Soorah Az-Zumar
Aayaat-75
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Is Kitaab Ka Utaara
Jaana Khuda-E-Ghalib Aur Hikmat Wale Ki Taraf Se Hai.
2
Ae Paigambar S.A.W.
Ham Ne Ye Kitaab Tumhari Taraf Sachaayee Ke Sath Nazil Ki Hai Toh Khuda Ki
Ibadat Karo Yaani Us Ki Ibadat Ko Shirk Se Khalis Kar Ke.
3
Daikho Khalis Ibadat
Khuda Hi Ke Liye Zeba Hai Aur Jin Lougon Ne Us Ke Siwa Aur Dost Banaye Hain. Wo
Kehte Hain Ke Ham Un Ko Is Liye Poojte Hain Ke Ham Ko Khuda Ka Maqrab Bana Dain.
Toh Jin Baatoun Main Ye Ikhtilaaf Karte Hain Khuda Un Main Un Ka Faisla Kar De
Ga, Be Shak Khuda Us Shakhs Ko Joh
Jhoota Na Shukra Hai Hidayat Nahi Deta.
4
Agar Khuda Kisi Ko
Apna Beta Banana Chahata , Toh Apni Makhlooq Main Se Jis Ko Chahata Hai
Intikhaab Kar Leta. Wo Paak Hai Wo Hi Toh Khuda Yakta Aur Ghalib Hai.
5
Ussi Ne Aasmaanoun Aur
Zameen Ko Tadbeer Ke Sath Paida Kia Hai. Aur Wo Hi Raat Ko Din Par Lapait-Ta
Hai Aur Din Ko Raat Par Lapait-Ta Hai, Aur Ussi Ne Sooraj Aur Chaand Ko Bas
Main Kar Rakha Hai. Sab Aik Waqt-E-Muqarrar Par Chalte Rahain Ge. Daikho Wo Hi
Galib Aur Bakhashne Wala Hai.
6
Ussi Ne Tum Ko Aik
Shakhs Se Paida Kia, Phir Us Se Us Ka
Jora Banaya Aur Ussi Ne Tumhare Liye Chaar Paayoun Main Se Aath(8) Jore Banaye.
Wo Hi Tumko Tumhari Maaoun(Mothers) Ke Pait Main Pehle Aik Tarha, Phir Doosri Tarha Teen Andhairoun Main Banata
Hai. Ye Hi Khuda Tumhara Parwardigar Hai Usi Ki Baadshaahi Hai Us Ke Siwa Koi
Maabood Nahi, Phir Tum Kahan Phire Jate Ho?
7
Agar Na Shukri Karo Ge,
Toh Khuda Tum Se Be Parwah Hai. Aur Wo Apne Bandoun Ke Liye Na Shukri Pasand
Nahi Karta Aur Agar Shukar Karo Ge, Toh Wo Us Ko Tumhare Liye Pasand Kare Ga. Aur
Koi Uthaane Wala Doosre Ka Bojh Nahi Uthaaye Ga. Phir Tumko Apne Parwardigar Ki
Taraf Loutna Hai. Phir Joh Kuch Tum Karte Rahe Wo Tum Ko Bataye Ga. Wo Toh
Diloun Ki Posheeda Baatoun Tak Se Aagah Hai.
8
Aur Jab Insaan Ko
Takleef Pohonchti Hai Toh Apne Parwardigar Ko Pukaarta, Aur Us Ki Taraf Dil Se
Rujoo Karta Hai. Jab Wo Us Ko Apni Taraf
Se Koi Naimat Deta Hai, Toh Jis Kaam Ke Liye Pehle Is Ko Pukaarta Hai Usse
Bhool Jaata Hai Aur Khuda Ka Shareek Banane Rakhta Hai, Taa-Ake Lougon Ko Us Ke Raste Se Gumrah Kare.
Keh Do Ke Ae Kaafir-E-Naimat Apni Nashukri Se Thora Faaida Utha Le. Phir Tu Toh
Dozakhiyoun Main Hoga.
9
Bhala Mushrik Acha Hai,
Ya Wo Joh Raat Ke Waqtoun Main Zameen Par Paishani Rakh Kar Aur Khare Ho Kar
Ibadat Karta Aur Aakhrat Se Darta Aur Apne Parwardigar Ki Rehmat Ki Umeed
Rakhta Hai.Kaho Bhala Joh Loug Ilm Rakhte Hain Aur Joh Nahi Rakhte Dono Barabar
Ho Sakte Hain? Aur Naseehat Toh Wo Hi Pakarte Hain Joh Aqalmand Hain.
