Tuesday, 19 April 2016

56-Soorah-al-Waaqiyah-Aayat-96




Soorah-Al-Waaqiah

Aayaat-96

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Jab Waaqe Hone Wali Waaqe Ho Jaye.

2
Us Ke Waaqe Hone Main Kuch Jhoot Nahi.

3
Kisi Ko Past Kare Kisi Ko Buland.

4
Jab Zameen Bhonchaal Se Larazne Lage.

5
Aur Pahaar Toor Kar Raiza Raiza Ho Jaayen.

6
Phir Ghubaar Ho Kar Urne Lagain.

7
Aur Tum Loug Teen Qisam Ho Jao.

8
Toh Daahne Hath Wale (Subhaan Allah) Daahne Hath Wale Kia Hi Chain Main Hain.

9
Aur Baayen Hath Wale Afsos, Baayen Hath Wale Kia Giriftaa-e-Azaab Hain.

10
Aur Joh Aage Barhne Wale Hain Un Ka Kia Kehna Wo Aage Hi Barhne Wale Hain.

11
Wo Hi Khuda Ke Maqrab Hain.

12
Naimat Ki Behshatoun Main.

13
Wo Bohot Se Toh Agle Lougon Main Se Hounge.

14
Aur Thore Se Pichloun Main Se.

15
Laal-O-Yaqoot Wagaira Se Jare Hue Takhtoun Par.

16
Aamne Samne Takya Lagaye Hue.

17
Noujawan Khidmat Guzaar, Joh Hamesha Aik Hi Halat Main Rahainge Un Ke Aas Paas Phirain Ge.

18
Yaani Aabkhore Aur Aaftaabe Aur Saaf Sharab Ke Gilaas Le Le Kar.

19
Us Se Na Toh Sar Main Dard Hoga Aur Na un Ki Aqlain Zaail Houngi.

20
Aur Mewe Jis Tarha Ke Un Ko Pasand Houn.

21
Aur Parindoun Ka Gosht Jis Qisam Ka Un Ka Jee Chahe.

22
Aur Bari Bari Aankhoun Wali Hoorain.

23
Jaise( Hifazat Se) Tae Kiye Hue (Aab Daar) Moti.

24
Ye Un Ke Aamaal Ka Badla Hai Joh Wo Karte The.

25
Wahan Na Behooda Baat Sunain Ge Aur Na Gaali Galoch.

26
Haan Un Ka Kalaam Salam Salam Hoga.

27
Aur Dahne Hath Wale (Subhaan Allah) Dhane Hath Wale Kia Hi Aish Main Hain.

28
Yaani Be Khaar Ki Bairiyoun.

29
Aur Tae Ba Tae Kailoun.

30
Aur Lambe Lambe Saayoun.

31
Aur Paani Ke Jharnoun.

32
Aur Mewa Haaye Kaseera(Un Countable Dry Fruits) Ke Baaghoun Main.
33
Joh Na Kabhi Khatam Houn Aur Na Un Se Koi Roke.

34
Aur Oonche Oonche Farshoun Main.

35
Ham Ne Un Hooroun Ko Paida Kia.

36
Toh In Ko Kanwaaariyaan Banaya.

37
Aur Shohroun Ki Piyaariyan Aur Ham Umar.

38
Yaani Daahne Hath Waloun Ke Liye.

39
Ye Bohot Se Toh Agle Lougon Main Se Hain.

40
Aur Bohot Se Pichloun Main Se.

41
Aur Baayen Hath Wale Afsos Baayane Hath Wale Kia Hi Azaab Main Hain.

42
Yaani Dozakh Ki Lipat Aur Kholte Hue Paani Main.

43
Aur Siyaah Dhooain Ke Saye Main.

44
Joh Na Thanda Hai Na Khushnuma.

45
Ye Loug Is Se Pehle Aish-e-Naeem Main Pare Hue The.

46
Aur Gunnah-E-Azeem Par Are Hue The.

47
Aur Kaha Karte The Ke Bhala Jab Ham Mar Gaye Aur Matti Ho Gaye Aur Haddiyaan Hi Haddiyaan Reh Gaye, Toh Kia Hamain Phir Uthna Hoga?

