4
SOORAH-A-NISAA
Aayaat-176
SHROO ALLAH KE NAAM SE JOH BARE MEHERBAAN
NIHAYAT REHEM WALA HAI
1
Lougo Apne Parwardigaar Se Daro Jis Ne Tum Ko
Aik Shakhs Se Paida Kia, Yaani Awwal Us Se, Us Ka, Jora Banaya. Phir Un Dono Se
Kasrat Se Mard-O-Aurat Padia Kar Ke Roo-E-Zameen Par Phaila Diye.Aur Khuda Se
Jis Ke Naam Ko Tum Apni Haajat Bardaari Ka Zariya Banaate Ho Daro Aur Qitaa
Moodatt Arhaam Se (Bacho) Kuch Shak Nahi Ke Khuda Tumhain Daikh Raha Hai.
2
Aur Yateemoun Ka Maal Joh Tumhari Tehweel Main
Ho, Un Ke Hawale Kar Do Aur Un Ke Pakeeza Aur Umda Maal Ko Apne Naaqis Aur
Burre Maal Se Na Badlo. Aur Na Unn Ka Maal Apne Maal Main Mila Kar Khao . Ke
Yeh Bara Sakht Gunnah Hai.
3
Aur Agar Tum Ko Is Baat Ka Khof Ho Ke Yateem
Larkiyon Ke Baare Main Insaaf Na Kar Sako Ge Toh Unn Ke Siwa Joh Aurtain Tum Ko
Pasand Houn, Do Do, Ya Teen Teen, Ya Char Char, Un Se Nikhah Kar Lo. Aur Agar
Is Baat Ka Andaisha Ho Ke Sab Aurton Se Yaksaan Salook Na Kar Sako Ge Toh Aik
Aurat Kafi Hai, Ya Loundi Jis Ke Tum
Malik Ho.Iss Se Tum Be Insaafi Se Bach Jao Ge.
4
Aur Aurton Ko Un Ke Meher Khusi Se De Dia Karo.
Haan Agar Woh Apni Khushi Se Us Main Se Kuch Tum Ko Chor Dain, Toh Usse Zoq-O-Shoq
Se Kha Lo.
5
Aur Be Aqloun Ko Un Ka Maal Jisse Khuda Ne
Tum Lougon Ke Liye Sabab-E-Maeeshat(Way
Of Earning) Banaya Hai Mat Do, Haan Us
Main Se Un Ko Khilaate Aur Pehnate Raho Aur Un Se Maqool Batain Kehte Raho.
6
Aur Yateemon Ko Baaligh Hone Tak Kaam Kaaj Main Masroof Rakho Phir
Baaligh Hone Par Agar Un Mian Aqal Ki Pukhtagai Daikho, Toh Un Ka Maal Un Ke
Hawale Kar Do, Aur Is Khof Se Ke Woh Bare Ho Jayain Ge, Yani Bare Ho Kar Tum Se
Apna Maal Wapas Le Lain Ge, Is Ko
Fizool Kharchi Aur Jaldi Main Na Ura Dena. Joh
Shakhs Aasooda Haal Ho Us Ko Aise Maal Se Qataee Tor Par Parhaiz Rakhna Chahiye
Aur Joh Be Maqdoor Ho Woh Munasib Tor Par, Yaani Baqadar Khidmat Kuch Le Le, Aur
Jab Un Ka Maal Un Ke Hawale Karne Lago Toh Gawah Kar Liya Kar. Aur Haqeeqat Main
Toh, Khuda Hi Gawah Aur Hisaab Lene Wala Kafi Hai.
7
Joh Maal Maan Baap Aur Rishta Daar Chor Marain
, Thora Ho Ya Bohot .Us Man Mardoun Ka Bhi Hisaa Hai, Aur Aurton Ka Bhi, Yeh
Hisse Khuda Ke Muqarrar Kiye Hue Hain.
8
Aur Jab Meeraas(Joh Kuch Wirasat Main Chora
Marne Ke Baad) Ki Taqseem Ke Waqt Gair Waris Rishta Daar Aur Yateem Aur Mohtaaj
Aa Jayain Toh Un Ko Bhi Us Main Se Kuch De Dia Karo. Aur Sheereen Kalami Se
Paish Aaya Karo.
9
Aur Aise Lougon Ko Darna Chahiye Joh Aisi
Halat Main Houn Ke Apne Baad Nannhe Nannhe Bache Chor Jayain, Aur Un Ko Un Ki
Nisbat Khof Ho Ke Un Ke Marne Ke Baad Un Bacharon Ka Kia Haal Hoga. Pas Chahiye
Ke Yeh Loug Khuda Se Darain Aur Maaqool Baat Kahain.
10
Joh Loug Yateemon Ka Mal Na Jaaiz Tor Par
Khate Hain, Woh Apne Pait Main Aag Bharte Hain. Aur Dozakh Main Daale Jayen Ge.
11
Khuda Tumhari Aulad Ke Bare Main Tum Ko
Irshaad Farmata Hai Ke Aik Larke Ka Hissa Do Larkiyon Ke Hisse Ke Barabar Hai.Aur
Agar Aulaad-E-Maiyat Sirf Larkiyan Hi Houn, Yaani Do Ya Do Se Ziada, Toh Kull
Tarke Main Un Ka Do Tehayee2/3rd .Aur Agar Sirf Aik Larki Ho Toh Us Ka Hissa
Nisf ½ . Aur Maiyat Ke Maan Baap Ka Yaani Dono Main Se Har Aik Ka Tarke Main Chata(6th) Hissa , Ba-Shart
Ye Ke, Maiyat Ke Aulaad Ho. Aur Agar Aulaad Na Ho, Aur Sirf Maan Baap Hi Us Ke
Waris Houn Toh Aik Tihayee 1/3rd Maan Ka Hisaa .Aur Agar Maiyat Ke Bhai Bhi Houn
Toh Maan Ka Chata 6th Hisaa. Aur
Yeh Taqseem Tarka-E-Maiyat Ki Wasiyat Ki Taameel Ke Baad, Joh Us Ne Ki Ho,Ya
Qarz Ke Ada
Hone Ke Baad, Joh Us Ke Zimme Ho, Amal Main Aye Gi. Tum Ko Maloom Nai Ke
Tumhare Baap(Father’s) Daadaaon(Grand Father’s) Aur Baitoun(Son’s) Poutoun(Grand
Son’s) Main Se Faaide Ke Lehaz Se Koun Tum Se Ziada Qareeb Hai, Yeh Hisse Khuda
Ke Muqarr Kiye Hue Hain Aur Khuda Sab Kuch Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.
12
Aur Joh Maal Tumhari Aurtain Chor Marain.Agar
Un Ke Aulaad Na Ho Toh Us Main Nisf 1/2nd Hissa Tumhara.Aur Agar Aulaad Ho Toh Tarke
Main Tumhara Hissa Chothiyee(1/4th).Lekin Yeh Taqseem Wasiyat Ki
Taameel Ke Baad, Joh Unhoun Ne Ki Ho, Ya Qarz Ke Ada Hone Ke Baad Joh Un Ke
Zimme Ho, Ki Jaye Gi . Aur Joh Maal Tum Mard Chor Maro.Agar Tumhare Aulad Na Ho
Toh Tumhari Aurtoun Ka Is Main Chotha Hissa 4th . Aur Agar Aulad Ho
To Un Ka Athwaan 8th Hissa, Yeh
Hisse Tumhari Wasiyat Ki Taameel Ke Baaad, Joh Tum Ne Ki Ho, Aur Adaay-E-Qarz
Ke Baad Taqseeem Kiye Jayain Ge, Aur Agar Aise Mard Ya Aurat Ki Meeraas Ho Jis
Ke Na Baap Ho Na Baita Magar Us Ke Bhai Ya Behen Ho Toh Un Main Se Har Aik Kha
Chata(6th) Hisaa Aur Agar Aik Se Ziada Houn Toh Sab Aik Tehayee(1/3rd)
Main Shareek Houn Ge, Yeh Hisse Bhi Baad Adaaye-E-Wasiyat-O-Qarz Bashartye Ke
Un Se Maiyat Ne Kisi Ka Nuqsaan Na Kia Ho, Taqseem Kiye Jayen Ge Yeh Khuda Ka
Farmaan Hai.Aur Khuda Nihayat Ilm Wala Aur Nihayat Hilm Wala Hai.
13
Tamaam Ehkaam(Orders) Khuda Ki Hadain(Limits) Hain.
Aur Joh Shakhs Khuda Aur Us Ke Paigambar Ki Farmaabardari(Be Obedient) Kare Ga ,
Khuda Us Ko Behshaton(Heaven) Main Daakhil Kare Ga , Jin
Main Nehrain Beh Rahi Hain, Who Un Main
Hamesha Rahain Ge. Aur Yeh Bari Kaamyabi Hai.
14
Aur Joh Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Nafarmani(Dis-Obedient)
Kare Ga Aur Us Ki Hadoun(Limits) Se Nikal Jaye Ga, Us Ko Khuda Dozakh Main
Daale Ga Jahan Woh Hamesha Rahe Ga. Aur Us Ko Zillat Ka Azaab Hoga.
15
Musalmano! Tumhari Aurtoun Main Joh Badkaari
Ka Irtikaab(Means She Will Be Bad Character) Kar Baihte Un Par Apne Lougon Main
Se Chaar Shakhsoun (Persons) Ki Shahadat Lo. Agar Wo Un Ki Badkaari Ki Gawahi
Dain Toh Un Aurton Ko Gharoun Main Band
Rakho Yahan Tak Ke Mout Un Ka Kaam Tamaam Kar De Ya Khuda Un Ke Liye Koi Aur
Sabeel Paida Kare.
16
Aur Joh Do Mard Tum Main Se Badkaari Karen Toh
Un Ko Eeza(Takleef) Do .Phir Agar Wo Touba Kar Lain Aur Naiko Kaar Ho Jaye Toh
Un Ka Peecha Chor Do.Beshak Khuda Touba Qabool Karne Wala Aur Meherbaan Hai.
