Wednesday, 4 May 2016

24-soorah an-noor-aayaat - 64




Sorrah An-Nur

Aayaat 64

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Yeh Aik Soorah Hai Jis Ko Ham Ne Naazil Kia Aur Us Ke Ehkaam Ko Farz Kar Dia, Aur Is Main Waazeh-Ul-Matalib Aayatain Nazil Kee Taa-Ake Tum Yaad Rakho.

2
Badkari Karne Wali Aurat Aur Badkari Karne Wala Mard Jab Un Ki Badkaari Saabit Ho Jaye, Toh Dono Main Se Har Aik Ko Sou(100) Durre Maro. Aur Agar Tum Khuda Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Rakhte Ho Toh Sharaa-E-Khuda Ke Hukum Main Tumhain Un Par Har Gizz Taras Na Aaye. Aur Chahiye Ke Un Ki Saza Ke Waqt Musalmaanou Ki Aik Jamaat Bhi Mojood Ho.

3
Badkaar Mard Toh Badkaar Ya Mushrik Aurat Ke Siwa Nikaah Nahi Karta Aur Badkaar Aurat Ko Bhi Badkaar Ya Mushrik Mard Ke Siwa Aur Koi Nikaah Main Nahi Laata Aur Ye Yaani Badaar Aurat Se Nikaah Karna Mominoun Par Haraam Hai.




4
Aur Joh Loug Parhaizgaar Aurtoun Ko Badkaari Ka Aib Lagaayen Aur Us Par Chaar Gawah Na Laayen Toh In Ko Assi(80) Durre Maaro Aur Kahbi In Ki Shahadat Qabool Na Karo. Aur Ye Hi Badkirdaar Hain.

5
Haan Joh Us Ke Baad Touba Kar Lain Aur Apni Haalat Sanwaar Lain, Toh Khuda Bhi Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

6
Aur Joh Loug Apni Aurtoun Par Badkari Ki Tohmat(Ilzaam) Lagayen Aur Khud Un Ki Siwa Un Ke Gawah Na Houn, Toh Har Aik Ki Shahadat Ye Hai, Ke Pehle Toh Chaar Baar Khuda Ki Qasam Khaaye Ke Beshak Wo Sachha Hai.

7
Aur Paanchween Baar Ye Kahe Ke Agar Wo Jhoota Ho Toh Us Par Khuda Ki Laanat.

8
Aur Aurat Se Saza Ko, Ye Baat Taal Sakti Hai, Ke Wo Pehle Chaar Baar Khuda Ki Qasam Khaaye Ke Be Shak Ye Jhoota Hai.

9
Aur Paanchwee Dafa Youn Kahe Ke,  Agar Ye Sach Ho Toh Mujh Par Khuda Ka Gazab Nazil Ho.




10
Aur Agar Tum Par Khuda Ka Fazal Aur Us Ki Meherbani Na Hoti Toh Bohot Si Kharabiyan Paida Ho Jaateeen. Magar Wo Sahib-E-Karam Ameen Hai,  Aur Ye Ke Khuda Touba Qabool Karne Wala Aur Hakeem Hai.

11
Jin Lougon Ne Bohtaan Baandha Hai Tum Hi Main Se Aik Jamaat Hai,  Us Ko Apne Haq Main Bura Na Samajhna. Balke Wo Tumhare Liye Acha Hai. Un Main Se Jis Shakhs Ne Gunaan Ki Jitna Hissa Liya Us Ke Liye Utna Wabaal Hai. Aur Jis Ne Un Main Se Is Bohtaan Ka Bara Bojh Uthaya Hai Us Ko Bara Azaab Hoga.

12
Jab Tum Ne Wo Baat Suni Thi Toh Momin Mardoun Aur Aurtoun Ne Kion Apne Diloun Main Naik Gumaan Na Kia. Aur Kion Na Kaha, Ke Ye Sareeh Toofaan Hai.

