Wednesday 27 April 2016

38-Soorah-Suaad-Aayaat-88



Soorah-Suaad

Aayaat-88

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.


1
Suaad.Qassam Hai Quraan Ki ,Joh Naseehat Dene Wala Hai Ke Tum Haq Par Ho.

2
Magar Joh Loug Kaafir Hain Wo Gharoor Aur Mukhalfat Main Hain.

3
Ham Ne Un Se Pehle Bohot Si Ummatoun Ko Halaak Kar Dia, Toh Wo Azaab Ke Waqt Lage Faryaad Karne, Aur Wo Rihayee Ka Waqt Nahi Tha.

4
Aur Unhoun Ne Taajubb Kia Ke Un Ke Paas Un Hi Main Se Hidayat Karne Wala Aya Aur Kafir Kehne Lage, Ke Ye Toh Jaadu Gar Hai Jhoota.

5
Kia Us Ne, Itne Maaboodoun Ki Jaga Aik Hi Maabood Bana Dia. Ye Toh Bari Ajeeb Baat Hai.

6
Toh Un Main Joh Moazzaz (Respectable)  The, Wo Chal Khare Hue Aur Bole Ke Chalo Aur Apne Maaboodoun Ki Pooja Par Qaaim Raho Be Shak Ye Aisi Baat Hai Jis Se Tum Par Sharf-O-Fazeelat Maqsood Hai.


7
Ye Pichle Mazhab Main, Ham Ne Kabhi Suni Hi Nahi, Ye Bilkul Banaye Hui Baat Hai.

8
Kia Ham Sab Main Se Issi Par Naseehat Ki Kitaab Utri Hai?  Nahi Balke Ye Meri Naseehat Ki Kitaab Se Shak Main Hain. Balke Unhoun Ne Abhi Mere Azaab Ka Mazah Nahi Chakha.

9
Kia Un Ke Paas Tumhare Parwardigar Ki Rehmat Ke Khazane Hain Joh Galib Aur Bohot Ata Karne Wala Hai.

10
Ya Aasmaanoun Aur Zameen Aur Joh Kuch Un Main Hain, Un Sab Par Un Hi Ki Hukumat Hai. Toh Chahiye Ke Rassiyaan Taan Kar Aasmaanoun Par Charh Jaayen.

11
Yahan Shikast Khaye Hue Gurohoun Main Se Ye Bhi Aik Lashkar Hai.

12
Un Se Pehle Nooh Ki Qoum Aur Aad Aur Maikhoun Wala Firown Aur Us Ki Qoum Ke Loug Bhi Jhutla Chuke Hain.

13
Aur Samood Aur Loot Ki Qoum Aur Ban Ke Rehne Wale Bhi, Ye Hi Wo Guroh Hain.

14
Un Sab Ne Paigambaroun Ko Jhutlaya Toh Mera Azab Un Par Aa Waqe Hua.

15
Aur Ye Loug Toh Sirf Aik Zour Ki Awaaz Ka, Jis Main Shroo Hue Peeche Kuch Waqfa Nahi Hoga, Intizar Karte Hain.
16
Aur Kehte Hain, Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Ko Hamara Hissa Hisaab Ke Din Se Phe Hi De De.

17
Ae Paigambar S.A.W. Ye Joh Kuch Kehte Hain Us Par Sabar Karo. Aur Hamare Bande Daawood Ko Yaad Karo Joh Sahib-E-Quwwat The Aur Be Shak Wo Rujoo Karne Wale The.

18
Ham Ne Paharoun Ko Un Ke Zair-E-Farmaan Kar Dia Tha, Ke Subho-O-Sham Un Ke Sath Khuda-E-Paak Ka Zikar Karte The.

19
Aur Parindoun Ko Bhi Ke Jamah Rehte The. Sab Un Ke Farmabardaar The.

20
Aur Ham Ne Un Ki Baadshaahi Ko Mustehkam Kia Aur Un Ko Hikmat Ata Farmaaye Aur Khsoomat Ki Baat Ka Faisla Sikhaya.

21
Bhala Tumhare Paas Un Jhagarne Waloun Ki Bhi Khabar Aaye Hai Jab Wo Deewaar Phaand Kar Ibadat Khane Main Daakhil Hue.

22
Jis Waqt Wo Daawood Ke Paas Aye Toh Wo Un Se Ghabara  Gaye Unhoun Ne Kaha Ke Khof Na Kijiye. Ham Dono Ka Aik Muqadma Hai, Ke Ham Main Se Aik Ne Doosre Par Ziadti Ki Hai, Toh Aap Ham Main Insaaf Se Faisal Kar Dijiye Aur Be Insaafi Na Kijiye Ga Aur Ham Ko Seedha Rasta Dikha Dijiye.

