Soorah Ta-Ha
Aayaat 135
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ta Ha
2
Ae Muhammad S.A.W. Ham
Ne Tum Par Quraan Is Liye Nazil Nahi Kia Keh Tum Mushaqqat Main Par Jaao.
3
Balke Us Shakhs Ko
Nasheehat Dene Ke Liye Nazil Kia Hai Joh Khof Rakhta Hai.
4
Yeh Us Zaat Ka Utara
Hua Hai, Jis Ne Zameen Aur Oonche Oonche Aasmaan Banaye.
5
Yaani Khuda-E-Rehmaan,
Jis Ne Arsh Par Qaraar Pakra.
6
Joh Kuch Aasmaanoun
Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Aur Joh Kuch In Dono Ke Beech Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Ki Maatti Ke Neeche Hai Sab
Ussi Ka Hai.
7
Aur Agar Tum Pukaar
Kar Baat Kaho, Toh Wo Toh Chupe Bhaid Aur Nihayat Posheeda Baat Tak Ko Jaanta
Hai.
8
Wo Maabood Bar Haq Hai,
Ke Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi Hai. Us Ke Sab Naam Ache Hain.
9
Aur Kia Tumhain Moosa
Ke Haal Ki Khabar Mili Hai.
10
Jab Unhoun Ne Aag Daikhi
Toh Apne Ghar Ke Lougon Se Kaha, Keh Tum Yahan Thehro Main Ne Aag Daikhi Hai,
Main Wahan Jata Hoon Shayad Is Main Se Main Tumhare Paas Angaari Laaon, Ya Aag
Ke Maqaam Ka Rasta Maloom Kar Sakoon.
11
Jab Wahan Pohonche Toh
Awaaz Aaye Ke Mossa.
12
Main Toh Tumhara
Parwardigar Hoon, Toh Apni Jootiyan Utaar Do. Tum Yahan Paak Maidaan Yaani
Toowa Main Ho.
13
Aur Main Ne Tumko
Intikhaab Kar Lia Hai, Toh Joh Hukum Dia Jaye Usse Suno.
14
Be Shak Main Hi Khuda
Hoon. Mere Siwa Koi Maabood Nahi Toh Meri Ibadat Kia Karo Aur Meri Yaad Ke Liye
Namaaz Parha Karo.
15
Qiamat Yaqeenan Aane
Wali Hai. Main Chahta Hoon Ke Us Ke Waqt Ko Posheeda Rakhoon, Taa-Ake Har
Shakhs Joh Koshish Kare, Us Ka Badla Paaye.
16
Toh Joh Shakh Is Par
Eemaan Nahi Rakhta Aur Apni Khuahish Ke Peeche Chalta Hai, Kahin Tum Ko Us Ke
Yaqeen Se Rok Na De Toh Is Soorat Main Tum Halaak Ho Jao.
17
Aur Moosa Ye Tumhare
Daahne Hath Main Kia Hai.
18
Unhoun Ne Kaha Ye Meri
Laathi Hai. Is Par Main Sahara Lagata Hoon Aur Is Se Apni Bakriyoun Ke Liye Patte
Jhaarta Hon Aur Is Main Mere Aur Bhi Kai Faaide Hain.
19
Farmaya Ke Moosa Ise
Daal Do.
20
Toh Unhoun Ne Us Ko
Daal Dia, Aur Wo Nagahaan Saamp Ban Kar Dorne Laga.
21
Khuda Ne Farmaya Ke
Isse Pakar Lo Aur Darna Mat. Ham Is Ko Abhi Is Ki Pehli Halat Main Louta
Dainge.
22
Aur Apna Hath Apni Baghal
Se Laga Lo Wo Kisi Aib-O-Bimari Ke Bagair Safaid Chamakta Damakta Nikle Ga. Ye
Doosri Nishani Hai.
23
Taa-Ake Ham Tumhain
Apne Nishaanat-E-Azeem Dikhayen.