13
Ye Iftiraa Pardaaz, Apni Baat Ki Tasdeeq Ke Liye Chaar Gawah Kion Na Laaye. Toh Jab Ye Gawah Nahi  La Sake Toh Khuda Ke Nazdeek Ye Hi Jhoote Hain.

14
Aur Agar Dunia Aur Aakhrat Main Tum Par Khuda Ka Fazal Aur Is Ki Rehmat Na Hoti Toh Jis Shugal Main Tum Munhamik The Us Ki Waja Se Tum Par Bara Sakhst Azaab Nazil Hota.




15
Jab Tum Apni Zabbnoun Se Us Ka Aik Doose Se Zikar Karte The,  Aur Apne Moonh Se Aisi Baat Kehte The, Jis Ka Tum Ko Kuch Bhi Ilm Nahi Tha Aur Tum Usse Aik Halki Baat Samajhte The Aur Khuda Ke Nazdeek Wo Bari Bhaari Baat Thi.

16
Aur Jab Tum Ne Usse Suna Tha, Toh Kion Na Keh Dia Ke Hamain Shaayaan Nahi Ke Aisi Baat Zabaan Par Laaye. Parwardigaar Tu Paak Hai, Ye Toh Bohot Bara Bohtaan Hai.

17
Khuda Tumhain Naseehat Karta Hai, Ke Agar Momin Ho Toh Phir Kahbi Aisa Kaam Na Karna.

18
Aur Khuda Tumhare Samjhane Ke Liye, Apni Aayatain Khol Khol Kar Bayan Fermata Hai. Aur Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.

19
Aur Joh Loug Is Baat Ko Pasand Karte Hain Ke Mominoun Main Be Hayayee Yaani Tohmat-e-Badkaari Ki Khabar Phaile Un Ko Dunia Aur Aakhramt Main Dukh Dene Wala Azaab Hoga. Aur Khuda Jaanta Hai Aur Tum Nahi Jaante.

20
Aur Agar Tum Par Khuda Ka Fazal Aur Us Ki Rehmat Na Hoti Toh Kia Kuch Na Hota Magar, Wo Kareem Hai Aur Ye Ke Khuda Nihayat Meherbaan Aur Raheem Hai.


21
Momino! Shaitan Ke Qadmoun Par Na Chalna .Aur Joh Shakhs Shaitaan Ke Qadmoun Par Chale Ga Toh Shaitaan Toh Be Hayayee Ki Batain Aur Bure Kaam Hi Bataye Ga. Aur Aagar Tum Par Khuda Ka Fazal Aur Us Ki Meherbaani Na Hoti Toh Aik Shakhs Bhi Tum Main Paak Na Ho Sakta. Magar Khuda Jis Ko Chahata Hai Paak Kar Deta Hai. Aur Khuda Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.

22
Aur Joh Loug Tum Main Sahib-E-Fazal Aur Sahib-E-Wussat Hain, Wo Is Baat Ki Qasam Na Khayain Ke Rishtaa Daaroun Aur Mohtaajoun Aur Watan Chor Jaane Waloun Ko Kuch Kharch Paat Nahi Dainge. Un Ko Chaahiye Ke Moaaf Kar Dain Aur Dar Guzar Kar Dain. Kia Tum Pasand Nahi Karte Ke Khuda Tum Ko Bakhsh De? Aur Khuda Toh Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

23
Joh Loug Parhaiz Gaar Aur Bure Kaamoun Se Be Khabar Aur Eemaan Daar Aurtoun Par Badkaari Ki Tohmat Lagate Hain Un Par Dunia Aur Aakhrat Dono Main Laanat Hai. Aur Un Ko Sakht Azaab Hoga.

24
Yaani Qiamat Ke Roz Jis Din Un Ki Zubaanain Aur Hath Aur Paaon Sab In Ke Kaamoun Ki Gawahi Dainge.

25
Us Din Khuda Un Ko Un Ke Aamaal Ka Poora Poora Aur Theek Badla De Ga, Aur In Ko Maloom Ho Jaye Ga Ke Khuda Bar Haq Aur Haq Ko Zaahir Karne Wala Hai.

