Soorah-E-Al-Muminun
Aayaat-118
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Be Shak Eemaan Wale
Raastgaar Ho Gaye.
2
Joh Namaaz Main Ijz-O-Niyaaz
Karte Hain.
3
Aur Joh Behooda
Baatoun Se Moonh More Rehte Hain.
4
Aur Joh Zakaat Ada Karte Hain.
5
Aur Joh Apni
Sharamgaahoun Ki Hifazat Karte Hain.
6
Magar Apni Biwiyon Se
Ya Kaneezoun Se, Joh In Ki Milkiyat Hoti Hain, Ke Un Se Mubbashrat Karne Se
Inhain Malamat Nahi.
7
Aur Joh In Ke Siwa
Auron Ke Taalib Houn Wo Khuda Ki Muqarrar Ki Hui Had Se Nikal Jaane Wale Hain.
8
Aur Joh Aamanatoun Aur
Iqraaroun Ko Malhooz Rakhte Hain.
9
Aur Joh Namaazoun Ki
Paabandi Karte Hain.
10
Ye Hi Loug Meeraas
Hasil Karne Wale Hain.
11
Yaani Joh Behshat Ki
Meeraas Hasil Karain Ge. Aur Us Main Hamehsha Rahain Ge.
12
Aur Ham Ne Insaan Ko
Matti Ke Khulase Se Paida Kia Hai.
13
Phir Us Ko Aik Mazboot
Aur Mehfooz Jaga Main Nutfa Bana Kar Rakha.
14
Phir Nutfe Ka Lothra
Banaya. Phir Lothre Ki Boti Banai Phir Boti Ki Haddiyan Banayee, Phir Haddiyoun Par Gosht Post Charhaya. Phir
Us Ko Nai Soorat Main Bana Dia. Toh Khuda Joh Sab Se Behtar Banane Wala Bara Ba
Barkat Hai.
15
Phir Us Ke Baad Tum
Mar Jate Ho.
16
Phir Qiamat Ke Din
Utha Khare Kiye Jao Ge.
17
Aur Ham Ne Tumhare
Oopar Ki Jaanib Saat(7) Aasmaan Paida Kiye. Aur Ham Khalqat(Makhlooq) Se Gaafil
Nahi Hain.
18
Aur Ham Hi Ne Aasmaan
Se Aik Andaaze Ke Sath Paani Nazil Kia. Phir Us Ko Zameen Main Thehra Dia Aur
Ham Us Ke Nabood Kar Dene Par Bhi Qaadir Hain.
19
Phir Ham Ne Us Se
Tumhare Liye Khajooroun Aur Angooroun Ke Bagh(Garden) Banaye, Un Main Tumhare
Liye Bohot Se Maiwe Paida Hote Hain. Aur Un Main Se Tum Khaate Ho.
20
Aur Wo Darakht (Tree)
Bhi Ham Hi Ne Paida Kia Joh Toor-E-Seena Main Paida Hota Hai, Yaani Ziatoon Ka
Darakhat Ke Khaane Ke Liye Roghan Aur
Saalan Liye Hue Ugta Hai.
21
Aur Tumhare Liye Chaar
Paaiyoun Main Bhi Ibrat Aur Nishani Hai Ke,
Joh Un Ke Paitoun Main Hai, Us Se Ham Tumhain Doodh Pilaate Hain Aur
Tumhare Liye Un Main Aur Bhi Bohot Se Faaide(Benefits) Hain Aur Baaz Ko Tum
Khaate Bhi Ho.
22
Aur Un Par Aur
Kashtiyoun Par Tum Sawaar Hote Ho.
23
Aur Ham Ne Nooh Ko Un
Ki Qoum Ki Taraf Bhaija Toh Unhoun Ne Un Se Kaha Ke Ae Qoum! Khuda Hi Ki Ibadat
Karo, Us Ke Siwa Tumhara Koi Maabood Nahi, Kia Tum Darte Nahi.
