Wednesday 27 April 2016

34-Soorah-Saba-Aayat-54



Sooraah Saba

Aayaat- 54

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Sab Taareef Khuda Hi Ko Sazawaar Hai, Joh Sab Cheezoun Ka Malik Hai Yaani Wo Ke Joh Kuch Aasmaanoun Main Hai Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Ussi Ka Hai, Aur Aakhrat Main Bhi Ussi Ki Taareef Hai. Aur Wo Hikmat Wala Aur Khabardaar Hai.

2
Joh Kuch Zameen Main Dakhil Hota Hai Aur Joh Us Main Se Nikalta Hai Aur Joh Aasmaan Se Uttarta Hai Aur Joh Us Par Charhta Hai Sab Us Ko Maloom Hai. Aur Wo Meherbaan Aur Bakhashne Wala Hai.

3
Aur Kafir Kehte Hain Ke Qiamat Ki Ghari Ham Par Nahi Aaye Gi. Keh Do Kion Nahi Aaye Gi, Mere Parwardigar Ki Qasam Wo Tum Par Zaroor Aa Kar Rahe Gi, Wo Parwardigar Ghaib Ka Jaan-Ne Wala Hai, Zarra Bhar Cheez Bhi Us Se Posheeda Nahi Na Aasmaanoun Main Aur Na Zameen Main Aur Koi Cheez Us Se Choti Ya Bari Aisi Nahi, Magar Kitaab-E-Roshan Main Likhi Hui Hai.

4
Is Liye Ke Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rehe Un Ko Badla De.Ye Hi Hain Jin Ke Liye Bakhshish Aur Izzat Ki Rozi Hai.

5
Aur Jinhoun Ne Hamari Aayatoun Main Koshish Ki Hai Ke Hamain Hara Dain. Un Ke Liye Sakht Dard Dene Wale Azaab Ki Saza Hai.


6
Aur Jin Lougon Ko Ilm Dia Gaya He Wo Jaante Hain Ke Joh Quraan Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Tum Par Nazil Hua Hai, Wo Haq Hai. Aur Khudaaye Ghalib Aur Sazawaar Taareef Ka Rasta Batata Hai.

7
Aur Kafir Kehte Hain Ke Bhala Ham Tumhain Aisa Admi Batayen Joh Tumhain Khabar Deta Hai, Ke Jab Tum Mar Kar Bilkul Paara Paara Ho Jao Ge, Toh Naye Sire Se Paida Hoge.

8
Ya Toh Us Ne Khuda Par Jhoot Baandh Liya Hai. Ya Usse Junoon Hai. Baat Ye Hai Ke Joh Loug Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte Wo Aafaat Aur Parle Darje Ki Gumrahi Main Mubtila Hain.

9
Kia Unhoun Ne Us Ko Nahi Daikha Joh Un Ke Aage Aur Peeche Hai Yaani Aasmaan Aur Zameen. Agar Ham Chaahain Toh Unko Zameen Main Dhansa Dain Ya Un Par Aasmaan Ke Tukrre Gira Dain. Is Main Hai Bande Ke Liye Joh Rujoo Karne Wala Hai Aik Nishani Hai.

10
Aur Ham Ne Daawood Ko Apni Taraf Se Bartari Bakhshi Thi. Ae Pahaaro Un Ke Sath Tasbeeh Karo Aur Parindoun Ko Un Ka Maskhar Kar Dia, Aur Un Ke Liye Ham Ne Lohe(Iron) Ko Naram Kar Dia.

11
Ke Kushada Zarhain Banaow Aur Kariyoun Ko Andaze Se Joro Aur Naik Amal Karo. Joh Amal Tum Karte Ho Main Us Ko Daikhne Wala Hoon.





12
Aur Hawa Ko Ham Ne Sulaimaan Ka Taabe Kar Dia Tha, Us Ki Subh Ki Manzil Aik Maheene Ki Raah Hoti Aur Sham Ki Manzil Bhi Maheene Bhar Ki Hoti. Aur Un Ke Liye Ham Ne Taanbe Ka Chashma Baha Dia Tha Aur Jinnoun Main Se Aise The Joh Un Ke Parwardigar Ke Hukum Se Un Ke Aage Kaam Karte The. Aur Joh Koi Un Main Se Hamare Hukum Se Phire Ga, Us Ko Ham Jahannum Ki Aag Ka Mazah Chakhayen Ge.


