Monday 16 May 2016

001-Surah Al-Fateha-Aayat-7


 

 

SOORAH-E-FAATIHA-Aayaat-7


 

Panaah Maangta Hoon Main Allah Ki Shaitaan Mardood Se


1

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nehayat Rehem Farmaane Wala Hai

2

Sab Tarha Ki Tareef Khuda Hi Ko Saza Waar Hai Joh Tamam Makhlookaat Ka Parwardigaar Hai

3

Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Wala.

4

Insaaf Ke Din Ka Haakim

5

Ae Parwardigaar Ham Teri Hi Ibadat Karte Hain Aur Tujh Hi Se Madad Maangte Hain

6

Ham Ko Seedhe Raste Chala

7

Un Logon Ke Raste Jin Pe Tu Apne Fazlo Karam Karta Raha Na Un Ke Jin Pe Gusse Hota Raha Aur Na Gumraahon Ke



SADAQALLAH UL AZEEM

002-Surah Al-Baqra-Aayaat-286 (Aayat no.01-129)


-e-Baqra Soorah

(Aayaat-286)

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmaane Wala Hai


1
Alif Laam Meem.

2
Yeh Kitaab Quraan- E -Majeed  Is Main Kuch Shak Nahi Ke Kalaam-E-Allah Hai .Allah Se Darne Wallon Ki Rahnuma Hai.

3
Joh Gaib Par Imaan Laate Aur Adab Ke Sath Namaaz Parhte Aur Joh Kuch Ham Ne In Ko Ataa Farmaya Hai Us Main Se Kharch Karte Hain.

4
Aur Joh Kitaab (Ae Mohammad Sall Allah-O-Alaih-E-Wasallam) Tum Par Naazil Hui Aur Joh Kitaabain Tum Se Pehle Pagaimbaron Par Nazil Hueen Sab Par Emaan Laate Aur Aakhrat Ka Yakeen Rakhte Hain.



5
Yeh Hi Log Apne Parwardigaar Ki Tararf Se Hidayat Par Hain Aur Yeh Hi  Nijaat Pane Wale Hain.

6
Joh Loug Kaafir Hain Unhain Tum Naseehat Karo, Ya Na Karo Un Ke Liye Barabar Hai Woh Eemaan Nahi Laane Ke.

7
Allah  Ne Un Ke Diloun Aur Kaanoun Par Mohor Laga Rakhi Hai Aur Un Ki Aankhon Par Parda Para Hua Hai Aur Un Ke Liye Bara Azaab Taiyaar Hai.

8
Aur Baaz Loug Aise Hain Joh Kehte Hain Ke Ham Allah Par Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Rakhte Hain ,Haalaanke Woh Eemaan Nahi Rakhte Hain.

9
Yeh Apne (Pinddaar Main) Allah  Ko Aur Mouminoun(Momin) Ko Chakma Dete Hain Magar Haqeeqat Main Apne Siwa Kisi Ko Chakma Nahi Dete Aur Is Se Bekhabar Hain.



10
In Ke Diloun(Hearts) Main Kufar Ka Marz Tha.Allah Ne Un Ka Marz Aur Ziada Kar Dia Aur In Ke Jhoot Bolne Ke Sabab In Ko Dukh Dene Wala Azaab Hoga.

11
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Zameen Main Fisaad Na Daalo Toh Kehte Hain Ham Toh Islaah Karne Wale Hain.

12
Daikho Yeh Bila Shuba Muffsid(Jhoote ,Fisaadi) Hain, Lekin Khabar Nahi Rakhte.

13
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Jis Tarha Aur Log Eemaan Le Aye, Tum Bhi Eemaan Le Aao Toh Kehte Hain , Bhala Jis Tarha Bawaqoof Eemaan Le Aaye Hain Ussi Tarha Ham Bhi Eemaan Le Aayen? Sunn Lo Ke Yeh Hi Be Waqoof Hain Lekin Nahi Jaante.

14
Aur Yeh Loug Jab Mominoun Se Milte Hain Toh Kehte Hain Ke Ham Eemaan Le Aaye Hain Aur Jab Apne Shaitaanon Main Jaate Hain Toh Un Se Kehte Hain Ke Ham Tumhare Sath Hain Aur (Rasool Ki Pairwi Karne Walon Se Toh  Ham Hansi Kia Karte Hain).
15
In Munafiqon Se Allah Hansi Karta Hai Aur Unhain Mohlat Diye Jaata Hai Ke Shararat-O-Sarkashi Main Pare Behek Rahe Hain.

16
Yeh Woh Loug Hain Jinhoun Ne Hidayat Chor Kar Gumraahi Khareedi Toh ,Na Toh Un Ki Tijaarat Hi Ne Kuch Nafa Dia Aur Na Hi Woh Hidayat Yaab Hi Hue.

17
Un Ki Misaal Us Shakhs Ki Si Hai Ke Jis Ne (Shab-E-Tareek Main) Aag Jalayee Jab Aag Ne Us Ke Irdd Girdd Ki Cheezain Roshan Kee Toh Allah Ne Un Logon Ki Roshni Zaa-Il(Lost) Kar Di Aur Un Ko Andhairon  Main Chor Dia Ke Kuch Nahi Daikhte.

18
Yeh Behre Hain ,Goonge Hain,Andhe Hain Ke Kisi Tarha Seedhe Raste Ki Taraf Lout Hi Nahi Sakte.







19
Ya Un Ki Misaal Baarish Ki Si Hai Ke Aasmaan Se Baras Raha Ho Aur Us Main Andhare Par Andhaira Cha Raha Ho Aur Badal Garaj Raha Ho Aur Bijli Karak Rahi Ho, Toh Yeh Karak Se Dar Kar Mout Ke Khof Se Kaanoun Main Ungliyan De Lain Aur Allah Kafiron Ko Har Taraf Se Ghaire Hue Hai.

20
Qareeb Hai Ke Bijli Ki Chamak Un Ki Aankhoun Ki Bisaarat Ko Uchak(Chura) Le Jaaye . Jab Bijli Chamakti Aur Un Par Roshni Daalti Hai Toh Us Main Chal Parte Hain Aur Jab Andhaira Ho Jata Hai Toh Khare Ke Khare Reh Jate Hain Aur Allah Chahta Toh Un Ke Kaanon Ki Sunwaaee Aur Aankhon Ki Binaayee Dono Ko Zaa-Il Kar Deta.Bila Shuba Allah Har Cheez Par Qaadir Hai.

21
Lougo Apne Parwardigaar Ki Ibadat Karo Jis Ne Tum Ko Aur Tum Se Pehle Logoun Ko Paida Kia Taa-Aake Tum Us Ke Azab Se Bacho.






