Soorah-Ar-Rehmaan
Aayaat-78
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Khuda Joh Nihayat
Meherbaan.
2
Ussi Ne Quraan Ki
Taaleem Farmayee.
3
Ussi Ne Insaan Ko
Paida Kia.
4
Ussi Ne Us Ko Bolna
Sikhaya.
5
Sooraj Aur Chaand Aik
Hisab-E-Muqarrar Se Chal Rahe Hain.
6
Aur Bootiyan Aur
Darakht Sajda Kar Rahe Hain.
7
Aur Ussi Ne Aasmaan Ko
Buland Kia Aur Tarazoo Qaim Ki.
8
Ke Tarazoo Se Tolne
Main Had Se Tajawaz Na Karo.
9
Aur Insaaf Ke Sath
Theek Tolo. Aur Toul Kam Mat Karo.
10
Aur Ussi Ne Khalqat Ke
Liye Zameen Bichayee.
11
Is Main Maiwe Aur
Khajoor Ke Darakht Hain, Jin Ke Khoshoun Par Ghilaaf Hote Hain.
12
Aur Anaaj, Jis Ke Sath Bhuss Hota Hai Aur Khushboodaar
Phool.
13
Toh Ae Guroh
Jinn-O-Inss Tum Apne Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
14
Ussi Ne Insaan Ko
Thaikre Ki Tarha Khann Khanati Matti Se Banaya.
15
Aur Jinaat Ko Aag Ke
Shole Se Paida Kia.
16
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
17
Wo Hi Dono Mashrikoun
Aur Dono Magriboun Ka Malik Hai.
18
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
19
Usi Ne Do Darya Rawaan
Kiye, Joh Apas Main Milte Hain.
20
Dono Main Aik
Aar(Rukawat) Hai Ke Us Se Tajawauz Nahi Kar Sakte.
21
Toh Tum Apne Parwardigar
Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
22
Dono Daryaaoun Se Moti
Aur Moonge Nikalte Hain.
23
Toh Tum Apme
Parwardigar Ki Koun Koun Sin Naiamt Ko Jhutlao Ge?
24
Aur Jahaz Bhi, Ussi Ke
Hain, Joh Darya Main Paharoun Ki Tarha Oonche Khare Hote Hain.
25
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
26
Joh Makhlooq Zameen
Par Hai Sab Ko Fana Hona Hai.
27
Aur Tumhare Parwardigar
Hi Ki Zaat Ba Barkaat Joh Sahib-E-Jalaal-O-Azmat Hai, Baqi Rahe Gi.
28
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
29
Aasmaan Aur Zameen Main
Jitney Loug Hain Sab Ussi Se Maangte Hain. Wo Har Roz Kaam Main Masroof Rehta
Hai.
30
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
31
Ae Dono Jamato! Ham Anqareeb
Tumhari Taraf Mutawajoh Hote Hain.
32
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
33
Ae Guroh Jinn-O-Inss
Agar Tumhain Qudrat Ho, Ke Asmaan Aur
Zameen Ke Kinaroun Se Nikal Jao, Toh Nikal Jao. Aur Zor Ke Siwa Toh Tum Nikal
Sakne Ke Hi Nahi.
34
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
35
Tum Par Aag(Fire) Ke
Shole Aur Dhuaan Chor Dia Jaye Ga, Toh Phir Tum Muqabla Na Kar Sako Ge.
36
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
37
Phir Jab Asmaan Phat
Kar Tail Ki Taljhat Ki Tarha Gulabi Ho Jaye Ga, Toh Wo Kaisa Holnaak Dinn Hoga.
38
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
39
Us Roz Na Toh Kisi
Insaan Se Us Ke Gunahoun Ke Bare Main Pursish Ki Jaye Gi Aur Na Kisi Jinn Se.
40
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlaao Ge?
41
Gunnehgaar Apne Chehre
Hi Se Pehchaan Liye Jayen Ge, Toh
Paishani Ke Baaloun Aur Paaon Se Pakar Liye Jayen Ge.
42
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Kounsi Naimat Ko Jhutlao Ge?
43
Ye Hi Wo Jahannum Hai,
Jisse Gunnehgaar Loug Jhutlate The.
44
Wo Dozakh Aur Kholte
Hue Garam Pani Ke Darmayan Ghoomte Phirainge.
45
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
46
Aur Joh Shaks Apne
Parwardigar Ke Samne Khare Hone Se Dara, Us Ke Liye Do Baagh Hain.
47
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
48
Un Dono Main Bohot Si
Shaakhain Yaani Qisam Qisam Ke Maiwoun Ke Darakht Hain.
49
Toh Tum Apne
Parwaredigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
50
Un Main Do Chashme Beh
Rahe Hain.
51
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
52
Un Main Sab Maiwe Do
Do Qisam Ke Hain.
53
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
54
Ehl-E-Jannat, Aise Bichounoun Par, Jin Ke Astar(Cover) Atlas
Ke Hain, Takya Lagaye Hue Hounge. Aur Dono Baagjoun Ke Maiwe Qareeb Jhuk Rahe
Hain.
55
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
56
Un Main Neechi Nigaah
Wali Aurtain Hain, Jin Ko Ehl-E-Janat Se
Pehle Na Kisi Insaan Ne Hath Lagaya Aur Na Kisi Jinn Ne.
57
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
58
Goya Wo Yaqoot Aur
Marjaan Hain.
59
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
60
Naiki Ka Badla Naiki
Ke Siwa Kuch Nahi Hai.
61
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko
Jhulao Ge?
62
Aur Un Baaghoun Ke
Ilawa Do Baagh Aur Hain.
63
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
64
Dono Khoob Gehre Sabz.
65
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhultao Ge?
66
Un Main Do Chashme
Ubal Rahe Hain.
67
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
68
Un Main Maiwe Aur
Khajoorain Aur Anaar Hain.
69
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
70
Un Main Naik Seerat
Aur Khoobsoorat Aurtain Hain.
71
Toh Tum Apne
Parwardiar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
72
Wo Hoorain Hain, Joh
Khaimoun Main Mastoor Hain.
73
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlaao Ge?
74
Un Ko Ehle-E-Jannat Se
Pehle Na Kisi Insaan Ne Hath Lagaya Aur Na Kisi Jinn Ne.
75
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
76
Sabz Qaaleeonoun Aur
Nafees Massnadoun Par Takiya Lagaye Baithe Hounge.
77
Toh Tum Apne
Parwardigar Ki Koun Koun Si Naimat Ko Jhutlao Ge?
78
Ae Muhammad S.A.W.
Tumahra Parwardigar, Joh Sahib-E-Jalaal-O-Azmat Hai Us Ka Naam Bara Ba Barkat
Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!