Friday, 22 April 2016

47-Soorah-Muhammad-Aayaat-38



Soorah-Muhammad

Aayaat-38

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Reham Farmane Wala Hai.

1
Jin Lougon Ne Kufur Kia Aur Auroun Ko Khuda Ke Raste Se Roka. Khuda Ne Un Ke Aamaal Barbaad Kar Diye.

2
Aur Joh Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe Aur Joh Kitaab Muhammad S.A.W. Par Nazil Hui,  Usse Maante Rahe Aur Wo Un Ke Parwardigar Ki Taraf Se Barhaq Hai,  Un Se Un Ke Gunaah Door Kar Diye Aur In Ki Halat Sanwaar Di.

3
Ye Habt-E-Aamaal Aur Islaah Haal Is Liye Hain, Ke In Lougon Ne Kufur Kia Unhoun Ne Jhooti Bat Ki Pairwi Ki Aur Joh Eemaan Laaye Wo Apne Parwardigar Ki Taraf Se Deen-E-Haq Ke Peeche Chale. Issi Tarha Khuda Lougon Se In Ke Halaat Bayan Fermata Hai.

4
Jab Tum Kaafiroun Se Bhirr Jao Toh Un Ki Gardanain Ura Do. Yahan Tak Ke Jab Un Ko Khoob Qatal Kar Chuko,  Toh Joh Zinda Pakre Jaayen,  Un Ko Mazbooti Se Qaid Kar Do. Phir Us Ke Baad Ya Toh Ehsaan Rakh Kar Chor Dena Chahiye,  Ya Kuch Maal Le Kar Yahan Tak Ke Fareeq-E-Muqabil Larayee Ke Hathiyaar, Hath Se Rakh De. Ye Khukum Yaad Rakho Aur Agar Khuda Chahta Toh Aur Tarha In Se Intiqaam Le Leta. Lekin Us Ne Chaha Ke Tumhari Aazmaaish Aik Ko Doosre Se Larwa Kar Kare.Aur Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ke Amaloun Ko Har Gizz Zaaya Na Kare Ga.



5
Balke Un Ko Seedhe Raste Pe Chalaye Ga Aur Un Ki Halat Durust Kar De Ga.

6
Aur Un Ko Behshat Main Jis Se Inhain Shanasa Kar Rakha Hai Dakhil Kare Ga.

7
Ae Ehl-E-Eemaan! Agar Tum Khuda Ki Madad Karo Ge Toh Wo Bhi Tumhari Madads Kare Ga Aur Tumko Sabit Qadam Rakhe Ga.

8
Aur Joh Kafir Hain Un Ke Liye Halakat Hai. Aur Wo Un Ke Aamaal Ko Barbaad Kar De Ga.

9
Ye Isliye Ke Khuda Ne Joh Cheez Nazil Farmaayee Unhoun Ne Us Ko Na Pasand Kia,  Toh Khuda Ne Un Ke Aamaal Akarat Kar Diye.

10
Kia Unhoun Ne Mulk Main Sair Nahi Ki Taa-Ake Daikhte,  Ke Joh Loug Un Se Pehle The Un Ka Anjaam Kaisa Hua,  Khuda Ne Un Par Tabahi Daal Di. Aur Issi Tarha Ka Azaab Un Kaafiroun Ko Hoga.

11
Ye Isliye Ke Joh Momin Hain Un Ka Khuda Kaar Saz Hai Aur Kafiroun Ka Koi Kaarsaaz Nahi.

12
Joh Loug Eemaan Laye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe, Un Ko Khuda Behshatoun Main, Jin Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain Dakhil Farmaay Ga. Aur Joh Kafir Hain Wo Faaide Uthaate Hain Aur Is Tarha Khaate Hain Jaise Haiwaan Khate Hain. Aur Un Ka Thikana Dozakh Hai.

13
Aur Bhohot Si Bastiyaan Tumhari Basti Se, Jin Ke Bashindoun Ne Tumhain Wahan Se Nikaal Dia, Zor-O-Quwwat Main Kahin Barh Kar Theen, Ham Ne Un Ka Sattiyanaas Kar Dia Aur Un Ka Koi Madadgar Na Hua.

