Monday, 16 May 2016

003-Surah Al-Imraan-Aataat-01-100





Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan,Nihayat Rehem  Wala Hai.

1
Alif Laam Meem

2
Khuda Joh Mabood Barhaq Hai Us Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi Zinda Hamesha Rehne Wala.

3
Us Ne Ae Muhammad S.A.W. Tum Par Sachi Kitaab Nazil Ki Joh Pehli Aasmaani Kitabon Ki Tasdeeq Karti Hai Aur Ussi Ne Touraat Aur Injeel Nazil Ki.

4
Yaani Lougon Ki Hidayat Ke Liye Touraat Aur Injeel Utaari Aur Phir Quraan Joh Haq Aur Baatil Ko Alag Alag Kar Dene Wala Hai Nazil Kia Joh Loug Khuda Ki Aayaton Ka Inkaar Karte Hain Un Ko Sakht Azaab Hoga Aur Khuda Zabardast Aur Badla Lene Wala Hai.

5
Khuda Aisa Khabeer-O-Baseer Hai Ke Koi Cheez Us Se Poshida(Hidden) Nahi Na Zameen Main Aur Na Asmaan Main.

6
Wohi Toh Hai Joh Maan(Mother) Ke Pait Main Jaisi Chahta Hai Tumhari Soortain Banata Hai Aus Gaalib Hikmat(Wisdom) Waale Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi.

7
Wohi Toh Hai Jis Ne Tum Par Kitaab Naazil Ki Jis Ki Baaz Aayatain Mohkam(Clear) Hain Aur Wohi Asal Kitaab Hain Aur Baaz Mutshabiha(Difficult) Hain Toh Jin Lougon Ke Dilon Main Kajji Hai Woh Mutshabehat Ke Ittbaa(Follow) Karte Hain Taa-Aake Fitna Barpa Karain Aur Muraad-E-Asli Ka Pata Lagayen Halanke Muraad Asli(Reality) Khuda Ke Siwa Koi Nahi Jaanta Aur Joh Loug Ilm Main Dast  Gaah-E- Kamil(Firm Believe) Rakhte Hain Woh Yeh Kehte Hain Ke Ham In  Par Eemaan Laye Yeh Sab Hamare Parwardigaar Ki Taraf Se Hain Aur Naseehat(Advice) Toh Aqal Mand Hi Qabool Karte Hain.

8
Ae Parwardigaar Jab Tu Ne Hamain Hidayat Bakhshi Hai Toh Us Ke Baad Hamare Diloun Main Kajji Na Paida Kar Dijiyo Aur Hamain Apne Haan Se Naimat Ata Farma  Tu Toh Bara Ata Farmaane Wala Hai.

9
Ae Parwardigaar!Tu Us Roz Jis Ke Aane Main Kuch Bhi Shak Nahi Sab Lougon Ko Apne Huzoor Main Jama Kar Le Ga Be Shak Khuda Khilaaf-E-Waada Nahi Karta.

10
Joh Loug Kaafir Hue Us Din Na Toh Un Ka Maal Hi Khuda Ke Azaab Se Un Ko Bacha Sake Ga Aur Na Un Ki Aulaad Hi Kuch Kaam Aye Gi.Aur Yeh Loug Aatish-E-Jahannum Ka Eendhan(Fuel)Honge.

11
Un Ka Haal Bhi Firowniyo(Firown) Aur Run Se Pehele Lougon Ka Sa Hoga Jinhon Ne  Hamari Aayaton Ki Takzeeb(Deny) Ki Thi Toh Khuda Ne Un Ko Un Ke Gunaahon(Sinn) Ke Sabab(Because Of) Azaab Main Pakar Liya Tha Aur Khuda Sakht Azaab Karne Wala Hai.

12
Ae Paigambar Kaafiron Se Keh Do Ke Tum Dunia Main Bhi Anqreeb Maghloob Ho Jao  Ge Aur Aakhrat Main Jahaum Ki Taraf Haanke Jao Ge Aur Woh Buri Jagha Hai.

13
Tumhare Liye Do Gurohon(Groups) Main Joh Jang-E-Badar Ke Din Apas Main Bhirr Gaye Qudrat-E-Khuda Ki Azeem-U-Shan Nishani Thi Aur Aik Guroh(Group) Musalmanon(Muslims) Ka Tha Woh Khuda Ki Raah Main Lar Raha Tha Aur Doosra Guroh Kaaafiron Ka Tha Woh Un Ko Apni Aankhon Se Apne Se Dugna(Double) Mushahida(Observation) Kar Raha Tha Aur Khuda Apni Nusrat Se Jis Ko Chahata Hai Madad Daita Hai, Joh Ehl-E-Bisarat Hain Un Ke Liye Is Waqiye(Insident) Main Bari Ibrat Hai.