10
Keh Do Ke Ae Mere
Bando Joh Eemaan Laaye Ho Apne Parwardigar Se Daro. Jinhoun Ne Is Dunia Main
Naiki Ki Un Ke Lyie Bhalayee Hai. Aur Khuda Ki Zameen Khsuhada Hai. Joh Sabar
Karne Wale Hain Un Ko Be Shumaar Sawaab Mile Ga.
11
Keh Do Ke Mujh Se
Irshaad Hua Hai, Ke Khuda Ki Ibadat Ko
Khalis Kar Ke Us Ki Bandage Karoon.
12
Aur Ye Bhi Irhsaad Hua
Hai Ke Main Sab Se Awwal Musalmaan Banoon.
13
Keh Do Ke Agar Main
Apne Parwardigar Ka Hukum Na Maanoon Toh Mujhe Bare Din Ke Azaab Se Dar Lagta
Hai.
14
Keh Do Ke Main Apne
Deen Ko Shirk Se Khalis Kar Ke Us Ki Ibadat Karta Hoon.
15
Toh Tum Us Ke Siwa, Jis Ki Chaho Parastish Karo. Keh Do Ke Nuqsaan
Uthaane Wale Wo Hi Loug Hain, Jinhoun Ne Qiamat Ke Din Apne Aap Ko Aur Apne
Ghar Waaloun Ko Nuqsan Main Daala. Daikho Ye Hi Sareeh Nuqsaan Hai.
16
Un Ke Oopar Toh Aag Ke
Saaibaan Houge Aur Neeche Us Ke Farsh Hounge. Ye Wo Azaab Hai Jis Se Khuda Apne
Bandoun Ko Darata Hai. Toh Ae Mere Bando Mujh Se Darte Raho.
17
Aur Jinhoun Ne Is Se
Ijtinaab Kia Ke Butoun Ko Poojain Aur Khuda Ki Taraf Rujoo Kia, Un Ke Liye
Bisharat Hai, Toh Mere Bandoun Ko
Bisharat Suna Do.
18
Joh Baat Ke Sunte Aur
Achi Baatoun Ki Pairwi Karte Hain. Ye Hi Wo Loug Hain Jin Ko Khuda Ne Hidayat
Di Aur Ye Hi Aqal Wale Hain.
19
Bhala Jis Shaksh Par,
Azaab Ka Hukum Saadir Ho Chukka. Toh Kia Tum Aise Dozakhi Ko Mukhlasi De Sako
Ge.
20
Lekin Joh Log Apne
Parwardigar Se Darte Hain, Un Ke Liye Oonche Oonche Mehel Hain, Jin Ke Oopar
Baala Khaane Bane Hue Hain. Aur Un Ke Neeche Nehrain Beh Rahi Hain. Ye Khuda Ka
Waada Hai. Khuda Wade Ke Khilaaf Nahi Karta.
21
Kia Tum Ne Nahi Daikha,
Ke Khuda Aasmaanoun Se Paani Nazil Karta, Phir Us Ko Zameen Main Chashme Bana
Kar Jaari Karta, Phir Us Se Khaiti Ugaata Hai, Jis Ke Tarha Tarha Ke Rang Hote Hain Phir Wo
Khushk Ho Jati Hai, Toh Tum Us Ko Daikhte Ho Ke Zard Ho Gai Hai, Phir Usse
Choora Choora Kar Deta Hai. Be Shak Us Main Aqal Waaloun Ke Liye Naseehat Hai.
22
Bhala Jis Shakhs Ka
Sena Khuda Ne Islaam Ke Liye Khol Dia Ho Aur Wo Apne Parwardigar Ki Taraf Se
Roshni Par Ho, Toh Kia Wo Sakht Dil Kafir Ki Tarha Ho Sakta Hai, Pas Un Par Afsos Hai Un Ke Dil Khuda Ki Yaad
Se Sakht Ho Rahe Hain Aur Ye Hi Loug Sareeh Gumrahi Main Hain.