23
Kaifiyat Ye Hai Ke Ye Mera Bhai Hai, Is Ke Haan Ninnanwe(99) Dunbiyaan(Sheeps) Hain Aur Mere Pas Aik Dunbi Hai. Ye Kehta Hai Ke Ye Bhi Mere Hawale Kar De Aur Guftugu Main Mujh Par Zabardasti  Karta Hai.
24
Unhoun Ne Ye Kaha Ke,  Ye Joh Teri Dumbi Maangta Hai Ke Apni Dumbiyoun Main Mila,  Be Shak Tum Par Zulm Karta Hai. Aur Aksar Shareek Aik Doosre Par Ziadti Hi Kia Karte Hain. Haan Joh Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Aur Aise Loug Bohot Kam Hain. Aur Daaowood Ne Khayal Kia Ke Is Waaqye Se Ham Ne Un Ko Aazmaaya Hai, Toh Unhoun Ne Apne Parwardigar Se Maghfirat Maangi Aur Jhuk Kar Girr Pare Aur Khuda Ki Taraf Rujoo Kia.

25
Toh Ham Ne Un Ko Bakhsh Dia. Aur Be Shak Un Ke Liye Hamare Haan Qurrb Aur Umda Makaam Hai.

26
Ae Daawood Ham Ne Tum Ko Zameen Main Baadshah Banaya Hai, Toh Lougon Main Insaaf  Ke Faisle Kia Karo Aur Khuahish Ki Pairwi Na Karna, Ke Wo Tumhain Khuda Ke Raste Se Bhatka De Gi. Joh Loug Khuda Ke Raste Se Bhatakte Hain, Un Ke Liye Sakht Azaab Taiyaar Hai, Ke Unhoun Ne Hisab Ke Din Ko Bhula Dia.

27
Aur Ham Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Kaainaat Un Main Hai, Isko Khali Az Maslehat Nahi Paida Kia. Ye Un Ka Gumaan Hai Joh Kaafir Hain. So Kafiroun Ke Liye Dozakh Ka Azaab Hai.

28
Joh Loug Eemaan Laaye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe. Kia Un Ko Ham Un Ki Tarha Kar Dain Ge, Joh Mulk Main Fisad Karte Hain. Ya Parhaizgaaroun Ko Badkaari Ki Tarha Kar Dainge.

29
Ye Kitaab Joh Ham Ne Tum Par Nazil Ki Hai,  Ba Barkat Hai,  Taa-Ake Loug Is Ki Aayatoun Main Ghour Karain Aur Taa-Ake Ehel-E-Aqal Naseehat Pakrain.

30
Aur Ham Ne Daawood Ko Sulaiman Ata Kiye. Bohot Khoob Bande The Aur Wo Khuda Ki Taraf Rujoo Karne Wale The.

31
Jab Un Ke Samne Shaam  Ko Khase Ghore(Horse) Paish Kiye Gaye.

32
Toh Kehne Lage, Ke Main Ne Apne Parwardigar Ki Yaad Se Ghafil Ho Kar Maal Ki Mohabbat Ikhtiyar Ki,  Yahan Tak Ke Aaftaab Parde Main Chup Gaya.

33
Bole Ke Un Ko Mere Paas Wapas Lao. Phir Un Ki Taangoun Aur Gardanoun Par Hath Phairne Lage.

34
Aur Ham Ne Sulaiman Ki Aazmaaish Ki Aur Un KE Takhat Par Aik Dharr Daal Dia, Phir Unhoun Ne Khuda Ki Taraf Rujoo Kia.

35
Aur Dua Ki, Ke Ae Parwardigar, Mujhe Maghfirat Kar Aur Mujh Ko Aisi Baadshahi Ata Kar, Ke Mere Bad Kisi Ko Shayaan Na Ho. Be Shak Tu Bara Ata Farmane Wala Hai.

