Saturday 30 July 2016

003-Surah Al-Imraan-Aataat-100-200





Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan,Nihayat Rehem  Wala 
Hai.

101
Aur Tum Kion Kar Kufur Karo Ge, Jab Ke Tum Ko Khuda Ki Aayatain Parh Parh Kar Sunayee Jati Hain, Aur Tum Main Us Ke Paigambar Mojood Hain, Aur Jis Ne Khuda Ki Hidayat(Guidence) Ki Rassi(Robe) Ko Mazboot Pakar Liya Woh Seedhe Raste Lag Gaya.

102
Momino! Khuda Se Daro Jaisa Ke Us Se Darne Ka Haq Hai, Aur Marna Toh Musalmaan Hi Marna.

103
Aur Sab Mill Kar Khuda Ki Hidayat Ki Rassi Ko Mazboot Pakre Rehna , Aur Muttfariq(Secterianism) Na Hona, Aur Khuda Ki Is Meherbaani Ko Yaad Karo Jab Tum Aik Doosre Ke Dusman The, Toh Us Ne Tumhare Diloun(Hearts) Main Ulfat(Affection/Love) Daal Di Aur Tum Us Ki Meherbaani Se Bhai Bhai Ho Gaye, Aur Tum Aag Ke Garhe( Fire Hole) Ke Kinare Tak Pohonch Chuke The, Toh Khuda Ne Tum Ko Us Se Bacha Liya, Is Tarha Khuda Tum Ko Apni Aayatain Khol Khol Kar Sonata Hai, Taa-Ake Tum Hidayat Paao.

104
Aur Tum Main Aik Jamaat (Group) Aisi Honi Chahiye Joh Lougon Ko Naiki Ki Taraf Bulaye Aur Ache Kaam Karne Ka Hukum (Order) De Aur Bure Kaamon Se Mana Kare, Yeh Hi Loug Hain Joh Nijaat (Success) Pane Wale Hain.

105
Aur Un Lougon Ki Tarha Na Hona Joh Muttfariq (Secterianism) Ho Gaye Aur Ehkaam Baiyann Aane Ke Baad Aik Doosre Se Khilaaf-O-Ikhtilaaf Karne Lage, Yeh Woh Loug Hain Jin Ko Qiamat Ke Din Bara Azaab Hoga.

106
Jis Din Bohot Se Moon (Faces) Safaid (White) Houn Ge, Aur Bohot Se Siaah (Black), Toh Jin Lougon Ke Moon (Face) Siaah Hounge Un Se Khuda Farmaye Ga Kia Tum Eemaan La Kar Kafir Ho Gaye The? Sou Ab Us Kufur Ke Badle Azaab Ke Maze Chakho.


107
 Aur Jin Lougon Ke Moon Safaid Houn Ge Woh Khuda Ki Rehmat Ke Baaghoun (Gardens) Main  Houn Ge Aur Un Main Hamesha Rahian Ge.

108
Yeh Khuda Ki Aayatain Hain, Joh Ham Tum Ko Sehat Ke Sath Parh Kar Sunate Hain Aur Khuda Ehl-E-Aalam (People Of World) Par Zulm Nahi Karma Chahta.

109
Aur Joh Kuch Aasmaanon Main,, Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai, Aur Sab Kamon Ka Rujoo Aur Anjaam Khuda Hi Ki Taraf Hai.

110
Momino! Jitni Ummatain(Quomain) Lougon Main Paida Hueen, Tum Un Sab Se Behtar Ho, Ke Naik Kaam Karne Ko Kehte Ho Aur Bure Kaamon Se Mana Karte Ho, Aur Khuda Par Eemaan Rakhte Ho Aur Agar Ehl-E-Kitaab Bhi Eemaan Le Aate Toh Un Ke Liye Bohot Acha Hota, Un Main Eemaan Lane Wale Bhi Hain Lekin Thore(Little) Aur Aksar Na Farmaan(Disobedient) Hain.

111
Aur Yeh Tumhain Khafeef(Minor) Si Takleef Ke Siwa Kuch Nuqsaan Nahi Pohoncha Sakain Ge, Aur Agar Tum Se Larain Ge, Toh Peeth Phair Kar Bhaag Jayen Ge, Phir Un Ko Madad Bhi Kaheen Se Nahi Mile Gi.

112
Yeh Jahaan Nazar Ayen Ge Zillat Ko Daikhain Ge, Ke Un Se Chimat Rahi Hai Bajiz Is Ke Ke Yeh Khuda Aur Musalmaan Lougon Ki Panah Main Aa Jayen, Aur Yeh Loug Khuda Ke Ghazab(Anger ) Main Giriftaar Hain Aur Nadari(Poverty ) In Se Lipat (Embrass )Rahi Hai, Yeh Islieye Ke Khuda Ki Aayaton Se Inkaar Karte The Aur Us Ke Paighambaron Ko Nahaq Qatal Kar Dete The, Yeh Is Liye Key Yeh Nafarmaani (Disobedient) Kiye Jate Aur Had Se  Barhe Jate The.

