10-Soorah-E-Younas
Aayaat
(109)
Shroo Allah
Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmaane Wala Hai.
1
Alif Laam
Raa, Yeh Bari Hikmat Wali Kitaab Ki Aayatain Hain.
2
Kia Lougon
Ko Taajub Hua Ke Ham Ne Un Hi Main Se Aik Mard Ko Hukum Bhaija Ke Lougon Ko
Darr Suna Do. Aur Eemaan Laane Waloun Ko Khushkhabri De Do, Ke Uun Ke
Parwardigaar Ke Haan Un Ka Saccha Darja Hai. Aise Shakhs Ki Nisbat Kaafir Kehte
Hain Ke Yeh Sareeh Jadugar Hai.
3
Tumahra
Parwardigaar Toh Khuda Hi Hai, Jis Ne Aasmaan Aur Zameen Che (6) Din Main
Banaye Phir Arsh (Aasmaan) Takht-E-Shaahi Par Qaaim Hua, Wohi Har Aik Ka
Intizaam Karta Hai. Koi Us Ke Paas Us Ka Izzn Haasil Kiye Bagair Kisi Ki
Sifaarish Nahi Kar Sakta,Yehi Khuda Tumhara Parwardigaar Hai ,Toh Usi Ki Ibadat
Karo.Bhala Tum Gour Kion Nahi Karte.
4
Usi Ke Paas
Tum Sab Ko Lout Kar Jaana Hai.Khuda Ka Waada Sacha Hai. Wohi Khalqat Ko Pehli
Baar Paida Karta Hai. Phri Wo Hi Us Ko Dobara Paida Kare Ga Taa-Ake Eemaan
Waloun Aur Naik Kaam Karne Waloun Ko
Insaaf Ke Sath Badla De. Aur Joh Kafir Hain Un Ke Liye Peene Ko Nihayat Garam
Paani Aur Dard Dene Wala Azaab Hoga, Kion Ke Khuda Se Inkaar Karte The.
5
Wohi Toh
Hai Jis Ne Sooraj Ko Roshan Aur Chaand Ko Munnawar Banaya Aur Chand Ki
Manzilain Muqarrar Keen Taa-Ake Tum Barsoun (Years) Ka Shumaar (Counting) Aur
Kaamoun Ka Hisaab Maloom Karo. Yeh Sab, Kuch Khuda Ne Tadbeer Se Paida Kia Hai.
Samajhne Waloun Ke Liye Wo Apni Aayatain Khol Khol Kar Bayan Fermata Hai.
6
Raat Aur
Din Ke Aik Doosre Ke Peeche Aane Jaane Main, Aur Joh Cheezain Khuda Ne Aasmaan
Aur Zameen Main Paida Ki Hain Sab Main Darne Waloun Ke Liye Nishaniyan Hain.
7
Jin Lougon
Ko Ham Se Milne Ki Tawaqoh Nahi Aur Dunia Ki Zindagi Se Khush Aur Isi Par
Mutmain Ho Baithe Aur Hamari Nishaniyoun Se Gaafil Ho Rahe Hain.
8
Un Ka
Thikana Un Aamaal Ke Sabab, Joh Wo Karte Hain Dozakh Hai.
9
Aur Joh
Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe Un Ko Parwardigaar Un Ke Eemaan Ki
Wajah Se Aise Mehloun (Palaces) Ki Raah Dikhaye Ga Ke Un Ke Neeche Naimat Ke
Baaghoun Main Nehrain Beh Rahi Houn Gi.
10
Jab Wo Un
Mian In Naimatoun Ko Daikhain Ge Toh Be Saakhta Kahain Ge Subhaan Allah. Aur
Apas Main Un Ki Dua Salaam-O-Alaikum Hogi Aur Un Ka Aakhri Qoul Yeh Hoga, Ke
Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmeen Ki Hamd Aur Us Ka Shukar Hai.
11
Aur Agar
Khdua Lougon Ki Burai Main Jaldi Karta, Jis Tarha Wo Talab-E-Khair Main Jaldi
Karte Hain. Toh Un Ki Umar Ki Mayaad (Time Period) Poori Ho Chuki Hoti So Jin
Lougon Ko Ham Se Milne Ki Tawaqoh (Expectation) Nahi Unhain Ham Chore Rakhte
Hain Ke Apni Sarkashi Main Behekte Rahain.
12
Aur Jab
Insan Ko Takleef Pohonchti Hai Toh Leta Aur Baitha Aur Khara Har Haal Main
Hamain Pukaarta Hai.Phir Jab Ham Us Takleef Ko Us Se Door Kar Dete Hain, Toh Be
Lehaaz Ho Jata Hai, Aur Is Tarha Guzar Jata Hai Ke Goya Kisi Takleef Pohonchne
Par Hamain Kabhi Pukara Hi Na Tha. Isi Tarha Had Se Nikal Jane Waloun Ko Un Ke
Aamaal Aaraasta Kar Ke Dikhaye Gaye Hain.
