Thursday, 31 March 2016

73-Soorah-Al-Muzammil-Aayaat-20

73

Soorah-Al-Muzzammil

Aayaat-20

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Muhammad S.A.W. Joh Kapre Main Lipat Rahe Ho.

2
Raat Ko Qiaam Kia Karo, Magar Thori Si Raat.

3
Yaani Nisf Raat Ya Us Se Kuch Kam.

3
Ya Kuch Ziada Aur Quran Ko Theher Theher Kar Parha Karo.

5
Ham Anqareeb Tum Par Aik Bhaari Farmaan Nazil Karainge.

6
Kuch Shak Nahi Ke Raat Ka Uthna Nafs-E-Baheemi Ko Sakht Pamaal Karta Hai Aur Us Waqt Zikar Bhi Khoob Durust Hota Hai.

7
Din Ke Waqt Toh Tumhain Aur Bohot Se Shugal Hote Hain.

8
Toh Apne Parwardigar Ke Naam Ka Zikar Karo Aur Har Taraf Se Be Talluq Ho Kar Ussi Ki Tarf Mutawajoh Ho Jao.



9
Wo Hi Mashriq Aur Maghrib Ka Malik Hai Aur Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi, Toh Ussi Ko Apna Kaar Saz Banao.

10
Aur Joh Joh Dil Azaar Batain Ye Loug Kehte Hain, Un Ko Sehte Raho Aur Ache Tareeq Se Un Se Kinara Kash Raho.

11
Aur Mujhe Un Jhutlane Waloun Se Joh Dolatmand Hain, Samajh Lene Do Aur Un Ko Thori Si Mohlat De Do.

12
Kuch Shak Nahi Ke Hamare Paas Bairdiyaan Hain Aur Bharakti Aag Hai.

13
Aur Gulu Geer Khana Hai Aur Dard Dene Wala Azaab Hai.

14
Jis Din Zameen Aur Pahar Kaampne Lagain Aur Pahar Aise Bhurr Bhurre, Goya Rait Ke Teele Ho Jayen.

15
Ae Ehl-E-Makkah Jis Tarha Ham Ne Firown Ke Paas Moosa Ko Paigambar Bana Kar Bhaija Tha, Ussi Tarha Tumhare Paas Bhi Muhammd S.A.W. Rasool Bhaije Hain, Jo Tumhare Muqaable Main Gawah Hounge.

16
So Firown Ne Hamre Paigambar Ka Kaha Na Maana, Toh Ham Ne Us Ko Bare Wabaal Main Pakar Liya.

17
Agar Tum Bhi In Paigambar Ko Na Mano Ge , Toh Us Din Se Kion Kar Bacho Ge Joh Bachoun Ko Booraha Kar De Ga.

18
Aur Jis Se Aasmaan Phat Jaye Ga. Ye Us Ka Waada Poora Ho Kar Rahe Ga.

19
Ye Quraan Toh Naseehat Hai. So Joh Chahe Apne Parwardigar Tak Pohonchne Ka Raasta  Ikhtiyaar Kar Le.

20
Tumhara Parwardigar Khoob Janta Hai, Ke Tum Aur Tumhare Sath Ke Loug, Kahbi Do Tihayee Raat Ke Qareeb Aur Kabhi Aadhi Raat Aur Kabhi Tihayee Raat Qiaam Kia Karte Ho. Aur Khuda Toh Raat
Aur Din Ka Andaza Rakhta Hai. Us Ne Maloom Kia Ke Tum Us Ko Nibbah Na Sako Ge, Toh Us Ne Tum Par Meherbaani Ki. Pas Jitna Asaani Se Ho Sake Utna Quraan Parh Liya Karo . Us Ne Jana Ke Tum Main Baaz Bimaar Bhi Hote Hain Aur Baaz Khuda Ke Fazal Yaani Moaash Ki Talaash Main Mulk Main Safar Karte Hain Aur Baaz Khuda Ki Raah Main Larte Hain. Toh Jitna Asaani Se Ho Sake Utna Parh Liya Karo. Aur Namaaz Parhte Raho Aur Zakaat Ada Karte Raho Aur Khuda Ko Naik Aur Khaloos-E-Niyat Se Qarz Dete Raho. Aur Joh Amaal Naik Tum Apne Liye Aage Bhaijo Ge, Us Ko Khuda Ke Haan Behtar Aur Sile Main Buzurg Tar Paao Ge. Aur Khuda Se Bakhsish Maangte Raho. Be Shak Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!