Soorah-E-Alanfaal
Soorah Number 8
Aayaat 75
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur
Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Ae Muhammad S.A.W! Mujahid Loug Tum Se
Ganeemat Ke Maal Ke Bare Main Daryaft Karte Hain Ke Kia Hukum Hai, Keh Do Ke Ganeemat Khuda Aur Us Ke Rasool Ka
Maal Hai.Toh Khuda Se Daro Aur Apas Main
Sulah Rakho Aur Agar Eemaan Rakhte Ho Toh Khuda Aur Us Ke Rasool S.A.W. Ke
Hukum Par Chalo.
2
Mommin Toh Wo Hain, Ke Jab Khuda Ka Zikar Kia
Jata Hai Toh Un Ke Dil Dar Jate Hain, Aur Jab Unhain Us Ki Aayatain Parh Kar
Sunai Jati Hain Toh Un Ka Eemaan Aur Barh Jata Hai.Aur Wo Apne Parwardigaar Par
Bharosa Rakhte Hain.
3
Aur Wo Joh Namaaz Parhte Hain Aur Jo Maal Ham
Ne Un Ko Dia Hai Us Main Se Naik Kaamoun Main Kharch Karte Hain.
4
Ye Hi Sache Momin Hain, Aur Un Ke Liye
Parwardigaar Ke Haan Bare Bare Darje Aur Bakhshish Aur Izzat Aur Rozi Hai.
5
In Lougon Ko Apne Gharoun Se Is Tarha Nikalna
Chahiye Tha Jis Tarha Tumhare Parwardigaar Ne Tum Ko Tadbeer Ke Sath Apne Ghar
Se Nikala Aur Is Waqt Momino Ki Aik Jamaat Na Khush Thi.
6
Wo Loug Haq Baat Main, Is Ke Zahir Hue , Peeche Tum Se
Jhagarne Lage Goya Mout Ki Taraf Dhakaile Jate Hain Aur Use Daikh Rahe Hain.
7
Aur Is Waqt Ko Yaad Karo Jab Khuda Tum Se Wada
Karta Tha Ke Abuu Sufiyaan Aur Abbu Jehel Ke Do Gurohoun Main Se Aik Guroh
Tumahra Maskhar Ho Jaye Ga.Aur Tum Chahte The Ke Joh Qaafila Be Shaan-O-Shokat
Yaani Be Hathiyaar Hai Wo Tumhare Hath Aa Jaye Aur Khuda Chahata Tha Ke Apne
Farmaan Se Haq Ko Qaaim Rakhe Aur Kaafiroun Ki Jar (Roots) Kaat Kar Phaink De.
8
Taa-Ake Sach Ko Sach Aur Jhoot Ko Jhoot Kar
De.Go Mushrik Na Khush Hi Houn.
9
Jab Tum Apne Parwardigaar Se Faryaad Karte The
To Us Ne Tumhari Dua Qabool Kar Li, Aur Farmaya Ke Tassali Rakho Ham Hazaar
(1000)Farishtoun Se Joh Aik Doosre Ke Peeche Aate Jayen Ge Tumharei Madad Karen Ge.
10
Aur Us Madad Ko Khuda Ne Mehez Bisharat Banaya
Tha, Ke Tumhare Dil Us Se Itminaan Hasil Karain.Aur Madad Toh Allah Hi Ki Taraf
Se Hai.Be Shak Khuda Gaalib Hikmat Wala Hai.
11
Jab Us
Ne Tumhari Taskeen Ke Liye Apni Taraf Se
Tumhain Neend Ki Chadar Urha Di, Aur Tum Par Aasmaan Se Paani Barsa Dia,
Taa-Ake Tum Ko Us Se Nehla Kar Paak Kar De Aur Shaitaani Nijasat Ko Tum Se Door
Kar De. Aur Is Liye Bhi Ke Tumahare Diloun Ko Mazboot Kar De Aur Us Se Tumhare
Paaon Jamaye Rakhe.