24
Toh Un Ki Qoum Ke
Sardaar Joh Kaafir The Kehne Lage Ke Ye Toh Tum Hi Jaisa Aadmi Hai. Tum Par
Barai Hasil Karna Chahta Hai. Aur Agar Khuda Chahta Toh Farishte Utaar Deta. Ham
Ne Apne Agle Baap Dada Main Toh Ye Baat Kabhi Suni Nahi.
25
Is Aadmi Ko Toh Deewangi
Ka Aarza(Bimari) Hai Toh Is Ke Bare Main Kuch Muddat Intizar Karo.
26
Nooh Ne Kaha Ke
Parwardigar Unhoun Ne Mujhe Jhutlaya Hai Tu Meri Madad Kar.
27
Pas Ham Ne Un Ki Taraf
Wahi Bhaiji Ke Hamare Saamne Aur Hamare Hukum Se Kashti Banao. Phir Jab Hamaara
Hukum Aa Pohonche Aur Tanoor Paani Se Bhar Kar Josh Maarne Lage, Toh Sab Qisam
Ke Haiwaanat Main Se Jora Jora Yaani Nar Aur Maada Do Do Kashti Main Bitha Lo,
Aur Apne Ghar Waloun Ko Bhi, Siwa Un Ke Jin Ki Nisbat In Main Se Halaak Hone Ka
Hukum Pehle Sadir Ho Chukka Hai. Aur Zalimoun Ke Bare Main Ham Se Kuch Na Kehna,
Wo Zaroor Dibo Diye Jaaye Ge.
28
Aur Jab Tum Aur
Tumhare Saathi Kashti Main Baith Jaao Toh Khuda Ka Shukar Karna Aur Kehna Ke
Sab Taareef Khuda Hi Ki Sawazwaar Hai. Jis Ne Ham Ko Zaalim Logon Se Nijaat
Bakhshi.
29
Aur Ye Bhi Dua Karna
Ke Ae Parwardigar, Ham Ko Mubarak Jaga
Utaariyo Aur Tu Sab Se Behtar Utaarne Wala Hai.
30
Be Shak Is Qisse Main
Nishaaniyan Hain Aur Hamain Toh Aazmaaish Karni Thi.
31
Phir Un Ke Baad Ham Ne
Aik Aur Jamaat Paida Ki.
32
Aur Un Hi Main Se Un
Main Aik Paigambar Bhaija Jis Ne In Se Kaha Ke Khuda Hi Ki Ibadat Karo Ke Us Ke
Siwa Tumara Koi Maabood Nahi,Toh Kia Tum Darte Nahi.
33
Toh Un Ki Qoum Ke
Sardar Joh Kaafir The Aur Aakhrat Ke Aane Ko Jhoot Samajhte The Aur Dunia Ki
Zindagi Main Ham Ne Un Ko Aasoodgi De Rakhi Thi. Kehne Lage. Ke Ye Toh Tumhi
Jaisa Aadmi Hai, Jis Qisam Ka Khana Tum Khate Ho, Ussi Tarha Ka Ye Bhi Khata
Hai Aur Joh Paani Tum Peete Ho Ussi Qisam Ka Ye Bhi Peeta Hai.
34
Aur Agar Tum Ne Apne Hi
Jaise Aadmi Ka Kaha Maan Liya Toh Ghaate Main Par Gaye.
35
Kia Ye Tum Se, Ye
Kehta Hai Ke Tum Jab Mar Jaao Ge Aur Matti Ho Jao Ge Aur Istakhwaan Ke Siwa
Kuch Na Rahe Ga Toh Tum Zameen Se Nikaale Jao Ge.
36
Jis Bat Ka Tum Se Wada
Kia Jata Hai Bohot Baeed Aur Bohto Baeed(Yaqeeni) Hai.
37
Zindagi Toh Ye Hi
Hamri Dunia Ki Zindagi Hai, Ke Issi Main Ham Marte Aur Jeete Hain, Aur Ham Phir
Nahi Uthaye Jaayege.
38
Ye Toh Aik Aisa Aadmi
Hai Jis Ne Khuda Par Jhoot Iftiraa Kia Hai Aur Ham Is Ko Maan-Ne Wale Nahi.
