Wednesday, 4 May 2016

13-Soorah-e-Raad-Aayaat-43



Soorah-E-Raad

Aayaat 43

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Wala Hai.

1
Alif Laam Meem Raa. Ae Muhammad S.A.W. Yeh Kitaab-E-Ilaahi Ki Aayatain Hain.Aur Joh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Tum Par Nazil Hua Hai, Haq Hai, Lekin Aksar Loug Eemaan Nahi Laate.

2
Khuda Wo Hi Toh Hai Jis Ne Satoonoun Ke Bagair Aasmaan Jaisa Ke, Tum Daikhte Ho Itne Oonche Banaye, Phir Arsh Par Jaa Tehra Aur Sooraj Aur Chand Ko Kaam Main Laga Dia. Har Aik, Aik  Miyaad-E-Moiyaan (Fix Time Period) Tak Gardish Kar Raha Hai. Wo Hi Dunia Ke Kaamoun Ka Intizaam Karta Hai Is Tarha Wo Apni Ayatain Khol Khol Kar Bayan Karta Hai, Ke Tum Apne Parwardigaar Ke Ru Baru Jane Ka Yaqeen Karo.

3
Aur Wo Wohi Hai Jis Ne Zameen Ko Phailaya Aur Is Main Pahaar  (Mountains) Aur Darya Paida Kiye Aur Har Tarha Ke Maiwoun (Dry Fruits/Fruits) Ki Do Do Qismain(Types) Banayee. Wo Hi Raat Ko Din Ka Libaas Pehnata Hai. Ghor Karne Waloun Ke Liye Is Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.



4
Aur Zameen Main Kai Tarha Ke Qataat Hain. Aik Doosre Se Mile Hue Aur Angoor Ke Bagh (Gardens) Aur Khaiti Aur Khajoor Ke Darakht. Baaz Ki Bohot Si Shaakhain  Hain Aur Baaz Ki Itni Nahi Hotee, Bawajood Ye Ke Paani Sab Ko Aik Hi Milta Hai.Aur Ham Baaz Maiwoun Ko Baaz Par Lazzat Main Fazeelat Dete Hain. Aur Is Main Samajhne Waloun Ke Liye Bohot Si Nishaniyan Hain.

5
Agar Tum Ajeeb Baat Sunn-Ni Chaho Toh Kafiroun Ka Yeh Kehna Ajeeb Hai Ke Jab Ham Mar Kar Matti Ho Jayen Ge Toh Kia Az Sar-E-Nou Paida Hounge? Ye Hi Loug Hain Joh Apne Parwardigar Se Munnkir (Inkaar) Hue Hain. Aur Ye Hi Hain Jin Ki Gardanoun Main Touq Houn Ge Aur Ye Hi Ehl-E-Dozakh Hain Ke Hamesha Us Main Jalte Rahain Ge.

6
Aur Yeh Loug Bhalai Se Pehle Tum Se Buraai Ke Jald Khuastgaar Yaani Taalib-E-Azaab Hain, Halaanke Un Se Pehle Azaab Waqe Ho Chuke Hain, Aur Tumhara Parwardigaar Lougon Ko Bawajood Un Ki Be Insaafiyoun Ke Moaaf Karne Wala Hai. Aur Be Shak Tumhara Parwardigaar Sakht Azaab Dene Wala Hai.

7
Aur Kafir Loug Kehte Hain Ke Is Paigambar Par Is Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Koi Naishani Nazil Nahi Hui. So Ae Muhammad S.A.W. Tum Toh Sirf Hidayat Karne Wale Ho Aur Har Aik Qoum Ke Liye Rehnuma Hua Karta Hai.



8
Khuda Hi Us Bache Se Waqif Hai, Joh Aurat Ke Pait Main Hota Hai, Aur Pait Ke Sukarne (Skew) Aur Barhne (Streach) Se Bhi Waqif Hai. Aur Har Cheez Ka Us Ke Haan Aik Andaza Muqarrar Hai.