24
Tum Firown Ke Paas
Jaao Keh Wo Sarkash Ho Raha Hai.
25
Kaha Mere Parwardigar
Is Kaam Ke Liye Mera Seena Khol De.
26
Aur Mera Kaam Asaan
Kar De.
27
Aur Meri Zabaan Ki
Girrah Khol De.
28
Taa-Ake Wo Meri Baat
Samajh Lain.
29
Aur Mere Ghar Waloun
Main Se Aik Ko Mera Wazeer Yaani Madadgaar Muqarrar Farma.
30
Yaani Mere Bhai Haroon
Ko.
31
Us Se Meri Quwwat Ko
Mazboot Kar.
32
Aur Isse Mere Kaam
Main Shareek Kar.
33
Taa-Ake Ham Teri Bohot
Si Tasbeeh Karain.
34
Aur Tujhe Kasrat Se
Yaad Karain.
35
Tu Ham Ko Har Haal
Main Daikh Raha Hai.
36
Farmaya Moosa Tumhari
Dua Qabool Ki Gai.
37
Aur Ham Ne Tum Par,
Aik Baar Aur Bhi Ehsaan Kia Tha.
38
Jab Ham Ne Tumhari
Walda Ko Ilhaam Kia Tha Joh Tumhain Bataya Jata Hai.
39
Wo Ye Tha Ke Usse Yani
Moosa Ko Sandooq Main Rakho Phir Is Sandooq Ko Darya Main Daal Do, Toh Darya Is
Ko Kinare Par Daal De Ga, Aur Mera Aur Us Ka Dushman Usse Utha Le Ga. Aur Moosa
Main Ne Tum Par Apni Taraf Se Mohabbat Daal Di Hai, Is Liye Ke Tum Par
Meherbaani Ki Jaye, Aur Is Liye Ke Tum Mere Saamne Parwarish Paao.
40
Jab Tumhari Behen
Firown Ke Haan Gai Aur Kehne Lagi Ke Main Tumhain Aisa Shakhs Bataoon, Joh Us
Ko Pale. Toh Is Tareeq Se Hamne Tumo Tumhari Maa Ke Pas Pohoncha Dia, Taa-Ake Un
Ki Aankhain Thandi Houn Aur Wo Ranj Na Karian. Aur Tum Ne Aik Shakhs Ko Maar
Daala Toh Ham Ne Tumko Gham Se Mukhlasi Di, Aur Ham Ne Tumhari Kai Baar
Aazmaaish Ki. Phir Tum Kai Saal Ehl-E-Madeen Main Thehre Rahe. Phir Ae Moosa
Tum Qaabliyat-E-Risaalat Ke Andaaze Par Aa Pohonche.
41
Aur Main Ne Tum Ko
Apne Kaam Ke Liye Banaya Hai.
42
Toh Tum Aur Tumhara
Bhai Dono Hamari Nishaniyan Le Kar Jaao, Aur Meri Yaad Main Sussti Na Karna.
43
Dono Firown Ke Paas
Jao Wo Sarkahs Ho Raha Hai.
44
Aur Us Se Narmi Se Baat
Karna Shayad Wo Gour Kare Ya Dar Jaye.
45
Dono Kehne Lage Ke,
Hamare Parwardigar Hamain Khof Hai, Ke Ham Par Taa-Addi Karne Lage Ya Ziada
Sarkash Ho Jaye.
46
Khuda Ne Farmaya Ke
Daro Mat Main Tumhare Sath Hoon Aur Sunta Aur Daikhta Hon.
47
Acha Toh Us Ke Paas
Jao Aur Kaho Ke Ham Aap Ke Parwardigar Ke Bhaije Hue Hain, Toh Bani Israail Ko
Hamare Sath Jaane Ki Ijazat Dijieye. Aur Unhain Azaab Na Kijiye. Ham Aap Ke
Paas Aap Ke Parwardigar Ki Taraf Se Nishani Le Kar Aaye Hain. Aur Joh
Hidayat Ki Baat Maane Us Ko Salamti Ho.
