Wednesday, 4 May 2016

28-Soorah-al-Qasas-Aayat-88




Soorah-Al-Qasas
Aayaat-88

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Tuaa Seen Meem.

2
Ye Kitaab-E-Roshan Ki Aayatain Hain

2
Ae Muhammad S.A.W. Ham Tumhain Moosa A.S. Aur Firown Ke Kuch Halaat Momin Lougon Ko Sunaane Ke Liye Sahee Sahee Sunaate Hain.

4
Keh Firown Ne Mulk Main Sar Utha Rakha Tha, Aur Wahan Ke Baashindoun Ko Giroh Giroh Bana Rakha Tha, Un Main Se Aik Guroh Ko Yahan Tak Kamzor Kar Dia Tha Ke Un Ke Baitoun Ko Zibaah Kar Daalta Aur Un Ki Larkiyoun Ko Zinda Rehne Deta. Beshak Wo Muffsidoun(Fisaad Paida Karne Walw) Main Tha.

5
Aur Ham Chahte The Ke Joh Loug Mulk Main Kamzor Kar Diye Gaye Hain Un Par Ehsaan Karain Aur Un Ko Paishwa Banayen Aur Unhain Mulk Ka Waaris Karain.

6
Aur Mulk Main Unko Qudrat Dain Aur Firown Aur Hamaan Aur Un Ke Lashkar Ko Wo Cheezain Dikha Dain Jis Se Wo Darte The.

7
Aur Ham Ne Moosa A.S. Ki Maan Ki Taraf Wahi Bhaiji, Ke Us Ko Doodh Pilaao, Jab Tum Ko Us Ke Bare Main Khud Khof Paida Ho, Toh Usse Darya Main Daal Dena Aur Na Toh Khof Karna Aur Na Ranj Karna. Ham Us Ko Tumhare Paas Wapas Pohoncha Dainge Aur Phir Usse Paigambar Bana Dainge.

8
Toh Firwon Ke Lougon Ne Us Ko Utha Liya, Is Liye Ke Natija Ye Hona Tha Ke Wo Un Ka Dushman Aur Un Ke Liye Moajjab-E-Gham Ho. Beshak Firwon Aur Hamaan Aur Un Ke Lashkar Chook Gaye.
9
Aur Firown Ki Biwi Ne Kaha Ke Ye Meri Aur Tumhri Dono Ki Aankhon Ki Thandak Hai Is Ko Qatal Na Karna. Shayad Ye Hamain Faaida Pohonchaye Ya Ham Isse Beta Bana Lain Aur Wo Anjaam Se Be Khabar The.

10
Aur Moosa A.S. Ki Maan Ka Dil Be Qaraar Ho Gaya, Agar Ham Un Ke Dil Mazboot Na Kar Dete Toh Qareeb Tha Ke Wo Is Qisse Ko Zahir Kar Dain.Gharz Ye Thi Ke Wo Mominoun Main Rahain.

11
Aur Us Ki Behen Se Kaha Ke Us Ke Peeche Peeche Chali Ja, Toh Wo Usse Door Se Daikhti Rahi Aur Un Lougon Ko Kuch Khabar Na Thi.

12
Aur Ham Ne Pehle Hi Se Us Par Daaiyoun Ke Doodh Haraam Kar Diye The. Toh Moosa A.S. Ki Behen Ne Kaha Ke Main Tumhain Aise Ghar Wale Bataoon, Ke Tumhare Liye Is Bache Ko Paalain Aur Is Ki Khair Kuahi Se Parwarish Karain.

13
Toh Ham Ne Is Tareeq Se Un Ko Un Ki Maan Ke Paas Wapas Pohoncha Dia Taa-Ake Un Ki Aankhain Thandi Houn Aur Wo Gham Na Khayen Aur Maaloom Karain Ke Khuda Ka Waada Sachha Hai, Lekin Ye Aksar Nahi Jaante.

14
Aur Jab Moosa A.S. Jawani Ko Pohonche Aur Bhar Poor Jawaan Ho Gaye Toh Ham Ne Un Ko Hikmat Aur Ilm Inayat Kia. Aur Ham Naiko Kaaroun Ko Aisa Hi Badla Dia
Karte Hain.