9
Wo Danaa-E-Nihaan-O-Aashkaar Hai, Sab Se Buzurg Aur Aali Rutba Hai.

10
Koi Tum Se Chupke Se Baat Kahe, Ya Pukar Kar, Ya Raat Ko Kaheen Chup Jaye, Ya Din Ki Roshni Main Khullam Khulla Chale Phire, Us Ke Nazdeek Barabar Hai.

11
Us Ke Aage Aur Peeche Khuda Ke Choukeedaar Hain Joh Khuda Ke Hukum Se Us Ki Hifazat Karte Hain. Khuda Us Naimat Ko Joh Kisi Qoum Ko Hasil Hai, Nahi Badalta Jab Tak Ke Wo Apni Halat Ko Na Badle . Aur Jab Khuda Kisi Qoum Ke Sath Burai Ka Irada Karta Hai, To Phir Wo Phir Nahi Sakti. Aur Khuda Ke Siwa Un Ka Koi Madadgaar Nahi Hota.

12
Aur Wo Hi Toh Hai Joh Tum Ko Darane Aur Umeed Dilane Ke Liye Bijli Dikhata, Aur Bhari Bhari Badal Paida Karta Hai.





13
Aur Raad Aur Farishte Sab Us Ke Khof Se Us Ki Tasbeeh-O-Tamheed Karte Rehte Hain, Aur Wo Hi Bijliyan Bhaijta Hai Phir Jis Par Chahta Hai Gira Bhi Deta Hai, Aur Wo Khuda Ke Bare Main Jhagarte Hain. Aur Wo Bari Quwat (Power) Wala Hai.

14
Sood Mand Pukarna Toh Ussi Ka Hai, Aur Jin Ko Yeh Loug Us Ke Siwa Pukarte Hain Wo Un Ki Pukar Ko Kisi Tarha Qabool Nahi Karte, Magar Us Shakhs Ki Tarha Joh Apne Dono Hath Paani Ki Taraf Phaila De . Taa-Ake Door Hi Se Us Ke Moon Tak Aa Pohonche, Halaanke Wo Us Tak Kabhi Bhi Nahi Aa Sakta Aur Issi Tarha Kafiroun Ki Pukaar Baikaar Hai.

15
Aur Jitni Makhlooqaat Aasmanoun Aur Zameen Main Hain, Khushi Se Ya Zabardasti Se Khuda Ke Aage Sajda Karti Hain Aur Un Ke Saaye Bhi Subh-O-Shaam Sajde Karte Hain.

16
Un Se Poocho Ke Aasmanoun Aur Zameen Ka Parwardigaar Koun Hai? Tum Hi Un Ki Taraf Se Keh Do Ke Khuda, Phir Un Se Kaho Ke Tum Ne Khuda Ko Chor Kar Aise Lougon Ko Kion Kar Saaz Banaya Hai Joh Khud Apne Nafa-O-Nuqsaan Ka Bhi Ikhtiyaar Nahi Rakhte, Yeh Bhi Poocho Kia Andha Aur Aankhoun Wala Barabar Hain? Ya Andhaira Aur Ujala Barabar Ho Sakta Hai? Bhala Un Lougon Ne Jin Ko Khuda Ka Shareek Muqarrar Kia Hai.Kia Unhoun Ne Khuda Ki Si Makhlooqaat Paida Ki Hai, Jis Ke Sabab Un Ko Makhloqaat-E-Mushtaba Ho Gai Hai. Keh Do Ke Khuda Hi Har Cheez Ka Paida Karne Wala Hai  Aur Wo Yakta Aur Zabardast Hai.

