Wednesday 27 April 2016

32-Soorah-al-Sajda-30




Soorah As-Sajdah


Aayaat 30


Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Alif Laam Meem.

2
Is Main Kuch Shak Nahi Ke Is Kitaab Ka Nazil Kia Jaana Tamaam Jahaan Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Hai.

3
Kia Ye Loug Ye Kehte Hain Ke Paighamabar Ne Is Ko Az Khud Bana Liya Hai Nahi Balke Wo Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Bar Haq Hai, Taa-Ake Tum Un Lougon Ko Hidayat Karo Jin Ke Paas Tum Se Pehle Koi Hidayat Karne Wala Nahi Aaya, Taa-Ake Ye Raste Par Chalain.

4
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Cheezain In Donon Main Hain Sab Ko Che (6) Dinoun Main Paida Kia, Phir Arsh Par Qaaim Hua. Us Ke Siwa Tumhara Na Hi Koi Dost Hai Aur Na Sifaaarish Karne Wala. Kia Tum Naseehat Nahi Pakarte.


5
Wo Hi Aasmaan Se Zameen Tak Ke Har Kaam Ka Intizaam Karta Hai. Phir Wo Aik Roz Jis Ki Miqdaar Tumhare Shumar Ke Mutabiq Hazaar Baras Ho Gi. Us Ki Taraf Saood Aur Rujoo Kare Ga.

6
Ye Hi Toh Posheeda Aur Zahir Ka Jaan-Ne Wala Aur Gaalib Aur Rehem Wala Khuda Hai.

7
Jis Ne Har Cheez Ko Bohot Achi Tarha Banaya Yaani Us Ko Paida Kia.Aur Insaan Ki Paidaaish Ko Matti Se Shroo Kia.

8
Phir Us Ki Nasal Khulase Se Yaani Haqeer Paani Se Paida Ki.

9
Phir Us Ko Dost Kia, Phir Us Main Apni Taraf Se Roooh Phoonki Aur Tumhare Kaan Aur Aankhain Aur Dil Banaye Magar Tum Bohot Kam Shukar Karte Ho.

10
Aur Kehne Lage Ke Jab Ham Zameen Main Malyamait Ho Jaayen Ge, Toh Kia Az Sar-E-Nou Paida Hounge. Haqeeqat Ye Hai Ke Ye Loug Apne Parwardigar Ke Saamne Jaane Hi Ke Qaail Nahi.

11
Keh Do Ke Mout Ka Farishta Joh Tum Par Muqarrar Kia Gaya Hai, Tumhare Roohain Qabz Kar Leta Hai, Phir Tum Apne Parwardigar Ki Taraf Loutaaye Jao Ge.

12
Aur Tum Taajjub Karo, Jab Daikho Ke Gunnehgaar Apne Parwardigar Ke Saamne Sar Jhukaaye Hounge,  Aur Kahain Ge Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Ne Daikh Liya Aur Sunn Liya, Toh Ham Ko Dunia Main Wapas Bhaij De, Ke Naik Amal Karain Be Shak Ham Yaqeen Karne Wale Hain.

13
Aur Agar Ham Chahte Hain Toh Har Shakhs Ko Hidayat De Dete. Lekin Meri Taraf Se Ye Baat Qaraar Paa Chuki Hai Ke Main Dozakh Ko Jinoun Aur Insaanoun Sab Se Bhar Doon Ga.

14
So Ab Aag Ke Maze Chakho, Is Liye Ke Tum Ne Is Din Ke Aane Ko  Bhula Rakha Tha, Aaj Ham Bhi Tumhian Bhula Dainge Aur Joh Kaam Tum Karte The Un Ki Saza Main Hamesha Ke Azaab Ke Maze Chakhte Raho.

