Wednesday, 4 May 2016

19-Soorah-e-Maryam-Aayat 98



Soorah-E-Maryam

Aayaat- 98

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Wala Hai.

1
Qaaf Haa Yaa Ain Suaad

2
Ye Tumhare Parwardigar Ki Meherbaani Ka Bayan Hai, Joh Us Ne Apne Bande Zakriya Par Ki Thi.

3
Jab Unhoun Ne Apne Parwardigar Ko Dabi Awaaz Se Pukara.

4
Aur Kaha Ke Ae Mere Parwardigar Meri Haddiyan(Bones) Burhaape Ke Sabab Kamzor Ho Gai Hain Aur Sar Shoula Marne Laga Hai Aur Ae Mere Parwardigar Main Tujh Se Maang Kar Kabhi Mehroom Nahi Raha.

5
Aur Main Apne Baad Apne Bhaai Bandoun Se Darta Hoon Aur Meri Biwi Baanjh(Infertile) Hai, Tu Mujhe Apne Paas Se Aik Waaris Ata Farma.

6
Jo Meri Aur Aulaad-E-Yaqoob Ki Miraas Ka Malik Ho. Aur Ae Mere Parwardigaar Us Ko Khush Atwaar Banaiyo.

7
Ae Zakariya Ham Tum Ko Aik Larke Ki Bisharat(News) Dete Hain, Jis Ka Naam Yaahiya Hai. Is Se Pehele Ham Ne Is Naam Ka Koi Shakhs Paida Nahi Kia.

8
Unhoun Ne Kaha Parwardigaar Mere Haan Kis Tarha Larka Hoga. Jis Haal Main Meri Biwi Baanjh Hai Aur Main Burhaape Ki Intiha Ko Pohonch Gaya Hoon.

9
Hukum Hua Ke Issi Tarha Hoga, Tumhare Parwaridigar Ne Farmaya Hai Ke, Mujhe Ye Asaan Hai Aur Main Pehle Tum Ko Bhi Toh Paida Kar Chukka Hoon Aur Tum Kuch Cheez Na The.

10
Kaha Ke, Parwardigar Mere Liye Koi Nishaani Muqarrar Farma. Farmaya Nishani Ye Hai Ke Tum Saheeh-O-Salim Ho Kar Teen Raat Din, Lougon Se Baat Na Kar Sako Ge.

11
Phir Wo Ibadat Ke Hujre Se Nikal Kar Apni Qoum Ke Paas Aaye Toh Un Se Ishare Se Kaha Ke Subho-O-Sham Khuda Ko Yaad Karte Raho.

12
Ae Yaahiya Hamari Kitaab Ko Zor Se Pakre Raho. Aur Ham Ne Un Ko Larakpan Hi Main Daanaai Ata Farmai Thi.

13
Aur Apne Paas Se Shafqat Aur Paakeezgi Di Thi. Aur Wo Parhaizgaar The.
14
Aur Maan Baap Ke Sath Naiki Karne Wale The Aur Sar Kash Aur Nafarmaan Nahi The.

15
Aur Jis Din Wo Paida Hue Aur Jis Din Wafaat Paayen Ge, Aur Jis Din Zinda Kar Ke Uthaye Jayen Ge. Un Par Salaam Aur Rehmat Hai.

16
Aur Kitaab Quraan Main Maryam Ka Bhi Mazkoor Karo, Jab Wo Apne Logoun Se Alag Ho Kar Mashriq(East) Ki Taraf Chali Gayee.

17
Toh Unhoun Ne Un Ki Taraf Se Parda Kar Liya. Us Waqt Ham Ne Un Ki Taraf Apna Farishta Bhaija. Toh Wo Un Ke Saamne Theek Aadmi Ki Shakal Ban Gaya.

18
Maryam Boleen Ke Agar Tum Parhaizgaar Ho, Toh Main Tum Se Khuda Ki Panaah Maangti Hon.

19
Unhoun Ne Kaha Ke Main Toh Tumhare Parwardigar Ka Bhaija Hua, Yaani Farishta Hoon, Aur Is Liye Aaya Hooon Ke Tumhain Paakeeza Larka Bakhshoon.

