Wednesday 4 May 2016

27-Soorah-an-Namal-Aayat-93




Sorrah-An-Namal
Aayaat 93

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Tuaa Seen. Ye Quraan Aur Kitaab-E-Roshan Ki Aayatain Hain.

2
Mominoun Ke Liye Hidayat Aur Basharat Hai.

3
Wo Joh Namaaz Parhte Aur Zakaat Dete Aur Aakhrat Ka Yaqeen Rakhte Hain.

4
Joh Loug Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte, Ham Ne Un Ke  Aamaal Un Ke Liye Aaraasta Kar Diye Hain Toh Wo Sar Gardaan Ho Rahe Hain.

5
Ye Hi Loug Hain Jin Ke Liye Bara Azqaab Hai Aur Wo Aakhrat Main Bhi Bohot Nuqsaan Uthaane Wale Hain.

6
Aur Tum Ko Quraan Khuda-E-Hakeem-O-Aleem Ki Taraf Se Ata Kia Jata Hai.

7
Jab Moosa A.S. Ne Apne Ghar Waloun Se Kaha Ke Main Ne Aag Diakhi Hai, Main Wahan Se Raaste Ka Pata Laata Hoon, Ya Sulagta Hua Angaara Tumhare Paas Laata Hoon Taa-Ake Tum Taapo.

8
Jab Moosa Un Ke Paas Aaye Toh Nida(Awaaz) Aayee Ke Wo Joh Aag Main Tajjalli Dikhata Hai, Ba Barkat Hai. Aur Wo Joh Aag Ke Irrd Gird Hain Aur Khuda Joh Tumaam Aalam Ka Parwardigaar Hai Paak Hai.

9
Ae Moosa Main Hi Khudaa-E-GKaalib-O-Dana Hoon.

10
Aur Apni Laathi Daal Do, Jab Usse Daikha Toh Is Tarha Hill Rahi Thi Goya Saamp Hai, Toh Peeth Phair Kar Bhaage Aur Peeche Murr Kar Na Daikha Hukum Hua Ke Moosa Daro Mat. Hamare Paas Paigambar Dara Nahi Karte.

11
Haan Jis Ne Zulm Kia, Phir Burai Ke Baad Usse Naiki Se Badal Dia, Toh Main Bakhashne Wala Meherbaan Hoon.

12
Aur Apna Haath Apne Girebaan Main Daalo Be Aib  Safaid Nikle Ga. Un Do Moujzoun Ke Sath Joh Nou(9) Mojzoun Main Dakhil Hain, Firown Aur Us Ki Qoum Ke Paas Jaao Ke Wo Badkirdaar Loug Hain.

13
Jab Un Ke Paas  Hamari Roshan Nishaaniyan Pohonchi ,Kehne Lage Ke Ye Sareeh Jaadu Hai.

14
Aur Be Insaafi Aur Gharoor Se Un Se Inkar Kia, Lekin Un Ke Dil Un Ko Maan Chuke The. So Daikh Lo Ke Fisaad Karne Waloun Ka Anjaam Kaisa Hua.

15
Aur Ham Ne Daawood A.S. Aur Sulaimaan A.S. Ko Ilm Bakhsha Aur Unhoun Ne Kaha Keh Khuda Ka Shukar Hai, Jis Ne Hamain Apne Bohot Se Momin Bandoun Par Fazeelat Di.

16
Aur Sulaimaan Daaowood Ke Qaaim Maqaaam Hue. Aur Kehne Lage Ke Lougo! Hamain Khuda Ki Taraf Se Janwaroun Ki Boli Sikhayee Gai Hai,  Aur Har Cheez Inayat Farmaayee Gai Hai. Be Shak Ye Us Ka Sareeh Fazal Hai.

17
Aur Sulaimaan A.S. Ke Liye Jinoun Aur Insaanoun Aur Parindoun Ke Lashkar Jama Kiye Gaye Aur Wo Qisam Waar Kiye Gaye The.

18
Yahan Tak Ke Jab Choontiyoun Ke Maidaan Main Pohonche, Toh Aik Choonti Ne Kaha Ke Choontiyoun Apne Apne Billoun Main Daakhil Ho Jaao, Aisa Na Ho Ke Sulaimaan A.S. Aur Us Ke Lashkar Tum Ko Kuchal Daalain, Aur Un Ko Khabar Bhi Na Ho.

