Tuesday 19 April 2016

52-Soora-At-Tur-Aayat-49




Soorah-At-Tur

Aayaat-49

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Koh-E-Toor Ki Qasam.

2
Aur Kitaab Ki Joh Likhi Hui Hai.

3
Kushaada Quraaq Main.

4
Aur Aabaad Ghar Ki.

5
Aur Oonchi Chatt Ki.

6
Aur Ubalte Hue Darya Ki.

7
Ke Tumhare Parwardigar Ka Azaab Waaqe Ho Kar Rahe Ga.

8
Aur Us Ko Koi Rok Nahi Sake Ga.

9
Jis Din Aasmaan Larazne Lage, Kapkapa Kar.


10
Aur Pahaar Urne Lagian Oon Ho Kar.

11
Us Din Jhutlaane Waloun Ke Liye Kharabi Hai.

12
Joh Khoz-E-Baatil Main Pare Khail Rahe Hain.

13
Jis Din un Ko Aatish-E-Jahjannum Ki Taraf Dhakail Dhakail Kar Le Jaayenge.

14
Ye Hi Wo Jahannum Hai Jis Ko Tum Jhoot Smajhte The.

15
Toh Kia Ye Jaadu Hai, Ya Tum Ko Nazar Hi Nahi Aata.

16
Is Main Daakhil Ho Jao Aur Sabar Karo Ya Na Karo, Tumhare Liye Yaksaan Hai. Joh Kaam Tum Kia Karte The, Ye Un Hi Ka Tum Ko Badla Mill Raha Hai.

17
Joh Parhaizgaar Hai Wo Baaghoun Aur Naimatoun Main Hounge.

18
Joh Kuch Un Ke Parawardigar Ne Un Ko Bakhsha, Us Ki Waja Se Khushaal . Aur Un Ke Parwardigar Ne Un Ko Dozakh Ke Azaab Se Bacha Liya.

19
Apne Amaaal Ke Sile Main Maze Se Khao Aur Piyo.



20
Takhtoun Par Joh Barabar Barabar Biche Hue Hain Takya Lagaye Hue Aur Bari Bari Aankhoun Wali Hooroun Ko, Ham Un Ka Rafeeq Bana Dainge.

21
Aur Joh Loug Eemaan Laye Aur Un Ki Aulaad Bhi Raah-E-Eemaan Main Un Ke Peeche Chali. Ham Un Ki Aulad Ko Bhi Un Ke Darje Tak Pohouncha Dainge Aur Un Ke Aamal Main Se Kuch Kam Na Kariange. Har Shakhs Apne Aamaal Main Phansa Hua Hai.

22
Aur Jis Tarha Ke Mewe Aur Gosht, Un Ka Jee Chahe Ga Ham Un Ko Ata Karain Ge.

23
Wahan Wo Aik Doosre Se Jam-E-Sharaab Jhapat Liya Karinge, Jis Ke Peene Se Na Hizyaan Sarayee Hogi, Na Koi Gunnah Ki Baat.

24
Aur Noujawan Khidmat Gaar Toh Aise Hounge,  Jaise Chupaaye Hue Moti, Un Ke Aas Paas Phirainge.

25
Aur Aik Dsoosre Ki Taraf Rukh Kar Ke Apas Main Guftugo Karainge.

26
Kahainge Ke Is Se Pehle Ham Apne Ghar Main Khuda Se Darte Rehte The.

27
Toh Khuda Ne Ham Par Ehsaan Farmaya Aur Hamain Loo(Garam Hawa) Ke Azaab Se Bacha Liya.



28
Is Se Pehle Ham Us Se Duayaaen Kia Karte The. Be Shak Wo Ehsaan Karne Wala Meherbaan Hai.

29
Toh Ae Paighambar S.A.W. Tum Naseehat Karte Raho Tum Apne Parwardigar Ke Fazal Se Na Toh Kahil Ho Aur Na Dewaane.

30
Kia Kafir Kehte Hain Ke Ye Shaair Hai Aur Ham Is Ke Haq Main Zamane Ke Hawaris Ka Intizar Kar Rahe Hain.

31
Keh Do Ke Intizar Kiye Jao, Main Bhi Tumhare Sath Intizar Karta Hoon.

32
Kia Un Ki Aqlain Un Ko Ye Hi Sikhati Hain. Balke Ye Loug Hain Hi Shareer.

33
Kia Kuffaar Kehte Hain,  Ke In Paigambar Ne Quraan Az Khud Bana Liya Hai, Baat Ye Hai Ke Ye Khuda Par Eemaan Nahi Rakhte.

34
Agar Ye Sache Hain Toh Aisa Kalaam  Bana Toh Laayen.

35
Kia Ye Kisi Ke Paida Kiye Bagair Hi Paida Ho Gaye Hain. Ya Ye Khud Apne Taiyee Paida Karne Wale Hain.

36
Ya Unhoun Ne Aasmanaouan Aur Zameen Ko Paida Kia Hai?  Nahi Balke Ye Yaqeen Hi Nahi Rakhte.



37
Kia Un Ke Paas Tumhare Parwardigar Ke Khazane Hain .Ya Ye Kahin Ke Darogha Hain?

38
Ya Un Ke Pas Koi Seerhi Hai, Jis Par Charh Kar Aasman Se Baatain Sunnate Hain. Toh Joh Sunnata Hai Wo Sareeh Sanad Dikhaye.

39
Kia Khuda Ki Toh Baitiyaan Aur Tumhare Bete Hain.

40
Ae Paigambar S.A.W. Kia Tum Un Se Sila Maangte Ho, Ke Un Par Tawaan Ka Bojh Par Raha Hai.

41
Ya Un Ke Paas Ghaib Ka Ilm Hai Ke Wo Usse Likh Lete Hain.

42
Kia Ye Koi Daaow Karna Chahte Hain Toh Kafir Toh Khud Daaow Main Aane Wale Hain.

43
Kia Khuda Ke Siwa Un Ka Koi Aur Maabood Hai? Khuda Un Ke Shareek Banane Se Paak Hai.

44
Aur Agar Ye Aasmaan Se Azaab Ka Koi Tukra Girta Hua Daikhain Toh Kahain Ke Ye Gaarha Baadal Hai.

45
Pas Un Ko Chor Do, Yahan Tak Ke Wo Roz, Jis Main, Wo Be Hosh Kar Diye Jaye Ge,Samane Aa Jaye.

46
Jis Din Un Ka Koi Daaow Khuch Bhi Kaam Na Aye Aur Na Un Ko Kahin Se Madad Hi Mile.
47
Aur Zaalimoun Ke Liye Is Ke Siwa Aur Azaab Bhi Hain, Lekin Un Main Ke Aksar Nahi Jaante.

48
Aur Tum Apne Parwardigar Ke Hukum Ke Intizar Main Sabar Kiye Raho. Tum Toh Hamri Aankhoun Ke Saamne Ho Aur Jab Utha Karo, Toh Apne Parwardigar Ki Tareef Ke Sath Tasbeeh Kia Karo.

49
Aur Raat Ke Baaz Ouqaat Main Bhi Aur Sitaaroun Ke Gharoob Hone Ke Baad Main Bhi Us Ki Tanziya Kia Karo.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!