26
Napaak Aurtain Napaak Mardoun Ke Liye Hain, Aur Na Paak Mard Na Paak Aurtoan Ke Liye. Aur Paak Aurtain Paak Mardoun Ke Liye Hain Aur Paak Mard Paak Aurtoun Ke Liye. Ye Paak Loug Un Bad Goiyoun Ki Batoun Se Barri(Moaaf) Hain Aur In Ke Liye Bakhshish Aur Naik Rozi Hai.

27
Momino! Apne Gharoun Ke Siwa Doosre Lougon Ke Gharoun Main Ghar Waloun Se Ijazat Liye Aur Un Ko Salam Kiye Bagair Daakhil Na Hua Karo. Ye Tumhare Haq Main Behtar Hai Aur Ham Ye Naseehat Is Liye Karte Hain Ke Shayad Tum Yaad Rakho.

29
Agar Tum Ghar Main Kisi Ko Mojood Na Paao, Toh Jab Tak Tum Ko Ijazat Na Di Jaye Us Main Mat Daakhil Ho. Aur Agar Ye Kaha Jaye Ke Is Waqt Lout Jaao Toh Lout Jaya Karo. Ye Tumhare Liye Bari Paakeezgi Ki Baat Hai. Aur Joh Kaam Tum Karte Ho Khuda Sab Jaanta Hai.

29
Haan Agar Tum Kisi Aise Makaan Main Jao Jis Main Koi Na Basta Ho Aur Us Main Tumhara Asbaab Rakha Ho ,Tum Par Kuch Gunnah Nahi, Aur Joh Kuch Tum Zaahir Karte Ho Aur Joh Posheeda Karte Ho Khuda Ko Sab Maloom Hai.

30
Momin Mardoun Se Keh Do Ke Apni Nazrain Neechi Rakha Karain Aur Apni Sharmgaahoun Ki Hifazat Kia Karain. Ye In Ke Liye Bari Paakeezgi Ki Baat Hai Aur Joh Kaam Ye Karte Hain Khuda Un Se Khabardar Hai.
31
Aur Momin Aurtoun Se Bhi Keh Do Ke Wo Bhi Apni Nigaahain Neechi Rakha Karain, Aur Apni Sharmgaahoun Ki Hifazat Kia Karain Aur Apni Aaraaish Yaaani Zaiwar Ke Maqaamaat Ko Zahir Na Hone Dia Karain,  Magar Joh Un Main Se Khula Rehta Ho. Aur Apne Seenoun Par Orhniyan Orhe Raha Karain Aur Apne Khawind Aur Baap Aur Khussar Aur Baitoun Aur Khawind Ke Baitoun Aur Bhaiyoun Aur Bhatijiyoun Aur Bhaanjiyoun Aur Apni Hi Qisam Ki Aurtoun Aur Loundi Gulamoun Ke Siwa Neez Un Khuddam Ke Joh Aurtoun Ki Khuahish Na Rakhain Ya Aise Larkoun Ke Joh Aurtoun Ke Parde Ki Cheezoun Se Waqif Na Houn, Gharz Un Lougon Ke Siwa Kisi Par Apni Zeenat Aur Singhaar Ke Maqaamat Ko Zahir Na Hone Dain. Aur Apne Paaon Aise Tour Se Zameen Par Na Maarain Ke Jhankaar Ki Awaaz Kaanoun Main Pohonche Aur Un Ka Posheeda Zewar Maaloom Ho Jaye. Aur Momino!  Sab Khuda Ke Aage Touba Karo Taa-Ake Falah Paao.

32
Aur Apni Qoum Ki Bewa Aurtoun Ke Nikah Kar Dia Karo. Aur Apne Gulamoun Aur Loundiyoun Ke Bhi Joh Naik Houn Nikha Kar Dia Karo, Agar Wo Muflis Houn Ge Toh Khuda Un Ko Apne Fazal Se Khush Haal Kar De Ga. Aur Khuda Bohot Wussat Wala Aur Sab Kuch Jaan-Ne Wala Hai.