14
Lougon Ko Un Ki Khuahishon Ki Cheezain Yaani Aurtain Aur Baite(Son) Aur Sone Aur Chandi Ke Bare Bare Dhair Aur Nishaan Lage Hue Ghore(Horse)Aur Mawaishi Aur Khaiti, Bari Zeenat Daar Maloom Hoti Hain Magar Yeh Sab Dunia Hi Ki Zindagi Ke Saamaan Hain Aur Khuda Ke Paas Bohot Acha Thikana Hai.

15
Ae Paigambar Un Se Kaho Ke Bhala Main Tum Ko Aisi Cheez Bataoon Joh In Cheezon Se Kaheen Achi Ho Suno Joh Loug Parhaizgaar Hain Un Ke Liye Khuda Ke Haan Baghaat-E-Bahisht(Gardens) Hain Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain  Un Main Woh Hamesha Rahain Ge Aur Pakeeza Aurtain Hain Aur Sab Se Barh Kar Khuda Ki Khushnooodi(Will) Aur Khuda Apne Naik Bandon Ko Daikh Raha Hai.

16
Joh Khuda Se Iltija(Request)  Karte Hain Ke Ae Parwardigaar Ham Eemaan Le Aye So Ham Ko Hamare Gunnah Moaaf Farma Aur Dozakh Ke Azaab Se Mehfooz Rakh.

17
Yeh Woh Loug Hain Joh Mushkilaat Main Sabar Karte, Aur Sach Bolte Aur Ibadat Main Lage Rehte Aur Raah-E-Khuda Main Kharch Kate Aur Owqaat-E-Seher Main Gunahon Ki Moaafi Manga Karte Hain.

18
Khuda Toh Is Baat Ki Gawahi Deta Hai Ke Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi Aur Farishte Aur Ilm Waale Loug, Joh Insaaf Par Qaaim Hain Woh Bhi Gawahi Dete Hain Ke Us Gaalib Hikmat Wale Ke Siwa Koi Laaiq-E-Ibadat Nahi.

19
Deen Toh Khuda Ke Nazdeek Islam Hai Aur Ehl-E-Kitaab Ne, Joh Is Deen Se Ikhtilaaf Kia, Toh Ilm Haasil Hone Ke Baad Apas Ki Zidd Se Kia Aur Joh Shakhs Khuda Ki Aayaton Ko Na Maane Toh Khuda Jald Hisaab Lene Wala Aur Saza Dene Wala Hai.

20
Ae Paigambar Agar Yeh Loug Tum Se Jhagarne Lagain Toh Kehna Ke Main Aur Mere Pairvi Karne Wale Toh Khuda Ke Farmabardaar(Obedient) Ho Chuke Aur Ehl-E-Kitaab Aur An Parh(Uneducated) Lougon Se Kaho Ke Kia Tum Bhi Khuda Ke Farmanbardaar Bante Aur Islaam Laate Ho?Agar Yeh Loug Islaam Le Aayain Toh Be Shak Hidayat Paa Lain Aur Agar Tumhara Kaha Na Mane Toh Tumhara Kaam Sirf Khuda Ka Paighaam Pohoncha Dena Hai Aur Khuda Apne Bandon Ko Daikh Raha Hai.

21
Joh Loug Khuda Ki Aayaton Ko Nahi Maante Aur Anbiya Ko Nahaq Qatal Karte Rahe Hain Aur Joh Insaaf Ka Hukum Dete Hain Unhain Bhi Maar Daaalte Hain Un Ko Dukh Dene Wale Azaab Ki Khushkhabri  Suna Do.

22
Yeh Aise Loug Hain Jin Ke Aamaal Dunia Aur Aakhrat Dono Main Barbaad Hain Aur Un Ka Koi Madadgaar(Helper)  Nahi Hoga.

23
Bhala Tum Ne Un Lougon Ko Nahi Daikha Jin Ko Kitaab-E-Khuda Yaani Touraat Se Behra Dia Gaya Aur Woh Is Kitaab Allah Ki Taraf Bulaaye Jate Hain Taa-Ake Woh Un Ke Tanazaat Ka Un Main Faisla Kar De Toh Aik Fareek Un Main Se Kajj Adaayee Ke Sath Moon Phair Leta Hai.

24
Yeh Is Liye Ke Yeh Is Baat Ke Qaail (Believe)Hain Ke Dozakh Ki Aag Hamain Chand Roz Ke Siwa Choo Hi Nahi Sake Gi  Aur Joh Kuch Yeh Deen Ke Bare Main Bohtaan Baandhte Rahe Hain Us Ne In Ko Dhoke Main Daal Rakha Hai.