113
Yeh Bhi Sab Aik Jaise Nahi Hain, In Ehl-E-Kitaab Main, Kuch Loug Hukm-E-Khuda Par Qaaim Bhi Hain, Joh Raat Ke Waqt Khuda Ki Aayatain Parhte, Aur Us Ke Aage Sajda Karte Hain.


114
Aur Khuda Par Aur Roz-E-Aakhrat (Qiamat) Par Eemaan Rakhte Aur Ache Kaam Karne Ko Kehte Aur Buri Baatoun Se Mana Karte, Aur Naikion Par Lapakte (To Catch )Hain, Aur Yeh Hi Loug Naiko Kaar Hain.

115
Aur Ye Jis Tarha Ki Naiki Karen Ge Is Ki Naqadri (Poverty ) Nahi Ki Jaye Gi, Aur Khuda Parhaiz Gaaroun(Obedient/Who Cares About Islam ) Ko Khoob Janta Hai.

116
Joh Loug Kaafir Hian Un Ke Maal Aur Aulad Khuda Ke Azaab (Punishment) Ko Har Gizz Nahi Taal Sakain Ge, Aur Yeh Loug Ehl-E-Dozakh Hain Ke Hamesha Uis Main Rahain Ge.

117
Yeh Joh Maal Dunia Ki Zindagi Main Kharch Karte Hain Us Ki Misaal Hawa (Air) Ki Si Hai Jis Main Sakht Sardi Ho, Aur Woh Aise Lougon Ki Khaiti Par Chale, Joh Apne Aap Par Zulm Karte The, Aur Usse Tabah Kar Dain, Aur Khuda Ne Un Par Kuch Zulm Nahi Kia, Balke Yeh Khud (Themselves)  Apne Oopar Zulm Kar Rahe Hain.

118
Momino! Kisi Gair Mazhab(Non Muslim) Ke Aadmi Ko Apna Raaz Daan Na Banana, Ye Loug Tumhari Kharabi  Aur Fitna Angaizi Karne Main Kisi Tarha Ki Kotaahi Nahi Karte, Aur Chahate Hain Ke Jis Tarha Ho Tumhain Takleef Pohonche, Un Ki Zabanon  Se Toh Dushmani Zaahir Ho Hi Chuki Hai, Aur Joh Keene Un Ke Seenon Mian Makhfi(Hidden ) Hain Woh Kahin Ziada Hain, Agar Tum Aqal Rakhte Ho Toh Ham Ne Tum Ko Apni  Aayatain Khol Khol Kar Suna Di Hain.

119
Daikho! Tum Aise Saaf Dil Loug Ho, Ke In Lougon Se Dosti Rakhte Ho Haalaanke, Woh Tum Se Dosti Nahi Rakhte Aur Tum Sab Kitaboun Par Eemaan Rakhte Ho,  Aur Woh Tumhari Kitaab Ko Nahi Maante, Aur Jab Tum Se Milte Hain Toh Kehte Hain  Ham Eemaan Le Aaye, Aur Jab Alag Hote Hain Toh Tum Par Gusse Ke Sabab Ungliyan Kaath Kaath Khate Hain,  Un Se Keh Do Ke Bad Bakhto Gusse Main Mar Jao, Khuda Tumhare Diloun Ki Baton Se Khoob Waqif Hai.



120
Agar Tumahin Aasoodgi (Khushi) Hasil Ho, Toh Un Ko Buri Lagti Hai , Aur Agar Ranj(Dukh) Pohonche Toh Khush Hote Hain, Aur Agar Tum Takleefon Ki Bardaasht Aur Un Se Kinara Kashi Karte Raho Ge ,Toh Un Ka Faraib Tumhain Kuch Bhi Nuqsaan Na Pohoncha Sake Ga, Yeh Joh Kuch Karte Hain Khuda Is Par Ahaata Kiye Hue Hai.

121
Aur Is Waqt Ko Yaad Karo Jab Tum Subha (Morning) Ko Apne Ghar Se Rawana Ho Kar Eemaan Waloun Ko Larayee Ke Liye Morchoun ( ) Par Moqa Ba Moqa Muttaiyan (Fix )  Karne Lage Aur Khuda Sab Kuch Sunta Aur Jaanta Hai.

122
Is Waqt Tum Main Se Do Jamaaton (Groups) Ne Ji Chor Daina Chaha Magar Khuda Un Ka Madadgaar Tha, Aur Mominoun Ko Khuda Hi Par Bharosa Karma Chahiye.

123
Aur Khuda Ne Jang-E-Badar Main Bhi Tumhari Madad Ki Thi, Aur Us Waqt Bhi Tum Be Sar-O-Samaan The, Pas Khuda Se Daro Aur Un K Ehsaano (Ehsaan)  Ko Yaad Karo Taa-Ake Shukar Karo.

124
Jab Tum Mominon Se Yeh Keh Kar Un Ke Dil Barha Rahe The, Ke Kia Yeh Kafi Nahi Ke Parwardigaar Teen Hazaar Farishte (Angels) Nazil Kar Ke Tumahin Madad (Help) De.