22
Jis Ne Tumhare Liye Zameen Ko Bichona Aur Asmaan Ko Chat(Roof) Banaya Aur Aasmaan Se Barish Barsa Kar Tumhare Khane Ke Liye Annwaa-O-Iqsaan(Different) Ke Maiwe(Dry Fruits) Paida Kiye Pas(Taa-Aake) Kisi Ko Allah Ka Hamsar Na Banao.Aur Tum Jaante Toh Ho.

23
Aur Agar Tum Ko Is Kitaab Main , Joh Ham Ne Apne Bande (Muhammad S.A.W)Par Nazil Farmayee Hai Kuch Shak Ho Toh Usi Tarha Ki Aik Soorah Tum Bhi Bana Laao Aur Allah Ke Siwa Joh Tumhare Madadgaar Houn Un Ko Bhi Bula Lo Agar Tum Sache Ho.

24
Lekin Agar Aisa Na Kar Sako Aur Hargizz Nahi Kar Sako Ge Toh Us Aag Se Daro Jis Ka Eendhan Aadmi Aur Pathar Honge Aur Joh Kaafiron Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai.









25
Aur Joh Log Eemaan Laaye Aur Naik Amal Karte Rahe, Un Ko Khushkhabri Suna Do Ke Un Ke Liye (Naimat)Ke Baagh(Garden) Hain,Jin Ke Neechen Nehrain(Streams) Behh Rahi Hain,Jab Unhain Un Main Se Kisi Qissam Ka Maiwa(Dry Fruit)Khane Ko Dia Jaye Ga Toh Kahain Ge , Yeh Toh Woh Hi Hai Joh Ham Ko Pehle Dia Gaya Tha.Aur Un Ko Aik Doosre Ke Ham Shakal Maiwe Diye Jayen Ge Aur Wahan Un Ke Liye Paak Bibiyan(Wifes)Houn Gi Aur Woh Behishatoun(Jannat)Main Hamesha Rahain Ge.

26
Allah Is Baat Se Aar Nahi Karta Ke Machar Ya Us Se Barh Kar Kisi Cheez (For Example Makkhi Makri Etc) Ki Misaal Biyaan Farmaye, Joh Momin Hain , Woh Yaqeen Karte Hain Ke Woh Un Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Sach Hai Aur Joh Kaafir Hain Woh Kehte Hain Ke Is Misaal Se Allah Ki Muraad Hi Kia Hai.Is Se Allah Bohot Se Logon Ko Gummrah Karta Hai Aur Bohoton(Many) Ko Hidayat Bakhashta Hai Aur Gummrah Bhi Karta Hai Toh Nafarmaanon Hi Ko.




27
Joh Allah Ke Iqraar Ko Mazboot Karne Ke Baad Tor Dete Hain Aur Jis Cheez (Means Rishta-E-Qurabat)Ke Jore Rakhne Ka Allah Ne Hukum Dia Hai Us Ko Qitta(Saperate) Kiye Daalte Hain Aur Zameen Main Kharabi Karte Hain Yeh Hi Loug Nuqsaan Uthane Wale Hain.

28
Kaafiro,Tum Allah Se Kion Kar Munkirr(Inkar) Ho Sakte Ho,Jis Haal Main Ke Tum Be Jaan The Toh Us Ne Tum Ko Jaan Bakhshi Phir Wo Hi Tum Ko Maarta Hai Phir Woh Hi Tum Ko Zinda Kare Ga Phir Tum Usi Ki Taraf Lout Kar Jaao Ge.

29
Woh Hi Toh Hai Jis Ne Sab Cheezain Joh Zameen Main Hain Tumhare Liye Paida Ki Phir Aasmaanoun Ki Taraf Mutwajoh (Attention)Hua Toh Un Ko Theek Saat (7) Aasmaan Bana Dia Aur Woh Har Cheez Se Khabar Daar Hai.

30
Aur Woh Waqt Yaad Karne Ke Qaabil Hai Jab Tumhare Parwardigaar Ne Farishtoun Se Farmaya Ke Main Zameen Main Apna Naaib(Messenger) Banaane Wala Hoon ,Unhoun Ne Kaha Kia Tu Is Main Aise Shakhs Ko Naaib Banana Chahata Hai Joh Kharabiyan Kare Aur Kusht-O-Khoon Karta Phire Aur Ham Teri Taareef Ke Sath Tasbeeh-O-Taqdees Karte Rahte Hain. Allah Ne Farmaya Main Woh Baatain Jaanta Hoon Joh Tum Nahi Jaante.



31
Aur Us Ne Aadam Ko Sab Cheezon Ke Naam Sikhaaye Phir Un Ko Farishton Ke Saamne Kia Aur Farmaya Ke Agar  Sache Ho Toh Mujhe Un Ke Naam Bataow.

32
Unhoun Ne Kaha , Tu Paak Hai.Jitna Ilm Tu Ne Hamain Bakhsha Hai, Us Ke Siwa Hamain Kuch Maloom Nahi ,Behsak Tu Daana Aur Hikmat Wala Hai.

33
Tab Allah Ne Aadam Ko Hukum Dia Ke Aadam Tum In Ko Un Cheezon Ke Naam Bataow ,Jab Unhon Ne Un Ko Naam Bataye Toh Farmaya Kion Main Ne Tum Se Nahi Kaha Tha Ke Main Aasmaanon Aur Zameen Ki Sab Poshida(Hidden) Baatain Jaanta Hoon Aur Joh Tum Zaahir Karte Ho Aur Joh Poshida(Hidden) Karte Ho Sab Mujh Ko Maloom Hai.

34
Aur Joh Ham Ne Farishton Ko Hukum Dia Ke Aadam Ke Aage Sajda Karo Toh Woh Sab Sajde Main Girr Pare Magar Shaitan Ne Inkaar Kia Aur Garoor Main Aakar Kafir Ban Gaya.

35
Aur Ham Ne Kaha Ke Ae Aadam Tum Aur Tumhari Biwi Behshat(Jannat-Heaven)Main Raho Aur Jahan Se Chaho Be Rok Touk Khao Piyo, Lekin Is Darakht Ke Paas Na Jaana ,Nahi Toh Zaalimon Main Daakhil Ho Jao Ge.







36
Phir Shaitaan Ne Dono Ko Wahan Se Phusla Dia Aur Jis Aish-O-Nishaat Mein The, Us Se Un Ko Nikawla Dia. Tab Ham Ne Hukum Dia Ke Behshat Bareen Se Chale Jaao ,Tum Aik Doosre Ke Dushman Ho,Aur Tumhare Liye Zameen Main Aik Waqt Tak Thikana(Place) Aur Moaash(Salary)Muqararr Kar Dia Gayi Hai.