12
Jab Tumhara Parwardigaar Farishtoun Ko Irshaad
Fermata Tha Ke Main Tumhare Sath Hoon, Tum Mominoun Ko Tassali Do Ke Sabit
Qadam Rahain.Main Abhi Abhi Kaafriroun Ke Diloun Main Roub-O-Haibat Dale Deta
Hoon Toh Un Ke Sar Maar Kar Ura Do Aur Un Ka Pour Pour Maar Kar Tour Do.
13
Yeh Saza Is Liye Di Gai Ke Unhoun Ne Khuda Aur
Us Ke Rasool S.A.W. Ki Mukhalfiat Ki.Aur Joh Shakhs Khuda Aur Us Ke Rasool
S.A.W. Ki Mukhalfat Kartra Hai Toh Khuda Bhi Sakht Azaab Dene Wala Hai.
14
Yeh Mazah, Toh Yahan Chakho, Aur Ye Jaane
Raho, Ke Kaafiroun Ke Liye Aakhrat Main ,
Dozakh Ka Azaab Bhi Taiyaar Hai.
15
Ae Ehl-E-Eemaan!Jab Maidaan-E-Jung Main Kuffar Se Tumahra Muqabla Ho Toh Us Se Peeth Na
Phairna.
16
Aur Joh Shakhs Jung Ke Roz Is Soorat Ke Siwa,
Ke Larayee Ke Liye Kinare Kinare Chale,
Yaani Hikmat Amli Se Dushman Ko Mare Ya Apni Fouj Main Ja Milna Chahe
.Un Se Peeth Phaire Ga Toh Samjho Ke Wo Khuda Ke Gazab Main Giriftaar Ho Gaya
Aur Us Ka Thikana Dozakh Hai.Aur Wo Bohot Hi Buri Jaga Hai.
17
Tum Lougon Ne In Kuffar Ko Qatal Nahi Kia
Balke Khdua Ne Inhain Qatal Kia.Aur Ae Muhammad S.A.W. Jis Waqt Tum Ne
Kankriyaan (Little Stones) Phainki Theen, To Wo Tum Ne Nahi Phainki Theen Balke
Allah Ne Phainki Theen. Us Se Yeh Garz Thi Ke Mominoun Ko Apne Ehsaanoun Se
Achi Tarha Aazma Le .Be Shak Khuda Sunta Jaanta Hai.
18
Baat Yeh Hai Ke Kuch Shak Nahi Ke Khuda
Kaafiroun Ki Tadbeer Ko Kamzor Kar Dene Wala Hai.
19
Kaafiro Agar Tum Muhammad S.A.W. Par Fatah
Chahate Ho Toh Tumhare Paas Fatah Aa Chuki .Daikho Agar Tum Apne Afaal Se Baaz
Aa Jao, Toh Tumhare Haq Main Behtar Hai.Aur Agar Phir Na Farmani Karo Ge Toh
Ham Bhi Phir Tumhain Azaab Karen Ge Aur Tumhari Jamaat Khuah Kitni Hi Kaseer
(Huge) Ho Tumhare Kuch Bhi Kaam Na Aye Gi.Aur Khuda Toh Mominoun Ke Sath Hai.
20
Ae Eemaan Walo! Khuda Aur Us Ke Rasool S.A.W.
Ke Hukum Par Chalo, Aur Us Se Roo Gardaani Na Karo Aur Tum Sunte Ho.
21
Aur Un Lougon Jaise Na Hona Joh Kehte Hain Ke
Ham Ne Hukum-E-Khuda Sun Liya Magar Haqeeqat Main Nahi Sunte.
22
Kuch Shak Nahi Ke Khuda Ke Nazdeek, Tamaam
Jaandaaroun Se Bad Tar, Behre Goonge Hain Joh Kuch Nahi Samajhte.
23
Aur Agar Khuda Un Main Naiki Ka Maada Daikhte
Toh Us Ko Sunne Ki Toufeeq Bakhashta.Aur Agar Bagair Salahiyat Hidayat Ke
Samaat (Listning Power) Deta Toh Wo Moon Phair Kar Bhaag Jate.
