Soorah-Al-Ahqaaf
Aayaat-35
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Haa Meem.
2
Ye Kitaab Khudaa-E-Ghalib
Aur Hikmat Wale Ki Taraf Se Nazil Hui Hai.
3
Ham Ne Aasmaanoun Aur
Zameen Ko Aur Joh Kuch In Dono Main Hai Mabni Bar Hikmat Aur Aik Waqt-E-Muqarar
Tak Ke Liye Paida Kia Hai. Aur Kaafiroun Ko Jis Cheez Ki Naseehat Ki Jati Hai Us
Se Moonh Phair Lete Hain.
4
Kaho Ke Bhala Tum Ne Un
Cheezoun Ko Daikha Hai, Jin Ko Tum Khuda Ke Siwa Pukarte Ho Zara Mujhe Bhi Toh Dihkao,
Ke Unhoun Ne Zameen Main Koun Si Cheez
Paida Ki Hai.Ya Aasmanoun Main Un Ki Shirkat Hai.Agar Sache Ho Toh Is Se Pehle
Ki Koi Kitaab Mere Paas Lao.Ya Ilm-E-Ambiya Main Se Kuch Manqool Chala Aata Ho
Toh Usse Paish Karo.
5
Aur Us Shakhs Se Barh
Kar Koun Gumrah Ho Sakta Hai, Joh Aise
Ko Pukaare Joh Qiamat Tak Usse Jawab Na De Sake Aur In Ko In Ke Pukarne Hi Ki
Khabar Na Ho.
6
Aur Jab Loug Jama Kiye
Jayen Ge Toh Wo Un Ke Dushman Hounge Aur Un Ki Parastish Se Inkaar Karaain Ge.
7
Aur Jab Un Ke Saamne
Hamari Khuli Aayatain Parhi Jati Hain, Toh
Kafir Haq Ke Baare Main, Joh Un Ke Paas Aa chuka Kehta Hain Ke Ye Toh Sareeh
Jaadu Hai.
8
Kia Ye Kehte Hain Ke
Us Ne Isko Az Khud Bana Liya Hai. Keh Do Ke Agar Main Ne Is Ko Apni Taraf Se
Banaya Ho, Toh Tum Khuda Ke Saamne Mere
Bachao Ke Liye Kuch Ikhtiyaar Nahi Rakhte. Wo Us Guftugu Ko Khoob Janta Hai Joh
Tum Us Ke Bare Main Karte Ho.Wo Hi Mere Aur Tumhare Darmayan Gawahi Kafi
Hai.Aur Wo Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
9
Keh Do Ke Main Koi
Naya Paigamabr Nahi Aaya. Aur Main Nahi Jaanta Ke Mere Sath Kia Salook Kia Jaye
Ga Aur Tumhare Sath Kia Kia Jaye Ga. Main Toh Ussi Ki Pairwi Karta Hoon Joh
Mujh Par Wahi Aati Hai Aur Mera Kaam Toh Ailaaaniya Hidayat Karna Hai.
10
Kaho Ke Bhala Daikho
Toh, Agar Ye Quraan Khuda Ki Taraf Se Ho Aur Tum Ne Is Se Inkaar Kia Aur Bani
Israahil Main Se Aik Gawah Issi Tarha Ki Aik Kitaab Ki Gawahi De Chukka Aur
Eemaan Le Aaya Aur Tum Ne Sarkashi Ki,
Toh Tumhare Zalim Hone
Main Kia Shak Hai. Be Shak Khuda Zalim Lougon Ko Hidayat Nahi Deta.
11
Aur Kafir Mominoun Se
Kehte Hain Ke Agar Ye Deen Kuch Behtar Hota Toh, Ye Loug Us Ki Taraf Ham Se
Pehle Na Dour Parte Aur Jab Wo Is Se Hidayat Yaab Na Hue Toh Ab Khainge Ke Ye
Purana Jhoot Hai.
12
Aur Is Se Pehle Moosa
Ki Kitaab Thi Lougon Ke Liye Rehnuma Aur Rehmat. Aur Ye Kitaab Arabi Zabaan
Main Hai Ussi Ki Tasdeeq Karne Wali Taa-Ake Zalimoun Ko Daraye. Aur Naiko
Kaaroun Ko Khush Khabri Sunaye.
13
Jin Lougon Ne Kaha Ke
Hamara Parwardigar Khuda Hai Phir Wo Us Par Qaaim Rahe Toh Un Ko Na Kuch Khof
Hoga Aur Na Wo Ghamnaak Hounge.
14
Ye Hi Ehl-E-Jannat
Hain Ke Hamesha Us Main Rahain Ge. Ye Us Ka Badla Hai Joh Wo Kia Karte The.
