Wednesday, 27 April 2016

30-Soorah-e-Ar-Roum-aayat-60



Soorah-Ar-Room
Aayaat-60

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Alif Laam Meem.

2
Ehl-E-Roum Magloob Ho Gaye.

3
Nazdeek Ke Mulk Main, Aur Wo Magloob Hone Ke Baad Anqareeb Ghaalib Aa Jayen Ge.

4
Chand (Few) Hi Saal (Years) Main Pehle Bhi Aur Peeche Bhi Khuda Hi Ka Hukum Hai Aur Us Roz Momin Khush Ho Jayen Ge.

5
Yaani  Khuda Ki Madad Se.Wo Jisse Chahta Hai Madad Deta Hai Aur Wo Gaalib Aur Meherbaan Hai.

6
Ye Khuda Ka Waada Hai Khuda Apne Waade Ke Khilaaf  Nahi Karta Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.
7
Ye Toh Dunia Ki Zaahiri Zindagi Hi Ko Jaante Hain.Aur Aakhrat Ki Tararf Se Gaafil Hain.

8
Kia Unhoun Ne Apne Dil Main Ghour Nahi Kia. Ke Khuda Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Kuch In Dono Ke Darmayan  Hai Un Ko Hikmat Se Aur Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Ke Liye Paida Kia Hai. Aur Bohot Se Loug Apne Parwardigar Se Milne Ke Qaail Hi Nahi.






9
Kia Un Lougon Ne Mulk Main Sair Nahi Ki,  Sair Karte Toh Daikh Lete Ke Joh Lougon Un Se Pehle The Un Ka Anjaam Kaisa Hua. Wo Un Se Zor-O-Quwwat Main Kahin Ziada The Aur Unhoun Ne Zameen Ko Jota Aur Us Ko Is Se Ziada Abaad Kia Tha Joh Unhoun Ne Abaad Kia. Aur Un Ke Paas Un Ke Paigamabar  Nishaaniyan Le Kar Aate Rahe, Toh Khuda Aisa Na Tha Ke Un Par Zulm Karta. Balke Wo Hi Apne Aap Par Zulm Karte The.

10
Phir Jin Lougon Ne Buraai Ki Un Ka Anjaam Bhi Bura Hua Isliye Ke Khuda Ki Aayatoun Ko Jhutlaate Aur Un Ki  Hansi Uraate Rahe The.

11
Khuda Hi Khalqat Ko Pehli Baar Paida Karta Hai , Wo Hi Us Ko Phir Paida Kare Ga Phir Tum Ussi Ki Taraf Lout Jaao Ge.

12
Aur Jis Din Qiamat Barpa Ho Gi Gunnehgar Na Umeed Ho Jaye Ge.

13
Aur Un Ke Banaye Hue Shareekoun Main Se Koi Un Ka Sifaairshi Na Hoga Aur Wo Apne Shareekoun Se Na Motaqidd Ho Jaye Ge.

14
Aur Jis Din Qiamat Barpa Ho Gi Us Roz Wo Alag Alag Firqe Ho Jaye Ge.

15
Toh Joh Loug Eemaan Laaye Aur Amal-E-Naik Karte Rahe Wo Behshat Ke Baagh(Garden) Main Khush Haal Hounge.

16
Aur Jin Houn Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayatoun Aur Aakhrat Ke Aane Ko Jhutlaya.Wo Azaab Main Dale Jaaye Ge.

17
Toh Jis Waqt Tum Ko Sham Ho Aur Jis Waqt Subh Ho Khuda Ki Tasbeeh Karo Yaaani Namaaz Parho.

18
Aur Aasmaanoun Aur Zameen Main Ussi Ki Tareef Hai. Aur Teesre Peher Bhi Aur Jab Dopeher Ho Us Waqt Bhi Namaaz Parha Karo.


19
Wo Hi Zinde Ko Murde Se Nikaalta Aur Wo Hi Murde Ko Zinda Se Nikaalta Hai Aur Wo Hi Zameen Ko Us Ke Marne Ke Baad Zinda Karta Hai.Aur Issi Tarha Tum Dobara Zameen Main Se Nikaale Jaao Ge.

20
Aur Ussi Ke Nishanaat Aur Tassruffaat Main Se Hai, Ke Us Ne Tumhain Matti Se Paida Kia.Phir Ab Tum Insaan Ho Kar Ja Baja Phail Rahe Ho.

21
Aur Ussi Ke Nishanaat Aur Tassrufaat Main Se Hai Ke Us Ne Tumhare Liye Tumhari Hi Jins Ki Aurtain Paida Kee Taa-Ake Un Ki Taraf Maail Ho Kar Araam Hasil Karo Aur Tum Main Mohabbat Aur Meherbaani Paida Kar Di, Joh Loug Ghour Karte Hain Un Ke Liye In Baatoun Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.

