Friday, 15 July 2016

002-Surah Al-Baqra-Aayaat-286 (Aayat no.130-169)




Soorah

(Aayaat-286)



Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmaane Wala Hai
130
Aur Ibraahim Ke Deen Se Koun Roo Gardani(Refuse) Kar Sakta Hai, Bajuz(Siwaye) Us Ke Joh Nihayat Nadan Ho.Ham Ne Un Ko Dunia Main Bhi Muntakhib Kia Tha Aur Aakhrat Main Bhi Who Zumra-E-Sulaah Main Se Honge.


131
Jab Un Se Un Ke Parwardigaar Ne Farmaya Ke Islaam Le Aao Toh Unhon Ne Arz Ki Ke Man Rab-Ul-Aalmeen Ke Aage Sar Itaat(Obey) Kham(Jhukata)Karta Hoon.

132
Aur Ibrahin Ne Apne Baiton Ko Isi Bat Ki Wasiyat Ki Aur Yaqoob Ne Bhi Apne Farzindon(Son) Se Yeh Hi Kaha Ke Beta Allah Ne Tumhare Liye Yeh Hi Deen Pasand Farmaya Hai Tum Marna Toh Musalmaan Hi Marna.

133
Bhala Jis Waqt Yaqoob Wafaat Pane(Near To Death) Lage Toh Tum Us Waqt Mojood The, Jab Unhon Ne Apne Beton(Son)  Se Pooocha Ke Mere Baad Tum Kis Ki Ibadat Karo Ge, Toh Unhon Ne Kaha Ke Aap Ke Mabood Aur Ap Ke Baap Dada Ibrahim Aur Ismail Aur Ishaaq Ke Mabood Ki Ibadat Karen Ge Joh Mabood Yakta(One)Hai Aur Ham Usi Ke Hukum Bardar Hain.

134
Yeh Jamaat Guzar Chuki. Un Ko Un Ke Amaal(Deeds) Ka Badla Mile Ga Aur Tum Ko Tumahre Amaal Ka Aur Joh Amal Woh Karte The Un Ki Purrsissh Tum Se Nahi Hogi.
135
Aur Yahoodi Aur Eesaayee Kehte Hain Ke Yahoodi Ya Eesaayee Ho Jao To Seeedhe Raste Par Lag Jaao. Ae Paigharmbar Un Se Keh Do , Nahi Balke Ham  Deen-E-Ibraheem Ikhtiyaar Kiye Hue Hain Joh  Aik Allah Ke Ho Rahe The Aur Mushrikoun Main Se Na The.

136
Muslamano!  Kaho Ke Ham Allah Par Eemaan Laaye Aur Joh Kitaab Ham Par Utri, Us Par Aur Joh Saheefe Ibrahin Aur Ismaail Aur Ishaaq Aur Yaqoob Aur Un Ki Aulad Par Nazil Hue Un Par ,Aur Joh Kitabain Moosa Aur Eesaa Ko Ata Hueen, Un Par, Aur Joh Aur Paigambaron Ko Un Ke Parwardigaar Ki Taaraf Se Mileen, Un Par Sab Par Eemaan Laye Hum Un Paigambaron Main Se Kisi Main Kuch  Farq Nahi Karte Aur Ham Usi Allah-E-Waahid(One) Ke Farmaanbardaar Hain.

137
Toh Agar Yeh Loug Bhi Usi Tarha Eemaan  Le Aayen Jis Tarha Tum Eemaan Le Aye Ho Toh Hidayat  Yaab Ho Jaayen Aur Agar Moon Phair Lain Aur Na Maane Toh Woh Tumhare Mukhalif Hain Aur Un Ke Muqaable Main Tumhain Allah Kaafi Hai. Aur Woh Sunnne Wala Aur Jaannne Wala Hai.

138
Keh Do Ke Ham Ne Allah Ka Rang Ikhtiyaar Kar Liya Hai Aur Allah Se Behtar Rang Kisi Ka Ho Sakta Hai. Aur Ham Usi Ki Ibaadat Karne Wale Hain.

139
Un Se Kaho, Kia Tum Allah Ke Bare Main Ham Se Jhagarte Ho, Haalaanke Wohi Hamara Aur Tumhara Parwardigaar Hai Aur Ham Ko Hamare Aamaal Ka Badla Mile Ga Aur Tum Ko Tumhare Aamaal Ka Aur Ham Khaas Usi Ki Ibadat Karne Wale Hain.