37
Phir Aadam Ne Apne Parwardigaar Se Kuch Kalmaat Seekhe Aur Maafi Maangi Toh Us Ne Un Ka Qasoor Maaf Kar Dia ,Beshak Woh Maaf Karne Wala Aur Saahib-E-Rehem Hai.

38
Ham Ne Farmaya Ke Tum Sab Yahan Se Utar Jao Jab Tumhare Paas Meri Taraf Se Hidayat Pohnche Toh Us Ki Pairwi(Follow)Karna, Ke Jinhoun Ne Meri Hidayat Ki Pairwi Ki Un Ko Na Kuch Khof Hoga Aur Na Woh Gamnaak Houn Ge.

39
Aur Jinhoun Ne Us Ko Qabool Na Kia Aur Hamari Aayaton Ko Jhutlaya ,Woh Dozakh Main Jaane Wale Hain,Aur Woh Hamesha Us Main Rahain Ge.
  
40
Ae Aal-E-Yaqoob(Yaqoob Family)Mere Woh Ehsaan Yaad Karo Joh Main Ne Tum Par Kiye The Aur Us Iqraar Ko Poora Karo Joh Tum Ne Mujhe Se Kia Tha.Main Us Iqraat Ko Poora Karoonga Joh Main Ne Tum Se Kia Tha Aur Mujh Hi Se Darte Raho.


41
Aur Joh Kitaab Main Ne Apne Rasool Mohammad(S.A.W)Par Naazil Ki Hai, Joh Tumhari Kitaab Touraat Ko Sacha Kehti Hai , Us Par Eemaan Laao Aur Us Se Munkir-E-Awwal Na Bano Aur Meri Aayaton Main Tehreef(Changings)  Kar Ke Un Ke Badle Thori Si Qeemat Yaani Dunyavi  Munaafiat(Profit) Na Haasil Karo, Aur Mujhe Se Khof Rakho.


42
Aur Haq(True) Ko Baatil(False)Ke Sath Na Milaao, Aur Sachi Baat Ko Jaan Boojh Kar Na Chupaao.

43
Aur Namaaz Parha Karo Aur Zakaat Dia Karo Aur Allah Ke Aage Jhukne Waloun Ke Sath Jhuka Karo.



44
Yeh Kia Aqal Ki Baat Hai Ke Tum Logon Ko Naiki Karne Ko Kehte Ho Aur Apne Taaieen(Urself) Faramosh(Bhool) Kiye Dete Ho,Haalaan Ke Tum Kitaab-E-Allah Bhi Parhte Ho. Kia Tum Samajhte Nahi?

45
Aur Ranj-O-Takleef Main Sabar Aur Namaaz Se Madad Liya Karo Aur Be Shak Namaaz Garaan (Hard To Pray) Hai Magar Un Logoun Par Nahi Garaan Joh Ijaz( Aajzi   ) Karne Wale Hain.

46
Joh Yaqeen Kiye Hue Hain Ke Woh Apne Parwardigaar Se Milne Waale Hain Aur Us Ki Taraf Lout Kar Jaane Waale Hain.

47
Ae Yaqoob Ki Aulaad! Mere Woh Ehsaan Yaad Karo,Joh Main Ne Tum Par Kiye The Aur Yeh Ke Main Ne Tum Ko Jahaan(World)Ke Logoun Par Fazeelat Bakhshi Thi.






48
Aur Uss Din(Qiamat) Se Daro Jab Koi Kisi Ke Kuch Bhi Kaam Na Aaye Aur Na Kisi Ki Sifaarish Manzoor Ki Jaye Aur Na Kisi Se Kisi Tarha Ka Badla Qabool Kia Jaye Aur Na Loug Kisi Aur Tarha Madad Hasil Kar Sakain.

49
Aur Hamare Un Ehsaanaat Ko Yaad Karo Jab Ham Ne Tum Ko Qoum-E-Firown Se Nijaat(Mukhlasi) Bakhshi Woh Loug Tum Ko Bara Dukh Dete The Tumhare Baiton (Son) Ko Toh Qatal Kar Daalte The Aur Betiyon(Daughters) Ko Zinda Rehne Dete The Aur Us Main Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Bari Sakht Aazmaaish Thi.

50
Aur Jab Ham Ne Tumhare Liye Darya Ko Phaar Dia Toh Tum Ko Toh Nijaat Di Aur Firown Ki Qoum Ko Garaq Kar Dia Aur Tum Daikh Hi Toh Rahe The.

51
Aur Jab Ham Ne Moosa Se Chaalees(Forty) Raat Ka Waada Kia Toh Tum Ne Un Ke Peeche Bachre Ko Maabood  Muqarrar Kar Liya Aur Tum Zulm Kar Rahe The.


52
Phir Us Ke Baad Ham Ne Tum Ko Maaf Kar Dia, Taa-Ake Tum Shukar (Thanks) Karo.

53
Aur Jab Ham Ne Moosa Ko Kitaab Aur Mooujze Inayat Kiye ,Taa-Ake Tum Hidayat Haasil Karo.

54
Aur Jab Moosa Ne Apni Qoum Ke Logon Se Kaha Ke Bhaaiyo Tum Ne Bachre Ko Maabood Tehraaane Main Bara Zulm Kia Hai ,Toh Apne Paida Karne Wale Ke Aage Touba Karo Aur Apne Taieen(Yourself) Halaak Kar Daalo.Tumhare Khaaliq Ke Nazdeek Tumhare Haq Main Yeh Hi Behtar Hai.Phir Us Ne Tumhara Qasoor Moaaf Kar Dia.Woh Beshak Moaaf Karne Wala Aur Saahib-E-Rehem Hai.

55
Aur Jab Tum Ne Moosa Se Kaha Ke Moosa ,Jab Tak Ham Allah Ko Saamne Na Daikh Lain Ge,Tum Par Eemaan Nahi Laayyen Ge,Toh Tum Ko Bijli Ne Aa Ghaira Aur Tum Daikh Rahe The.




56
Phir Mout Aa Jaane Ke Baad Ham Ne Tum Ko Azz Sir-E-Nou Zinda Kar Dia Taa-Ake Ehsaan Maano.

57
Aur Baadal Ka Tum Par Saaya Kiye Rakha Aur Tumhare Liye Mann-O-Salwa Utaarte Rahe Ke Joh Paakeeza Cheezain  Ham Ne Tum Ko Ata Farmaayee Hain, Un Ko Khaao Piyo Magar Tumhare Buzurgon Ne In Naimaton Ki Kuch Qadar Na Jaani (Aur) Woh  Hamara Kuch Nahi Bigaarte The Balke Apna Hi Nuqsaan Karte The.