13
Wo Joh Chahte Ye Un Ke Liye Banate Yaani Qille Aur Mujjasme Aur Bare Bare Lagan, Jaise Taalaab Aur Daigain, Joh Aik Hi Jaga Rakhi Rahain. Ae Daawood Ki Aulad Mera Shukar Karo Aur Mere Bandoun Main Shukar Gzaar Thore Hain.

14
Phir Jab Ham Ne Un Ke  Liye Mout Ka Hukum Saadir Kia Toh Kisi Cheez Se Un Ka Marna Maloom Na Hua, Magar Ghunn Ke Keere Se Joh Un Ke Asaa Ko Khata Raha. Jab Asaa Girr Para Tab Jinoun Ko Maloom Hua Aur Kehne Lage Ke Agar Wo Ghaib Jaante Hote Toh Zillat Ki Takleef Main Na Rehte.

15
Ehl-E-Saba Ke Liye Un Ke Maqaam Bood-O-Baash Main Aik Nishani Thi, Yaani Do Baagh,  Aik Daahni Taraf Aur Aik Baayen Taraf. Apne Parwardigar Ka Rizzq Khao Aur Us Ka Shukar Karo. Yahan Tumhare Rehne Ko Ye Paakeeza Sheher Hai Aur Wahan Bakhashne Ko Khudaa-E-Gaffar .

16
Toh Unhoun Ne Shukar Guzari Se Moonh Phair Liya, Pas Ham Ne Un Par Zor Ka Sailaab Chor Dia Aur Unhain Un Ke Baaghoun Ke Badle, Do Aise Baagh Diye, Jin Ke Maiwe(Dry Fruits) Bad Mazah The Aur Jin Main Kuch Toh Jhaao Tha Aur Thori Si Beriyaan.


17
Ye Ham Ne Un Ki  Na Shukri Ki Un Ko Saza Di. Aur Ham Saza Na Shukre Hi Ko Dia Karte Hain.

18
Aur Ham Ne Un Ke Aur Sham Main Un Bastiyoun Ke Darmiyaan , Jin Main  Ham Ne Barkat Di Thi, Aik Doosre Ke Muttsail Dehaat Banaye The, Joh Saamne Nazar Aate The Aur Un Main Aamad-O-Raft Ka Andaza Muqarrar Kar Dia Tha Ke Raat Din Be Khof-O-Khatar Chalte Raho.

19
Toh Unhoun Ne Dua Ki Ke Ae Parwardigar Hamari Musafatoun Main Bood Aur Tool Paida Kar De, Aur Us Se Unhoun Ne Apne Haq Main Zulm Kia Toh Ham Ne Unhain Nabood Kar Ke Un Ke Afsaane Bana Diye, Aur Unhain Bilkul Muntashir Kar Dia. Is Main Har Sabir-O-Shakir Ke Liye Nishaaniyan Hain.

20
Aur Shaitan Ne Un Ke Bare Main Apna Khayal Sach Kar Digkhaya Ke Mominoun Ki Aik Jamaat Ke Siwa Wo Us Ke Peeche Chal Pare.

21
Aur Us Ka Un Par Kuch Zor Na Tha Magar Hamara Maqsood Ye Tha Ke Joh Loug Aakharat Main Shak Rakhte Hain , Un Se Un Lougon Ko Joh Us Par Eemaan Rakhte Hain, Muttmaizz Kar Dain Aur Tumhara Parwardigar Har Cheez Par Nigehbaan Hai.

22
Keh Do Ke Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Maabood Khayal Karte Ho Unko Bulao. Wo Aasmaanoun Aur Zameen Main Zarra Bhar Cheez Ke Bhi Maalik Nahi Hain Aur Na Un Main Un Ki Shirkat Hai Aur Na Un Main Se Koi Khuda Ka Madadgaar Hai.




23
Aur Khuda Ke Haan Kisi Ke Liye Sifarish  Faida Na De Gi, Magar Us Ke Liye Jis Ke Bare Main Wo Ijazat Bakhshe. Yahan Tak Ke Jab Un Ke Diloun Se Iztiraat Door Kar Dia Jaye Ga, Toh Kahain Ge Ke Tumhare Parwardigar Ne Kia Farmaya Hai. Farishte Kahain Ge Ke Haq Farmaya Hai, Aur Wo Aali Rutba Aur Giraami Qadar Hai.

24
Poocho Ke Tum Ko Aasmaanoun Aur Zameen Se Koun Rizq Deta Hai? Kaho Ke Khuda Aur Ham Ya Tum Ya Toh Seedhe Raste Par Hain Ya Sareeh Gumrahi Main.