15
Aur Wo Aise Waqt Sheher Main Dakhil Hue Ke Wahan Ke Baashinde Be Khabar Ho Rahe The, Toh Daikha Ke Wahan Do Shakhs Lar Rahe Hain, Aik Toh Moosa A.S. Ki Qoum Ka Hai Aur Doosra Un Ke Dushmanoun Main Se, Toh Joh Shakh Un Ki Qoum Main Se Tha Us Ne Doosre Shakahs Ke Muqaable Main Joh Mooosa A.S. Ke Dushmanou Main Se Tha Madad Talab Ki Toh Un Houn Ne Us Ko Mukkka Maara Aur Us Ka Kaam Tamaam Kar Dia Kehne Lage Ke Ye Kaam Toh Aghwaaye Shaitaan Se Hua, Beshak Wo Insaan Ka Dushaman Aur Sareeh Behkaane Wala Hai.


16
Bole Ke Ae Parwardigar Main Ne Apne Aap Par Zulm Kia Tu Mujhe Bakhsh De Toh Khuda Ne Unko Bakhsh Di . Beshak Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

17
Kehne Lage, Ke Ae Parwardigar Tu Ne Joh Mujh Par Meherbani Farmaayee Hai, Main Aainda Kabhi Gunnehgaaroun Ka Madadgaar Na Banoonga.

18
Algarz Subh Ke Waqt Sheher Main Darte Darte Dakhil Hue, Ke Daikhain Kia Hota Hai, Toh Nagahaan Wo Hi Shakhs Jis Ne Kal Un Se Madad Maangi Thi Phir Un Ko Pukaar Raha Hai. Moosa A.S. Ne Us Se Kaha Ke Tu Toh Sareeh Gumrahi Main Hai.

19
Jab Moosa A.S. Ne Iraada Kia Ke Us Shaks Ko Joh Un Dono Ka Dushaman Tha Pakar Lain, Toh Wo Yaani Moosa A.S. Ki Qoum Ka Aadmi Boul Utha, Ke Jis Tarha Tum Ne Kal Aik Shaks Ko Maar Dala Tha, Ussi Tarha Chahate Ho Ke Mujhe Bhi Maar Daalo. Tum Toh Ye Hi Chahte Ho , Ke Mulk Main Zulm-O-Sitam Karte Phiro Aur Ye Nahi Chahte Ke Naiko Kaaroun Main Ho.

20
Aur Aik Shakhs Sheher Ki Parli Taraf Se Dourta Hua Aaya Aur Bola Ke Moosa A.S. Sheher Ke Rayees Tumhare Bare Main Salaahain Karte Hain,  Ke Tum Ko Maar Daalain,  So Tum Yahan Se Nikal Jao. Main Tumhara Khair Khuah Hoon.

21
Moosa A.S. Wahan Se Darte Darte Nikal Khare Hue Ke Daikhain Kia Hota Hai Aur Dua Karne Lage Ke Ae Parwardigar Mujhe Zaalim Lougon Se Nijaat De.

22
Aur Jab Madyan Ki Taraf Rukh Kia Toh Kehne Lage Umeed Hai Ke Mera Parwardigar Mujhe Seedha Rasta Bataye.

23
Aur Jab Madyan Ke Paani Ke Maqaam Par Pohonche Toh Daikha Ke Wahan Loug Jama Ho Rahe, Aur Apne Chaar Paaiyoun Ko Paani Pila Rahe Hain,  Aur Un Ke Aik Taraf Do Aurtain Apni Bakriyoun Ko Roke Khari Hain. Moosa A.S. Ne Un Se Kaha Tumahra Kia Kaam Hai. Wo Boleen Ke Jab Tak Charwahe Apne Chaarpaaiyoun Ko Le Na Jaayen Ham Paani Nahi Pila Sakte Aur Hamare Waalid Bari Umar Ke Boorhe Hain.

24
Toh Moosa A.S. Ne Un Ke Liye Bakriyoun Ko Paani Pila Dia, Phir Saaye Ki Taraf Chale Gaye. Aur Kehne Lage Ke Parwardigaar Main Is Ka Mohtaaj Hoon Ke Tu Mujh Par Apni Naimat Nazil Farmaye.

25
Thori Dair Ke Baad Un Main Se Aik Aurat Joh Sharmati Aur Lijaati Chali Aati Thi Moosa A.S. Ke Paas Aayee Aur Kehne Lagi,  Ke Tum Ko Mere Waalid Bulate Hain, Ke Tumne Joh Hamare Liye Paani Pilyaya Tha Us Ki Tum Ko Ujjrat Dain. Jab Wo Un Ke Paas  Aaye Aur Un Se Apna Maajra Bayan Kia Toh Unhoun Ne Kaha Ke Kuch Khof Na Karo. Tum Zalim Lougon Se Bach Aaye Ho.