17
Usi Ne Aasmaan Se Meenh (Rain) Barsaaya Phir Us Se Apne Apne Andaze Ke Mutabiq Naale Beh Nikale, Phir Naale Par Phoola Hua Jhaag Aa Gaya. Aur Jis Cheez Ko Zaiwar Ya Koi Aur Samaan Banane Ke Liye Aag Main Tapate Hain Us Main Bhi Aisa Hi Jhaag Hota Hai. Is Tarha Khuda Haq Aur Batil Ki Misaal Bayan Fermata Hai. So Jhaag Toh Sookh Kar Zaail Ho Jata Hai. Aur Pani Joh Lougon Ko Faida  Pohonchata Hai Wo Zameen Main Tehra Rehta Hai. Is Tarha Khuda Saheeh Aur Galat Ki Misaalain Bayan Fermata Hai. Taa-Ake Tum Samjho.

18
Jin Lougon Ne Khuda Ke Hukum Ko Qabool Kia Un Ki Halat Bohot Behtar Ho Gi. Aur Jin Houn Ne Us Ko Qabool Na Kia Agar Roo-E-Zameen  Ke Sab Khazane Un Ke Ikhtiyaar Main Houn To  Wo Sab Ke Sab, Aur Un Ke Sath Utne Hi Aur Nijaat Ke Badle Main Sarf Kar Daalain Magar  Nijaat Kahan? Aise Lougon Ka Hisaab Bhi Bura Hoga. Aur Un Ka Thikhana Bhi Dozakh Hai.Aur Wo Buri Jaga Hai.

19
Bhala Joh Shakhs Ye Janta Hai Ke Joh Kuch Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Tum Par Nazil Hua Hai Haq Hai Wo Us Shakhs Ki Tarha Hai Joh Andha Hai Aur Samajhte Toh Wo Hi Hain Joh Aqalmand Hain.

20
Joh Khuda Ke Ehed Ko Poora Karte Hain Aur Iqraar Ko Nahi Tourte.
21
Aur Jin Rishta-E-Haaye Qurabat Ke Jore Rakhne Ka Khuda Ne Hukum Dia Hai, Un Ko Jore Rakhte Aur Apne Parwardigaar Se Darte Rehte Aur Bure Hissab Se Khof Rakhte Hain.

22
Aur Joh Parwardigaar Ki Khushnoodi Hasil Karne Ke Liye Masaaib Par Sabar Karte Hain Aur Namaz Parhte Hain Aur Joh Joh Maal Ham Ne Un Ko Dia Hai Us Main Se Posheeda Aur Zahir Kharch Karte Hain Aur Naiki Se Burai Ko Door Karte Hain Ye Hi Loug Hain Jin Ke Liye Aaqbat Ka Ghar Hai.

23
Yaani Hamesha Rehne Ke Liye Baghaat (Gardens) Jin Main Wo Daakhil Houn Ge Aur Un Ke Baap Dada Aur Biwiyoun (Wifes) Aur Aulad Main Se Joh Naiko Kaar Houn Ge Wo Bhi Behshat Main Jaayen Ge, Aur Farishte Behshat  Ke Har Aik Darwaze Se Un Ke Paas Ayen Ge.

25
Aur Kahain Ge Tum Par Rehmat Ho, Ye Tumhari Sabit Qadmi Ka Badla Hai Aur Aaqbat Ka Ghar Khoob Ghar Hai.

25
Aur Joh Loug Khuda Se Ehed Wasiq Kar Ke Us Ko Tour Daalte Aur Jin Rishta-E-Haaye Qurabat Ke Jore Rakhne Ka Khuda Ne Hukum Dia Hai, Unko Qitaa Kar Dete Aur Mulk Main Fisaad Karte Hain. Aisoun Par Laanat Hai Aur Un Ke Liye Ghar Bhi Bura Hai.


26
Khuda Jis Ka Chahta Hai Rizq Faraakh Kar Deta Hai, Aur Jis Ka Chahta Hai Tang Kar Deta Hai. Aur Kafir Loug Dunia Ki Zindagi Par Khush Ho Rahe Hain Aur Dunia Ki Zindagi Aakhrat Ke Muqable Main Bohot Thora Faida Hai.