58
Aur Jab Ham Ne Un Se Kaha Ke Is Gaaoun(Village) Main Daakhil Ho Jaao Aur Us Main Jahan Se Chaaho, Khoob Khaao Piyo Aur Daikhna Darwaaze Main Daakhil Hona Toh Sajda Karna Aur Hittatun Kehna, Ham Tumhare Gunnah Moaaf Kar Dainge Aur Naiki Karne Waalon Ko Aur Ziada Dainge.

59
Toh Joh Zaalim The,Unhon Ne Is Lafz Ko,Jis Ka Un Ko Hukum Dia Tha,Badal Kar Us Ki Jagah Aur Lafz Kehna Shroo Kia,Pas Ham Ne Un Zaalimoun Par Aasmaan Se Azaab Naazil Kia,Kiyon Ke Nafarmaaniyan Kiye Jaate The.
60
Aur Jab Moosa Ne Apni Qoum Ke Liye Allah Se Paani Maanga Toh Ham Ne Kaha Ke Apni Laathi Pathar Par Maaro. Unhon Ne Laathi Maari Toh Phir Us Main Se Baara(12) Chashme Phooot Nikle, Aut Tamaam Logoun Ne Apna Apna Ghaat Maloom Kar Ke Paani Pee Liya.Ham Ne Hukum Dia Ke Allah Ki Ata Farmaayee Hui Rozi Khaao Aur Piyo , Magar Zameen Main Fisaad Na Karte Phirna.

61
Aur Jab Tum Ne Kaha Ke Moosa Ham Se Aik Hi Khaane Par Sabar Nahi Ho Sakta Toh Apne Parwardigaar Se Dua Kijiye Ke Tarkaari Aur Kakri Aur Gaihoon Aur Masoor Aur Piyaaz Wagaira Joh Nabataat Zameen Se Ugti Hain, Hamare Liye Paida Kar De. Unhon Ne Kaha Ke Bhala Umda Cheezain Chor Kar Un Ke Badle Naaqis Cheezain Kion Chahte Ho.Agar Yeh Hi Cheezain Matloob Hain Toh Kisi Sheher Main Ja Utro,Wahan Joh Maangte Ho, Mill Jaye Ga. Aur Aakhir Kaar Zillat-O-Ruswayee Aur Mohtaaji-O-Be Nawaai Un Se Chimta Di Gai Aur Woh  Allah Ke Gazab Main Giriftaar Ho Gaye.Yeh Is Liye Ke Woh  Allah Ki Aayaton Se Inkaar Karte The Aur Us Ke Nabiyon Ko Nahaqq Qatal Kar Dete The.Yaani Yeh Isliye Ke Nafarmaani Kiye Jaate Aur Had Se Barhe Jaate The.
62
Joh Loug Musalmaan Hain Ya Yahoodi Ya Eesaayee Ya Sitara Parast (Different Relegious) Yaani Koi Shakhs Kisi Qoum-O-Mazhab Ka Ho, Joh Allah Aur Roz-E-Qiamat Par Eemaan Laaye Ga Aur Amal Naik Kare Ga,Toh Aise Logoun Ko Un Ke Aamaal Ka Sila Allah Ke Haan Mile Ga Aur Qiamat Ke Din  Un Ko Na Kisi Tarha Ka Khof  Hoga Aur Na Woh Gham Naak Honge.

63
Aur Jab Ham Ne Tum Se Ehed Kar Liya Aur Koh-E-Toor Ko Tum Par Utha Khara Kia Aur Hukum Dia Ke Joh Kitaab Ham Ne Tum Ko Di Hai, Us Ko Zor Se Pakre Raho, Aur Joh Us Main Likha Hai, Use Yaad Rakho, Taa-Ake Azaab Se Mehfooz Raho.

64
Toh Tum Us Ke Baad Ehed Se Phir Gaye Aur Agar Tum Par Allah Ka Fazal Aur Us Ki Meherbaani Na Hoti Toh Tum Khasaare(Loss)Main Par Gaye Hote.






65
Aur Tum Un Logon Ko Khoob Jante Ho, Joh Tum Main Se Hafte Ke Din Machli Ka Shikaar Karne Main Had Se Tajawuzz Kar Gaye The, Toh Ham Ne Un Se Kaha Ke Zaleel-O-Khuaar Bandar Ho Jao.

66
Aur Us Qisse Ko Us Waqt Ke Logoun Ke Liye Aur Joh Un Ke Baad Aane Waale The Ibrat, Aur Parhaiz Gaaron Ke Liye Naseehat Bana Dia.

67
Aur Jab Moosa Ne Apni Qoum Ke Logoun Se Kaha Ke Allah Tum Ko Hukum Deta Hai Ke Aik Bail Zibbah Karo. Woh Bole, Kia Tum Ham Se Hansi Karte Ho. Moosa Ne Kaha Ke Main Allah Ki Panah Maangta Hoon Ke Nadaan Banoon.

68
Unhon Ne Kaha Apne Parwardigaar Se Iljitja Kijiye Ke Woh Hamain Yeh Bataye Ke Woh Bail Kis Tarha Ka Ho.Moosa Ne Kaha Parwardigaar Farmaata Hai Ke Woh Bail Na Toh Booraha Ho Aur Na Bachra,Balke Un Ke Darmiyaan Yaani Jawaan Ho. So Jaisa Tum Ko Hukum Dia Gaya Hai, Waisa Karo.

69
Unhoun Ne Kaha Apne Parwardigaar Se Darkhuaast(Request) Kijiye Ke Ham Ko Yeh Bhi Bata De Ke Us Ka Rang Kaisa Ho. Moosa Ne Kaha , Parwardigaar Fermata Hai Ke Us Ka Rang Gehra Zard Ho Ke Daikhne Walon  Ke Dil Ko Khush Kar Deta Ho.

70
Unhon Ne Kaha. Ab Ke Parwardigaar Se Phir Darkhuash Kijiye Ke Ham Ko Bata De Ke Woh Aur Kis Kis Tarha Ka Ho, Kiyon Ke Bohot Se Bail Hamain Aik Doosre Ke Mushaabeh(Similler)Maloom Hote Hain,Phir Allah Ne Chaha Toh Hamain Theek Baat Maloom Ho Jaye Gi.


