Wednesday 4 May 2016

26-Soorah-ash-Shoaraa-aayaat-227




Soorah Ash-Shuara

Aayaat-227

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Tuaa Seen Meem

2
Ye Kitaab-E-Roshan Ki Aayatain Hain.

3
Ae Paigambar S.A.W. Shayad Tum Is Ranj Se, Ke Ye Loug Eemaan Nahi Laate Apne Taiyee Halaak Kar Do Ge.

4
Agar Ham Chahain Toh In Par Aasmaan Se Nishaani Utaar Dain. Phir In Ki Gardanain Us Ke Aage Jhuk Jaayen.

5
Aur Un Ke Paas Khuda-E-Rehmaan Ki Taraf Se,  Koi Nai Naseehat Nahi Aati Magar Us Se Moonh Phair Lete Hain.

6
So Ye Toh Jhutla Chuke Ab Un Ko Is Cheez Ki Haqeeqat Maloom Ho Gi Jis Ki Hansi Uraate The.

7
Kia Unhoun Ne Zameen Ki Taraf Nahi Daikha Ke Ham Ne Is Main Har Qisaam Ki Kitni Nafees Cheezain Ugaai Hain.

8
Kuch Shak Nahi Ke Is Main Qudrat-E-Khuda Ki Nishaani Hai Magar Ye Aksar Eemaan Laane Wale Nahi Hain.

9
Aur Tumhara Parwardigar Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

10
Aur Jab Tumhare Parwardigaar Ne Moosa Ko Pukara Ke Zalim Lougon Ke Paas Jao.

11
Yaani Qoum-E-Firown Ke Paas, Kia Ye Darte Nahi.

12
Unhoun Ne Kaha Ke Mere Parwaridgaar Main Darta Hoon, Ke Ye Mujhe Jhoota Samjhain.

13
.Aur Mera Dil Tang Hota Hai Aur Meri Zabaan Rukti Hai, Tu Haroon Ko Hukum Bhaij Ke Mere Sath Chalain

14
Aur Un Lougon Ka Mujh Par Aik Gunnah Yaani Qibti Ke Khoon Ka Daawa Bhi Hai, So Mujhe Ye Bhi Dar Hai Ke Mujh Ko Maar Hi Daalain.

15
Farmaya Har Gizz Nahi.Tum Dono Hamari Nishaaniyan Le Kar Jaao, Ham Tumahre Sath Sunn-Ne Wale Hain.

16
Toh Dono Firown Ke Paas Jaao Aur Kaho Ke Ham Tamaam Jahaan Ke Malik Ke Bhaije Hue Hain.

17
Aur Is Liye Aaye Hain Ke Ap Bani Israail Ko Hamare Sath Jane Ki Ijazat Dain.

18
Firown Ne Moosa Se Kaha, Kia Ham Ne Tum Ko, Ke Abhi Bache The, Parwarish Nahi Kia Aur Tum Ne Barsoun Hamare Haan Umar Basar Nahi Ki.

19
Aur Tum Ne Aik Aur Kaam Kia Tha, Joh Kia Tum Na Shukre Maloom Hote Ho.

20
Moosa Ne Kaha Ke Haan Wo Harkat Mujh Se Nagahaan Sar Zad Hui Thi Aur Main Khata Kaaroun Main Tha.

21
Toh Jab Mujhe Tum Se Dar Laga Toh Tum Main Se Bhaag Gaya. Phir Khuda Ne Mujh Ko Naboowat-O-Ilm Bakhsha Aur Mujhe Paigambaroun Main Se Kia.

22

Aur Kai Ye Hi Ehsaan Hai Joh Aap Mujh Par Rakhte Hain, Ke Aap Ne Bani Israail Ko Gulaam Bana Rakha Hai.