125
Haan Agar Tum Dil Ko Mazboot Rakho, Aur Khuda Se Darte Raho, Aur Kafir Tum Par Josh Ke Sath Dafaataaan (Jaan Boojh Kar) Hamla (Attack) Kar Dain, Toh Parwardigaar, Paanch Hazaar(5000) Farishte Jin Par Nishaan Hounge, Tumhari Madad Ko Bhiaje Ga.

126
Aur Is Madad Ko Khuda Ne Tumhare Liye Zariya-E-Bisharat Banaya Yaani Is Liye Ke Tumhare Diloun Ko, Is Se Tassali Hasil Ho Warna Madad Toh Khuda Hi Ki Hai Joh Gaalib Aur Hikmat Wala Hai.

127
Yeh Khuda Ne Isl Liye Kia Ke Kaafiron Ki Aik Jamaat Ko Halaak Ya Unhain Zaleel-O-Maglob Kar De Ke Jaise Aye The Waise Hi Nakaam Wapas Jaayen.
128
Ae Paigambar Is Kaam Main Tumhara Kuch Ikhtiyaar Nahi, Ab Do Soortain (Methods) Hain Ya Khuda Un Ke Haal Par Meherbaani Kare Ya Unhain Azaab De, Ke Yeh Zaalim Loug Hain.

129
Aur, Joh Kuch Aasmaano Main Hai, Aur Joh Kuch Zameen Main Hai, Sab Khuda Hi Ka Hai, Woh Jisse Chaahe Bakhsh De, Aur Jise Chahe Azaab Kare Aur Khuda Bakhashne Wala, Meherbaan Hai.
130
Ae Eemaan Walo! Dugna (Double) Chogna (Hackter) Sood (Interest) Na Khao Aur Khuda Se Daro Taa-Ake Nijaat Hasil Karo.

131
Aur Dozakh Ki Aag Se Bacho, Joh Kafiron Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai.

132
Aur Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Itaaa-At(Be Obedient To Rasool) Karo Take Tum Par Rehmat Ki Jaye.

133
Aur Apne Parwardigaar Ki Bakhshish Aur Behshat Ki Taraf Lapko, Jis Ka Arz(Area) Aasmaan Aur Zameen Ke Barabar Hai, Aur Joh Khuda Se Darne Waloun Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai.

134
Joh Aasoodgi Aur Tangi Main Apna Maal Khuda Ki Raah Main Kharch Karte Hain, Aur Ghusse Ko Rokte Aur Lougon Ke Qasoor Moaaf Karte Hain, Aur Khuda Naiko Kaaron Ko Dost Rakhta Hai.

135
Aur Woh , Ke Jab Koi Khulla Gunnah Ya Apne Haq Main Koi Aur Burai Kar Baithete Hain, Toh Khuda Ko Yaad Karte Aur Apne Gunaahon Ki Bakhshish Maangte Hain, Aur Khuda Ka Siwa Gunaah Bakhash Bhi Koun Sakta Hai? Aur Jaan Boojh Kar Apne Affaal (Character/Kirdar) Par Arre Nahi Rehte.

136
Aise Hi Lougon Ka Sila Parwardigaar Ki Taraf Se Bakhshish Aur Baagh (Gardens) Hain, Jin Ke Neeche Nehrain (Lakes) Beh Rahi Hain, Aur Woh Un Main Hamesha Baste Rahian Ge Aur Ache Kaam Karne Waloun Ka Badla Bohot Acha Hai.
137
Tum Lougon Se Pehle Bhi  Bohot Se Waaaqiyaat Guzar Chuke Hain, Toh Tum Zameen Main Sair Kar Ke Daikh Lo, Ke Jhutlaane Walon Ka Kaisa Anjaam Hua.

138
Yeh Quraaan Lougon Ke Liye Biyaan-E-Sareeh,  Aur Ehl-E-Taqwa Ke Liye Hidayat, Aur Naseehat Hai.

139
Aur Diakho, Be Dil Na Hona Aur Na Kisi Tarha Ka Gham Karma Agar Tum Momin-E-Saadiq (Sache) Ho Toh Tum Hi Gaalib Raho Ge.

140
Agar Tumhain Zakham-E-Shikast Laga Hai, Toh Un Lougon Ko Bhi Aisa Zakham Lag Chukka Hai Aur Yeh Din Hain, Ke Ham In Ko Lougon Main Badalte Rehte Hain, Aur Is Se Yeh Bhi Maqsood Tha Ke Khuda Eemaan Waloun Ko Mutmaiz Kar De, Aur Tum Main Se Gawah Banaye Aur Khdua Be Insafon Ko Pasand Nahi Karta.

141
Aur Yeh Bhi Maqsood Tha Ke Khuda Eeman Walon Ko Khalis Momin Bana De, Aur Kaafiron Ko Nabood Kar De.

142
Kia Tum Yeh Samajhte Ho Ke Be Aazmaaish Behshat Main Ja Dakhil Ho Gi, Haalaanke Abhi Khuda Ne Tum Main Se Jahaad Karne Walon Ko Toh Achi Tarha Maloom Kia Hi Nahi, Aur Yeh Bhi Maqsood Hai Ke Woh Sabit Qadam Rehne Walon Ko Maloom Kare.

