Wednesday 27 April 2016

37-Soorah-As-Saffat-Aayat-182



Sooraah-as-saffat

Aayaat-182

Shroo allah ke naam se joh bara meherbaan aur nihayat rehem farmane wala hai.


1
Qasam Hai Saff Baandhne Waaloun Ki Para Jama Kar.

2
Phir Daantne Waaloun Ki Jhirak Kar.

3
Phir Zikar Yaani Quraan Parhne Waaloun Ki Ghour Kar Kar.

4
Ke Tumhara Maabood Aik Hi Hai.

5
Joh Aasmaanoun Aur Zameen Aur Joh Cheezain Un Main Hain Sab Ka Maalik Hai, Aur Sooraj Ke Tuloo Hone Ke Maqmaat Ka Bhi Maalik Hai.

6
Be Shak Ham Hi Ne Aasmaan-E-Dunia Ko Sitaatroun Ki Zeenat Se Muzzaiyan Kia.

7
Aur Har Shaitaan-E-Sarkash Se Us Ki Hifazat Ki.

8
Ke Oopar Ki Majlis Ki Taraf Kaan Na Laga Sakain Aur Har Taraf Se Un Par Angaare Phainke Jaate Hain.


9
Yaani Wahan Se Nikaal Dene Ko Aur Un Ke Liye Azaab-E-Daaimi Hai.

10
Haan Joh Koi Farishtoun Ki Kisi Baat Ko Chorri Se Jhappat Lena Chahata Hai Toh Jalta Hua Angaara Us Ke Peeche Lagta Hai.

11
Toh Un Se Poocho Ke Un Ka Banana Mushkil Hai, Ya Jitni Khalqat Ham Ne Banayee Hai Un Ka? Unhain Ham Ne Chupakte Gaare Se Banaya Hai.

