Thursday, 31 March 2016

89-SOORAH-AL-FAJAR-AAYAT-30


89

Soorah-Al-Fajar

Aayaat-30

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Fajar Ki Qasam.

2
Aur Dass Raatoun Ki.

3
Aur Juft Aur Taaq Ki.

4
Aur Raat Ki Jab Jaane Lage.

5
Aur Be Shak Ye Cheezain Aqalmandoun Ke Nazdeek Qasam Khane Ke Laaiq Hain, Ke Kaafiroun Ko Zaroor Azaab Hoga.

6
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Tumhare Parwardigar Ne Aaad Ke Sath Kia Kia.

7
Joh Irram Kehlate The Itne Daraaz Qad.



8
Ke Tamaam Mulk Main Aise Paida Nahi Hue The.

9
Aur Samood Ke Sath Kia Kia, Joh Waadi-E-Quraa Main Pathar Tarash-Te The Aur Ghar Banate The.

10
Aur Firown Ke Sath Kia Kia, Joh Khaime Aur Maikhain Rakhta Tha.

11
Ye Loug Mulkoun Main Sarkash Ho Rahe The.

12
Aur Un Main Bohot Si Kharabiyan Karte The.

13
Toh Tumhare Parwardigar Ne Un Par Azaab Ka Koura Nazil Kia.

14
Be Shak Tumhara Parwardigar Taak Main Hai.

15
Magar Insaan Ajeeb Makhlooq Hai Ke Jab Us Ka Parwardigar Us Ko Aazmaata Hai, Toh Usse Izzat Deta Aur Naimat Bakhsta Hai. Toh Kehta He Ke Aaha Mere Parwardigar Ne Mujhe Izzat Bakhshi.

16
Aur Jab Doosri Tarha Aazmaata Hai, Ke Us Par Rozi Tang Kar Deta Hai, Toh Kehta Hai Ke Haaye Mere Parwardigar Ne Mujhe Zaleel Kia.
17
Nahi.Balke Tum Loug Yateem Ki Khatir Nahi Karte.

18
Aur Na Miskeen Ko Khana Khilane Ki Targheeb Dete Ho.

19
Aur Meeraas Ke Maal Ko Samait Kar Kha Jate Ho.

20
Aur Maal Ko Bohot Hi Azeez Rakhte Ho.

21
Toh Jab Zameen Ki Bulandi Koot Koot Kar Past Kar Di Jaye Gi.

22
Aur Tumhara Parwardigaar Jalwa Farma Hoga Aur Farishte Qataar Bandh Bandh Kar Aa Mojood Honge.

23
Aur Dozakh Us Din Hazir Ki Jaye Gi, Toh Insaan Us Din Mutnabeh Hoga, Magar Ab Intibaah Se Usse Faaida Kahan Mill Sake Ga.

24
Kahe Ga Kash Main Ne Apni Zindagi-e-Jawedaani Ke Liye Kuch Aage Bhaija Hota.

25
Toh Us Din Na Koi Khuda Ke Azaab Ki Tarha Ka Kisi Ko Azab De Ga.

26
Aur Na Koi Waisa Jakarna Jakre Ga.

27
Ae Itminaan Paane Wali Rooh!.

28
Apne Parwardigar Ki Taraf Lout Chal. Tu Us Se Razi Wo Tujh Se Razi.

29
Tu Mere Mumtaaz Bandoun Main 
Shamil Ho Ja.

30
 Aur Bahisht Main Dakhil Ho Ja.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!