25
Toh Us Waqt Kia Haal Hoga Jab Ham Un Ko Jama Karen Ge Yaani Us Roz(Qiamat Ke Din) Jis Ke Aane Main Kuch Bhi Shak Nahi Aur Har Nafs Apne Aamaal Ka Poora Pora Badla Paye Ga Aur Un Par Zulm Nahi Kia Jaye Ga.

26
Kaho Ke Ae Khuda Ae Baadshahi Ke Malik Tu Jis Ko Chahe Baadshaahi Bakhshe Aur Jis Se Chaahe Baadshahi Cheen Le Aur Jis Ko Chaahe Izzat De Aur Jise Chahe Zaleel Kare, Har Tarha Ki Bhalayee Tere Hi Hath Hai Aur Be Shak Tu Har Cheez Par Qaadir Hai.

27
Tu Hi  Raat Ko Din Main Daakhil Karta Aur Tu Hi Din Ko Raat Main Daakhil Karta Hai Tu Hi Be Jaan  Se Jaandaar Paida Karta Hai Aur Tu Hi Jaandaar Se Be Jaan Paida Karta Hai Aur Tu Hi Jis Ko  Chahata Hai Be Shumaar Rizq Bakhashta Hai.

28
Momino Ko Chahiye Ke Momino Ke Siwa Kaafron Ko Dost Na Banaye Aur Joh Aisa Kare Ga Us Se Khuda Ka Kuch Ehed Nahi Haan Agar Us Tareeq Se Tum Un Ke Shar Se Bachne Ki Soorat Paida Karo Toh Muzaaiqa Nahi Aur Khuda Tum Ko Apne Gazab Se Darata Hai Aur Khuda Hi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar Jana Hai.
29
Ae Paigambar Lougon Se Keh Do Ke Koi Baat Tum Apne Diloun Main Makhfi(Hidden) Rakho Ya Usse Zaahir Karo Khuda Us Ko Jaanta Hai Aur Joh Kuch Aasmaano Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Us Ko Sab Ki Khabar Hai Aur Woh Har Cheez Par Qaadir Hai.
30
Jis Din Har Shakhs Apne Aamaal Ki Naiki Ko Mojood Paa Le Ga Aur Un Ki Barayee Ko Bhi Daikh Le Ga Toh Aarzoo Kare Ga Ke Ae Kaash Is Ain Aur Us Buraiee Main Door Ki Musafat Ho Jati Aur Khuda Tum Ko Apne Gazab Se Darata Hai Aur Khuda Apne Bandon Par Nihayat Meherbaan Hai.

31
Ae Paigambar Lougon Se Keh Do Ke Agar Tum Khuda Ko Dost Rakhte Ho Toh Meri Pairvi Karo Khuda Bhi Tumhain Dost Rakhe Ga Aur Tumhare Gunnah Moaaf Kar De Ga Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
32

Keh Do Ke Khuda Aur Us Ke Rasool Ka Hukum Maano Agar Na Maanain Toh Khuda Bhi Kaafiron Ko Dost Nahi Rakhta.
33
Khuda Ne Adam Aur Nooh Aur Khaandan-E-Ibraheem Aur Khaandaan-E-Imraan Ko Tamaam Jahan Ke Lougon Main Muntakhib(Select) Farmaya Tha.

34
Un Main Se Baaz Baaz Ki Aulaad The Aur Khuda Sunn-Ne Wala Aur Jaan-Ne Wala Hai.

35
Woh Waqt Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Imraan Ki Bivi Ne Kaha Ke Ae Parwardigaar Joh Bacha Mere Pait Main Hai Main Us Ko Teri Nazar Karti Hon Usse Dunia Ke Kamon Se Azaad Rakhoongi  Tu Usse Meri Taraf Se Qabool Farma Tu Toh  Sunn-Ne Wala Aur Jann-Ne Wala Hai.


36
Jab Un Ke Haan Bacha Paida Hua Aur Joh Kuch Un Ke Haan Paida Hua Tha Khuda Ko Khoob Maloom Tha, Toh Kehne Lageen Ke Parwardigaar! Mere Toh Larki Hui Hai Aur Nazar Ke Liye Larka Mozoon(Suitable) Tha Ke Woh Larki Ki Tarha Natawaa Nahi Hota Aur Main Ne  Is  Ka Naam Maryam Rakha Hai Aur Main Is Ko Aur Is Ki Aulaad Ko Shaitaan Mardood Se Teri Panaah Main Deti Hoon.