12
Haan Tum Toh Taajubb Karte Ho Aur Ye Tammaskhur Karte Hain.

13
Aur Jab Un Ko Naseehat Di Jati Hai Toh Naseehat Qabool Nahi Karte.

14
Aur Jab Koi Nishaani Daikhte Hain Toh Thathe Karte Hain.

15
Aur Kehte Hain Ke Ye Toh Sareeh Jaadu Hai.

16
Bhala Jab Ham Mar Gaye Aur Matti Aur Haddiyan Ho Gaye Toh Kia Phir Uthaye Jayen Ge.

17
Aur Kia Hamare Baap Dada Bhi Joh Pehle Ho Guzre Hain.

18
Keh Do Ke Haan Aur Tum Zaleel Ho Gaye.


19
Wo Toh Aik Zor Ki Awaaz Hogi Aur Yeh Us Waqt Daikhne Lagain Ge.

20
Aur Kahain Ge,Haaye Shamat Ye Hi Jaza Ka Din Hai.

21
Kaha Jaaye Ga Ke Haan Faisle Ka Din,  Jis Ko Tum Jhoot Samajhte The, Ye He Hai.

22
Joh Loug Zulm Karte The Un Ko Aur Un Ke Ham Jinsoun Ko Aur Jin Ko Wo Pooja Karte The Sab Ko Jama Kar Lo.

23
Yaani Jin Ko Khuda Ke Siwa Pooja Karte The Phir Un Ko Jahannum Ke Raste Par Chala Do.

24
Aur Un Ko Theraye Rakho, Ke Un Se Kuch Poochna Hai.

25
Tum Ko Kia Hua Ke Aik Doosre Ki Madad Nahi Karte.

26
Balke Aaj Toh Wo Farmabardar Hain.

27
Aur Aik Doosre Ki Taraf Rukh Kar Ke Sawaal-O-Jawab Karain Ge.

28
Kahain Ge Kia Tum Hi Hamare Paas Daayen Aur Baayen Se Aate The.

29
Wo Kahain Ge Balke Tum Hi Eemaan Laane Wale Na The.

30
Aur Hamara Tum Par Kuch Zor Na Tha.Balke Tum Sarkash Loug The.

31
So Hamare Bare Main,  Hamare Parwardigar Ki Baat Poori Ho Gai Ab Ham Mazeh Chakainge.

32
Ham Ne Tumko Bhi Gumraah Kia,  Aur Ham Khud Bhi Gumrah The.

33
Pas Wo Us Roz Azaab Main Aik Doosre Ke Shareek Hounge.

34
Ham Gunnehgaroun Ke Sath Aisa Hi Kia Karte Hain.

35
Un Ka Ye Haal Tha Ke Jab Un Se Kaha Jata Tha Ke Khuda Ke Siwa Koi Maabood Nahi Toh Gharoor Karte The.

36
Aur Kehte The Ke Bhala Ham Aik Deewane Shaair(Poet) Ke Kehne Se Kahin Apne Maaboodoun Ko Chor Dene Wale Hain.

37
Nahi, Balke Wo Haq Le Kar Aaye Hain. Aur Pehle Paigambaroun Ko Sacha Kehte Hain.

38
Be Shak Tum Taleef Dene Wale Azaab Ka Mazakh Chakhne Wale Ho.

39
Aur Tumko Baddla Waisa Hi Mile Ga Jaise Tum Kaam Karte The.

40
Magar Joh Khuda Ke Bandgaan-E-Khas Hain.

41
Ye Hi Loug Hain Jin Ke Liye Rozi Muqarrar Hai.

42
Yaani Mewe Aur Un Ka Aizaaz Kia Jaye Ga.

43
Naimat Ke Baaghoun Main.

44
Aik Doosre Ke Samne Takhtoun Par Baithe Hounge.

45
Sharaab-E-Lateef Ke Jam Ka Un Main Dour Chal Raha Hoga.

46
Joh Rang Ki Safaid Aur Peene Walaoun Ke Liye Sarasar Lazzat Hogi.

47
Na Us Se Dard-E-Sar Ho Aur Na Wo Us Se Matwaale Houn.

48
Aur Unke Paas Aurtain Houngi Joh Nigahain Neechi Rakhti Houngi Aur Aankhain Bari Bari.

49
Goya Wo Mehfooz Ande Hain.



50
Phir Wo Aik Doosre Ki Taraf Rukh Kar Ke Sawaal-O-Jawab Karain Ge.

51
Aik Kehne Wala Un Main Se Kahe Ga Ke Mera Aik Ham Nasheen Tha.

52
Joh Kehta Tha Ke Bhala Tum Bhi Aisi Baatoun Ke Baawar Karane Waaloun Main Ho.

43
Bhala Jab Ham Mar Gaye Aur Matti Aur Haddiyan Ho Gaye Toh Kia Ham Ko Badla Mile Ga?

54
Phir Kahe Ga, Ke Bhala Tum Usse Jhaank Kar Daikhna Chahte Ho?

55
Itne Main Wo Khud Jhaanke Ga. Toh Us Ko Wast-E-Dozakh Main Daikhe Ga.

56
Kahe Ga Ke Khuda Ki Qasam Tu Toh Mujhe Halaak Hi Kar Chukka Tha.

57
Aur Agar Mere Parwardigar Ki Meherbani Na Hoti, Toh Main Bhi Un Main Hota Joh Azaab Main Haazir Kiye Gaye Hain.

