Wednesday, 4 May 2016

29-Soorah-al-Ankaboot-Aayat-69



Soorah Al-Ankaboot
Aayaat 69

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Alif Laam Meem.

2
Kia Loug Ye Khayal Kiye Hue Hain Ke Sirf Ye Kehne Se Ke Ham Eemaan Le Aaye, Chor Diye Jaayen Ge Aur Un Ki Aazmaaish Nahi Ki Jaye Gi.

3
Aur Joh Loug Un Se Pehle Ho Chuke Hain, Ham Ne Un Ko Bhi Aazmaaya Tha Aur Un Ko Bhi Aazmaayen Ge, So Khuda Un Ko Zaroor Maaloom Kare Ga Joh Apne Eemaan Main Sachhe Hain Aur Un Ko Bhi Joh Jhoote Hain.

4
Kia Wo Loug Joh Bure Kaam Karte Hain Ye Samajhe Hue Hain Ke Ye Hamare Qaaboo Se Nikal Jaayen Ge. Joh Khayal Ye Karte Hain Bura Hai.

5
Joh Shakhs Khuda Ki Mulaqaat Ki Umeed Rakhta Ho, Toh Khuda Ka Muqarrar Kia Hua Waqt Zaroor Aane Wala Hai. Aur Wo Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.

6
Aur Joh Shakhs Mehnat Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Mehnat Karta Hai. Aur Khuda Toh Saare Jahan Se Be Parwah Hai.

7
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Amal Kartre Rahe Ham Un Ke Gunaahoun Ko Un Se Door Kar Dainge Aur Un Ko Un Ke Aamaal Ka Bohot Acha Badla Dainge.

8
Aur Ham Ne Insaan Ko Apne Maan Baap Ke Sath Naik Salook Karne Ka Hukum Dia Hai. Ae Mukhatib Agar Tere Maan Baap Tere Dar Pe Houn,  Ke Tu Mere Sath Kisi Ko Shareek Banaye, Jis Ki Haqeeqat Ki Tujhe Waaqfiyat Nahi. Toh Un Ka Kehna Na Maaniyo. Tum Sab Ko Meri Taraf Lout Kar Aana Hai.Phir Joh Kuch Tum Karte The Main Tum Ko Jata Doonga.
9
Aur Joh Loug Eemaan Laaye Aur Naik Amal Karte Rahe Unko Ham Naik Lougon Main Dakhil Karain Ge.

10
Aur Baaz Loug Aise Hain, Joh Kehte Hain Ke Ham Khuda Par Eemaan Laaye, Jab Un Ko Khuda Ke Raste Main Koi Eezaa Pohonchti Hai, Toh Lougon Ki Eeza Ko Youn Samajhte  Hain Jaise Khuda Ka Azaab. Aur Agar Tumhre Parwardigar Ki Taraf Se Madad Pohonche Toh Kehte Hain Ke Ham Toh Tumahre Sath The. Kia Joh Ehle-E-Aalam Ke Seenoun(Hearts) Main Hai Khuda Us Se Waaqif Nahi?

11
Aur Khuda Un Ko Zarooor Maaloom Kare Ga Joh Sache Momin Hain Aur Munaafiqoun Ko Bhi Maaloom Kar Ke Rahe Ga.

12
Aur Joh Kaafir Hain Wo Mominoun Se Kehte Hain Ke Hamre Tareeq Ki Pairwi Karo. Ham Tumahre Gunnah Utha Lainge. Halanke Wo Un Ke Gunaahoun Ka Kuch Bhi Bojh Uthane Wale Nahi. Kuch Shak Nahi Ke Ye Jhoote Hain.

13
Aur Ye Apne Bojh Bhi Uthayen Ge Aur Apne Bojhoun Ke Sath Aur Lougon Ke Bojh Bhi. Aur Joh Bohtaan Ye Baandhte Rahe Qiamat Ke Din Un Ki Un Se Zaroor Purrsissh Hogi.

14
Aur Ham Ne Nooh A.S. Ko Un Ki Qoum Ki Taraf Bhaija Toh Wo Un Main Pachaas Baras Kam, Hazar Baras Rahe, Phir Un Ko Toofaan Ke Azaab Ne Aa Pakra.Aur Wo Zalim The.