37
Toh Parwardigaar Ne Us Ko Pasandeedgi Ke Sath Qabool Farmaya Aur Usse Achi Tarha Parwarish Kia Aur Zakaria Ko Us Ka Mutkafil Banaya  Zakria Jab Kabhi Ibadat Gaah Main Us Ke Paas Jaate Toh Us Ke Paas Khana Paate Yeh Kaifiyat Daikh Kar Aik Din Maryam Se Poochne Lage Ke Maryam Yeh Khaana Tumhare Paas Kahan Se Aata Haii Woh Boleen Khuda Ke Haan Se Aata Ahi Beshak Khuda Jisse Chahata Hai Be Shumaar Rizq Deta Hai.

38
Us Waqt Zakria Ne Apne Parwardigaar Se Dua Ki Aur Kaha Ke Parwardigaar Mujhe Apni Janaab Se Aulad Saaleh Ata Farma Tu Be Shak Dua Sunn-Nwwala Aur Qabool Karne Wala Hai.

39
Woh Abhi Ibadat Gaah Main Khare Namaaz Hi Parh Rahe The Ke Farishtoun Ne Awaaz Di Ke Zakria Khuda Tumhain Yahiya Ke Basharat Deta Hai Joh Khuda Ke Faiz Yaani Eesa Ki Tasdeeq Karain Ge Aur Sardaar Honge Aur Aurton Se Raghbat Na Rakhne Wale Aur Khuda Ke Paigambar Yaani Naiko Kaaron Main Honge.

40
Zakria Ne Kaha Ae Parwardigaar Mere Haan Larka Kiyon Kar Paida Hoga Ke Main Toh Budha Ho Gaya Hoon Aur Meri Biwi Baanjh Hai Khuda Ne Farmaya Isi Tarha Khuda Joh Chahata Hai Karta Hai.

41
Zakria Ne Kaha Ke Parwardigaar Mere Liye Koi Nishaani Muqarrar Farma Khuda Ne Farmaya Nishani Yeh Hai Ke Tum Lougon Se Teen Din Ishaate Ke Siwa Baat Na Kar Sako Ge Toh In Din On Main Apne Parwardigaar Ki Kasrat Se Yaad Aur Subh-O-Sham Us Ki Tasbeeh Karna.



42
Aur Jab Farishton Ne Maryam Se Kaha Ke Maryam! Khuda Ne Tum Ko Barguzeeda Kia Hai Aur Paak Banaya Hai Aur Jahaan Ki Aurton Main Muntakhib(Select) Kia Hia.

43
Maryam! Apne Parwardigar Ki Farmanbardari Karna Aur Sajda Karna Aur Rukoo Karne Walon Ke Sath Rukoo Karna.

44
Ae Muhammad S.A.W. Yeh Baatain Akhbaar-E-Gaib Main Se Hain Joh Ham Tumhare Pas Bhaijte Hain Aur Jab Woh Loug Apne Qalam Bator-E-Quraa Daal Rahe The, Ke Maryam Ka Mutkafill Koun Bane Toh Tum Un Ke Paas Nahi The Aur Na Us Waqt Hi Un Ke Paas The Jab Woh Apas Main Jhagar Rahe The.

45
Woh Waqt Bhi Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Farishton Ne Maryam Se Kaha Ke Maryam Khuda Tum Ko Apni Taraf Se Aik Faiz Ki Bisharat Deta Hai Jis Ka Naam Maseeh Aur Mashoor Eesaa  Ibn-E-Maryam Hoga Aur Joh Dunia Aur Aakhrat Main Ba Aabroo(Respectable) Aur Khuda Ke Khaason(Special) Main Se Hoga.

46
Aur Maan Ki Goud (Lap) Main Aur Bari Umar Ka Ho Kar  Dono Halaton Main Lougon Se Yaksaan Guftugo Kare Ga Aur Naiko Kaaron Main Hoga.

47
Maryam Ne Kaha Parwardigaar Mere Haan Bacha Kiyonkar Hoga Ke Kisi Insaan Ne Mujhe Hath Tak Na Lagaya Nahi, Farmaya Ke Khuda Issi Tarha Joh Chahata Hai Paida Karta Hai, Jab Woh Koi Kaam Karna Chahat Hai Toh Irshaad Farma Deta Hai Ke Ho Ja, Toh Woh Ho Jata Hai.