71
Moosa Ne Kaha Ke Allah Fermata Hai Ke Woh Bail Kaam Main  Laga Hua Na Ho, Na Toh Zameeen Jout-Ta Ho Aur Na Khaiti Ko Paani Deta Ho.Us Main Kisi Ka Daagh Na Ho. Kehne Lage, Ab Tum Ne Sab Baatain Durust Bata Deen.Garz Bari Mushkil Se Unhon Ne Us Bail Ko Zibaah Kia,Aur Woh Aisa Karne Wale The Nahi.




72
Aur Jab Tum Ne Aik Shakhs Ko Qatal Kia, Toh Us Main Baaham Jhagrne Lage. Lekin Joh Baat Tum Chupa Rahe The, Allah Us Ko Zaahir Karne Wala Tha.

73
Toh Ham Ne Kaha Ke Us Bail Ka Koi Sa Tukra Maqtool Ko Maaro. Us Tarha Allah Murdon(Dead)Ko Zinda Karta Hai Aur Tum Ko Apni Qudrat Ki Nishaniyaan Dikhata Hai Taa-Ake Tum Samjho.

74
Phir Us Ke Baad Tumhare Dil Sakht Ho Gaye.Goya Woh Pathar Hain Ya Un Se Bhi Ziada Sakht Aur Pathar Toh Baaz Aise Hote Hain Ke Un Main Se Chashme Phoot Nikalte Hain, Aur Baaz Aise Hote Hain Ke Phat Jaate Hain, Aur Un Main Se Paani Nikalne Lagta Hai, Aur Baaz Aise Hote Hain Ke Allah Ke Khof Se Girr Parte Hain, Aur Allah Tumhare Aamaal Se Be Khabar Nahi.







75
Momino Kia Tum Umeed Rakhte Ho Key Yeh Loug Tumhare Deen Ke Qaail Ho Jayen Ge, Haalaanke Un Main Se Kuch Loug Kalam-E-Allah Yaani Touraat Ko Sunte,Phir Us Ke Samjh Lene Ke Baaad Us Ko Jaan Boojh Kar Badal Dete Rahe Hain.

76
Aur Yeh Loug Joh Mominoun Se Milte Hain Toh Kehte Hain, Ham Eemaan Le Aye Hain. Aur Jis Waqt Apas Main Aik Doosre Se Milte Hain Toh Kehte Hain, Joh Baat Allah Ne Tum Par Zaahir Farmaaiye Hai, Woh Tum Un Ko Is Liye Bataye Dete Ho Ke Qiamat Ke Din Usi Ke Hawale Se Tumhare Parwardigaar Ke Saamne Tum Ko Ilzaam Dain. Kia Tum Samajhte Nahi?

77
Kia Yeh Loug Yeh Nahi Jaante Ke Joh  Kuch Yeh Chupaate Aur Joh Kuch Zaahir Karte Hain, Allah Ko Sab Maloom Hai.

78
Aur Baaz In Main An Parh(Uneducated) Hain Ke Apne Khayalaat-E-Baatil Ke Siwa Allah Ki Kitaab Se Waqif Hi Nahi Aur Woh Sirf Zan Se Kaam Lete Hain.


79
Toh Un Logoun Par Afsos Hai Joh Apne Hath Se Toh Kitaab Likhte Hain Aur Kehte Yeh Hain Ke Allah Ke Paas Se Aye Hai, Taa-Ake Us Ke Iwz(In Return)Thori Si Qeemat  Yaani Deenwi Manfiyat Haasil Karen.Un Par Afsos Hai, Is Liye Ke Be Asal Batain Apne Hath Se Likhte Hain Ur Phir Un Par Afsos Hai, Is Liye Ke Aise Kaam Karte Hain.

80
Aur Kehte Hain Ke Dozakh Ki Aag Hamain Chand Roz Ke Siwa Choo Hi Nahi Sake Gi. Un Se Poocho, Kia Tum Ne Allah Se Iqraar Le Rakha Hai Ke Allah Apne Iqraar Ke Khilaaf Nahi Kare Ga. Nahi,Balke Tum Allah Ke Baare Main Aisi Batain Kkehte Ho Jin Ka Tumhain Mutliq(Kuch)  Ilm Nahi.

81
Haan Joh Bure Kaam Kare, Aur Us Ke Gunah Har Taraf Se Us Ko Ghair Lain Toh Aise Loug Dozakh Main Jaane Wale Hain Aur Who Hamesha Us Main Jalte Rahain Ge.

82
Aur Joh Eemaan Laayen Aur Naik Kaam Karain, Woh Jannat Ke Maalik Houn Ge Aur Hamesha Us Mai Aish Karte Rahain Ge.

83
Aur Jab Ham Ne Bani Israail Se Ehed Liya Ke Allah Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karna Aur Maan Baap Aur Rishta Daaron Aur Yateemon Aur Mohtaajoh Ke Sath Bhalayee Karte Rehna Aur Logun Se Achi Baatain Kehna, Aur Namaz Parhte Aur Zakaat Dete Rehna, Toh Chand(Few) Shakhsoun Ke Siwa Tum Sab Us Ehed Se Moon Phair Kar Phir Baithe(Deny).

84
Aur Joh Ham Ne Tum Se Ehed Liya Ke Apas Main Kusht-O-Khoon Na Karna Aur Apne Ko Un Ke Watan Se Na Nikaalna Toh Tum Ne Iqraar Kar Liya, Aur Tum Is Baat Ke Gawah Ho.

85
Phir Tum Woh Hi Ho Ke Apnon Ko Qatal Bhi Kar Dete Ho Aur Apne Main Se Baaz Logun Par Gunaah Aur Zulm Se Charhayee Kar Ke Unhain Watan Se Nikaal Bhi Dete Ho, Aur Agar Woh Tumhare Paas Qaid Ho Kar Ayen Toh Badla De Kar Un Ko Chura Bhi Lete Ho, Haalane Ua Ka Nikaal Dena Hi Tum Ko Haraam Tha. Yeh Kia Baat Hai Ke Tum Kitaab-E-Allah Ke Baaz Ehkaam Ko Toh Maante Ho Aur Baz Se Inkaar Kiye Dete Ho, Toh Joh Tum Main Se Aisi Harkat Karen, Un Ki Saza Is Ke Siwa Aur Kia Ho Sakti Hai Ke Dunia Ki Zindagi Main Toh Ruswayee Ho Aur Qiamat Ke Din Sakht Se Sakht Azaab Main Daal Diye Jayen Aur Joh Kaam Tum Karte Ho, Allah Us Se Gaafil Nahi.

86
Yeh Woh Loug Hain Jinhon Ne Aakhrat Ke Badle Dunia Ki Zindagi Khareedi. So Na Toh Un Se Azaab Hi Halka Kia Jaye Ga Aur Na Un Ko Aur Tarha Ki Madad Mile Gi.