23
Khuda Ne Nihayat Achi
Baatain Nazil Farmaye Hain, Yaani Kitaab Jis Ki Aayatain Baham Milti Julti Hain
Aur Dohraaye Jati Hain, Joh Loug Apne Parwardigar Se Darte Hain, Un Ke Badan Ke
Is Se Rounghthe Khare Ho Jate Hain. Phir Un Ke Badan Aur Dil Naram Ho Kar Khuda
Ki Yaad Ki Taraf Mutawajoh Ho Jate Hain. Ye Hi Khuda Ki Hidayat Hai, Wo Is Se
Jis Ko Chahta Hai Hidayat Deta Hai. Aur Jis Ko Khuda Gumhrah Kare,Us Ko Koi
Hidayat Dene Wala Nahi.
24
Bhala Joh Shakhs
Qiamat Ke Din Apne Moonh Se Bure Azaab Ko Rokta Ho, Kia Wo Aisa Ho Sakta Hai
Joh Chain Main Ho Aur Zalimoun Se Kaha Jaye Ga, Ke Joh Kuch Tum Karte Rahe The
Us Ke Mazeh Chakho.
25
Joh Loug Un Se Pehle
The Unhoun Ne Bhi Takzeeb Ki Thi, Toh Un Par Azaab Aisi Jaga Se Aa Gaya Ke Un
Ko Khabar Hi Na Thi.
26
Phir Unko Khuda Ne
Dunia Ki Zindagi Main Ruswayee Ka Mazah Chakha Dia. Aur Aakhrat Ka Azaab Toh
Bohot Bara Hai. Kaash Ye Samajh Rakhte.
27
Aur Ham Ne Lougn Ke
Samjhane Ke Liye Is Quraan Main Har Tarha Ki Misaalain Bayan Ki Hain, Taa-Ake
Wo Naseehat Pakrain.
28
Ye Quraan Arabi Hai,
Jis Main Koi Aib Aur Ikhtilaaf Nahi Taa-Ake Wo Dar Maanain.
29
Khuda Aik Misaal Bayan
Karta Hai, Ke Aik Shaksh Hai, Jis Main Kaiee Aadmi Shareek Hain. Mukhtalif-Ul-Mizaaj
Aur Bad Kho Aur Aik Aadmi Khaas Aik Shakhs Ka Gulaam Hai. Bhala Dono Ki Halat
Barabar Hai. Nahi Alhamulillah, Balke Ye Aksar Loug Nahi Jaante.
30
Ae Paigambar S.A.W.
Tum Bhi Mar Jaao Ge Aur Ye Bhi Mar Jayen Ge.
31
Phir Tum Sab Qiamat Ke
Din Apne Parwardigar Ke Samne Jhagro Ge Aur Jhagra Faisal Kar Dia Jaye Ga.
32
Toh Is Se Barh Kar
Zalim Koun Joh Khuda Par Jhoot Bole Aur Sachi Baat Jab Us Ke Paas Pohonch Jaye
Toh Usse Jhutlaye. Kia Jahannum Main Kaafiroun Ka Thikana Nahi Hai?
33
Aur Joh Shakhs Sachi
Baat Le Kar Aaya Aur Jis Ne Us Ki Tasdeeq Ki Wo Hi Loug Muttaqi Hain.
34
Wo Joh Chahain Ge, Un
Ke Liye Un Ke Parwardigar Ke Paas Mojood Hai. Naiko Karoun Ka Ye Hi Badla Hai.
35
Taa-Ake Khuda Un Se
Buraaiyoun Ko Joh Unhoun Ne Keen, Door Kare De Aur Naik Kaamoun Ka, Joh Wo
Karte Rahe, Un Ko Badla De.
36
Kia Khuda Apne Bandoun
Ko Kafi Nahi.
Aur Ye Tumko Un Logon
Se, Joh Us Ke Siwa Hain, Yaani Ghair Khuda Se Darate Hain. Aur Jis Ko Khuda
Gumrah Kare Usse Koi Hidayat Dene Wala Nahi.
37
Aur Jis Ko Khuda
Hidayat De Us Ko Koi Gumrah Karne Wala Nahi. Kia Khuda Ghalib Aur Badla Lene
Wal Nahi Hai?