39
Paigambar Ne Kaha Ke
Ae Parwardigar Inhoun Ne Mujhe Jhoota Samahja Hai, Tu Meri Madad Kar.
40
Farmaya Ke Ye Thore Hi
Arse Main Pashaimaan Ho Kar Reh Jaye Ge.
41
Toh Un Ko
Waada-E-Barhaq Ke Mutabiq Zor Ki Awaz Ne Aa Pakra, Toh Ham Ne In Ko Koora Kar
Daala. Pas Zaalim Lougon Par Laanat Hai.
42
Phir Un Ke Baad Ham Ne
Aur Jamaatian Paida Keen.
43
Koi Jamat Apne Waqt Se
Na Aage Ja Sakti Hai Na Peeche Reh Sakti Hai.
44
Phir Ham Pae Dar Pae,
Apne Paigambar Bhaijte Rahe. Jab Kisi Ummat Ke Pas Us Ka Paigambar Aata Tha Toh
Wo Usse Jhutla Dete The, Toh Ham Bhi Baaz Ko Baaz Ke Peeche Halak Karte Aur Un
Par Azaab Laate Rahe Aur Un Ke Afsaane Banate Rahe. Pas Joh Loug Eemaan
Nahi Late Un Par Laanat.
45
Phir Ham Ne Moosa A.S.
Aur Un Ke Bhai Haroon A.S. Ko Apni Nishanaiyan Aur Daleel-E-Zahir De Kar
Bhaija.
46
Yaani Firown Aur Us Ki
Jamaat Ki Taraf,Toh Unhoun Ne Takkabur Kia Aur Wo Sarkash Loug The.
47
Kehne Lage Ke Kia Ham
Un Apne Jaise Do Aadmiyoun Par Eemaan Le Aaye, Aur Un Ki Qoum Ke Loug Hamare
Khidmat Gaar Hain.
48
Toh Un Lougon Ne Un Ki
Takzeeb Ki So Aakhir Halak Kar Diye Gaye.
49
Aur Ham Ne Moosa A.S.
Ko Kitab Di Thi Taa-Ake Wo Loug Hidayat Paayen.
50
Aur Ham Ne Maryam Ke
Bete Eesa. Aur Un Ki Maan(Mother) Ko Apni Nishani Banaya Tha Aur Un Ko Aik Oonchi
Jaga Par Joh Rehne Ke Laaiq Thi Aur Jahan Nithra Hua Pani Jaari Tha, Panaah Di
Thi.
51
Ae Paigambaro! Paakeeza Cheezain Khao Aur Amal-E-Naik Karo. Joh
Amal Tum Karte Ho Main Un Se Waaqif Hoon.
52
Aur Ye Tumhari Jamaat,
Haqeeqat Main Aik Hi Jamaat Hai Aur Main Tumahra Parwardigar Hoon Toh Mujh Se
Daro.
53
Phir Unhoun Ne Apas
Main Apne Kaam Ko Muttafarriq Kar Ke Juda Juda
Kar Dia. Joh Chez Jis Firqe Ke Paas Hai Wo Uss Se Khush Ho Raha Hai.
54
Toh Un Ko Aik Muddat
Tak Un Ki Gaflat Hi Main Rehne Do.
55
Kia Ye Loug , Ye
Khayal Karte Hain Ke Ham Joh Dunia Main In Ko Maal Aur Baitoun Se Madad Dete
Hain.
56
Toh Us Se Un Ki Bhalaye
Main Jaldi Kar Rahe Hain, Nahin Balke Ye Samajhte Hi Nahi.
57
Joh Loug Apne
Parwardigar Ke Khof Se Darte Hain.
58
Aur Joh Loug Apne
Parwardigar Ki Aayatoun Par Eemaan Rakhte Hain.
59
Aur Joh Apne
Parwardigar Ke Sath Shareek Nahi Karte.
60
Aur Joh De Sakte Hain
Dete Hain Aur Un Ke Dil Is Bat Se Darte Rehte Hain Ke Un Ko Apne Parwardigar Ki
Taraf Lout Kar Jana Hai.