58
Kia Ye Nahi Ke Ham Aainda Kabhi Marne Ke Nahi.



59
Haan Joh Pehli Baar Marna Tha, So Mar Chuke Aur Hamain Azaab Bhi Nahi Hone Ka.

60
Be Shak Ye Bari Kaamyaabi Hai.

61
Aisi Hi Naimatoun Ke Liye Amal Karne Waalon Ko Amal Karne Chaahiye.

62
Bhala Ye Mehmaani Achi Hai Ya Thoohar Ka Darakht?

63
Hamne Usko Zaalimoun Ke Liye Azaab Bana Rakha Hai.

64
Wo Aik Darakht Hai, Ke Jahannum Ke Asfal Main Ugge Ga.

65
Un Ke Khoshe Aise Hounge Jaise Shitaanoun Ke Sar.

66
So Wo Ussi Main Se Khaayen Ge Aur Ussi Se Pait Bharain Ge.

67
Phir Us Khane Ke Sath Un Ko Garam Pani Pila Kar Dia Jaye Ga.

68
Phir Un Ko Dozakh Ki Taraf Loutaya Jaye Ga.

69
Unhoun Ne Apne Baap Dada Ko Gumraah Hi Paaya.



70
So Wo Un Hi Ke Peeche Doure Chale Jate Hain.

71
Aur Un Se Paishtar Bohot Se Pehle Loug Bhi Gumrah Ho Gaye The.

72
Aur Ham Ne Un Main Mutannbeh Karne Wale Bhaije.

73
So Daikh Lo, Jin Ko Mutanabeh Kia Gaya Tha, Un Ka Anjaam Kaisa Hua.

74
Haan Khuda Ke Bandgaan-e-Khas Ka Anjaam Bohot Acha Hua.

75
Aur Ham Ko Nooh Ne Pukara So Daikh Lo.  Ke Ham Dua Ko Kaise Ache Qabool Karne Wale Hain.

76
Aur Ham Ne Un Ko Aur Un Ke Ghar Walaoun Ko Bari Museebat Se Nijaat Di.

77
Aur In Ki Aurlaad Ko Aisa Kia Ke Wo Hi Baaqi Reh Gaye.

78
Aur Peeche Aane Waaloun Main Un Ka Zikar-E-Jameel Baqi Chor Dia.

75
Yaani Tamaam Jahan Main Ke Nooh Par Salam.



80
Naiko Kaaroun Ko Ham Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.

81
Be Shak Wo Hamare Momin Bandoun Main Se The.

82
Phir Ham Ne Doosroun Ko Dibo Dia.

83
Aur Un Hi Ki Pairwoun Main Ibrahim The.

84
Jab Wo Apne Parwardigar Ke Pas Aib Se Paak Dil Le Kar Aye.

85
Jab Unhoun Ne Apne Baap Se Aur Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Kin Cheezoun Ko Poojte Ho?

86
Kion Jhoot Bana Kar Khuda Ke Siwa Aur Maaboodoun Ke Talib Ho?

87
Bhala  Parwardigar-e-Alam Ke Baare Main Tumahra Kia Khayal Hai?

88
Tab Unhoun Ne Sitaaroun Ki Taraf Aik Nazar Ki.

89
Aur Kaha Main Toh Bimaar Hoon.

90
Tab Wo Un Se Peeth Phair Kar Lout Gaye.


91
Phir Ibrahim Un Ke Maaboodoun Ki Taraf Mutawajoh Hue Aur Kehne Lage Ke Tum Khaate Kion Nahi?

92
Tumhain Kia Hua Hai Tum Bolte Nahi?

93
Phir Un Ko Dahne Hath Se Maarna Aur Tourna Shroo Kia.

94
Toh Wo Loug Un Ke Paas Dourte Hue Aaye.

95
Unhoun Ne Kaha Ke Tum Aisi Cheezoun Ko Kion Poojte Ho Jin Ko Khud Tarashte Ho?

96
Halanke Tum Ko Aur Joh Tum Banate Ho, Us Ko Khuda Hi Ne Paida Kia Hai.

97
Wo  Kehne Lage Ke Is Ke Liye Aik Imarat Banao Phir Us Ko Aag Ke
Dhair Main Daal Do.

98
Gharz Unhoun Ne Un Ke Sath Aik Chaal Chalni Chahi Aur Ham Ne Un Hi Ko Zair Kar Dia.

99
Aur Ibrahim Bole Ke Main Apne Parweardigar Ki Taraf Jaane Wala Hoon Wo Mujhe Rasta Dikhaye Ga.




100
Ae Parwardigar Mujhe Aulad Ata Farma Joh Saadat Mandoun Main Se Ho.

101
Toh Ham Ne Un Ko Aik Naram Dil Larke Ki Khushkhabri Di.

102
Jab Wo Un Ke Sath Dorne Ki Umar Ko Pohoncha, Toh Ibrahim Ne Kaha Ke Beta Main Khuab Main Daikhta Hoon, Ke Goya Tum Ko Zibah Kar Raha Hoon, Toh Tum Socho Ke Tumhara Kia Khayal Hai?  Unhoun Ne Kaha Ke Abba Joh Aap Ko Hukum Hua Hai Wo Hi Kijiye,  Khuda Ne Chaha Toh Aap Mujhe Saabiroun Main Paaiye Ga.