48
Aur Woh Unhain Likhna Parhna Aur Danaayee Aur Touraat Aur Injeel Sikhaye Ga.





49
Aur Eesaa Bani Israeel Ki Taraf Paigambar Ho Kar Jaayen Ge Aur Kahain Ge Ke Main Tumhare Paas Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Nishani Le Kar Aaya Hoon , Woh Yeh Ke Tumhare Saamne Matti(Mud) Ki  Moorat Bashakal Parinda Banata Hoon Phir Us Main Phoonk Marta Hoon, Toh Woh Khuda Ke Hukum Se Sach Much Janwar Ho Jata Hai Aur Andhe Aur Abras Ko Tandurust Kar Deta Hoon Aur Khuda Ke Hukum Se Murde Main Jaan Daal Deta Hoon Aur Joh Kuch Tum Kha Kar Aate Ho Aur Joh Apne Gharon Main Jama Kar Rakhte Ho Sab Tum Ko Bata Deta Hon Agar Tum Saahib-E-Eemaan Ho Toh In Baton Main Tumhare Liye Qudrat-E-Khuda Ki Nishani Hai.

50
Aur Mujhe Se Pehle Joh Touraat Nazil Hui Thi Us Ki Tasdeeq Bhi Karta Hon Aur Main Is Liye Bhi Aaya Hon Ke Baaz Cheezain Joh Tum Par Haraam Theen Un Ko Tumhare Liye Halaal Kar Doon Aur Main Toh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Nishani Le Kar Aaya Hoon Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Mano.

51
Kuch Shak Nahi Ke Khuda Hi Mera Aur Tumhara Parwardigaar Hai, Toh Usi Ki Ibadat Karo Yeh Hi Seedha Rasta Hai.

52
Jab Eesa Ne Un Ki Taraf Se Nafarmani Aur Niyat-E-Qatal Daikhi Toh Kehne Lage Ke Koi Hai Joh Khuda Ka Taraf Daaar Aur Mera Madadgaar Ho, Hawaari Bole Ke Ham Khuda Ke Tarf Daar Aur Aap Ke Madadgaar Hain, Ham Khuda Par Eemaan Laye Aur Ap Gawah Rahain Ke Ham Farmanbardaar Hain.

53
Ae Parwardigaar Joh Kitaab Tu Ne Nazil Farmayee Hai Ham Us Par Eemaan Le Aye Aur Tere Paigambar Ke Mutbaa(Obedient) Ho Chuke Tu Ham Ko Maan-Ne Waloun Main Likh Rakh.

54
Aur Woh Yaani Yahood Qatal-E-Eesa Ke Bare Main Aik Chaal Chale Aur Khuda Bhi Eesa Ko Bachane Ke Liye Chaal Chala Aur Khuda Koob Chaal Chalne Wala Hai.




55
Us Waqt Khuda Ne Farmaya Ke Eesaa! Main Tumhari Dunia Main Rehne Ki Muddat(Time)Poori Kar Ke Tum Ko Apni Taraf Utha Loon Ga Aur Tumhain Kafiron Ki Sohbat Se Paak Kar Doon Ga Aur Joh Loug Tumhari Pairwi(Follow) Karen Ge Un Ko Kaafiron Par Qiamat Tak Faiq-O-Gaalib Rakhoon Ga Phir Tum Sab Mere Paas Lout Kar Aao Ge Toh Jin Baton Main Tum Ikhtilaaf Karte The Us Din Tum Main Un Ka Faisla  Kar Doonga.

56
Yaani Joh  Kafir Hue Un Ko Dunia Aur Aakhrat Dono Main Sakht Azaab Doonga Aur Un Ka Koi Madadgaar Na Hoga.

57
Aur Joh Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe Un Ko Khuda Poora Poora Sila De Ga Aur Khuda Zalimon Ko Dost Nahi Rakhta.

58
Ae Muhammad S.A.W. Yeh Ham Tum Ko Khuda Ki Aayatain Aur Hikmat Bhari Nasehatain Parh Parh Kar Sunate Hain.

59
Eesa Ka Haal Khuda Ke Nazdeek Adam Ka Sa Hai Ke Us Ne Pehle Matti(Mud) Se Un Ka Qaalib(Heart) Banaya Phir Farmaya Ke  Insaan Ho Ja, Toh Woh Insaan Ho Gaye.

60
Yeh  Baat Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai Toh Tum Har Gizz Shak Karne Walon Main Na Hona.

61
Phir Agar Yeh Loug Eesa Ke Baare Main Tum Se Jhagra Karen Aur Tum Ko Haqeeqat-Ul-Haal Toh Maloom Ho Hi Chali Hai Toh Un Se Kehna Ke Aao Ham Apne Baiton Aur Aurton Ko Bulaayen Aur Tum Apne Baiton Aur Aruton Ko Bulaao Aur Ham Khud Bhi Aayen Aur Tum Khud Bhi Aao Phir Dono Fareeq Khuda Se Dua-O-Iltija Karen Aur Jhooton(Liar) Par Khuda Ki Laanat Bhaijen.

62
Yeh Tamaam Bayanaat Sahee(True) Hain Aur Khuda Ke Siwa Koi Mabood Nahi Aur Beshak Khuda Gaalib Aur Sahib-E-Hikmat Hai.


