Soorah-Al-Hadid
Aayaat-29
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Joh Makhlooq Aasmanoun
Aur Zameen Main Hai, Khuda Ki Tasbeeh Karti Hai. Aur Wo Ghalib Aur Hikmat Wala
Hai.
2
Aasmanoun Aur Zameen
Ki Baadshahi Ussi Ki Hai. Wo Hi Zinda Karta Aur Maarta Hai. Aur Wo Har Cheez
Par Qaadir Hai.
3
Wo Sab Se Pehla Aur
Sab Se Pichla Aur Apni Qudratoun Se Sab Par Zahir Aur Apni Zaat Se Posheeda Hai
Aur Wo Tamaam Cheezouan Ko Jaanta Hai.
4
Wo Hi Hai Jis Ne
Aasmaanoun Aur Zameen Ko Che(6) Din Main Paida Kia, Phir Arsh Par Jaa Thehra. Joh Cheez Zameen
Main Dakhil Hoti Aur Joh Us Se Nikalti Hai Aur Jo Aamaan Se Utarti Aur Joh Us
Ki Taraf Charhti Hai, Sab Us Ko Maalom
Hai. Aur Tum Jahan Kahin Ho Wo Tumhare Sath Hai. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho
Khuda Usko Daikh Raha Hai.
5
Aasmanoun Aur Zameen
Ki Baadshahi Ussi Ki Hai. Aur Sab Amoor Ussi Ki Taraf Rujoo Hote Hian.
6
Wo Hi Raat Ko Dinn
Main Dakhil Karta Aur Din Ko Raat Main Dakhil Karta Hai. Aur Wo Diloun Ke
Bhaidoun Tak Se Waqif Hai.
7
Toh Khuda Par Aur Us
Ke Rasool S.A.W. Par Eemaan Lao Aur Jis Maal Main Us Ne Tum Ko Apna Naaib
Banaya Hai, Us Main Se Karch Karo. Joh
Loug Tum Main Se Eemaan Laye Aur Maal Kharch Karte Rehe, Un Ke Liye Bara Sawab
Hai.
8
Aur Tum Kaise Loug Ho
Ke Khuda Par Eemaan Nahi Laate. Halanke Us Ke Paigambar Tumhain Bula Rahe Hain,
Ke Apne Parwardigar Par Eemaan Lao Aur Agar Tum Ko Baawar Ho Toh Wo Tum Se Is
Ka Ehed Bhi Le Chukka Hai.
9
Wo Hi Toh Hai, Jos
Apne Bande Par, Waazeh-Ul-Matlab Aayatain Nazil Karta Hai, Taa-Ake Tum Ko
Andhairoun Main Se Nikaal Kar Roshni Main Laaye. Be Shak Khuda Tum Par Nihayat
Shafqat Karne Wala Aur Meharbaan Hai.
10
Aur Tum Ko Kia Hua Hai
Ke Khuda Ke Raaste Main Kharch Nahi Karte, Halanke Aasmanoun Aur Zameen Ki
Wirasat Khuda Hi Ki Hai .Jis Shaksh Ne Tum Main Se Fatha-E-Makkah Se Pehle
Kharch Kia Aur Larai Ki Wo Aur Jis Ne Ye Kaam Peeeche Kiye Wo, Barabar Nahi. Un
Ka Darja In Logoun Se Kahin Barh Kar Hai Jinhoun Ne Baad Main
Kharch-E-Amwaal Aur Kuffar Se
Jahad-O-Qattal Kia. Aur Khuda Ne Sab Se Sawab-E-Naik Ka Waada Toh Kia Hai. Aur
Joh Kaam Tum Karte Ho Khuda Un Se Waqif Hai.
11
Koun Hai Joh Khuda Ko
Niyat-E-Naik Aur Khaloos Se Qarz De Toh Wo Us Ko Us Se Dugna Ata Kare Aur Us Ke
Liye Izzat Ka Sila Yaani Jannat Hai.
12
Jis Din Tum Momin
Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Daikho Ge, Ke Un Ke Eeman Ka Noor Un Ke Aage Aur Daahni Taraf Chal Raha Hai, Toh Un Se Kaha Jaye Ga Ke Tum Ko Bisharat Ho
Ke Aaj Tumhare Liye Baagh Hain Jin Ke Tale Nehrain Beh Rahi Hain Un Main
Hamesha Raho Ge. Ye Hi Bari Kaambyani Hai.