48
Hamari Taraf Ye Wahi
Aaye Hai, Ke Joh Jhutlaye Aur Moonh Phaire, Us Ke Liye Azaab Taiyaar Hai.
49
Gharz Moosa Aur Haroon
Firown Ke Paas Gaye Us Ne Kaha Ke Moosa Tumhara Parwardigar Koun Hai?
50
Kaha Keh Hamara
Parwardigar Wo Hai Jis Ne Har Cheez Ko Us Ki Shakal-O-Soorat Bakhshi Phri Raah
Dikhayee.
51
Kaha Toh Pehli
Jamaatoun Ka Kia Haal?
52
Kaha Keh Un Ka Ilm
Mere Parwardigar Ko Hai Joh Kitaab Main Likha Hua Hai. Mere Parwardigar Na
Chookta Hai Na Bhoolta Hai.
53
Wo Hi Toh His Jis Ne
Tum Logoun Ke Liye Zameen Ko Farsh Banaya, Aur Us Main Tumhare Liye Raste Jaari
Kiye Aur Aasmaan Se Paani Barsaya. Phir Us Se Anwaa-O-Iqsaam Ki Mukhtalif
Rooidgiyaan Paida Ki.
54
Ke Khud Bhi Khaao Aur
Apne Chaar Paaiyoun Ko Bhi Charao. Beshak In Batoun Main Aqal Waaloun Ke Liye
Bohot Si Nishaaniyan Hain.
55
Issi Zameen Se Ham Ne
Tumko Paida Kia Aur Issi Main Tumhain Loutaayen Ge Aur Isse Se Doosri Dafa
Nikaalian Ge.
56
Aur Ham Ne Firown Ko
Apni Sab Nishaniyan Daikhayee Magar Wo Takzeeb Aur Inkar Hi Karta Raha.
57
Kehne Laga Ke Moosa
Kia Tum Hamare Paas Is Liye Aaye Ho Ke Apne Jaado Ke Zor Se Hamain Hamre Mulk
Se Nikaal Do.
58
Toh Ham Bhi Tumhare
Muqabil Aisa Hi Jaado Laayen Ge, Toh Hamare Aur Apne Darmiyan Aik Waqt Muqarrar
Kar Lo, Ke Na Toh Ham Us Ke Khilaf Karain Aur Na Tum Aur Ye Muqabla Aik Hamwaar
Maidaan Main Hoga.
59
Moosa Ne Kaha Aap Ke
Liye Youm-E-Zeenat Ka Waada Hai Aur Yeh Ke Loug Us Din Chaasht Ke Waqt Ikhatte
Ho Jayen.
60
Toh Firown Lout Gaya Aur Apne Samaan Jama
Kar Ke Phir Aaya.
61
Moosa Ne Un Jaadoo
Garoun Se Kaha Ke Haaye Tumhari Kambakhti. Khuda Par Jhooti Iftiraa Na Karo Ke
Wo Tumhain Azaab Se Fana Kar De Ga, Aur Jis Ne Iftiraa Kia Wo Na Muraad Raha.
62
Toh Wo Baham Apne
Moaamle Main Jhagarne Aur Chupke Chupke Sargoshi Karne Lage.
63
Kehne Lage Ye Dono
Jaadoo Gar Hain, Chahte Hain Ke Apne Jaado Ke Zor Se Tum Ko Tumhare Mulk Se
Nikaal Dain Aur Tumhare Shaaishta Mazhab Ko Nabood Kar Dain.
64
Toh Tum Jaado Ka
Samaan Ikhata Kar Lo, Aur Phir Qataar Baandh Kar Aao. Aaj Joh Ghaalib Raha Wo
Hi Kamyab Hua.
65
Bole Ke Moosa Ya Toh
Tum Apni Cheez Dalo Ya Ham Apni Cheezain Pehle Daalte Hain.
