Friday, 22 April 2016

44-Soorah-Ad-Dukhan-Aayat-59



Soorah-Ad-Dukhan

Aayaat-59

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

         
1
Haa Meem.

2
Is Kitaab-E-Roshan Ki Qasam.

3
Keh Ham Ne Is Ko Mubarak Raat Main Nazil Farmaya Ham Toh Rasta Dikhane Wale Hain.

4
Ussi Raat Main Tamaam Hikmat Ke Kaam Faisla Kiye Jate Hain.

5
Yani Hamare Haan Se Hukum Ho Kar. Be Shak Ham Hi Paigambar Ko Bhaijte Hain.

6
Ye Tumahre Parwardigar Ki Rehamat Hai. Wo Toh Sunn-Ne Wala Jaan-Ne Wala Hai.

7
Aasmanoun Aur Zameen Aur Joh Kuch In Dono Main Hai Sab Ka Malik. Bashart Ye Keh Tum Loug Yaqeen Karne Wale Ho.




8
Us Ke Siwa Koi Maabood Nahi. Wo Hi Jilata Hai Aur Wo Hi Maarta Hai. Wo Hi Tumhara Aur Tumahre Pehle Baap Dada Ka Parwardigar Hai.

9
Lekin, Ye Loug Shak Main Khail Rahe Hain.

10
Toh Us Din Ka Intizaar Karo Ke Aasmaan Se Sareeh Dhuaan Nikle Ga.

11
Joh Lougon Par Cha Jaye Ga.Ye Dard Dene Wala Azaab Hai.

12
Ae Parwardigar Ham Se Is Azaab Ko Door Kar, Ham Eemaan Laate Hain.

13
Us Waqt Un Ko Naseehat Kahan Mufeed Hogi, Jab Ke Un Ke Paas Paigamabar Aa Chuke, Joh Khol Khol Kar Bayan Kar Dete The.

14
Phir Unhoun Ne Un Se Moonh Phair Liya Aur Kehne Lage Ye Toh Parhaya Hua Aur Deewana Hai.

15
Ham Toh Thore Dinoun Azaab Taal Dete Hain, Magar Tum Phir Kufur Karne Lagte Ho.

16
Jis Din Bari Sakht Pakar Pakrainge Toh Be Shak Intiqaam Le Kar Chorain Ge.



17
Aur Un Se Pehle Ham Ne Qoum-E-Firown Ki Aazmaaish Ki Aur Un Ke Paas Aik Aali Qadar Paigambar Aaye.

18
Jinhoun Ne Ye Kaha Ke Khuda Ke Bandoun, Yaani Bani Israil Ko Mere Hawale Kar Do, Main Tumhara Amanat Daar Paigambar Hoon.