103
Jab Dono Ne Hukum Maan Lia Aur Baap Ne Bete Ko Maathe Ke Bal Lita Dia.

104
Toh Ham Ne Un Ko Pukara Ke Ae Ibrahim.

105
Tum Ne Khuab Ko Sachha Kar Dikhaya. Ham Naiko Kaaroun Ko Aissa Hi Badla Dia Karte Hain.

106
Bila Shuba Ye Sareeh Aazmaaish Thi.

107
Aur Ham Ne Aik Bari Qurabaani Ko Un Ka Fidya Dia.

108
Aur Peeche Aane Waaloun Main Ibrahim Ka Zikar-E- Khair Baqi Chor Dia.


109
Ke Ibrahim Par Salam Ho.

110
Naikokaron Ko Ham Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.

111
Be Shak Wo Hamare Momin Bandoun Main Se The.

112
Aur Ham Ne In Ko Ishaq Ki Bisharat Bhi Di Ke Wo Nabi Aur Naiko Karohn Main Se Hounge.

113
Aur Ham Ne Un Par Aur Ishaq Par Barakatain Nazil Ki Theen. Aur Un Dono  Ki Aulad Main Se Naiko Kaar Bhi Hain Aur Apne Aap Par Sareeh Zulm Karne Wale Yaani Gunehgaar Bhi Hain.