63
Toh Agar Yeh Loug Phir Jaayen Toh Khuda Mufsidoun Ko Khoob Jaanta Hai.

64
Keh Do Ke Ae Ahl-E-Kitaab Joh Baat Hamare Aur Tumhare Dono Ke Darmiyaan Yaksaan(Same)  Tasleem(Accepted) Ki Gai Hai Us Ki Taaraf Aao, Woh Yeh Ke Khuda Ke Siwa Ham Kisi Ki Ibadat Na Karen Aur Us Ke Sath Kisi Cheez Ko Shareek Na Banayen Aur Ham Main Koi Kisi Ko Khuda Ke Siwa Apna Kaar Saaz Na Samjhe, Agar Yeh Loug Is Baat Ko Na Maane Toh Un Se Keh Do Ke Tum Gawah Raho Ke Ham Khuda Ke Farma Bardaar Hain.

65
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Ibraaheem Ke Bare Main Kion Jhagarte Ho Halaanke Touraat Aur Injeel Un Ke Baad Utri Hain Aur Woh Pehle Ho Chuke, Toh Kia Tum Aqal Nahi Rakhte.

66
Daikho Aisi Baat Main Toh Tum Ne Jhagra Kia Hi Tha Jis Ka Tumhain Kuch Ilm Tha Bhi, Magar Aisi Baat Main Kion Jhagarte Ho Jis Ka Tumhain Kuch Bhi Ilm Nahi, Aur Khuda Janta Hai Aur Tum Nahi Jaante.

67
Ibrahim Na Toh Yahoodi The Aur Na Eesaaye Balke Sab Se Be Talluq Ho Kar Aik Khuda Ke Ho Rahe The, Aur Usi Ke Farmabardaar The Aur Mushrikon Main Na The.

68
Ibrahim Se Qurb Rakhne Wale Toh Woh Loug Hain Joh Un Ki Pairwi Karte Hain, Aur Yeh Paigambar Aakhir-Uz-Zamaan(Last Messenger) Aur Woh Loug Joh Eemaan Laye Hain, Aur Khuda Mominon Ka Kaarsaaz Hai.

69
Ae Ehl-E-Islaam Baaz Ehl-E-Kitaab Is Baat Ki Khuahish Rakhte Hain Ke Tum Ko Gumrah Kar Dain Magar Yeh Tum Ko Kia Gumrah Karen Ge Apne Aap Ko Hi Gumrah Kar Rahe Hain, Aur Nahi Jaante.

70
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Khuda Ki Aayaton Se Kion Inkaar Karte Ho Aur Tum Touraat Ko Maante Toh Ho.



71
Ae Ehl-E-Kitaab Tum Sach Ko Jhoot Ke Sath Ghalalt Malt Kion Karte Ho Aur Haq Ko Kion Chupate Ho Aur Tum Jaante Bhi Ho.

72
Aur Ehl-E-Kitaab Ap Ik Doosre Se Kehte Hain Ke Joh Kitaab Mominon Par Naazil Hui Hai, Us Par Din Ke Shroo Main Toh Eemaan Le Aaya Karo Aur Us Ke Aakhir Main Inkaar Kar Dia Karo, Taa-Ake Woh Islam Se Bargashta(Gaafil)Ho Jayen.

73
Aur Apne Deen Ke Pairo Kaar Ke Siwa Kisi Aur Ke Qaail Na Hona, Ae Paigambar Keh Do, Ke Hidayat Toh Khuda Hi Ki Hidayat Hai Woh Yeh Bhi Kehte Hain, Yeh Bhi Na Maan-Na Ke Joh Cheez Tum Ko Mili Hai Waisi Kisi Aur Ko Mile Gi, Ya Woh Tumhain Khuda Ke Ru Baro Qaail Maqool Kar Sakain Ge, Yeh Bhi Keh Do Ke Buzurgi Khuda Hi Ke Hath Main Hai Who Jisse Chahata Hai Deta Hai, Aur Khuda Kushaaish Wala Aur Ilm Wala Hai.

74
Woh Apni Rehmat Se Jis Ko Chahata Hai Khaas Kar Leta Hai Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.

75
Aur Ehl-E-Kitaab Main Se Koi Toh Aisa Hai Ke, Agar Tum Us Ke Paas Rupee(Rs.) Ka Dhair Amanat Rakh Do, Toh Tum Ko Foran Wapas De De, Aur Koi Is Tarha Ka Hai Ke Agar Us Ke Paas Aik Deenaar Bhi Amanat Rakho, Toh Jab Tak Us Ke Sar Par Har Waqt Khare Na Raho Tumhain De Hi Nahi, Yeh Is Liye Ke Woh Kehte  Hain Ke Ummiyo Ke Bare Main Ham Se Mawakhaza Nahi Hoga Yeh Khuda Par Mehez Jhoot Bolte  Hain Aur Is 
Baat Ko Jaante Bhi Hain.


