Thursday 31 March 2016

83-Soorah-Al-Mutaffifin-Aayaat-36



83

Soorah-Al-Mutaffifin

Aayaat-36

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Naap Aur Toul Main Kami Karne Waloun Ke Liye Kharabi Hai.

2
Joh Lougon Se Naap Kar Lain, Toh Poora Lain.
3
Aur Jab Un Ko Naap Kar, Ya Toul Kar Dain Toh Kam Dain.

4
Kia Ye Loug Nahi Jaante Ke Uthaye Bhi Jaayen Ge.

5
Yaani Aik Bare Sakht Din Main.

6
Jis Din Tamaam Loug Rabb-U-Aalmeen Ke Saamne Khare Hounge.

7
Sunn Rakho Ke Bad Kaaroun Ke Aamaal Sijjeen Main Hain.

8
Aur Tum Kia Jaante Ho Ke Sijjeen Kia Cheez Hai?

9
Aik Daftar Hai Likha Hua.


10
Us Din Jhutlaane Waloun Ki Kharabi Hai.

11
Yaani Joh Insaf Ke Din Ko Jhutlate Hain.

12
Aur Us Ko Jhutlata Wo Hi Hai Joh Hadd Se Nikal Jaane Wala Gunnehgaar Hai.

13
Jab Us Ko Hamari Aayatain Sunayee Jaati Hain, Toh Kehta Hai Ke Ye Toh Agle Lougn Ke Afsaane Hain.

14
Daikho Ye Joh Aamaal-E-Bad Karte Hain, Un Ka Un Ke Diloun Par Zang Baith Gaya Hai.

15
Be Shak Ye Loug Us Roz Apne Parwardigar Ke Deedaar Se Out Main Honge.

16
Phir Dozakh Main Jaa Dakhil Honge.

17
Phir Un Se Kaha Jaye Ga, Ye Wo Hi Cheez Hai Jis Ko Tum Jhutlate The.

18
Ye Bhi Sunn Rakho Ke, Naiko Karoun Ke Aamal Elleen Main Hain.

19
Aur Tum Ko Kia Maloom Ke Elleen Kia Cheez Hai?

20
Aik Daftar Hai Likha Hua.
21
Jis Ke Paas Muqqrab Farishte Haazir Rehte Hain.

22
Be Shak Naik Loug Chain Main Honge.

23
Takhtoun Par Baithe Hue Nazaare Karainge.

24
Tum Un Chehroun Hi Se Raahat Ki Taazgi Maloom Kar Lo Ge.

25
Un Ko Sharaab-E-Khalis Sar Bamohar Pilaayee Jaye Gi.

26
Jis Ki Mohor Mushk Ki Hogi Toh Naimatoun Ke Shaaiqeen Ko Chahiye Ke Ussi Se Ragbat Karain.

27
Aur Us Main Tasneem Ke Paani Ki Aamaizish Hogi.

28
Wo Aik Chashma Hai Jis Main Se Khuda Ke Muqqrab Piyain Ge.

29
Joh Gunnehgaar Yaani Kuffar Hain Wo Dunia Main Mominoun Se Hansi Kia Karte The.

30
Aur Jab Un Ke Pas Se Guzarte Toh Haqarat Se Ishaare Karte.

31
Aur Jab Apne Ghar Ko Lout-Te Toh Itraate Hue Lout-Te.



32
Aur Jab Un Mominoun Ko Daikhte Toh Kehte Ke Ye Toh Gumraah Hain.

33
Halanke Wo Un Par Nigraan Bana Kar Nahi Bhaije Gaye The.

34
Toh Aaj Momin Kaafiroun Se Hansi Karainge.

35
Aur Takhtoun Par Baihte Hue Un Ka Haal Daikh Rahe Hounge.

36
Toh Kafiroun Ko Unke Amaloun Ka Poora Poora Badla Mill Gaya.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!