19
Toh Wo Us Ki Baat Se Hans Pare Aur Kehne Lage Ke Ae Parwardigaar ! Mujhe Toufeeq Inayat Kar Ke Joh Ehsaan Tu Ne Mujh Par Aur Mere Maa Baap Par Kiye Hain Un Ka Shukar Karoon Aur Aise Naik Kaam Karoon Ke Tu Un Se Khush Ho Jaye Aur Mujhe Apni Rehmat Se Apne Naik Bandoun Main Daakhil Farma.

20
Aur Jab Unhoun Ne Janwaroun Ka Jaaiza Liya Toh Kehne Lage Kia Sabab Hai Ke Hudd Hudd Nazar Nahi Aata .Kia Kahin Gayab Ho Gaya Hai?

21
Main Usse Sakht Saza Doonga Ya Zibaah Kar Daaloon Ga Ya Mere Saamne Apni Be Qasoori Ki Daleel Sareeh Paish Kare.

22
Abhi Thori Hi Dair Hui Thi Ke Hudd Hudd Aa Majood Hua Aur Kehne Laga Ke Mujhe Aik Aisi Cheez Maloom Hui Hai Jis Ki Aap Ko Khabar Nahi Aur Main Aap Ke Paas Sheher-E-Saba Se Aik Yaqeeni Khabar Le Kar Aaya Hoon.

23
Main Ne Aik Aurat Daikhi Ke Un Lougon Par Baadshaahat Karti Hai Aur Har Cheez Usse Moyassar (Available) Hai Aur Us Ka Aik Bara Takht Hai.

24
Main Ne Daikha Ke Wo Aur Us Ki Qoum Khuda Ko Chor Kar Aaftaab(Sooraj) Ko Saajda Karte Hain Aur Shaitaan Ne Un Ke Aamaal Unhain Aaraasta Kar Dikhaye Hain Aur Un Ko Raste Se Rouk Rakha Hai Pas Wo Raaste Par Nahi Aate.

25
Aur Nahi Samajhte Ke Khuda Ko Joh Aasmaanoun Aur Zameen Main Chupi Cheezoun Ko Zaahir Kar Deta Aur Tumhare Posheeda Aur Zaahir Aamaal Ko Jaanta, Hai Kion Sajda Na Karain.

26
Khuda Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi Wo Hi Arsh-E-Azeem Ka Maalik Hai.

27
Sulaiman A.S. Ne Kaha Acha Ham Daikhen Ge, Tu Ne Saach Kaha Hai Ya Tu Jhoota Hai.

28
Ye Mera Khat Le Ja Aur Isse Un Ki Taraf Daal De Phir Un Ke Paas Se Phir Aa Aur Daikh Ke Wo Kia Jawab Dete Hain.

29
Malka Ne Kaha Ke Darbaar Walo ! Meri Taraf Aik Naam-E-Giraami Daala Gaya Hai.

30
Wo Sulaimaan A.S. Ki Taraf Se Hai Aur Mazmoon Ye Hai Ke Shroo Khuda Ka Naam Le Kar Joh Bara Meherbaan Nihayat Rehem Wala Hai.

31
Baad Is Ke Ye Ke Mujh Se Sarkashi Na Karo Aur Mutee-O-Manqaad Ho Kar Mere Paas Chale Aao.

32
Khat Sunn Kar Kehne Lagi Ke  Ae Ehl-E-Darbaar Mere Is Moaamle Main Mujhe Mashwara Do, Jab Tak Tum Hazir Na Ho Aur Salah Na Do Main Kisi Kaam Ko Faisal Karne Wali Nahi.

33
Wo Bole Ke Ham Bare  Zor Aawar Aur Sakht Jangjoo Hain Aur Hukum Aap Ke Ikhtiyaar Main Hai, Toh Joh Hukum Dijiye Ga Us Ke Maal Par Nazar Kar Lijiye Ga.

34
Us Ne Kaha Ke Baadshah Jab Kisi Sheher Main Daakhil Hote Hain Toh Us Ko Tabaah Kar Dete Hain Aur Wahan Ke Izzat Waloun Ko Zaleel Kar Diya Karte Hain Aur Issi Tarha Ye Bhi Karain Ge.