15
Aur Ham Ne Insaan Ko
Apne Waldain(Parents) Ke Sath Bhaliye Karne Ka Hukum Dia. Us Ki Maan(Mother) Ne,
Us Ko Takleef Se Pait Main Rakha Aur Takleef Hi Se Jana. Aur Iska Pait Main
Rehna Aur Doodh Chorna Dhaaye Baras(2 1/2) Main Hota Hai. Yahan Tak Ke Jab
Khoob Jwaan Hota Aur Chaalees Baras Ko Pohonch Jata Hai Toh Kehta Hai, Ke Ae
Mere Parwwardigar Mujhe Toufeeq De Ke Tu Ne Joh Ehsan Muje Par Aur Mere Maan
Baap Par Kiye Hain Un Ka Shukar Guzaar Hoon Aur Ye Ke Naik Amal Karoon Jin Ko
Tu Pasand Kare. Aur Mere Liye Meri Aulaad Main Islaah-O-Taqwa De. Main Teri
Taraf Rujoo Karta Hoon Aur Main Farmabardaaroun Main Hoon.
16
Ye Hi Loug Hain Jin Ke
Aamal-E-Naik Ham Qabool Karainge Aur In Ke Gunaahoun Se Darguzar Farmayen Ge
Aur Ye Hi Ehl-E-Jannat Main Hougne. Ye Sacha Waada Hai Joh Un Se Kia Jata Tha.
17
Aur Jis Shaks Ne Apne
Maan Baap Se Kaha Ke Uf Uf ! Tum Mujhe
Ye Batate Ho Ke Main Zameen Se Nikalaa Jaonga, Halanke Bohot Se Loug Mujh Se Pehle Guzar
Chuke Hain. Aur Wo Dono Khuda Ki Janab Main Faryaad Karte Hue Kehte The Ke Kam
Bakht Eemaan La. Khua Ka Wada Sacha Hai. Toh Kehne Laga Ke Ye Toh Pehle Lougon
Ki Kahaniyan Hain.
18
Ye Hi Wo Loug Hain Jin
Ke Bare Main Jinoun Aur Insaanoun Ki Doosri Ummatoun Main Se Jo Un Se Pehle
Guzar Chukeen Azaab Ka Waada Tehqeeq Ho Gaya. Be Shak Wo Nuqsan Uthaane Wale
The.
19
Aur Lougon Ne Jaise
Kaam Kiye Hounge, Un Ke Mutabiq Sab Ke Darje Hounge. Gharz Ye Hai Ke Un Ko Un
Ke Aamaal Ka Poora Badla Dia Jaye, Aur
In Ka Nuqsaan Na Kia Jaye.
20
Aur Jis Din Kafir
Dozakh Ke Saamne Kiye Jayen Ge, Toh Kaha
Jaye Ga Ke Tum Apni Dunia Ki Zindagi Main Lazzatain Hasil Kar Chuke Aur Un Se
Muttmatte Ho Chuke, So Aaj Tum Ko Zillat Ka Azaab Hai, Ye Us Ki Saza Hai, Ke
Tum Zameen Main Nahaq Gharoor Kia Karte The. Aur Us Ki Bad Kirdaari Karte The.
21
Aur Qoum-E-Aad Ke Bhai
Hood Ko Yaad Karo, Ke Jab Unhoun Ne Apni
Qoum Ko Sar Zameen-E-Ahqaaf Main Hidayat Ki Aur Un Se Pehle Aur Peeche Bhi
Hidayat Karne Wale Guzar Chuke The, Ke
Khuda Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Karo. Mujhe Tumhare Bare Main Bare Din Ke Azaab
Ka Dar Lagta Hai.
22
Kehne Lage Kia Tum
Hamare Paas Is Liye Aaye Ho, Ke Ham Ko
Hamare Maaboodoun Se Phair Do. Agar Sache Ho Toh Jis Cheez Se Hamain Darate Ho
Usse Ham Par Le Aao.
23
Unhoun Ne Kaha Ke Is
Ka Ilm Toh Khuda Hi Ko Hai. Aur Main Toh Joh Ehkaam De Kar Bhaija Gaya Hoon Wo
Tumhain Pohoncha Raha Hoon, Lekin Main
Daikhta Hoon, Ke Tum Loug Nadaani Main
Phans Rahe Ho.
24
Phir Jab Unhoun Ne Us
Azaaab Ko Daikha Ke Badal Ki Soorat Main Un Ke Maidaanoun Ki Taraf Aaraha Hai, Toh Kehne Lage Ye Toh Badal Hai Joh Ham Par
Baras Kar Rahe Ga. Nahi. Balke Ye Wo
Cheez Hai Jis Ke Liye Tum Jaldi Karte The, Yaani Aandhi Jis Main Dard Dene Wala
Azaab Bhara Hua Hai.