13
Us Din Munafiq Mard
Aur Munafiq Aurtain Mominoun Se Kahainge, Ke Hamari Taraf Nazar-E-Shafqat
Kijiye, Ke Ham Bhi Tumhare Noor Se Roshni Hasil Karian. Toh Un Se Kaha Jaye Ga
Ke Peeche Ko Lout Jao Aur Wahan Noor Talaash Karo . Phir Un Ke Bech Main Aik
Deewar Khari Kar Di Jaye Gi. Jis Main Aik Darwaza Hoga Joh Us Ki Janib Androoni
Hai Us Main Toh Rehmat Hai Aur Jo Janib-E-Bairooni Hai, Us Taraf
Azaab-O-Aziyat.
14
Toh Munafiq Loug
Mominoun Se Kahain Ge Ke Kia Ham Dunia Main Tumahre Sath Na The Wo Kahain Ge
Kion Nahi The. Lekin Tum Ne Khud Apne Taiyeen Bala Main Dala Aur Hamare Haq
Main Hawaris Ke Muntazir Rahe Aur Islam Main Shak Kia Aur Laa Tail Aarzooon Ne
Tum Ko Dhoka Dia, Yaahan Tak Ke Khuda Ka
Hukum Aa Pohoncha Aur Khuda Ke Baare Main Tum Ko Shaitaan, Dagha Baaz Dagha
Deta Raha.
15
Toh Aaj Tum Se Moaawza
Nahi Liya Jaye Ga Aur Na Wo Kaafiroun Hi Se Qabool Kia Jaye Ga Tum Sab Ka
Thikhana Dozakh Hai. Ke Wo Hi Tumhare Laaiq Hai Aur Wo Buri Jaga Hai.
16
Kia Abhi Tak Mominoun
Ke Liye Is Ka Waqt Nahi Aaya, Ke Khuda Ki Yaad Karne Ke Waqt Aur Quraan Joh
Khudaa-E-Barhaq Ki Taraf Se Nazil Hua Hai, Us Ke Sunn-Ne Ke Waqt Un Ke Dil
Naram Ho Jayen Aur Wo Un Lougon Ki Tarha Na Ho Jaye, Jin Ko Un Se Pehle
Kitabain Di Gai Theen. Phir Un Par Zamaana-E-Taweel(Long Time Of Period) Guzar
Gaya, Toh Un Ke Dil Sakht Ho Gaye. Aur Un
Main Aksar Nafarmaan Hain.
17
Jaan Rakho Ke Khuda Hi
Zameen Ko Us Ke Marne Ke Baad Zinda Karta Hai. Ham Ne Apni Nishaaniyaan Tum Se
Khol Khol Kar Bayan Kar Di Hain Taa-Ake Tum Samjho.
18
Joh Loug Khiaraat
Karne Wale Hain, Mard Bhi Aur Aurtain Bhi.Aur Khuda Ko Niyat-E-Naik Aur Khaloos
Se Qarz Dete Hain, Un Ko Do Chand Ada Kia Jaye Ga Aur Un Ke Liye Izzat Ka Sila
Hai.
19
Aur Joh Loug Khuda Aur
Us Ke Paigambaroun Par Eeemaan Laye Ye Hi Apne Parwardigar Ke Nazdeek Siddique
Aur Shaheed Hain. Un Ke Liye Un Ke Aamaal Ka Sila Hoga. Aur Un Ke Eemeen Ki
Roshni. Aur Jin Lougn Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Wo Hi
Ehl-E-Dozakh Hain.
20
Jaan Rakho Ke Dunia Ki
Zindagi Mehez Khail Aur Tamahsa Aur Zeenat-O-Aaraaish Aur Tumhare Apas Main
Fakhar-O-Sattaaish Aur Maal-O-Aulad Ki Aik Doosre Se Ziada Talab-O-Khuahish Hai,
Us Ki Misaal Aisi Hai Jaise Barish Ke, Us Se Khaiti Ugti Hai Aur Kisanoun Ko
Khaiti Bhali Lagti Hai Phir Wo Khoob Zor Par Aati Hai, Phir Ae Daikhne Wale Tu
Us Ko Daikhta Hai, Ke Pakk Kar Zard Par
Jati Hai Phir Choora Choora Ho Jati Hai Aur Aakhrat Mai Kafiroun Ke Liye
Azaab-E-Shadeed Aur Mominoun Ke Liye Khuda Ki Taraf Se Bakhshish Aur Khushnoodi
Hai. Aur Dunia Ki Zindagi Toh Mataa-E-Faraib Hai.