38
Aur Agar Tum Un Se
Poocho Ke Aasmaanoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia, Toh Keh Dain Ge Ke Khuda
Ne. Kaho Ke Bhala Daikho Toh, Jisko Tum Khuda Ke Siwa Pukaarte Ho. Agar Khuda
Mujh Ko Koi Taleef Pohonchani Chahe, Toh Kia Wo Us Takleef Ko Door Kar Sakte
Hain, Ya Agar Mujh Par Meherbaai Karna Chahe Toh Wo Us Ki Meherbaani Ko Rouk
Sakte Hain? Keh Do Ke Mujhe Khuda Hi
Kafi Hai. Bharosa Rakhne Wale, Ussi Par Bharosa Rakhte Hain.
39
Keh Do Ke Ae Qoum Tum
Apni Jaga Amal Kiye Jaao, Main Apni Jaga Amal Kiye Jata Hoon. Anqareeb Tum Ko
Maloom Ho Jaye Ga.
40
Ke Kis Par Azaab Aata
Hai Joh Usse Ruswa Kare Ga. Aur Kis Par Hamesha Ka Azaab Nazil Hota Hai.
41
Ham Ne Tum Par Kitaab,
Lougon Ki Hidayat Ke Liye, Sachaayee Ke Sath Nazil Ki Hai. Toh Joh Shakhs
Hidayat Paata Hai, Toh Apne Bhale Ke
Liye Aur Joh Gumraah Hota Hai Toh Gumhrahi Se Apna Hi Nuqsaan Karta Hai. Aur Ae
Paigambar S.A.W. Tum Un Ke Zimme Daar Nahi Ho
42
Khuda Lougon Ke Marne
Ke Waqt, Un Ki Roohain Qabz Kar Leta Hai Aur Joh Mare Nahi Un Ki Roohain Sote
Main Qabz Kar Leta Hai, Phir Jin Par Mout
Ka Hukum Kar Chukta Hai, Un Ko Rouk Rakhta Hai Aur Baqi Roohoun Ko Aik
Waqt-E-Muqarrar Tak Ke Liye Chor Deta Hai. Joh Loug Fikar Karte Hain Un Ke Liye
Is Main Nishaaniyan Hain.
43
Kia Unhoun Ne, Khuda
Ke Siwa Aur Sifaarshi Bana Liye Hain. Kaho Ke Khuah Wo Kisi Cheez Ka Bhi
Ikhtiyaar Na Rakhte Houn Aur Na Kuch Samajhte Hi Houn.
44
Keh Do Ke Sifarish Toh
Sab Khuda Hi Ke Ikhtiyaar Main Hai. Ussi Ke Liye Aasmaanoun Aur Zameen Ki
Baadshaht Hai, Phir Tum Ussi Ki Taraf Lout Kar Jao Ge.
45
Aur Jab Tanha Khuda Ka
Zikar Kia Jata Hai, Toh Joh Loug Aakhrat Par Eemaan Nahi Rakhte, Un Ke Dil
Munnqabiz Ho Jate Hain Aur Jab Us Ke Siwa Auroun Ka Zikar Kia Jata Hai Toh
Khush Ho Jate Hain.
46
Kaho Ke, Ae Khuda, Ae
Aasmaanoun Aur Zameen Ke Paida Karne Wale Aur Posheeda Aur Zahir Ke Jaan-Ne
Wale Tu Hi Apne Bandoun Main Un Baatoun Ka, Jin Main Wo Ikhtilaaf Karte Rahe
Hain Faisla Kare Ga.
47
Aur Agar Zaalimoun Ke
Pas Wo Sab Maal-O-Mataa Ho, Joh Zameen Main Hai Aur Us Ke Sath Ussi Qadar Aur
Ho Toh Qiamat Ke Roz Bure Azab Se Mukhlasi Paane Ke Badle Main De Dain. Aur Un
Par Khuda Ki Taraf Se Wo Amar Zahir Ho Jaaye Ga, Jis Ka Un Ko Khayal Bhi Na
Tha.
48
Aur Un Ke Aamaal Ki
Buraaiyan Un Par Zaahir Ho Jaayengi Aur Jis Azaab Ki Wo Hansi Uraate The Wo Un
Ko Aa Ghaire Ga.
49
Jab Insaan Ko Takleef
Pohonchti Hai Toh Hamain Pukaarne Lagta Hai. Phir Jab Ham Us Ko Apni Tararf Se
Naimat Bakhashte Hain, Toh Kehta Hai Ke Ye Toh Mujhe Mere Ilm-O-Danish Ke Sabab
Mili Hai. Nahi, Balke Wo Aazmaaish Hai, Magar Un Main Se Aksar Nahi Jaante.