26
Aik Larki Boli Ke Abba In Ko Nokar Rakh Lijiye, Kion Ke Behtar Nokar Joh Ap Rakhain Wo Hai, Joh Tawana Aur Amanat Daar Ho.

27
Unhoun Ne Moosa A.S. Se Kaha Ke Main Chahta Hoon Apni In Do Baitiyoun Main Se Aik Ko Tum Se Biyah Doon, Is Ehed Par Ke Tum Aath Bararas(8years) Meri Khidmat Karo, Aur Agar Daas Saal Poore Kar Do Toh Tumhari Taraf Se Ehsaan Aur Main Tum Par Takleef Daalni Nahi Chahta. Tum Mujhe Inshallah Naik Lougon Main Paao Ge.

28
Moosa A.S. Ne Kaha Ke Mujh Main Aur Aap Main Aik Ehed Pukhta Hua, Main Jonsi Muddat Chahoon Poori Kar Doon, Phir Mujh Par Koi Ziaadti Na Ho.Aur Ham Joh Moaahida Karte Hain Khuda Us Ka Gawah Hai.

29
Jab Moosa A.S. Ne Muddat Poori Kar Di Aur Apne Ghar Ke Lougon Ko Le Kar Chale Toh Toor Ki Taraf Se Aag Dikhaye Di, Toh Apne Ghar Waloun Se Kehne Lage Ke Tum Yahan Thehro. Mujhe Aag Nazar Aaye Hai Shayad Wahan Se Raaste Ka Kuch Pata Laaon, Ya Aag Ka Angaara Le Aaaon Taa-Ake Tum Toh Taapo.

30
Jab Us Ke Paas Pohonche Toh Maidaan Ke Daayen Kinare Se Aik Mubarak Jaga Main Aik Darakht Main Se Awaaz Aaye Ke Moosa A.S. Main Toh Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Hoon.



31
Aur Ye Ke Apni Lathi Dal Do. Jab Daikha Ke Wo Harkat Kar Rahi Hai Goya Saamp Hai, Toh Peeth Phair Kar Chal Diye Aur Peeche Murr Kar Bhi Na Daikha. Ham Ne Kaha Ke Moosa A.S. Aage Aao Aur Daro Mat Tum Aman Paane Waloun Main Ho.

32
Apna Hath Girebaan Main Dalo Toh Bagair Kisi Aib Ke Safaid Nikal Aaye Ga Aur Khof Door Hone Ki Waja Se Apne Baazu Ko Apni Taraf Sukair Lo . Ye Do Daleelain Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Hain, Un Ke Sath Firown Aur Us Ke Darbaariyoun Ke Paas Jaao Ke Wo Nafarmaan Loug Hain.

33
Moosa A.S. Ne Kaha Ae Parwardigar Un Main Aik Shakhs Mere Hath Se Qatal Ho Chukka Hai, So Mujhe Khof Hai Ke Wo Kahin Mujh Ko Maar Na Daalain.

34
Aur Haaroon A.S. Joh Mera Bhai Hai Us Ki Zabaan Mujh Se Ziada Faseeh Hai Tu Us Ko Mere Sath Madadgaar Bana Kar Bhaij Ke Meri Tasdeeq Kare Mujhe Khof Hai Ke Wo Loug Meri Takzeeb Karain Ge.

35
Khuda Ne Farmaya Ham Tumhare Bhai Se Tumhare Baazu Ko  Mazboot Karainge, Aur Tum Dono Ko Ghalba Dainge, Toh Hamrai Nishaniyoun Ke Sabab Wo Tum Tak Pohonch Na Sakain Ge Aur Tum Aur Jinhoun Ne Tumhari Pairwi Ki Ghalib Raho Ge.

36
Aur Jab Moosa A.S. Un Ke Paas Hamari Khuli Nishaniya Le Kar Aaye Toh Wo Kehne Lage Ke Ye Jaadu Hai, Joh Us Ne Bana Khara Kia Hai Aur Ye Baatain Ham Ne Apne Agle Bap Dada Main Toh Kabhi Suni Nahi.