35
Aur Main In Ki Taraf Kuch Tohfa Bhaijti Hoon Aur Daikhti Hoon Ke Qaasid Kia Jawaab Laate Hain.

36
Jab Qaasid Sulaimaan A.S. Ke Paas Pohoncha Toh Sulaimaan A.S. Ne Kaha Kia Tum Mujhe Maal Se Madad Dena Chahte Ho, Joh Kuch Khuda Ne Mujhe Ata Farmaya Hai Wo Uss Se Behtar Hai Joh Tumhain Dia Hai Haqeeqat Ye Hai Ke Apne Tohfe Se Tum Hi Khush Hote Hoge.

37
Un Ke Paas Wapas Jaao Ham Un Par Aise Lashkar Le Kar Hamla Karainge Jis Ke Muqaable Ki Un Ko Taaqat Na Hogi Aur Un Ko Wahan Se Be Izzat Kar Ke Nikaal Dainge Aur Wo Zaleel Houge.

38
Sulaimaan Ne Kaha Ke Ae Darbaar Walo! Koi Tum Main Se Aisa Hai Ke Qabal Is Ke Keh Wo Loug Farmaabardaar Ho Kar Hamare Paas Aayen Malka Ka Takhat Mere Paas Le Aaye.

39
Jinnat Main Se Aik Qawi Haikal Jinn Ne Kaha Ke Qabal Is Ke Keh Ap Apni Jaga Se Uthain Main Is Ko Aap Ke Paas La Hazir Karta Hoon Aur Mujhe Is Par Qudrat Bhi Haasil Hai Aur Amanat Daar Bhi Hoon.

40
Aik Shakhs Jis Ko Kitaab-E-Ilaahi Ka Ilm Tha Kehne Laga Ke Main Aap Ki Aankh Ke Jhapakne Se Pehle Pehle Isse Ap Ke Paas Haazir Kiye Deta Hoon. Jab Sulaiman A.S. Ne Takhat Ko Apne Paas Rakha Hua Daikha Toh Kaha Ke Ye Mere Parwardigar Ka Fazal Hai, Taa-Ake Mujhe Aazmaaye Ke Main Shukar Karta Hoon Ya Kufraan-E-Naimat Karta Hoon Aur Joh Shukar Karta Hai, Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai Aur Joh Nashukri Karta Hai Toh Mera Parwardigar Be Parwa Aur Karam Karne Wala Hai.

41
Sulaimaan Ne Kaha Ke Malka Ke Imtihaan-E-Aqal Ke Liye Us Ke Takhat Ki Soorat Badal Do. Daikhain Ke Wo Soojh Boojh Rakhti Hai Ya Un Lougon Main Se Hai Joh Soojh Nahi Rakhte.

42
Jab Wo Aa Pohonchi Toh Poocha Gaya Keh Kia Aap Ka Takhat Bhi Issi Taraha Ka Hai? Us Ne Kaha Ke Ye Toh Goya Hu Bahu Wo Hi Hai Aur Ham Ko Is Se Pehle Hi Sulaimaan Ki Azmat-E-Shan Ka Ilm Ho Gaya Tha Aur Ham Farmanbardaar Hain.

43
Aur Wo Joh Khuda Ke Siwa Aur Ki Parastish Karti Thi, Sulaimaan Ne Us Ko Us Se Mana Kia Is  Se Pehle Toh Wo Kaafiroun Main Se Thi.

44
Phir Us Se Kaha Gaya Ke Mehel Main Chaliye, Jab Us Ne Us Ke Farsh Ko Daikha Toh Usse Paani Ka Houz Samjha Aur Kapra Utha Kar Apni Pindliyaan Khol Deen. Sulaimaan Ne Kaha, Ye Aisa Mehel Hai Jis Ke Neeche Bhi Sheeshe Jare Hue Hain. Wo Boul Uthi Ke Parwardigar Main Apne Aap Par Zulm Karti Rahi Thi Aur Ab Main Sulaimaan Ke Hath Par Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Par Eemaan Laati Hoon.

45
Aur Ham Ne Samood Ki Taraf Un Ke Bhai Saaleh A.S. Ko Bhaija Ke Khuda Ki Ibadat Karo Toh Wo Do Fareeq Ho Kar Aapas Main Jhagarne Lage.