17
Khuda Un Hi Lougon Ki Touba Qabool Farmata Hai
Joh Nadaani(Galti Se)Se Buri Harkat Kar Baihte Hain.Phir Jald Touba Qabool Kar
Lete Hain.Pas Aise Lougon Par Khuda Meherbani Karta Hai.Aur Wo Sab Kuch Janta Aur Hikmat Wala Hai.
18
Aur Aise Lougon Ki Touba Qabool Nahi Hoti Joh
Saari Umar Bure Kaam Karte Rahain .Yahan Tak Ke Jab Un Main Se Kisi Ki Mout Aa
Mojood Ho, Toh Us Waqt Kehne Lagain Ke Ab Main Touba Karta Hoon Aur Na Un Ki Touba
Qabool Hoti Hai, Joh Kufur Ki Halat Main Marain. Aise Lougon Ke Liye Ham Ne
Azaab-E-Aleem Taiyar Kar Rakha Hai.
19
Momino! Tum Ko Jaaiz Nahi Ke Zabardasti Aurton
Ke Waris Ban Jao.Aur Daikhna Is Naiyat Se Ke Joh Kuch Tum Ne Un Ko Dia Hai Us
Main Se Kuch Le Lo, Unhain Gharaon(Home) Main Mat Rouk Rakhna, Haan Agar Wo
Khule Tour Par Badkari Ki Murtakib Houn Toh Rokna Na Munasib Nahi, Aur Un Ke
Sath Achi Tarha Se Raho Saho, Agar Wo Tum Ko Na Pasand Houn Toh Ajab Nahi Ke Tum
Kisi Cheez Ko Na Pasand Karo , Aur Khuda Us Main Bohot Si Bhaalie Paida Kar De.
20
Aur Agar Tum Aik Aurat Ko Chor Kar Doosri
Aurat Karna Chaho . Aur Pehli Aurat Ko
Bohat Sa Maal De Chuke Ho, Toh Us Main Se Kuch Mat Lena.Bhala Tum Na Jaaiz Tour
Par Aur Sareeh Zulm Se Apna Maal Us Se Wapas Loge?
21
Aur Tum Dia Hua Maal Kiyon Kar Wapas Le Sakte
Ho Jab Ke Tum Aik Doosre Ke Sath Sohbat Kar Chuke Ho.Aur Wo Tum Se Ehed-E-Wasiq
Bhi Le Chuki Hai.
22
Aur Jin Aurton Se Tumhare Baap Ne Nikaah Kia
Ho Un Se Nikaah Na Karna Magar, Jahalat
Main Joh Ho Chuka So Ho Chuka, Yeh Nihayat Be Hayaee Aur Khuda Ki Na Khushi Ki
Baat Thi.Aur Bohot Bura Dastoor Tha.
23
Tum Par Tumhari Maayen(Mothers) Aur Betiyan(Daughters)
Aur Behnain(Sisters) Aur Phoopiyan(Father's Sister) Aur Khalaayen(Mother's
Sisters) Aur Bhatijiyan(Daughter Of Brother) Aur Bhanjiyan(Daughters Of Sisters)
Aur Woh Maayen(Mothers) Jinhon Ne Tum Ko Doodh Pilaya Ho Aur Razayee Behnain
Aur Saasain(Mother In Law) Haram Kar Di
Gai Hain Aur Jin Aurton Se Tum Taaluuq-E-Jins Rakh Chuke Ho Un Ki Larkiyan Jinhain
Tum Parwarish Karte Ho Wo Bhi Tum Par
Haram Hain Haan Agar Un Ke Sath Tum Ne Yeh (Sexual Relation) Taaluq Na Kia Ho
Toh Un Ki Larkiyon Ke Sath Nikah Kar Lene Main Tum Par Kuch Gunnah Nahi, Aur
Tumhare Salbi ( ) Baitoun Ki Aurtain Bhi Aur Do Behnoun Ka Ikhata Karna Bhi
Haraam Hai Magar Joh Ho Chuka So Ho Chuka Be Shak Khuda Bakhashne Wala Aur
Rehem Wala Hai.
24
Aur Shohar Wali Aurtain Bhi Tum Par Haraam
Hain, Magar Wo Joh Aseer Ho Kar Loundiyon Ke Tour Par Tumhare Qabze Main Aa
Jayain, Ye Hukum Khuda Ne Tum Ko Likh Dia Hai, Aur In Mehramaat Ke Siwa Aur Aurtain
Tum Ko Halaal Hain, Is Tarha Se Ke Maal Kharch Kar Ke Un Se Nikaah Kar Lo, Bashart-Ye
Ke Nikaah Se Maqsood Iffat(Respect) Qaaim Rakhna Ho, Na Ke Shehwat Rani, Toh Jin Aurton Se Tum Faida
Hasil Karo Un Ka Meher Muqarrar Kia Ho Ada Kar Do Aur Agr Muqarra Karne Ke Baad
Apas Ki Raza Mandi Se Meher Main Kami Baishi Kar Lo Toh Tum Par Kuch Gunnah
Nahi, Be Shak Khuda Sab Kuch Jaa-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.
25
Aur Joh Shakhs Tum Main Se Momin Azaad Aurton
Yaani Bibiyon Se Nikaah Karne Ka Maqdoor Na Rakhe, Toh Momin
Loundiyon Hi Se, Joh Tumhare Qabze Main Aa Gai Houn Nikah Kar Le, Aur
Khuda Tumhare Eemaan Ko Achi Tarha Jaanta Hai, Tum Apas Main Aik Doosre Ke Ham
Jins Ho, Toh Un Loundiyaon Ke Sath Un Ke Malikoun Se Ijazat Hasil Kar Ke Nikaah
Kar Lo Aur Dastoor Ke Mutabik Un Ka Meher Bhi Ada Kar Do , Bashart-Ye Ke Afeefa(
) Houn, Na Aisi Ke Khullam Khulla Badkari Karain, Aur Na, Darparda Dosti Karna
Chahain Phir Agar Nikah Main Aa Kar Badkaari Ka Irtikaab Kar Baithen Toh, Joh
Saza Azaad Aurton Yaani Bibiyon Ke Liye Hai Us Ki Aadhi Un Ko Di Jaye, Yeh
Loundi Ke Sath Nikaah Karne Ki Ijazat Us Shakhs Ko Hai Jisse Gunnah Kar Baihtne
Ka Andaisha Ho Aur Agar Sabar Karo Toh Yeh Tumhare Liye Bohot Acha Hai Aur
Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
26
Khuda Chahta Hai Ke Apni Aayatain Tum Se Khol
Khol Kar Bayan Farmaye Aur Tum Ko Agle Lougon Ke Tareeqe Bataye Aur Tum Par
Meherbani Kare Aur Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.
27
Aur Khuda Toh Chahata Hai Ke Tum Par Meherbani
Kare Aur Joh Loug Apni Khuahishon Ke
Peeche Chalte Hain Wo Chahate Hain Ke Tum Seedhe Raste Se Bhatak Kar Door Ja
Paro.
28
Khuda Chahata Hai Ke Tum Par Se Bojh Halka Kare,
Aur Insan Tabaan(By Nature) Kamzor Paida Hua Hai.
29
Momino! Aik Doosre Ka Maal Na Haq Na Khaao
Haan Agar Apas Ki Raza Mandi Se Tijarat Ka Lain Dain Ho Aur Us Se Maali Faaida
Hasil Ho Jaye, Toh Wo Jaaiz Hai Aur Apne
Aap Ko Halaak Na Karo Kuch Shak Nahi Ke
Khuda Tum Par Meherbaan Hai.
30
Aur Joh Taaddi( Aggression ) Aur
Zulm Se Aisa Kare Ga Hm Us Ko Anqareeb Jahanum Main Daakhil Karain Ge Aur Yeh
Khuda Ko Asaan Hai.
31
Agar Tum Bare Bare Gunaahoun Se Jin Se Tum Ko
Manaa Kia Jata Hai Ijtinaab(Parhaiz/Rukke) Rakho Ge Toh Ham Tumhare Chote Chote
Gunnah Moaaf Kar Dainge Aur Tumhain Izzat Ke Makaanon Main Dakhil Kare Ge.
32
Aur Jis Cheez Main Khuda Ne Tum Main Se Baaz
Ko Baaz Par Fazeelat Di Hai Us Ki Hawas Mat Karo Mardoun(Males)Ko Kaamon Ka Sawab Hai, Joh Unhon Ne Kiye Aur
Aurton Ko Un Kaamon Ka Sawab Hai Joh Unhoun Ne Kiye Aur Khuda Se Us Ka Fazal-O-Karam
Maangte Raho Kuch Shak Nahi Ke Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.
33
Aur Joh Maal Maan Baap Aur Rishta Daar Chor
Marain Toh Haq Daaron Main Taqseem Kar Do Ke Ham Ne Har Aik Ke Haqdaar Muqarrar
Kar Diye Hain Aur Jin Lougon Se Tum Ehed Kar Chuke Ho Un Ko Bhi Un Ka Hissa Do
Be Shak Khuda Har Cheez Ke Saamne Hai.
34
Mard Aurton Par Mussalat-O-Hakim Hain Is Liye
Ke Khuda Ne Baaz Ko Baaz Se Afzal Banaya Hai Aur Is Liye Bhi Ke Mard Apna Maal
Kharch Karte Hain, Toh Joh Naik Bibiyaan Hain Woh Mardon Ke Hukum Par Chalti Hain
Aur Un Ke Peeth Peeche Khud Ki Hifazat Main Maal-O-Aabroo Ki Khabardari Karti
Hain Aur Jin Aaurton Ki Nisbat Tumhain Maloom Ho Ke Sar Kashi Aur Badkhoi( ) Karne
Lagi Hain Toh Pehle Un Ko Zabaani Samjhaao, Agar Na Samjhain Toh Phir Un Ke
Sath Sona Tak Kar Do Agar Is Par Bhi Baaz Na Aayen Toh Zad-O-Kob Karo Aur Agar
Farmanbardar Ho Jayen Toh Phir Un Ko Eeza(Takleef) Dene Ka Koi Bahana Mat
Dhoondho Be Shak Khuda Sab Se Aala Aur Jaleel-Ul-Qadar Hai.