27
Aur Kafir Kehte Hain Ke Is Paigambar Par Is Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Koi Nishaani Kion Nazil Nahi Hui. Keh Do Ke Khuda Jisse Chata Hai Gumraah Karta Hai Aur Jo Us Ki Taraf Rujoo Hota Hai Us Ko Apni Taraf Ka Rasta Dikhata Hai.

28
Yaani Joh Loug Eemaan Late Aur Jin Ke Dil Yaad-E-Khuda Se Araam Paate Hain Un Ko, Aur Sunn Rakho Ke Khuda Ki Yaad Se Dil Araam Paate Hian.

29
Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Kiye Un Ke Liye Khushhaali Aur Umda Thikana Hai.

30
Jis Tarha Ham Aur Paigamabar Bhaijte Rahe Hain Ussi Tarha Ae Muhammad S.A.W. Ham Ne, Tum Ko, Us Ummat Main Jis Se Pehele Bohot Si Ummatain Guzar Chuki Hain, Bhaija Hai, Taa-Ake Tum Un Ko Wo Kitaab Joh Ham  Ne Tumhari Taraf Bhiaji Hai Parh Kar Suna Do, Aur Ye Loug Rehmaan Ko Nahi Maante. Keh Do Wo Hi Toh Mera Parwardigaar Hai Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi. Main Ussi Par Bharosa Rakhta Hoon Aur Ussi Ki Taraf Rujoo Karta Hoon.


31
Aur Agar Koi Quraan Aisa Hota Ke Us Ki Taseer Se Pahaar (Mountains) Chal Parte Ya Zameen Phat Jati Ya Murdoun (Dead) Se Kalaam Kar Sakte. Toh Ye Hi Quran Un Ausaf Se Muttsif Hota, Magar Baat Yeh Hai Ke Sab Batain Khuda Ke Ikhtiyaar Main Hain, Toh Kia Mominoun Ko Is Se Itminaan Nahi Hua Ke Agar Khdua Chahta Toh Sab Lougon Ko Hidayat Ke Raste Par Chala Deta. Aur Kafiroun Par Hemesha  Un  Ke Amaal Ke Badle Bala Aati Rahe Gi, Ya Un Ke Makanaat Ke Qareeb Nazil Hoti Rahe Gi, Yahan Tak Ke Khuda Ka Waada Aa Pohonche . Be Shak Khuda Wada Khilaaf Nahi Karta.

32
Aur Tum Se Pehle Bhi Rasooloun Ke Sath Tammaskhurr (Mazaak/Fun) Hote Rahe Hain, Toh Ham Ne Kaafiroun Ko Mohlat Di Phir Pakar Liya. So Daikh Lo Ke Hamara Azaab Kaisa Tha.

33
Toh Kia Joh Khuda Har Mutanaffis Ke Aamaal Ka Nigraan-O-Nigehbaan Hai, Wo Buttou (Pathar Ke Khuda) Ki Taraha Be Ilm-O-Be Khabar Ho Sakta Hai. Aur Un Lougon Ne Khuda Ke Shareek Muqarrar Kar Rakhe Hain.Un Se Kaho Keh Zara Un Ke Naam Toh Lo. Kia Tum Usse Aisi Cheezain Batate Ho Jis Ko Wo Zameen Main Kahin Bhi Maloom Nahi Karta, Ya Mehez Zahiri Batzil Aur Jhooti Baat Ki Taqleed Karte Ho, Asal Ye Hai Ke Kafiroun Ko Un Ke Faraib Khoobsoorat Maloom Hote Hain. Aur Wo Hidayat Ke Raste Se Rouk Liye Gaye Hain. Aur Jisse Khuda Gumraah Kare Usse Koi Hidayat Karne Wala Nahi.