66
Moosa Ne Kaha Nahi Tum
Hi Daalo. Jab Unhoun Ne Cheezain Daali Toh Nagaahan Un Ki Rassiyan Aur
Laathiyaan Moosa Ke Khiyal Main Aisi Aane Lagee Ke Wo Maidaan Main Idhar Udhar
Dour Rahi Hain.
67
Us Waqt Mosa Ne Apne
Dil Main Khof Maloom Kia.
68
Ham Ne Kaha Khof Na
Karo, Bila Shuba Tum Hi Ghaalib Ho.
69
Aur Joh Cheez Yaani
Laathi Tumhare Daahne Hath Main Hai Usse Daal Do, Ke Joh Kuch Unhoun Ne Banaya
Hai Us Ko Nigal Jaye Gi. Joh Kuch Unhoun Ne Banaya Hai Ye Toh Jaadoo Garoun Ke
Hathkande Hain, Aur Jaado Gar Jahan Jaye Falah Nahi Paaye Ga.
70
Alqissa Youn Hi Hua,
Toh Jadoogar Sajde Main Girr Pare Aur Kehene Lage Ke Ham Moosa Aur Haroon Ke
Parwardigar Par Eemaan Laye.
71
Firown Bola Ke
Paishtar Is Ke Main Tumhian Ijazat Doon, Tum Us Par Eemaan Le Aaye. Be Sak Wo
Tumhara Bara Yaani Ustaad Hai Jis Ne Tumko Jaado Sikhaya Hai. So Main Tumahre
Hath Aur Paaon Jaanib-E-Khilaf Se Katwa Doonga Aur Khajoor Ke Tannoun Par Sooli
Charhwa Doonga, Us Waqt Tumko Maloom Hoga, Ke Ham Main Se Kis Ka Azaab Ziada
Sakht Aur Dair Tak Rehne Wala Hai.
72
Unhoun Ne Kaha Ke Joh
Dalaail Hamare Paas Aa Gaye Hain Un Par, Aur Jis Ne Hamko Paida Kia Hai Us Par,
Ham Aap Ko Har Gizz Tarjeeh Nahi Dainge, Toh Aap Ko Joh Hukum Daina Ho De
Deijiey. Aur Aap Joh Hukum De Sakte Hain Wo Sirf Issi Dunia Ki Zindagi Main De
Sakte Hain.
73
Ham Apne Parwardigar
Par Eemaan Le Aaye Taa-Ake Wo Hamare Gunnahoun Ko Moaaf Kare, Aur Usse Bhi Joh
Aap Ne Ham Se Zabardasti Jaado Karaya. Aur Khuda Behtar Aur Baaqi Rehne Wala
Hai.
74
Joh Shakhs Apne
Parwardigar Ke Paas Gunnehgaar Ho Kar Aaye Ga, Toh Us Ke Liye Jahannum Hai. Jis
Main Na Mare Ga Na Jiye Ga.
75
Aur Joh Us Ke Ru Baru
Eemaandar Ho Kar Aaye Ga Aur Amal Bhi Naik Kiye Hounge, Toh Aise Logoun Ke Liye
Oonche Oonche Darje Hain.
76
Yaani Hamesha Rehne Ke
Baagh, Jinn Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain. Hamesha Un Main Rahian Ge. Aur Ye
Us Shakhs Ka Badla Hai Joh Paak Hua.
77
Aur Ham Ne Moosa Ki
Taraf Wahi Bhaiji, Ke Hamre Bandoun Ko Raatoun Raat Nikaal Le Jao, Phir Un Ke
Liye Darya Main Laathi Maar Kar Khushk Rasta Bana Do, Phir Tumko Na Toh Firown
Ke Aa Pakarne Ka Khof Hoga Aur Na Gharq
Hone Ka Dar.
78
Phir Firown Ne Apne
Lashkar Ke Sath Un Ka Taaqqub Kia Toh Darya Ki Mojoun Ne Un Par Charh Kar
Unhain Dhaank Liya Yaani Dibo Dia.