46
Saaleh A.S. Ne Kaha Ke Ae Qoum Tum Bhalayee Se Pehle Buraaye Ke Liye Kion Jaldi Karte Ho Aur Khuda Se Bakhshish Kion Nahi Maangte Taa-Ake Tum Par Rehem Kia Jaaye.

47
Wo Kehne Lage Ke Tum Aur Tumhare Sathi Hamare Liye Shagoon-E-Badd Hain. Saaleh A.S. Ne Kaha Ke Tumhari Badshagooni  Khuda Ki Taraf Se Hai Balke Tum Aise Loug Ho Jin Ki Aazmaaish Ki Jati Hai.

48
Aur Sheher Main Nou (9)Shakhs The Joh Mulk Main Fisaad Kia Karte The Aur Islaah Se Kaam Nahi Lete The.

49
Kehne Lage Ke Khuda Ki Qasam Khao Ke Ham Raat Ko Us Par Aur Us Ke Ghar Waloun Par Shab-E-Khoon Maarain Ge Phir Us Ke Waaris Usse Keh Dainge Ke Ham Toh Us Ke Ghar Waaloun Ke Moqa-E-Halakat Par Gaye Hi Nahi Aur Ham Sach Kehte Hain.

50
Aur Wo Aik Chaal Chale Aur Ham Bhi Aik Chaal Chale Aur Un Ko Kuch Khabar Na Hui.

51
Toh Daikh Lo Ke Un Ki Chaal Ka Anjaam Kaisa Hua. Ham Ne Us Ko Aur Un Ki Qoum Sab Ko Halaak Kar Daala.

52
Ab Ye Un Ke Ghar Un Ke Zulm Ke Sabab Khaali Pare Hain. Joh Loug Daanish Rakhte Hain , Un Ke Liye Is Main Nishaani Hai.

53
Aur Joh Loug Eemaan Laaye Aur Darte The Un Ko Ham Ne Nijaat Di.

54
Aur Loot A.S. Ko Yaad Karo Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Be Hayayee Ke Kaam Kion Karte Ho Aur Tum Daikhte Ho.

55
Kia Tum Arutoun Ko Chor Kar Lazzat Hasil Karne Ke Liye Mardoun Ki Taraf Maail Hote Ho. Haqeeqat Ye Hai Ke Tum Ehmaq(Duffer) Loug Ho.

56
Toh Un Ke Qoum Ke Loug Bole, Toh Ye Bole, Aur Iske Siwa Un Ka Kuch Jawab Na Tha, Ke Loot A.S. Ke Ghar Waaloun Ko Apne Sheher Se Nikaal Do.Ye Loug Paak Bann-Na Chahte Hain.

57
Toh Ham Ne Unko Aur Un Ke Ghar Waloun Ko Nijaat Di. Magar Un Ki Biwi Ke Us Ki Nisbat Ham Ne Muqarrar Kar Rakha Tha Ke Wo Peeche Rehne Waloun Main Hogi.

58
Aur Ham Ne Us Pe Meenh Barsaaya So Joh Meenh Un Lougon Par Barsa Jin Ko Muttnabeh Kar Dia Gaya Tha, Bura Tha.

59
Keh Do Ke Sab Taareef Khuda Hi Ko Sazawaar Hai Aur Us Ke Bandoun Par Salam Hai Jin Ko Us Ne Muntakhib Farmaya. Bhala Khuda Behtar Hai Ya Wo Jin Ko Ye Us Ka Shareek Banate Hain.

60
Bhala Kis Ne Aasmaanoun Aur Zamen Ko Paida Kia Aur Kis Ne Tumhare Liye Aasmaan Se Paani Barsaaya. Ham Ne, Phir Ham Ne Us Se Sar Sabz Baagh Ugaaye. Tumhara Kaam Toh Na Tha Ke Tum Un Ke Darakhtoun Ko Ugaate .Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Bhi Maabood Hai? Har Gizz Nahi Balke Ye Loug Raste Se Alag Ho Rahe Hain.

61
Bhala Kis Ne Zameen Ko Qaraar Gaah Banaya Aur Is Ke Beech Nehrain Banayee Aur Is Ke Liye Pahaar Banaye Aur Kis Ne Do Daryaaoun Ke Beech Aut  Banayee Ye Sab Kuch Khuda Ne Banaya Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Bhi Hai? Har Gizz Nahi Balke Un Main Aksar Daanish Nahi Rakhte.