33
Aur Jin Ka Shadi Ka Maqdoor Na Ho Wo Paak Daamni Ko Ikhtiyaar Kiye Rahain, Yahaan Tak Ke Khuda Un Ko Apne Fazal Se Ghani Kar De. Aur Joh Gulaam Tum Se Makatibat Chaahain Agar Tum Un Main Salahiyat Aur Naiki Pao Toh Un Se Makatbat Kar Lo. Aur Khuda Ne Joh Maal Tum Ko Bakhsha Hai Us Main Se In Ko Bhi Do. Aur Apni Loundiyoun Ko Agar Wo Paak Daman Rehna Chaahian Toh Be Sharmi Se Dunyawi Zindagi Ke Fawaid Hasil Karne Ke Liye Badkari Par Majboor Na Karna. Aur Joh Un Ko Majboor Kare Ga Toh Un Bechariyoun Ke Majboor Kiye Jane Ke Baad Khuda Bakhahsne Wala Meherbaan Hai.

34
Aur Ham Ne Tumhari Taraf Roshan Aayatain Nazil Ki Hain Aur Joh Loug Tum Se Pehle Guzar Chuke Hain Un Ki Khabrain Aur Parhaizgaaroun Ke Liye Naseehat.

35
Khuda Asmanoun Aur Zameen Ka Noor Hai. Us Ke Noor Ki Misaal Aisi Hai Ke Goya Aik Taaq Hai, Jis Main Charaagh Hai. Aur Charaagh Aik Qandeel Main Hai. Aur Qandeel Aisi Saaf Shaffaf Hai Ke Goya Moti Ka Sa Chamakta Hua Tara Hai, Us Main Aik Mubarak Darakht Ka Tail(Oil) Jalaya Jata Hai, Yaani Zaitoon Ke Na Mashrik Ki Taraf Hai Na Magrib Ki Taraf. Aisa Maloom Hota Hai Ke Us Ka Tail(Oil)Khuah Aag  Usse Na Bhi Chooye Jalne Ko Taiyaar Hai, Bari Roshni Pe Roshni Ho Rahi Hai, Khuda Apne Noor Se Jis Ko Chahta Hai Seedhi Raah Dikhata Hai . Aur Khuda Joh Misaalain Bayan Fermata Hai Toh Lougon Ke Saamjhane Ke  Liye, Aur Khuda Har Cheez Se Waaqif Hai.


36
Wo Qandeel Un Gharoun Main Hai Jin Ke Baare Main Khuda Ne Irshaad Farmaya Hai Ke Buland Kiye Jayen,  Aur Wahan Khuda Ke Naam Ka Zikar Kia Jaye Aur Un Main Subh-O-Sham Is Ki Tasbeeh Karte Rahain.

37
Yaani Aise Loug Jin Ko Khuda Ke Zikar Aur Namaz Parhne Aur Zakaat Dene Se, Na Sodagari Ghafil Karti Hai, Na Khareed-O-Farokht.  Wo Us Din Se Jab Dil Khof Aur Ghabrahat Ke Sabab Ulat Jayen Ge Aur Aankhain Oopar Charh Jaye Gi Darte Hain.

38
Taa-Ake Khuda Un Ko Un Ke Amaaloun Ka Bohot Acha Badla De Aur Apne Fazal Se Ziada Bhi Ata Kare. Aur Khuda Jis Ko Chahta Hai  Be Shumaar Rizq Deta Hai.

39
Aur Jin Lougon Ne Kufur Kia Un Ke Aamaal Ki Misaal Aisi Hai Jaise Maidaan Main Rait, Ke Piyasa Usse Paani Samajhe Yahan Tak Ke Jab Us Ke Paas  Aaye Toh Usse Kuch Bhi Na Paaye Aur Khuda Hi Ko Apne Pas Daikhe Toh Wo Usse Us Ka Hisaab Poora Poora Chukka De. Aur Khuda Jald Hisab Karne Wala Hai.