37
Aur Mosa A.S. Ne Kaha Ke Mera Parawardigar Us Shaksh Ko Khoob Jaanta Hai, Joh Us Ki Taraf Se Haq Le Kar Aaya Hai, Aur Jis Ke Liye Aaqbat Ka Ghar Yaani Behshat Hai. Beshak Zalim Nijaat Nahi Paayen Ge.

38
Aur Firown Ne Kaha Ke Ae Ehl-E-Darbaar Main Tumhara Apne Siwa Kisi Ko Khuda Nahi Jaanta Toh Hamaan Mere Liye Gaare Ko Aag Lagwa Kar Eentain Paka Do Phir Aik Ooncha Mehel Banwa Do Taa-Ake Main Moosa A.S. Ke Khuda Ki Taraf Charh Jaaon Aur Main Toh Usse Jhooota Samajhta Hoon.

39
Aur Wo Aur Us Ke Lashkar Mulk Main Nahaq Maghroor Ho Rahe The Aur Khayal Karte The Ke Wo Hamari Taraf Lout Kar Nahi Aayenge.

40
Toh Ham Ne Un Ko Aur Un Ke Lashkaroun Ko Pakar Liya Aur Darya Main Daal Dia.So Daikh Lo Ke Zaalimoun Ka Kaisa Anjaam Hua.

41
Aur Ham Ne Un Ko Paishwa Banaya Tha, Wo Lougon Ko Dozakh Ki Taraf Bulate The Aur Qiamat Ke Din Un Ko Madad Nahi Ki Jaye Gi.

42
Aur Is Dunia Main Ham Ne Un Ke Peeche Laanat Laga Di, Aur Wo Qiamat Ke Roz Bhi Bad Haaloun Main Hounge.

43
Aur Ham Ne Pehli Ummatoun Ke Halak Karne Ke Baad Moosa A.S. Ko Kitaab Di,  Joh Lougon Ke Liye Baseerat Aur Hidayat Aur Rehmat Hai Taa-Ake Wo Naseehat Pakrain.

44
Aur Jab Ham Ne Moosa A.S. Ki Taraf Hukum Bhaija Toh Tum Toor Ki Gharab Ki Taraf Nahi The Aur Na Us Waaqeiye Ke Daikhne Waloun Main The.

45
Lekin Ham Ne Moosa A.S. Ke Baad Kai Ummatoun Ko Paida Kia Phir Un Par Muddat-E-Taweel Guzar Gai Aur Na Tum Madyan Waloun Main Rehne Wale The Ke In Ko Hamari Aayatain Parh Parh Kar Sunate The .Haan Ham Hi Toh Paigambar Bhaijne Wale The.

46
Aur Na Tum Us Waqt, Jab Ke Ham Ne Moosa A.S. Ko Awaaz Di Toor Ke Kinaare The, Balke Tumahra Bhaija Jaana Tumhare Parwardigar Ki Rehmat Hai, Taa-Ake Tum Un Lougon Ko Jin Ke Paas Tum Se Pehle Koi Hidayat Karne Wala Nahi Aaya Hidayat Karo Taa-Ake Wo Naseehat Pakrain.

47
Aur Ae Paigambar S.A.W. Ham Ne Tum Ko Is Liye Bhaija Hai Ke Aisa Na Ho Ke Agar In Aamaal Ke Sabaab Joh Un Ke Hath Aage Bhaij Chuke Hain Un Par Koi Museebat Waaqe Ho, Toh Ye Kehne Lagain Ke Ae Parwardigar Tu Ne Hamari Taraf  Koi Paigambar Kion Na Bhaija Ke Ham Teri Aayatoun Ki Pairwi Karte Aur Eemaan Laane Waloun Main Hote.
48
Phir Jab Un Ke Pas Hamari Taraf Se Haq Aa Pohoncha Toh Kehne Lage Ke Jaisi Nishaniyan Moosa A.S. Ko Mili Theen, Waisi Is Ko Kion Nahi Milee. Kia Joh Nishaniyan Pehle Moosa A.S. Ko Di Gai Theen Unhoun Ne Un Se Kufur Nahi Kia,  Kehne Lage Ke Dono Jaadu Gar Hain Aik Dooser Ke Mawafiq .Aur Bole Ke Ham Sab Se Munkir Hain.

49
Keh Do Ke Agar Sache Ho Toh Tu Khuda Ke Paas Se Koi Aur Kitaab Le Aao Joh In Dono Kitaaboun Se Barh Kar Hidayat Karne Wali Ho. Taa-Ake Main Bhi Ussi Ki Pairwi Karoon.

