Ka Khof Hai Joh Tum Ko Ghair Kar
Rahe Ga.
85
Aur Qoum! Maap Aur
Toul Insaaf Ke Sath Poori Poori Kia Karo Aur Lougon Ko Un Ki Cheezain Kam Na
Dia Karo Aur Zameen Main Kharabi Karte Na Phiro.
86
Agar Tum Ko Mere Kehne
Ka Yaqeen Ho Toh Khuda Ka Dia Hua Nafa Hi Tumhare Liye Behtar Hai, Aur Main
Tumhara Nigehbaan Nahi Hoon.
87
Unhoun Ne Kaha Shoaib
Kia Tumhari Namaaz Tumhain Ye Sikhati Hai Ke Jin Ko Hamare Baap Dada Poojte
Aaye Hain, Ham Un Ko Tark Kar Dain Ya Apne Maal Main Tassrruf Karna Chahain Toh
Na Karain. Tum Toh Bare Narm Dil Aur Raast Baaz Ho.
88
Unhoun Ne Kaha Ke Ae Qoum!
Daikho Toh Agar Main Apne Parwardigaar Ki Taraf Se Daleel-E-Roshan Par Hoon Aur
Us Ne Apne Haan Se Mujhe Naik Rozi Di Ho, Toh Kia Main Un Ke Khilaaf Karoonga? Aur
Main Nahi Chahata Ke Jis Amar Se Main Tumahin Mana Karoon Khud Us Ko Karne
Lagoon. Main Toh Jahan Tak Mujh Se Ho Sake Tumahre Moaamlaat Ki Islaah Chahta Hoon,
Aur Is Bare Main Mujhe Toufeeq Ka Milna Khuda Hi Ke Fazal Se Hai. Main Usi Par
Bharosa Rakhta Hoon Aur Usi Ki Taraf Rujoo Karta Hoon.
89
Aur Ae Qoum! Meri
Mukhalfat Tum Se Koi Aisa Kaam Na Kara De Ke Jaisi Museebat Nooh Ki Qoum Ya
Hood Ki Qoum Ya Saaleh Ki Qoum Par Waaqe Hue Thi, Waisi Hi Museebat Tum Par
Waaqe Ho. Aur Loot Ki Qoum Ka Zamana Toh Tum Se Kuch Door Nahi.
90
Aur Apne Parwardigar
Se Bakhshish Mango Aur Us Ke Aage Touba Karo. Be Shak Mera Parwardigaar Rehem
Wala Aur Mohabbat Wala Hai.
91
Unhoun Ne Kaha Ke
Shoaib, Tumhari Bohot Si Batain Hamari Samajh Main Nahi Aati, Aur Ham Daikhte
Hain Ke Tum Ham Main Kamzor Bhi Ho, Aur Agar Tumhare Bhai Na Hote Toh Ham Tum
Ko Sangsaar Kar Dete, Aur Tum Ham Par Kisi Tarha Bhi Gaalib Nahi Ho.
92
Unhoun Ne Kaha Ke
Qoum! Kia Mere Bhai Bandoun Ka Dabaow Tum Par Khuda Se Ziada Hai. Aur Us Ko Tum
Ne Peeth Peeche Daal Rakha Hai. Mera Parwardigaar Toh Tumhare Sab Aamaal Par
Aahata Kiye Hue Hai.
93
Aur Biraadraan-E-Millat
! Tum Apni Jaga Kaam Kiye Jao Main Apni Jaga Kaam Kiye Jata Hoon. Tum Ko
Anqareeb Maloom Ho Jaye Ga Ke Ruswa Karne Wala Azzaab Kis Par Aata Hai Aur
Jhoota Koun Hai, Aur Tum Bhi Intizar Karo, Main Bhi Tumhare Sath Intizar Karta
Hoon.
94
Aur Jab Hamara Hukum
Aa Pohoncha Toh Ham Ne Shoaib Ko Aur Joh Loug Un Ke Sath Eemaan Laye The Un Ko
Toh Apni Rehmat Se Bahcha Liya. Aur Joh Zalim The Un Ko Chinghaar Ne Aa Dabocha
Toh Wo Apne Gharoun Main Ondhe Pare Reh Gaye.
95
Goya Un Main Kabhi
Base Hi Na The. Sun Rakho Ke Madyan Par Waisi Hi Phitkaar Hai Jaisi Samood Par
Phitkaar Thi.