35
Aur Agar Tum Ko Maloom Ho Ke Miyan Bivi Main
An Ban Hai Toh Aik Munsif Mard Ke Khaandaan Main Se Aik Munsif Aurat Ke Khandan
Main Se Muqarrar Karo Woh Agar Sullah Kara Daini Chahin Ge Toh Khuda Un Main
Muwafiqat Paida Kar De Ga, Kuch Shak Nahi Ke Khuda Sab Kuch Jaanta Aur Sab
Baton Se Khabardaar Hai.
36
Aur Khuda Hi Ki Ibadat Karo Aur Us Ke Sath
Kisi Cheez Ko Shareek Na Banao Aur Maan Baap Aur Qarabat Waloun Aur Yateeemon
Aur Mohtajon Aur Rishta Daar Hamsaayon(Nabours) Aur Ajnabi(Anonymous) Hamsayon
Aur Rufqaa-E-Pehlu Yaani Paas Baithne Walon Aur Musafiron Aur Joh Loug Tumhare
Qabze Main Hon Sab Ke Sath Ehsaan Karo Ke Khuda Ehsaan Karne Walaon Ko Dost
Rakhta Hai Aur Takkabur Karne Wale Barayee Marne Wale Ko Dost Nahi Rakhta.
37
Joh Khud Bhi Bukhal(Kanjoosi )Kare Aur Lougon
Ko Bhi Bukhal Sikhayen Aur Joh Maal Khuda Ne Un Ko Apne Fazal Se Ata Farmaya
Hai Use Chupa Chupa Ke Rakhain Aur Ham Ne, Na Shukroun Ke Liye Zillat Ka Azaab
Taiyaar Kar Rakha Hai.
38
Aur Kharch Bhi Karen Toh Khuda Ke Liye Nahi
Balke Lougon Ke Dikhane Ko Aur Eemaan Na Khuda Par Laayen Aur Na Roz-E-Aakhrat
Par Aise Lougon Ka Sathi Shaitan Hai Aur Jis Ka Saathi Shaitan Hua Toh Kuch
Shak Nahi Ke Wo Bura Sathi Hai.
39
Aur Agar Yeh Loug Khuda Par Aur Roz-E-Qiamat
Par Eemaan Laate Aur Joh Kuch Khuda Ne Un Ko Dia Tha Us Main Se Kharach Karte
Toh Un Ka Kia Nuqsaan Hota Aur Khuda Un Ko Khoob Janta Hai.
40
Khuda Kisi Ki Zara Bhi Haq Talfi Nahi Karta
Aur Agar Naiki Ki Hogi Toh Us Ko Do Chand Kar De Ga Aur Apne Haan Se Ajar-E-Azeem
Bakhshe Ga.
41
Bhala Us Din Ka Kia Haal Hoga Jab Ham Har
Ummat Main Se Ehwaal Batane Wale Ko Bulayen Ge, Aur Tum Ko Un Lougon Ka Haal
Batane Ko Gawah Talab Karen Ge.
42
Us Ruz Kaafir Aur Paighambar Ke Nafarmaan
Aarzoo Karen Ge Ke Kaash Un Ko Zameen Main Madfoon Kar Ke Matti Barabar Kar Di
Jati, Aur Khuda Se Koi Baat Chupa Nahi Sakain Ge.
43
Momino!Jab Tum Nashe Ki Halt Main Ho Toh Jab
Tak Un Alfaz Ko Joh Moon Se Kaho Samajahne Na Lago Namaaz Ke Paas Na Jao Aur
Janabat Ki Halat Main Bhi Namaz Ke Paas Na Jao Jab Tak Ke Gusaal Na Kar Lo, Haan Agar Bahalat-E-Safar Raste Chale Ja Rahe Ho Aur Paani Na Milne Ke
Sabab Gussal Na Kar Sako Toh Tayammum Kar Ke Namaz Parh Lo Aur Agar Tum Bimaar
Ho, Safar Main Ho, Ya Tum Main Se Koi
Bait-Ul-Khala Se Ho Kar Aaya Ho Ya Tum Aurton Se Ham Bistar Houe Ho Aur Tumhain
Pani Na Mile Toh Paak Matti Lo Aur Moo Aur Hathon Par Masaah Kar Ke Taiyammum
Kar Lo Be Shak Khuda Moaaf Karne Wala Aur Bakhashne Wala Hai.
44
Bhala Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Jin Ko
Kitaab Se Hissa Dia Gaya Tha Ke Woh Gumrahi Ko Khareedte Hain Aur Chahate Hain
Ke Tum Bhi Raste Se Bhatak Jao.
45
Aur Khuda Tumhare Dushmano Se Khoob Waqif Hai,
Aur Khuda Hi Kaafi Kaar Saaz Aur Kafi Madadgaar Hai.
46
Aur Ye Joh Yahoodi Hain, In Main Kuch Loug
Aise Bhi Hain Ke Kalmaat Ko Un Ke Maqamaat Se Badal Dete Hain, Aur Kehte Hain, Ke
Ham Ne Sunn Liya, Aur Nahi Maana Aur Sune Na Sunwaye Jao, Aur Zabaan Ko Maror
Kar, Aur Deen Main Taan Ki Raah Se Tum Se Guftugu Ke Waqt Raaina Kehte Hain Aur
Agar Youn Kehte, Ke Ham Ne Sun Liya, Aur
Maan Liya Aur Sirf Ismaa Aur Raaina Ki Jagha
Anzurna Kehte Toh Un Ke Haq Main Behtar Hota Aur Baat Bhi Bohot Durust(Sahee) Hoti Lekin Khuda Ne Un Ke
Kufur Ke Sabab Un Par Laanat Kar Rakhi
Hai ,Toh Yeh Kuch Thore Hi Eemaan Late Hain.
47
Ae Kitaab Walo! Qabal Is Ke Ke Ham Lougon Ko
Moonh(Faces) Bigaar Kar Un Ki Peeth Ki Taraf Phair Dain Ya Un Par Is Tarha
Laanat Karen Jis Tarha Hafte Walon Par Ki Thi , Hamari Nazil Ki Hui Kitab Par, Joh
Tumhari Kitaab Ki Bhi Tasdeeq Karti Hai Eemaan Le Aao, Aur Khuda Ne Joh Hukum
Farmaya So Samajh Lo Ke Ho Chuka.
48
Khuda Us Gunnah Ko Nahi Bakhashe Ga Ke Kisi Ko
Us Ka Shareek Banaya Jaye Aur Us Ke Siwa Aur Gunnah Jis Ko Chahe Moaaf Kar De
Aur Jis Ne Khuda Ka Shareek Muqarrar Kia Un Ne Bara Bohtaan Baandha.
49
Kia Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Joh Apne
Taieen(Themselves) Pakeeza Kehte Hain, Nahi Balke Khuda Hi Jis Ko Chahata Hai
Paakeeza Karta Hai Aur Un Par Dhaage Barabar Bhi Zulm Nahi Hoga.
50
Daikho Yeh Khuda Par Kaisa Jhoot Toofaan
Baandhte Hain, Aur Yeh Hi Gunnah-E-Sareeh
Kafi Hai.
51
Bhala Tum
Ne Un Lougon Ko Nahi Diakha Jin Ko Kitaab Se Hissa Dia Gaya Hai Ke Button Aur
Shaitaan Ko Maante Hain Aur Kuffar Ke Bare Main Kehte Hain Ke Yeh Loug Mominon
Ki Nisbat Seedhe Raste Par Hain.
52
Yeh Hi Loug Hain Jin Par Khuda Ne Laanat Ki
Hai Aur Jis Par Khuda Laanat Kare Toh Tum Us Ka Kisi Ko Madadgaar Na Pao Ge.
53
Kia In Ke Paas Baadshaahi Ka Kuch Hissa Hai, Toh
Lougon Ko Till Barabar Bhi Na Diange.
54
Ya Joh Khuda Ne Lougon Ko Apne Fazal Se De Rakha
Hai, Us Ka Hasad Karte Hain, Toh Ham Ne Khaandaan-E-Ibarahim Ko Kitab Aur
Daanayee Inayat Farmaye Thi Aur Saltanat-E-Azeem Bhi Bakhshi Thi.
55
Phir Lougon Main Se Kisi
Ne Toh Is Kitaab Ko Mana Aur Koi Is Se Rukka Aur Hata Raha Toh Un Na Maan-Ne
Waloun Ke Jalane Ko Dozakh Ki Jalti Hui Aag Kafi Hai.
56
Jin Lougon Ne Hamari Aayaton Se Kufur Kia Un
Ko Ham Anqareeb Aag Main Daakhil Karen Ge Jab Un Ki Khaalain(Skin) Gal Aur Jal
Jayen Gi Toh Ham Aur Khaalain (Skin) Badal Dainge Taa-Ake Hamesha
Azaab Ka Mazah Chakhte Rahain! Be
Shak Khuda Gaalib Hikmat Wala Hai.
57
Aur Joh Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe
Un Ko Ham Behshaton(Heaven) Main Daakhil Karen Ge Jin Ke Neeche Nehrain Beh
Rahi Hain Woh In Main Hamesha Hamesha Rahain Ge Wahan Un Ke Liye Paak Bibiyan
Hain, Aur Un Ko Ham Ghane Saye Main
Daakhil Karen Ge.
58
Khuda Tum Ko Hukum Deta Hai Ke Amanat Waloun
Ki Amaantain Un Ke Hawale Kar Dia Karo Aur Jab Lougon Main Faisla Karne Lago
Toh Insaaf Se Faisla Kia Karo, Khuda Tumain Bohot Khoob Nasihat Karta Hai, Be
Shak Khuda Sunta Aur Daikhta Hai.
59
Momino! Khuda Aur Us Ke Rasool Ki
Farmabardaari Karo Aur Joh Tum Main Se Sahib-E-Hukumat Hain Un Ki Bhi, Aur Agar
Kisi Baat Main Tum Main Ikhtilaaf Waaqe Ho Toh Agar Khuda Aur Roz-E-Aakhrat Par
Eeman Rakhte Ho Toh Us Main Khuda Aur Us Ke Rasool Ke Hukum Ki Taraf Rujoo Karo,
Yeh Bohot Achi Baat Hai Aur Is Ka Maal Bhi Acha Hai.