140
Ae Yahood-O-Nasaara Kia Tum Us Baat Ke Qaail Ho Ke Ibrahim Aur Ismaail Aur Ishaaq Aur Yaqoob Aur Un Ki Aulad Yahoodi Ya Eesaayee Thi. Ae Muhammad S.A.W Un Se Kaho Ke Phir Tum Ziada Jaante Ho Ya Allah? Aur Is Se Barh Kar Zaalim Koun Hai, Joh Allah Ki Shahadat Ko, Joh Us Ke Paas Kitaab Main Mojood Hai Chupaye. Aur Joh Kuch Tum Loug Kar Rahe Ho, Allah Us Se Gaafil Nahi.

 141
Yeh Jamaat Guzarr Chuki.Un Ko Woh Mile Ga Joh Unhon Ne Kia, Aur Tum Ko Woh Joh Tum Ne Kia. Aur Joh Amal Woh Karte The, Un Ki Pursissh Tum Se Nahi Hogi.

142
Ehmaq (Fool) Loug Kahain Ge Ke Muslamaan Jis Qible Par Pehle Se Chale Aate The Ab Us Se Kion Moon Phair Baithe. Tum Keh Do Ke Mashriq Aur Magrib Sab Khdua Hi Ka Hai. Woh Jis Ko Chahta Hai, Seedhe Raste Pe Chalata Hai.

143
Aur Isi Tarha Ham Ne Tum Ko Ummat-E-Motadill(Moderat) Banaya Hai, Taa-Ake Tum Logoun Par Gawah Bano Aur Paigaambar-E- Aakhir-U-Zaamaan  Tum Par Gawah Banain. Aur Jis Qible Par Tum Pehle The, Us Ko Ham Ne Isliye Muqarrar Kia Tha Ke Maloom Karain, Ke Koun Hamare Paigambar Ka Taabe (Obedient) Rehta Hai, Aur Koun Ulte Paaoun Phir Jata Hai. Aur Yeh Baat Yaani Tehweel-E-Qibla Logon Ko Giraan Maloom Hui, Magar Jin Ko Allah Ne Hidayat Bakhshi Woh Isse Giraan Nahi Samajhe Aur Allah Aisa Nahi Ke Tumhare Eemaan Ko Yoounhi Kho De. Allah Toh Logoun Par Bara Meherbaan Aur Sahib-E-Rehmat Hai.

144
Ae Muhammad Ham Tumhara Aasmaan Ki Taraf Moon Phair Phair Kar Daikhna, Daikh Rahe Hain. So Ham Tum Ko Usi Qible Ki Taraf Jis Ko Tum Pasand Karte Ho, Moon Karne Ka Hukum Dainge Toh Apna Moon Masjid-E-Haraam Yaani Khaaan-E-Kaaba Ki Taraf Phair Lo. Aur Tum Log Jahan Hua Karo, Namaz Parhne Ke Waqt Usi Masjid Ki Taraf Moon Kar Liya Karo. Aur Jin Logon Ko Kitaab Di Gai Hai, Woh Khoob Jaante Hain Ke Naya Qibla Un Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai. Aur Joh Kaam Yeh Log Karte Hain, Allah Un Se Be Khabar Nahi.

145
Aur Agar Tum Un Ehl-E-Kitaab Ke Paas Tamaam Nishaniyan Bhi Le Kar Aao, Toh Bhi ,Yeh Tumhare Qible Ki Pairvi Na Karen.Aur Tum Bhi Un Ke Qible Ki Pairvi Karne Waale Nahi Ho. Aur Un Main Se Bhi Baaz, Baaz Ke Qible Ke Pairwah Nahi . Aur Agar Tum Ba Wajood Us Ke Ke Tumhare  Paas  Daanish Yaani Wahi-E-Allah Aa Chuki Hai, Un Ki Khuahish Ke Peeche Chalo Ge Toh Zaalimon Main Daakhil Ho Jao  Ge.