24
Momino!Khuda Aur Us Ke Rasool S.A.W. Ka Hukum
Qabool Karo Jab Ke Rasool-E-Khuda S.A.W. Tumhain Aise Kaam Ke Liye Bulate Hain
Joh Tum Ko Zindagi-E-Jaawedaan Bakhashta Hai.Aur Jaan Rakho Ke Khuda Admi Aur
Us Ke Dil Ke Darmiyaan Hail Ho Jata Hai, Aur Ye Bhi Ke Tum Sab Us Ke Ru Baru
Jamaa Kiye Jao Ge.
25
Aur Is Fitne Se Daro Joh Khasoosiyat Ke Sath
Unheen Lougon Par Waaqe Na Hoga Jo Tum Main Gunnehgaar Hain.Aur Jaan Rakho Ke
Khuda Sakht Azaab Dene Wala Hai.
26
Aur Us Waqt Ko Yaad Karo Jab Tum Zameen-E-Makkah
Main Qalleel Aur Zaeef Saamjhe Jaate The, Aur Darte Rehte The Ke Loug Tumhain
Ura Na Le Jayen Yaani Be Khaanmaan Na Kar Dain, Toh Us Ne Tum Ko Jaga Di Aur Apni Madad Se Tum Ko
Taqwiyat Bakhshi Aur Paakeeza Cheezain Khane Ko Deen Taa-Ake Us Ka Shukar Karo.
27
Ae Eemeen Walo! Na Toh Khuda Aur Rasool S.A.W.
Ki Amanat Main Khiyanat Karo Aur Na Apni Amaanatoun Main Khiyanat Karo Aur Tum
In Batoun Ko Jaante Ho.
28
Aur Jaan Rakho Ke Tumhara Maal Aur Aulaad, Bari Aazmaaish Hai, Aur
Ye, Ke Khuda Ke Paas Naikiyoun Ka Bara Sawaab Hai.
29
Momino! Agar Tum Khuda Se Daro Ge Toh Wo
Tumhare Liye Amar-E-Fariq Paida Kar De Ga Yaani Tum Ko Mumtaaz Kar De Ga ,
To Wo Tumhare Gunaah Mita De Ga Aur Tumhain Bakhash De Ga. Aur Khuda Bare Fazal Wala Hai.
30
Aur Ae Muhamaad S.A.W. Us Waqt Ko Yaad Karo
Jab Kaafir Loug Tumhare Bare Main Chaal Chal Rahe The Ke Tum Ko Qaid Kar Dain,
Ya Jaan Se Maar Dain Ya Watan Se Nikaal Dain, Toh Udhar Toh Wo Chaal Chal Rahe
The Aur Idhar Khuda Chaal Chal Raha Tha.Aur Khuda Sab Se Behtar Chaal Chalne
Wala Hai.
31
Aur Jab Un Ko Hamari Aayatain Parh Kar Sunai
Jaati Hain To Kehte Hain Ye Kalaam Ham Ne Sunn Liya Hai, Agar Ham Chahain Toh
Isi Tarha Ka Kalaam Ham Bhi Keh Dain Aur Yeh Hai Hi Kia Sirf Agle Lougon Ki
Hikayatian Hain.
32
Aur Jab Unhoun Ne Kaha, Ke Ae Khuda Agar Ye
Quraan Teri Taraf Se Bar Haq Hai Toh Ham Par Aasmaan Se Pathar Barsa, Ya Koi
Aur Takleef Dene Wala Azaab Bhaij.
33
Aur Khuda Aisa Na Tha Ke Jab Tak Tum Un Main
The Unhain Azaab Deta .Aur Na Aisa Tha Ke Wo Bakhshish Maangain Aur Unhain
Azaab De.
34
Aur Ab Un Ke Liye Koun Si Waja Hai Ke Wo Unhain
Azaab Na De, Jab Ke Wo Masjid-E-Mohtaram Main Namaaz Parhne Se Rokte Hain, Aur
Wo Is Masjid Ke Muttwalli Bhi Nahi Hain.Is Ke Muttawalli Toh Sirf Parhaizgaar
Hain.Lekin Un Main Ke Aksar Nahi Jaante.
35
Aur Un Lougon Ki Namaaz Khana-E-Kaaba Ke Paas
Seetiyan (Wihistle) Aur Taaliyan (Clapping) Bajane Ke Siwa Kuch Na Thi.Toh Tum
Joh Kufur Karte The Ab Us Ke Badle Azaab Ka Mazah Chakho.