50
Phir Agar Ye Tumhari Baat Qabool Na Karain,  Toh Jaan Lo Ke Ye Sirf Apni Khuahishoun Ki Pairwi Karte Hain. Aur Us Se Ziada Koun Gumraah Hoga Joh Khuda Ki Hidayat Ko Chor Kar Apni Khuahish Ke Peeche Chale. Beshak Khuda Zaalim Lougn Ko Hidayat Nahi Deta.

51
Aur Ham Pae Dar Pae Un Lougon Ke Paas Hidayat Ki Batain Bhaijte Rahe Hain Taa-Ake Naseehat Pakrain.

52
Jin Lougon Ko Ham Ne Is Se Pehle Kitaab Di Thi, Wo Us Par Eemaan Le Aate Hain.

53
Aur Jab Quraan Un Ko Parh Kar Sunaya Jata Hai Toh Kehte Hain Ke Ham Is Par Eemaan Le Aaye Be Shak Wo Hamare Parwardigar Ki Taraf Se Bar Haq Hai Aur Ham Toh Is Se Pehle Ke Hukum Bardar Hain.

54
Un Lougon Ko Dugna Badla Dia Jaye Ga,  Kion Ke Sabar Karte Rahe Hain Aur BhalayEe Ke Sath Burai Ko Door Karte Hain Aur Joh Maal Ham Ne Un Ko Dia Hai Is Main Se Kharch Karte Hain.

55
Aur Jab Yahood Baat Sunte Hain Toh Is Main Moonh Phair Lete Hain Aur Kehte Hain Ke Ham Ko Hamare Aamaal Aur Tum Ko Tumhare Aamal. Tumko Salam .Ham Jaahiloun Ke Khuaastgaar Nahi Hain.



56
Ae Muhammad S.A.W. Tum Jis Ko Dost Rakhte Ho Usse Hiddayat Nahi Kar Sakte,  Balke Khuda Hi Jis Ko Chahta Hai Hidayat Karta Hai Aur Wo Hidayat Paane Waloun Ko Khoob Jaanta Hai.

57
Aur Kehte Hain Ke Agar Ham Tumhare Sath Hidayat Ki Pairwi Karain,  Toh Apne Mulk Se Uchak Liye Jaayen. Kia Ham Ne Un Ko Haram Main Joh Aman Ka Maqaam Hai Jaga Nahi Di. Jahan Har Qisam Ke Mewe Pohonchaye Jate Hain Aur Ye Rizq Hamari Taraf Se Hai Lekin Un Main Se Aksar Nahi Jaante.

58
Aur Ham Ne Bohot Si Bastiyoun Ko Halak Kar Daala Joh Apni Faraakh Maeeshat Main Ittra Rahe The. So Ye Un Ke Makanaat Hain Joh Un Ke Baad Aabaad Hi  Nahi Hue,  Magar Bohot Kam. Aur Un Ke Peeche Ham Hi Un Ke Waris Hue.

59
Aur Tumhara Parwardigar Bastiyoun Ko Halak Nahi Kia Karta. Jab Tak Un Ke Bare Sheher Main Paigamabar Na Bhaij De, Joh Un Ko Hamari Aayatain Parh Parh Kar Sunaye Aur Ham Bastiyoun Ko Halak Nahi Kia Karte, Magar Is Halat Main Ke Wahan Ke Baashinde Zalim Houn.

60
Aur Joh Cheez Tum Ko Di Gai Hai Wo Dunia Ki Zindagi Ka Faaida Aur Us Ki Zeenat Hai. Aur Joh Khuda Ke Paas Hai Wo Behtar Aur Baqi Rehne Wali Hai. Kia Tum Samajhte Nahi?

61
Bhala Jis Shakhs Se Ham Ne Naik Waada Kia Aur Us Ne Usse Hasil Kar Liya Toh Kia Wo us Shakhs Ka Sa Hai, Jis Ko Ham Ne Dunia Ki Zindagi Ke Faaide Se Behra Mand Kia, Phir Wo Qiamat Ke Roz Un Lougon Main Ho Joh Hamare Ru Baru Hazir Kiye Jayen Ge.

62
Aur Jis Roz Khuda Un Ko Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Wo Shareek Kahan Hain Jin Ka Tumhain Daawa Tha.