23
Firown Ne Kaha Ke Tamaan Jahan Ka Malik Kia.

24
Kaha Ke Aasmaanoun Aur Zameen Aur Joh Kuch In Dono Main Hai Sab Ka Malik , Bashart Ye Ke Tum Lougon Ko Yaqeen Ho.

25
Firown Ne Apne Aahaali Mawaali Se Kaha Ke Kia Tum Sunte Nahi.

26
Moosa Ne Kaha Ke Tumhara Aur Tumhare Pehle Baap Daada Ka Malik.

27
Firown Ne Kaha, Ke Ye Paigambar Joh Tumhari Taraf Bhaija Gaya Hai Baawla Hai.

28
Moosa A.S. Ne Kaha Ke Mashriq Aur Magrib Aur Joh Kuch In Dono Main Hai, Sab Ka Malik, Bashart Ye Ke Tum Ko Samajh Ho.

29
Firown Ne Kaha Ke Agar Tum Ne Mere Siwa Kisi Aur Ko Maabood Banaya Toh Main Tumhain Qaid Kar Doonga.

30
Moosa Ne Keha Khuah Main Aap Ke Paas, Roshan Cheez Laaon Yaani Mojza.

31
Firown Ne Kaha Agar Sacche Ho Toh Usse Laao Dikhaao.

32
Pas Unhoun Ne Apni Laathi Daal Di Toh Wo Ussi Waqt Sarhee Azdaha Ban Gai.

33

Aur Apna Hath Joh Nikala Toh Ussi Dam Daikhne Waloun Ke Liye Safaid Burraq Nazar Aane Laga.

34
Firown Ne Apne Gird Ke Sardaaroun Se Kaha Ke Ye Toh Kamil-E-Fan Jadugar Hai.

35
Chahata Hai Ke Tum Ko Apne Jaadu Ke Zor Se Tumhare Mulk Se Nikaal De, Toh Tumhari Kia Raaye Hai?

36
Unhoun Ne Kaha Ke Usse Aur Us Ke Bhai Ke Bare Main Kuch Tawaquff Kijiye Aur Shehroun Main Naqeeb Bhaij Dijiye.

37
Ke Sab Maahir Jaadugaroun Ko Jama Kar Ke Aap Ke Paas Le Aayen.

38
Toh Jaadugar Aik Muqarrarah Din Ki Miyaad Par Jamah Ho Gaye.

39
Aur Lougon Se Keh Dia Gaya Ke Tum Sab Ko Ikhatte Ho Jana Chahyiye.

40
Taa-Ake Agar Jadugar Gaalib Rahian Toh Ham Un Ke Pairo Ho Jaayen.

41
Jab Jadugar Aagaye Toh Firown Se Kehne Lage Ke Agar Ham Galib Rahe Toh Hamain Sila Bhi Ata Hoga?

42
Firown Ne Kaha, Haan Aur Tum Maqraboun Main Bhi Daakhil Kar Liye Jao Ge.

43
Moosa Ne Un Se Kaha Ke Joh Cheez Daalni Chahate Ho Daalo.

44
Toh Unhoun Ne Apni Rassiyan Aur Laathiyan Daali Aur Kehne Lage Ke Firown Ke Iqbaal Ki Qasam Ham Zaroor Ghaalib Rahainge.

45
Phir Moosa Ne Apni Laathi Daali, Toh Wo In Cheezoun Ko Joh Jaadoogaroun Ne Banayee Theen Nigalne Lagi.

46
Tab Jadugar Sajde Main Girr Pare.

47
Aur Kehne Lage Ke Ham Tamaam Jahaan Ke Malik Par Eemaan Laaye.

48
Joh Moosa Aur Haroon Ka Malik Hai.

49
Firown Ne Kaha, Kia Is Se Pehle Ke Main Tum Ko Ijazat Doon, Tum Us Par Eemaan Le Aaye, Be Shak Ye Tumhara Bara Hai Jis Ne Tumko Jaadu Sikhaya Hai. So Anqareeb Tum Is Ka Anjaam Maloom Kar Lo Ge Ke Main Tumhare Hath Aur Paaon Itaaf Mukhlif Se Kaat Doonga Aur Tum Sab Ko Sooli Par Charhwa Doonga.