20
Maryam Ne Kaha Ke Mere Haan Larka Kion Kar Hoga Mujhe Kisi Basher Ne Chua Tak Nahi, Aur Main Badkaar Bhi Nahi Hoon.

21
Farishte Ne Kaha Ke Younhi Hoga, Tumhare Parwaradigar Ne Farmaya Ke Ye Mujhe Asaan Hai. Aur Main Usse Ussi Tareeq Par Paida Karoonga.Taa-Ake Us Ko Lougon Ke Liye Apni Taraf Se Nishani Aur Zariya-E-Rehmat Aur Meherbaani Banaoon Aur Ye Kaam Muqarrar Ho Chukka Hai.

22
Toh Wo Us Bache Ke Sath Haamla(Pragnent) Ho Gayee Aur Usse Le Kar Aik Door Jaga Chali Gayeen.

23
Phir Dard-E-Zeh Un Ko Khajoor Ke Tane(Log) Ki Taraf Le Aaya. Kehne Lageen Ke Kaash Main Is Se Pehle Mar Chukti Aur Bhooli Bisri Ho Gai Hoti.

24
Us Waqt Un Ke Neeche Ki Janib Se Farishte Ne Unko Awaz Di, Ke Gamnaak Na Ho Tumhare Parwardigar Ne Tumhare Neeche Aik Chashma Paida Kar Dia Hai.

25
Aur Khajoor Ke Tane Ko Pakar Kar Apni Taraf Hilaao, Tum Par Taaza Taaza Khajoorain Jhar Parain Gi.

26
Toh Khao Aur Piyo Aur Aankhain Thandi Karo. Agar Tum Kisi Aadmi Ko Daikho Toh Kehna Ke Main Ne Khuda Ke Liye Roze Ki Mannat Mani, Toh Aaj Main Kisi Aadmi Se Har Gizz Kalaam Nahi Karoongi.



27
Phir Wo Us Bache Ko Utha Kar, Apni Qoum Ke Lougon Ke Pas Le Aayen .Wo Kehne Lage Ke Maryam Ye Toh Tu Ne Bura Kaam Kia.

28
Ae Haroon Ki Behen, Na Toh Tera Baap Hi Bad Atwaar Tha Aur Na Teri Maan Hi Badkaar Thi.

29
Toh Maryam Ne Is Larke Ki Taraf Ishara Kia. Wo Bole Ke Ham Is Se, Keh Goud Ka Bacha Hai, Kion Kar Baat Karain.

30
Bache Ne Kaha Ke Main Khuda Ka Banda Hoon, Us Ne Mujhe Kitaab Di Hai Aur Nabi Banaya Hai.

31
Aur Main Jahan Hoon Aur Jis Haal Main Hoon Mujhe Sahib-E-Barkat Kia Hai, Aur Jab Tak Zinda Hon Mujh Ko Namaz Aur Zakaat Ka Irshaad Farmya Hai.

32
Aur Mujhe Apni Maan Ke Sath Naik Salook Karne Wala Banaya Hai, Aur Sarkash-O-Badbakht Nahi Banaya.

33
Aur Jis Din Main Paida Hua Aur Jis Din Maroonga, Aur Jis Din Zindaa Kar Ke Uthaya Jaaon Ga, Mujh Par Salam-O-Rehmat Hai.



34
Ye Maryam Ke Bete Eesaa Hain Aur Ye Sachi Baat Hai Jis Main Loug Shak Karte Hain.

35
Khuda Ko Sazawaar Nahi, Ke Kisi Ko Baita Banaye. Wo Paak Hai Jab Kisi Cheez Ka Irada Karta Hai Toh Us Ko Ye Hi Kehta Hai, Ke Ho Ja, To Wo Ho Jati Hai.

36
Aur Be Shak Khuda Hi Mera Aur Tumhara Parwardigar Hai, Toh Ussi Ki Ibadat Karo.Ye Hi Seedha Rasta Hai.

33
Phir Ehl-E-Kitaab Ke Firqoun Ne Baham Ikhtilaaf Kia. So Joh Loug Kaafir Hue Hain Unko Bare Din, Yaani Qiamat Ke Roz Hazir Hone Se Kharabi Hai.

38
Wo Jis Din Hamare Saamne Ayen Ge. Kaise Sunn-Ne Wale Aur Kaise Diakhne Wale Hounge, Magar Zalim Aaj Sarheeh Gumrahi Main Hain.