79
Aur Firown Ne Apni
Qoum Ko Gumraah Kar Dia Aur Seedhe Raste Par Na Daala.
80
Ae Aal-E-Yaqoob Ham Ne
Tum Ko Tumhare Dushman Se Nijaat Di, Aur Touraat Dene Ke Liye Tum Se Koh-E-Toor
Ki Daahni Taraf Muqarrar Ki, Aur Tum Par Man-O-Salwa Naazil Kia.
81
Aur Hukum Dia Ke Joh
Paakeeza Cheezain Ham Ne Tumhain Di Hain, Un Ko Khaao. Aur Un Main Had Se Na
Nikalna .Warna Tum Par Mera Ghazab Nazil Hoga. Aur Jis Par Mera Azaab Nazil Hua
Wo Halaak Ho Gaya.
82
Aur Joh Touba Kare Aur
Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Kare, Phir Seedhe Raste Chale Us Ko Main Bakhash
Dene Wala Hoon.
83
Aur Ae Moosa Tum Ne
Apni Qoum Se Aage Chale Aane Main Kion Jaldi Ki.
84
Kaha Wo Mere Peeche Aa
Rahe Hain Aur Ae Parwardigar Main Ne Teri Taraf Aane Ki Jaldi Is Liye Ki Ke Tu
Khush Ho.
85
Farmaya Ke Ham Ne
Tumhari Qoum Ko, Tumhare Baad Aazmaaish Main Daal Dia Hai, Aur Saamri Ne Unko
Behka Dia Hai.
86
Aur Moosa Ghusse Aur
Gham Ki Halat Main Apni Qoum Ke Paas Wapas Aaye, Aur Kehne Lage Ke Ae Qoum Kia
Tumhare Parwardigar Ne Tum Se Acha Waada Nahi Kia Tha, Kia Meri Judai Ki Muddat
Tumhain Daraaz Maloomm Hui Ya Tum Ne Chaha Ke Tum Par Tumhare Parwardigar Ki
Taraf Se Ghazab Nazil Ho. Aur Is Liye Tum Ne Mujh Se Jo Waada Kia Tha Us Ke
Khilaaf Kia.
87
Wo Kehne Lage Ke Ham
Ne Apne Ikhtiyar Se Tum Se Waada Khilaf Nahi Kia. Balke, Ham Lougon Ke
Zaiwaroun Ka Bojh Uthaye Hue The. Phir Ham Ne Un Ko Aag Man Daal Diya Aur Ussi
Tarha Saamri Ne Daal Dia.
88
Toh Us Ne Un Ke Liye
Aik Bachra Bana Dia, Yaani Us Ka Qaalib, Jis Ki Awaaz Gaaye Ki Si Thi. Toh Loug
Kehne Lage Ke Ye Hi Tumhara Maabood Hai Aur Ye Hi Mooosa Ka Maabood Hai. Magar
Wo Bhool Gaye Hain.
89
Kia Ye Loug Nahi
Daikhte Ke Wo Un Ki Kisi Baat Ka Jawab Nahi Deta. Aur Na Un Ke Nuqsaan Aur Nafa
Ka Kuch Ikhtiyaar Rakhta Hai.
90
Aur Haroon Ne Un Se
Pehle Hi Keh Dia Tha, Ke Lougo Is Se Sirf Tumhari Aazmaasih Ki Gai Hai. Aur
Tumhara Parwardigar Toh Khdua Hai, Toh Meri Pairwi Karo Aur Mera Kaha Maano.
91
Wo Kehne Lage Ke, Jab Tak
Moosa Hamare Paas Wapas Na Aayen Ham Toh Us Ki Pooja Par Qaaim Rahain Ge.
92
Phir Moosa Ne Haroon
Se Kaha Ke Haroon Jab Tum Ne Unko Daikha Tha Ke Gumrah Ho Gaye Hain, Toh Tumko
Kis Cheez Ne Roka.