60
Kia Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Joh Daawa
Toh Yeh Karte Hain Ke Joh Kitaab Tum Par Nazil Hui, Aur Joh Kitaabain Tum Se
Pehle Naazil Huee Un Sab Par Eemaan Rakhte Hain, Aur Chahte Yeh Hain Ke Apna Muqadma Aik Sarkash Ke Paas
Le Ja Kar Faisal Karayen, Haalaanke Un Ko Hukum Dia Gaya Tha Ke Is Se Aitqaad
Na Rakhhe(Don’t Believe On It) Aur Shaitaan Toh Yeh Chahta Hai Ke Un Ko Behka
Kar Raste Se Door Daal De.
61
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Joh Hukum Khuda
Ne Nazil Farmaya Hai Us Ki Taraf Rujoo Karo Aur Paighambar Ki Taraf Aao Toh
Munafiqon Ki Taraf Aao Toh Munafiqon Ko Daikhte Ho Ke Tum Se Aeraaz Karte Aur
Ruke Jate Hain.
62
Toh Kaisi Nadamat Ki Baat Hai Ke Jab Un Ke
Aamaal Ki Shamat Se Un Par Koi Museebat Waaqe Hoti Hai, Toh Tumhare Paas Bhaage
Aate Hain Aur Qasmain Khate Hain Ke Wallah Hamara Maqsad Toh Bhalai Aur
Muwafiqat Tha.
63
In Lougon Ke Diloun Main Joh Kuch Hai, Khuda
Us Ko Khoob Janta Hai Tum Un Ki Baton Ko Kuch Khayal Na Karo, Aur Unhain
Naseehat Karo Aur Un Se Aisi Baatain Kaho Joh Un Ke Dilon Main Asar Kar Jaayen.
64
Aur Ham
Ne Joh Paighambar Bhaija Hai Is Liye Bhaija Hai Ke Khuda Ke Farmaan Ke
Mutabiq Us Ka Hukum Mana Jaye, Aur Yeh Loug Jab Apne Haq Main Zulm Kar Baithe
The Agar Tumhare Paas Aate Aur Khuda Se Bakhshish Maangte Aur Rasool-E-Khuda
Bhi Un Ke Liye Bakhshish Talab Karte, Toh Khuda Ko Moaaf Karne Wala Aur
Meherban Paate.
65
Tumhare Parwardigar Ki Qasam Yeh Loug Jab Tak
Apne Tanazaat Main Tumhain Munsif Na Banayen, Aur Joh Faisla Tum Kar Do, Us Se
Apne Dil Main Tang Na Houn Balke Un Ko Khushi Se Maan Lain Tab Tak Momin Nahi
Honge.
66
Aur Agar Ham Inhain Hukum Dete Ke Apne Aap Ko
Qatal Kar Daalo, Ya Apne Ghar Chor Kar Nikal Jao Toh In Main Se Thore Hi Aisa
Karte Aur Agar Yeh Us Naseehat Par Kaarband(Practical) Hote , Joh Un Ko Ki Jati
Hai Toh Un Ke Haq Main Behtar Aur Deen Main Ziada Sabit Qadmi Ka Mojjab (Reason)
Hota.
67
Aur Ham Un Ko Apne Haan Se Ajar-E-Azeem Bhi
Ata Farmate.
68
Aur Seedha Raasta Bhi Dikhate
69
Aur Joh Loug Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Itaa-At
Karte Hain Woh Qiamat Ke Roz Un Lougon Ke Sath Houn Ge Jin Par Khuda Ne Bara
Fazal Kia, Yaani Ambia Aur Siddique Aur Shaheed Aur Naik Loug, Aur Un Lougon Ki
Rafaqat (Relation) Bohot Hi Khoob Hai.
70
Yeh Khuda Ka Fazal Hai Aur Khuda Jaan-Ne Wala
Kafi Hai.
71
Momino! Jahaad Ke Liye Hathiyar Le Lia Karo, Phir Ya Toh Jamaat Jamaat Ho Kar Nikla Karo, Ya
Sab Ikhate Kooch Kia Karo.
72
Aur Tum Main Koi Aisa Bhi Hai Ke Aamadan(Iraadatan)Dair
Lagata Hai .Phir Agar Tum Par Koi Museebat Par Jaye Toh Kehta Hai Ke Khuda Ne
Mujh Par Bari Meherbani Ki, Ke Main Un Main Mojood Na Tha.
73
Aur Agar Khuda Tum Par Fazal Kare Toh Is Tarha
Se Ke Goya Tum Main Is Main Dosti Thi Hi Nahi, Afsos Karta Aur Kehta Hai Ke
Kaash Main Bhi Un Ke Sath Hota Toh Maqsad-E-Azeem Hasil Hota.
74
Toh Joh Loug Aakhrat Ko Khareedte Aur Us Ke
Badle Dunia Ki Zindagi Ko Baichna Chahate Hain, Un Ko Chahiye Ke Khuda Ki Raah
Main Jung Karain, Aur Joh Shakhs Khuda Ki Raah Main Jung Kare Phir Shaheed Ho
Jaye Ya Galba Paaye Ham Anqareeb Us Ko Bara Sawab Dainge.
75
Aur Tum Ko Kia Hua Hai Ke Khuda Ki Raah Main
Aur Un Be Bas Mardon (Males)Aur Aurton(Females) Aur Bachon(Kids) Ki Khatir Nahi
Larte Joh Duaayen (Prayers) Kia Karte Hain, Ke Ae Parwardigar Ham Ko Is Sheher
Se Jis Ke Rehne Wale Zalim Hain Nikaal Kar Kaheen Aur Le Ja. Aur Apni Taraf Se
Kisi Ko Hamara Haami Bana. Aur Apni Hi Taaraf Se Kisi
Ko Hamara Madadgaar Muqarrar Farma.
76
Joh Momin Hain Woh Toh Khuda Ke Liye Larte
Hain, Aur Joh Kafir Hain Woh Button Ke Liye Larte Hain So Tum Shaitan Ke
Madadgaron Se Laro.Aur Daro Mat, Kion Ke Shaitan Ka Daao Booda Hota Hai.
77
Bhala Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Jin Ko
Pehle Yeh Hukum Dia Gaya Tha Ke Apne Hathon Ko Jung Se Roke Raho Aur Namaaz
Parhte Aur Zakaat Dete Raho, Phir Jab Un Par Jahan Farz Kar Dia Gaya, Toh Baaz
Loug Un Main Se Lougon Se Youn Darne Lage Jaise Khuda Se Dara Karte Hain, Balke
Is Se Bhi Ziada Aur Burburane Lage Ke Ae
Khuda Tu Ne Ham Par Jahad Jald Kion Farz
Kar Dia, Thori Muddat(Time)Aur Hamain Kion Mohlat Na Di, Ae Paigambar In
Se Keh Do Ke Dunia Ka Faaida Bohot Thora Hai Aur Bohot Achi Cheez Toh
Parhaizgaar Ke Liye Nijaat-E-Aakhrat Hai, Aur Tum Par Dhaage Barabar Bhi Zulm
Nahi Kia Jaye Ga.
78
Ae Jahad Se Darne Walo! Tum Kaheen Raho Mout
Toh Tumhain Aakar Rahe Gi, Khua Bare
Bare Mehlon Main Raho Aur Un Lougon Ko Agar Koi Faaida Pohonchata Hai, Toh
Kehte Hain Yeh Khuda Ki Taraf Se Hai Aur Agar Koi Guzand(Nuqsan) Pohonchta Hai Toh, Ae Muhammad S.A.W. Tum Se Kehte Hain
Ke Yeh Guzand Ap Ki Waja Se Hamain Pohoncha Hai, Keh Do Ke Ranj-O-Rahat Sab Allah Hi Ki Taraf Se Hai Un Lougon Ko Kia
Ho Gaya Hai Ke
Baat Bhi Nahi Samajh Sakte.
79
Ae Adam Zaad Tujh Ko Joh Faida Pohonche Woh
Khuda Ki Taraf Se Hai Aur Joh Nuqsaan Pohonche Woh Teri Hi Shamat-E-Aamaal(Aamaal
Ki Wajha Se) Ki Wajha Se Hai, Aur Ae
Muhammad S.A.W.Ham Ne Tum Ko Lougon Ki Hidayat Ke Liye Paigambar Bana Kar Bhaija
Hai Aur Is Baat Ka Khuda Hi Gawah Kaafi Hai.
80
Joh Shakhs Rasool Ki Farmabardaari Kare Ga, Toh
Be Shak, Us Ne Khuda Ki Farmaabardaari Ki Aur Joh Nafarmabardari Kare Toh Ae
Paigambar Tumhain Ham Ne Un Ka Nigehbaan Bana Kar Nahi Bhaija.
81
Aur Yeh Loug Moonh Se Toh Kehte Hain Ke Aap S.A.W
Ki Farmabardaari Dil Se Manzoor Hai, Lekin Jab Tumhare Paas Se Chale Jate Hain
Toh Un Main Se Baaz Loug Raat Ko Tumhari Baton Ke Khilaaf Mashware Karte Hain, Aur
Joh Mashware Yeh Karte Hain Khuda Un Ko Likh Leta Hai, Toh Un Ka Kuch Khayal Na
Karo Aur Khuda Par Bharosa Rakho Aur Khuda Hi Kaafi Kaar Saaz Hai.
82
Bhala Yeh Quraan Main Gour Kion Nahi Karte?Agar
Yeh Khuda Ke Siwa Kisi Aur Ka Kalam Hota Toh
Is Main Bohot Sa Ikhtilaaf Pate.
83
Aur Jab Un Ke Paas Aman Ya Khof Ki Koi Khabar Pohonchti
Hai, Toh Us Ko Mashhoor Kar Dete Hain, Aur Agar Us Ko Paigambar Aur Apne
Sardaron Ke Paas Pohonchate, Toh Tehqeeq Karne Wale, Us Ki Tehqeeq Kar Lete, Aur Agar Tum Par Khuda Ka Fazal Aur
Us Ki Meherbani Na Hoti Toh Chand Ashkhaas Ke Siwa Sab Shaitan Ke Pairo Ho Jate.