48
Aur Kia Hamare Baap Dada Ko Bhi?

49
Keh Do Ke Be Shak Pehle Aur Pichle.

50
Sab Aik Roz-E-Muqarrar Ke Waqt Jama Kiye Jaye Ge.

51
Phir Tum Ae Jhutlaane Wale Gumraho!

52
Thoohar Ke Darakht Khaao Ge.

53
Aur Ussi Se Pait Bharo Ge.

54
Aur Us Par Kholta Hua Paani Piyo Ge.

55
Aur Piyo Ge Bhi Toh Is Tarha Jaise Piyase Oont Peete Hain.

56
Jaza Ke Din Ye Un Ki Ziafat Hogi.
57
Ham Ne Tum Ko Pehli Baar Bhi Toh Paida Kia Hai,  Toh Tum Dobara Uthne Ko Kion Sach Nahi Samajhte?

58
Daikho Toh Jis Nutfe Ko Tum Aurtoun Ke Rehem Main Daalte Ho.

59
Kia Tum Us Se Insaan Ko Banate Ho, Ya Ham Banate Hain?

60
Ham Ne Tum Main Marna Tehra Dia Hai Aur Ham Is Baat Se Aajiz Nahi.

61
Ke Tumhari Tarha Ke Aur Loug Tumhare Jaga Laayen Aur Tum Ko Aise Jahaan Main Jis Ko Tum Nahi Jaante Paida Kar Dain.

62
Aur Tum Ne Pehli Paidaish Toh Jaan Hi Li Hai. Phir Tum Sochte Kion Nahi?

63
Bhala Daikho Toh Ke Joh Kuch Tum Bote(Sow) Ho.

64
Toh Kia Tum Usse Ugaate Ho Ya Ham Ugaate Hain.

65
Agar Ham Chahain Toh Usse Choora Choora Kar Dain Aur Tum Baatain Banate Reh Jao.

66
Ke Haaye Ham Toh Muft Taawaan Main Phans Gaye.

67
Balke Ham Hain Hi Be Naseeb.
68
Bhala Daikho Toh, Ke Joh Paani Tum Peete Ho.

69
Kia Tum Ne Us Ko Badal Se Nazil Kia Hai, Ya Ham Naazil Karte Hain?

70
Agar Ham Chahain Toh Ham Usse Khaari Kar Dain, Phir Tum Shukar Kion Nahi Karte?

71
Bhala Daiko Toh Joh Aag Tum Darakht Se Nikaalte Ho.

72
Kia Tum Ne Us Ke Darakht Ko Paida Kia Hai, Ya Ham Paida Karte Hain?

73
Ham Ne Usse Yaad Dilaane Aur Musafirroun Ke Baratne Ko Banaya Hai.

74
Toh Tum Apne Parwardigar Buzurg Ke Naam Ki Tasbeeh Karo.

75
Hamain Taaroun Ki Manziloun Ki Qasam.

76
Aur Agar Tum Samjho Toh Ye Bari Qasam Hai.

77
Ke Ye Bare Rutbe Ka Quraan Hai.

78
Joh Kitaab-E-Mehfooz Main Likha Hua Hai.

79
Is Ko Wo Hi Hath Lagate Hain Joh Paak Hain.

80
Parwardigar-E-Aalam Ki Taraf Se Utaara Gaya Hai.

81
Kia Tum Is Kalaam Se Inkaar Karte Ho?

82
Aur Apna Wazeefa Ye Banate Ho Ke Isse Jhutlaate Ho.

83
Bhala Jab Rooh Gale Main Aa Pohonchti Hai.

84
Aur Tum Us Waqt Ki Halat Ko Daikha Karte Ho.

85
Aur Ham Us Marne Wale Se Tum Se Bhi Ziada Nazdeek Hote Hain, Lekin Tum Ko Nazar Nahi Aate.

86
Pass Agar Tum Kisi Ke Bas Main Nahi Ho.

87
Toh Agar Sache Ho Toh Rooh Ko Phair Kion Nahi Lete?

88
Phir Agar Wo Khuda Ke Muqraboun Main Se Hai.

89
Toh Us Ke Liye Araam Aur Khushboodaar Phool Aur Naimat Ke Baagh Hain.

90
Aur Agar Wo Daayen Hath Waloun Main Se Hain.
91
Toh Kaha Jaye Ga Ke Tujh Par Daahne Hath Waloun Ki Taraf Se Salam.

92
Aur Agar Wo Jhutlaane Wale Gumrahoun Main Se Hain.

93
Toh Us Ke Liye Kholte Paani Ki Ziafat Hain.

94
Aur Jahannum Main Dakhil Kia Jana.

95
Ye Dakhil Kia Jana Yaqeenan Saheeh, Yaani Haqq-Ul-Yaqeen Hai.

96
Toh Tum Apne Parwardigar-E-Buzurg  Ke Naam Ki Tasbeeh Karte Raho.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!