15
Phir Ham Ne Nooh A.S. Ko Aur Kashti Waaloun Ko Nijaat Di Aur Kashti Ko Ehl-E-Aalam Ke Liye Nishaani Bana Dia.

16
Aur Ibrahim A.S. Ko Yaad Karo, Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Khuda Ki Ibadat Karo, Aur Us Se Daro, Agar Tum Samajh Rakhte Ho Toh Ye Tumahre Haq Main Behtar Hai.




17
Tum Toh Khdua Ko Chor Kar Buttoun Ko Poojte Aur Toofaan Baandhte Ho Toh Jin Lougon Ko Tum Khuda Ke Siwa Poojte Ho, Wo Tumko Rizq Dene Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhte,  Pas Khuda Hi Ke Haan Se Rizq Talab Karo Aur Ussi Ki Ibadat Karo Aur Ussi Ka Shukar Karo, Ussi Ki Taraf Tum Lout Kar Jao Ge.

18
Aur Agar Tum Meri Takzeeb Karo, Toh Tum Se Pehle Bhi Ummatain Apne Paigambaroun Ki Takzeeb Kar Chuki Hain. Aur Paigambar Ke Zimme Khol Kar Suna De Ne Ke Siwa Aur Kuch Nahi.

19
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Khuda Kis Tarha Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta Phir Kis Tarha Us Ko Baar Baar Paida Karta Rehta Hai. Ye Khuda Ko Aasan Hai.

20
Keh Do Ke Mulk Main Chalo Phiro Aur Daikho Ke, Us Ne Kis Tarha Khlaqat Ko Pehli Dafa Paida Kia Hai, Phir Khuda Hi Pichli Paidaaish Paida Kare Ga. Be Shak Khuda Har Cheez Par Qaadir Hai.

21
Wo Jisse Chahe Azaab De Aur Jis Par Chaahe Rehem Kare.Aur Ussi Ki Taraf Tum Loutaye Jaao Ge.

22
Aur Tum Us Ko Na Zameen Main Aajiz Kar Sakte Ho,  Na Asmaan Main Aur Na Khuda Ke Siwa Tumhara Koi Dost Hai Aur Na Madadgaar.

23
Aur Jin Lougon Ne Khuda Ki Aayatoun Se Aur Us Ke Milne Se Inkaar Kia Wo Meri Rehmat Se Na Umeed Ho Gaye Hain,  Aur Un Ko Dard Dene Wala Azaab Hoga.

24
Toh Un Ki Qoum Ke Loug Jawab Main Bole Toh Ye Bole Ke Isse Maar Daalo Ya jala Do. Magar Khuda Ne Unko Aag Ki Sozish Se Bacha Liya. Joh Loug Eemaan Rakhte Hain Un Ke Liye Is Main Nishaniyan Hain.





25
Aur Ibrahim A.S. Ne Kaha Ke Tum Joh Khuda Ko Chor Kar Buttoun Ko Le Baithe Ho Toh Dunia Ki Zindagi Main Baaham Dosti Ke Liye,  Magar Phir Qiamat Ke Din Aik Doosre Ki Dosti Se Inkar Kar Do Ge, Aur Aik Doosre Par Laanat Bhaijo Ge,  Aur Tumhara Thikana Dozakh Hoga Aur Koi Tumhara Madadgaar Na Hoga.

26
Pas Un Par Aik Loot A.S. Eemaan Laaye Aur Ibrahim A.S. Kehne Lage Ke Main Apne Parwardigar Ki Taraf Hijrat Karne Wala Hoon.Beshak Wo Ghaalib Hikmat Wala Hai.

27
Aur Ham Ne Us Ko Ishaaq A.S. Aur Yaqoob A.S. Bakhshe Aur Un Ki Aulaad Main Paigambari Aur Kitaaab Muqarrar Kar Di,  Aur Un Ko Dunia Main Bhi Un Ka Sila Inayat Kia Aur Wo Aakhrat Main Bhi Naik Lougon Main Hounge.

28
Aur Loot A.S. Ko Yaad Karo Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Ajaab Be Haayaee Ke Murtakib Hote Ho. Tum Se Pehle Ehl-E-Aalam Main Se Kisi Ne Aisa Kaam Nahi Kia.