84
Toh Ae Muhammad S.A.W Tum Khuda Ki Raah Main
Laro Tum Apne Siwa Kisi Ke Zimme Daar Nahi Ho
Aur Momino Ko Bhi Targeeb Do, Qareeb Hai Ke Khuda Kaafiron Ki Larayee Ko Band
Kar De, Aur Khuda Larayee Ke Aitbaar Se Bohot Sakht Hai Aur Saza Ke Lehaz Se
Bhi Bhot Sakht Hai.
85
Joh Shakhs Naik Baat Ki Sifarish Kare, Toh Us
Ko Us Ke Sawab Main Se Hissa Mile Ga, Aur Joh Buri Baat Ki Sifarish Kare Us Ko
Us Ke Azaab Main Se Hissa Mile Ga, Aur Khuda Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.
86
Aur Jab Tum Ko Koi Dua De Toh Jawab Main Tum Us
Se Behtar Kalme Se Usse Dua Do, Ya Un Hi Alfaaz Se Dua Do Be Shak Khuda Har
Cheez Ka Hisaab Lene Wala Hai.
87
Khuda Wo Maabood Barhaq Hai, Ke Us Ke Siwa Koi
Ibadat Ke Laaiq Nahi Wo Qiamat Ke Din Tum Sab Ko Zaroor Jama Kare Ga, Aur Khuda
Se Barh Kar Baat Ka Sacha Koun Hai?
88
Toh Kia Sabab Hai Ke Tum Munafiqon Ke Bare
Main Do Guroh Ho Rahe Ho Halanke Khuda Ne Un Ko Un Ke Kartootoun Ke Sabab
Oundha Kar Dia Hai, Kia Tum Chahate Ho Ke Jis Shakhs Ko Khuda Ne Gumraah Kar
Dia Hai Us Ko Raste Par Le Aao, Aur Jis Shakhs Ko Khuda Gumrah Kar De Tum Us Ke
Liye Kabh Bhi Rasta Nahi Paao Ge.
89
Wo Toh Yeh Hi Chahate Hain Ke Jis Tarha Wo
Khud Kaafir Hain Usi Tarha Tum Bhi Kafir Ho Kar Sab Barabar Ho Jao, Toh Jab Tak
Wo Khuda Ki Raah Main Watan Na Chor Jaayen Un Main Se Kisi Ko Dost Na Banana
Agar Tark-E-Watan Ko Qabool Na Karen Toh Un Ko Pakar Lo Aur Jahaan Paao Qatal
Kar Do Aur Un Main Se Kisi Ko Apna Rafeeq Aur Madad Gaar Na Banao.
90
Magar Joh Loug Aise Lougon Se Ja Mile Houn, Jin
Main Aur Tum Main Sullah Ka Ehed Ho, Ya Is Haal Main Ke Un Ke Dil Tumhare Sath
Ya Apni Qoum Ke Sath Larne Se Ruk Gaye Houn, Tumhare Paas Aa Jayen Toh Eitiraaz
Zaroori Nahi, Aur Agar Khuda Chahata Toh Un Ko Tum Par Gaalib Kar Deta, Toh Wo
Tum Se Zaroor Larte, Phir Agar Wo Tum Se Jung Karne Se Kinara Kashi Karen Aur
Larain Nahi, Aur Tumhari Taraf Sulaah Ka Paigaam Bhaijen, Toh Khuda Ne Tumahre
Lieiy Un Par Zabardasti Karne Ki Koi Sabeel Muqarrar Nahi Ki.
91
Tum Kuch Loug Aur Aise Bhi Pao Ge Joh Yeh
Chahate Hain Ke Tum Se Bhi Aman(Peace) Main Rahain, Aur Apni Qoum Se Bhi Aman (Peace)
Maim Rahain, Lekin Jab Fitna Angaizi Ko Bulaye Jaaye, Toh Us Main Oundhe Moon
Girr Parain Toh Aise Loug Agar Tum Se Larne Se Kinara Kashi Na Karen , Aur Na
Tumhari Taraf Paigaam-E-Sulah Bhaijhain Aur Na Apne Hathon Ko Rokain, Toh Un Ko
Pakar Lo Aur Jaahn Paao Qatal Kar Do, Un Lougon Ke Muqable Main Ham Ne Tumhare
Liye Sanad Sareeh Muqarrar Kar Di Hai.
92
Aur Kisi Momin Ko Shayaan Nahi Ke Momin Ko
Maar Dale Magar Bhool Kar, Aur Joh Bhool Kar Bhi Momin Ko Maar Dale, Toh Aik
Toh, Aik Musalmaan Ghulaam Azaad Kara De Aur Doosre Maqtool Ke Warison Ko Khoon
Baha De, Haan Agar Wo Moaaf Kar Dain Toh Un Ko Ikhtyaar Hai, Agar Maqtool
Tumhare Dushmanon Ki Jamaat Main Se Ho Aur Wo Khud Momin Ho Toh Sirf Aik
Musalmaan Ghulaam Azaad Karna Chahiye, Aur Agar Maqtool Aise Lougon Main Se Ho
Jin Main Aur Tum Main Sulaah Ka Ehed Ho, Toh Waarisaan-E-Maqtool Ko Khoon Baha
Dena Aur Aik Musalmaan Ghulaam Azaad
Karma Chahiye, Aur Jis Ko Yeh Moyasar Na Ho Wo Mutwatar Do Maheene Ke Roze
Rakhe Yeh Kuffara Khuda Ki Taraf Se Qubool-E-Touba Ke Liye Hai Aur Khuda Sab Kuch
Jaanta Aur Bari Hikmat Wala Hai.
93
Aur Joh Shakhs Musalmaan Ko Qasdann(Jaan Boojh
Kar) Maar Dale Ga Toh Us Ki Saza Dozakh Hai Jis Main Wo Hamesha Jalta Rahe Ga, Aur
Khuda Us Par Gazabnaak Hoga, Aur Us Par Laanat Kare Ga Aur Aise Shakhs Ke Liye
Us Ne Bara Sakht Azab Taiyaar Kar Rakha Hai.
94
Momino! Jab Tum Ne Khuda Ki Raah Main Bahir
Nikala Karo Toh Tehqeeq Se Kaam Liya Karo Aur Joh Shakhs Tum Se Salam-O-Alaik
Kare Us Se Yeh Na Kaho Ke Tum Momin Nahi Ho Aur Us Se Tumhari Garz Yeh Ho Ke Dunia Ki
Zindagi Ka Faaida Hasil Karo, So Khuda
Ke Nazdeek Bohot Si Ganeemtain Hain, Tum Bhi Toh Pehle Aise Hi The Phir Khuda
Ne Tum Par Ehsaan Kia Toh Aainda Tehqeeq Kar Liya Karo Aur Joh Amal Tum Karte
Ho Khuda Ko Sab Ki Khabar Hai.
95
Joh Musalmaan Gharon Main Baith Rehte, Aur
Larne Se Ji Churate Hain, Aur Koi Uzar Nahi Rakhte Wo, Aur Joh Khuda Ki Raah Main Apne Maal Aur Jaan Se Larte Hain
Wo, Dono Barabar Nahi Ho Sakte, Maal Aur
Jaan Se Jahaad Karne Walon Ko Baith Rehne Walon Par Allah Ne Darje Main
Fazeelat Bakhshi Hai, Aur Go Naik Waada Sab
Se Hai Lekin Ajar-90E-Azeem Ke Lehaaz Se Khuda Ne Jahaad Karne Waloun Ko
Baith Rehne Walon Par Kaheen Fazeelat Bakhshi Hai.
96
Yaani Khuda Ki Taraf Se Darjaat Main Aur
Bakhshish Main ,Aur Rehmat Main, Aur Khuda Bare Bakhashne Wala Aur Meherban Hai.
97
Joh Loug Apni Jaanon Par Zulm Karte Hain Jab
Farishte In Ki Jaan Qabaz Karne Lagte Hain, Toh Un Se Poochte Hain Ke Tum Kis
Haal Main The Wo Kehte Hain Ke Ham Mulk Main Aajiz-O-Natawaan The, Farishte
Kehte Hain Kia Khuda Ka Mulk Faraakh Nahi Tha Ke Tum Us Main Hijrat Kar Jate, Aise
Lougon Ka Thikana Dozak Hai Aur Who Buri Jagha Hai.
98
Haan Joh Mard Aur Aurtain Aur Bache, Be Bas
Hain, Ke Na Toh Koi Chaara Kar Sakte
Hain, Aur Na Raasta Jaante Hain.
99
Qareeb Hai Ke Khuda Aison Ko Moaaf Kar De Aur
Khuda Moaaf Karne Wala Aur Bakhashne Wala Hai.
100
Aur Joh Shakhs Khuda Ki Raah Main Ghar Baar
Chor Jaye, Wo Zameen Main Bohot Si Jagha Aur Kushaaish Paaye Ga, Aur Joh Shakhs
Khuda Aur Rasool Ki Taraf Hijrat Kar Ke Ghar Se Nikal Jaye, Phir Us Ko Mout Aa
Pakre, Toh Us Ka Sawab Khuda Ke Zimme Ho Chukka, Aur Khuda Bakhashne Wala
Meherbaan Hai.
101
Aur Jab Tum Safar Ko Jao Toh Tum Par Kuch
Gunnah Nahi Ke Namaaz Ko Kam Kar Ke Parho, Bashart Ye Ke Tum Ko Khof Ho Ke
Kaafir Loug Tum Ko Aiza(Takleef) Dainge, Be Shak Kaafir Tumhare Khulle Dushman
Hain.