76
Haan Joh Shakhs Apne Iqraar Ko Poora Kare Aur Khud Se Dare Toh Khuda Darne Walon Ko Dost Rakhta Hai.

77
Joh Loug Khuda Ke Iqraaron Aur Apni Qasmon Ko Baich Daalte Hain Aur Un Ke Iwz(Inreturn) Thori Si Qeemat Hasil Karte Hain, Un Ka Aakhrat Main Kuch Hissa Nahi Un Se Khuda Na Toh Kalaam Kare Ga Aur Na Qiamat Ke Roz Un Ki Taraf Daikhe Ga Aur Na Un Ko Paak Kare Ga Aur Un Ko Dukh Dene Wala Azaab Hoga.
78
Aur Un Ehl-E-Kitaab Main Baaz Aise Hain, Ke Kitaab-E-Touraat Ko Zabaan Maror Maror Kar Parhte Hain Taa-Ake Tum Samjho Ke Joh Kuch Woh Parhte Hain Kitaab Main Se Hai, Halaanke Woh Kitaab Main Se Nahi Hota Aur Kehte Hain Ke Woh Khuda Ki Taraf Se Naazil Hua Hai, Halaanke Woh Khuda Ki Taraf Se Nahi Hota, Aur Khuda Par Jhoot Bolte Hain Aur Yeh Baat Jaante Bhi Hain.

79
Kisi Aadmi Ko Shaayan(Suitable) Nahi Ke Khuda Toh Use Kitaab Aur Hukumat Aur Nabuwat Ata Farmaye, Aur Woh Lougon Se Kahe Ke Khuda Ko Chor Kar Mere Bande Ho Jao, Balke Us Ko Yeh Kehna Sazawaar Hai, Ke Ae Ehl-E-Kitaab Tum Ullmaa-E-Rabbani Ho Jao Kion Ke Tum Kitaab-E-Khuda Parhte Parhate Rehte Ho.

80
Aur Us Ko Yeh Bhi Nahi Kehna Chahiye Ke Tum Farishtoun(Angels) Aur Paigambaron(Messengers)  Ko Khuda Bana Lo Bhala Jab Tum Muslamaan Ho Chuke, Toh Kia Use Zaiba(Suitable)  Hai Ke Tumhain Kaafir Hone Ko Kahe.

81
Aur Jab Khuda Ne Paigambaron  Se Ehed(Promise) Lia Ke Jab Main Tum Ko Kitaab Aur Daanayee Ata Karoon, Phir Tumhare Paas Koi Paigambar Aaye Joh Tumharei Kitaab Ki Tasdeeq Kare, Toh Tumhain Zaroor Us Par Eemaan Lana Hoga Aur Zaroor Us Ki Madad(Help) Karni Hogi, Aur Ehed(Promise)  Lene Ke Baad Poocha Ke Bhala Tum Ne Iqraar Kia, Aur Us Iqraar Par Mera Zimma(Responcibility) Liya? Yaani Mujhe Zaamin (Witness) Tehraya, Unhon Ne Kaha Haan Ham Ne Iqraar Kia Khuda Ne Farmaya  Ke Tum Is Ehd-O-Paimaan Ke Gawah Raho Aur Main Bhi Tumhare Sath Gawah Hoon.

82
Toh Joh Us Ke Baad Phir Jaayen, Woh Badkirdaar (Bad Character) Hain.

83
Kia Yeh Kaafir Khuda Ke Deen Ke Siwa Kisi Aur Deen Ke Taalib Hain, Halaanke Sab Ehl-E-Aasmaan-O-Zameen Khushi Ya Zabardasti Se Khuda Ke Farmaan Bardaar Hain Aur Usi Ki Taraf Lout Kar Jane Wale Hain.



84
Kaho Ke Ham Khuda Par Eemaan Laye Aur Joh Kitaab Ham Par Naazil Hui Aur Joh Saheefe Ibrahim Aur Ismail Aur Ishaaq Aur Yaqoob Aur Un Ki Aulad Par Utre Aur Jooh Kitaabain Moosa Aur Eesa Aur Doosre Ambia Ko Parwardigaar Ki Taraf Se Milee Sab Par Eemaan Laye Ham Un Paigambaron Main Se Kisi Main Kuch Farq Nahi Karte Aur Ham Usi Khudaa-E-Wahid Ke Farmabardaar Hain.