36
Joh Loug Kaafir Hain Apna Maal Kharch Karte
Hain Ke Lougon Ko Khuda Ke Raste Se Rokain.So Abhi Aur Kharach Karen Ge Magar
Aakhir Wo Kharch Karna Un Ke Liye Mooajab Afsos Hoga Aur Wo Magloob Ho Jayen
Ge. Aur Kaafir Loug, Dozakh Ki Taraf Haanke Jayen Ge.
37
Taa-Ake Khuda Paak Se Napaak Ko Alag Kar De
Aur Napaak Ko Aik Doosre Par Rakh Kar Aik Dhair Bana De.Phir Us Ko Dozakh Main
Daal De.Yahi Loug Khasara Pane Wale Hain.
38
Ae Paigambar S.A.W. Kuffaar Se Keh Do Ke Agar
Wo Apne Afaal Se Baaz Aa Jaye Toh Jo Ho Chukka Wo Unhain Moaaf Kar Dia Jaye Ga.
Aur Agar Phir Wo Hi Harkat Karne Lagain Ge
Toh Agle Lougon Ka Joh Tareeq Jaari Ho Chukka Hai Wo Hi Un Ke Haq Main
Barhta Jaye Ga.
39
Aur Un Lougon Se Larte Raho Yahan Tak Ke Fitna
Yaani Kufur Ka Fisaad Baaqi Na Rahe, Aur Deen Sab Khuda Hi Ka Ho Jaye Aur Agar
Baaz Aa Jayen Toh Khuda Un Ke Kaamoun Ko Daikh Raha Hai.
40
Aur Agar Ru Gardaani Karain Toh Jaan Rakho Ke
Khuda Tumhara Himayati Hai.Aur Wo Khoob Himayati Aur Khoob Madadgaar Hai.
41
Aur Jaan Rakho Ke Joh Cheez Tum Kuffaar Se
Loot Kar Laao Us Main Se Paanchwaan (5th) Hissa Khuda Aur Us Ke
Rasool S.A.W. Ka Aur Ehl-E-Qarabat Ka Aur Yateemoun Ka Aur Mohtaajoun Ka Aur
Musafiroun Ka Hai.Agar Tum Khuda Par Aur Us Nusrat Par Eemaan Rakhte Ho, Jo Haq-O-Baatil
Main Farq Karne Ke Din, Yaani Jung-E-Badar Main, Jis Din Dono Fojoun Main Mudh
Bhair Ho Gai.Apne Bande Muhammad S.A.W. Par Naazil Farmaiyee.Aur Khuda Har
Cheez Par Qaadir Hai.
42
Jis Waqt Tum Madeene Se Qareeb Ke Naake Par
The, Aur Kafir Baeed Ke Naake Par, Aur Qaafla Tum Se Neeche Utar Gaya Tha.Aur
Agar Tum Jung Ke Liye Aapas Main Qaraardaad Kar Lete, Toh Waqt-E-Moiyyan Par
Jama Hone Main Taqdeem-O-Taakheer Ho Jati.Lekin Khuda Ko Manzoor Tha Ke Joh
Kaam Ho Kar Rehne Wala Tha Use Kar Hi Dale, Taa-Ake Jo Mare (Die) Baseerat Par,
Yani Yaqeen Jaan Kar Mare, Aur Jo Jeeta (Live) Rahe Wo Bhi Baseerat Par Yaani
Haq Pehchaan Kar Jeeta Rahe.Aur Kuch Shak Nahi Ke Khuda Sunta Jaanta Hai.
43
Us Waqt Khuda Ne Tumahin Khuaab Main Kaafiroun
Ko Thori Taadaad Main Dikhaya.Aur Agar Bohot Kar Ke Dikhata To Tum Loug Ji Chor
Dete Aur Jo Kaam Darpaish Tha Us Main Jhagarne Lagte Lekin Khuda Ne Tumhain Us
Se Bacha Liya.Beshak Wo Seenoun Ki Batoun Tak Se Waqif Hai.