102
Aur Ae Paigambar! Jab Tum Un Mujahedeen Ke
Laskhar Main Ho, Aur Un Ko Namaaz Parhaane Lago, Toh Chahiye Ke Un Ki Aik
Jamaat Tumhare Sath Mussalah(Armed) Ho Kar Khari Rahe, Jab Wo Sajda Kar Chukain Toh Pare Ho Jayen Phir Doosri
Jamaat Jis Ne Namaaz Nahi Parhi Un Ki Jaga Ayaye Aur Hoshiyaar Aur Mussalah Ho
Kar Tumhare Sath Namaz Ada Kare, Kafir Is Ghaat(Taak) Main Hain Ke Tum Zara
Apne Hathiyaron Aur Samaan Se Gafil Ho Jao, Ke Tum Par Yakbaargi(Aik Dam/Achanak)
Hamla Kar Dain Agar Tum Barish Ke Sabab Takleef Main Ya Bimaar Ho, Toh Tum Par
Kuch Gunnah Nahi Ke Hathiyaar Utaar Rakho, Magar Hoshiyaar Zaroor Rehna Khuda
Ne Kafiron Ke Liye Zillat Ka Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.
103
Phir Jab Namaz Tamaam Kar Chuko Toh Khare Aur
Baithe Aur Laite Har Halat Main Khuda Ko Yaad Karo, Phir Jab Khof Jata Rahe Toh
Is Tarhha Se Namaaz Parho Jis Tarha Aman(Peace) Ki Halat Main Parhte Ho Be Shak
Namaaz Ka Mominon Par Ouqaat-E-Muqqarra(Fixed Time) Main Ada Karma Farz Hai.
104
Aur Kuffar Ka Peecha Karne Main Susti(Laziness) Na Karna Agar Tum Be Araam Hote Ho Toh Jis
Tarha Tum Bae Araam Hote Ho Usi Tarha Wo Bhi Be Araam Hote Hain, Aur Tum Khuda
Se Aisi Aisi Umeedain Rakhte Ho Joh Wo
Nahi Rakh Sakte Aur Khuda Sab Kuch Jaanta Aur Bari Hikmat Wala Hai.
105
Ae Paighambar Ham Ne Tum Par Sacchi Kitaab
Nazil Ki Hai Taa-Ake Khuda Ki Hidayat Ke Mutabiq Lougon Ke Muqaddamat Ka Faisla
Karo, Aur Diakho Dagha Bazon Ki Himayat Main Kabhi Behes Na Karna.
106
Aur Khuda Se Bakhshish Maangna, Be Shak Khuda
Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
107
Aur Joh Loug Apne Ham Jinson Ki Khiyanat Karte
Hain, Un Ki Taraf Se Behes Na Karna, Kion Ke
Khuda Khaain Aur Murtakib-E-Juraaim Ko Dost Nahi Rakhta.
108
Yeh Lougon
Se Toh Chupte Hain Aur Khuda Se Nahi Chupte Halanke Jab Wo Raatoun Ko Aisi
Batoun Ke Mashware Kia Karte Hain Jin Ko Wo Pasand Nahi Karta,Toh Un Ke Sath
Hua Karta Hai, Aur Khuda Un Ke Tamaam Kamon Par Ahaata Kiye Hue Hai.
109
Bhala Tum Loug Dunia Ki Zindagi Main Toh Un Ki
Taraf Se Behes Kar Lete Ho, Qiamat Ko Un Ki Taraf Se Khuda Ke Sath Koun Jhagre
Ga Aur Koun Un Ka Wakeel Bane Ga?
110
Aur Joh Shakhs Koi Bura Kaam Kar Baithe Ya
Apne Haq Main Zulm Kar Le Phir Khuda Se
Bakhshish Maange, Toh Khuda Ko Bakhashne Wala Aur Meherbaan Paye Ga.
111
Aur Joh Koi Gunnah Karta Hai Toh Us Ka Wabaal
Usi Par Hai Aur Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.
112
Aur Joh Shakhs Koi Qasoor Ya Gunnah Toh Khud
Kare Lekin Us Se Kisi Be Gunnah Ko Muttahtim Kar De, Toh Us Ne Bohtaan Aur
Sareeh Gunnah Ka Bojh Apne Sar Par Rakha.
113
Aur Agar Tum Par Khuda Ka Fazal Aur Meherbani
Na Hoti Toh Un Main Se Aik Jamaat Tum Ko Behkaane Ka Qasad (Faisla) Kar Hi
Chuki Thi, Aur Yeh Apne Siwa Kisi Ko Behka Nahi Sakte Aur Na Tumhara Kuch
Bigaar Sakte Hain Aur Khuda Ne Tum Par Kitaab Aur Daanaaye Nazil Farmaye Hai, Aur
Tumhain Wo Batain Sikhaye Hain Joh Tum Jaante Nahi The Aur Tum Par Khuda Ka
Bara Fazal Hai.
114
Un Lougon Ki Bohot Se Mushhwratain Achi Nahi, Haan
Us Shakhs Ki Mashwaarat Achi Ho Sakti Hai Joh Khiaraat Ya Naik Baat Ya Lougon
Main Sulaah Karne Ko Kahe, Aur Joh Aise Kaam Khuda Ki Khusnoodi Hasil Karne Ke
Liye Kare Ga Toh Ham Us Ko Bara Sawaab Dainge.
115
Aur Joh Shakhs Seedha Rasta Maloom Hone Ke
Baad Paigambar Ki Mukhalifat Kare, Aur Momino Ke Raste Ke Siwa Aur Raste Par
Chale, Toh Jidhar Wo Chala Hai Ham Use Udhar Hi Chalne Dain Ge, Aur Qiamat Ke
Din Jahanammum Main Dakhil Karen Ge Aur Wo Buri Jaga Hai.
116
Khuda Un Gunnah Ko Nahi Bakhshe Ga, Ke Kisi Ko,
Us Ka Shareek Banaya Jaye, Aur Us Ke Siwa Aur Gunnah Jis Ko Chahe Ga Bakhsh De
Ga.Aur Jis Ne Khuda Ke Sath Shareek Banaya Wo Raste Se Door Ja Para.
117
Yeh Joh Khuda Ke Siwa, Joh Parastish Karte
Hain Toh Aurton Hi Ki Aur Pukarte Hain
Toh Shaitaan Sarkash Hi Ko.
118
Jis Par Khuda Ne Laanat Ki Hai, Joh Khuda Se
Kehne Laga Main Tere Bandon Se Gair Khuda Ki Nazar Dilwa Kar Maal Ka Aik
Muqarrar Hissa Le Liya Karon Ga.
119
Aur Un Ko Gumrah Karta Aur Umeedain Dilata
Rahoonga, Aur Yeh Sikhata Rahoon Ga Ke Janwaron Ke Kaan Cheerte Rahain Aur Yeh
Bi Kehta Rahoonga Ke, Wo Khuda Ki Banaye Hui Soorton Ko Badalte Rahain Aur Jis
Shakhs Ne Khuda Ko Chor Kar Shaitan Ko Dost Banaya Wo Sareeh Nuqsaan Main Par
Gaya.
120
Wo Un Ko Waade (Promise)Deta Hai Aur Umeedain
Dilate Hai Aur Joh Kuch Shaitaan Unhain Waade Deta Hai, Wo Dhoka Hi Dhoka Hai.
121
Aise Lougn Ka Thikana Jahannum Hai.Aur Wo
Wahan Se Mukhlisi Nahi Pa Sakain Ge.
122
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte
Rahe Un Ko Ham Behshaton Main Daakhil Kare Ge, Jin Ke Neeche Nehrain Jari Hain.Abad-Ul-Abaad
In Main Rahain Ge.Yeh Khuda Ka Sacha Waada Hai.Aur Khua Se Ziada Baat Ka Sacha
Koun Ho Sakta Hai.
123
Nijaat Na Toh Tumhari Aarzoouon Par Hai, Aur
Na Ehl-E-Kitaab Ki Aarzouon Par.Joh Shakhs Bure Aamaal Kare Ga Use Usi Tarha Ka
Badla Dia Jaye Ga, Aur Wo Khuda Ke Siwa Na Kisi Ko Himayiti Paye Ga Aur Na
Madadgaar.
124
Aur Joh Naik Kaam Kare Ga Mard Ho Ya Aurat Aur
Wo Sahib-E-Eemaan Bhi Hoga Toh Aise Loug Behshat Main Dakhil Hounge Aur Un Ki
Till Barabar Bhi Haq Talfi Na Ki Jaye Gi.
125
Aur Us Shakhs Se Kis Ka Deen Acha Ho Sakta Hai
Jis Ne Hukum-E-Khuda Ko Qabool Kia, Aur Wo Naiko Kar Bhi Hai. Aur Ibrahim Ke
Deen Ka Pairo Hai Joh Yaksoon Muslamaan The Aur Khuda Ne Ibrahim Ko Apna Dost
Banaya Tha.
126
Aur Aasmaan Aur Zameen Main Joh Kuch Hai, Sab Khuda Hi Ka Hai. Aur Khuda Har Cheez Par
Aahaata Kiye Hue
Hai.
127
Ae Paigambar Loug Tum Se Yateem(Orphan) Aurton
Ke Bare Main Fatwa Talab Karte Hain.Keh Do Ke Khuda Tum Ko Un Ke Sath Nikaah
Karne Ke Moaamle Main Ijazat Deta Hai, Aur Joh Hukum Is Kitaab Main Pehle Dia
Gaya Hai Wo Un Yateem Aurton Ke Bare Main Hai, Jin Ko, Tum Un Ka Haq Toh Dete
Nahi, Aur Khuahish Rakhte Ho Ke Un Ke Sath Nikaah Kar Lo Aur Neez Bechare Be
Kas Bachon Ke Bare Main. Aur Yeh Bhi
Hukum Deta Hai Ke Yateemon Ke Bare Main Insaaf Par Qaaim Raho.Aur Joh Bhaliyee
Tum Karo Ge Khuda Us Ko Jaanta Hai.
128
Aur Agar Kisi Aurat Ko Apne Khawind(Husband) Ki
Taraf Se Ziaadti Ya Be Raghbati Ka Andaisha Ho, Toh Miyan Bivi(Husband And
Wifes) Par Kuch Gunnah Nahi Ke Apas Main Kisi Qaraardad Par Sulah Kar Lain.Aur
Sulaah Khoob Cheez Hai, Aur Tabiyatain Toh Bukhal Ki Taraf Mail Hoti Hai Aur
Agar Tum Naiko Kari Aur Parhaizgari Karo Ge Toh Khuda Tumhare Sab Kamon Se
Waqif Hai.