50
Unhoun Ne Kaha,  Ke Kuch Nuqsaan Ki Baat Nahi Ham Apne Parwardigar Ki Taraf Lout Jaane Wale Hain.

51
Hamain Umeed Hai Ke Hamara Parwardigar Hamare Gunnah Bakhsh De Ga. Is Liye Ke Ham Awwal Eemaan Laane Waloun Main Hain.

52
Aur Ham Ne Moosa Ki Taraf Wahi Bhaiji Ke Hamare Bandoun Ko Raat Ko Le Niklo, Ke Firowniyoun Ki Taraf Se Tumahara Taaquubb Kia Jaye Ga.

53
Toh Firown Ne Shehroun Main Naqeeb Rawana Kiye.

54
Aur Kaha Ke Ye Loug Thori Si Jamaat Hain.

55
Aur Ye Hamain Gussa Dila Rahe Hain.

56
Aur Ham Sab Baa Saaz-O-Samaan Hain.

57
Toh Ham Ne In Ko Baaghoun Aur Chashmoun Se Nikaal Dia .

58
Aur Khazaanoun Aur Nafees Makanaat Se.

59
Un Ke Sath Ham Ne Is Tarha Kia Aur Un Cheezoun Ka Waris Bani Israail Ko Kar Dia.

60
Toh Unhoun Ne Sooraj Nikalte Yaani Subha Ko Un Ka Taaqubb Kia.

61
Jab Dono Jamaatain Aamne Saame Hui Toh Moosa Ke Sath Kehne Lage Ke Ham Toh Pakar Liye Gaye.

62
Moosa Ne Kaha Har Gizz Nahi Mera Parwardigar Mere Sath Hai Wo Mujhe Rasta Bataye Ga.

63
Us Waqt Ham Ne Moosa Ki Taraf Wahi Bhaiji Ke Apni Laathi Darya Par Maaro. Toh Darya Phat Gaya. Aur Har Aik Tukra Youn Ho Gaya Ke Goya Bara Pahaar Hai.