44
Aur Us Waqt Jab Tum Aik Doosre Ke Muqabil Hue
Toh Kaafiroun Ko Tumhari Nazroun Main Thora Kar Ke Dikhata Tha, Aur Tum Ko Un
Ki Nigaahoun Main Thora Kar Ke Dikhata Tha Taa-Ake Khuda Ko Joh Kaam Karna
Manzoor Tha Use Kar Dale.Aur Sab Kaamoun Ka Rujoo Khuda Hi Ki Taraf Hai.
45
Momino! Jab Kuffar Ki Kisi
Jamaat Se Tumhara Muqaabla Ho Toh Sabit Qadam Raho Aur Khuda Ko Bohot Yaad Karo
Taa-Ake Muraad Hasil Karo.
46
Aur Khuda Aur Us Ke Rasool S.A.W. Ke Hukum Par
Chalo Aur Apas Mai Jhagra Na Karna Ke Aisa Karo Ge Toh Tum Buzdil Ho Jao Ge,
Aur Tumhara Iqbaal Jaata Rahe Ga Aur Sabar Se Kaam Lo.Ke Khuda Sabar Karne
Waloun Ka Madadgaar Hai.
47
Aur Un Lougon Jaise Na Hona Joh Itraate Hue
Yaani Haq Ka Muqaabla Karne Ke Liye Aur Lougon Ko Dikhane Ke Liye Gharoun Se
Nikal Aaye Aur Lougon Ko Khuda Ki Raah Se Rokte Hain.Aur Joh Aamaal Ye Karte
Hain Khuda Un Par Aahata Kiye Hue Hai.
48
Aur Jab Shaitaanoun Ne Un Ke Aamaal Un Ko
Aaraasta Kar Dikhaye Aur Kaha Ke Aaj Ke Din Lougon Main Koi Tum Par Gaalib Na
Hoga Aur Main Tumhara Rafeeq Hoon Lekin Jab Dono Foujain Aik Doosre Ke Muqabil
Saf-E-Aaraa Hue Toh Paspa Ho Kar Chal Dia Aur Kehne Laga Ke Mujeh Tum Se Koi
Waasta Nahi.Main Toh Aisi Cheezain Daikh Raha Hoon Jo Tum Nahi Daikh Sakte
.Mujhe Toh Khuda Se Dar Lagta Hai.Aur Khuda Sakht Azab Karne Wala Hai.
49
Us Waqt Munafiq Aur Kaafir Jin Ke Diloun Main
Marz Tha Kehte The Ke In Lougon Ko In Ke Deen Ne Magroor Kar Rakha Hai Aur Joh
Shakhs Khuda Par Bharosa Rakhta Hai Toh Khudua Gaalib Hikmat Wala Hai.
50
Aur Kaash Tum Us Waqt Ki Kaifiyat Daikho.Jab
Farishte Kaafiroun Ki Jaanain Nikaalte Hain, Un Ke Moohoun Aur Peethoun Par
Kore Aur Hathore Wagaira Maarte Hain Aur Kehte Hain Ke Ab Azaab-E-Aatish Ka
Mazah Chakho.
51
Yeh Un Amaal Ki Saza Hai Jo Tumhare Hathoun Ne
Aage Bhaije Hain.Aur Ye Jaan Rakho Ke Khuda Bandoun Par Zulm Nahi Karta.
52
Jaisa Haal Firowniyoun Ka Aur Un Se Pehle
Lougon Ka Hua Tha Waisa Hi Un Ka Hua Ke Unhoun Ne Khuda Ki Aayatoun Se Kufur Kia Toh Khuda Ne Un Ke
Gunnahoun Ki Saza Main Un Ko Pakar Liya.Be Shak Khuda Zabardast Aur Sakht Azaab
Dene Wala Hai.
53
Ye Is Liye Ke Joh Naimat Khuda Kisi Qoum Ko Dia Karta Hai Jab Tak Wo Khud Apne Diloun Ki
Halat Na Badal Daalain Khuda Usse Nahi Badla Karta.Aur Is Liye Ke Khdua Sunta
Jaanta Hai.