21
Bando Apne Parwardigar
Ki Bakhshish Ki Taraf Aur Janat Ki Taraf Jis Ka Arz Aasmaan Aur Zmaneen Ke Arz
Ka Sa Hai. Aur Joh un Lougon Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai, Joh Khuda Par Aur Us Ke Paigambaroun Par
Eemaan Laye Hain, Lapko. Ye Khuda Ka
Fazal Hai Jisse Chahe Ata Farmaaye.Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.
22
Koi Museebat Mulk Par
Aur Khud Tum Par Nahi Parti, Magar Paishtar Is Ke, Keh Ham Usko Paida Karian
Aik Kitaab Main Likhi Hui Hai. Aur Ye Kaam Khuda Ko Asaan Hai.
23
Taa-Ake Joh Matlab Tum
Se Fout Ho Gaya Ho, Us Ka Gham Na Khaya Karo Aur Joh Tum Ko Us Ne Dia Ho Us Par
Itraaya Na Karo. Aur Khuda Kisi Itraane Aur Shaikhi Bhagaarne Wale Ko Dost Nahi
Rakhta.
24
Joh Khud Bhi Bukhal
Karain Aur Lougon Ko Bhi Bukhal Sikhayen Aur Joh Shaksh Roo Gardaani Kare, Toh Khuda Bhi Be Parwa Aur Wo Hi Saza
Waar-E-Hamd-O-Sana Hai.
25
Ham Ne Apne
Paigambaron Ko Khuli Nishaaniyen De Kar Bhaija. Aur Un Par Kitabain Nazil Keen
Aur Tarazzu Yaani Qawaaid-E-Adl , Taa-Ake Loug Insaaf Par Qaaim Rahian.Aur Loha
Paida Kia Is Main Asleha-E-Jung Ke Lehaaz Se Khatra Bhi Shaded Hai. Aur Lougon Ke Liye Faaide Bhi Hain Aur Is Liye
Ke Joh Loug Bin Daikhe Khuda Aur Us Ke Paigambaron Ki Madad Karte Hain, Khuda Un
Ko Maloom Kare. Be Shak Khuda Qawi Aur Galib Hai.
26
Aur Ham Ne Nooh Aur
Ibrahim Ko Paigamabar Bana Kar Bhaija Aur Un Ki Aulad Main Paigambari Aur Kitab
Ke Silsile Ko Waqtan Fawaqtan Jari Rakha,
Toh Baaz Toh Un Main Se Hidayat Par Hain.Aur Aksar Un Main Se
Kharij-Az-Ittaa-At Hain.
27
Phir Un Ke Peeche Un
Hi Ke Qadmoun Par Aur Paigamaber Bhaije Aur Un Ke Peeche Maryam A.S. Ke Bete Eesa Ko Bhaijaa Aur Un Ko Injeel
Inayat Ki. Aur Jin Lougon Ne In Ki Pairwi Ki, Un Ke Diloun Main Shafqat Aur
Meherbaani Daal Di. Aur Lazzat Se Kinara Kashi Ki, Toh Unhoun Ne Khud Aik Nai
Baat Nikaal Li, Ham Ne Un Ko Us Ka Hukum Nahi Dia Tha, Magar Unhoun Ne Apne
Khayal Main Khuda Ki Khushnioodi Hasil Kane Ke Liye Aap Hi Aisa Kar Liya Tha, Phir Jaisa Us Ko Nibhana Chahiye Tha Nibha
Bhi Na Sake. Pas Joh Loug Un Main Se Eemaan Laye, Un Ko Ham Ne Un Ka Ajar Dia Aur Un Main Bohot Se Nafarmaan Hain.
28
Momino! Khuda Se Daro
Aur Us Ke Paigamabar Par Eemaan Lao Wo Tumhain Apni Rehmat Se Dugna Ajr Ata
Farmaaye Ga Aur Tumhare Liye Roshni Kar De Ga, Jis Main Chalo Ge Aur Tum Ko
Bakhsh De Ga. Aur Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.
29
Ye Baatain Is Liye
Bayaan Ki Gai Hain, Ke Ehl-E-Kitab Jaan Lain Ke Wo Khuda Ke Fazal Par Kuch Bhi
Qudrat Nahi Rakhte. Aur Ye Ke Fazal Khuda Hi Ke Hath Hai Jiss Ko Chahe Deta Hai Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!