87
Aur Ham Ne Moosa Ko Kitaab Inayat Ki Aur Un Ke Peeche Yak-E-Baad(One After One) Deeegare Paigambar Bhaijte Rahe Aur Eesa-Ibn-E-Maryam Ko Khulle Nishanaat Bakhse Aur Rooh-Ul-Quddus Yaani Jibraaeel Se Un Ko Madad Di. Toh Jab Koi Paigambar Tumhare Paas Aisi Baatian Le Kar Aye, Jin Ko Tumhara Ji Nahi Chahata Tha, Toh Tum Sarkash Ho  Jate Rahe, Aur Aik Girroh (Group Of Aambiya)Ko Toh Jhutlaate Rahe Aur Aik Girroh(Group) Ko Qatal Karte Rahe.

88
Aur Kehte Hain, Hamare Dil Parde Main Hain. Nahi,  Balke Allah Ne Un Ke Kufur Ke Sabab Un Par Laanat Kar Rakhi Hai. Pas Ye Thore Hi Par Eemaan Late Hain.

89
Aur Jab Allah Ke Haan Se Un Ke Paas Kitaab Aayee Joh Un Ki Aasmaani Kitaab Ki Bhi Tasdeeq Karti Hai, Aur Woh Pehle Hamesha Kaafiron Par Fatah Maanga Karte The, Toh Jis Cheez Ko Woh Khoob Pehcante The, Jab Un Ke Paas Aa Pohonchi Toh Us Se Kaafir Ho Gaye. Pas Kaafiroun Par Allah Ki Laanat.


90
Jis Cheez Ke Badle Unhoun Ne Apne Taieen(Themselves)  Baich(Sell)  Daala, Woh Bohot Buri Hai, Yaani Is Jalan Se, Ke Allah Apne Bandon Main Se Jis Par Chahta Hai, Apni Meherbani Nazil  Se Fermata Hai. Allah Ki Naazil Ki Hui Kitaab Se Kufur Karne Lage Toh Woh Us Ke Gazab Baalaaye Gazab Main Mubtila Ho Gaye. Aur Kaafiron Ke Liye Zaleel Karne Wala Azaab Hai.

91
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Joh Kitaab Allah Ne Ab Nazil Farmayee Hai, Us Ko Maano. Toh Kehte Hain Ke Joh Kitaab Ham Par Pehle Naazil Ho Chuki Hai, Ham Toh Usi Ko Maante Hain. Yaani Us Ke Siwa Kisi Aur Kitaab Ko Nahi Maaante , Halaanke Woh Sra Sar Sachi Hai Aur Joh Un Ki Aasmaani Kitaab Hai, Us Ki Bhi Tasdeeq Karti Hai. Un Se Keh Do Ke Agar Tum Sahib-E-Eemaan Hote Toh Allah Ke Paigambaroun Ko Pehle Hi Kiyon Qatal Kia Karte.

92
Aur Moosa Tumhare Paas Khule Hue Moojzaat Le  Kar Aaye Toh Tum Un Ke Koh-E-Toor Par Jaane Ke Baad Bachre Ko Mabood Bana Baithe Aur Tum Apne Hi Haq Main Zulm Karte The.

93
Aur Jab Ham Ne Tum  Logoun Se Ehed Waasiq Liya Aur Koh-E-Toor  Ko Tum Par Utha Khara Kia Aur Hukum Dia, Ke Joh Kitaab Ham Ne Tum Ko Di Hai, Us Ko Zor Se Pakro Aur Joh Tumhain Hukum Hota Hai Us Ko Suno, Toh Woh, Joh Tumhare Bare The Kehne Lage Ke Ham Ne Sunn Toh Liya Lekin Maante Nahi. Aur Un Ke Kufur Ke Sabab Bachra(Goyaa)Un Ke Dilon Main  Rach Gaya Tha. Ae Paigambar Un Se Keh Do Ke Agar Tum Momin Ho Toh Tumhare Eemaan Tum Ko Buri Baat Bataata Hai.

94
Keh Do Ke Agar Akhrat Ka Ghar Aur Logoun Yaani Musalmanon Ke Liye Nahi Aur Allah Ke Nazdeek Tumhare Hi Liye Makhsoos Hai Toh Agar Sache Ho Toh Mout Ki Aarzoo Toh Karo.


95
Lekin Un Amaal Ki Wajha Se, Joh Un Ke Hath Aage Bhaij Chuke Hain, Yeh Kabhi Us Ki Aarzoo Nahi Karen Ge, Aur Allah Zaalimoon Se Khoob Waaaqif Hai.

96
Balke Un Ko Tum Aur Logoun Se Zindagi Ke Kaheen Harees Daikho Ge, Yahan Tak , Ke Mushrikon Se Bhi. Un Main Se Har Aik Ye Hi Khuahish  Karta Hai Ke Kaash Woh Hazaar Baras Jeeta Rahe, Magar Itni Lambi Umar Us Ko Mill Bhi Jaye Toh Usse Azaab Se Toh Nahi Chura Sakti. Aur Joh Kaam Yeh Karte Hain, Allah Un Ko Daikh Raha Hai.

97
Keh Do Ke Joh Shakhs Jibraail Ka Dushman Ho  Us Ko Gusse Main Mar Jana Chahiye Us Ne Toh  Ye Kitaab  Allah  Ke Hokum Se Tumhare Dil Par Naazil Ki Hai Joh Pehli Kitaaboun Ki Tasdeeq Karti Hai, Aur Eemaan Walon Ke Liye Hidayat Aur Bishataat Hai.

98
Joh Shakhs Allah Ka Aur Us Ke Farishtoun Aur Us Ke Paigambaron Ka Aur Jibrail Aur Meekaail Ka Dushman Ho Toh Aise Kaafiron Ka Allah Dushman Hai.

99
Aur Ham Ne Tumhare Paas Suljhi Hui Aayatain Irsaal (Send) Farmayee Hain, Aur Un Se Inkaar Woh Karte Hain Joh Bad Kirdaar Hain.

100
Un Logoun Ne Jab Jab Allah Se Ehed Wasiq Kia Toh Un Main Se Aik Fareeq Ne Us Ko Kisi Cheez Ki Tarha Phaink Dia . Haqeeqat Yeh Hai Ke In Main Aksar Be Eemaan Hain.

101
Aur Jab Un Ke Paas Allah Ki Taraf Se Paighambar-E-Aakhr-Uz-Zamaan Aaye, Aur Woh Un Ki Aasmaani Kitaab Ki Tasdeeeq Bhi Karte Hain Toh Jin Logoun Ko Kitaab Di Gai    Thi, Un Main Se Aik  Jamaat Ne Allah Ki Kitaab Ko Peeth Peeche Phaink Dia , Goya Woh Jante Hi Nahi.