34
Un Ko Dunia Ki Zindagi Main Bhi Azaab Hai, Aur Aakhrat Ka Azaab Toh Bohot Hi Sakht Hai. Aur Unko Khuda Ke Azaab Se Koi Bhi Bachane Wala Nahi.

35
Jis Bagh (Garden) Ka Muttaqiyoun Se Waada Kia Gaya Hai Us Ke Ousaaf  Ye Hain, Ke Un Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain. Us Ke Phal (Fruits) Hamesha Qaaim Rehne Wale Hain Aur Us Ke Saaye Bhi. Ye Un Lougon Ka Anajaam Hai Joh Muttaqi Hain. Aur Kafiroun Ka Anjaam Dozakh Hai.

36
Aur Jin Lougon Ko Ham Ne Kitaab Di Hai Wo Is Kitaab Se, Joh Tum Par Nazil Hui Hai, Khush Hote Hain, Aur Baaz Firqe Is Ki Baaz Batain Nahi Bhi Maante. Keh Do Ke Mujh Ko Ye Hi Hukum Hua Hai  Ke Khuda Hi Ki Ibadat Karoon Aur Us Ke Sath Kisi Ko Shareek Na Banaoon. Main Ussi Ki Taraf Bulata Hoon Aur Ussi Ki Taraf Mujhe Loutna Hai.

37
Aur Issi Tarha Ham Ne Is Quran Ko Arabi Zabaan Ka Farmaan Nazil Kia Hai. Aur Agar Tum Ilm-O-Danish Aane Ke Baad Un Lougon Ki Khuahishoun Ke Peeche Chalo Ge Toh Khdua Ke Samne Koi Na  Tumhara Madadgaar Hoga Aur Na Koi Bachane Wala.

38
Aur Ae Muhammad.S.A.W. Ham Ne Tum Se Pehle Bhi Paigambar Bahije The. Aur Un Ko Bibiyan Aur Aulad Bhi Di Thi. Aur Kisi Paigambar Ke Ikhtiyar Ki Baat Na Thi Ke Khuda Ke Hukum Ke Bagair Koi Nishani Laaye. Har Hukum Qaza Kitaab Main Marqoom Hai.
39
Khuda Jis Ko Chata Hai Mita Deta Hai Aur Jis Ko Chata Hai Qaaim Rakhta Hai Aur Ussi Ke Paas Asal Kitaab Hai.

40
Aur Agar Ham Koi Azab Jis Ka Un Lougn Se Wada Karte Hain Tumhain Dikhaye Yaani Tumahre Ru Baru Un Par Nazil Karen, Ya Tumhari Muddat-E-Hayat (Life Time Period) Poori Kar Dain, Yaani Tumhare Intiqaal Ke Baad Azaab Bhaijain Toh Tumhara Kaam Hamare Ehkaam Ka Pohoncha Dena Hai Aur Hamara Kaam Hisab Lena Hai.

41
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Ham Zameen Ko Us Ke Kinaaroun Se Ghataate Chale Aate Hain. Aur Khuda Jaisa Chahta Hai Hukum Karta Hai, Koi Us Ke Hukum Ko Radd Karne Wala Nahi. Aur Wo Jald Hisab Lene Wala Hai.

42
Joh Loug Un Se Pehle The Wo Bhi Bohteri (Many) Chaalain Chalte Rahe Hain,  Sou Chaal  Toh Sab Allah Hi Ki Hai, Har Mutanaffis Joh Kuch Kar Raha Hai Wo Usse Janta Hai. Aur Kafir Jald Maloom Karen Ge Ke  Aaqbat Ka Ghar Yaani Anjaam-E-Mehmood Kis Ke Liye Hai.

43
Aur Kaafir Loug Kehte Hain Ke Tum Khuda Ke Rasool Nahi Ho. Keh Do Ke Mere Aur Tumahre Darmiyan Khuda Aur Wo Shakhs Jis Ke Pas Kitaab-E-Aasmaani Ka Ilm Hai Gawah Kafi Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!