50
Joh Loug Un Se Pehle
The, Wo Bhi Ye Hi Kaha Karte The, Toh Joh Kuch Wo Kia Karte The, Un Ke Kuch
Kaam Bhi Na Aaya.
51
Un Par Un Ke Aamaal Ke
Wabaal Par Gaye Aur Joh Loug Un Main Se Zulm Karte Rahe Hain, Un Par Un Ke
Amaaloun Ke Wabaal Anqareeb Parain Ge. Aur Wo Khuda Ko Aajiz Nahi Kar Sakte.
52
Kia Un Ko Maloom Nahi,
Ke Khuda Hi Jis Ke Liye Chahata Hai Rizq Ko Farakh Kar Deta Hai Aur Jis Ke Liye
Chahta Hai Tang Kar Deta Hai. Joh Loug Eemaan Laate Hain Un Ke Liye Is Maim
Bohot Si Nishaniyan Hain.
53
Ae Paigambar S.A.W.
Meri Taraf Se Lougon Se Keh Do, Ke Ae Mere Bando, Jinhoun Ne Apni Jaanoun Par
Ziaadti Ki Hai, Khuda Ki Rehmat Se Na Umeed Na Hona. Khuda Toh Sab Gunaahoun Ko
Bakhsh Deta Hai. Aur Wo Toh Bakhashne Wala Meherbaan Hai.
54
Aur Is Se Pehle Ke Tum
Par Azaab Aa Waqe Ho, Apne Parwardigar Ki Taraf Rujoo Karo Aur Us Ke
Farmabardaar Ho Jao Phir Tum Ko Madad Nahi Mile Gi.
55
Aur Is Se Pehle Ke Tum
Par Nagahaan Azaab Aa Jaye Aur Tumko Khabar Bhi Na Ho, Is Nihayat Achi Kitaab
Ki, Joh Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se, Tum Par Nazil Hui Hai Pairwi Karo.
56
Ke Mubaada Us Waqt Koi
Muttnafis Kehne Lage Ke Haaye Haaye Us Taqseer Par Afsos Hai, Joh Main Ne,
Khuda Ke Haq Main Ki Aur Main Toh Hansi Hi Karta Raha.
57
Ya Ye Kehne Lage Ke
Agar Khuda Mujh Ko Hidayat Deta Toh Main Bhi Parhaizgaaroun Main Hota.
58
Ya Jab Azaab Daikh Le,
Toh Kehne Lage Ke, Agar Mujhe Phir Aik Dafa Dunia Main Jaana Ho, Toh Main Naiko
Kaaroun Main Ho Jaaon.
59
Khuda Farmaaye Ga Kion
Nahi Meri Aayatain Tere Pas Pohonch Gai Hain, Magar Tu Ne Un Ko Jhutlaya Aur
Shaikhi Main Aa Gaya Aur Tu Kaafir Ban
Gaya.
60
Aur Jin Lougon Ne
Khuda Par Jhoot Bola, Tum Qiamat Ke Din Daikho Ge Ke Un Ke Moonh Kaale Ho Rahe
Hounge. Kia Gharoor Karne Waloun Ka Thikana Dozakh Main Nahi Hai.
61
Aur Joh Parhaizgaar
Hain Un Ki Saa-Adat Aur Kaamyabi Ke Sabab Khuda Un Ko Nijaat De Ga, Na Toh Un
Ko Koi Sakhti Pohonche Gi Aur Na Ghamnaak Hounge.
62
Khuda Hi Har Cheez Ka
Paida Karne Wala Hai. Aur Wo Hi Har Cheez Ka Nigraan Hai.
63
Ussi Ke Pas Aasmanoun
Aur Zameen Ki Kunjiyaan Hain. Aur Jinhoun Ne Khuda Ki Aayatoun Se Kufur Kia, Wo
Hi Nuqsaan Uthaane Wale Hain.
64
Keh Do Ke Ae Nadaano,
Tum Mujh Se Ye Kehte Ho Ke Main Gair Khuda Ki Parastish Karne Lagoon.
65
Aur Ae Muhammad S.A.W.