29
Kia Tum Lazzat Ke Iraade Se Loundoun Ki Taraf  Maail Hote Aur Musaafiroun Ki Rahzani Karte Ho Aur Apni Majlisoun Main Na Pasandeeda Kaam Karte Ho. Toh Un Ki Qoum Ke Loug Jawab Main Bole Toh Ye Bole Ke Agar Tum Sache Ho Toh Ham Par Azaab Le Aao.

30
Loot A.S. Ne Kaha Ke Ae Mere Parwardigar In Muffsid Lougon Ke Muqaable Main Mujhe Nusrat Inaayat Farma.

31
Aur Jab Hamare Farishte Ibrahim A.S. Ke Paas Khusi Ki Khabar Le Kar Aaye Toh Kehne Lage Ke Ham Is Basti Ke Lougon Ko Halak Kar Dene Wale Hain Ke Yahan Ke Rehne Wale Nafarmaan Hain.

32
Ibrahim A.S. Ne Kaha Ke Is Main Toh Loot A.S. Bhi Hain. Wo Kehne Lage Ke Joh Loug Yahan Rehte Hain Hamain Sab Maaloom Hain. Ham Un Ko Aur Un Ke Ghar Walouon Ko Bacha Lain Ge,  Bajaz Un Ki Biwi Ko Wo Peeche Rehne Waloun Main Ho Gi.

33
Aur Jab Hamare Farishte Loot A.S. Ke Paas Aaye Toh Wo Un Ki Waja Se Na Khush Aur Tang Dil Hue. Faristoun Ne Kaha Kuch Khof Na Kijiye.Aur Na Ranj Kijiye, Ham Aap Ko Aur Aap Ke Ghar Waloun Ko Bacha Lainge, Magar Aap Ki Biwi, Ke Peeche Rehne Waloun Main Hogi.

34
Ham Is Basti Ke Rehne Waloun Par, Is Sabab Se, Ke Ye Badkirdaari Karte Rahe Hain Aasmaan Se Azaab Nazil Karne Wale Hain.

35
Aur Ham Ne Samajhne Wale Lougon Ke Liye Is Basti Se Aik Khuli Nishani Chor Di.

36
Aur Madan Ki Taraf Un Ke Bhai Shoaib A.S. Ko Bhaija, Toh Unhoun Ne Kaha Ae Qoum Khuda Ki Ibadat Karo Aur Pichle Din Ke Aane Ki Umeed Rakho Aur Mulk Main Fisaad Na Machaao.

37
Magar Unhoun Ne Unko Jhoota Samjha, So Un Ko Zalzale Ke Azaab Ne Aa Pakra Aur Wo Apne Gharoun Main Oundhe Pare Reh Gaye.

38
Aur Aad Aur Samood Ko Bhi Ham Ne Halak Kar Dia, Chunacha Un Ke Weeraan Ghar Tumhari Aankhoun Ke Saamne Hain Aur Shaitaan Ne Un Ke Aamal Un Ko Aaraasta Kar Dikhaye Aur Un Ko Seedhe Raaste Se Rouk Dia.Halaanke Wo Daikhne Wale Loug The.

39
Aur Qaaroon Aur Firown Aur Hamaan Ko Bhi Halaak Kar Dia Aur Un Ke Paas Mooosa A.S. Khuli Nishaniya Le Kar Aaye, Toh Wo Mulk Main Magroor Ho Gaye Aur Wo Hamare Qaaboo Se Nikal Jaane Wale Na The.

40
Toh Ham Ne Sab Ko Un Ke Gunahoun Ke Sabab Pakar Liya. So Un Main Kuch Toh Aise The Jin Par Ham Ne Patharoun Ka Meenh Barsaaya. Aur Kuch Aise The Jin Ko Chinghaar Ne Aa Pakra,  Aur Kuch Aise The Jin Ko Ham Ne Zameen Main Dhansa Dia. Aur Kuch Aise The Jin Ko Gharq Kar Dia Aur Khuda Aisa Na Tha Ke Un Par Zulm Karta Lekin Wohi Apne Aap Par Zulm Karte
The.