62
Bhala Koun Beqaraar Ki Iltija Qabool Karta Hai. Jab Wo Us Se Dua Karta Hai Aur Koun Us Ki Takleef Ko Door Karta Hai Aur Koun Tum Ko Zameen Main Agloun Ka Ja Nasheen Banata Hai, Ye Sab Kuch Khuda Karta Hai, Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Bhi Hai Har Gizz Nahi Magar Tum Bohot Kam Gour Karte Ho.

63
Bhala Koun Tum Ko Jungle Aur Darya Ke Andhairoun Main Raasta Batata Hai Aur Koun Hawaaoun Ko Apni Rehamt Ke Aage Khush Khabri Bana Kar Bhaijta, Hai Ye Sab Kuch Khuda Karta Hai Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Maabood Bhi Hai? Har Gizz Nahi .Ye Loug Joh Shirk Karte Hain Khuda Ki Shaan Us Se Bulaand Hai.

64
Bhala Koun Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta. Phir Us Ko Baar Baar Paida Karta Rehta Hai Aur Koun Tum Ko Aasmaan Aur Zameen Se Rizq Deta Hai Ye Sab Kuch Khuda Karta Hai, Toh Kia Khuda Ke Sath Koi Aur Mabood Bhi Hai Har Gizz Nahi, Keh Do Ke Mushriko Agar Tum Sache Ho Toh Daleel Paish Karo.

65
Keh Do Ke Joh Loug Aasmaanoun Aur Zameen Main Hain Khuda Ke Siwa Ghaib Ki Baatain Nahi Jaante. Aur Na Ye Jante Hain Ke Kab Zinda Kar Ke Uthaye Jayen Ge.

66
Balke Aakhrat Ke Baare Main Un Ka Ilm Muntahi Ho Chukka Hai, Balke Wo Is Se Shak Main Hain. Balke Is Se Andhe Ho Rahe Hain.

67
Aur Joh Loug Kaafir Hain Kehte Hain Ke Jab Ham Aur Hamare Baap Dada Matti Ho Jaayen Ge Toh Kia Ham Phir Qabroun Se Nikaale Jayen Ge.

68
Ye Waada Ham Se Aur Hamare Baap Dada Se Pehle Se Hota Chala Aaya Hai, Kahan Ka Uthna Aur Kaisi Qiamat Ye Toh Sirf Pehle Lougon Ki Kahaniyan Hain.

69
Keh Do Ke Mulk Main Chalo Phiro, Phir Daikho Keh Gunnehgaaroun Ka Anjaam Kia Hua?

70
Aur Un Ke Haal Par Gham Na Karna Aur Na Un Chaaloun Se Joh Ye Kar Rahe Hain Tang Dil Hona.

71
Aur Kehte Hain, Ke Agar Tum Sache Ho Toh Ye Waada Kab Poora Hoga.

72
Keh Do Ke Jis Azaab Ke Liye Tum Jaldi Kar Rahe Ho Shayad Us Main Se Kuch Tumhare Nazdeek Aa Pohoncha Ho.

73
Aur Tumhara Parawrdigar Toh Lougon Par Fazal Karne Wala Hai, Lekin Un Main Se Aksar Shukar Nahi Karte.

74
Aur Joh Baatain Un Ke Seenoun Main Posheeda Hoti Hain, Aur Joh Kaam Wo Zahir Karte Hain Tumhara Parwardigaar Un Sab Ko Jaanta Hai.

75
Aur Aasmaanoun Aur Zameen Main Koi Posheeda Cheez Nahi Hai, Magar Wo Kitaab-E-Roshan Main Likhi Hui Hai.

76
Be Shak Ye Quraan, Bani Israail Ke Saamne, Aksar Baatain Jin Main Wo Iktilaaf Karte Hain,Bayan Kar Deta Hai.

77
Aur Be Shak Ye Mominoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

78
Tumhara Parwardigaar Qiamat Ke Roz Un Main Apne Hukum Se Faisla Kar De Ga Aur Wo Gaalib Aur Ilm Wala Hai.

79
Toh Khuda Par Bharosa Rakho, Tum Toh Haq-E-Sareeh Par Ho.

80
Kuch Shak Nahi Ke Tum Murdoun(Dead) Ko Baat Nahi Suna Sakte Aur Na Behroun Ko, Jab Ke Wo Peeth Phair Kar Phir Jaayen Awaaz Suna Sakte Ho.