143
Aur Tum Mout-E-Shahdat Ke Aane Se Pehle Us Ki Tamanna Kia Karte The, So Tum Ne Us Ko Aankhoun Se Daikh Liya.

144
Aur Muhammad S.A.W. Toh Sirf Khuda Ke Paigambar Hain, In Se Pehle Bhi Bohot Se Paighambar Ho Guzre Hain, Bhala Agar Yeh Mar Jayain Ya Maare Jayain Toh Tum Ulte Paaoun Phir Jao? Yaani Murrtad Ho Jao? Aur Joh Ulte Paaon Phir Jaye Ga, Toh Khuda Ka Kuch Nuqsaan Nahi Kar Sake Ga, Aur Khuda Shukar Guzaaron Ko Bhara Sawab De Ga.




145
Aur Kisi Shakhs Main Taqat Nahi Ke Khuda Ke Hukum Ke Bagair Mar Jaye, Us Ne Mout Ka Waqt Muqarrar Kar Ke Likh Rakha Hai, Aur Joh Shakhs Dunia Main Apne Aamaal Ka Badla Chahe, Us Ko Ham Yaheen Badla Dain Ge, Aur Joh Aakhrat Main Talib-E-Sawab Ho Us Ko Wahan Ajar Ata Karain Ge, Aur Ham Shukar Guzaron Ko Anqareeb Bohot Acha Sila Dainge.

146
Aur Bohot Se Nabi Hue Hain Jin Ke Sath Ho Kar Aksar Ehl-E-Allah Khuda Ke Dushmanon Se Lare Hainj, Toh Joh Museebtain Un Par Raah-E-Khuda Main Waqe Hui, Un Ke Sabab Unhon Ne Na Toh Himmat Haari, Aur Na Buzdili Ki Na Kaafiron Se Dabe, Aur Khdua Istiqlaal Rakhne Waloun Ko Dost Rakhta Hai.

147
Aur Is Halat Main Un Ke Moon Se Koi Baat Nikalti, Toh Yeh Hi Ke, Ae Parwardigar Hamare Gunnah Aur Ziaadtiyan Joh Ham Apne Kaamoun Main Karte Rahe Hain Moaaf Farma Aur Ham Ko Sabit Qadam Rakh Aur Kafiron Par Fatah Inayat Kar.

148
Toh Khuda Ne Un Ko Dunia Main Bhi Badla Dia Aur Aakhrat Main Bhi Bohot Acha Badla De Ga, Aur Khuda Naiko Karoun Ko Dost Rakhta Hai.

149
Momino! Agar Tum Kaafiron Ka Kehna Maan Lo Ge Toh Woh Tum Ko Ulte Paaon Phair Kar Murrtad Kar Dainge, Phir Tum Bare Khasaare (Loss) Main Par Jao Ge.

150
Yeh Tumhare Madad Gaar(Helper) Nahi Hain Balke Khuda Tumhara Madadgaar Hai Aur Woh Sab Se Behtar Madadgaar Hai.

151
Ham Anqareeb Kafiroun Ke Diloun (Hearts) Main Tumahra Roub Bitha Dainge, Kion Key Ek Khuda Ke Sath Shirk (Shirk Means K Khuda K E Sath Kisi Aur Ko Bhi Ibadat Ke Qabil Samajhna) Karte Hain Jis  Ki Us Ne Koi Daleel Nazil Nahi Ki Aur Un Ka Thikana Dozah Hai Woh Zalimon  Ka Bohot Bura Thikana Hai.


152
Aur Khuda Ne Apna Waada Sacha Kar Dia Yaani Us Waqt Jab Ke Tum Kaafiroun Ko Us Ke Hukum Se Qatal Kar Rahe The, Yahan Tak Ke Joh Tum Chahate The Khuda Ne Tum Ko Dikha Dia, Us Ke Baad Tum Ne Himmat Haar Di Aur Hukum-E-Paigambar Main Jhagra Karne Lage, Aur Us Ki Nafarmani Ki, Baaz Toh Tum Main Se Dunia Ke Khuawatgaar The Aur Baaz Aakhrat Ke Taalib, Us Waqt Khuda Ne Tum Ko Un Ke Muqaable Se Phiar Kar Bhaga Dia Taa-Ake Tumhari Aazmaaish Kare, Aur Us Ne Tumhara Qasoor Moaaf Kar Dia Aur Khuda Mominon Par Bara Fazal Karne Wala Hai.

153
Woh Waqt Bhi Yaad Karne Ke Laaiq Hai Jab Tum Loug Door Bhage Jate The, Aur Kisi Ko Peeche Phir Kar Nahi Daikhte The, Aur Rasool Allah Tum Ko Tumhare Peeche Khare Bula Rahe The, Toh Khuda Ne Tum Ko Gham Par Gham Pohonchaya, Taa-Ake Joh Cheez Tumhare Hath Se Jati Rahi, Ya Joh Museebat Tum Par Waqe Hui Hai Us Se Tum Andoh Naak Na Ho, Aur Khuda Tumahre Sab Amaal Se Khabardar Hai.

