74
Soorah-Al-Muddaththir(Muddassir)
Aayaat-56
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Muhammad S.A.W. Joh
Kapra Lapaite Pare Ho.
2
Utho Aur Hidayat Kardo.
3
Aur Apne Parwardigar
Ki Baraai Karo.
4
Aur Apne Kaproun Ko
Paak Rakho.
5
Aur Napaaki Se Door
Raho.
6
Aur Is Niyat Se Ehsaan
Na Karo, Ke Us Se Ziada Ke Taalib Ho.
7
Aur Apne Parwardigar
Ke Liye Sabar Karo.
8
Jab Soor Phoonka Jaye
Ga.
9
Wo Din Mushkil Ka Din
Hoga.
10
Yaani Kafiroun Par
Aasaan Na Hoga.
11
Hamain Us Shaksh Se
Smajh Lene Do, Jis Ko Ham Ne Akaila Padia Kia.
12
Aur Maal-E-Kaseer Dia.
13
Aur Har Waaqt Us Ke
Paas Hazir Rehne Wale Bete Diye.
14
Aur Har Tarha Ke
Samaan Main Wussat Di.
15
Abhi Khuahish Rakhta
Hai Ke Aur Ziada Dain.
16
Aisa Har Gizz Nahi
Hoga. Ye Hamari Ayatoun Ka Dushman Raha Hai.
17
Ham Usse Saood Par
Charhaayen Ge.
18
Us Ne Fikar Kia Aur
Tajweez Ki.
19
Ye Mara Jaye, Us Ne
Kaisi Tajweez Ki.
20
Phir Ye Mara Jaye, Us
Ne Kaisi Tajweez Ki.
21
Phir Taamull Kia.
22
Phir Taiwri Charhayee
Aur Moonh Bigaar Liya.
23
Phir Pusht Phair Kar
Chala Aur Qabool-E-Haq Se Garoor Kia.
34
Phir Kehne Laga, Ye
Toh Jaadu Hai ,Joh Agloun Se Muntaqil Hota Aaya Hai.
25
Phir Bola Ye Khuda Ka
Kalaam Nahi Balke Basher Ka Kalaam Hai.
26
Ham Anqareeb Us Ko
Saqar Main Dakhil Karainge.
27
Aur Tum Kia Samjhe Ke
Saqar Kia Hai?
28
Wo Aag Hai, Ke Na Baqi
Rakhe Gi Aur Na Chore Gi.
29
Aur Badan Ko Jhullas
Kar Siyah Kar De Gi.
30
Us Par Unnees(19)
Darogha Hain.
31
Aur Ham Ne Dozakh Ke
Darogha Farishte Banaye Hain. Aur Un Ka Shumaar Kaafiroun Ki Aazmaaish Ke Liye
Muqarrar Kia Hai Aur Is Liye Ke Ehl-E-Kitaab Yaqeen Karian Aur Mominoun Ka
Eemaan Aur Ziada Ho Aur Ehl-E-Kitaab Aur Momin Shak Na Laayen. Aur Is Liye Ke
Jin Lougon Ke Diloun Main Nifaaq Ka Marz Hai Aur Joh Kafir Hain, Kahain Ke Is
Misaal Ke Bayan Karne Se Khuda Ka Maqsood Kia Hai? Issi Tarha Khuda Jis Ko
Chahta Hai Gumraah Karta Hai Aur Jis Ko Chahta Hai Hidyat Deta Hai Aur Tumhare
Parwardigaar Ke Lashkaroun Ko Us Ke Siwa Koi Nahi Jaanta.Aur Ye Toh Bani Aadam
Ke Liye Naseehat Hai.
32
Haan Haan Hamian Chand
Ki Qasam.
33
Aur Raat Ki Jab Peeth
Phairne Lage.
34
Aur Subha Ki Jab
Roshan Ho.
35
Ke Wo Aag Aik Bohot
Bari Aafat Hai.
36
Aur Bani Aadam Ke Liye
Moaajab-E-Khof.
37
Joh Tum Main Se, Aage
Barhna Chahe Ya Peeche Rehna Chahe.
38
Har Shakhs Apne Aamaal
Ke Badle Girwi Hai.
39
Magar Dahni Taraf Wale
Naik Loug.
40
Ke Wo Baagh-haaye
Behsht Main Hounge Aur Poochte Hounge.
41
Yaani Aag Main Jalne
Wale Gunnehgaar Se.
42
Ke Tum Dozakh Main
Kion Pare?
43
Wo Jawab Dainge Ke Ham
Namaaz Nahi Parhte The.
44
Aur Na Faqeeroun Ko
Khana Khilate The.
45
Aur Ehl-E-Baattil Ke
Sath Mil Kar, Haq Se Inkar Karte The.
46
Aur Roz-E-Jaza Ko
Jhutlate The.
47
Yahan Tak Ke Hamain
Mout Aa Gai.
48
Toh Is Haal Main Sifarish
Karne Waloun Ki Sifarish Un Ke Haq Main Kuch Faaida Na De Gi.
49
Un Ko Kia Hua Hai Ke
Naseehat Se Roo Gardaan Ho Rahe Hain.
50
Goya Gadhe Hain Ke
Biddak Jaate Hain.
51
Yaani Shair Se Dar Kar
Bhaag Jate Hain.
52
Asal Ye Hai Ke, Un Main
Se Har Shakhs Ye Chahata Hai Ke, Us Ke Paas Khuli Hui Kitaab Aaye.
53
Aisa Har Gizz Nahi
Hoga. Haqeeqat Ye Hai Ke Un Ko Aakhrat Ka Khof Hi Nahi.
54
Kuch Shak Nahi Ke Ye
Naseehat Hai.
55
Toh Joh Chahe Isse
Yaad Rakhe.
56
Aur Yad Bhi Tab Hi
Rakhain Ge, Jab Khuda Chahe. Wo Hi Darne Ke Laaiq Aur Bakhshsish Ka Malik Hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!