81
Aur Na Andhoun Ko Gumrahi Se Nikaal Kar Rasta Dikha  Sakte Ho. Tum Toh Un Hi Ko Suna Sakte Ho Joh Hamari Aayatoun Par Eemaan Laate Hain Aur Wo Farmanbardar Ho Jate Hain.

82
Aur Jab Un Ke Baare Main Azaab Ka Waada Poora Hoga, Toh Ham Un Ke Liye Zameen Main Se Aik Janwar Nikaalinge Joh Un Se Bayan Kar De Ga. Is Liye Ke Loug Hamari Aayatoun Par Eemaan Nahi Laate The.

83
Aur Jis Roz Ham Har Ummat Main Se Us Guroh Ko Jama Karain Ge, Joh Hamari Aayatoun Ki Takzeeb Karte The, Toh Un Ki Jamaat Bandi Ki Jaye Gi.

84
Yahan Tak Ke Jab Sab Aa Jayen Ge Toh Khuda Farmaaye Ga, Ke Kia Tum Ne Meri Aayatoaun Ko Jhutla Dia Tha Aur Tum Ne Apne Ilm Se Un Par Ahaata Toh Kia Hi Na Tha. Bhala Tum Kia Karte  The.

85
Aur Un Ke Zulm Ke Sabab, Un Ke Haq Main Waada-E-Azab Poora Ho Kar Rahe Ga, Toh Wo Boul Bhi Nahi Sakainge.

86
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Raat Ko Isliye Banaya Hai Ke Us Main Araam Karain Aur Din Ko Roshan Banaya Hai Ke Us Mai Kaam Karain Be Shak Is Main Momin Lougon Ke Liye Nishaaniyan Hain.

87
Aur Jis Roz Soor Phoonka Jaye Ga, Toh Joh Loug Aasmaanoun Aur Joh Loug Zameen Main Hain Sab Ghabra Uthain Ge, Magar Wo Jisse Khuda Chaahe Aur Sab Us Ke Paas Aajiz Ho Kar Chale Aayen Ge.

88
Aur Tum Paharoun Ko Daikhte Ho Toh Khayal Karte Ho Ke Apni Jaga Par Khare Hain, Magar Wo Us Roz Is Tarha Urre Phirainge, Jaise Baadal. Ye Khuda Ki Kaarigari Hai, Jis Ne Har Cheez Ko Mazboot Banaya. Be Shak Wo Tumhare Sab Afaal Se Ba Khabar Hai.

89
Joh Shakhs Naiki Le Kar Aaye Ga Toh Us Ke Liye Us Se Behtar Badla Taiyaar Hai, Aur Aise Loug Us Roz Ghabrahat Se Be Khof Hounge.

90
Aur Joh Burayee Le Kar Aaye Ga, Toh Aise Loug Oundhe Moonh Dozakh Main Daal Diye Jaaye Ge. Tum Ko Toh Us Hi Aamaal Ka Badla Mile Ga Joh Tum Karte Rahe Ho.

91
Keh Do Mujh Ko Ye Hi Irshaad Hua Hai Ke Is Sheher-E-Makkah Ke Maalik  Ki Ibadat Karoon, Jis Ne Is Ko Mohtaram Aur Maqaam-E-Adab Banaya Hai Aur Sab Cheez Ussi Ki Hai Aur Ye Bhi Hukum Hua Hai Ke Us Ka Hukum Bardaar Hoon.

92
Aur Ye Bhi Ke Quraan Parha Karoon. Toh Joh Shakhs Raah-E-Raast Ikhtiyaar Karta Hai, Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Ikhtiyaar Karta Hai. Aur Joh Gumraah Rehta Hai Toh Keh Do Ke Main Toh Sirf Naseehat Karne Wala Hoon.

93
Aur Kaho Ke Khuda Ka Shukar Hai .Wo Tum Ko Anqareef Apni Nishaniyan Dikhaye Ga, Toh Tum Un Ko Pehchaan Lo Ge. Aur Joh Kaam Tum Karte Ho Tumahra Parwaradigar Un Se Be Khabar Nahi Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!