61
Ye Hi Loug Naikiyoun
Main Jaldi Karte Aur Ye Hi Un Ke Liye Aage Nikal Jate Hain.
62
Aur Ham Kisi Shakhs Ko
Us Ki Taaqat Se Ziada Takleef Nahi Dete Aur Hamare Paas Kitaab Hai, Joh Sach
Sach Keh Deti Hai Aur Un Lougon Par Zulm Nahi Kia Jaye Ga.
63
Magar Un Ke Dil In
Baatoun Ki Taraf Se Gaflat Main Pare Hue Hain, Aur In Ke Siwa Aur Aamaal Bhi
Hain Joh Ye Karte Rehte Hain.
64
Yahan Tak Ke Jab Ham
Ne Un Main Se Aasooda Haal Lougon Ko Pakar Lia, Toh Wo Us Waqt Tilmila Uthain
Ge.
65
Aaj Mat Tilmilaao! Tumko
Ham Se Kuch Madad Nahi Mile Gi.
66
Meri Aaytain Tum Ko
Parh Parh Kar Sunai Jati Theen Aur Tum Ulte Paaon Phir Phir Jate The.
67
Un Se Sarkashi Karte, Kahaaniyoun
Main Mashgool Hote Aur Behooda Bakwas Karte The.
68
Kia Inhoun Ne Is Kalam
Par Ghour Nahi Kia, Ya In Ke Pas Koi Aisi Cheez Aaye Hai Joh In Ke Agle Baap
Dada Ke Paas Nahi Aye Thi.
69
Ya Ye Apne Paigambar
Ko Jaante Pehchaante Nahi, Is Waja Se Un Ko Nahi Maante.
70
Kia Ye Kehte Hain Ke
Isse Souda Hai, Nahi Balke Wo Un Ke Paas Haq Ko Le Kar Aye Hain Aur Un Main Se
Aksar Haq Ko Na Pasand Karte Hain.
71
Aur Agar
Khuda-E-Barhaq In Ki Khuahishoun Par Chale, Toh Aasmaan Aur Zameen Aur Joh In
Main Hain Sab Darham Barham Ho Jaaye. Balke Ham Ne Un Ke Pas Un Ki Naseehat Ki
Kitaab Pohoncha Di Hai Aur Wo Aisi Kitaab-E-Naseehat Se Moonh Phair Rahe Hain.
72
Kia Tum Un Se Tableeg
Ke Sile Main Kuch Maal Maangte Ho, Toh Tumhara Parwardigaar Ka Maal Bohot Acha
Hai Aur Wo Sab Se Behtar Rizq Dene Wala Hai.
73
Aur Tum Toh Un Ko
Seedhe Raaste Ki Taraf Bulate Ho.
74
Aur Joh Loug Aakhrat
Par Eemaan Nahi Laate Wo Raste Se Alag Ho Rahe Hain.
75
Aur Agar Ham Un Par Rehem
Karain Aur Joh Takleefain Un Ko Pohonch Rahi Hain,Wo Door Kar Dain Toh Apni
Sarkashi Par Arrde(zidd) Rahain Aur Bhatakte Phirain.
76
Aur Ham Ne Un Ko Azab
Main Bhi Pakra Toh Bhi Unhoun Ne Khuda Ke Aage Aazji Na Ki Aur Wo Aajzi Karte
Hi Nahi.
77
Yahan Tak Ke Jab Ham
Ne Un Par Azaab-E-Shadeed Ka Darwaza Khol Dia, Toh Us Waqt Wahan Na Umeed Ho
Gaye.
78
Aur Wo Hi Toh Hai Jis
Ne Tumhare Kaan Aur Aankahin Aur Dil Banaye. Lekin Tum Kam Shukar Guzaari Karte
Ho.
79
Aur Wo Hi Toh Hai Jis
Ne Tumko Zameen Main Paida Kia Aur Ussi Ki Taraf Tum Jama Ho Kar Jaao Ge.
80
Aur Wo Hi Hai Joh
Zindagi Bakhashta Aur Mout Deta Hai Aur Raat Aur Din Ka Badalte Rehna Ussi Ka
Tassarruf Hai, Kia Tum Samajhte Nahi.