154
Phir Khuda Ne Gham-O-Ranj Ke Baad Tum Par Tassali Nazil Farmayee , Yaani Neend, Ke Tum Main Se Aik Jamaat Par Taari Ho Gai, Aur Kuch Loug Jin Ko Jaan Ke Laale Par Rahe The, Khuda Ke Bare Main  Nahaq  Ayaam-E-Kufur (Kufur Ke Dinoun) Ke Se Gumaan Karte The, Aur Kehte The  Bhala Hamare Ikhtiyaar Ki Kuch Baat Hai? Tum Keh Do Ke Be Shak Sab Batain Khuda Hi Ke Ikhtiyaar Mai Hain, Yeh Loug Bohot Si Batain Diloun Main Makhfi Rakhte Hain, Joh Tum Par Zaahir Nahi Karte The, Kehte The Ke Hamare Bas Ki Baat Hoti Toh Ham  Yahan Qatal Hi Na Kiye Jate, Keh Do Ke Agar Tum Apne Gharon Main Bhi Hote Toh Jin Ki Taqdeer Main Mar Janaa Likha Tha Woh Apni Apni Qatal Gaahon Ki Taraf Zaroor Nikal Aate, Is Se Garz Yeh Thi Ke Khuda Tumahre Seenon Ki Baatoun Ko Aazmaye Aur Joh Kuch Tumhare Diloun Main Hai Us Ko Khalis Aur Saaf Kar De Aur Khuda Diloun Ki Baaton Se Khoob Waqiif Hai.

155
Joh Loug Tum Main Se Ohod Ke Din, Jab Ke Mominoun Aur Kafiroun Ki Do Jamaatain Aik Doosre Se Guth Gayee, Jung Se Bhaag Gaye Toh Un Ke Baaz Afaal Ke Sabab Shaitan Ne Un Ko Phusla Dia, Magar Khuda Ne Un Ka Qasoor Moaaf Kar Dia Be Shak Khuda Bakhshne Wala Aur Burdbaar Hai.

156
Momino ! Un Logon Ke Jaise Na Hona Jo Kufur Karte Hain , Aur In Ke Musalman Bhai Jab Khuda Ki Raah Main Safar Karain Aur Mar Jaayain Ya Jahaad Ko Niklain Aur Maare Jaayain Toh In Ki Nisbat Kehte Hain Ke, Agar Woh Hamare Paas Rehte, Toh Na Marte Aur Na Mare Jate. In Baton Se Maqsood Yeh Hai Ke Khuda Un Lougon Ke Dilon Main Afsos Paida Kar De, Aur Zindagi Aur Mout Toh Khuda Hi  Deta Hai, Aur Khuda Tumahre Sab Kamoun Ko Daikh Raha Hai.

157
Aur Agar Tum Khuda Ke Raaste Main Maare Jao Ya Mar Jao, Toh Joh Maal-O-Mataa Loug Jama Karte Hain Us Se Khuda Ki Bakhshish Aur Rehmat Kaheen Behtar Hai.

158
Aur Agar Tum Mar Jao Ya Maare Jao Khuda Ke Huzoor Main Zaroor Ikhate Kiye Jao Ge.

159
Ae Muhammad.S.A.W. Khuda Ki Meherbaani Se Tumhari Uftaad-E-Mizaaj, Un Lougon Ke Liye Narm Waqe Hui Hai .Aur Agar Tum Bad Khoo Aur Sakht Dil Hote Toh Yeh Tumhare Pas Se Bhaag Khare Hote.Toh Un Ko Moaaf Kar Do, Aur Un Ke Liye Khdda Se Maghfirat Mango.Aur Apne Kaamon Main Un Se Mushawarat Lia Karo.Aur Jab Kisi Kaam Ka Azamm-E-Mussamam (Pakka Irada) Kar Lo Toh Khuda Par Bharosa Rakho.Be Shak Khuda Bharosa Rakhne Walon Ko Dost Rakhta Hai.

160
Aur Khuda Tumahra Madadgaar Hai Toh Tum Par Koi Gaalib Nahi Aa Sakta. Aur Agar Woh Tumhain Chor De, Toh Phir Koun Hai Ke Tumhari Madad Kare Aur Mominon Ko Chahiye, Ke Khuda Hi Par Bharosa  
Rakhain.Har Cheez Se Waqif Hai.


161
Aur Kabhi Nahi Ho Sakta Ke Paighambar Khuda Khayanat Karain. Aur Khiyanat Karne Walon Ko Qiamat Ke Din Khiyanat Ki Hui Chez Khuda Ke Ru Baru Laa Hazir Karni Hogi.Phir Har Shakhs Ko Is Ke Aamaal Ka Poora Poora Badla Dia Jaye Ga Aur Be Insaafi Nahi Ki Jaye Gi.




162
Bhala Joh Shakhs Khuda Ki Khushnoodi Ka Taabe Ho Woh Us Shakhs Ki Tarha Murtakib-E-Khiyanat (Khaiyanat Kare) Ho Sakta Hai Joh Khuda Ki Na Khushi Main Giriftar Ho, Aur Jis Ka Thikana Dozakh Hai,
Aur Woh  Bura Thikana Hai.