36
Phir Ham Ne Hawa Ko Un Ke Zair-E-Farmaan Kar Dia, Ke Jahan Wo Pohonchna Chahte, Un Ke Hukum Se Naram Naram Chalne Lagti.

37
Aur Daiwoun Ko Bhi Un Ke Zer-E-Farmaan Kar Kia, Ye Sab Imaartain Banane Wale Aur Ghota Maarne Wale The.

38
Aur Auron Ko Bhi Joh Zanjeeroun Main Jakre Hue The.

39
Ham Ne Kaha Ye Hamari Bakhshish Hai,  Chaho Toh Ehsaan Karo Ya Chaho Toh Rakh Choro, Tum Se Kuch Hisab Nahi Hai.

40
Aur Beshak Un Ke Liye, Hamare Haan Qurb Aur Umda Maqaam Hai.

41
Aur Hamare Bande Ayoob Ko Yaad Karo,  Jab Unhoun Ne Apne Rab Ko Pukara Ke Baar-E-Ilaahi Shaitan Ne Mujh Ko Eeza Aur Takleef De Rakhi Hai.

4
Ham Ne Kaha Ke Zameen Par Laat Maro,  Daikho Ye Chashma Nikal Aaya,  Nahane Ko Thanda Aur Peene Ko Sheereen.

43
Aur Ham Ne un Ko Ehl-O-Ayaal Aur Un Ke Sath, Un Ke Barabar Aur Bakhshe. Ye Hamri Taraf Se Rehmat Aur Aqal Waaloun Ke Liye Nasheehat Thi.

44
Aur Apne Hath Main Jhaaroo Lo Aur Us Se Maro Aur Qasam Na Touro. Be Shak Ham Ne Un Ko Sabit Qadam Paaya. Bohot Khoob Bande The Be Shak Wo Rujoo Karne Wale The.

45
Aur Hamare Bandoun Ibrahim Aur Ishaq Aur Yaaqoob Ko Yad Karo Joh Quwwat Wale Aur Sahib-E-Nazar The.

46
Ham Ne Un Ko Aik Sifat-E-Khas, Aakhrat Ke Ghar Ki Yaad Se Mumtaaz Kia Tha.

47
Aur Wo Hamare Nazdeek Muntakhib Aur Naik Lougon Main Se The
48
Aur Ismail Aur Alyasaa Aur Zul-Kifal Ko Yaad Karo. Wo Sab Naik Lougn Main Se The.