40
Ya Un Ke Aamaal Ki Misaal Aisi Hai Jaise Daryaa-E-Ameeq Main Andhaire Jis Par Leher Chari Chali Aati Ho, Aur Us Ke Oopar Aur Leher Aa Rahi Ho Aur Us Ke Oopar Badaal Ho, Gharz Andhaire Hi Andhaire Houn. Aik Par Aik Chaaya Hua Jab Apne Hath Nikale Toh Kuch Na Daikh Sake. Aur Jis Ko Khuda Roshni Na De Us Ko Kahin Bhi Roshani Nahi Mill Sakti.

41
Kia Tum Ne Nahi Daikha, Ke Joh Loug Aasmanoun Aur Zameen Main Hain Khuda Ki Tasbeeh Karte Rehte Hain Aur Par Phailaye Hue Janwar Bhi. Aur Sab Apni Namaz Aur Tasbeeh Ke Tareeqe Se Waqif Hain. Aur Joh Kuch Wo Karte Hian Sab Khuda Ko Maloom Hai.

42
Aur Aasmaan Aur Zameen Ki Baadshaahi Khuda Hi Ke Liye Hai. Aur Khuda Hi Ki Taraf Lout Kar Jana Hai.

43
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Khuda Hi Baadaloun Ko Chalata Hai, Phir Un Ko Apas Main Mila Deta Hai, Phir Un Ko Tae Ba Tae Kar Deta Hai, Phir Tum Daikhte Ho Ke Badal Main Meenh Nikal Kar Baras Raha Hai Aur Aasman Main Joh Ouloun Ke Pahaar Hain, Un Se Oule Nazil Karta Hai, Toh Jis Par Chahta Hai Us Ko Barsa Deta Hai Aur Jis Se Chahta Hai Hata Rahkta Hai. Aur Badal Main Jo Bijli Hoti Hai Us Ki Chamak Aankhoun Ko Khaira Kar Ke Beenaayee Ko Uchke Liye Jati Hai.



44
Khuda Hi Raat Aur Din Ko Badalta Rehta Hai. Ehl-E-Basaarat Ke Liye Is Main Bari Ibrat Hai.

45
Aur Khuda Hi Ne Har Chalne Phirne Wale Jaandaar Ko Paani Se Paida Kia. Toh Un Main Se Baaz Aise Hain Ke Pait Ke Bal Chalte Hain Aur Baaz Aise Hain Joh Do Paaon Par Chalte Hain Aur Baaz Aise Hain Joh Chaar Paayoun Par Chlate Hain. Khuda Joh Chahta Hai Paida Karta Hai, Be Shak Khuda Har Cheez Par Qaadir Hai.

46
Ham Hi Ne Roshan Aayatain Nazil Kee Hain Aur Khuda Jis Ko Chahata Hai Seedhe Raaste Ki Taraf Hidayat Karta Hai.

47
Aur Baaz Loug Kehte Hain Ke Ham Khuda Par Aur Rasool S.A.W. Par Eemaan Laye Aur Unka Hukum Maan Liya Phir Us Ke Baad Un Main Se Aik Firqa Phir Jata Hair Aur Ye Loug Sahib-E-Eemaan Hi Nahi Hain.

48
Aur Jab Unko Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Taraf Bulaya Jata Hai, Taa-Ake Rasool-E-Khuda Un Ka Qaziya Chukka Dain Toh Un Main Se Aik Firqa Moonh Phair Leta Hai.

49
Aur Agar Moaamla Haq Ho Aur Unko Pohonchta Ho Toh Us Ki Taraf Mutee Ho Kar Chale Aate Hain.



50
Kia Un Ke Diloun Main Bimari Hai Ya Ye Shak Main Hain Ya Un Ko Ye Khof Hai Ke Khuda Aur Us Ka Rasool Un Ke Haq Main Zulm Karainge, Nahi Balke Ye Khud Zaalim Hain.