13
Aur Tum Se
Pehle Ham Kai (Many) Ummatoun Ko Jab Unhoun Ne Zulm Ikhtiyaar Kia Halaak Kar
Chuke Hain. Aur Un Ke Paas Paigambar Khuli Nishaniyan Le Kar Aaye, Magar Wo
Aise Na The Ke Eemaan Late.Ham Gunnehgaaroun Ko Issi Tarha Badla Dia Karte
Hain.
14
Phir Ham Ne
Un Ke Baad Tum Lougon Ko Mulk Main Khaleefa (Caliph) Banaya, Taa-Ake Daikhen Ke
Tum Kaise Kaam Karte Ho.
15
Aur Jab Un Ko
Hamari Aayatain Parh Kar Sunai Jaati Hain Toh Jin Lougon Ko Ham Se Milne Ki
Umeed Nahi, Wo Kehte Hain Ke Ya Toh Us Ke Siwa Koi Aur Quraan Bana Laao, Ya Is
Ko Badal Do. Keh Do Ke Mujh Ko Ikhtiyaar Nahi
Hai Ke Usse Apni Taraf Se Badal Doon. Main Toh Ussi Hukum Ka Taabe
(Obedient To Order) Hoon , Joh Meri Taraf Aata Hai.Agar Main Apne Parwardigaar
Ki Nafarmani Karoon Toh Muhje Bare Sakht Din Ke Azaab Se Khof Aata Hai.
16
Yeh Bhi Keh
Do Ke Agar Khdua Chahta Toh Na Toh Main Hi Ye Kitaab Tum Ko Parh Kar Sonata Aur
Na Wohi Tumhain Iss Se Waqif Karta. Main Uss Se Pehele Tum Main Aik Umar Raha
Hoon Aur Kabhi Aik Kalma Bhi Us Tarha Ka Nahi Kaha Bhala Tum Samajhte Nahi.
17
Toh Us Se
Barh Kar Zaalim Koun Hoga Joh Khuda Par Jhoot Ifitraa ( ) Kare Aur Us Ki
Aayatoun Ko Jhutlaye. Be Shak Gunnehgaar Falaah Nahi Paayen Ge.
18
Aur Ye Loug
Khdua Ke Siwa Aisi Cheezoun Ki Parastish Karte Hain Joh Na Un Ka Kuch Bigaar
Sakti Hain, Aur Na Kuch Bhala Hi Kar Sakti Hain, Aur Kehte Hain Ke Yeh Khuda Ke
Paas Hamari Sifarish Karne Wale Hain.
Keh Do Kia Tum Khuda Ko Aaisi Cheez Batate Ho Jis Ka Wajood Usse Na Aasmaanoun
Main Maloom Hota Hai Aur Na Zameen Main. Wo Paak Hai Aur Us Ki Shaan Unke Shirk
Karne Se Bohot Buland Hai.
19
Aur Sab
Loug Pehle Aik Hi Ummat, Yaani Aik Hi Millat Par The. Phir Juda Juda Ho Gaye.
Aur Agar Aik Baat Joh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Pehele Ho Chuki Hai, Na
Hoti Toh Jin Baatoun Main Wo Ikhtilaaf Karte Hain Un Main Faisla Kar Dia Jaata.
20
Aur Kehte
Hain Ke Us Par Us Ke Parawardigaar Ki Taraf Se Koi Nishani Kion Naazil Nahi
Hui. Keh Do Ke Gaib Ka Ilm Toh Khuda Hi Ko Hai , So Tum Intizaar Karo. Main Bhi
Tumahare Sath Intizaar Karta Hoon.
21
Aur Jab Ham
Lougon Ko Takleef Pohonchne Ke Baad Apni Rehmat Se Aasaaish Ka Mazah Chakhate
Hain, Toh Wo Hamari Aayatoun Main Heele Karne Lagte Hain. Keh Do Ke Khuda Bohot
Jald Heela (Bahaana) Karne Wala Hai. Aur Joh Heele Tum Karte Ho Hamare Farishte
Un Ko Likhte Jaate Hain.
22
Wohi Toh
Hai Joh Tum Ko Jungle Aur Darya Main
Chalne Phirne Aur Sair Karne Ki Toufeeq Deta Hai.Yahan Tak Ke Jab Tum
Kashtiyoun Main Sawaar Hote Aur Kashtiyaan Paakeeza Hawa Ke Narm Narm Jhounkoun Se Sawaarioun
(Passengers) Ko Le Kar Chalne Lagti Hain Aur Wo Un Se Khush Hote Hain, Toh Na
Gahaan Zannate (Bohot Taiz) Ki Hawa Chal Parti Hai, Aur Lehrain Har Taraf Se Un
Par Josh Maarti Hui Aane Lagti Hain Aur Wo Khayal Karte Hain Ke Ab Toh Lehroun
Main Ghirr Gaye, Toh Us Waqt Khalis Khuda Hi Ki Ibadat Kar Ke Us Se Dua Maangne
Lagte Hain, Ke Ae Khuda Agar Tu Ham Ko Is Se Nijaat Bakhshe Toh Ham Tere Bohot
Hi Shukar Guzzar Houn.