163
Un Lougon Ke, Khuda Ke Haan Mukhtalif Muttfawat Darje Hain, Aur Khuda Un Ke Sab Aamaal Ko Diakh Raha Hai.

164
Khuda Ne Mominon Par Bara Ehsaan Kia Hai, Ke Un Main Un Hi Main Se Aik Paighambar Bhaije. Joh Un Ko Khuda Ki Aayatain Parh Parh Kar Sunaate, Aur Un Ko Paak Karte, Aur Khuda Ki Kitaab Aur Danaaaye Sikhate Hain, Aur Pehle Toh Yeh Loug Sareeh Gumrahi Main The.

165
Bhala Yeh Kia Baat Hai Ke Jab Ohod Ke Din Kuffar Ke Hath Se Tum Par Museebat Waqe Hui, Halaanke Jang-E-Badar Main Us Se Do Chand Museebat Tumhare Hath Se Un Par Par Chuki Hai, Toh Tum Chilla (Shout) Uthe, Ke Haye Aafat Ham Par Kahan Se Aa Pari, Keh Do Ke Yeh Tumhari Hi Shamat-E-Aamaal Hai Ke Tum Ne Paighambar Ke Hukum Ke Khilaaf Kia, Beshak Khuda Har Cheez Par Qadir Hai.

166
Aur Joh Museebat Tum Par Dono Jamaaton (Groups) Ke Muqaable Ke Din Waqe Hui, So Khuda Ke Hukum Se Waqe Hui, Aur Us Se Yeh Maqsood Tha Ke Khuda Mominon Ko Achi Tarha Malom Kare.

167
Aur Munafiqon Ko Bhi Maloom Kar Le, Aur Jab Un Se Kaha Gaya Ke Aao Khuda Ke Raste Main Jung Karo Ya Kaafiron Ke Hamloun (Attacks) Ko Roko . Toh Kehne Lage Ke Agar Ham Ko Larayee Ki Khabar Hoti, Toh Ham Zaroor Tumhare Sath Rehte, Yeh Us Din Eemaan Ki Nisbat Kufur Se Ziada Qareeb The. Moon Se Woh Batain Kehte Hain Joh Un Ke Dil Main Nahi Hain. Aur Jo Kuch Yeh Chupate Hain, Khuda Us Se Khoob Waqif Hai.






168
Yeh Khud Toh Jung Se Bach Kar Baith Hi Rahe The Magar Jinhon Ne Raah-E-Khuda Main Jaane(Lifes) Qurbaan Kar Deen, Apne Un Bhaiyon Ke Bare Main Bhi Kehte Hain, Ke Agar Hamara Kaha Maante Toh Qatal Na Hote . Keh Do Ke Agar Sachhe Ho Toh Apne Oopar Se Mout Ko Taal Dena.

169
Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye, Un Ko Mare Hue Na Samjhna, Wo Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai.

170
Joh Kuch Khuda Ne Un Ko Apne Fazal Se Bakhsh Rakha Hai, Us Main Khush Hain . Aur Joh Loug Un Ke Peeche Reh Gaye Aur Shaheed Ho Kar Un Main Shamil Nahi Ho Sake, Un Ki Nisbat Khushiyan Mana Rahe Hain, Ke Qiamat Ke Din Un Ko Bhi Na Kuch Khof Hoga Aur Na Woh Ghamnaak Hounge.

171
Aur Khuda Ke Inaamaat Aur Fazal Se Khush Ho Rahe Hain. Aur Is Se , Ke Khuda Mominon Ka Ajaar Zaaya Nahi Karta.

172
Jinhon Ne Bawajood Zakham Khane Ke, Khuda Aur Rasool Ke Hukum Ko Qabool Kia, Joh Loug Un Main Naiko Kaar Aur Parhaizgaar Hain Un Ke Liye Bara Sawab Hai.

173
Jab Un Se Lougon Ne Aakar Biyan Kia, Ke Kuffar Ne Tumhare Muqable Ke Liye Lashkar Kaseer Jama Kia Hai, Toh Un Se Daro. Toh Un Ka Eemaan Aur Ziada Ho Gaya. Aur Kehne Lage Ham Ko Khuda Kaafi Hai  Aur Woh Bohot Acha Kaar Saaz Hai.

174
Phir Woh Khuda Ki Naimaton, Aur Us Ke Fazal Ke Sath Khush-O-Khurram Wapas Aaye, Un Ko Kisi Tarha Ka Zarrar Na Pohoncha.Aur Woh Khuda Ki Khushnoodi Ke Taabe Rahe. Aur Khdua Bare Fazal Ka Malik Hai.




175
Yeh Khof Dilane Wala Toh Shaitaan Hain, Joh Apne Doston Se Darata Hai, Toh Agar Tum Momin Ho, Toh Un Se Mat Darna Aur Mujhe Hi Se Darte Rehna.