64
Aur Doosron Ko Wahan Ham Ne Qareeb Kar Dia.

65
Aur Mosa Aur Un Ke Sath Waloun Ko Toh Bahca Liya.

66
Phir Doosroun Ko Dibo Dia.

67
Be Shak Is Qisse Main Nishani Hai. Lekin Ye Aksar Eemaan Laane Wale Nahi.

68
Aur Tumhara Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

69
Aur Un Ko Ibrahim A.S. Ka Haal Parh Kar Suna Do.

70
Jab Unhoun Ne Apne Baap Aur Apni Qoum Ke Lougon Se Kaha Ke Tum Kis Cheez Ko Poojte Ho.

71
Wo Kehne Lage Ke Ham Buttoun Ko Poojte Hain Aur Un Ki Pooja Par Qaaim Hain.

72
Ibrahim A.S. Ne Kaha Ke Jab Tum In Ko Pukaarte Ho Toh Kia Wo Tumhari Awaaz Sunte Hain?

73
Ya Tumhain Kuch Faaide De Sakte Ya Nuqsaan Pohoncha Sakte Hain?

74
Unhoun Ne Kaha Nahi Balke Ham Ne Apne Baap Dada Ko Issi Tarha Karte Daikha Hai.

75
Ibrahim A.S. Ne Kaha Kia Tum Ne Daikha Hai Ke Jin Ko Tum Poojte Rahe Ho.

76
Tum Bhi Aur Tumhare Agle Baap Dada Bhi.

77
Wo Mere Dushman Hain. Magar Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Mera Dost Hai.

78
Jis Ne Mujhe Paida Kia Hai Aur Wo Hi Mujhe Raasta Dikhata Hai.

79
Aur Wo Joh Mujhe Khilata Aur Pilata Hai.

80
Aur Jab Main Bimaar Parta Hoon Toh Mujhe Shifa Bakhashta Hai.

81
Aur Wo Joh Mujhe Maare Ga Aur Phir Zinda Kare Ga.

82
Aur Wo Jis Se Main Umeed Rakhta Hoon Ke Qiamat Ke Din Mere Gunnah Bakhse Ga.

83
Ae Parwardigar Mujhe Ilm-O-Daanish Ata Farma Aur Naiko Kaaroun Main Shamil Kar.

84
Aur Pichle Lougno Main Mera Zikar-E-Naik Jari Kar.

85
Aur Mujhe Naimat Ki Behshat Ke Warisoun Main Kar.

86
Aur Mere Baap Ko Bakhash De Ke Wo Gumrahoun Main Se Hai.

87
Aur Jis Din Loug Utha Khare Kiye Jaayen Ge Mujhe Ruswa Na Kijiyo.

88
Jis Din Na Maal Hi Kuch Faaida De Sake Ga Aur Na Bete.

89
Haan Joh Shakhs Khuda Ke Paas Paak Dil Le Kar Aaya Wo Bach Jaye Ga.

90
Aur Behshat Parhaizgaaroun Ke Qareeb Kar Di Jaye Gi.

91
Aur Dozakh Gumraahoun Ke Saamne Laaye Jaye Gi.

92
Aur Un Se Kaha Jaye Ga Ke Jin Ko Tum Poojte The Wo
Kahan Hain?

93
Yaani Jin Ko Khuda Ke Siwa Poojte The, Kia Wo Tumhari Madad Kar Sakte Hain, Ya Khud Badla Le Sakte Hain.

94
Toh Wo Aur Gumrah Yaani Butt Aur Butt Parast Oundhe Moonh Dozakh Main Daal Diye Jaaye Ge.

95
Aur Shaitaan Ke Lashkar Sab Ke Sab Daakhil-E-Jahannum Hounge.

96
Wahan Wo Apas Main Jhagrain Ge Aur Kahian Ge.

97
Ke Khuda Ki Qasam Ham Toh Sareeh Gumrahi Main The.

98
Jab Ke Tumhain Khuda-E-Rabb-Ul-Aalemeen Ke Barabar Thehrate The.

99
Aur Ham Ko In Gunnehgaroun Hi Ne Gumraah Kia Tha.

100
Toh Aj Koi Hamara Sifaarish Karne Wala Hai.

101
Aur Na Garam Josh Dost.

102
Kaash Hamain Dunia Main Phir Jana Ho, Toh Ham Mominoun Main Ho Jaayen.

103
Be Shak Is Main Nishani Hai Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi.

104
Aur Tumhara Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

105
Qoum-E-Nooh A.S. Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.

106
Jab Un Se Unke Bhai Nooh A.S. Ne Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi.

107
Main Toh Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.

108
Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Maano.