15
Hamari Aayatoun Par Toh Wo Hi Loug Eemaan Laate Hain Ke Jab Un Ko Un Se Naseehat Ki Jati Hai, Toh Sajde Main Girr Parte Aur Apne Parwardigar Ki Taareeef Ke Sath Tasbeeh Karte Hain Aur Gharoor Nahi Karte.

16
Un Ke Pehlu Bichounoun Se Alag Rehte Hain Aur Wo Apne Parwardigar Ko Khof Aur Umeed Se Pukaarte Aur Joh Maal Ham Ne Un Ko Dia Hai Us Main Se Kharch Karte Hain.




17
Koi Muttanaffis Nahi Jaanta Ke Un Ke Liye Kaisi Aankhon Ki Thandak Chupa Kar Rakhi Gai Hai. Ye Un Aamaal Ka Sila Hai Joh Wo Karte The.

18
Bhala Joh Momin Ho, Wo Us Shaks Ki Tarha Ho Sakta Hai Joh Nafarmaan Ho? Dono Barabar Nahi Ho Sakte.

19
Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe Un Ke Rehne Ke Liye Baagh Hain, Ye Mehmani Un Kaamoun Ki Jaza Hai Joh Wo Karte The.

20
Aur Jinhoun Ne Nafarmani Ki Un Ke Rehne Ke Liye Dozakh Hai, Jab Chaahain Ge Ke Us Main Se Nikal Jaayen, Toh Us Main Louta Diye Jaayen Ge. Aur Un Se Kaha Jaye Ga Ke Jis Dozakh Ke Azaab Ko Tum Jhooot Samajhte The Us Ke Maze Chakho.

21
Aur Ham Un Ko Qiamat Ke Bare Azaab Ke Siwa Azaab-E-Dunia Ka Bhi Mazah Chakhayen Ge. Shayad Hamari Taraf Lout Aayen.

22
Aur Us Shaks Se Barh Kar Zaalim Koun Jis Ko Us Ke Parwardigar Ki Aayatoun Se Naseehat Ki Jaye, Toh Wo Un Se Moonh Phair Le. Ham Gunnehgaaroun Se Zaroor Badla Lene Wale Hain.


23
Aur Ham Ne Mooosa A.S. Ko Kitaab Di Toh Tum Un Ke Milne Se Shak Main Na Hona Aur Ham Ne Us Kitaab Ko Ya Mooosa A.S. Ko Bani Israil Ke Liye Zariya-E-Hidayat Banaya.

24
Aur Un Main Se Ham Ne Paishwa Banaye The, Joh Hamare Hukum Se Hidyat Kia Karte The. Jab Wo Sabar Karte The Aur Wo Hamari Aayatoun Par Yaqeen Rakhte The.

25
Bila Shuba Tumhara Parwardigar Un Main Jin Baatoun Main Wo Ikhtilaaf Karte The. Qiamat Ke Roz Faisla Kar De Ga.

26
Kia Un Ko Is Amar Se Hidayat Na Hui Ke Ham Ne Un Se Pehle Bohot Si Ummatoun Ko Jin Ke Maqaamaat-E-Sakoont Main Ye Chalte Phirte Hain Halak Kar Dia. Beshak Is Main Nishaniyan Hain.Toh Ye Sunte Kion Nahi.

27
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Ham Banjar Zameen Ki Taraf Paani Rawan Karte Hain, Phir Us Se Khaiti Paida Karte Hain Jis Main Se Un Ke Chopaaye Bhi Khaate Hain Aur Wo Bhi Khaate Hain Toh Ye Daikhte Kion Nahi.

28
Aur Kehte Hain Agar Tum Sache Ho Toh Ye Faisla Kab Hoga.



29
Keh Do Ke Faisle Ke Din Kaafiroun Ko Un Ka Eemaan Laana Kuch Bhi Faaida Na De Ga Aur Na Un Ko Mohlat Di Jaye Gi.

30
Toh Un Se Moonh Phair Lo, Aur Intizar Karo Ye Bhi Intizar Kar Rahe Hain.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!