51
Mominoun Ki Toh Ye Baat Hai Ke Jab Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Taraf  Bulaye Jaayen Taa-Ake Wo Un Main Faisala Karain Toh Kahain Ke Ham Ne Hukum Sunn Liya Aur Maan Liya. Aur Ye Hi Loug Falah Paane Wale Hain.

52
Aur Joh Shakhs Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmanbardari Kare Ga Aur Us Se Darre Ga Toh Aise Hi Loug Muraad Ko Pohonchne Wale Hain.

53
Aur Ye Khuda Ki Sakht Sakht Qasmain Khaate Hain, Ke Agar Tum In Ko Hukum Do Toh Sab Gharoun Se Nikal Khare Houn. Keh Do Ke Qasmain Mat Khao, Pasandeeda Farmabardari Darkaar Hai. Be Shak Khuda Tumhare Sab Aamaal Se Khabardaar Hai.

54
Keh Do Ke Khuda Ki Farmabardari Karo Aur Rasool-E-Khuda Ke Hukum Par Chalo. Agar Moonh Moro Ge Toh Rasool Par (Us Cheez Ka Ada Karna Hai) Joh Un Ke Zimme Hai Aur Tum Par Us Cheez Ka Ada Karna Hai Joh Tumhare Zimme Hai Aur Agar Tum Un Ke Farmaan Par Chalo Ge Toh Seedha Rasta Paa Lo Ge Aur Rasool Ke Zimme Toh Saaf Saaf Ehkaam-E-Khuda Ka Pohoncha Dena Hai.


55
Joh Loug Tum Main Se Eemaan Laaye Aur Naik Kaam Karte Rahe Un Se Khuda Ka Waada Hai, Ke Unko Mulk Ka Haakim Bana De Ga, Jaisa Un Se Phele Lougon Ko Hakim Banaya Tha Aur Un Ke Deen Ko Jisse Us Ne Un Ke Liye Pasand Kia Hai Mustahkam-O-Paaidaar Kare Ga Aur Khof Ke Baad Un Ko Aman Bakhshe Ga .Wo Meri Ibadat Karainge Aur Mere Sath Kisi Cheez Ko Shareek Na Banayen Ge .Aur Joh Is Ke Baad Kufur Kare Toh Aise Loug Badkirdaar Hain.

56
Aur Namaz Parhte Raho Aur Zakaat Dete Raho Aur Paigambar-E-Khuda Ke Farmaan Par Chalte Raho Taa-Ake Tum Par Rehmat Ki Jaye.

57
Aur Aisa Khayal Na Karna Ke Tum Par Kafir Loug Ham Ko Mamlook Kar Dain Ge Wo Ja Hi Kahan Sakte Hain In Ka Thikana  Dozakh Hai Aur Wo Bohot Bura Thikana Hai.

58
Momino! Tumhare Gulaam, Loundiyan Aur Joh Bache Tum Main Se Balogh Ko Nahi Pohonche Teen Dafa Yaani Teen Ouqaat Main Tum Se Ijazat Liya Karain. Aik Toh Namaz-E-Subh Se Pehle Aur Doosre Garmi Ki Dopeher Ko Jab Tum Kapre Utaar Dete Ho. Aur Teesre Ishaa Ki Namaz Ke Baad. Ye Teen Waqt Tumhare Parde Ke Hain, Un Ke Aage Peeche Yaani Doosre Waqtoun Main Na Tum Par Kuch Gunnah Hai Aur Na In Par. Ke Kaam Kaaj Ke Liye Aik Doosre Ke Paas Aate Rehte Hain. Is Tarha Khuda Apni Aayatain Khol Khol Kar Bayan Fermata Hai Aur Khuda Bara Ilm Wala Ur Bara Hikmat Wala Hai.