109
Aur Main Is Kaam Ka Tum Se Sila Nahi Maangta. Mera Sila Toh Khuda-E-Rab-Ul-Aalmeen Hi Par Hai.

110
Toh Khuda Se Daro Aur Mere Kehne Par Chalo.

111
Wo Bole Ke Kia Ham Tum Ko Maan Lain Aur Tumhare Pairo Toh Razeel Loug Hue Hain.

112
Nooh A.S. Ne Kaha Ke Mujhe Kia Maloom Ke Wo Kia Karte Hain.

113
Un Ka Hisaab-E-Aamaal Mere Parwardigar Ke Zimme Hai Kaash Tum Samjho.

114
Aur Main Mominon Ko Nikaal Dene Wala Nahi Hoon.

115
Main Toh Sirf Khol Khol Kar Naseehat Karne Wala Hoon.

116
Unhoun Ne Kaha Ke Nooh Agar Tum Baaz Na Aao Ge Toh Sangsaar Kar Diye Jao Ge.

117
Nooh Ne Kaha Ke Parwardigar Meri Qoum Ne Toh Mujhe Jhutla Dia.

118
Toh Tu Mere Aur Un Ke Darmiyaan Aik Khula Faisla Kar De Aur Mujhe, Aur Joh Momin Mere Sath Hain Un Ko Bacha Le.

119
Pas Ham Ne Un Ko Aur Joh Un Ke Sath Bhari Hui Kashti Main Sawaar The,Un Ko Bacha Liya.

120
Phir Us Ke Baad Baqi Lougon Ko Dibo Dia.

121
Be Shak Is Main Nishaani Hai Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.

122
Aur Tumhara Parwardigaar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

123
Aad Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.

124
Jab Un Se Un Ke Bhai Hood Ne Kaha Kia Tum Darte Nahi.

125
Main Toh Tumhara Amaant Daar Paighambar Hoon.

126
Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Maano.

127
Aur Main Is Ka Tumse Kuch Badla Nahi Maangta. Mera Badla Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Ke Zimme Hai.

128
Bhala Tum Har Oonchi Jaga Par Abass Nishaan Taameer Karte Ho.

129
Aur Mehel Banate Ho Shayad Tum Hamesha Raho Ge.

130
Aur Jab Kisi Ko Pakarte Ho Toh Zaalimaana Pakarte Ho.

131
Toh Khuda Se Daro Aur Meri Itaa-At Karo.

132
Aur Us Se, Jis Ne Tum Ko Un Cheezoun Se Madad Di, Jin Ko Tum Jaante Ho Daro.

133
Us Ne Tumhian Chaar Paayoun Aur Baitoun Se Madad Di.

134
Aur Baaghoun Aur Chashmoun Se .

135
Mujh Ko Tumhare Baare Main Bare Sakht Din Ke Azaab Ka Khof Hai.

136
Wo Kehne Lage Ke Hamain Khuah Naseehat Karo Ya Na Karo Hamare Liye Yaksaan Hai.

137
Ye Toh Agloun Hi Ki Tareeqe Hain.

138
Aur Ham Par Koi Azaab Nahi Aaye Ga.

139
Toh Unhoun Ne Hood Ko Jhutlaya So Ham Ne Un Ko Halaak Kar Daala. Be Shak Is Main Nishaani Hai. Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.

140
Aur Tumhara Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

141
Aur Qoum-E-Samood Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.

142
Jab Un Se Un Ke Bhai Saaleh A.S. Ne Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi?

143
Main Toh Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.

144
Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Maano.

145
Aur Main Is Ka Tum Se Badla Nahi Maangta. Mera Badla Khuda Rabb-Ul-Aalmeen Ke Zimme Hai.

146
Kia Joh Cheezain Tumhain Yahan Moiyassar Hain Un Main Tum Be Khof Chor Diye Jaao Ge.

147
Yaani Baagh Aur Chashme.

148
Aur Khaitiyaan Aur Khajoorain,  Jin Ke Khoshe Lateef-O-Nazuk Hote Hain.

149
Aur Takkalluf Se Paharoun Main Taraash Taraash Kar Ghar Banate Ho.

150
Toh Khuda Se Daro Aur Mere Kehne Par Chalo.

151
Aur Had Se Tajawuzz Karne Waloun Ki Baat Na Maano.

152
Joh Mulk Main Fisaad Karte Hain Aur Islaah Nahi Karte.

153
Wo Kehne Lage Ke Tum Toh Jadu Zada Ho.

154
Tum Aur Kuch Nahi, Hamari Hi Tarha Ke Aadmi Ho. Agar Sache Ho Toh Koi Nishanai Paish Karo.

155
Saaleh A.S. Ne Kaha Daikho Ye Oontni Hai, Aik Din Is Ki Paani Peene Ki Baari Hai, Aur Aik Moiyyan Roz(Fix Day) Tumhari Baari.