54
Jaisa Haal Firowniyoun Aur Un Se Pehle Lougon
Ka Hua Tha Waisa Hi Un Ka Hua, Unhoun Ne Apne Parwardigaar Ki Aayatoun Ko Jhutlaya,
Toh Ham Ne Un Ko Un Ke Gunaahoun Ke Sabab Halak Kar Daala Aur Firowniyoun Ko
Dibo Dia .Aur Wo Sab Zalim The.
55
Jaandaaroun Main Sab Se Bad Tar Khuda Ke
Nazdeek Wo Loug Hain Joh Kaafir Hain So Wo Eemaan Nahi Late.
56
Jin Lougon Se Tum Ne Sulaah Ka Ehed Kia Hai
Phir Wo Har Baar Apne Ehed Ko Tour Daalte Hain Aur Khuda Se Nahi Darte.
57
Agar Tum Un Ko Larayee Main Paao Toh Unhain
Aisi Saza Do Ke Joh Loug Un Ke Pase Pusht Houn Wo Un Ko Daikh Kar Bhaag Jayen
Ajab Nahi Ke Un Ko Is Se Ibrat Ho.
58
Aur Agar Tum Ko Kisi Qoum Se Dagha Baazi Ka
Khof Ho Toh Un Ka Ehed Unhi Ki Taraf Phaink Do Aur Barabar Ka Jawab Do Kuch
Shak Nahi Ke Khuda Daga Baazoun Ko Dost Nahi Rakhta.
59
Aur Kaafir Ye Na Khayal Karen Ke Wo Bhaag
Nikle Hain.Wo Apni Chaaloun Se Ham Ko Har Gizz Aajiz Nahi Kar Sakte.
60
Aur Jahaan Tak Ho Sake Fouj Ki Jameeyat Ke Zor
Se Aur Ghoroun Ke Taiyaar Rakhne Se Un Ke Muqaable Ke Liye Mustaaid Raho Ke Us
Se Khuda Ke Dushmanoun Aur Tumhare Dushmanoun Aur Un Ke Siwa Aur Lougon Par Jin
Ko Tum Nahi Jaante Aur Khuda Jaanta Hai Haibat Baithi Rahe Gi.Aur Tum Jo Kuch
Raah-E-Khuda Main Kharch Karo Ge Us Ka Sawab Tum Ko Poora Poora Dia Jaye Ga Aur
Tumhara Zara Nuqsaan Na Kia Jaye Ga.
61
Aur Agar Ye Loug Sulaah Ki Taraf Mail Houn Toh
Tum Bhi Us Ki Taraf Mail Ho Jao Aur Khuda Par Bharosa Rakho.Kuch Shak Nahi Ke
Wo Sab Kuch Sunta Aur Jaanta Hai.
62
Aur Agar Ye Chaahain Ke Tum Ko Faraib Dain Toh
Khuda Tumhain Kifayat Kare Ga.Wo Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Apni Madad Se Aur
Musalmanoun Ki Jamiyat Se Taqwiyat Bakhshi
.
63
Aur Un Ke Diloun Main Ulfat Paida Kar Di.Aur
Agar Tum Dunia Bhar Ki Dolat Kharch Karte Tab Bhi Un Ke Diloun Main Ulfat Paida
Na Kar Sakte.Magar Khuda Hi Ne Un Main Ulfat Daal Di.Be Shak Wo Zabardast Aur Hikmat Wala Hai.
64
Ae Nabi S.A.W. Khuda Tum Ko Aur Momino Ko Joh
Tumhare Pairo Hain Kafi Hai.
65
Ae Nabi! Musalmanoun Ko Jahaad Ki Targeeb
Do.Agar Tum Main Bees (20)Aadmi Saabit Qadam Rehne Wale Houn Ge To Do Sou (200)
Kariroun Par Gaalib Rahain Ge.Aur Agar Sou(100)Aise Houn Ge Toh Hazaar(1000)
Par Gaalib Rahain Ge.Is Liye Ke Kafir Aise Loug Hain Ke Kuch Bhi Samajh Nahi
Rakhte.