41
Jin Lougon Ne Khuda Ke Siwa Auroun Ko Kaar Saaz Bana Rakha Hai Un Ki Misaal  Makri(Spider) Ki Si Hai, Ke Wo Bhi Aik Tarha Ka Ghar Banati Hai. Aur Kuch Shak Nahi Ke Tamaam Gharoun Se Kamzor Makri Ka Ghar Hai Kaash Ye Is Baat Ko Jaante.

42
Ye Jis Cheez Ko Khuda Ke Siwa Pukaarte Hain, Khuah Wo Kuch Hi Ho Khuda Usse Jaanta Hai. Aur Wo Ghaalib Aur Hikmat Wala Hai.

43
Aur Ye Misaalain Ham Lougon Ke Samjhaane Ke Liye Bayan Karte Hain Aur Isse Toh Ehl-E-Daanish Hi Samajhte Hain.

44
Khuda Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Hikmat Ke Sath Paida Kia Hai. Kuch Shak Nahi Ke Eemaan Waloun Ke Liye Is Main Nishaani Hai.

45
Ae Muhammad S.A.W. Ye Kitaab Joh Tumhari Taraf Wahi Ki Gai Hai, Is Ko Parha Karo Aur Namaaz Ke Paaband Raho. Kuch Shak Nahi Ke Namaaz Be Hayayee Aur Buri Baatoun Se Rokti Hai. Aur Khuda Ka Zikar Bara Acha Kaam Hai. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Usse Jaanta Hai.

46
Aur Ehl-E-Kitaab Se Jhagra Na Karo, Magar Aise Tareeq Se Ke Nihayat Acha Ho. Haan Joh Un Main Se Be Insaafi Karain Un  Ke Sath Issi Tarha Mujaadla Karo Aur Keh Do Ke Joh Kitaab Ham Par Uttri Aur Joh Kitaabain Tum Par Utreen Ham Sab Pe Eemaan  Rakhte Hain Aur Hamara Tumahra Maabood Aik Hi Hai Aur Ham Ussi Ke Farmabardaar Hain.

47
Aur Ussi Tarha Ham Ne Tumhari Taraf Kitaab Utaari Hai. Toh Jin Lougon Ko Ham Ne Kitaabaain Di Theen Wo Is Par Eemaan Le Aate Hain Aur Baaz In Mushrik Lougon Main Se Bhi Is Par Emaan Le Aate Hain.Aur Hamari Aayatoun Se Wo Hi Inkaar Karte Hain Joh Kaafir-e-Azzli Hain.

48
Aur Tum Is Se Pehle Koi Kitaab Nahi Parhte The Aur Na Isse Apne Hath Se Likh Hi Sakte The, Aisa Hota Toh Ehle-E-Baatil Zaroor Shak Karte.


49
Balke Ye Roshan Aayatain Hain. Jin Lougon Ko Ilm Dia Gaya Hai Un Ke Seenoun Main Mehfooz Aur Hamari Aayatoun Se Wo Hi Loug Inkar Karte Hain Joh Be Insaaf Hain.

50
Aur Kaafir Kehte Hain Ke  Is Par Is Ke Parwardigar Ki Taraf Se Nishaaniyan Kion Nazil Nahi Houyee, Keh Do Ke Nishaaniyan Toh Khuda Hi Ke Paas Hain.Aur Main Toh Khullam Khulla Hidayat Karne Wala Hoon.

51
Kia Un Lougon Ke Liye Ye Kaafi Nahi Ke Ham Ne Tum Par Kitaab Nazil Ki Joh Unko Parh Kar Sunaaye Jati Hai. Kuch Shak Nahi Ke Momin Lougon Ke Liye Is Main Rehmat Aur Naseehat Hai.

52
Keh Do Ke Mere Aur Tumahre Darmayan Khuda Hi Gawaah Kaafi Hai, Joh Cheez Aasmaanoun Main Aur Zameen Main Hai, Wo Sab Ko Jaanta Hai.Aur Jin Lougon Ne Baatil Ko Maana Aur Khuda Se Inkaar Kia, Wo Hi Nuqsaan Uthaane Wale Hain.