93
Yaani Is Baat Se Ke
Tum Mere Peeche Chale Aao.Bhala Tum Ne Mere Hukum Ke Khilaaf Kion Kia?
94
Kehne Lage Ke Bhaai
Meri Daarhi Aur Sar Ke Baaloun Ko Na Pakariye. Main Toh Is Se Dara, Ke Aap Ye
Na Kahain, Ke Tum Ne Bani Israail Main Taffarqa Daal Dia, Aur Meri Baat Ko
Malhooz Na Rakha.
95
Phir Saamri Se Kehne
Lage Ke Samri Tera Kia Haal Hai?
96
Us Ne Kaha Ke Main Ne
Aisi Cheez Daikhi Joh Auron Ne Nahi Daikhi, Toh Main Ne Farishte Ke Naqsh-E-Pa
Se Matti Ki Aik Muthi Bhar Li. Phir Us Ko Bachre Ke Qaalib Main Daal Dia Aur
Mujhe Mere Ji Ne Is Kaam Ko Acha Bataya.
97
Moosa Ne Kaha Ja Tujh
Ko Dunia Ki Zindagi Main Ye Saza Hai, Ke Kehta Rahe Ke Mujh Ko Hath Na Lagana
Aur Tere Liye Aik Aur Waada Hai, Yaani Azaab Ka, Joh Tujh Se Tall Na Sake Ga
Aur Jis Maabood Ki Pooja Par Tu Qaaim-O-Motakiff Tha Usko Daikh. Ham Usse Jala
Dainge, Phir Us Ki Rakh Ko Ura Kar Darya Main Bakhair Dainge.
98
Tumhara Maabood Khuda
Hi Hai, Jis Ke Siwa Koi Maabood Nahi. Us Ka Ilm Har Cheez Par Moheet Hai.
99
Is Tarha Ham Tum Se Wo
Halat Bayan Karte Hain Joh Guzar Chuke Hain. Aur Ham Ne Tumhain Apne Pas Se
Nasheehat Ki Kitaab Ata Farmai Hai.
100
Joh Shakhs Is Se Mooh
Phaiae Ga Wo Qiamat Ke Din Gunnah Ka Bojh Uthaye Ga.
101
Aise Loug Hamesha Is
Azaab Main Mubtila Rahian Ge, Aur Ye Bojh Qiamat Ke Roz Un Ke Liye Bura Hoga.
102
Jis Roz Soor Phoonka
Jaye Ga, Aur Ham Gunnehgaaroun Ko Ikhata Karainge, Aur Un Ki Aankhain Neeli
Neeli Houngi.
103
Toh Wo Apas Main
Aahista Aahista Kahain Ge Ke Tum Dunia Main Sirf Das Hi Din Rahe Ho.
104
Joh Baatain Ye
Karainge Ham Khoob Jante Hain. Un Waqt Un Main Se Achi Raah Wala, Yaani
Aaqil-O-Hosh Mand Kahe Ga, Ke Nahi, Balke Sirf Aik Hi Roz Thehre Ho.
105
Aur Tum Se Paharoun Ke
Bare Main Daryaft Karte Hain. Keh Do Ke Khuda Inko Ura Ka Bakhair De Ga.
106
Aur Zameen Ko Hamwaar
Maidan Kar Chore Ga.
107
Jis Main Na Tum Kajji
Aur Pasti Daikho Ge, Na Teela Aur Bulandi.
108
Us Roz Loug Aik
Pukarne Wale Ke Peeche Chalainge Aur Us Ki Pariwi Se Inhiraaf Na Kar Sakain Ge,
Aur Khdua Ke Saamne Aawaazain Past Ho Jayengi, Toh Tum Awaaz-E-Khafi Ke Siwa
Koi Awaaz Na Suno Ge.
109
Us Roz Kisi Ki
Sifarish Kuch Faaida Na De Gi, Magar Us Shakhs Ki Jisse Khuda Ijazat De Aur Us
Ki Baat Ko Pasand Farmaye.