39
Aur Un Ko Hasrat-O-Afsos Ke Din Se Dara Do, Jab Baat Faisal Kar Di Jaye Gi. Aur (Haiyaat) Wo Gaflat Main Pare Hue Hain Aur Eemaan Nahi Late.

40
Ham Hi Zameen Ke Aur Joh Loug Is Par Baste Hain Un Ke Waaris Hain. Aur Hamari Hi Taraf Un Ko Loutna Hoga.


41
Aur Kitaab Main Ibrahim Ko Yaad Karo.Be Shak Wo Nihayat Sache Paigambar The.

42
Jab Unhoun Ne Apne Baap Se Kaha Ke Abba Aap Aisi Cheezoun Ko Kion Poojte Hain, Joh Na Sune Aur Na Daikhain, Aur Na Ap Ke Kuch Kaam Aa Sakeen.

43
Abba Mujhe Aisa Ilm Mila Hai, Joh Ap Ko Nahi Mila Toh Mere Sath Ho Jaaiye, Main Ap Ko Seedhi Raah Par Chala Doonga.

44
Abba Shaitan Ki Pooja Na Kijiye. Be Shak Shaitan Khuda Ka Nafarmaan Hai.

45
Abba Mujhe Dar Lagta Hai Ke Aap Ko Khuda Ka Azaab Aa Pakre Toh Aap Shaitaan Ke Sathi Ho Jayen.

46
Us Ne Kaha Ibrahim Kia Tu Mere Maaboodoun Se Bargashta Hai, Agar Tu Baaz Na Aye Ga, Toh Main Tujhe Sangsaar Karoonga, Aur Tu Hamesha Ke Liye Mujh Se Door Ho Ja.

47
Ibrahim Ne Salam Alaik Kaha Aur Kaha Ke Main Ap Ke Liye Apne Parwardigar Se Bakhshish Maangooga. Be Shak Wo Mujh Par Nihayat Meherbaan Hai.


48
Aur Main Ap Lougon Se, Aur Jin Ko Aap Khuda Ke Siwa Pukara Karte Hain, Un Se Kinara Karta Hoon Aur Apne Parwardigar Hi Ko Pukaaroon Ga. Umeed Hai Ke Main Apne Parwardigar Ko Pukar Kar Mehroom Nahi Rahoonga.

49
Aur Jab Ibrahim Un Lougon Se Aur Jin Ki Wo Khuda Ke Siwa Parastish Karte The, Alag Ho Gaye Toh Ham Ne Unko Ishaaq Aur Ishaaq Ko Yaqoob Bakhshe. Aur Sab Ko Paigambar Banaya.

50
Aur Un Ko Apni Rehmat Se Bohot Se Cheezain Inayat Kee.Aur Un Ka Zikar-E-Jameel Buland Kia.

51
Aur Kitaab Main Moosa Ka Bhi Zikar Karo. Be Shak Wo Hamare Burguzeeda Aur Paigambar Murrsal The.

52
Aur Ham Ne Un Ko Toor Ki Daahani Taraf Pukara Aur Baatain Karne Ke Liye Nazdeek Bulaya.

53
Aur Apni Meherbani Se Unko Un Ka Bhai Haroon Paigambar Ata Kia.

54
Aur Kitaab Main Ismaail Ka Bhi Zikar Karo. Wo Wade Ke Sache Aur Hamre Bhaije Hue Nabi The.


55
Aur Apne Ghar Waloun Ko Namaz Aur Zakat Ka Hukum Karte The, Aur Apne Parwardigar Ke Haan Pasandeeda-O-Burgazeeda The.

56
Aur Kitaab Main, Idrees Ka Bhi Zikar Karo. Wo Bhi Nihayat Sache Nabi The.

57
Aur Ham Ne Unko Oonchi Jaga Utha Liya Tha.

58
Ye Wo Loug Hain Jin Par Khuda Ne Paigambaroun Main Se Fazal Kia. Yaani Aulad-E-Adam Main Se, Aur Un Lougon Main Se, Jin Ko Ham Ne Nooh Ke Sath Kashti Main Sawar Kia, Aur Ibrahim Aur Yaqoob Ki Aulaad Main Se Aur Un Lougon Main Se, Jin Ko Ham Ne Hidayat Di Aur Burguzeeda Kia. Jab Un Ke Saamne Hamari Aayatain Parhi Jati Toh Sajde Main Girr Parte Aur Rote Rehte The.