25
Ke Na Hamare Gunahoun Ki Tum Se Purrshish Hogi Aur Na Tumhare Aamaal Ki Ham Se Purrshish Hogi.

26
Keh Do Ke Hamara Parwardigar Ham Ko Jama Kare Ga Phir Hamare Darmyan Insaaf Ke Sath Faisla Kar De Ga. Aur Wo Khoob Faisla Karne Wala Aur Sahib-E-Ilm Hai.

27
Kaho Ke Mujhe Wo Loug Toh Dikhao Jin Ko Tum Ne Shareek Khuda Bana Kar Us Ke Sath Mila Rakha Hai. Koi Nahi, Balke Wo Hi Akaila Khuda Ghalib Aur Hikmat Wala Hai.

28
Aur Ae Muhammad S.A.W. Ham Ne Tumko Tamaam Lougon Ke Liye Khushkhabari Sunane Wala Aur Darane Wala Bana Kar Bhaija Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.

29
Aur Kehte Hain Agar Tum Sach Kehte Ho Toh Ye Qiamat Ka Waada Kab Waqoo Main Aye Ga.



30
Keh Do Ke Tum Se Aik Din Ka Waada Hai, Jis Se Na Aik Ghari Peeche Raho Ge Aur Na Aage Barho Ge.

31
Aur Joh Kafir Hain Wo Kehte Hain Ke Ham Na Toh Is Quraan Ko Maanain Ge Aur Na In Kitaaboun Ko, Joh Un Se Pehle Ki Hain Aur Kash In Zaalimoun Ko Tum Us Waqt Daikho Jab Ye Apne Parwardigar Ke Saamne Khare Hounge Aur Aik Doosre Se Radd-o-Kadd Kar Rahe Hounge. Joh Loug Kamzor Samajhe Jate The Wo Bare Lougon Se Kahain Ge Ke, Agar Tum Na Hote Toh Ham Zaroor Momin Ho Jate.

32
Bare Loug Kamzouroun Se Kahain Ge Ke Bhala Ham Ne Tum Ko Hidayat Se Jab Wo Tumhare Pas Aa Chuki Thi Roka Tha? Nahi Balke Tum Hi Gunnehgaar The.

33
Aur Kamzor Loug Bare Lougon Se Kahian Ge, Nahi, Balke Tumhari Raat Din Ki Chaloun Ne Hamain Rok Rakha Tha, Jab Tum Ham Se Kehte The, Ke Ham Khuda Se Kufur Karain Aur Us Ka Shareek Banayen. Aur Jab Wo Azaab Ko Daikhain Ge Toh Dil Main Pashemaan Hounge. Aur Ham Kaafiroun Ki Gardanoun Main Touq Daal Dainge. Pas Joh Amal Wo Karte The Un Hi Ka Un Ko Badla Mile Ga.

34
Aur Ham Ne Kisi Basti Main Koi Darane Wala Nahi Bhaija, Magar Wahan Ke Khush Haal Lougon Ne Kaha Ke Joh Cheez Tum De Kar Bhaije Gaye Ho Ham Us Ke Qaail Nahi.

35
Aur Ye Bhi Kehne Lage Ke Ham Bohot Sa Maal Aur Aulaad Rakhte Hain Aur Ham Ko Azaab Nahi Hoga.


36
Keh Do Ke Mera Rabb Jis Ke Liye Chahta Hai Rozi Faraakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahta Hai Tang Kar Deta Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.

33
Aur Tumhara Maal Aur Aulad Aisi Cheez Nahi Ke Tum Ko Hamara Maqrab Bana De. Haan Hamara Maqrab Wo Hai Joh Eemaan Laaya Aur Amal-E-Naik Karta Raha. Aise Hi Lougon Ko Un Ke Aamaal Ke Sabab Dugna Badle Mile Ga Aur Wo Khatir Jama Se Baala Khaanoun Main Baithe Hounge.

38
Joh Loug Hamari Aatyatoun Main Koshish Karte Hain Ke Hamain Hara Dain, Wo Azaab Main Hazir Kiye Jayen Ge.

39
Keh Do Ke Mera Parwardigar Apne Bandoun Main Se Jis Ke Liye Chahta Hai Rozi Farakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye Chahata Hai Tang Kar Deta Hai Aur Tum Joh Cheez Kharch Karo Ge Wo Us Ka Tumhain Iwazz De Ga. Aur Wo Sab Se Behtar Rizq Dene Wala Hai.