129
Aur Tum Khud Kitna Hi Chaho Aurton Main Har
Giz Barabri Nahi Kar Sako Ge, Toh Aisa Bhi Na Karna Ke Aik Hi Ki Taraf Dhal Jao,
Aur Doosri Ko Aisi Halat Main Chor Do Ke Goya Adhar Main Latak Rahi Hai, Aur
Agar Apas Main Muwafiqat Kar Lo Aur Parhaizgari Karo, Toh Khuda Bakhashne Wala
Meherbaan Hai.
130
Aur Agar Miyan Bivi Main Muwafiqat(Understanding)
Na Ho Sake Aur Aik Doosre Se Juda Ho Jayen, Toh Khuda Har Aik Ko Apni Dolat Se
Ghani Kar De Ga Aur Khuda Bari Kushiaash Wala Aur Hikmat Wala Hai.
131
Aur Joh Kuch Aasmnon Aur Joh Kuch Zameen Main Hai,
Sab Khuda Hi Ka Hai.Aur Jin Lougon Ko Tum Se Pehle Kitab Di Gai Thi Un Ko Bhi, Aur
Ae Muhammad S.A.W. Tum Ko Bhi Ham Ne Hukum Taakeedi Kia Hai, Ke Khuda Se Darte
Raho Aur Agar Kufur Karo Ge Toh Samajh Rakho, Ke Joh Kuch Aasmano Main Aur Joh
Kuch Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai.Aur Khuda Be Parwah Aur Saaza Waar
Hamd-O-Sana Hai.
132
Aur Phir Sun Rakho, Ke Joh Kuch Aasmano Main
Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai, Aur Khuda Kaar Saz Kafi Hai.
133
Logo! Agar Wo Chahe Toh Tum Ko Fana Kar De Aur
Tumhari Jaga Aur Lougon Ko Paida Kar De.Aur Khuda Is Baat Par Qadir Hai.
134
Joh Shakhs Dunia Main Amaalon Ki Jaza Ka Talib
Ho Toh Khuda Ke Paas Dunia Aur Aakhrat Dono Ke Liye Ajar Mojood Hai. Aur Khuda
Sunta Daihkta Hai.
135
Ae Eemaan Walo! Insaaf Par Qaaim Raho Aur
Khuda Ke Liye Sachi Gawahi Do Khuah Us Main Tumhara Ya Tumhare Maan Paap Aur
Rishta Daron Ka Nuqsan Hi Ho. Agar Koi Ameer Hai Ya Faqeer Toh Khuda Un Ka
Khair Khuah Hai.Toh Tum Khuahis-E-Nafs Ke Peche Chal Kar Adal Ko Na Chor Dena. Agar
Tum Paich Daar Shahadat Do Ge Ya Shahadat Se Bachna Chaho Ge, Toh Jaan Rakho
Khuda Tumhare Sab Kamon Se Waqif Hai.
136
Momino! Khdua Par Aur Us Ke Rasool Par Aur Joh
Kitaab Us Ne Apne Paigambar Aakhir-Uz-Zamaan Par Nazil Ki Hai, Aur Joh Kitabain
Us Se Pehle Naazil Ki Theen Sab Par Eemaan Lao. Aur Joh Shakhks Khuda Aur Us Ke
Farishton Aur Us Ki Kitabon Aur Us Ke Paigambaron Aur Roz-E-Qiamat Se Inkaar Kare
Wo Raste Se Bhatak Kar Door Ja Para .
137
Joh Loug Eemaan Laye, Phir Kafir Ho Gaye Phir
Eemaan Laaye , Phir Kafi Ho Gaye, Phir Kufur Main Barhte Gaye, Un Ko Khuda Na
Toh Bakhshe Ga Aur Na Seeda Rasta Dikhaye Ga.
138
Ae Paigambar Munafiqon, Yaani Do Rukkhe Lougon
Ko Bisharat Suna Do, Ke Un Ke Liye Duckh Dene Wala Azaab Taiyaar Hai.
139
Joh Momino Ko Chor Kar Kaafiron Ko Dost Banate
Hain.Kia Yeh Un Ke Haan Izat Hasil Karna Chahte Hain, Toh Izzat Toh Sab Khuda
Hi Ki Hai.
140
Aur Khuda Ne Tum Mominon Par Apni Kitaab Main
Yeh Hukum Nazil Farmaya He Ke Jab Tum Kaheen Suno Ke Khuda Ki Aayaton Se Inkar
Ho Raha Hai, Aur Un Ki Hansi Urayee Jati Hai, Toh Jab Tak Wo Loug Aur Batain Na
Karne Lagain.Un Ke Paas Mat Baitho.Warna Tum Bhi Unhi Jaise Ho Jao Ge. Kuch Shak
Nahi Ke Khuda Munafiqon Aur Kaafiron Sab Ko Dozakh Main Ikhatta (Combine) Karne
Wala Hai.
141
Joh Tum Ko Daikhte Rehte Hain, Agar Khuda Ki
Taraf Se Tum Ko Fatah Mile, Toh Kehte Hain Kia Ham Tumhare Sath Na The. Aur
Agar Kafiron Ko Fatah Naseeb Ho, Toh Un Se Kehte Hain Ke Kia Ham Tum Par Galib
Nahi The, Aur Tum Ko Musalmanon Ke Hath Se Bachaya Nahi. Toh Khuda Tum Main
Qiamat Ke Din Faisla Kar De Ga.Aur Khuda Kafiron Ko Momino Par Har Giz Galba
Nahi De Ga.
142
Munafiq In Chaloun Se Apne Nazdeek Khuda Ko
Dhoka Dete Hain, Yeh Us Ko Kia Dhoka Dainge, Wo In Hi Ko Dhoke Main Daalne Wala
Hain, Aur Jab Yeh Namaaz Ko Khare Hote Hain Toh Susst Aur Kaahil Ho Kar, Sirf
Lougon Ke Dikhane Ko, Aur Khuda Ki Yaad Hi Nahi Karte, Magar Bohot Kam.
143
Beech Main Pare Latak Rahe Hain, Na Un Ki
Taraf Hote Hain Na In Ki Taraf, Aur Jis Ko Khuda Bhatkaye Toh Us Ke Liye Tum Kabhi Bhi Rasta Na Pao Ge.
144
Ae Ehl-E-Eemaan ! Momino Ke Siwa Kafiroun Ko
Dost Na Banao Kia Tum Chahate Ho Ke Apne Oopar Khuda Ka Sareeh Ilzaam Lo?
145
Kuch Shak Nahi Ke Munafiq Loug, Dozakh Ke Sab
Se Neeche Ke Darje Main Hounge.Aur Tum Un Ka Kisi Ko Madad Gaar Na Pao Ge.
146
Haan Jinhon Ne Touba Ki, Aur Apni Halat Ko
Durust Kia, Aur Khuda Ki Rassi Ko Mazboot Pakra Aur Khaas Ke Farmabardaar Ho
Gaye, Toh Aise Loug Momino Ke Zummre Main Houn Ge Aur Khuda Anqareeb Momino Ko
Bara Sawab De Ga.
147
Agar Tum Khuda Ke Shukar Guzaar Ho, Aur Us Par
Eemaan Le Aao, Toh Khuda Tum Ko Azaab De Kar Kia Kare Ga. Aur Khuda Toh Qadar
Shanaas Aur Daana Hai.
148
Khuda Is Baat Ko Pasand Nahi Karta, Ke Koi Kisi Ko Aailaaniya Bura Kahe, Magar Wo Joh Mazloom Ho. Aur
Khuda Sab Kuch Sunta Aur Jaanta Hai.
149
Agar Tum Loug Bhaliyee Khullam Khulla Karo Ge,
Ya Chupa Kar, Ya Buraye Se Darguzar Karo Ge, Toh Khuda Bhi Moaaf Karne Wala Aur
Sahib-E-Qudrat Hai.
150
Joh Loug Khuda Se Aur Us Ke Paigambaron Se
Kufur Karte Hain Aur Khuda Aur Us Ke Paigambaron Main Farq Karna Chahate Hain, Aur
Kehte Hain Ke Ham Baaz Ko Maante Hain Aur Baaz Ko Nahi Maante, Aur Eemaan Aur
Kufur Ke Beech Main Aik Raah Nikaalna Chahate Hain.
151
Wo Bila Ishtiha(No Doubt) Kaafir Hain Aur
Kafiroun Ke Liye Ham Ne Zillat Ka Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.
152
Aur Joh Loug Khuda Aur Us Ke Paigambaron Par
Eemaan Laye Aur Un Main Se Kisi Main Farq Na Kia, Yaani Sab Ko Maana Aise
Lougon Ko Wo Anqareeb Un Ki Naikiyon Ke Sile Ata Farmay Ga, Aur Khuda Bakhashne
Wala Meherbaan Hai.
153
Ae Muhammad S.A.W. Ehl-E-Kitaab Tum Se
Darkhuast(Request) Karte Hain, Ke Tum Un Par Aik Likhi Hui Kitaab Aasmaan Se
Utaar Laao, Toh Yeh Moosa Se Is Se Bhi Bari Darkhuastain Kar Chuke Hain, Un Se Kehte
The Hamain Khuda Ko Zaahir Yaani Aankhon Se Dikha Do, So Un Ke Gunnah Ki Waja
Se Un Ko Bijli Ne Aa Pakra. Phir Khuli Nishaniyan Aye, Peeche Bachre Ko Maabood
Bana Baithe Toh Is Se Bhi Ham Ne Dar Guzar Kia.Aur Moosa Ko Sareeh (Saaf) Galba
(Victory) Dia.
154
Aur Un Se Ehed (Promise) Lene Ko Ham Ne Un Par
Koh-E-Toor Utha Khara Kia, Aur Unhain Hukum Dia Ke Sheher Ke Darwaze Main
Dakhil Hona, Toh Sajda Karte Hue Daakhil Hona Aur, Yeh Bhi Hukum Dia Ke Hafte
Ke Din Machaliyan Pakarne Main Tajawuzz, Yani Hukum Ke Khilaaf Na Karma. Gharaz
Ham Ne Un Se Mazboot Ehed Liya.