59
Phir Un Ke Baad Chand Na Khalf Un Ke Jaan Nasheen Hue, Jinhoun Ne Namaz Ko Chor Dia, Goya Usse Kho Dia. Aur Khuahishaat-E-Nafsani Ke Peeche Lag Gaye. So Anqareeb Un Ko Gumrahi Ki Saza Mile Gi.

60
Haan Jis Ne Touba Ki Aur Eemaan Laya Aur Amal-E-Naik Kiye Toh Aise Loug Behshat Main Daakhil Hounge Aur Un Ka Zara Nuqsaan Na Kia Jaye Ga.


61
Yaani Behshat Jaawedaani Main, Jis Ka Khuda Ne Apne Bandoun Se Waada Kia Hai Aur Joh Un Ki Aankhon Se Posheeda Hai. Be Shak Us Ka Waada Naiko Kaaron Ke Samne Aane Wala Hai.

62
Wo Is Main Salam Ke Siwa Koi  Behooda Kalam Na Sunain Ge, Aur Un Ke Liye Subh-O-Sham Khana Taiyaar Hoga.

63
Ye Hi Wo Jannat Hai Jis Ka Ham Apne Bandoun Main Se Aise Shakhs Ko Malik Banayen Ge Joh Parhaiz Gaar Hoga.

64
Aur Farishtoun Ne Paigambar Ko Jawab Dia Ke Ham Tumhare Parwardigar Ke Hukum Ke Siwa, Utar Nahi Sakte. Joh Kuch Hamare Aage Hai Aur Peeche Hai Aur Jo Un Ke Darmiyaan Hai Sab Ussi Ka Hai, Aur Tumhara Parawardigar Bhooolne Wala Nahi.

65
Yaani Aasmaan Aur Zameen Ka Aur Jo Un Dono Ke Darmiyan Hai, Sabka Parwardigaar. Toh Ussi Ki Ibadat Karo Aur Usi Ki Ibadat Par Sabit Qadam Raho. Bhala Tum Koi Us Ka Ham Naam Jaante Ho.

66
Aur Kafir Insaan Kehta Hai, Ke Jab Main Mar Jaaon Ga Toh Kia Zinda Kar Ke Nikala Jaaonga.



67
Kia Aisa Insan Yaad Nahi Karta, Ke Ham Ne Us Ko Pehle Bhi Toh Paida Kia Tha Aur Wo Kuch Bhi Cheez Na Tha.

68
Tumhare Parwardigar Ki Qsaam! Ham Unko Jama Karain Ge. Aur Shaitanoun Ko Bhi. Phir Un Sab Ko Jahannum Ke Gird Hazir Karain Ge, Aur Wo Ghutnoun Par Girre Hue Hougne.

69
Phir Har Jamaat Main Se Ham Aise Lougon Ko Khainch Nikaalain Ge, Joh Khuda Se Sakht Sar Kashi Karte The.

70
Aur Ham Un Lougon Se Khoob Waqif Hain, Joh Un Main Daakhil Hone Ke Ziada Laaiq Hain.

71
Aur Tum Main Koi Shakhs Nahi, Magar Usse Us Par Guzarna Hoga. Ye Tumhare Parwardigaar Par Laazim Aur Muqarrar Hai.

72
Phir Ham Parhaizgaaroun Ko Nijaat Dainge.Aur Zalimoun Ko Is Main Ghutnoun Ke Bal Para Hua Chor Dainge.

73
Aur Jab In Lougon Ke Saamne Hamari Aayatain Parhi Jati Hain, Toh Jo Kafir Hain Wo Mominoun Se Kehte Hain Ke Donon Fareeq Main Se Makaan Kis Ke Ache Aur Majlis Kis Ki Behtar Hain.


74
Aur Ham Ne In Se Pehle Bohot Si Ummatain Halaak Kar Dee. Wo Loug Un Se Thaath Aur Namood Main Kahin Ache The.

75
Keh Do Ke Joh Shakhs, Gumarahi Main Para Hua Hai Khuda Us Ko Aahista Aahisata Mohlat Diye Jaata Hai. Yahan Tak Ke Jab Us Cheez Ko Daikh Lainge, Jis Ka Un Se Waada Kia Jata Hai Khuah Azaab Aur Khuah Qiamat. Toh Us Waaqt Jaan Lainge Ke Makaan Kis Ka Bura Hai, Aur Lashkar Kis Ka Kamzor Hai.