63
Toh Jin Lougon Par Azaab Ka Hukum Saabit Ho Chukka Hoga, Wo Kahain Ge Ke Hamare Parwardigar Ye Wo Loug Hain, Jin Ko Ham Ne Gummrah Kia Tha. Aur Jis Tarha Ham Khud Gumrah Hue The, Ussi Tarha Un Ko Gumraah Kia Tha Ab Ham Teri Taraf Muttwajoh Ho Kar, Un Se Baizaar Hote Hain Ye Hamain Poojte The.

64
Aur Kaha Jaye Ga Ke Apne Shareekoun Ko Bulaao. Toh Wo Un Ko Pukaarain Ge Aur Wo Un Ko Jawab Na De Sakain Ge Aur Jab Azaab Ko Daikh Lainge Toh Tammana Karain Ge Ke Kaash Wo Hidayat Yaab Hote.

65
Aur Jis Roz Khuda Un Ko Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Tum Ne Paigambaroun Ko Kia Jawab Dia.

66
Toh Wo Us Roz Khabroun Se Andhe Ho Jaye Ge, Aur Apas Main Kuch Bhi Pooch Na Sakainge.

67
Lekin Jis Ne Touba Ki Aur Eemaan Laaya Aur Amal-E-Naik Kiye Toh Umeed Hai Ke Wo Nijaat Paane Waloun Main Ho.

68
Aur Tumhara Parwardigar Joh Chahata Hai Paida Karta Hai Aur Jisse Chahta Hai Barguzeeda Kar Leta Hai. Un Ko Is Ka Ikhtiyaar Nahi Hai. Ye Joh Shirk Karte Hain Khuda Us Se Paak-O-Balatar Hai.

69
Aur Un Ke Seene Joh Kuch Makhfi Karte Aur Joh Ye Zahir Karte Hain Tumhara Parwardigar Us Ko Jaanta Hai.

70
Aur Wo Hi Khuda Hai Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi Dunia Aur Aakhrat Main Ussi Ki Taareef Hai Aur Ussi Ka Hukum Aur Ussi Ki Taraf Tum Loutaye Jaao Ge.

71
Kaho Bhala Daikho Toh Aagar Khuda Tum Par Hamesha Qiamat Ke Din Tak Raat Ki Taareeki Kiye Rahe, Toh Khuda Ke Siwa Koun Maabood Hai Joh Tum Ko Roshni Laa De, Toh Kia Tum Sunte Nahi.

72
Kaho Toh Bhala Daikho Toh Agar Khuda Tum Par Hamesha Qiamat Tak Din Kiye Rahe Toh Khuda Ke Siwa Koun Maabood Hai Ke Tum Ko Raat La De, Jis Main Tum Araam Karo. Toh Kia Tum Daikhte Nahi?

73
Aur Us Ne Apni Rehmat Se Tumhare Liye Raat Ko Aur Din Ko Banaya Taa-Ake Tum Us Main Araam Karo Aur Us Main Us Ka Fazal Talash Karo Aur Taa-Ake Shukar Karo.

74
Aur Jis Din Wo Un Ko Pukare Ga Aur Kahe Ga Ke Mere Wo Shareek Jin Ka Tumhain Daawa Tha Kahan Hain?

75
Aur Ham Har Aik Ummat Main Se Gawaah Nikaal Lainge, Phir Kahainge Ke Apni Daleel Paish Karo, Toh Wo Jaan Lainge Ke Sach Baat Khuda Ki Hai Aur Joh Wo Iftiraa Kia Karte The Un Se Jaata Rahe Ga.

76
Qaaroon Moosa A.S. Ki Qoum Main Se Tha Aur Un Par Taa-ddi Karta Tha. Aur Ham Ne Us Ko Itne Khazane Diye The Ke Un Ki Kunjiyaan Aik Taaqatwar Jamaat Ko Uthaani Mushkil Hoteen, Jab Us Se Us Ki Qoum Ne Kaha Ke Ittraaiye Mat .Keh Khuda Ittraane Waloun Ko Pasand Nahi Karta.

77
Aur Joh Maal Tum Ko Khuda Ne Ata Farmaya Hai Us Se Aakhrat Ki Bhalayee Talab Kijiye Aur Dunia Se Apna Hissa Na Bhulaaiye Aur Jaisi Khuda Ne Tum Se Bhalai Ki Hai Waisi Tum Bhi Lougon Se Bhalayee Karo. Aur Mulk Main Taalib-E-Fisaad Na Ho. Kion Ke Khuda Fisaad Karne Walun Ko Dost Nahi Rakhta.