110
Joh Kuch Un Ke Aage
Hai, Aur Joh Kuch Un Ke Peeche Hai Wo Us Ko Jaanta Hai Aur Wo Apne Ilm Se Khuda
Ke Ilm Par Ihaata Nahi Kar Sakte.
111
Aur Us Zinda-O-Qaaim
Ke Ru Baru Moonh Neeche Ho Jaye Ge. Aur Jis Ne Zulm Ka Bojh Uthaya Wo Na Muraad
Raha.
112
Aur Joh Naik Kaam Kare
Ga Aur Momin Bhi Hoga, Toh Us Ko Na Zulm Ka Khof Hoga Aur Na Nuqsaan Ka.
113
Aur Ham Ne Us Ko Ussi
Tarah Ka Quraan-E-Arabi Nazil Kia Hai Aur Is Main Tarha Tarha Ke Daraawe Bayan
Kar Diye Hain, Taa-Ake Loug Parhaiz Gaar Banain, Ya Khuda Un Ke Liye Naseehat
Paida Kar De.
114
Toh Khuda Joh Sachha
Baadsha Hai, Aali Qadar Hai. Aur Quraan Ki Wahi Joh Tumhari Taraf Bhaiji Jaati
Hai, Us Ke Poora Hone Se Pehle Quraan Ke Parhne Ke Liye Jaldi Na Kia Karo, Aur
Dua Karo Ke Mere Parwardigar Mujhe Aur Ziada Ilm De.
115
Aur Ham Ne Pehle Aadam
Se Ehed Liya Tha, Magar Wo Usse Bhool Gaye Aur Ham Ne Un Main Sabar-O-Sabaat Na
Daikha.
116
Aur Jab Ham Ne
Farishtoun Se Kaha, Ke Aadam Ke Aage
Sajda Karo Toh Sab Sajde Main Girr Pare Magar Iblees Ne Inkar Kia.
117
Ham Ne Farmaya Ke
Aadam Ye Tumhara Aur Tumhari Biwi Ka Dushman Hai, To Ye Kahin Tum Dono Ko
Behshat Se Nikalwa Na De. Phir Tum Takleef Main Par Jaao.
118
Yahan Tum Ko Ye
Aasaaish Hai, Ke Na Bhooke Raho Na Naange.
119
Aur Ye Ke Na Piyase
Raho Aur Na Dhoop Khao.
120
Toh Shaitaan Ne Un Ke
Dil Main Waswasa Daala. Aur Kaha Ke Aadam Bhala Main Tum Ko Aisa Darakhat
Bataon Joh Hamesha Ki Zinadagi Ka Samrah De, Aur Aisi Baadshaahat Ke Kabhi
Zaail Na Ho.
121
Toh Dono Ne Us Darakht
Ka Phal Kha Liya, Toh Un Par Un Ki Sharamgaahian Zahir Ho Gayee. Aur Wo Apne
Badanoun Par Behshat Ke Patthe Chupkane Lage. Aur Adam Ne Apne Parwardigar Ke
Hukum Ke Khilaf Kia, Toh Wo Apne Matloob Se Be Rah Ho Gaye.
122
Phir Un Ke Parwardigar
Ne Un Ko Nawaza, Toh Un Par Meherbani Se Tawajoh Farmaiye Aur Seedhi Raah
Batayee.
123
Farmaya Ke Tum Dono
Yahan Se Neeche Utar Jao. Tum Main Baaz Baaz Ke Dushman Hounge, Phir Agar Meri
Taraf Se Tumhare Pas Hidayat Aaye, Toh Joh Shakhs Meri Hidayat Ki Pariwi Kare
Ga, Wo Na Gumrah Hoga Aur Na Takleef Main Pare Ga.
124
Aur Joh Meri Naseehat
Se Moonh Parhere Ga, Us Ki Zindagi Tang Ho Jaye Gi, Aur Qiamat Ko Ham Usse
Andha Kar Ke Uthaye Ge.