14
Bhala Joh Shakhs Apne Parwardigar Ki Meherbaani Se Khule Raaste Par Chal Raha Ho,  Wo Un Ki Tarha Ho Sakta Hai,  Jin Ke Aamaal Bad Unhain Ache Kar Ke Dikhaye Jaayen Aur Joh Apni Khuahishoun Ki Pairwi Karain.

15
Jannat Jis Ka Parhaizgaaroun Se Wada Kia Jata Hai. Us Ki Sift Ye Hai Ke Us Main Paani Ki Nehrain Hain,  Joh Boo(Smell) Nahi Kare Ga. Aur Doodh(Milk) Ki Nehrain Hain Jis Ka Mazah Nahi Badle Ga. Aur Sharaab Ki Nehrain Hain Joh Peene Waloun Ke Liye Sarasar Lazzat Hai. Aur Shehed-E-Mussafa Ki Nehrain Hain Joh Halawat Hi Halawat Hai Aur Wahan Un Ke Liye Har Qisam Ke Mewe Hain Aur Un Ke Parwardigar Ki Tararf Se Magfirat Hai. Kia Ye Parhaizgaar Un Ki Tarha Ho Sakte Hain Joh Hamesha Dozakh Main Rahiange Aur Jin Ko Kholta Hua Paani Pilaya Jaye Ga,  Joh Un Ki Antariyoun Ko Kaat Dale Ga.

16
Aur Un Main Baaz Aise Bhi Hain Joh Tumhari Taraf Kaan Lagaye Rehte Hain, Yahan Tak Ke Sab Kuch Sunte Hain,  Lekin Jab Tumhare Paas Se Nikal Kar Chale Jate Hain,  Toh Jin Lougon Ko Ilm-E-Deen Dia Gaya Hai,  Un Se Kehte Hain Ke Bhala Unhoun Ne Abhi Kia Kaha Tha? Ye Hi Loug Hain Jin Ke Diloun Par Khuda Ne Mohor Laga Rakhi Hai Aur Wo Apni Khuahishoun Ke Peeche Chal Rahe Hain.

17
Aur Joh Loug Hidyat Yaafta Hain,  Un Ko Wo Hidayat Mazeed Bakhashta Hai Aur Parhaizgaari Inayat Karta Hai.


18
Ab Toh Ye Loug Qiamat Hi Ko Daikhte Hain,  Ke Nagahaan Un Par Aa Waqe Ho. So Us Ki Nishaniyan Waqoo Main Aa Chuki Hain. Phir Jab Wo Un Par Aa Nazil Ho Gi,  Us Waqt Unhain Naseehat Kahan Mufeed Ho Sake Gi?

19
Pas Jaan Rakho,  Ke Khuda Ke Siwa Koi Maabood Nahi Aur Apne Gunaahoun Ki Moaafi Mango Aur Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Ke Liye Bhi. Aur Khuda Tum Luogon Ke Chalne Phirne Aur Theherne Se Waqif Hai.

20
Aur Momin Loug Kehte Hain Ke Jahad Ki Koi Soorat Kion Nazil Nah Hoti? Lekin Jab Koi Saaf Maanoun Ki Soorat Nazil Ho Aur Is Main Jahad Ka Bayan Ho,  Toh Jin Lougon Ke Diloun Main Naffaq Ka Marz Hai,  Tum Un Ko Daikho Ke Tumhari Taraf Is Tarha Daikhne Lagain Jis Tarha Kisi Par Mout Ki Be Hoshi Taari Ho Rahi Ho. So Un Ke Liye Kharabhi Hai.

21
Khoob Kaam Toh Farmabardari Aur Pasandeeda Baat Kehna Hai,  Phir Jab Jahad Ki Baat Pukhta Ho Gai,  Toh Agar Ye Loug Khuda Se Sache Rehna Chahte Toh Un Ke Liye Bohot Acha Hota.

22
Ae Munafiqo ! Tum Se Ajab Nahi Ke Agar Tum Hakim Ho Jao Toh Mulk Main Kharabi Karne Lago Aur Apne Rishtoun Ko Tour Daalo.

23
Ye Hi Loug Hain Jin Par Khuda Ne Laanat Ki Hai Aur Un Ke Kaanoun Ko Behra Aur Un Ki Aankhouin Ko Andha Kar Dia Hai.

24
Bhala Ye Loug Quraan Main Ghour Nahi Karte Ya Un Ke Diloun Par Quful(Lock) Lag Rahe Hain.
25
Joh Loug Raah-E-Hidayat Zaahir Hone Ke Baad Peeth De Kar Phir Gaye. Shaitaan Ne Ye Kaam Un Ko Muzzaiyan Kar Dikhaya Aur Inhain Tool(Lambi)Umar Kar Wada Dia.