81
Baat Ye Hai Ke Joh
Baat Agle Kaafir Kehte The Ussi Tarha Ki Baat Ye Kehte Hain.
82
Kehte Hain Ke Jab Ham
Mar Jaayen Ge Aur Matti Ho Jaaye Ge Aur Istikhwaan-e-Boseeda Ke Siwa Kuch Na
Rahe Ga Toh Kia Ham Phir Uthaaye Jaaye Ge?
83
Ye Waada Aur Ham Se
Pehle Hamare Baap Dada Se Bhi Hota Chala Aya Hai, Ye Toh Sirf Agle Lougon Ki Kahaaniyan Hain.
84
Kaho Ke Agar Tum
Jaante Ho, Toh Baataao Ke Zameen Aur Joh Kuch Zameen Main Se Hai Sab Kis Ka
Maal Hai?
85
Jhat Bol Uthain Ge Ke
Khuda Ka Kaho Ke Phir Tum Sochte Kion Nahi?
86
In Se Poocho Ke
Saat(7) Aasmaanoun Ka Koun Malik Hai Aur Arsh-E-Azeem Ka Koun Malik Hai?
87
Be Saakhta Keh Dain Ge
Ke Ye Cheezain Khuda Hi Ki Hain, Kaho Ke Phir Tum Darte Kion Nahi?
88
Kaho Ke Agar Tum Jaante
Ho Toh Bataow Ke Wo Koun Hai Jis Ke Hath Main Har Cheez Ki Baadshahi Hai, Aur
Wo Panaah Deta Hai Aur Us Ke Muqabil Koi Kisii Ko Panaah Nahi De Sakta.
89
Foran Keh Dainge Ke
Aisi Baadshahi Toh Khuda Hi Ki Hai, Kaho Phir Tum Par Jaadu Kahan Se Par Jaata
Hai?
90
Baat Ye Hai Keh Ham Ne
Un Ke Paas Haq Pohoncha Dia Hai Aur Ye Joh Butt Parasti Kiye Jate Hain Be Shak
Jhoote Hain.
91
Khuda Ne Na Toh Kisi
Ko Apna Baita Banaya Hai Aur Na Us Ke Sath Koi Aur Maabood Hai, Aisa Hota Toh
Har Maabood Apni Apni Makhlooqaat Ko Le Kar Chal Deta Aur Aik Doosre Par Gaalib
Aa Jata. Ye Loug Joh Kuch Khuda Ke Bare Main Bayan Karte Hain Khuda Us Se Paak
Hai.
92
Wo Posheeda Aur Zahir
Ko Janta Hai Aur Mushrik Joh Us Ke Sath Shareek Karte Hain, Us Ki Shan Us Se
Buland Hai.
93
Ae Muhammad S.A.W.
Kaho Ke Ae Parwardigaar Jis Azaab Ka In Kuffar Se Waada Hua Hai, Agar Tu Meri
Zindagi Main Un Par Naazil Kar Ke Mujhe Bhi Dikhaye.
94
Toh Ae Parwardigar! Mujhe
Is Se Mehfooz Rakhiyo Aur Un Zaalimoun Main Shamil Na Kijiyo.
95
Aur Jo Waada Ham Un Se
Kar Rahe Hain Ham Tum Ko Dikha Kar Un Par Naazil Karne Par Qaadir Hain.
96
Aur Buri Baat Ke Jawab
Main Aisi Baat Kaho, Joh Nihayat Achi Ho. Aur Ye Joh Kuch Bayan Karte Hain
Hamain Khoob Maloom Hai.
97
Aur Kaho Keh Ae
Parwardigar ! Main Shaitaanon Ke Waswasoun Se Teri Panah Maangta Hoon.
98
Aur Ae Parwardigar! Is
Se Bhi Teri Panaah Maangta Hoon Ke Wo Mere Paas Aa Mojood Houn.
