70
Soorah-Al-Maarij
Aayaat-44
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Aik Talab Karne Wale
Ne, Azaab Talab Kia Joh Nazil Ho Kar Rahe Ga.
2
Yaani Kaafiroun Par
Aur Koi Us Ko Taal Na Sake Ga.
3
Aur Wo Khuda-E-Saahib-E-Darjaat
Ki Taraf Se Nazil Hoga.
4
Jis Ki Taraf
Rooh-Ul-Ameen Aur Farishte Charhte Hain Aur Us Roz Nazil Hoga, Jis Ka Andaaza
Pachaas Hazaar Baras Ka Hoga.
5
Toh Tum Kaafiroun Ki
Baatoun Ko Hosle Ke Sath Bardaasht Karte Raho.
6
Wo Un Lougon Ke Nigaah
Main Door Hai.
7
Aur Hamari Nazar Main
Qareeb.
8
Jis Din Aasmaan Aisa
Ho Jaye Ga, Jaise Pighla Hua Taamba.
9
Aur Pahar Aise Jaise
Dhunki Hui Rangeen Oon.
10
Aur Koi Dost Kisi Dost
Ka Pursaan Na Hoga.
11
Halanke Aik Doosre Ko
Saamne Daikh Rahe Hounge, Us Roz Gunnehgaar Khuahish Kare Ga, Ke Kisi Tarha Us
Din Ke Azaab Ke Badle Main Sab Kuch De De, Yaani Apne Bete.
12
Aur Apni Biwi Aur Apne
Bhaai.
13
Aur Apna Khaandaan Jis
Main Wo Rehta Tha.
14
Aur Jitne Aadmi Zameen
Par Hain, Gharz Sab Kuch De De Aur Apne Taiyee Azaab Se Chura Le.
15
Lekin Aisa Har Gizz
Nahi Hoga, Wo Bharakti Hui Aag Hai.
16
Khaal Udhair Daalne
Waali.
17
Un Lougon Ko Apni
Taraf Bulaaye Gi, Jinhoun Ne Deen-E-Haq Se Airaaz Kia Aur Moonh Phair Liya.
18
Aur Maal Jama Kia Aur
Band Kar Rakha.
19
Kuch Shak Nahi Ke
Insaan Kam Hosla Paida Hua Hai.
20
Jab Usse Takleef
Pohonchchti Hai Toh Ghabra Uthta Hai.
21
Aur Jab Aasaaish Hasil
Hoti Hai, Toh Bakheel Ban Jata Hai.
22
Magar Namaaz Guzaar.
23
Joh Namaaz Ka Intizaam
Rakhte Aur Bila Naagha Parhte Hain.
24
Aur Jin Ke Maal Main
Hisaa Muqarrar Hai.
25
Yaani Maangne Wale Ka.
Aur Na Maangne Wale Ka.
26
Aur Joh Roz-E-Jaza Ko
Sach Samajhte Hain.
27
Aur Joh Apne
Parwardigar Ke Azaab Se Khof Rakhte Hain.
28
Be Shak Un Ke
Parwardigaar Ka Azaab Hai Hi Aisa, Ke Us Se Be Khof Na Hua Jaaye.
29
Aur Joh Apni
Sharmgaaahoun Ki Hifazat Karte Hain.
30
Magar Apni Biwiyoun Ya
Loundiiyoun Se, Ke Un Ke Paas Jaane Par Unhain Kuch Malamat Nahi.
31
Aur Joh Loug Un Ke
Siwa Aur Ke Khuaastgaar Houn, Wo Had Se Nikal Jaane Wale Hain.
32
Aur Joh Apne Amanatoun
Aur Iqraaroun Ka Paas Karte Hain.
33
Aur Joh Apni
Shahadatoun Par Qaaim Rehte Hain.
34
Aur Joh Apni Namaaz Ki
Khabar Rakhte Hain.
35
Ye Hi Loug, Baagh Haaye Behshat Main Izzqat-O-Ikraam Se
Honge.
36
Toh Un Kaafiourn Ko
Kia Hua Hai, Ke Tumhari Taraf Dore Chale Aate Hain.
37
Aur Daayen Baayen Se
Guroh Guroh Ho Kar Jama Hote Jate Hain.
38
Kia Un Main Se Har
Shakhs Ye Tawwaqo Rakhta Hai Ke Naimat Ke Baagh Main Dakhil Kia Jaye Ga.
39
Har Gizz Nahi. Ham Ne
Un Ko Us Cheez Se Paida Kia Hai Jisse Wo Jaante Hain.
40
Hamain Mashriqoun Aur
Magriboun Ke Malik Ki Qasam Ke Ham Taqat Rakhte Hain.
41
Yaani Is Baat Par
Qaadir Hain Ke, Un Se Behtar Loug Badal Laaye Aur Ham Aajiz Nahi Hain.
42
Toh Ae Paigambar S.A.W.
Un Ko Baatil Main Pare Rehne Aur Khail Lene Do, Yahan Tak Ke Jis Din Ka Un Se
Waada Kia Jata Hai Wo Un Ke Saamne Aa Mojood Ho.
43
Us Din Ye Qabroun Se
Nikal Kar Is Tarha Dourainge, Jaise Shikaari Shikar Ke Jaal Ki Taraf Dourte
Hain.
44
Un Ki Aankhain Jhuk
Rahi Houngi Aur Zillat Un Par Cha Rahi Hogi. Yehi Wo Din Hai Jis Ka Un Se Waada
Kia Jata Tha.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!