176
Aur Joh Loug Kufur Main Jaldi Karte Hain, Un Ki Waja Se Ghamgeen Na Hona. Yeh Khuda Ka Kuch Nuqsaan Nahi Kar Sakte, Khuda Chahta Hai Ke Aakhrat Main Un Ko Kuch Hisaa Na De, Aur Un Ke Liye  Bara Azaab Taiyaar Hai.

177
Jin Lougon Ne Eemaan Ke Badle Kufur Khareeda Woh Khuda Ka Kuch Nahi Bigaar Sakte, Aur Un Ko Dukh Dene Wala Azaab Hoga.

178
Aur Kafir Loug Yeh Na Khayal Karen, Ke Ham Joh Un Ko Mohlat Diye Jate Hain, Toh Yeh Un Ke Haq Main Acha Hai. Nahi, Balke Ham Un Ko Is Liye Mohlat Dete Hain, Ke Aur Gunnah Kar Lain. Aakhir Kaar Un Ko Zaleel Karne Wala Azaab Hoga.

179
Logo!  Jab Tak Khuda Napaak Ko Paak Se Alag Na Kar De Ga, Momino Is Ko Haal Main Jis Main Tum Ho Har Gizz Nahi Rehne De Ga. Aur Allah Tum Ko Gaib Ki Baton Se Bhi Mutlaa(Inform) Nahi Kare Ga. Albatta Khuda Apne Paigambaroun Main Se Jisse Chahata Hai Intikhaab Kar Leta Hai .Toh Tum Khuda Par Aur Us Ke Rasooloun Par Eemaan Lao, Aur Agar Eemaan Lao Ge Aur Parhaiz Gari Karo Ge Toh Tum Ko Ajar Azeem Mile Ga.

180
Joh Loug Maal Main, Joh Khuda Ne Apne Fazal Se Un Ko Ata Farmaya Hai, Bukhul Karte Hain, Woh Us Bukhul Ko Apna Haq Main Acha Na Samjhain .Woh Acha Nahi, Balke Un Ke Liye Bura Hai Woh Jis Maal Main Bukhul Karte Hain, Qiamat Ke Din Us Ka Touq Bana Kar Un Ki Gardanon Main Dala Jaye Ga. Aur Aasmaanon Aur Zameen Ka Wairs Khuda Hi Hai. Aur Joh Amal Tum Karte Ho Khuda Ko Maloom Hai.






181
Khuda Ne Un Lougon Ka Qoul Sunn Lia Hai, Joh Kehte Hain Ke Khuda Faqeer Hai Aur Ham Ameer Hain. Yeh Joh  Kehte Hain Ham Us Ko Likh Lainge.Aur Paigambaron Ko Joh Yeh Nahaq Qatal Karte Rahe Hain, Us Ko  Bhi Qalamband Kar Rakhen Ge, Aur Qiamat Ke Roz Kahain  Ge Ke Azaab-E-Aatish Soozaan Ke Maze Chakhte Raho.

182
Yeh Un Kaamon Ki Saza Hai, Joh Tumhare Hath Aage Bhaijte Rahe Hain, Aur Khuda Toh Bandon Par Mutliq Zulm Nahi Karta.

183
Joh Loug Kehte Hain Ke Khuda Ne Hamain Hukum Bhaija, Ke Jab Tak Koi Paighambar Hamare Paas Aisi Niyaaz Le Kar Na Aye, Jis Ko Aag Aa Kar Kha Jaye, Tab Tak Ham Us Par Eemaan Na Layain Ge. Ae Paighambar Un Se Keh Do Ke Mujhe Se Pehle Kai Paighambar Tumhare Paas Khuli Hui Nishaniyan Le Kar Aye, Aur Woh Moujza Bhi Laye, Joh Tum Kehte Ho, Toh Agar Sache Ho Toh Tum Ne Un Ko Qatal Kion Kia?

184
Phir Agar Yeh Loug Tum Ko Sacha Na Samjhain, Toh Tum Se Pehle Bohot Se Paighambar Khuli Hui Nishaniyan Aur Saheefe Aur Roshan Kitaabain Le Kar Aa Chuke Hian Aur Lougon Ne Un Ko Bhi Sacha Nahi Samjha.

185
Har Muttnaffis Ko Mout Ka Maza Chakhna Hai Aur Tum Ko Qiamat Ke Din Tumhare Aamaal Ka Poora Poora Badla Dia Jaye Ga. Toh Joh Shakhs Jahanuum Se Door Rakha Gaya, Aur Behshat  Main Daakhil Kia Gaya, Woh Muraad Ko Pohonch Gaya Aur Dunia Ki Zindagi Toh Dhoke Ka Samaan Hai.

186
Ae Ehl-E-Eemaan Tumhare Maal-O-Jaan Main, Tumhari Aazmaaish Ki Jaye Gi. Aur Tum Ehl-E-Kitaab Se Aur Un Lougon Se, Joh Mushrik Hain, Bohot Se Aieeza Ki Batian Suno Ge.Toh Agar Sabar Aur Parhiazgaari Karte Raho Ge Toh Yeh Bari Himmat Ke Kaam Hain.