66
Ab Khuda Ne Tum Par Se Bojh Halka Kar Dia Aur
Maloom Kar Liya Ke Abhi Tum Main Kisi Qadar Kamzori Hai.Pas Agar Tum Main Aik
Sou (100) Sabit Qadam Rehne Wale Houn Ge Toh Do Sou(200) Par Gaalib Rahain
Ge.Aur Agar Aik Hazar(1000) Houn Ge Toh Khuda Ke Hukum Se Do Hazaar (2000) Par
Galib Rahain Ge.Aur Khuda Saabit Qadam Rehne Waloun Ka Madad Gaar Hai.
67
Paigambar Ko Shaayaan Nahi Ke Us Ke Qabze Main
Qaidi Rahain Jab Tak Kafiroun Ko Qatal Kar Ke Zameen Main Kasrat Se Khoon Na
Baha De.Tum Loug Dunia Ke Maal Ke Taalib Ho.Aur Khuda Akhrat Ki Bhalai Chahata
Hai.Aur Khuda Gaalib Hikmat Wala Hai.
68
Agar Khuda Ka Hukum Pehle Na Ho Chukka
Hota, Toh Joh Fidya Tum Ne Liya Hai Us Ke
Badle Tum Par Bara Azaab Nazil Hota.
69
Toh Joh Maal Ganeemat Tum Ko Mila Hai Usse
Khaao Ke Woh Tumhare Liye Halaal Taiyyab Hai Aur Khuda Se Darte Raho.Be Shak
Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
70
Ae Paigambar Joh Qaidi Tumhare Hath Main
Giriftaar Hain Un Se Keh Do Ke Agar Khuda Tumhare Diloun Main Naiki Maloom Kare
Ga Toh Joh Maal Tum Se Chin Gaya Hai Us Se Behtar Tumahin Inayat Farmaye Ga Aur
Tumhare Gunnah Bhi Moaaf Kar De Ga Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
71
Aur Agar Ye Loug Tum Se Daga Karna Chahain Ge
Toh Ye Pehle Hi Khuda Se Daga Kar Chuke Hain, Toh Us Ne Un Ko Tumhare Qabze
Main Kar Dia .Aur Khuda Daana Hikmat Wala Hai.
72
Joh Loug Eemaan Laye Aur Watan Se Hijrat Kar
Gaye Aur Khuda Ki Raah Main Apne Maal Aur Jaan Se Lare Wo, Aur Jinhoun Ne
Hijrat Karne Waloun Ko Jaga Di Aur Un Ki Madad Ki Wo, Apas Main Aik Doosre Ke
Rafeeq Hain.Aur Joh Loug Eemaan Toh Laaye Lekin Hijrat Nahi Ki Toh Jab Tak Wo
Hijrat Na Karain Tum Ko Un Ki Faraqat Se Kuch Sarokaar Nahi.Aur Agar Wo Tum Se
Deen Ke Moaamlaat Main Madad Talab Karain Toh Tum Ko Madad Karni Laazm Ho Gi.Magar
Un Lougoun Ke Muqable Main Ke Tum Main
Aur Un Main Sulah Ka Ehed Ho Madad Nahi Karni Chahiye Aur Khuda Tumhare Sab
Kamoun Ko Daikh Raha Hai.
73
Aur Joh Loug Kaafir Hain Wo Bhi Aik Doosre Ke Rafeeq Hain.Toh Momino Agar
Tum Yeh Kaam Na Karo Ge Toh Mulk Main Fitna Barpa Ho Jaye Ga Aur Bara Fisaad
Mache Ga.
74
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Watan Se Hijrat
Kar Gaye Aur Khuda Ki Raah Main Laraiyan Karte Rahe Aur Jinhoun Ne Hijrat Karne
Waloun Ko Jaga Di Aur Un Ki Madad Ki .Ye Hi Loug Sache Muslamaan Hain.Un Ke
Liye Khuda Ke Haan Bakhashish Aur Izzat Ki Rozi Hai.
75
Aur Joh Loug Baad Main Eemaan Laye Aur Watan
Se Hijrat Kar Gaye Aur Tumhare Sath Ho Kar Jahaad Karte Rahe Wo Bhi Tum Hi Main
Se Hain.Aur Rishta Daar Khuda Ke Hukum Ki Ru Se Aik Doosre Ke Ziada Haqdaar
Hain.Kuch Shak Nahi Ke Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!