23
Lekin Jab
Wo Un Ko Nijaat De Deta Hai Toh Mulk Main Na Haq Shararat Karne Lagte Hain.
Lougo! Tumhari Shararat Ka Wabaal Tumhari Hi Jaanoun Par Hoga, Tum Dunia Ki
Zindagi Ke Faaide Utha Lo. Phir Tum Ko Hamare Hi Paas Lout Kar Aana Hai.Us Waqt
Ham Tum Ko Batayen Ge Joh Kuch Tum Kia Karte The.
24
Dunia Ki
Zinagi Ki Misaal Meenh (Rain) Ki Si Hai Ke Ham Ne Us Ko Aasmaan Se Barsaaya.
Phir Us Ke Sath Sabza Jisse Aadmi Aur Janwar Khate Hain Mil Kar Nikla, Yahan
Tak Keh Zameen Sabze Se Khushnuma Aur Aaraasta Ho Gai, Aur Zameen Waloun Ne
Khayaal Kia Ke Wo Is Par Poori Dastaras Rakhte Hain, Nagaahaan Raat Ko Ya Din
Ko Hamara Hukum-E- Azaab Aa Pohoncha Toh Ham Ne Us Ko Kaat Kar Aisa Kar Daala,
Ke Goya Kal Wahan Kuch Tha Hi Nah. Joh Loug Ghour Karne Wale Hain. Un Ke Liye
Ham Apni Qudrat Ki Nishaniyan Issi Tarha Khol Khol Kar Biyaan Karte Hian.
25
Aur Khuda
Salamti Ke Ghar Ki Taraf Bulata Hai. Aur Jis Ko Chahta Hai Seedha Raasta
Dikhata Hai.
26
Jin Lougon
Ne Naiko Kaari Ki Un Ke Liye Bhalayee Hai, Aur Mazeed-E-Baraan Aur Bhi, Aur Un
Ke Moohoun Par Na Toh Siyaahi Chaye Gi Aur Na Ruswaai. Yeh Hi Jannati Hain, Ke
Us Main Hamesha Rahain Ge.
27
Aur Jinhoun
Ne Bure Kaam Kiye Toh Burai Ka Badla Waisa Hi Hoga. Aur Un Ke Moohoun Par
Zillat Cha Jaye Gi. Aur Koi Un Ko Khuda Se Bachane Wala Na Hoga.Un Ke Moonhoun
Ki Siyaahi Ka Ye Aalam Hoga Ke Un Par Goya Andhairi Raat Ke Tukre Orha Diye
Gaye Hain.Yeh Hi Dozakhi Hain Ke Hamesha Us Main Rahain Ge.
28
Aur Jis Din
Ham Un Sab Ko Jamaa Karain Ge, Phir Mushrikoun Se Kahain Ge Ke Tum Aur Tumhare
Shareek Apni Apni Jaga Tehere Raho. Toh Ham Un Main Taffaraqa Daal Dainge Aur
Un Ke Shareek Un Se Kahain Ge Keh Tum Ham Ko Toh Nahi Pooja Karte The.
29
Hamare
Tumhare Darmiyaan Khuda Hi Gawaah Kaafi Hai. Ham Tumhari Parastish Se Bilkul Be
Khabar The.
30
Wahan Har
Shakhs Apne Aamaal Ki, Joh Us Ne Aage Bhaije Houn Ge Aazmaaish Kar Le Ga Aur Wo
Apne Sache Maalik Ki Taraf Loutaye Jayen Ge Aur Joh Kuch Wo Bohtaan Baandha
Karte The Sab Un Se Jaata Rahe Ga.
31
Un Se Poocho,
Ke Tum Ko Aasmaan Aur Zameen Main Rizq Koun Deta Hai Ya Tumhare Kaanoun Aur
Aankhoun Ka Malik Koun Hai ,Aur Bejaan Se Jaandar Koun Paida Karta Hai ,Aur
Jandar Se Be Jaan Koun Paida Karta Hai, Aur Dunia Ke Kaamoun Ka Intizaam Koun
Karta Hai. Jhat Keh Dainge Ke Khuda. Toh Kaho Ke Phir Tum Khuda Se Darte Kion
Nahi?
32
Ye Hi Khuda
Toh Tumhara Parwardigaar Barhaq Hai. Aur
Haq Baat Ke Zaahir Hone Ke Baad Gumraahi Ke Siwa Hai Hi Kia? Toh Tum Kahan
Phire Jate Ho.
33
Issi Tarha
Khuda Ka Irsahaad Un Nafarmanoun Ke Haq Main Sabit Ho Kar Raha, Ke Ye Eemaan
Nahi Laayen Ge.
34
Un Se
Poocho Ke Bhala Tumhare Shareekoun Main Koi Aisa Hai Ke Makhlooqaat Ko
Ibtidaa-An Paida Kare Aur Phir Us Ko Dobara Banaye? Keh Do Ke Khuda Hi Pehli
Baar Paida Karta Hai, Phir Wo Hi Us Ko Dobara Paida Kare Ga Toh Tum Kahan Ukkse
Ja Rahe Ho.