102
Aur Un (Hazliyaat)Ke Peeche Lag Gaye Ho, Joh Sulaimaan Ke Ehed-E-Saltanat Main Shaiyateen Parha Karte The Aur Sulaimaan Ne Mutliq Kufur Ki Baat Nahi Ki, Balke Shaitaan Hi Kufur Karte The ,Ke Logoun Ko Jaadoo Sikhate The, Aur Un Baton Ke Bhi Peeche Lag Gaye Joh Sheher-E-Babul Main Do Farishtonn Yaani Haroot Aur Maroot Par Utri Theen. Aur Woh Dono Kisi Ko Kuch Nahi Sikhaate The, Jab Tak Ye Na Keh Dete Ke Ham Toh Zariya-E-Aazmaaish Hain. Tum Kufur Main Na Paro. Garaz Loug Un Se Aisa Jaado Seekhe, Jis Se Miyan Biwi(Husband Wife) Main Judayee Daal Dain Aur Allah Ke Hukum Ke Saiwa Woh Us  Jadu Se Kisi Ka Kuch Bhi Bigaar Nahi Sakte The. Aur Kuch Aise Mantar Seekhte Joh Un Ko Nuqsaan Hi Pohonchate Aur Faaida Kuch Na Dete . Aur Woh Jaante The Ke Joh Shakhs Aisi Cheezon  Yaani Seher Aur Mantar Wagaira Ka Khareedaaar Hoga, Us Ka Aakhrat Main Kuch Hissa Nahi.Aur Jis Cheez Ke Iwz(Inreturn) Uhon Ne Apni Jaanoun Ko Baich Daala, Woh Buri Thi, Kaash Woh Is Baat Ko Jaante.

103
Aur Agar Woh Eemaan Late Aur Parhaiz Gaari Karte Toh Allah Ke Han Se Bohot Acha Sila Milta . Ae Kaash , Woh Is Se Waqif Hote.

104
Ae Ehl-E-Eemaan (Guftugo Ke Waqt Paigambar-E-Allah Se)Raa Ae Na(Raaie Na Is An Arabic Word) Na Kaha Karo.Unnzurna(Arabic Word) Kaha Karo . Aur Khoob Sunn Rakho, Aur Kafiroun  Ke Liye Laakh Dukh Dene Wala Azaab Hai.



105
Joh Loug Kaafir Hain, Ehl-E-Kitaab Ya Mushrik, Woh Is Baat Ko Pasand Nahi Karte, Ke Tum Par Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Khair-O-Barkat Naazil Ho. Aur Allah Toh Jis Ko Chahta Hai, Apni Rehmat Ke Sath Khaas Kar Leta Hai Aur Allah Bare Fazal Ka Malik Hai.

106
Ham Jis Aayat Ko Mansookh Kar Dete Ya Usse Faramosh Kara Dete Hain Toh Us Se Behtar Ya Waisi Hi Aur Aayat Bhaij Dete Hain. Kia Tum Nahi Jaante Ke Allah Har Baat Par Qaadir Hai.

107
Tumhain Maloom Nahi Ke Aasmaanon Aur Zameen Ki Baadshaahat Allah Hi Ki Hai, Aur Allah Ke Siwa Tumhara Koi Dost Aur Madadgaar Nahi.

108
Kia Tum Yeh Chahte Ho Ke Apne Paigambar Se Usi Tarha Ke Sawal Karo, Jis Tarha Ke Sawal Pehle Moosa Se Kiye Gaye The. Aur Jis Shakhs Ne Eemaan Chor Kar Us Ke Badle Kufur Liya , Woh Seedhe Raste Se Bhatak Gaya.

109
Bohot Se Ehl-E-Kitaab, Apne Dil Ki Jalan Se, Yeh Chahte Hain Ke Eemaan La Chukne Ke Baad, Tum Ko Phir Kaafir Bana Dain, Haalaanke Un Par Haq(Truth) Zahir Ho Chukka Hai. Toh Tum Moaaf Kar Do Aur Dar Guzar  Karo. Yahan Tak Ke Allah Apna Doosra Hukum Bhaije. Be Shak Allah Har Bat Par Qaadir Hai.

110
Aur Namaaz Ada Karte Raho Aur Zakaat Dete Raho. Aur Joh Bhi Bhalayee Apne Liye Aage Bhaij Rakho Ge, Us Ko Allah Ke Haan Paalo Ge, Kuch Shak Nahi Ke Allah Tumhare Sab Kaamon Ko Daikh Raha Hai.

111
Aur Yahoodi Aur Eesaayee Kehte Hain Ke Yahoodiyon Aur Eesaaiyon Ke Siwa Koi Behshat(Heaven) Main Nahi Jaane Ka.Yeh Un Logoun Ke Khayalat-E-Batil Hain. Ae Paghambar Un Se Keh Do, Ke Agar Sachhe Ho Toh Daleel Paish Karo.






112
Haan Joh Shakhs Allah Ke Aage Garden Jhuka De Yaani Eemaan Le Aaye, Aur Woh Naik-O-Kaar Bhi Ho, Toh Us Ka Sila Us Ke Parwardigaar Ke Paas Hai, Aur Woh Aise Logoun Ko Qiamat Ke Din, Na Kisi Tarhaa Ka Khof Hoga Aur Na Woh Ghamnaak Houn Ge.

113
Aur Yahodi Kehte Hian Ke Eesaayee Raste Par Nahi  Aur Eesaayee Kehte Hain Ke Yahoodi Raste Par Nahi. Halaanke Woh Kitaab-E-Ilaahi Parhte Hain. Isi Tarha Bilkul Unhi Ki Si Baat Woh Loug Kehte Haih Joh Kuch Nahi Jaante Yaani Mushrik ,Toh Jis Baat Main Yeh Loug Ikhtilaaf Kar Rahe Hain Allah Qiamat Ke Din ,Us  Ka ,Un Main Faisala Kar De Ga.

114
Aur Us Se Barh Kar Zaalim Koun , Joh Allah Ki Masjidon (Mosque)Main Allah Ke Naam Ka, Zikar Kiye Jaane Ko Mana Kare Aur Un Ki Weeraani Main Saayee Ho. Un Logon Ko Kuch Haq Nahi Ke Un Main Daakhil Houn, Magar Darte Hue,Un Ke Liye Dunia Main Ruwswayee Hai Aur Aakhrat Main Bara Azaaab.