146
Jin Logon Ko Ham Ne Kitaab Di Hai, Woh In Aakhir Paigambar-E-Aakhir-Uz-Zamaa Ko Is Tarha Pehchante Hain, Jis Tarha Apne Baiton Ko Pechana Karte Hain, Magar Aik Fareeq Un Main Se Sachi Baat Ko Jaan Boojh Kar Chupa Raha Hai.

147
Ae Paigambar, Yeh Naya Qibla Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai Toh Tum Har Gizz Shak Karne Walon Main Na Hona.

148
Aur Har Aik Firqe Ke Liye  Aik Simt(Direction) Muqarrar Hai Jidhar Woh Ibaadat Ke Waqt Moon Kia Karte Hain. Toh Tum Naikiyon Main Sabqat Haasil Karo. Tum Jahan Ho Ge Allah Tum Sab Ko Jama Kar Le Ga. Beshak Allah Har Cheez Par Qaadir Hai.

149
Aur Tum Jahaan Se Niklo, Namaz Main Apna Moon Masjid-E-Mohtaram Ki Taraf Kar Liya Karo, Be Shak Woh Tumhare Parwardigaar Ki Taraf Se Haq Hai. Aur Tum Log Joh Kuch Karte Ho.Allah Us Se Be Khabar Nahi.



150
Aur Tum Jahan Se Niklo Masjid-E-Mohtaram Ki Taraf Moon Karke Namaaz Parha Karo. Aur Musalmano! Tum Jahaan Hua Karo, Usi Masjid Ki Taraf Rukh Kia Karo. Ye Takeed Isliye Ki Gai Hai Ke Log Tum Ko Kisi Tarha Ka Ilzaam Ne De Sakain. Magar Un Main Se Joh Zaalim Hain, Woh Ilzaam Dain Toh Dain So Un Se Mat Darna Aur Mujh Se Darte Rehna. Aur Yeh Bhi Maqsood Hai Ke Main Tum Ko Apni Tamaam  Naimatain Bakhsoon Aur Yeh Bhi Ke Tum Raah-E-Raast Par Chalo.

151
Jis Tarha (Minjamla Aur Naimaton Ke) Ham Ne Tum Main Tum Hi Main Se Aik Rasool Bhaije Hain, Joh Tum Ko Hamari Aayatain Parh Parh Kar Sunate, Aur Tumhain Paak Banaate Aur Kitaab Yaani(Quraan)Aur Daanayee Sikhate Hain,Aur Aisi Batain Batate Hain, Joh Tum Pehle Nahi Jaante The.

152
So Tum Mujhe Yaad Kia Karo. Main Tumhain Yaad Kia Karoon Ga. Aur Mera Ehsaan Maante Rehna Aur Na Shukri Na Karma.




153
Ae Eemaan Walo Sabar Aur Namaaz Se Madad Liya Karo Be Shak Allah Sabar Karne Walon Ke Sath Hai.

154
Aur Joh Log Allah Ki Raah Main Mare Jaayain Un Ki Nisbat Yeh Na Kehna Ke Woh Mare Hue Hain Woh Murda Nahi Balke Zindaa Hain Lekin Tum Nahi Jaante.

155
Aur Ham Kisi Qadar Khof Aur Bhook Aur Maal Aur Jaanoun Aur Maiwoun Ke Nuqsaan Se Tumhari Aazmaaish Karain Ge
Toh Sabar Karne Walon Ko Allah Ki Khusnoodi Ki Basharat(News) Suna Do.

156
In Logon Par Jab Koi Museebat Nazil Hoti Hai Toh Kehte Hain Ke Ham Allah Hi Ka Maal Hain Aur Ussi Ki Taraf Lout Kar Jaane Wale Hain.

157
Yeh Hi Loug Hain Jin Par Un Ke Parwardigaar Ki Meherbaani Aur Rehmat Hai. Aur Yeh Hi Seedhe Raste Par Hain.


158
Be Shak Koh-E-Safa Aur Marwa Allah Ki Nishaaniyon Main Se Hain. Toh Joh Shakhs Khaana-E-Kaaba Ka Haj Ya Umarah Kare Us Par Kuch Gunnah Nahi Ke ,Dono Ka Tawaaf Kare. Balke Tawaaf Aik Qisam Ka Naik Kaam Hai. Aur Joh Koi Naik Kaam Kare Toh Allah Qadar Shanaas Aur Dana Hai.