35
Poocho Ke
Bhala Tumhare Shakreekoun Main Koun Aisa Hai Ke Haq Ka Raasta Dikhaye. Keh Do
Ke Khuda Hi Haq Ka Rasta Dikhata Hai. Bhala Joh Haq Ka Rasta Dikhaye Wo Is
Qaabil Hai Ke Us Ki Pairvi Ki Jaye, Ya Wo Ke Jab Tak Koi Usse Rasta Na Bataye
Rasta Na Paaye. Toh Tum Ko Kia Hua Hai Kaisa Insaaf Karte Ho?
36
Aur Un Main
Ke Aksar Sirf Zann Ki Pairwi Karte Hain.Aur Kuch Shak Nahi Ke Zann Haq Ke
Muqaable Main Kuch Bhi Kaar Aamad Nahi Ho Sakta. Be Shak Khuda Tumhare Sab
Aamaaloun Se Waqif Hai.
37
Aur Yeh
Quraan Aisa Nahi, Ke Khdua Ke Siwa Koi Is Ko Apni Taraf Se Bana Laye.Haan Haan
Yeh Khuda Ka Kalaam Hai Joh Kitaabain Us Se Pehle Ki Hain. Un Ki Tasdeeq Karta
Hai Aur Un Hi Kitaaboun Ki Is Main Tafseel Hai, Is Main Kuch Shak Nahi Ke Ye
Rabb-Ul-Aalmeen Ki Taraf Se Nazil Hua Hai.
38
Kia Yeh
Loug Kehte Hian Ke Paigambar Ne Is Ko Apni Taraf Se Bana Liya Hai, Keh Do Ke
Agar Sachhe Ho Toh Tum Bhi Is Tarha Ki Aik Soorat Bana Lao ,Aur Khuda Ke Siwa
Jin Ko Tum Bula Sako Bula Bhi Lo.
39
Haqeeqat Ye
Hai Ke Jis Cheez Ke Ilm Par Ye Qaaboo Nahi Paa Sake, Us Ko Nadaani Se Jhutla
Dia, Aur Abhi Is Ki Haqeeqat In Par
Khuli Hi Nahi. Issi Tarha Joh Loug In Se Pehle The Unhoun Ne Takzeeb Ki Thi Sou
Daikh Lo Ke Zaalimoun Ka Anjaam Kaisa Hua?
40
Aur Un Main
Se Kuch Toh Aise Hain Ke Is Par Eemaan Le Aate Hain Aur Kuch Aise Hain Ke
Eemaan Nahi Late. Aur Tumahra Parwardigaar Shareeroun Se Khoob Waqif Hai.
41
Aur Agar Ye
Tumhari Takzeeb Karain Toh Keh Do Ke Mujh Ko Mere Aamaal Ka Badla Mile Ga, Aur Tum Ko Tumhare Aamaal
Ka, Tum Mere Aamaaloun Ke Jawab Deh Nahi
Ho, Aur Main Tumhare Aamaal Ka Jawab Deh Nahi Hoon.
42
Aur Un Main
Se Baaz Aise Hain Ke Tumhari Taraf Kaan Lagate Hain Toh Kia Tum Behroun Ko
Sunao Ge? Agarcha Kuch Bhi Sunte Samajhte Na Houn.
43
Aur Baaz
Aise Hain Ke Tumhari Taraf Daikhte Hain. Toh Kia Tum Andhoun Ko Raasta Dikhaao
Ge? Agarcha Kuch Bhi Daikhte Bhaalte Na Houn.
44
Khdua Toh
Lougon Par Kuch Zulm Nahi Kartam Lekin Loug Hi Apne Aap Par Zulm Karte Hain.
45
Aur Jis Din
Khuda Un Ko Jamaa Kare Ga To Wo Dunia Ki Nisbat Aisa Khayaal Karen Ge Ke Goya
Wahan Ghari Bhar Din Se Ziada Rahe Hi Nahi The, Aur Aapas Main Aik Doosre Ko
Shanaakht Bhi Karen Ge. Jin Lougon Ne Khuda Ke Ru Baru Haazir Hone Ko Jhutlaya
Wo Khasare (Loss) Main Par Gaye Aur Raah Yaab Na Hue.
46
Aur Agar
Ham Koi Azaab Jis Ka Un Lougon Se Waada Karte Hain Tumhari Aankhooun Ke Saamne
Nazil Karain, Ya Us Waqt Jab Tumhari Muddat-E-Hayat Poori Kar Dain, Toh Un Ko
Hamare Hi Paas Lout Kar Aana Hai , Phir Joh Kuch Ye Kar Rahe Hain Khuda Us Ko
Daikh Raha Hai.
47
Aur Har Aik
Ummat Ki Taraf Paigambar Bhaija Gaya. Jab Un Ka Paigambar Aata Hai Toh Us Main
Insaaf Ke Sath Faisla Kar Dia Jata Hai, Aur Un Par Kuch Zulm Nahi Kia Jata.
48
Aur Yeh
Kehte Hain Ke Agar Tum Sacche Ho Toh Jis Azaab Ka Ye Waada Hai Wo Aaye Ga Kab?