Tumhari Taraf Aur Un Paigambaroun Ki Taraf, Joh Tum Se Pehle Ho Chuke Hain, Ye
Hi Wahi Bhaiji Gai Hai. Ke Agar Tum Ne Shirk Kia, Toh Tumhare Amal Barbaad Ho
Jaayen Ge Aur Tum Zayaa Karoun Main Ho Jao Ge.
66
Balke Khuda Hi Ki
Ibadat Karo, Aur Shukar Guzaaroun Main Ho.
67
Aur Unhoun Ne Khuda Ki
Qadar Shanasi Jaisi Karni Chahiye Thi Nahi Ki. Aur Qiamat Ke Din Tamaam Zameen
Us Ki Mutthi Main Hogi Aur Aasmaan Us Ke Daahne Hath Main Lipte Hougne. Aur Wo
Un Lougon Ke Shirk Se Paak Aur Aali Shaan Hai.
68
Aur Jab Soor Phoonka
Jaye Ga, Toh Joh Loug Aasmaan Main Hain Aur Joh Zameen Main Hain Sab Be Hosh Ho
Kar Girr Parainge Magar Wo, Jis Ko Khuda Chahe. Phir Doosri Dafa Phoonka Jaye
Ga Toh Foran Sab Khare Ho Kar Daikhne Lagen Ge.
69
Aur Zameen Apne
Parwardigar Ke Noor Se Jagmaga Uthe Gi, Aur Aamaal Ki Kitaab Khol Kar Rakh Di
Jaye Gi Aur Paigamabar Aur, Aur Gawah Hazir Kiye Jayen Ge, Aur Un Main Insaaf Ke Sath Faisla Kia Jaye Ga
Aur Be Insaafi Nahi Ki Jaye Gi.
70
Aur Jis Shakhs Ne Joh
Amal Kia Hoga, Us Ko Us Ka Poora Poora Badla Mill Jaye Ga Aur Joh Kuch Ye Karte
Hain Un Ko Sab Ki Khabar Hai.
71
Aur Kafiroun Ko Guroh
Guroh Bana Kar Jahannum Ki Taraf Le Jaayen Ge. Yahan Tak Ke Jab Wo Us Ke Paas
Pohonch Jaayen Ge Toh Us Ke Darwaze Khol Diye Jaye Ge, Toh Is Ke Darogha Un Se
Kahain Ge Ke Kia Tumahre Paas, Tum Hi Main Se Paigamabar Nahi Aaye The, Joh
Tumko Tumhare Parwardigar Ki Aayatain Parh Parh Kar Sunate Aur Us Din Ke Paish
Aane Se Darate The. Kahain Ge Kion Nahi, Lekin Kaafiroun Ke Haq Main Azaab Ka
Hukum Mutahaqiq Ho Chukka Tha.
72
Kaha Jaye Ga Ke Dozakh
Ke Darwazoun Main Dakhil Ho Jao Hamesha Is Main Raho Ge. Takkabur Karne Waloun
Ka Bura Thikana Hai.
73
Aur Joh Loug Apne
Parwardiar Se Darte Hain Un Ko Guroh Guroh Bana Kar Behshat Ki Taraf Le Jaayen
Ge, Yahan Tak Ke Jab Us Ke Pas Pohounch Jayen Ge Aur Us Ke Darwaaze Khol Diye
Jaye Ge, Toh Us Ke Darogha Un Se Kahain Ge Ke Tum Par Salam, Tum Bohot Ache
Rahe. Ab Is Main Hamesha Ke Liye Dakhil Ho Jao.
74
Wo Kahain Ge Ke Khuda
Ka Shukar Hai Jis Ne Apne Waade Ko Ham Se Sacha Kar Dia Aur Ham Ko Is Zameen Ka
Waris Bana Dia Ham Behshat Main Jis Makaan Main Chahain Rahain, Toh Ache Amal
Karne Waloun Ka Badla Bhi Kaisa Khoob Hai.
75
Tum Farishtoun Ko
Daikho Ge, Ke Arsh Ke Girdd Ghaira Baandhe Hue Hain Aur Apne Parwardigar Ki
Taareef Ke Sath Tasbeeh Kar Rahe Hain. Aur Un Main Insaaf Ke Sath Faisla Kia
Jaye Ga Aur Kaha Jaye Ga Ke Har Tarha Ki Taareef Khuda Hi Ko Sazawar Hai Joh
Sare Jahan Ka Malik Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!