159
Joh Log Hamare Hukmoun Aur Hidayatoun Ko Joh Ham Ne Naazil Ki Hain Kisi Garz-E-Faasid Se Chupate Hain Bawajood Yeh Ke Ham Ne Un Logon Ke Samjhane Ke Liye Apni Kitaab Main Khol Khol Kar Biyaan Kar Dia Hai. Aison Par Allah Aur Tamaam Laanat Karne Wale Laanat Karte Hain.

160
Haan Joh Touba Karte Hain Aur Apni Haalat Drust Kar Laete Aur Ehkaam-E-Ilaahi Ko Saaf Saaaf Bayaan Kar Dete Hain Toh Main Un Ke Qasoor Moaaf Kar Deta Hoon Aur Main Bara Moaaf Karne Wala Aur Rehem Wala Hoon.


161
Joh Log Kaafir Hue Aur Kafir Hi Mare Aison Par Khduda Ki Aur Farishton Ki Aur Logon Ki Sab Ki Laanat.

162
Woh Hamaisha Isi Laanat Main Giriftaar Rahain Ge. Un Se Na Toh Azaab Halka Hi Kia Jaye Ga Aur Na Unhain Kuch Mohlat Mile Gi.

163
Aur Logo Tumhara Maabood Allah-E-Waaahid Hai  Is Bare Meherbaan Aur Rehem Waale Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi.

164
Be Shak Aasmaanon Aur Zameen Ke Paida Karne Main Aur Raat Din Ke Aik Doosre Ke Peeche Aane Jaane Main Aur Kashtiyon Aur Jahaazon Main ,Joh Darya Main Logon Ke Faaide Ke Liye Rawaaan Hain Aur Meenh(Rain) Main Jis Ko Allah Aasmaan Se Barsaata Aur Us Se Zameen Ko Marne Ke Baad Zinda Yaani Khushk Hue Peeche Sar Sabz Kar Deta Hai Aur Zameen Par Har Qisam Ke Janwar Phailane Main Aur Hawaaon Ke Chalaane Main Aur Baadlon Main Joh Aasmaan Aur Zameen Ke Darmayaan Ghire Rehte Hain.Aqalmandoun Ke Liye Allah Ki Qudrat Ki Nishaniyan Hain.






165
Aur Baaz Loug Aise Hain Joh Gair Allah Ko Shareek-E-Allah Banate Aur Un Se Allah Ki Si Mohabaat Karte Hain.Lekin Joh Eemaan Wale Hain Woh Toh Allah Hi Ke Sab Se Ziada Dost Daar Hain. Aur Ae Kaash Zalim Loug Joh Baat Azaab Ke Waqt Daikhen Ge Ab Daikh Lete Ke Sab Tarha Ki Taqat Allah Hi Ki Hai, Aur Yeh Ke Allah Sakht Azaab Karne Wala Hai.

166
Us Din Kufar Ke Paisahwa Apne Pairwoun Se Bezaari Zaahir Karen Ge Aur Dono Azaab-E-Elaahi Daikh Lainge Aur Un Ke Apas Ke Taluuqaat Munqataa(Disconnect) Ho Jaye Ge.

167
Yeh Haal Daikh Kar Pairwi  Karne Wale Hasrat Se Kahain Ge Ke Ae Kaash Hamain Phir Dunia Main Jana Naseeb Ho Ta ,Keh Jis Tarha Yeh Ham Se Baizaar Ho Rahe Hain Usi Tarha Ham Bhi In Se Bezaar Houn.Usi Tarha Allah Un Ke Aamaal Unhain Hasrat Bana Kar Dikhaye Ga Aur Woh Dozakh Se Nikal Nahi Sakain Ge.

168
Lougo Joh Cheezain Zameen Main Halaal-E-Taiyab Hain Woh Khaao Aur Shaitaan Ke Qadmon Par Na Chalo. Woh Tumhara Khula Dushman Hai.

169
Woh Tum Ko Burai Aur Be Hayahee Hi Ke Kaam Karne Ko Kehta Hai Aur Yeh Bhi Ke Allah Ki Nisbat Aisi Batain Kaho Jin Ka Tumhain Kuch Bhi Ilm Nahi .


---CONTINUED---
Sadaqallah-Ul-Azeem

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!