49
Keh Do Ke
Main Toh Apne Nuqsaan Aur Faaide Ka Bhi Kuch Ikhtiyaar Nahi Rakhta. Magar Joh
Khuda Chaahe. Har Aik Ummat Ke Liye Mout Ka Aik Waqt Muqarrar Hai. Jab Wo Waqt
Aa Jata Hai Toh Aik Ghari Bhi Dair Nahi Kar Sakte, Aur Na Jaldi Kar Sakte Hain.
50
Keh Do Ke
Bhala Daikho Toh Agar Is Ka Azaab Tum Apr Naa Gahaan Aa Jaye, Raat Ko Ya Din
Ko, Toh Phir Gunnah Gar Kis Baat Ki Jaldi Karain Ge.
51
Kia Jab Wo
Aa Waqe Hoga Tab Us Par Eemaan Laao Ge? Us Waqt Kaha Jaye Ga Ke Aur Ab Eemaan
Laaye? Issi Ke Liye Toh Tum Jaldi Machaya Karte The.
52
Phir Zaalim
Lougon Se Kaha Jaaye Ga Ke Azaab-E-Daaimi (Dair Tak Rehne Waala Azab) Ka Mazah
Chakho. Ab Tum Unhi Aamaal Ka Badla Paaow Ge Joh Dunia Main Karte Rahe.
53
Aur Tum Se
Daryaaft Karte Hain Ke Aaya Ye Sach Hai. Keh Do Haan Khuda Ki Qasam Sach Hai,
Aur Tum Bhaag Kar Khuda Ko Aajiz Nahi Kar Sako Gi.
54
Aur Agar
Har Aik Nafarmaan Shakhs Ke Pas Roo-E-Zameen Ki Tamaam Cheezain Houn, Toh Azaab
Se Bachne Ke Baddle Main Sab De Daale, Aur Jab Wo Azaab Ko Daikhain Ge Toh
Pachtaayen Ge Aur Nidamat Ko Chupaaye
Ge. Aur Un Main Insaaf Ke Sath Faisla Kar Dia Jaye Ga Aur Kisi Tarha Ka Un Par
Zulm Nahi Hoga.
55
Sun Rakho
Ke Joh Kuch Aasmaanoun Aur Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai. Aur Ye Bhi Sunn
Rakho ,Ke Khdua Ka Waada Sacha Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.
56
Wo Hi Jaan
Bakhashta Aur Wo Hi Mout Deta Hai, Aur Tum Loug Ussi Ki Taraf Lout Kar Jaao Ge.
57
Logo
Tumahre Paas Tumahre Parwardigar Ki Taraf Se Naseehat Aur Diloun Ki Bimaariyoun
Ki Shafa Aur Mominoun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Aa Pohonchi Hai.
58
Keh Do Ke
Ye Kitaab-E-Khuda Ke Fazal Aur Us Ki Meherbaani Se Naazil Hue Hai, Toh Chahaiye
Ke Loug Is Se Khush Houn. Ye Us Se Kahin Behtar Hai Joh Wo Jama Karte Hain.
59
Kaho Ke
Bhala Daikho Toh Khuda Ne Tumahre Liye Joh Rizq Nazil Farmaya, Toh Tum Ne Us
Main Se Baaz Ko Haraam Tehraaya Aur Baaz Ko Halaal ,Un Se Poocho Kia Khuda Ne
Tum Ko Is Ka Hukum Dia Hai Ya Toh Khuda
Par Iftiraa Karte Ho.
60
Aur Joh
Loug Khuda Par Iftiraa Karte Hain Wo Qiamat Ke Din Ki Nisbat Kia Khayal Rakhte
Hain? Be Shak Khuda Lougon Par Meherbaan Hai Lekin Aksar Loug Shukar Nahi
Karte.
61
Aur Tum Jis
Haal Main Hote Ho ,Ya Quran Main Se Kuch Parhte Ho Ya Tum Loug Koi Aur Kaam
Karte Ho, Jab Us Main Masroof Hote Ho , Ham Tumhare Saamne Hote Hain, Aur
Tumahre Parwardigaar Se Zarra Barabar Bhi Koi Cheez Poshida Nahi Hai Na Zameen
Main Aur Na Aasmaan Main, Aur Na Koi Cheez Us Se Choti Hai Ya Bari Magar
Kitaab-E-Roshan Main Likhi Hui Hai.
62
Sunn Rakho
Ke Joh Khuda Ke Dost Hain Un Ko Na Kuch Khof Hoga Aur Na Wo Gam Naak Hounge.
63
Yaani Wo
Joh Eemaan Laye Aur Parhaizgaar Rahe.
64
Un Ke Liye
Dunia Ki Zindagi Main Bhi Basharat Hai, Aur Aakhrat Main Bhi. Khdua Ki Baatian
Badalti Nahi. Ye Hi Toh Bari Kaamyaabi Hai.
65
Aur Ae
Paigambar S.A.W. Un Lougon Ki Batoun Se Aazooda Na Hona Kion Ke Izzat Sab Khuda
Hi Ki Hai, Wo Sab Kuch Sunta Aur Jaanra Hai.