96
Aur Ham Ne Moosa Ko
Apni Nishaniyan Aur Daleel-E-Roshan De Kar Bhaija.
97
Yaani Firown Aur Us Ke
Sardaroun Ki Taraf . Toh Wo Firown Hi Ke Hukum Par Chale. Aur Firown Ka Hukum
Durust Nahi Tha.
98
Wo Qiamat Ke Din Apni
Qoum Ke Aage Aage Chale Ga Aur Unko Dozakh Main Ja Utare Ga Aur Jis Maqaam Par
Wo Utare Jayen Ge Wo Bura Hai.
99
Aur Is Jahan Main Bhi
Laanat Un Ke Peeche Laga Di Gai, Aur Qiamat Ke Din Bhi Peeche Lagi Rahe Gi. Joh
Inaam Un Ko Mila Hai Bura Hai.
100
Yeh Purani Bastiyon Ke
Thore Se Halaat Hain, Joh Ham Tum Se Biyan Karte Hain. Un Main Se Baaz Toh Baqi
Hain, Aur Baaz Ka Tehes Nehes Ho Gaya.
101
Aur Ham Ne Un Lougon
Par Zulm Nahi Kaim Balke Unhoun Ne Khud Apne Oopar Zulm Kia. Garz Jab Tumahre
Parwardigaar Ka Hukum Aa Pohoncha Toh Jin Maaboodoun Ko Wo Khuda Ke Siwa Pukara
Karte The, Wo Un Ke Kuch Bhi Kaam Na Aaye. Aur Tabah Karne Ke Siwa Un Ke Haq
Main Aur Kuch Na Kar Sake.
102
Aur Tumhara
Parwardigar Jab Nafarmaan Bastiyoun Ko Pakra Karta Hai, To Un Ki Pakar Issi Tarha
Ki Hoti Hai. Be Shak Us Ki Pakar Dukh Dene Wali Aur Sakht Hai.
103
In Qissoun Main Us
Shakhs Ke Liye Azaab-E-Aakhrat Se Dare Ibbrat Hai. Ye Wo Din Hoga Jis Main Sab
Loug Ikhate Kiye Jayen Ge Aur Yeh Hi Wo Din Hoga Jis Main Sab Khuda Ke Ru Baru
Hazir Kiye Jayen Ge.
104
Aur Ham Us Ke Laane
Main Aik Waq-e- Moiyan Tak Taakheer (delayed) Kar Rahe Hain.
105
Jis Roz Wo Aa Jaye Ga Toh
Koi Mutnafis Khuda Ke Hukum Ke Baghair Bol Bhi Nahi Sake Ga. Phir Un Main Se
Kuch Badbakht Houn Ge Aur Kuch Naik
Bakht.
106
Toh Joh Badbakht Houn
Ge Wo Dozakh Main Daal Diye Jayen Ge Us Main Un Ka Chillana Aur Dhaarna Hoga.
107
Aur Jab Tak Aasmaan
Aur Zameen Hain Usi Main Rahian Ge, Magar
Jitna Tumhara Parwardigaar Chahe. Be Shak Tumhara Parwardigar Joh Chahta Hai
Kar Deta Hai.
108
Aur Joh Naik Bakht
Hounge, Wo Behshat Main Dakhil Kiye Jayen Ge Aur Jab Tak Aasmaan Aur Zameen
Hain Hamesha Ussi Main Rahian Ge Magar Jitna Tumhara Parwardigaar Chahe. Ye
Khuda Ki Bakhshish Hai, Jo Kabhi Munqitaa Nahi Hogi.
109
Toh Ye Loug Joh Gair-e-Khuda
Ki Parastish Karte Hain. Is Se Tum Khiljaan Main Na Parna .Ye Ussi Tarha
Parastish Karte Hain Jis Tarah Pehle Se Un Ke Baap Dada Parastish Karte Aye
Hain. Aur Ham In Ko in Ka Hisaa Poora Poora Bila Kam-O-Kast Dene Wale Hain.
110
Aur Ham Ne Moosa Ko
Kitaab Di Toh Us Main Ikhtilaaf Kia Gaya Aur Agar Tumahre Parwardigaar Ki Taraf
Se Aik Baat Pehle Na Ho Chuki Hoti Toh Un Main Faisla Kar Dia Jata.Aur Wo Toh
Us Se Qawi Shubbe Main Pare Hue Hain.