99
Ye Loug Issi Tarha
Gaflat Main Rahian Ge Yahan Tak Ke Jab In Main Se Kisi Ke Paas Mout Aa Jaye Gi Toh
Kahe Ga Ke Ae Parwaridigaar! Mujhe Phir Dunia Main Wapas Bhaij De.
100
Taa-Ake Main Us Main
Jisse Chor Aaya Hoon Naik Kaam Kia Karoon. Har Gizz Nahi .Ye Aik Aisi Baat Hai
Ke Wo Usse Zabaan Se Keh Raha Hoga Aur Is Ke Sath Amal Nahi Hoga Aur Un Ke
Peeche Barzakh Hai Jahan Wo Is Din Tak Ke Dobara Uthaye Jaaayen Ge, Rahian Ge.
101
Phir Jab Soor Phooonka
Jaye Ga, Toh Na Toh In Main Qaraabatain Rahain Gi Aur Na Aik Doosre Ko Poochain
Ge.
102
Toh, Jin Ke Amaloun Ke Bojh Bhaari Hounge. Wo Falah
Pane Wale Hain.
103
Aur Jin Ke Bojh Halke
Hounge Wo Woh Loug Hain Jinhoun Ne Apne Taiee Khasaare Main Daala. Hamesha
Dozakh Main Rahain Ge.
104
Aag In Ke Moohoun Ko
Jhulsa De Gi Aur Wo Is Main Taiwri Charhaaye Hounge.
105
Kia Tum Ko Meri Aayatain
Parh Kar Sunai Jatee Thee, Nahi Tum Un Ko Sunte The Aur Jhutlaate The.
106
Ae Hamare
Parwardigaar! Ham Par Hamari Kam Bakhti
Gaalib Ho Gai Aur Ham Raste Se Bhatak Gaye.
107
Ae Parwardigar! Ham Ko
Is Main Se Nikaal De,Agar Ham Phir Aise Kaam Karain Toh Zalim Hounge.
108
Khuda Farmaaye Ga, Ke
Issi Main Zillat Ke Sath Pare Raho Aur Mujh Se Baat Na Karo.
109
Mere Bandoun Main Aik
Gurroh Tha Joh Dua Kia Karta Tha Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Eemaan Laye Toh
Tu Ham Ko Bakhsh De Aur Ham Par Rehem Kar Aur Tu Sab Se Behtar Rehem Karne Wala
Hai.
110
Toh Tum Un Se
Tammaskhur Karte Rahe, Yahan Tak Ke Un
Ke Peeche Meri Yaad Bhi Bhool Gaye Aur Tum Hamesha Un Se Hansi Kia Karte The.
111
Aaj Mai Ne Unko Un Ke
Sabar Ka Badla Dia Ke Wo Kaamyaab Ho Gaye.
112
Khuda Pooche Ga, Ke
Tum Zameen Main Kitne Baras Rahe?
113
Wo Kahain Ge Ke Ham
Aik Roz Ya Aik Roz Se Bhi Kam Rahe The, Shumaar Karne Waloun Se Pooch Lijiye.
114
Khuda Farmaye Ga, Ke
Wahan Tum Bohot Hi Kam Rahe. Kaash Tum Jaante Hote.
115
Kia Tum Ye Khayal
Karte Ho Ke Ham Ne Tum Ko Be Faaida Paida Kia Hai Aur Ye Ke Tum Hamari Taraf
Lout Kar Nahi Aao Ge?
116
Toh Khuda Joh Sachha
Baadsha Hai Us Ki Shan Is Se Oonchi Hai, Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi, Wo Hi
Arsh-E-Buzurg Ka Malik Hai.
117
Aur Joh Shakhs Khuda
Ke Sath Aur Maabood Ko Pukarta Hai Jis Ki Is Ke Paas Kuch Sanad Nahi, Toh Us Ka
Hisaab Khuda Hi Ke Haan Hoga. Kuch Shak Nahi, Ke Kaafir Raasgaari Nahi Paaye
Ge.
118
Aur Khuda Se Dua Karo
Ke Mere Parwardigar Mujhe Bakhash De Aur Mujh Par Rehem Kar Aur Tu Sab Se
Behtar Rehem Karne Wala Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!