66
Sun Rakho
Ke Joh Makhlooq Aasmaanoun Main Hai Aur Joh Zameen Mai Hai Sab Khuda Hi Ke
Bande Aur Us Ke Mamlook Hain. Aur Ye Joh Khuda Ke Siwa Apne Banaye Hue
Shareekoun Ko Pukaarte Hain.Wo Kisi Aur Cheez Ke Peeche Nahi Chalte. Sirf Zann
Ke Peeche Chalte Hain Aur Mehez Athkalain Dora Rahe Hain.
67
Wo Hi Toh
Hai Jis Ne Tumhare Liye Raat Banai Taa-Ake Us Main Aaraam Karo Aur Roz-E-Roshan
Banaya Taa-Ake Us Main Kaam Karo Joh Loug Maada-E-Saamaat (Sunn-Ne Ki
Salahiyat) Rakhte Hain Un Ke Liye In Main Nishaaniya Hain.
68
Baaz Loug
Kehte Hain Ke Khuda Ne Beta (Son) Bana Liya Hai. Us Ki Zaat Aulaad Se Paak Hai
,Aur Wo Be Niyaaz Hai. Joh Kuch Aasmaanoun Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main
Hai Wo Sab Usssi Ka Hai, Ae Iftiraa Pardaazo Tumahre Paas Is Qoul-E-Baatil(
Jhoot Baat) Ki Koi Daleel
(Evidence) Nahi Hai.Tum Khuda Ki Nisbat
Aisi Bat Kion Kehte Ho Joh Jante Nahi.
69
Keh Do Joh
Loug Khuda Par Jhoot Baandhte Hain Falaah Nahi Paye Ge.
70
Un Ke Liye
Joh Faaide Hain Dunia Main Hain Phir Un Ko Hamari Hi Taraf Lout Kar Aana Hai.Us
Waqt Ham Un Ko Azaab-E-Shadeed Ke Maze Chakhayen Ge, Kion Ke Kufur Ki Baatain
Kia Karte The.
71
Aur Un Ko
Nooh Ka Qisaa Parh Kar Suna Do. Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Ae Qoum!
Agar Tum Ko Mera, Tum Main Rehna, Aur Khuda Ki Aayatoun Se Naseehat Karna
Nagawaar Ho ,Toh Main Toh Khuda Par Bharosa Rakhta Hoon. Tum Apne Shareekoun Ke
Sath Mill Kar Aik Kaam Joh Mere Bare Main Karna Chaho Muqarrar Kar Lo, Aur Wo
Tumhari Tamaam Jamaat Ko Maloom Ho Jaye Aur Kisi Se Poshida Na Rahe Phir Wo
Kaam Mere Haq Main Kar Guzro Aur Mujhe Mohlat Na Do.
72
Aur Agar
Tum Ne Moonh Phair Liya, Toh Tum Jaante Ho Ke Main Ne Tum Se Kuch Moaawza Nahi
Manga. Mera Moaawza Toh Khuda Ke Zimme Hai. Aur Mujhe Hukum Hua Hai Ke Main
Farmanbardaaroun Main Rahoon.
73
Lekin Un
Lougon Ne Un Ki Takzeeb Ki Toh Ham Ne Un Ko Aur Joh Loug Un Ke Sath Kashti Main
Sawaar The, Sab Ko Toofaan Se Bacha Liya Aur Unhain Zameen Main Khaleefa Bana
Dia ,Aur Jin Lougon Ne Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Un Ko Garq Kar Dia, Toh
Daikh Lo Ke Joh Loug Daraaye Gaye The Un Ka Kaisa Anjaam Hua.
74
Phir Nooh
Ke Baad Ham Ne Aur Paigambar Apni Apni Qoum Ki Taraf Bhaije. Toh Wo Un Ke Paas
Khuli Nishaniyaa Le Kar Aaye. Magar Wo Loug Aise Na The Ke Jis Cheez Ki Pehle Takzeeb Kar Chuke The Us
Par Eemaan Le Aate. Issi Tarha Ham Ziadti Karne Waloun Ke Diloun Par Mohar Laga
Dete Hain.
75
Phir Un Ke
Baad Ham Ne Moosa A.S. Ko Apni Nishaaniyan De Kar Firown Aur Us Ke Sardaaroun
Ke Pas Bhaija, Toh Unhoun Ne Takkabbur Kia Aur Wo Gunnehgaar Loug The.
76
Toh Jab Un
Ke Paas Hamare Haan Se Haq Aaya Toh Kehne Lage Ke Ye Toh Sareeh Jaadu Hai.
77
Moosa Ne
Kaha Kia Tum Haq Ke Bare Mian Jab Wo Tumahre Pas Aaya, Ye Kehte Ho Ke Ye Jadu
Hai. Haalanke Jaadugar Falaah Nahi Paane Ke.