78
Bola Ke Ye Maal Mujhe Meri Daanish Ke Zor Se Mila Hai,  Kia Us Ko Maaloom Nahi Ke Khuda Ne Is Se Pehle Bohot Si Ummatain Joh Us Se Quwwat Main Barh Kar Aur Jameeyat Main Baishtar Theen Haalk Kar Daali Hain Aur Gunnehgaaroun Se Un Ke Gunnahoun Ke Bare Main Poocha Nahi Jayega.





79
Toh Aik Roz Qaaroon Bari Aaraaish Aur Thaath Se Apni Qoum Ke Saamne Nikl . Joh Loug Dunia Ki Zindagi Ke Taalib The Kehne Lage Ke Jaisa Maal-O-Mataa Qaroon Ko Mila Hai Kaash Aisa Hi Hamain Bhi Mile. Wo Toh Bara Hi Sahib-E-Naseeb Hai.

80
Aur Jin Lougon Ko Ilm Dia Gaya Tha Wo Kehne Lage Ke Tum Par Afsos .Mominoun Aur Naiko Kaaroun Ke Liye Toh Sawab Khuda Ke Haan Taiyaar Hai, Wo Kahin Behtar Hai Aur Wo Sirf Sabar Karne Waloun Hi Ko Mile Ga.

81
Pas Ham Ne Qaaroon Ko Aur Us Ke Ghar Ko Zameen Main Dhanasa Dia Toh Khuda Ke Siwa Koi Jamaat Us Ki Madadgaar Na Ho Saki. Aur Na Wo Badla Le Saka.

82
Aur Wo Loug Joh Kal Us Ke Rutbe Ki Tammanna Karte The,  Subho Ko Kehne Lage Haaye Shamat!  Khuda Hi Toh Apne Bandoun Main Se Jis Ke Liye Chahta Hai Rizq Faraaakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahta Hai Tang Kar Deta Hai. Agar Khuda Ham Par Ehsaan Na Karta, Toh Hamain Bhi Dhansa Deta. Haaye Kharabi!  Kaafir Nijaat Nahi Paa Sakte.

83
Wo Joh Aakhrat Ka Ghar Hai Ham Ne Usse Un Louogn Ke Liye Taiyaar Kar Rakha Hai Joh Mulk Main Zulm Aur Fisaad Ka Iraada Nahi Rakhte Aur Anjaam Naik Toh Parhaizgaaroun Hi Ka Hai.

84
Joh Shakhs Naiki Le Kar Aaye Ga Us Ke Liye Is Se Behtar Sila Mojood Hai Aur Joh Buraaiye Laaye Ga,  Toh Jin Lougon Ne Bure Kaam Kiye Un Ko Badla Bhi Ussi Tarha Ka Mile Ga Jis Tarha Ke Wo Kaam Karte The.

85
Ae Paigambar S.A.W. Jis Khuda Ne Tum Par Quraan Ke Ehkaam Ko Farz Kia Hai Wo Tumhain Baazgasht Ki Jaga Louta De Ga. Keh Do Ke Mera Parwardigar Us Shaksh Ko Bhi Khoob Jaanta Hai, Joh Hidayat Le Kar Aaya Aur Us Ko Bhi Joh Sareeh Gumraahi Main Hai.

86
Aur Tumhain Umeed Na Thi Ke Tum Par Ye Kitaab Nazil Ki Jaye Gi.Magar Tumhare Parwardigar Ki Meherbaani Se Naazil Hui Toh Tum Har Gizz Kaafiroun Ke Madadgar Na Hona.
87
Aur Wo Tumhain Khuda Ki Aayatoun Ki Tableegh Se, Baad Is Ke Keh Wo Tum Par Nazil Ho Chuki Hai,  Rok Na Dain Aur Apne Parwardigar Ko Pukarte Raho Aur Mushrikoun Main Har Gizz Na Ho Jaaiyo.

88
Aur Khuda Ke Sath Kisi Aur Ko Maabood  Samajh Kar Na Pukarna Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi. Us Ki Zaa-E- Paak Ke Siwa Har Cheez Fana Hone Wali Hai. Ussi Ka Hukum Hai Aur Ussi Ki Taraf Tum Lout Kar Jaaoge.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!