49
Ye Naseehat Hai Aur Parhaizgaaroun Ke Liye Toh Umdah Maqaam Hai.

50
Hamesha Rehne Ke Bagh, Jin Ke Darwaze Un Ke Liye Khule Houn Ge.

51
Un Main Takiye Lagaye Baithe Hounge Aur Khane Peene Ke Liye Bohot Se Maiwe Aur Sharab Mangwate Rahain Ge.

52
Aur Un Ke Pas Neechi Nigah Rakhne Wali Aur Ham Umar Aurtain Houngi.

43
Ye Wo Cheezain Hain Jin Ka, Hisaab Ke Din Ke Liye, Tum Se Waada Kia Jata Tha.

54
Ye Hamara Rizq Hai,  Joh Kabhi Khatam Nahi Hoga.

55
Ye Naimatain Toh Farmabardaroun Ke Liye Hain,  Aur Sarkashouh Ke Liye Bura Thikana Hai.

56
Yaani Dozakh, Jis Main Wo Dakhil Hounge Aur Wo Bari Araam Gaah Hai.

57
Ye Kholta Hua Garam Paai Aur Peep Hai Ab Is Ke Mazeh Chakhain.
58
Aur Issi Tarha Ke Aur Bohot Se Azaab Hou Ge.

59
Ye Aik Fouj Hai Joh Tumhare Sath Daakhil Hogi. In Ko Khushi Na Ho, Ye Doszakh Main Jaane Wale Hain.

60
Kahain Ge Balke Tum Hi Ko Khushi Na Ho. Tum Hi Toh Ye Bala Hamare Samne Laye Ho, So Ye Bura Thikana Hai.

61
Wo Kahain Ge Ae Parwardigar, Joh Us Ko Hamare Samne Laaya Hai Us Ko Dozakh Main Doona Azaab De.

62
Aur Kahain Ge,  Kia Sabab Hai Ke Yahan Ham Un Shakhsoun Ko Nahi Daikhte,  Jin Ko Buroun Main Shumaar Karte The.

63
Kia Ham Ne Un Se Thatha Kia Hai,  Ya Hamari Aankahin In Ki Taraf Se Phir Gai Hain?

64
Be Shak Ye Ehle-E-Dozakh Ka Jhagarna Barhaq Hai.

65
Keh Do, Ke Main Toh Sirf Hidayat Karne Wala Hoon. Aur Khuda-E-Yakta Aur Ghalib Ke Siwa Koi Maabood Nahi.

66
Joh Aasmaanoun Aur Zameen Aur Joh Makhlooq Un Main Hai, Sab Ka Malik Hai, Ghaalib Aur Bakhashne Wala.

67
Keh Do Ke Ye Aik Bari Houlnaak Cheez Ki Khabar Hai.

68
Jis Ko Tum Dhayan Main Nahi Late.

69
Mujh Ko Oopar Ki Majlis Waaloun Ka Jab Wo Jhagarte The Kuch Bhi Ilm Na Tha.

70
Meri Taraf Toh Ye Hi Wahi Ki Jati Hai,  Ke Main Khullam Khulla Hidayat Karne Wala Hoon.

71
Jab Tumhare Parwardigar Ne Farishtoun Se Kaha Ke Main Matti Se Insaan Banane Wala Hoon.

72
Jab Us Ko Durust Kar Loon Aur Us Main Apni Rooh Phoonk Doon, Toh Us Ke Aage Sajde Main Girr Parna.

73
Toh Tamaam Farishtoun Ne Sajda Kia.

74
Magar Shaitan Akar Baitha,  Aur Kaafiroun Main Ho Gaya.

75
Khuda Ne Farmaya Ke Ae Iblees,  Jis Shakhs Ko Main Ne Apne Hathoun  Se Banaya Us Ke Aage Sajda Karne Se Tujhe Kis Cheez Ne Mana Kia. Kia Tu Garoor Main Aa Gaya Ya Oonche Darje Waaloun Main Tha?

76
Bola Ke Main Is Se Behtar Hoon, Ke Tu Ne Mujh Ko Aag Se Paida Kia Aur Isse Matti Se Banaya.

77
Kaha Yahan Se Nikal Ja Tu Mardood Hai.
78
Aur Tujh Par Qiamat Ke Din Tak, Meri Laanat Parti Rahe Gi.

79
Kehne Laga Ke Mere Parwardiagr,  Mujhe Us Roz Tak,  Ke Loug Uthaaye Jaayen Mohlat De.

80
Kaha Tujh Ko Mohlat Di Jati Hai.

81
Us Roz Tak Jis Ka Waqt Muqarrar Hai.

82
Kehne Laga Ke Mujhe Teri Izzat Ki Qasam, Main Un Sab Ko Behkata Rahoonga.

83
Siwa Un Ke Joh Tere Khalis Bande Hain.

84
Kaha Sach Hai,  Aur Main Bhi Sach Kehta Hoon.

85
Ke Main Tujh Se Aur Joh Un Main Se Teri Pairwi Karainge Sab Se Jahannum Ko Bhi Bhar Doonga.

85
Ae Paigambar S.A.W. Keh Do Ke Main Tum Se Is Ka Sila Nahi Maangta Aur Na Main Banawat Karne Waloun Main Hoon.

87
Ye Quran Toh,  Ehl-E-Aalam Ke Liye Naseehat Hai.

88
Aur Tumko Is Ka Haal Aik Waqt Ke Baad Maloom Ho Jaye Ga.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!