19
Aur Khuda Ke Saamne Sar Kashi Na Karo. Main Tumhare Pas Khuli Daleel Le Kar Aaya Hoon.

20
Aur Is Bat Se Ke Tum Mujhe Sangsaar Karo, Apne Aur Tumhare Parwardigar Ki Panaah Mangta Hoon.

21
Aur Agar Tum Mujh Par Eemaan Nahi Laate Toh Mujh Se Alag Ho Jao.

22
Tab Moosa Ne Apne Parwardigar Se Dua Ki Ke Ye Nafarmaan Loug Hain.

23
Khuda Ne Farmaya Ke Mere Bandoun Ko Raatoun Raat Le Kar Chale Jao Aur Firowni Zaroor Tumahara Taaqub Karainge.

24
Aur Darya Se Ke Khushk Ho Raha Hoga, Paar Ho Jao Tumhare Baad Un Ka Tamam Lashkar Dibo Dia Jaye Ga.

25
Wo Loug Bohot Se Baagh Aur Chashme Chor Gaye .

26
Aur Khaitiyan Aur Nafees Makaan.
27
Aur Araam Ki Cheezain Jin Main Aish Kia Karte The.

28
Issi Tarha Hua, Aur Ham Ne Doosre Lougon Ko Un Cheezoun Ka Malik Bana Dia.

29
Phir Un Par Na Toh Aasmaan  Aur Zameen Ko Rona Aya Aur Na Un Ko Mohlat Hi Di Gai.

30
Aur Ham Ne Bani Israil Ko Zillat Ke Azaab Se Nijaat Di.

31
Yaani Firown Se. Be Shak Wo Sarkash Aur Had Se Nikla Hua Tha.

32
Aur Ham Ne Bani Israhil Ko Ehl-E-Aalam Se Daanista Muntakhib Kia Tha.

33
Aur Un Ko Aisi Nishaniyan Di Theen Jin Main Sareeh Aazmaaish Thi.

34
Ye Loug Ye Kehte Hain.

35
Ke Hamain Sirf Pehli Dafa Yaani Aik Baar Marna Hai Aur Phir Uthna Nahi.

36
Pas Agar Tum Sache Ho Toh Hamare Baap Dada Ko Zinda Kar Lao.



37
Bhala Ye Ache Hain, Ya Tooba Ki Qoum, Aur Wo Loug Joh Tum Se Pehle Ho Chuke Hani. Ham Ne Un Sab Ko Halaak Kar Dia.Be Shak Wo Gunnehgaar The.

38
Aur Ham Ne Aasmanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Kuch Un Main Hai Un Ko Khailte Hue Nahi Banaya.

39
Un Ko Ham Ne Tadbeer Se Paida Kia Hai, Lekin Askar Loug Nahi Jante.

40
Kuch Shak Nahi Ke Faisle Ke Din Un Sab Ke Uthne Ka Waqt Hai.

41
Jis Din Koi Dost Kisi Dost Ke Kuch Kaam Na Aye Ga Aur Na Un Ko Madad Mile Gi.

42
Magar Jis Par Khuda Meherbaani Kare.Wo Toh Galib Aur Meherbaan Hai.

43
Bila Shuba Thouhar Ka Darakht.

44
Gunnehgar Ka Khana Hai.

45
Jaise Pighla Hua Taamba .Paitoun Main Is  Tarha Khole Ga.

46
Jis Tarha Garam Paani Kholta Hai.


47
Hukum Dia Jaye Ga Ke Is  Ko Pakar Lo Aur Khainchte Hue Dozakh Ke Beechoun Beech Le Jao.

48
Phir Us Ke Sar Par Kholta Hua Paani Undail Do,  Ke Azab Par Azaab Ho.

49
Ab Mazah Chakh. Tu Bari Izzat Wala Aur Sardaar Hai.

50
Ye Wo Hi Dozakh Hai Jis Main Tum Loug Shak Kia Karte The.

51
Be Shak Parhaizgaar Loug Aman Ke Maqaam Main Hounge.

52
Yaani Baaghoun Aur Chasmoun Main.

53
Hareer Ka, Bareek Aur Dabeez Libaas Pehen Kar, Aik Doosre Ke Saamne Baithe Hounge.

54
Wahan Is Tarha Ka Haal Hoga Aur Ham Bari Bari Aankoun Wali Safaid Rang Ki Aurtoun Se Un Ke Jore Lagayen Ge.

55
Wahan Khatir Jama Se Har Qisam Ke Mewe Mangwaayen Ge Aur Khaayen Ge.

56
Aur  Pehli Dafa Ke Marne Ke Siwa, Ke Mar Chuke The, Mout Ka Mazah Nahi Chakhain Ge. Aur Khuda un Ko Dozakh Ke Azaab Se Bacha Le Ga.

57
Ye Tumhare Parwardigar Ka Fazal Hai. Ye Hi Toh Bari Kamyabi Hai.

58
Ham Ne Is Quraan Ko Tumahri Zabaan Main Asan Kar Dia Hai Ta-Ake Ye Loug Naseehat Pakrain.

59
Pas Tum Bhi Intizar Karo Ye Bhi Intizar Kar Rahe Hain.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!