59
Aur Jab Tumhare Larke Baaligh Ho Jaye Toh Un Ko Bhi Issii Tarha Ijazat Leni Chahiye Jis Tarha Un Se Agle Yaani Bare Aadmi Ijazat Hasil Karte Rahe Hain. Is Tarha Khuda Tum Se Apni  Aayatian Khol Khol Kar Bayan Fermata Hai. Aur Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.

60
Aur Bari Umar Ki Aurtain Jin Ko Nikah Ki Tawaqo Nahi Rahi, Aur Wo Kapre Utaar Kar Sar Nannga Kar Liya Karain Toh Un Par Kuch Gunnah Nahi, Bashartye Ke Apni Zeenat Ki Cheezain Na Zahir Karain. Aur Agar Is Se Bhi Bachain Toh Ye Un Ke Haq Main Behtar Hai.Aur Khuda Suntan Jaanta Hai.

61
Na Toh Andhe Par Kuch Gunnah Hai Aur Langre Par Aur Na Beemaar Par Aur Na Khud Tum Par Ke Apne Gharoun Se Khana Khaao Ya Apne Baapoun(Father) Ke Gharoun Se Ya Apni Maaon(Mothers) Ke Gharoun Se Ya Bhaiyoun(Brothers) Ke Gharoun Se Ya Apni Behnoun(Sisters) Ke Gharoun Se Ya Apne Chachaaoun(Uncle) Ke Gharoun Se Ya Apni Phoopiyoun(Aunties) Ke Gharounse Ya Apni Maamoouon(Brother Of Mothers) Ke Gharon se Ya Apni Khaalaaoun(Sisters Of Mothers) Ke Gharoun Se Ya Us Ghar Se Jis Ki Kunjiyan(Keys) Tumhare Hath Main Houn Ya Apne Dostoh Ke Gharoun Se Aur Us Ka Bhi Tum Par Kuch Gunnah Nahi Ke Sab Mil Kar Khana Khaow, Ya Juda Juda. Aur Jab Gharoun Main Jaya Karo Toh Apne Ghar Waloun Ko Salam Kia Karo. Ye Khuda Ki Taraf Se Mubarak Aur Paakeza Tohfa Hai. Is Tarha Khuda Apni Aayatain Khol Khol Kar Bayan Fermata Hai Taa-Ake Tum Samjho.
62
Momin Toh Wo Hain Jo Khuda Par Aur Ue Se Rasool Par Eemaan Laye Aur Jab Kabhi Aise Kaam Ke Liye Joh Jama Ho Kar Karne Ka Ho Paigambar-E-Khuda Ke Paas Jama Houn Toh Un Se Ijazat Liye Bagair Chale Nahi Jate. Ae Paigambar S.A.W.  Joh Loug Tum Se Ijazat Hasil Karte Hain Wo Hi Khuda Par Aur Us Ke Rasool Par Eemaan Rakhte Hain. So Jab Ye Loug Tum Se Kisi Kaam Ke Liye Ijazat Maanga Karian Toh Un Main Se Jisse Chaha Karo Ijazat De Dia Karo Aur Un Ke Liye Khuda Se Bakhshish Maanga Karo. Kuch Shak Nahi Ke Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

63
Momino Paigambar Ke Bulane Ko Aisa Khayal Na Karna Jaisa Tum Apas Main Aik Doosre Ko Bulate Ho. Be Shak Khuda Ko Wo Loug Malom Hain Joh Tum Main Se Aankh Bahca Kar Cahl Dete Hain, Toh Joh Loug Un Ke Hukum Ki Mukhalfat Karte Hain Un Ko Darna Chahiye Ke Aisa Na Ho Ke Un Par Koi Aafat Par Jaye, Ya Takleef Dene Wala Azaab Nazil Ho.

64
Daikho Joh Kuch Aasmaanoun Aur Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai, Jis Tareeq Par Tum Ho Wo Usse Jaanta Hai. Aur Jis Roz Loug Us Ki Taraf  Loutaye Jaye Ge Toh Joh Amal Wo Karte Rahe Wo Un Ko Bata De Ga.Aur Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!