25
Har Cheez Ko Apne
Parwardigar Ke Hukum Se Tabaah Kiye Deti Hai, Toh Wo Aise Ho Gaye Ke Un Ke Gharoun Ke Siwa
Kuch Nazar Hi Nahi Aata Tha. Gunnehgar Lougon Ko Ham Issi Tarha Saza Dia Karte
Hain.
26
Aur Ham Ne Un Ko Aise
Maqdoor Diye The, Joh Tum Lougon Ko Nahi
Diye Aur Unhain Kaan Aur Aankhain Aur Dil Diye The. Toh Jab Wo Khuda Ki
Aayatoun Se Inkaar Karte The, Toh Na Toh Un Ke Kaan Hi Un Ke Kuch Kaam Aa Sake
Aur Na Aankhain Aur Na Dil. Aur Jis Cheez Se Isthezaa Kia Karte The Us Ne Un Ko
Aa Ghaira.
27
Aur Tumhare Irrd Gird
Ki Bastiyoun Ko Ham Ne Halaak Kar Dia. Aur Baar Baar Apni Nishaaniyan Zahir Kar
Deen Taa-Ake Wo Rujoo Karain.
28
Toh Jin Ko Un Lougon
Ne Taqrrub-E-Khuda Ke Liye Khuda Ke Siwa Maabood Banaya Tha, Unhoun Ne Un Ki
Kion Madad Na Ki. Balke Wo Un Ke Samne Se Gumm Ho Gaye.Aur Ye Un Ka Jhoot Tha
Aur Ye Hi Wo Iftiraa Kia Karte The.
29
Aur Jab Ham Ne Jinoun
Main Se Kai Shakhs Tumhari Taraf Mutawajoh Kiye, Ke Quraan Sunain. Toh Jab Wo Us Ke Paas Aye
Toh Aapas Main Kehne Lage Ke Khamosh Raho. Jab Parhna Tamam Hua Toh Apni Baradri
Ke Lougon Main Wapas Gaye Ke Un Ko Naseehat Karain.
30
Kehne Lage Ke Ae Qoum!
Ham Ne Aik Kitaab Suni Hai Joh Moosa Ke Baad Nazil Hui Hai. Joh Kitabain Us Se
Pehle Nazil Hui Hain Un Ki Tasdeeq Karti Hai Aur Sacha Deen Aur Seedha Raasta
Batati Hain.
31
Ae Qoum ! Khuda Ki
Taraf Se Bulane Wale Ki Baat Ko Qabool Karo Aur Is Par Eemaan Lao. Khuda
Tumhare Gunnah Bakhsh De Ga. Aur Tumhain Dukh Dene Wale Azaab Se Pannah Main
Rakhe Ga.
32
Aur Joh Shakhs Khuda
Ki Taraf Bulane Wale Ki Baat Qabool Na
Kare Ga, Toh Wo Zameen Main Khuda Ko Aajiz Nahi Kar
Sake Ga Aur Na Us Ke Siwa Us Ke Himayati Houn Ge. Ye Loug Sareeh Gumrahi Main
Hain.
33
Kia Inhoun Ne Nahi
Samjha Ke Jis Khuda Ne Aasmanoun Aur Zameen Ko Paida Kia Aur In Ke Paida Karne
Se Thaka Nahi. Wo Is Bat Par Bhi Qaadir Hai Ke Murdoun Ko Zinda Kar De. Haan
Haan Wo Har Cheez Par Qadir Hai.
34
Aur Jis Roz Inkaar
Karne Wale Aag Ke Saamne Kiye Jaye Ge, Kia Ye Haq Nahi Hai? Toh Kahainge Kion Nahi, Hamare Parwardigar Ki Qasam Haq Hai, Hakum Hoga, Ke Tum Joh Dunia Main Inkaar Kia Karte The Ab
Azaab Ke Mazeh Chakho.
35
Pas Ae Muhammad S.A.W.
Jis Tarha Aur Aali Himmat Paigamabar Sabar Karte Rahe Hain, Ussi Tarha Tum Bhi Sabar Karo Aur Un Ke Liye
Azaab Jaldi Na Mango. Jis Din Ye Us Cheez Ko Daikhainge Jis Ka In Se Waada Kia
Gaya Hai, Toh Khayal Karainge Ke Goya
Dunia Main Rahe Hi Na The, Magar Ghari
Bhar Din. Ye Quraan Paigaam Hai. So Ab Wo Hi Halak Houn Ge Joh Na Farmaan The.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!