155
Lekin Unhon Ne Ehed Ko Tor Daala, Toh Un Ke
Ehed Tor Dene Aur Khuda Ki Aayaton Se Kufur Karne Aur Ambiaya Ko Na Haq Maar
Daalne Aur Yeh Kehne Ke Sabab, Ke Hamare Diloun Par Parde Pare Hue Hain. Khuda Ne
Un Ko Mardood Kar Dia Aur Un Ke Diloun Par Parde Nahi Hain, Balke Un Ke Kufur
Ke Sabab Khuda Ne Un Par Mohor Kar Di Hai, Toh Yeh Kam Hi Eemaan Late Hain.
156
Aur Un Ke Kufur Ke Sabab Aur Maryam Par Aik
Bohtaan-E-Azeem Baandhne Ke Sabab.
157
Aur
Yeh Kehne Ke Sabab, Ke Ham Ne Maryam Ke Bete (Son) Eesaa Maseeh Ko, Joh Khuda
Ke Paigambar Kehlate The Qatal Kar Dia Hai, Khuda Ne Un Ko Malaoon(Laanti/Cursed
) Kar Dia Aur Unhon Ne Eesaa Ko Qatal Nahi Kia Aur Na Unhain Sooli(Hang) Par
Charhaya, Balke Un Ko Un Ki Si Soorat Malom Hui Aur Joh Loug Un Ke Bare Main
Ikhtilaf Karte Hain Wo Un Ke Haal Se Shak Main Pare Hue Hain Aur Paiwi Zan (Shak)
Ke Siwa Un Ko Is Ka Mutliq Ilm Nahi.Aur Unhon Ne Eesa Ko Yaqeenan Qatal Nahi
Kia.
158
Balke Khuda Ne Unko Apni Taraf Utha Liya.Aur
Khuda Gaalib Aur Hikmat Wala Hai.
159
Aur Koi Ehl-E-Kitaab Nahi Hoga, Magar Un Ki
Mout(Death) Se Pehle, Un Par Eeman Le Aye Ga. Aur Wo Qiamat Ke Din Un Par Gawah
Houn Ge.
160
Toh Ham Ne
Yahoodiyon Ke Zulmon Ke Sabab Bohot Si Pakeeza Cheezain, Joh Un Ko
Halaal Theen Haraam Kar Deen, Aur Is
Sabab Se Bhi Ke Wo Aksar Khuda Ke Raste Se Lougon Ko Rokte The.
161
Aur Is Sabab Se Bhi Ke Ba Wajood Mana Kiye
Jane Ke Sood Lete The, Aur Is Sabab Se Bhi Ke Lougon Ka Maal Na Haq Khaate The.
Aur Un Main Se Joh Kafir Hain Un Ke Liye Ham Ne Dard Dene Wala Azaab Taiyaar
Kar Rakha Hai.
162
Magar Joh Loug In Main Se Ilm Main Pakke Hain
Aur Joh Momin Hain, Wo Is Kitaab Par Joh Tum Par Naizil Hui Aur Joh Kitabain
Tum Se Pehle Naazail Hueen, Sab Par Eemaan Rakhte Hain Aur Namaz Parhte Hain
Aur Zakat Dete Hain Aur Khuda Aur Roz-E-Aakhrat Ko Maante Hain. Un Ko Ham
Anqareeb Ajar-E-Azeem Dain Ge.
163
Ae Muhammad S.A.W. Ham Ne Tumhari Taraf Usi
Tarha Wahi Bhaiji Hai, Jis Tarha Nooh Aur Un Se Pichle Paigambaron Ki Taraf
Bhaiji Thi. Aur Ibraheem Aur Ismaail Aur Ishaaq Aur Yaqoob Aur Aulaad-E-Yaqoob
Aur Eesa Aur Aiyoob Aur Younus Aur Haroon Aur Sulaimaan Ki Taraf Bhi Ham Ne
Wahi Bhaiji, Thi Aur Daawood Ko Ham Ne
Zaboor Bhi Inayat Ki Thi.
164
Aur Bohot Se Paigambar Hain Jin Ke Halaat Ham
Tum Se Paishtar (Pehle) Biyaan Kar Chuke Hain, Aur Bohot Se Paigambar Hain Jin
Ke Halaat Tum Se Biyaan Nahi Kiye. Aur Moosa Se Toh Khuda Ne Batain Bhi Kee.
165
Sab Paigambaron Ko Khuda Ne Khushkhabri Sunane
Wale Aur Darane Wale Bana Kar Bahija Tha, Taa-Ake Paigambaron Ke Aane Ke Baad
Lougon Ko Khuda Par Ilzaam Ka Moqa Na Rahe Aur Khdua Gaalib Hikmat Wala Hai.
166
Lekin Khuda Ne Joh Kitaab Tum Par Naizil Ki Hai,
Us Ki Nisbat Khuda Gawahi Deta Hai Ke Us Ne Apne Ilm Se Nazil Ki Hai, Aur
Farishte Bhi Gawahi Dete Hain. Aur Gawah Toh Khuda Hi Kafi Hai.
167
Jin Lougon Ne Kufur Kia Aur Lougon Ko Khuda Ke
Raste Se Roka Wo Raste Se Bhatak Kar Door Ja Pare.
168
Joh Loug Kafir Hue Aur Zulm Karte Rahe, Khuda Un Ko
Bakhashne Wala Nahi Aur Na Unhain Rasta Hi Dikhaye Ga.
169
Haan Dozakh Ka Rasta, Jis Mian Wo Hamesha
Jalte Rahinge. Aur Yeh Baat Khuda Ko Asaan Hai.
170
Lougo! Khdua Ke Paighabmar Tumahre Paas
Tumahre Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Baat Le Kar Aye Hain Toh Un Par Eemaan Lao
Yeh Tumhare Haq Main Behtar Hai. Aur Agar Kufur Karo Ge Toh Jaan Rakho Ke Joh
Kuch Aasmaano Aur Zameen Main Hai, Sab Khuda Hi Ka Hai, Aur Khuda Sab Kuch Jaan-Ne
Wala Aur Hikmat Wala Hai.
171
Ae Ehl-E-Kitaab Apne Deen Ki Baat Main Had Se
Na Barho Aur Khuda Ke Bare Main Haq Ke Siwa Kuch Na Kaho. Maseeh Yaani Maryam
Ke Bete (Son) Eesa, Na Khuda The, Na Khuda Ke Bete, Balke Khuda Ke Rasool Aur
Us Ka Kalma-E-Bisharat The, Joh Us Ne Maryam Ki Taraf Bhaija Tha, Aur Us Ki
Taraf Se Aik Rooh The Toh Khuda Aur Us Ke Rasooloun Par Eeman Lao.Aur Yeh Na
Kaho Ke Khuda Teen Hain. Is Aitqaad (Yaqeen) Se Baaz Aao Ke Yeh Tumhare Haq
Main Behtar Hai. Khuda Hi Maabood-E-Wahid Hai Aur Is Se Paak Hai Ke Us Ke Aulad
Ho. Joh Kuch Aasmaanon Main Aur Joh Kuch Zamen Main Hai Sab Usi Ka Hai.Aur Khuda
Hi Kaarsaaz Kafi Hai.
172
Maseeh Is Baat Se Aar Nahi Rakhte Ke Khuda Ke
Bande Houn Aur Na Muqqrab Farishte Aar Rakhte Hain, Aur Joh Shakhs Khuda Ka
Banda Hone Ko Moujib-E-Aar Samjhe Aur Sarkashi Kare Toh Khuda Sab Ko Apne Paas
Jama Kar Le Ga.
173
Toh Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte
Rahe, Wo Un Ko Un Ka Poora Badla De Ga, Aur Apne Fazal Se Kuch Ziada Bhi Inayat
Kare Ga. Aur Jinhon Ne Banda Hone Se Aar-O-Inkar Aur Takabbur Kia, Un Ko Wo Takleef
Dene Wala Azaab De Ga. Aur Wo Khuda Ke Siwa Apna Haami Aur Madadagar Na Paayen
Ge.
174
Logo! Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Tumahre
Paas Daleel Roshan Aa Chuki Hai Aur Ham Ne Kufur Aur Zalalat Ka Andhaira Door
Karne Ko Tumhare Taraf Chamakta Hua Noor Bhaij Dia Hai.
175
Pas Joh Loug Khuda Par Eemaan Laaye Aur Us Ke
Deen Ki Rassi Ko Mazboot Pakre Rahe, Un Ko Wo Apni Rehmat Aur Fazal Ki Behishaton
Main Dakhil Kare Ga.Aur Apni Taraf Pohonchne Ka Seedha Raste Dikhaye Ga.
176
Ae Paigambar! Loug Tum Se Kalala Ke Bare Main
Hukum-E-Khuda Daryaaft Karte Hain, Keh Do Ke Khuda Kalala Ke Bare Main Yeh
Hukum Deta Hai, Ke Agar Koi Aisa Mard Mar Jaye Jis Ke Aulad Na Ho, Aur Na Maan(Mother) Baap(Father) Aur Us Ke Behen(Sister) Ho, Toh
Us Ko Bhai(Brother) Ke Tarke Main Se Aadha Hissa Mile Ga. Aur Agar Behen(Sister)
Mar Jaye Aur Us Ke Aulad Na Ho .Toh Us Ke Tamam Maal Ka Waris Bhai Hoga, Aur
Agar Marne Wale Bhai Ki Do Behnain Houn Toh Dono Ko Bhai Ke Tarke Main Se Do
Tihaaye(2/3rd) .Aur Agar Bhai Aur Behen Yani Mard Aur Aurtain Mile Jule Waris
Houn Toh Mard (Male) Ks Hissa Do Aurtoun(Two Females) Ke Hisse Ke Barabar Hai.Yeh
Ehkaam Khuda Tumse Isliey Biyaan Fermata Hai, Ke Bhatakte Na Phiro.Aur Khuda
Har Cheez Se Waqif Hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!