125
Wo Kehe Ga Ke Mere
Parwardigar Tu Ne Mujhe Andaha Kar Ke Kion Uthaya, Main Toh Daikhta Bhaalta
Tha.
126
Khuda Farmaye Ga Ke
Aisa Hi Chaahiye Tha, Tere Paas Hamari Aayatain Aayee, Toh Tu Ne Unko Bhula
Dia. Issi Tarha Aaj Ham Tujh Ko Bhula Dainge.
127
Aur Joh Shakhs Had Se
Nikal Jaye Aur Apne Parwaradigar Ki Aayatoan Par Eemaan Na Laye, Ham Us Ko Aisa
Hi Badla Deta Hain. Aur Aakhrat Ka Azaab Bohot Sakht Aur Bohot Dair Rehne Wala
Hai.
128
Kia Ye Baat Un Lougon
Ke Liye Moojjab-E-Hidayat Na Hui Ke Ham Un Se Pehle Bohot Se Firqoun Ko Halak
Kar Chuke Hain, Jin Ke Rehne Ke Maqamaat Main Ye Chalte Phirte Hain. Aqal
Waaloun Ke Liye Is Main Bohot Si Nishaniyan Hain.
129
Aur Agar Aik Baat,
Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Pehle Saadir Aur Jazaa-E-Aamaal Ke Liye Aik
Miyaad Muqarrar Na Ho Chuki Hoti, Toh Nazool-E-Azaab Laazim Ho Jata.
130
Pas Joh Kuch Ye Bakwas
Karte Hain, Us Par Sabar Karo. Aur Sooraj Ke Nikalne Se Pehle Aur Us Ke Gharoob
Hone Se Pehle Apne Parwaradigaar Ki Tasbeeh-O-Temheed Kia Karo. Aur Raat Ki
Sa-Aat-E-Awwaleen Main Bhi Us Ki Tasbeeh Kia Karo, Aur Din Ki Atraaf Yaani
Dopeher Ke Qareeb Zohar Ke Waqt Bhi, Taa-Ake Tum Khush Ho Jao.
131
Aur Kai Tarha Ke
Lougon Ko, Joh Ham Ne Dunia Ki Zindagi Main Aaraaish Ki Cheezoun Se Bhera Mand
Kia Hai, Taa-Ake Un Ki Aazmaaish Karain, Un Par Nigah Na Karna. Aur Tumhare
Parwardigar Ki Ata Farmayee Hui Rozi, Bohot Behtar Aur Baki Rehne Wali Hai.
132
Aur Apne Ghar Waloun
Ko Namaz Ka Hukum Karo Aur Us Par Qaaim Raho. Ham Tum Se Rozi Ke Khuasgaar
Nahi. Balke Tumhain Ham Rozi Dete Hain Aur Naik Anjaam Ehl-E-Taqwa Ka Hai.
133
Aur Kehte Hain, Ke Ye
Paigambar Apne Parwardigar Ki Taraf Se Hamare Pas Koi Nishani Kion Nahi Late. Kia
Un Ke Pas Pehli Kitaboun Ki Nishani Nahi Ayee?
134
Aur Ham Unko Paighambar
Ke Bhaijne Se Paishtar Kisi Azaab Se Halak Kar Dete, Toh Wo Kehte Ke Ae Hamare
Parwardigar Tu Ne Hamri Taraf Koi Paiganmbar Kion Na Bhaija, Ke Ham Zaleel Aur
Ruswa Hone Se Pehle Tere Kalaam-O-Ehkaam Ki Pairwi Karte.
135
Keh Do Ke Sab
Nataaij-E-Aamaal Ke Muntazir Hain So Tum Bhi Muntazir Raho. Anqareeb Tumko
Maloom Ho Jaye Ga Ke Deen Ke Seedhe Raste Par Chalne Wale Koun Hain, Aur Jannat
Ki Taraf Raah Paane Wale Koun Hain, Ham Ya Tum.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!