114
Aur Ham Ne Moosa Aur Haroon Par Bhi Ehsaan Kiye.

115
Aur Un Ko Aur Un Ki Qoum Ko Museebat-E-Azeema Se Nijaat Bakhshi.

116
Aur Un Ki Madad Ki Toh Wo Ghalib Ho Gaye.

117
Aur Un  Dono Ko Kitaab, Wazeh-Ul-Matalib Inayat Ki.

118
Aur Un Ko Seedha Rasta Dikhaya.




119
Aur Peeche Aane Waloun Main Un Ka Zikar Khair Baaqi Chor Dia.

120
Ke Mooa Aur Haroon Par Salam.

121
Be Shak Ham Naiko Kaaroun Ko Aisa Hi Badla Dia Karte Hain.

122
Wo Dono Hamare Momin Bandoun Main Se The.

123
Aur Ilyas Bhi Paigambaroun Main Se The.

124
Jab Unhoun Ne Apni Qoum Se Kaha Ke Tum Darte Kion Nahi?

125
Kia Tum Boaal Ko Pukarte Aur Us Ko Poojte Ho Aur Ab Se Behtar Paida Karne Wale Ko Chore Dete Ho.

126
Yani Khuda Ko, Joh Tumhara Aur Tumhare Agle Baap Dada Ka Parwardigar Hai.

127
Toh Un Lougon Ne Un Ko Jhutla Dia. So Wo Dozakh Mai Haazir  Kiye Jaayen Ge.

128
Haan Khuda Ke Bandgaan-E-Khas Mubtila-E-Azab Nahi Honge.

129
Aur Un Ka Zikar Khair Pichloun Main Baqi Chor Dia.

130
Ke Ilyaseen Par Salam.

131
Ham Naik Lougon Ko Aisa Hi Badla Dete Hain.

132
Be Shak Wo Hamare Momin Bandoun Main Se The.

133
Aur Loot Bhi Paigambaroun Main Se The.

134
Jab Ham Ne Un Ko Aur Un Ke Ghar Waaloun Ko Sab Ko Azaab Se Nijaat Di.

135
Magar Aik Burhiya Ke Peeche Reh Jane Waaloun Main Thi.

136
Phir Hamne Auroun Ko Halak Kar Dia.

137
Aur Tum Din Ko Bhi Un Ki Bastiyoun Ke Paas Se Guzarte Rehte Ho.

138
Aur Raat Ko Bhi. Toh Kia Tum Aqal Nahi Rakhte.

139
Aur Younus Bhi Paigambaroun Main Se The.

140
Jab Bhaag Kar Bhari Hui Kashti Main Pohonche.



141
Us Waqt Quraa Dala, Toh Unhoun Ne Zakk Uthayee.

142
Phir Machli Ne Un Ko Nigal Lia Aur Wo Qaabil-E-Malamat Kaam Karne Wale The.

143
Phir Agar Wo Khuda Ki Paaki Bayan Na Karte .

144
Toh Us Roz Tak, Ke Loug Dobara Zinda Kiye Jayen Ge, Ussi Ke Pait Main Rehte.

145
Phir Ham Ne Un Ko Jab Ke Wo Bimaar The Farakh Maidaan Main Daal Dia.

146
Un Par Kaddoo Ka Darakht Ugaya.

147
Aur Un Ko Laakh Ya Us Se Ziada Lougon Ki Taraf Paigamabar Bana Kar Bhaija.

148
Toh Wo Eemaan Le Aye, So Ham Bhi Un Ko Dunia Main Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Faaide Dete Rahe.

149
Un Se Poocho Toh Ke Bhala Tumhare Parwardigar Ke Liye Toh Baitiyan Aur Un Ke Liye Bete.

150
Ya Ham Ne Farishtoun Ko Aurtain Banaya Aur Wo Us Waqt Mojood The.

151
Daikho Ye Apni Jhoot Banaye Hui Baat Kehte Hain.

152
Ke Khuda Ke Aulad Hai, Kuch Shak Nahi Ke Ye Jhoote Hain.

153
Kia Us Ne Baitoun Ki Nismbat Baitiyonn Ko Pasand Kia Hai?

154
Tum Kaise Loug Ho, Kis Tarha Ka Faisla Karte Ho.

155
Bhala Tum Ghour Kion Nahi Karte.

156
Kia Tumhare Paas Koi Sareeh Daleel Hai.

157
Agar Tum Sache Ho, Toh Aphi Kitab Paish Karo.

158
Aur Unhoun Ne Khuda Main Aur Jinnon Main Rishta Muqarrar Kia. Halanke Jinnat Jaante Hain Ke Wo Khuda Ke Saamne Hazir Kiye Jayen Ge.

159
Ye Joh Kuch Bayan Karte Hain Khuda Us Se Paak Hai.

160
Magar Khuda Ke Bandgaan-E-Khalis Mubtalyae Azaab Nahi Hounge.

161
So Tum, Aur Jin Ko Tum Poojte Ho.


162
Khuda Ke Khilaaf Behka Nahi Sakte.

163
Magar Us Ko Joh Jahannum Main Jane Wala Hai.

164
Aur Farishte Kehte Hain Ke Ham Main Se Har Aik Ka Aik Maqaam Muaqarrar Hai.

165
Aur Ham Saff Bandhe Rehte Hain.

166
Aur Khuda-E-Paak Zaat Ka Zikar Karte Rehte Hain.

167
Aur Ye Loug Kaha Karte The.

168
Ke Agar Hamare Paas Agloun Ki Koi Naseehat Ki Kitaab Hoti.

169
Toh Ham Khuda Ke Khalis Bande Hote.

170
Lekin Ab, Is Se Kufar Karte Hain, So Anqareeb Un Ko Is Ka Natija Maloom Ho Jaye Ga.

171
Aur Apne Paigaam Pohonchane Wale Bandoun Se Hamara Wada Ho Chukka Hai.

172
Ke Wo Hi Muzaffar-O-Mansoor Hain.


173
Aur Hamara Lashkar Ghaalib Rahe Ga.

174
Toh Aik Waqt Tak Un Se Airaaz Kiye Raho.

175
Aur Unhain Daikhte Raho. Ye Bhi Anqareeb Kufur Ka Anjaam Daikh Lainge.

176
Kia Ye Hamare Azaab Ke Liye Jaldi Kar Rahe Hain.

177
Magar Jab Wo Un Ke Maidaan Main Aa Utre Ga, Toh Jin Ko Dar Suna Dia Gaya Tha Un Ke Liye Bura Din Hoga.

178
Aur Aik Waqt Tak Un Se Moonh Phaire Raho.

179
Aur Daikhte Raho, Ye Bhi Anqareeb Natija Daikh Lainge.

180
Ye Joh Kuch Bayaan Karte Hain , Tumahra Parwardigar Joh Sahib-E-Izzat Hai, Us Se Paak Hai.

181
Aur Paigambarun Par Salam.

182
Aur Sab Tarha Ki Taareef Khuda-E-Rabb-Ul-Aalmaeen Ko Sazawaar Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!