85
Aur Joh Shakhs Islam Ke Siwa Kisi Aur Deen Ka Talib Hoga, Woh Us Se Har Gizz Qubool Nahi Kia Jaye Ga, Aur Aisa Shakhs Aakhrat Main Nuqsaan Uthane Waloun Main Hoga.

86
Khuda Aise Lougon Ko Kiyon Kar Hidayat De Joh Eemaan Laane Ke Baad Kaafir Ho Gaye Aur Pehle Is Baat Ki Gawahi De Chuke, Ke Yeh Paigambar Barhaq Hai Aur Un Ke Paas Dalaail Bhi Aa Gaye, Aur Khuda Be Insaafon Ko Hidayat Nahi Deta.

87
Un Lougon Ki Saza Yeh Hai Ke Un Par Khuda Ki, Aur Farishton Ki, Aur Insaanon Ki, Sab Ki Laanat Ho.

88
Hamesha Is Laanat Main Giriftaar Rahain Ge, Un Se Na Toh Azaab Halka Kia Jaye Ga, Aur Na Unhain Mohlat Di Jaye Gi.

89
Haan, Jinhon Ne Us Ke Baad Touba Ki Aur Api Halat Durust Kar Li Toh Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

90
Joh Loug Eeman Laane Ke Baad Kaafir Ho Gaye Phir Kufur Main Barhte Gaye, Aison Ki Touba Har Gizz Qabool Nahi Hogi Aur Yeh Loug Gumrah Hain.

91
Joh Loug Kaafir Hue, Aur Kufur Hi Ki Halat Main Mar Gaye, Woh Agar Nijaat Hasil Karni Chahain, Aur Badle Main Zameen Bhar Kar Sona Dain, Toh Hargizz Qabool Na Kia Jaye Ga, Un Lougon Ko Dukh Dene Wala Azaab Hoga Aur Un Ki Koi Madad Nahi Kare Ga.


92
Momino! Jab Tak Tum Un Cheezon Main Se, Joh Tumhain Azeez Hain, Raah-E-Khuda Main Sarf Na Karo Ge Kabhi Naiki Hasil Na Kar Sako Ge Aur Joh Cheez Tum Sarf Karo Ge Khuda Us Ko Jaanta Hai.

93
Bani Israail Ke Liye Touraat Ke Nazil Hone Se Pehle, Khaane Ki Tamaam Cheezain Halaal Theen, Bajuz Un Ke Joh Yaqoob Ne Khud Apne Oopar Haraam Kar Li Theen, Keh Do Ke Agar Sache Ho Toh Touraat Laao Aur Use Parho Yaani Daleel Paish Karo.

94
Joh Is Ke Baad Bhi Khuda Par Jhoote Iftara Karen, Toh Aise Loug Hi Be Insaaf Hain.

95
Keh Do Ke Khuda Ne Sach Farma Dia Pas Deen-E-Ibrahim Ki Pairwi Karo Joh Sab Se Be Talluq Ho Kar Aik Khuda Ke Ho Rahe The Aur Mushrikon Se Na The.

96
Pehla Ghar, Joh Lougon Ke Ibadat Karne Ke Liye Muqarar Kia Gaya Tha Woh Hi Hai Joh Makke Main Hai, Babarkat Aur Jahaan  Ke Liy Moojib-E-Hidayat.(Way Of Hidayat)

97
Is Main Khuli Hui Nishaniyan Hain, Jin Main Se Aik Ibrahim Ke Khare Hone Ki Jagha Hai Joh Shakhs Is Mubarak Ghar Main Daakhil Hua Us Ne Aman Paa Liya, Aur Lougon Par Khuda Ka Haq Yaani Farz Hai Ke Joh Us Ghar Tak Jaane Ka Maqdoor Rakhe Woh Is Ka Haj Kare Aur Joh Is Hukum Ki Taamaeel Na Kare Ga, Toh Khuda Bhi Ehl-E-Alam Se Be Niyaaz Hai.

98
Kaho! Ke Ae Ehl-E-Kitaab! Tum Khuda Ki Aayaton Se Kion Kufur Karte Ho, Aur Khuda Tumhare Sab Amaal Se Ba Khabar Hai.

99
Kaho Ke Ae Ehl-E-Kitaab Tum Mominon Ko Khuda Ke Rashte Se Kiyon Rokte Ho, Aur Bawajood Yeh Ke, Tum Is Se Waaqif Ho, Is Main Kajji(Fault) Nikalte Ho Aur Khuda Tumhare Kaamon Se Be Khabar Nahi.

100
Momino! Agar Tum Ehl-E-Kitaab Ke Kisi Bhi Fareeq (Member) Ka Kaha Maan Lo Ge, Toh Woh Tumhain Eemaan Lane Ke Baad Kaafir Bana Dain Ge.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!