78
Wo Bole Kia
Tum Hamare Paas Is Liye Aye Ho Ke Jis Raah Par Ham Apne Baap Dada Ko Paate Rahe
Hain, Us Se Ham Ko Phair Do. Aur Is Mulk Main Tum Dono Ki Hi Sardaari Ho Jaye
Aur Ham Tum Par Eemaan Laane Wale Nahi Hain.
79
Aur Firown
Ne Hukum Dia Ke Sab Kaamil-E-Fun Jaadugaroun Ko Hamare Paas Le Aao.
80
Jab Jadugar
Aaye Toh Moosa Ne Un Se Kaha Ke Joh Tum Ko Daalna Ho Daalo.
81
Jab Unhoun
Ne Apni Rassiyoun Aur Laathiyoun Ko Daala Toh Moosa Ne Kaha Ke Joh Cheezain Tum
Bana Kar Laaye Ho Jadu Hai, Khuda Is Ko Abhi Naist-O-Nabood Kar De Ga. Khuda
Shareeeroun Ke Kaam Sanwara Nahi Karta.
82
Aur Khuda
Apne Hukum Se Sach Ko Sach Hi Kar De Ga
Agarcha Gunnehgaar Bura Hi Maanain.
83
Toh Mussa
Par Koi Eemaan Na Laaya. Magar Us Ki Qoum Main Se Chand Larke Aur Wo Bhi Firown
Aur Us Ke Ehl-E-Darbaar Se Darte Darte, Ke Kahin Wo Un Ko Aafat Main Na Phansa
De. Aur Firown Mulk Main Mutakabbir-O-Muttgallib Aur Kibr-O-Kufur Main Had Se
Bara Hua Tha.
84
Aur Moosa
Ne Kaha Ke Qoum! Agar Tum Khuda Par Eemaan Laye Ho Toh Agar Dil Se
Farmanbardaar Raho Toh Ussi Par Bharosa Rakho.
85
Toh Wo Bole
Ke Ham Khuda Hi Par Bharosa Rakhte Hain. Ae Hamare Parwardigaar Ham Ko Zaalim
Lougon Ke Hath Se Aazmaaish Main Na Daal.
86
Aur Apni
Rehmat Se Qoum-E-Kuffaar Se Nijaat Bakhash.
87
Aur Ham Ne
Mooosa Aur Us Ke Bhai Ki Taraf Wahi Bhaiji Ke Apne Lougon Ke Liye Misr (Egypt)
Main Ghar Banao , Aur Apne Gharoun Ko Qibla Yaani Masjidain Tehraao Aur Namaz
Parho . Aur Momino Ko Khushkhabri Suna
Do.
88
Aur Moosa
Ne Kaha Ae Hamare Parwardigaar Tu Ne Firown Aur Us Ke Sardaaroun Ko Dunia Ki
Zindagi Main Bohot Sa Saaz-O-Barg Aur Maal-O-Zarr De Rakha Hai. Ae Parwardigaar
In Ka Maal Yeh Hai Ke Tere Raste Se Gumraah Kar Dain. Ae Parwardigaar In Ke
Maal Ko Barbaad Kar De, Aur In Ke Diloun Ko Sakht Kar De, Ke Eemaan Na Laayen
Jab Tak Azaab-E-Aleem Na Daikh Lain.
89
Khuda Ne
Farmaya Ke Tumhari Dua Qabool Kar Li Gai, Toh Tum Sabit Qadam Rehna Aur Be
Aqloun Ke Raste Na Chalna.
90
Aur Ham Ne
Bani Israail Ko Darya Se Paar Kar Dia, To Firown Aur Us Ke Lashkar Ne Sar Kashi
Aur Taaddi Se Un Ka Taaqqub Kia. Yahan Tak Ke Jab Us Ko Gharq Ke Azaab Ne Aa
Pakra Toh Kehne Laga Ke Main Eemaan
Laaya, Ke Jis Khuda Par Bani Israail Eemaan Laye Hain , Us Ke Siwa Koi Maabood
Nahi Aur Main Farmabardaaroun Main Hoon.
91
Jawab Mila,
Ke Ab Eemaan Laata Hai , Halaanke Tu Pehle Nafarmaani Karta Raha Aur Muffsid
Bana Raha.
92
Toh Aaj Ham
Tere Badan Ko Darya Se Nikaal Lain Ge Taa-Ake Tu Pichloun Ke Liye Ibbrat Ho.
Aur Bohot Se Loug Hamari Nishaniyoun Se Be Khabar Hain.
93
Aur Ham Ne
Bani Israail Ko Rehne Ko Umda Jaga Di, Aur Khaane Ko Paakeeza Cheezain Ata Ki ,
Lekin Wo Bawajood Ilm Hasil Hone Ke Ikhtilaaf Karte Rahe. Be Shak Jin Batoun Main
Wo Ikhtilaaf Karte Rahe Hain Tumhara
Parwardigaar Qiamat Ke Din Un Main Un Batoun Ka Faisla Kar De Ga.