53
Aur Ye Loug Tum Se Azaab Ke Liye Jaldi Kar Rahe Hain. Agar Aik Waqt-E-Muqarrar Na Ho Chukka Hota Toh Un Par Azab Aa Bhi Gaya Hota. Aur Wo Kisi Waqt Main Un Par Zaoor  Nagahaan Aa Kar Rahe Ga Aur Un Ko Maaloom Bhi Na Hoga.

54
Ye Tum Se Azaab Ke Liye Jaldi Kar Rahe Hain.Aur Dozakh Toh Kaafiroun Ko Ghair Lene Wali Hai.

55
Jis Din Azaab Un Ko Un Ke Oopar Se Aur Neeche Se Dhaank Le Ga Aur Khuda Farmaaye Ga Ke Joh Kaam Tum Kia Karte The Ab Un Ka Mazaah Chakho.

56
Ae Mere Bando, Joh Eemaan Laye Ho,  Meri Zameen Faraakh Hai, Toh Meri Hi Ibadat Karo.

57
Har  Muttnaffis Mout Ka Mazah Chakhne Wala Hai. Phir Tum Hamari Hi Taraf Lout Kar Aao Ge.
58
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rehe Un Ko Ham Behshat Ke Oonche Oonche Mehloun Main Jaga Dainge. Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain. Hamesha Un Main Rahain Ge. Naik Amal Karne Waloun Ka Ye Khoob Badla Hai.

59
Joh Sabar Karte Aur Apne Parwardigar Par Bharosa Rakhte Hain.

60
Aur Aur Bohot Se Jaanwar Hain Joh Apna Rizq Uthaaye Nahi Phirte, Khuda Hi Unko Rizqq Deta Hai Aur Tum Ko Bhi .Aur Wo Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.

61
Aur Agar Un Se Poocho Ke Aasmaanoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia Aur Sooraj Aur Chaand Ko Kis Ne Tumhare Zer-E-Farmaan Kia, Toh Keh Dainge Khuda Ne Toh Phir Ye Kahn Ulte Jaa Rahe Hain?

62
Khuda Hi Apne Bandoun Main Se Jis Ke Liye Chahata Hai Rozi Faraakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahta Hai Tang Kar Deta Hai Beshak Khuda Har Cheez Se Waaqif Hai.

63
Aur Agar Tum Un Se Poocho Ke Aasmaan Se Paani Kis Ne Barsaaya Phir us Se Zameen KouIs Ke Marne Ke Baad Kis Ne Zinda Kia Toh Keh Dainge Ke Khuda Ne. Keh Do Ke Khuda Ka Shukar Hai. Lekin Un Main Aksar Nahi Samajhte.

64
Aur Ye Dunia Ki Zindagi Toh Sirf Khail Aur Tamasha Hai Aur Hamesha Hi Zindagi Ka Maqaam Toh Aakhrat Ka Ghar Hai. Kaash Ye Loug Samaujhte.

65
Phir Jab Ye Kashti Main Sawaar Hote Hain Toh Khuda Ko Pukaarte Aur Khaalis Ussi Ki Ibadat Karte Hain,  Lekin. Jab  Wo Unko Nijaat De Kar Khushki Par Pohoncha Deta Hai Toh Jhat Shirk Karne Lag Jate Hian.

66
Taa-Ake Joh Ham Ne Un Ko Bakhsha Hai Us Ki Na Shukri Karain Aur Faaida Uthaaye. So Khair Anqareeb Unko Maaloom Ho Jaye Ga.

67
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Haram Ko Maqaam-E-Aman Banaya Hai Aur Loug Un Ke Girdd-O-Nawah Se Uchak Liye Jate Hain. Kia Ye Loug Baatil Par Aitqaad Rakhte Hain Aur Khuda Ki Naimatoun Ki Na Shukri Karte Hain.

68
Aur Us Se Zaalim Koun Joh Khuda Par Johoot Bohtaan Baandhe Ya Jab Haq Baat Us Ke Paas Aaye Toh Us Ki Takzeeb Kare. Kia Kaafiroun Ka Thikana Jahannum Main Nahi Hai?

69
Aur Jin Lougon Ne Hamare Liye Koshsih Ki Ham Un Ko Zaroor Apne Raste Dikha Dainge. Aur Khuda Toh Naiko Kaaroun Ke Sath Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!