115
Aur Mashriq Aur Magrib Sab Allah Hi Ka Hai. Toh Jidhar Tum Rukh Karo, Udhar Allah Ki Zaat Hai .Be Shak Allah Sahib-E-Wussaat Aur Ba Khabar Hai.

116
Aur Yeh Loug Is Baat Ke Qaail Hain Ke Allah Aulaad Rakhta Hai . Nahi Woh Paak Hai, Balke Joh Kuch Aamsanon Aur Zameen Main Hai, Sab Usi Ka Hai Aur Sab Usi Ke Farmaabardaar(Obedient)  Hain.

117
Woh Hi Aasmaanon Aur Zameen Ka Paida Karne Wala Hai. Jab Koi Kaam Karna Chahta Hai Toh Us Ka Irshaad Farma Deta Hai, Ke Ho Ja ,Toh Woh Ho Jata Hai.

118
Aur Joh Loug Kuch Nahi Jaante Yaani Mushrik , Woh Kehte Hain Ke Allah Ham Se Kalaam Kiyoun Nahi Karta.Ya Hamare Paas Koi Nishani Kiyon Nahi Aati. Issi Tarha Joh Loug Un Se Pehle The, Woh Bhi Unhi Ki Si Baatain Kia Karte The. Un Logoun Ke Dil Apas Main Milte Julte Hain.Joh Loug Sahib-E-Yaqeen Hain, Un Ke Samjhane Ke Liye Ham Ne Nishaniyan Biyaan(Explain) Kar Di Hain.

119
Ae Mohammad Ham Ne Tum Ko Sachayee Ke Saath Khush Khabri Sunaane Wala Aur Daraane Wala Bana Kar Bhaija Hai. Aur Ehl-E-Dozakh Ke Bare Main Tum Se Kuch Purrsish(Inquiry) Nahi Hogi.

120
Aur Tum Se Na Toh Yahoodi Kabhi Khush Honge Aur Na Eesaayee, Yahan Tak Ke Un Ke Mazhab Ki Pairwi Ikhtiyaar Kar Lo. Un Se Keh Do Ek Allah Ki  Hidayat  Yaani Deen-E-Islaam Hi Hidayat Hai. Aur Ae Paigambar Agar Tum Apne Paas Ilm Yaani Wahi-E-Allah Ke Aajaane Par Bhi Un Ki Kuhaahishoun Par Chalo Ge Toh Tum Ko Azaab-E-Allah Se Bachane Wala Na Koi Dost Hoga Aur Na Koi  Madadgaar.


121
Jin Logoun Ko Ham Ne Kitaab Inayat Ki Hai, Woh Us Ko Aise Parhte Hain Jaisa Us Ko Parhne Ka Haq Hai. Yeh Hi Loug Us Par Eemaan Rakhne Wale Hain, Aur Joh Us Ko Nahi Maante , Woh Khasara(Loss) Paane Wale Hain.




122
Ae Bani Israeel! Mere Woh Ehsaan Yad Karo, Joh Main Ne Tum Par Kiye Aur Yeh Ke Main Ne Tum Ko Ehl-E-Alam  Par Fazeelat Bakhsi.

123
Aur Us Din Se Daro Jab Koi Shakhs Kisi Shakhs Ke Kuch Kaam Na Aye, Aur Na Us Se Badla Qabool Kia Jaye Aur Na Us Ko Kisi Ki Sifarish Kuch Faaida De Aur Na Logoun Ko Kisi Aur Tarha Ki Madad Mill Sake.

124
Aur Jab Parwardigar Ne Chand(Few) Baatoun Main Ibrahin Ki Aazmaish Ki Toh Woh Un  Main Poore Utre . Allah Ne Kaha Ke Main Tum Ko Logoun Ka Paishwa Banaoon Ga. Unhoun Ne Kaha Ke Parwardigaar Meri Aulad Main Se Bhi Paishwa Baaiyo. Allah Ne Faramaya Ke Hamara Iqraar Zalimon Ke Liye Nahi Hua Karta.









125
Aur Jab Ham Ne Khana-E-Kaaba(Makkah) Ko Logoun Ke Liye Jama Hone Aur Aman(Peace)  Paane Ki Jaga Muqarar Kia Aur Hukum Dia Ke Jis Maqaam Par Ibraheen Khare Hue The, Us Ko Namaz Ki Jagha Bana Lo. Aur Ibraheem Aur Ismaail Ko Kaha Ke Tawaaf Karne Waloun Aur Aitkaaf Karne Walon Aur Rukoo Karne Waaloun Aur Sajda Karne Waaloun Ke Liye Mere Ghar Ko Paak Saaf Rakha Karo.

126
Aur Jab Ibraheen Ne Dua Ki Ke Ae Parwardigaar , Is Jagha Ko Aman Ka Sheher Bana  Aur Is Ke Rehne Waaloun Main Se Joh Allah Par Aur Roz-E-Aakhrat Par Eemaan Laayain, Un Ke Khaane Ko Mewe(Dry Fruits) Ata Farma, Toh Allah Ne Farmaya Ke Joh Kaafir  Hoga, Main Us Ko Bhi Kisi Qadar Mutmatte Karoonga , Magar Phir Us Ko Azaab Dozakh Ke Bhugatne  Ke Liye Lachaar Karoonga, Aur Woh Buri Jagha Hai.

127
Aur Jab Ibrahim Aur Ismail Bait-Ul-Llah(Bait Allah) Ki Buniyaadain Oonchi Kar Rahe The Toh Dua Kiye Jaate The Ke Ae Hamare Parwardigaar, Ham Se Yeh Khidmat Qabool Farma . Beshak Tu Sun-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.
128
Ae Parwardigaar, Ham Ko Apna Farmaabardaar Banaye Rakhiyo.Aur Hamari Aulaad Main Se Bhi Aik Giroh(Group) Ko Apna Mutee Banate Rehiyo, Aur Parwardigaar Hamain Hamare Tareeqa-E-Ibadat Bata Aur Hamare Haal Par Rehem Ke Sath Tawajoh(Attention) Farma. Beshak Tu Tawajoh Farmane Wala Meherbaan Hai.

129
Ae Parwardigaar, Un Logoun Main Un Hi Main Se Aik Paighambar Maboos Kijiyo Joh Un Ko Teri Aayatain Parh Parh Kar Sunaya Kare Aur Kitaab Aur Daanayee(Intillegenc)Sikhaya Kar E Aur Un Ke Diloun Ko Paak Saaf Kia Kare. Be Shak Tu Gaailb Aur Sahib-E-Hikmat Hai.


---CONTINUED---
Sadaqallah-Ul-Azeem