40
Aur Jis Din Wo Un Sab Ko Jama Kare Ga, Phir Farishtoun Se Farmaaye Ga, Kia Ye Loug Tumhari  Pooja Karte The.

41
Wo Kahain Ge, Tu Paak Hai Tu Hi Hamara Dost Hai, Na Ye, Balke Ye Jinnaat Ko Pooja Karte The.Aur Aksar In Hi Ko Maante The.

42
Toh Aaj Tum Main Se Koi Kisi Ko Nafa Aur Nuqsaan Pohonchane Ka Ikhtiyaar Nahi Rakhta. Aur Ham Zaalimoun Se Kahainge Ke Dozakh Ke Azaab Ka Jis Ko Tum Jhoot Samajhte The Mazah Chakho.


43
Aur Jab Un Ko Hamari Roshan Aayatain Parh Kar Sunaiyee Jati Hai Toh Kehte Hain Ye Aik Aisa Shakhs Hai Joh Chahta Hai Ke Jin Cheezoun Ki Tumhare Baap Dada Parastish Kia Karte The Un Se Tumko Rouk De, Aur Ye Bhi Kehte Hain Ke Ye Quraan Mehez Jhoot Hai Joh Apni Taraf Se Bana Liya Gaya Hai. Aur Kaafiroun Ke Paas Jab Haq Aaya Toh Us Ke Bare Main Kehne Lage Ke Ye Toh Sareeh Jaadu Hai.

44
Aur Ham Ne Na Toh In Mushrikoun Ko Kitaabain Deen Jin Ko Ye Parhte Hain Aur Na Tum Se Pehle Un Ki Taraf Koi Darane Wala Bhaija Agar Unhoun Ne Takzeeb Ki.

45
Aur Joh Loug Un Se Pehe The Unhoun Ne Takzeeb Ki Thi Aur Joh Kuch Ham Ne In Ko Dia Tha Ye Us Ke Daswain(10th) Hisse Ko Bhi Nahi Pohonche, Toh Unhoun Ne Mere Paigambaroun Ko Jhutlaya.So Mera Azaab Kaisa Hua.

46
Keh Do Ke Main Tumhain Sirf Aik Baat Ki Naseehat Karta Hoon Ke Tum Khuda Ke Liye, Do Do, Aur Akaile Akaile, Khare Ho Jao Phir Ghour Karo. Tumhare Rafeeq Ko Mutliq Souda Nahi, Wo Toh Tum Ko Azab Sakhat Ke Aane Se Pehle Sirf Darane Wale Hain.

47
Keh Do Ke Main Ne Tum Se Kuch Sila Maanga Ho, Toh Wo Tumahra Mera Sila Khuda Hi Ke Zimme Hai. Aur Wo Har Cheez Se Khabardaar Hai.

48
Keh Do Ke Mera Parwardigar Oopar Se Haq Utaarta Hai Aur Wo Ghaib Ki Baatoun Ko Jaan-Ne Wala Hai.



49
Keh Do Ke Haq Aa Chukka Aur Maabood Batil Na Toh Pehli Baar Paida Kar Sakta Hai Aur Na Dobara Paida Kare Ga.

50
Keh Do Ke Agar Main Gumrah Hoon, Toh Meri Gumrahi Ka Zarrar Mujh Hi Ko Hai. Aur Agar Hidayat Par Hoon Toh Ye Us Ki Tufail Hai, Joh Mera Parwardigar Meri Taraf Wahi Bhaijta Hai. Be Shak Wo Sunn-Ne Wala Aur Nazdeek Hai.

51
Aur Kash Tum Daikho Jab Ye Ghabra Jayen Ge, Toh Azaab Se Bach Nahi Sakainge Aur Nazdeek Hi Se Pakar Liye Jaye Ge.

52
Aur Kahainge Ke Ham Is Par Eemaan Le Aaye Aur Ab Itni Door Se Un Ka Hath Eemaan Ke Lene Ko Kion Kar Pohonch Sakta Hai.

53
Aur Pehle Toh Is Se Inkaar Karte Rahe Aur Bin Daikhe Door Hi Se Zann Ke Teer Chalte Rahe.

54
Aur Un Main Aur Un Ki Khuahish Ki Cheezoun Main Parda Hail Kar Dia Gaya, Jaisa Ke Pehle Un Ke Ham Jinsoun Se Kia Gaya, Wo Bhi Uljhan Main Daalne Wale Shak Main Pare Hue The.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!