187
Aur Jab Khuda Ne Un Lougon Se, Jin Ko Kitaab Inayat Ki Gai Thi, Iqraar Lia,  Ke Is Main Joh Kuch Likha Hai, Usse Saaf Saaf Biayaan Karte Rehna . Aur Us Ki Kisi Baat Ko Chupaana, Toh Unhon Ne Us Ko Pas-E-Pusht Phaink Dia Aur Us Ke Badle Thori Si Qeemat Hasil Ki. Yeh Joh Kuch Hasil Karte Hain Bura Hai.

188
Joh Loug Apne Na Pasand Kaamon Se Khush Hote Hain, Aur Pasandeeda Kaam Joh Karte Nahi, Un Ke Liye Chahahte Hain Ke Un Ki Taareef Ki Jaye, Un Ki Nisbat Khayal Na Karna, Ke Woh Azaab Se Dastgaar Ho Jayen Ge. Aur Unhain, Dard Dene Wala Azaab Hoga.

189
Aur Aasmanon Aur Zameen Ki Baadhsahi Khuda Hi Ko Hai, Aur Khuda Har Cheez Par Qaadir Hai.

190
Beshak, Aasmanon Aur Zameen Ki Paidaaish, Aur Raat Aur Din Ke Badal Badal Ke Aane Jaane Main Aqal Waloun Ke Liye Nishaniyan Hain.

191
Joh Khare Aur Baithe, Aur Laite Har Haal Main Khuda Ko Yaad Karte,  Aur Aasmaan Aur Zameen Ki Paidaaish Main Gor Karte, Aur Kehte Hain Ke Ae Parwardigaar! Tu Ne Is Makhlooq Ko Be Faaida Nahi Paida Kia, Tu Paak Hai Tu Qiamat Ke Din Hamain Dozakh Ke Azaab Se Bachiayo.

192
Ae Parwardigar Jis Ko Tu Ne Dozakh Main Dala Usse Ruswa Kia, Aur Zalimon Ka Koi Madaad Gaar Nahi.

193
Ae Parwardigar Ham Ne Aik Nida Karne Wale Ko Suna, Ke Eemaan Ke Liye Pukaar Raha Tha. Yaani Apne Parwardigaar Pe Eemaan Laao, Toh Ham Eemaan Le Aye, Ae Parwardigaar Hamare Gunnah Moaaf Farma , Aur Hamari Buraiyoun Ko Ham Se Mehev Kar, Aur Ham Ko Dunia Se, Naik Bandon Ke Sath Utha.





194
Ae Parwardgar Tu Ne Jin Jin Cheezoun Ke, Ham Se Apne Paighabaron Ke Zariye Se Waade Kiye Hain, Woh Hamain Ata Farma, Aur Qiamat Ke Din Hamain Ruswa Na Kijiyo, Kuch Shak Nahi Ke Tu Khilaaf-E-Waada Nahi Karta.

195
Toh Un Ke Parwardigaar Ne, Un Ki Dua Qabool Kar Li, Aur Farmaya, Ke Main Kisi Amal Karne Wale Ke Amal Ko, Mard Ho Ya Aurat, Zaaya Nahi Karta, Tum Aik Doosre Ki Jins Ho, Toh Joh Loug Mere Liye Watan Chor Gaye , Aur Apne Gharon Se Nikaale Gaye, Aur Sataye Gaye Aur Lare Aur Qatal Kiye Gaye, Main Un Ke Gunnah Door Kar Doonga, Aur Un Ko Behshaton Main Dakhil Karoonga, Jin Ke Neeche  Nehrain Beh Rahi Hain, Yeh Khuda Ke Haan Se Badla Hai Aur Khuda Ke Haan Acha Badla Hai.

196
Ae Paighambar Kafiron Ka Shehron Main Chalna Phirna, Tumhain Dhoka Na De.

197
Yeh Dunia Ka Thora Sa Faaida Hai, Phir Aakhrat Main Tu Un Ka Thikana Dozak Hai, Aur Woh Buri Jagha Hai.

198
Lekin Joh Loug Apne Parwardigaar Se Darte Rahe, Un Ke Liye Baagh Hain, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain, Aur Un Main Hamesha Rahain Ge, Yeh Khuda Ke Haan Se Un Ki Mehmaani Hai, Aur Joh Kuch Khuda Ke Haan Hai, Woh Naiko Kaaron Ke Liye Bohot Acha Hai.

199
Aur Baaz Ehl-E-Kitaab Aise Bhi Hain Joh Khuda Par, Aur Us Kitaab Par Joh Tum Par Nazil Hui, Aur Us Par Joh Un Par Nazil Hui Eemaan Rakhte Hain, Aur Khuda Ke Aage Aajzi Karte Hain, Aur Khuda Ki Aayaton Ke Badle Thori Si Qeemat Nahi Lete, Yeh Hi Loug Hain Jin Ka Sila Un Ke Parwardigaar Ke Haan Taiyaar Hai, Aur Khuda Jald Hisaab Lene Wala Hai.

200
Ae Ehl-E-Eeman! Kuffar Ke Muqable Main Sabit Qadam Raho Aur Istiqamat Rakho, Aur Morchoun Par Jame Raho, Aur Khuda Se Daro Taa-Ake Muraad Haisl Karo.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!