Soorah-Al-Taghabun
Aayaat-18
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Joh Cheez Aasmaanoun
Main Hai Aur Joh Cheez Zameen Main Hai Sab Khuda Ki Tasbeeh Karti Hai. Ussi Ki
Sachi Baadshahi Hai Aur Ussi Ki Taareef La Matnaahi Hai Aur Wo Har Cheez Par
Qadir Hai.
2
Wo Hi Toh Hai Jis Ne
Tum Ko Paida Kia, Phir Koi Tum Main
Kafir Hai Aur Koi Momin. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Usko Daikhta Hai.
3
Ussi Ne Aasmaanoun Aur
Zameen Ko Mabni Bar Hikmat Paida Kia Aur Ussi Ne Tumhari Sooratian Banayee Aur
Sooratain Bhi Pakeeza Banayee. Aur Ussi Ki Taraf Tumhain Lout Kar Jaana Hai.
4
Joh Kuch Aasmanoun Aur
Zameen Main Hai, Wo Sab Jaanta Hai Aur
Joh Kuch Tum Chupa Kar Karte Ho Aur Joh Khullam Khulla Karte Ho Uss Se Bhi
Aagah Hai. Aur Khuda Dil Ke Bhaidoun Se
Waqif Hai.
5
Kia Tum Ko Un Lougon
Ke Haal Ki Khabar Nahi Pohonchi, Joh Pehle Kafir Hue The, Toh Unhoun Ne Apne
Kaamoun Ki Saza Ka Mazah Chakh Liya Aur Abhi Dukh Dene Wala Azaab Aur Hona Hai.
6
Ye Isliye Ke, Un Ke
Paas Paigamar Khuli Nishaniyaa Le Kar Aate Toh, Ye Kehte Ke Kia Aadmi Hamare
Haadi Bante Hain? Toh Unhoun Ne Un Ko Na Maana Aur Moonh Phair Liya Aur Khuda
Ne Bhi Be Parwaaye Ki. Aur Khuda Be Parwa Aur Sazawaar Hamd-O-Sana Hai.
7
Joh Loug Kafir Hain Un
Ka Aitaqaad Hai Ke Wo Dobarah Har Gizz Nahi Uthaye Jayen Ge. Keh Do Ke Haan
Haan, Mere Parwardigar Ki Qasam Tum Zaroor Uthaye Jao Ge, Phir Joh Joh Kaam Tum Karte Ho Wo Tumhain
Bataye Jaye Ge Aur Ye Baat Khuda Ko Asaan Hai.
8
Toh Khuda Par Aur Us
Ke Rasool Par Aur Noor-E-Qraan Par Joh Ham Ne Nazil Farmaya Hai Eemaan Lao. Aur
Khuda Tumhare Sab Aamaal Se Khabardaar Hai.
9
Jis Din Wo Tum Ko
Ikkhate Hone Yaani Qiamat Ke Din Ikhata Kare Ga, Wo Nuqsan Uthane Ka Din Hai. Aur
Joh Shakhs Khuda Par Eemaan Laye Aur Naik Amal Kare, Wo Us Se Us Ki Buraiyan
Door Kar De Ga Aur Baaghaaye Behshat Main Jin Ke Naeeche Nehrain Beh Rahi Hain
Dakhil Kare Ga. Hamesha Un Main Rahinge Ye Bari Kaamyabi Hai.
10
Aur Jinhoun Ne Kufur
Kia Aur Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya, Wo Hi Ehl-E-Dozakh Hain. Hamesha Us Main
Rahainge.Aur Wo Buri Jaga Hai.
11
Koi Museebat Nazil Nai
Hoti Magar Khuda Ke Hukum Se. Aur Joh Shaksh Khuda Par Eemaan Laata Hai, Wo Us
Ke Dil Ko Hidyyat Deta Hai. Aur Khuda Har Cheez Se Bahkahbar Hai.
12
Aur Khuda Ki Itaa-At
Karo Aur Us Ke Rasool Ki Itaa-At Karo. Agar Tum Moon Phair Lo Ge, Toh Hamare
Paigamabar Ke Zimme, Toh Sirf Paigaam Ka Khol Khol Kar Pohoncha Dena Hai.
13
Khuda Joh
Maabood-E-Barhaq Hai Us Ke Siwa Koi Ibadat Ke Laaiq Nahi, Toh Mominoun Ko Chahiye Ke Khuda Hi Par
Bharosa Rakhain.
14
Momino! Tumhari Aurtaoun
Aur Aulad Main Se Baaz Tumhare Dushaman Bhi Hain, So Un Se Bachte Raho. Aur
Agar Moaf Kar Do Aur Dar Guzar Karo Aur Bakhsh Do, Toh Khuda Bhi Bakhshne Wala
Meherbaan Hai.
15
Tumhara Maal Aur
Tumhari Aulad, Toh Aazmaaish Hai. Aur Khuda Ke Haan Bara Ajar Hai.
16
So Jahan Tak Ho Sake
Khuda Se Daro Aur Us Ke Ehkaam Ko Suno Aur Us Ke Farmabardaar Raho Aur Us Ki
Raah Mai Kharach Karo Ye Tumhare Haq Main Behtar Hai. Aur Joh Shakhs Tabiayat
Ke Bukhal Se Bahca Liya Gaya Toh Aise Hi Loug Raah Pane Wale Hain.
17
Agar Tum Khuda Ko
Ikhlaas Aur Niyaat-E-Naik Se Qarz Do Ge, Toh Wo Tum Ko Us Ka Do Chand De Ga Aur
Tumhare Gunnah Bhi Moaaf Kar De Ga. Aur Khuda Qadar Shanaas Aur Burdbaar Hai.
18
Posheeda Aur Zahir Ka
Jaan-Ne Wala Ghalib Aur Hikmat Wala Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!