76
Aur Joh Loug Hidayat Yaab Hain Khuda Un Ko Ziada Hidayat Deta Hai. Aur Naikiyan Joh Baqi Rehne Wali Hain Wo Tumhare Parwardigar Ke Sile Ke Lehaaz Se, Khoob Aur Anjaam Ke Aitbaar Se Behtar Hain.

77
Bhala Tum Ne Us Shakhs Ko Daikha Jis Ne Hamari Aayatoun Se Kufur Kia, Aur Kehne Laga Ke Agar Main Az Sar-E-Nou Zinda Hua Bhi Toh Yeh Hi Maal Aur Aulaad Mujhe Wahan Mile Ga.

78
Kia Us Ne Ghaib Ki Khabar Paali Hai, Ya Khuda Ke Yahan Se Ehed Le Liya Hai.

79
Har Gizz Nahi. Ye Joh Kuch Kehta Hai Ham Us Ko Likhte Jaate, Aur Aahista Aahista Azaab Barhate Jaate Hain.


80
Aur Joh Cheezain Ye Batata Hai Un Ke Ham Waris Hounge Aur Ye Akaila Hamare Saamne Aye Ga.

81
Aur Un Lougon Ne Khuda Ke Siwa, Aur Maabood Bana Liye Hain Taa-Ake Wo Un Ke Liye Mooajjab-O-Izzat-O-Madad Houn.

82
Har Gizz Nahi Wo Maboodaan-E-Batil, Un Ki Parastish Se Inkaar Karainge Aur Un Ke Dushman-O-Mukhalif Hounge.

83
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Ham Ne Shaitanoun Ko Kaafiroun Par Chor Rakha Hai, Ke Wo Un Ko Barangaikhta Karte Rehte Hain.

84
Toh Tum Un Par Azaab Ke Liye Jaldi Na Karo. Aur Ham Toh Un Ke Liye Din Shumar Kar Rahe Hain.

85
Jis Roz Ham Parhaizgaaroun Ko Khdua Ke Saamne Batour-E-Mehmaan Jama Karainge.

86
Aur Gunnehgaaroun Ko Dozakh Ki Taraf Piyase Haank Le Jayen Ge.



87
Toh Loug Kisi Ki Sifarish Ka Ikhtiyar Na Rakhain Ge Magar Jis Ne Khdua Se Iqraar Liya Ho.

88
Aur Kehte Hain Khuda Beta(Son) Rakhta Hai.

89
Aisa Kehne Walo Ye Toh Tum Buri Baat Zabaan Par Late Ho.

90
Qareeb Hai Ke Is Iftiraa Se Aamsaan Phat Parain Aur Zameen Shiqq Ho Jaye Aur Pahaar Paara Paara Ho Kar Girr Parain.

91
Ke Unhoun Ne Khuda Ke Liye Beta Tajweez Kia.

92
Aur Khuda Ko Shaayaan Nahi Ke Kisi Ko Beta Banaye.

93
Tamaam Shakhs Joh Aasmaanoun Aur Zameen Main Hain Sab Khuda Ke Ru Baru Bande Ho Kar Aayen Ge.

94
Us Ne In Sab Ko Apne Ilm Se Ghair Rakha Aur Aik Aik Ko Shumar Kar Rakha Hai.

95
Aur Sab Qiamat Ke Din Us Ke Saamne Akaile Akaile Haazir Houn Ge.


96
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Kiye Khuda Un Ki Mohabbat, Makhlooqaat Ke Dil Main Paida Kar De Ga.

97
Ae Paigaambar S.A.W. Ham Ne Ye Quraan Tumhari Zabaan Main Asaan Nazil Kia Hai, Taa-Ake Tum Is Se Parhaizgaaron Ko Khushkhabri Pohoncha Do, Aur Jhagraalooun Ko Dar Suna Do.

98
Aur Ham Ne Is Se Pehle Bohot Se Gurohoun(Groups) Ko Halaak Kar Dia Hai. Bhala Tum Un Main Se Kisi Ko Daikhte Ho Ya Kahin Un Ki Bhinak Sunte Ho.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!