Thursday, 31 March 2016

77-Soorah-Al-Mursalat-Aayat-50

77

Soorah-Al-Mursalat

Aayaat-50

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Hawaaoun Ki Qsam Joh Naram Naram Chalti Hain.

2
Phir Zor Pakar Kar Jhakkar Ho Jati Hain.

3
Aur Baadloun Ko Phaar Kar Phaila Deti Hain.

4
Phir Un Ko Phaar Kar Juda Juda Kar Deti Hain.

5
Phir Farishtoun Ki Qasam Joh Wahi Laate Hain.

6
Taa-Ake Uzar Rafa Kar Dia Jaye Ya Darr Suna Dia Jaye.

7
Keh Jis Baat Ka Tum Se Waada Kia Jata Hai Wo Ho Kar Rahe Gi.

8
Jab Taaroun Ki Chamak Jati Rahe.

9
Aur Jab Asmaan Phat Jaye.


10
Aur Jab Pahar Ure Ure Phirain.

11
Aur Jab Paigamabar Faraham Kiye Jayen.

12
Bhala In Amoor Main Taakheer Kis Liye Ki Gai?

13
Faisle Ke Din Ke Liye.

14
Aur Tumhain Kia Khabar Ke Faisle Ka Din Kia Hai?

15
Us Din Jhutlane Waloun Ke Liye Kharabi Hai.

16
Kia Ham Ne Pehle Lougon Ko Halaak Nahi Kar Daala.

17
Phir Un Pichloun Ko Bhi Un Ke Peeche Bhaij Dete Hain.

18
Ham Gunehgaaroun Ke Sath Aisa Hi Karte Hain.

19
Us Din Jhutlaane Waloun Ki Kharabi Hai.

20
Kia Ham Ne Tum Ko Haqeer Paani Se Nahi Paida Kia?

21
Pehle Us Ko Aik Mehfooz Jaga Main Rakha.


22
Aik Waqt-E-Moiyyan Tak.

23
Phir Andaza Muqarrar Kia Aur Ham Kia Hi Khoob Andaza Muqarrar Karne Wale Hain.

24
Us Din Jhutlane Waloun Ki Kharabi Hai.

25
Kia Ham Ne Zameen Ko Samaitne Wali Nahi Banaya.

26
Yaani Zindoun Aur Murdoun Ko.

27
Aur Us Par Oonche Oonche Pahaar Rakh Diye Aur Tum Lougn Ko Meetha Paani Pilaya.

28
Us Din Jhutlane Waloun Ki Kharabi Hai.

29
Jis Cheez Ko Tum Jhutlaya Karte The, Ab Us Ki Taraf Chalo.

30
Yaani Us Saaye Ki Taraf Chalo Jis Ki Teen Shakhain Hain.

31
Na Thandi Chaaon Aur Na Lipat Se Bachao.

32
Us Se Aag Ki, Itni Itni Bari Chingaariyaan Urti Hain Jaise Mehel.

33
Goya Zard Rang Ke Oont Hain.
34
Us Din Jhutlane Waloun Ki Kharabi Hai.

35
Ye Wo Din Hai Ke Loug Lab Tak Na Hila Sakainge.

36
Aur Na Un Ko Ijazat Di Jaye Gi, Ke Uzar Kar Sakain.

37
Us Din Jhutlane Waloun Ki Kharabhi Hai.

38
Ye Hi Faisle Ka Din Hai, Jis Main Ham Ne Tum Ko Aur Pehle Lougon Ko Jama Kia Hai.

39
Agar Tum Ko Koi Daaow Aata Ho Toh Mujh Se Kar Chalo.

40
Us Din Jhutlaane Waloun Ki Kharabi Hai.

41
Be Shak Parhaizgaar Saayoun Aur Chasmoun Main Honge.

42
Aur Maiwaoun Main Joh Un Ko Margoob Houn.

43
Joh Amal Tum Kartre Rahe The Un Ke Badle Main Maze Se Khao Aur Piyo.

44
Ham Naiko Kaaroun Ko Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.

45
Us Din Jhutlaane Waloun Ko Kharabi Hogi.
46
Ae Jhutlaane Walo! Tum Kisi Qadar Kha Lo Aur Faaide Utha Lo Tum Be Shak Gunnehgaar Ho.

47
Us Din Jhutlane Waloun Ki Kharabi Hai.

48
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai Ke Khuda Ke Aage Jhuko Toh Jhukte Nahi.

49
Us Din Jhutlane Waloun Ki Kharabi Hai.

50
Ab Us Ke Baad Ye Koun Si Bat Pe Eemaan Laayen Ge.?

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!