94
Agar Tum Is
Kitab Ke Bare Main Joh Ham Ne Tum Par Naazil Ki Hai, Kuch Shak Ho Toh , Joh
Loug Tum Se Pehle Ki Utri Hui Kitaabain Parhte Hian Un Se Pooch Lo. Tumhare
Parwardigaar Ki Taraf Se Tumahre Paas Haqq Aa Chukka Hai , Toh Tum Har Gizz
Shak Karne Waloun Main Na Hona.
95
Aur Na Un
Lougon Main Hona Joh Khuda Ki Aayatoun Ki Takzeeb Karte Hain, Nahi Toh Nuqsaan
Uthao Ge.
96
Jin Lougon
Ke Bare Main Khuda Ka Hukum-E-Azaab Qaraar Pa Chukka Hai Wo Eemaan Nahi Lane
Ke.
97
Jab Tak Ke
Azaab-E-Aleem Na Daikh Lain, Khuah Un Ke Pas Har Tarha Ki Nishani Aa Jaye.
98
Toh Koi
Basti Aisi Kion Na Hui Ke Eemaan Lati,
Toh Us Ka Eemaan Usse Nafa Deta, Haan Younus Ki Qoum. Ke Jab Eemaan Laayi Toh
Ham Ne Dunia Ki Zindagi Main Un Se Zillat Ka Azaab Door Kar Dia Aur Aik Muddat Tak Fawaaid-E-Duniawi
Se Un Ko Behra Mand Rakha.
99
Aur Agar
Tumhara Parwardigar Chahta Toh Jitney Loug Zameen Main Hain Sab Ke Sab Eemaan
Le Aate.Toh Kia Tum Lougon Par Zabardasti Karna Chahate Ho Ke Wo Momin Ho
Jayen.
100
Halaanke
Kisi Shakhs Ko Qudrat Nahi Hai Ke Khuda Ke Hukum Ke Bagair Eemaan Laye. Aur Joh
Loug Be Aqal Hain Un Par Wo Kufur-O-Zillat Ki Nijasat Daalta Hai.
101
Un Kuffar
Se Kaho, Ke Daikho Toh, Aasmanoun Aur
Zameen Main Kia Kia Kuch Hai. Magar Joh Loug Eemaan Nahi Rakhte Unki Nishaniyan
Aur Daraawe Kuch Kaam Nahi Aate.
102
So Jaise
Bure Din Un Se Pehle Lougon Par Guzar Chuke Hain Ussi Tara Ke Dinoun Ke Ye
Muntazir Hai.Keh Do Ke Tum Bhi Intizaar
Karo .Main Bhi Tumahre Sath Intizar Karta Hoon.
103
Aur Ham
Apne Paigambaroun Ko Aur Momino Ko Nijaat Dete Rahe Hain.Issi Tarha Hamara
Zimma Hai Ke Muslamaanoun Ko Nijaat Dain.
104
Ee
Paigambar S.A.W. Keh Do Ke Logo ,Agar Tum Ko Mere Deen Main Kisi Tarha Ka Shak
Ho ,Toh Sunn Rakho Ke Jin Lougon Ki Tum Khuda Ke Siwa Ibadat Karte Ho Main Un
Ki Ibadat Nahi Karta. Balke Main Khuda Ki Ibadat Karta Hoon Joh Tumahrai
Roohain Qabz Kar Leta Hai ,Aur Mujh Ko Ye Hi Hukum Hua Hai Ke Eemaan Lane
Waloun Main Hoon.
105
Aur Ye Ke
Ae Muhammad S.A.W. Sab Se Yaksoo Ho Kar
Deen-E-Islaam Ki Pairwi Kiye Jao. Aur Mushrikoiun Main Har Gizz Na Hona.
106
Aur Khuda
Ko Chor Kar Aisi Cheez Ko Na Pukarna Joh Na Tumhara Kuch Bhala Kar Sake Aur Na
Kuch Bigaar Sake. Agar Aisa Karo Ge Toh Zaalimoun Main Ho Jao Ge.
107
Aur Agar
Khuda Tum Ko Koi Takleef Pohonchaye, Toh Us Ke Siwa Us Ka Koi Door Karne Wala
Nahi , Aur Agar Khuda Tum Se Bhalai Karni Chahe Toh Us Ke Fazal Ko Koi Rokne
Wala Nahi. Wo Apne Bandoun Main Jisse
Chahta Hai Faaida Pohonchata Hai ,Aur Wo Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
108
Keh Do Ke
Lougo Tumhare Parwardigaar Ke Haan Se Tumahre Pas Haqq Aa Chukka Hai , Toh Joh
Koi Hidayat Haasil Karta Hai Toh Hidayat Se Apne Hi Haq Main Bhalai Karta Hai.
Aur Joh Gumraahi Ikhtiyar Karta Hai Toh
Gumraahi Se Apna Hi Nuqsaan Karta Hai. Aur Main Tumhara Wakeel Nahi Hoon.
109
Aur Ae
Paigambar S.A.W. Tum Ko Joh Hukum Bhaija Jaata Hai Us Ki Pairwi Kiye Jao Aur
Taklefoun Par Sabar Karo Yahan Tak Ke Khuda Faisla Kar De.Aur Wo Sab Se Behtar
Faisla Karne Wala Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!