26
Ye Isliye Ke Joh Loug Khuda Ki Utaari Hui Kitaab Se Bezaar Hain Ye Un Se Kehte Hain,  Ke Baaz Kaamoun Main Ham Tumhari Baat Bhi Maanain Ge. Aur Khdua Un Ke Posheeda Mashwaroun Se Waqif Hai.

27
Toh Us Waqt Un Ka Kaisa Haal Ho Ga Jab Farishte Un Ki Jaan Nikaalainge Aur Un Ke Moohoun Aur Peethoun Par Maarte Jaye Ge.

28
Ye Isliye Ke Jis Cheez Se Khuda Na Khush Hai Ye Us Ke Peche Chale Aur Us Ki Khusnoodi Ko Acha Na Samjhe,  Toh Us Ne Bhi Un Ke Amaloun Ko Barbaad Kar Dia.

29
Kia Wo Loug Jin Ke Diloun Main Bimari Hai Ye Khayal Kiye Hue Hain Ke Khuda Un Ke Keenoun Ko Zahir Nahi Kare Ga?

30
Aur Agar Ham Chahte Toh Wo Loug Tum Ko Dikha Bhi Dete Aur Tum Un Ko Un Ke Chehroun(Faces) Hi Se Pehchaan Lete, Aut Tum Unhain Un Ke Andaz-E-Guftugu Hi Se Pehchaan Lo Ge! Aur Khuda Tumhare Aamaal Se Waqif Hai.

31
Aur Ham Toh Lougon Ko Aazmaayen Ge,  Taa-Ake Joh Tum Main Larayee Karne Wale Aur Sabit Qadam Rehne Wale Hain Un Ko Maloom Karain.Aur Tumahare Halaat Jaanch Lain.



32
Jin Lougon Ko Seedha Rasta Maloom Ho Gaya Aur Phir Bhi Unhoun Ne Kufur Kia Aur Lougon Ko Khuda Ki Raah Se Roka Aur Paigamabar Ki Mukhalfat Ki,  Wo Khuda Ka Kuch Bhi Bigaar Nahi Sakainge. Aur Khuda I\Un Ka Sab Kia Karaya Akarat Kar De Ga.

33
Momino! Khuda Ka Irshaad Mano Aur Paigamabr Ki Farmabardari Karo Aur Apne Amaloun Ko Zaaya Na Hone Do.

34
Joh Loug Kafir Hue Aur Khuda Ke Raste Se Rokte Rahe,  Phir Kafir Hi Mar Gaye,  Khuda Un Ko Har Gizz Nahi Bakhshe Ga.

35
Toh Tum Himmat Na Haro Aur Dushmanoun Ko Sulah Ki Taraf Na Bulao. Aur Tum Toh Ghalib Ho. Aur Khuda Tumahare Sath Hai Wo Har Gizz Tumhare Aamaal Ko Kam Aur Gumm Nahi Kare Ga.

36
Dunia Ki Zindagi Toh Mehez Khail Aur Tumasha Hai. Aur Agar Tum Eemaan Lao Ge Aur Parhaizgari Karo Ge Toh Wo Tum Ko Tumhara Ajar De Ga. Aur Tum Se Tumhara Maal Talab Nahi Kare Ga.

37
Agar Wo Tum Se Maal Talab Kare Aur Tumhain Tang Kare,  Toh Tum Bukhal Karne Lage Aur Wo Bukhal Tumhari Badd Niyati Zahir Kar Ke Rahe.
  
38
Daikho Tum Wo Loug Ho Ke Khuda Ki Raah Main Kharch Karne Ke Liye Bulaye Jate Ho. Toh Tum Main Aise Shakhs Bhi Hain Joh Bukhal Karne Lagte Hain. Aur Joh Bukhal Karta Hai Apne Aap Se Bukhal Karta Hai. Aur Khuda Be Niyaz Hai Aur Tum Mohtaaj. Aur Agar Tum Moonh Phairo Ge
Toh Wo Tumhari Jaga Aur Lougon Ko Le Aaye Ga Aur Wo Tumhari Tarha Ke Nahi Hounge.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!