156
Aur Is Ko Koi Takleef Na Dena Nahi Toh Tum Ko Sakht Azaab Aa Pakre Ga.

157
Toh Unhoun Ne Us Ki Koonchain Kaat Daaleen Phir Naadim Hue.

158
So Un Ko Azaab Ne Aa Pakra. Be Shak Is Main Nishanai Hai.Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.

159
Aur Tumhara Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

160
Aur Qoum-E-Loot Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.

161
Jab Un Se Un Ke Bhai Loot A.S. Ne Kaha Ke Tum Kion Nahi Darte.

162
Main Toh Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.

162
Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Maano.

164
Aur Main Tum Se Is Kaam Ka Badla Nahi Maangta. Mera Badla Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Ke Zimme Hai.

165
Kia Tum Ehl-E-Aalam Main Se Larkoun Par Maail Hote Ho.

166
Aur Tumhare Parwaridigaar Ne, Joh Tumhare Liye Tumhari Biwiyaan Paida Ki Hain, Un Ko Chor Dete Ho .Haqeeqat Ye Hai Ke Tum Had Se Niakal Jaane Wale Loug Ho.

167
Wo Kehne Lage Ke Loot Agar Tum Baaz Na  Aao Ge Toh Sheher Badar Kar Diye Jaao Ge.

168
Loot Ne Kaha Ke Main Tumhare Kaam Se Sakht Baizaar Hoon.

169
Ae Mere Parwardigar Mujh Ko Aur Mere Ghar Waloun Ko Un Ke Kaamoun Ke Wabaal Se Nijaat De.

170
So Ham Ne Un Ko Aur Un Ke Ghar Waaloun Ko Sab Ko Nijaat Di.

171
Magar Aik Burhiya, Ke Peeche Reh Gai.

172
Phir Ham Ne Auroun Ko Halaak Kar Dia.

173
Aur In Par Meenh Barsaaya. So Joh Meenh(Rain) In Lougon Par Barsa, Joh Daraye Gaye The, Wo Bura Tha.

184
Be Shak Is Main Nishaani Hai. Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.

175
Aur Tumhara Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

176
Aur Ban Kar Rehne Waloun Ne Bhi Paigambaroun Ko Jhutlaya.

177
Jab Un Se Shoaib A.S. Ne Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi?

178
Main Toh Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.

179
Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Maano.

180
Aur Main Is Kaam Ka Tum Se Kuch Badla Nahi Maangta Mera Badla Toh Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Ke Zimme Hai.