111
Aur Tumhara
Parwardigaar Un Sab Ko Qiamat Ke Din Un Ke Aamaal Ka Poora Poora Badle De Ga. Be
Shak Jo Amal Yeh Karte Hain Wo Us Se Waqif Hai.
112
So Ae Paigambar S.A.W.
Jaisa Tumko Hukum Hota Hai Us Par Tum Aur Joh Loug Tumahare Sath Taaib Hue Hain
Qaaim Raho. Aur Had Se Tajawuz Na Karna. Wo Tumhare Sab Aamaal Ko Daikh Raha
Hai.
113
Aur Joh Loug Zalim
Hain,Un Ki Taraf Maail Na Hona, Nahi Toh Tumhain Dozakh Ki Aag Aa Lipte Gi, Aur
Khuda Ke Siwa Tumhare Aur Dost Nahi Hain. Agar Tum Zalimoun Ki Taraf Maail Ho
Gaye Toh Phir Tum Ko Kahin Se Madad Na
Mil Sake Gi.
114
Aur Din Ke Donoun (Both)
Sirroun (Ends) Yaani Subha Aur Sham Ke Ooqaat Main Aur Raat Ki Chand (few)
Pehli Saa-Atoun Main Namaz Parha Karo. Kuch Shak Nahi Ke Naikyan Gunaahoun Ko
Door Kar Deti Hain. Yeh Un Ke Liye Naseehat Hai Joh Naseehat Qabool Karne Wale
Hain.
115
Aur Sabar Kiye Raho,
Ke Khuda Naiko Kaaroun Ka Ajar Zaaya Nahi Karta.
116
Toh Joh Ummatain Tum
Se Pehle Guzar Chuki Hain,Un Main Asie Hosh Mand Kion Na Hue Joh Mulk Main
Kharabi Karne Se Rokte, Haan Aise Thore Se The Jin Ko Ham Ne Un Main Se
Mukhlasi Bakhshi . Aur Joh Zalim The Wo Un Hi Batoun Ke Peeche Lage Rahe, Jin
Main Aish-O-Araam Tha, Aur Wo Gunaahoun
Main Doobe Hue The.
117
Aur Tumhara
Parwardigaar Aisa Nahi Hai Ke Bastiyon Ko Jab Ke Wahan Ke Bashinde Naiko Kaar
Houn Azraah-E-Zulm Tabah Kar De.
118
Aur Agar Tumhara
Parwardigaar Chahta Toh Tamaam Lougon Ko Aik Hi Jamaat Kar Deta, Lekin Wo
Hamesha Ikhtilaaf Karte Rahain Ge.
119
Magar Jin Par Tumhara
Parwardigaar Rehem Kare.Aur Isi Liye Us Ne in Ko Paida Kia Hai Aur Tumhare
Parwardigaar Ka Qoul Poora Ho Gaya Ke Main Dozakh Ko Jinoun Aur Insanoun Sab Se
Bhar Doonga.
120
Ae Muhammad S.A.W. Aur
Paigambaroun Ke Wo Sab Halat Joh Ham Tum Se Biyaan Karte Hain, Un Se Ham
Tumhare Dil Ko Qaaim Rakhte Hain. Aur Un Qassass Main Tumhare Pas Haq Pohonch
Gaya Aur Ye Mominoun Ke Liye Naseehat Aur Ibrat Hai.
121
Aur Jab Loug Eemaan
Nahi Laye Un Se Keh Do Ke Tum Apni Jaga Amal Kiye Jao.Ham Apni Jaga Amal Kiye
Jate Hain.
122
Aur Nateeja-E-Aamaal
Ka, Tum Bhi Intizar Karo Ham Bhi Intizar Karte Hain.
123
Aur Aasmaanoun Aur
Zameen Ki Chupi Cheezoun Ka Ilm Khuda Hi Ko Hai Aur Tamaam Amoor Ka Rujoo Usi
Ki Taraf Hai. To Usi Ki Ibadat Karo Aur Usi Par Bharosa rakho .Aur Joh Kuch Tum
Kar Rahe Ho Tumhara Parwardigaar Us Se Be Khabar Nahi.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!