181
Daikho Paimaana Poora Bhara Karo Aur Nuqsaan Na
Kia Karo.

182
Aur Taraazoo Seedhi Rakh Kar Toula Karo.

183
Aur Lougon Ko Un Ki Cheezain Kam Na Dia Karo Aur Mulk Main Fisad Na Karte Phiro.

184
Aur Us Se Daro Jis Ne Tumko Aur Pehli Khalqat Ko Paida Kia.

185
Wo Kehne Lage Ke Tum Jaadu Zada Ho.

186
Aur Tum Aur Kuch Nahi Ham Hi Jaise Aadmi Ho. Aur Hamara Khayal Hai Ke Tum Jhoote Ho.

187
Agar Sachhe Ho, Toh Ham Par Aasmaan Se Aik Tukra Laa Giraao.

188
Shoaib Ne Kaha Ke Joh Kaam Tum Karte Ho Mera Parwardigar Is Se Khoob Waqif Hai.

189
Toh Un Lougon Ne Un Ko Jhutlaya, Pas Saaibaan Ke Azaab Ne Un Ko Aa Pakra. Be Shak Wo Bare Sakht Din Ka Azaab Tha.

190
Is Main Yaqeenan Nishani Hai.Aur Un Main Aksar Eemaan Laane Wale Nahi The.

191
Aur Tumhara Parwardigar Toh Ghaalib Aur Meherbaan Hai.

192
Aur Ye Quraan Khuda-E-Parwardigar Aalam Ka Utaara Hau Hai.

193
Is Ko Amanat Daar Farishta Le Kar Utra Hai.

194
Yaani Us Ne Tumhare Dil Par Ilqa Kia Tha Taa-Ake Lougon Ko Naseeehat Karte Raho.

195
Aur Ilqa Bhi Faseeh Arabi Zabaan Main Kia Hai.

196
Aur Is Ki Khabar Pehle Paigambaroun Ki Kitaaboun Main Likhi Hui Hai.

197
Kia Un Ke Liye Ye Sanad Nahi Hai Ke Ulmaa-E-Bani Israail Is Baat Ko Jaante Hain.

198
Aur Agar Ham Is Ko Kisi Gair Ehl-E-Zaban Par Utaarte.

199
Aur Wo Isse Un Lougon Ko Parh Kar Sonata Toh Ye Usse Kabhi Na Maante.

200
Issi Tarha Ham Ne Inkaar Ko Gunnehgaaroun Ke Diloun Main Daakhil Kar Dia.

201
Wo Jab Tak Dard Dene Wala Azaab Na Daikh Lainge, Us Ko Nahi Maane Ge.

202
Wo Un Par Nagaahan Aa Waaqe Hoga Aur Unhain Khabar Bhi Na Hogi.

203
Us Waqt Kahain Ge Ke Kia Hamain Mohlat Mile Gi?

204
Toh Kia Ye Hamare Azaab Ko Jaldi Talab Kar Rahe Hain.

205
Bhala Daikho Toh Agar Ham Un Ko Barsoun Faaide Dete Rahain.

206
Phir Un Par Wo Azaab Aa Waaqe Ho Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Hai.

207
Toh Joh Faaide Ye Uthaate Rahe Hain Un Ke Kis Kaam Aayen Ge.

208
Aur Ham Ne Koi Basti Halaak Nahi Ki Magar Us Ke Liye Naseehat Karne Wale Pehle Bhaij Dete The.

209
Taa-Ake Naseehat Kar Dain, Aur Ham Zaalim Nahi Hain.

210
Aur Is Quraan Ko Shaitaan Le Kar Naazil Nahi Hue.

211
Ye Kaam Na Toh Un Ko Sazawaar Hai Aur Na Wo Is Ki Taaqat Rakhte Hain.

212
Wo Aasmani Baatoun Ke Sunn-Ne Ke Maqaamaat Se Alag Kar Diye Gaye Hain.

213
Toh Khuda Ke Siwa Kisi Aur Maabood Ko Mat Pukaarna,Warna Tum Ko Azaab Dia Jaye Ga.

214
Aur Apne Qareeb Ke Rishta Daaroun Ko Darr Suna Do.

215
Aur Joh Momin Tumhare Pairo Ho Gaye Hain, Un Se Matawaazeh(Balanced) Paish Aao.

216
Phir Agar Loug Tumhari Nafarmaani Karian Toh Keh Do Ke Main Tumhare Aamaal Se Be Taalluq Hoon.

217
Aur Khuda-E-Ghaalib Aur Meherbaan Par Bharosa Rakho.

218
Joh Tum Ko Jab Tum Tahajjud Ke Waqt Uthte Ho Daikhta Hai.

219
Aur Namaziyoun Main Tumhare Phirne Ko Bhi.

220
Be Shak Wo Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.

221
Acha Main Tumhain Bataoon Ke Shaitaan Kis Par Utarte Hain.

222
Har Jhoote Gunnehgaar Par Utarte Hain.

223
Joh Suni Hui Bat Us Ke Kaan Main La Daalte Hain Aur Wo Aksar Jhoote Hain.

224
Aur Shaairoun Ki Pairwi Gumraah Loug Kia Karte Hain.

225
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Wo Har Waadi Main Sar Maarte Phirte Hain.

226
Aur Kehte Wo Hain Joh Karte Nahi.

227
Magar Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Kiye Aur Khuda Ko Bohot Yaad Karte Rahe Aur Apne Oopar Zulm Hone Ke Baad Intiqaam Liya Aur Zaalim Anqareeb Jaan Lainge Ke Koun Si Jaga Lout Kar Jaate Hain.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!