22
Aur Ussi Ke Nishaanaat Aur Tassruffaat Main Se Hai Asmaanoun Aur Zameen Ka Paida  Karna Aur Tumhari Zabaanoun Aur Rangoun Ka Juda Juda Hona.Ehl-E-Daanish Ke Liye In Baatoun Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.

23
Aur Ussi Ke Nishaanat Aur Tassarrufaat Main Se Hai Tumhara Raat Aur Din Main Sona Aur Us Ke Fazal Ka Talash Karna. Joh Loug Sunte Hain Un Ke Liye In Baatoun Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.

24
Aur Ussi Ke Nishanaat Aur Tassarrufat Main Se Hai, Ke Tum Ko Khof Aur Umeed Dilane Ke Liye Bijli Dikhata Hai Aur Aasmaan Se Meenh Barsata Hai.Phir Zameen Ko Us Ke Mar Jaane Ke Baad Zinda-O-Shaadaab Kar Deta Hai. Aqal Waaloun Ke Liye In Baatoun Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.

25
Aur Ussi Ke Nishanaat Aur Tassruufaat Main Se Hai Ke Aasmaan Aur Zameen Us Ke Hukum Se Qaaim Hain. Phir Jab Wo Tum Ko Zameen Main Se Nikalne Ke Liye Awaaz De Ga Toh Tum Jhat Nikal Paro Ge.

26
Aur Aasmaanoun Aur Zameen Main Jintne Farishte Aur Insaan Wagaira Hain Ussi Ke Mamlook Hain Aur Tumaam Us Ke Farmabardaar Hain.



27
Aur Wo Hi Toh Hai Joh Khalqat Ko Pehli Dafa Padia Karta Hia, Phir Usse Dobara Paida Kare Ga. Aur Ye Usse Bohot Asaan Hai. Aur Aasmaanoun Aur Zameen Main Us Ki Shaan Nihayat Buland Hai. Aur Wo Ghaalib Hikmat Wala Hai.

28
Wo Tumhare Liye Tumhare Hi Haal Ki Aik Misaal Bayan Fermata Hai Ke Bhala Jin Loundi Gulaamoun Ke Tum Malik Ho, Wo Us Maal  Main, Joh Ham Ne Tum Ko Ata Farmaya Hai Tumahre Shareek Hain? Aur Kia Tum Is Main Un Ko Apne Barabar Maalik Samajhte Ho Aur Kia Tum Un Se Is Tarha Darte Ho Jis Tarha Apnoun Se Darte Ho? Is Tarha Ham Aqal Waaloun Ke Liye Apni Aayatain Khol Khol Kar Bayan Karte Hain.

29
Magar Joh Zaalim Hain, Be Samjhe Apni Khuahishoun Ke Peeche Chalte Hain Toh Jis Ko Khuda Gumraah KareM Usse Koun Hidayat De Sakta Hai? Aur Un Ka Koi Madadgaar Nahi.

30
Toh Tum Aik Taraf Ke Ho Kar Deen-E-Khuda Ke Raste Par Seedha Moonh Kiye Chale Jaao, Aur Khuda Ki Fitrat Ko Jis Par Us Ne Lougon Ko Paida Kia Hai Ikhtiyaar Kiye Raho, Khuda Ki Banaye Hui Fitrat Main Taggaiyurr-O-Tabbaddul Nahi Ho Sakta. Ye Hi Seedha Deen Hai Lekin Aksar Loug Nahi Jaante.

31
Momino Ussi Khuda Ki Taraf Rujoo Kiye Raho Aur Us Se Darte Raho Aur Namaaz Parhte Raho Aur Mushrikoun Main Na Hona.

32
Aur Na Un Lougon Main Hona Jinhoun Ne Apne Deen Ko Tukre Tukre Kar Dia Aur Khud Firqe Firqe Ho Gaye.Sab Firqe Ussi Se Khush Hain Joh Un Ke Paas Hai.

33
Aur Jab Lougon Ko Takleef Pohonchti Hai Toh Apne Parwardigar Ko Pukarte Aur Ussi Ki Taraf Rujoo Hote Hain . Phir Jab Wo Unko Apni Rehmat Ka Mazah Chakhata Hai, Toh Aik Firqa Un Main Se Apne Parwardigaar Se Shirk Karne Lagta Hai.



34
Taa-Ake Joh Ham Ne Un Ko Bakhsha Hai Us Ki Na Shukri Karain, So Khair Faaide Utha Lo Anqareeb Tum Ko Is Ka Anjaam Maloom Ho Jaye Ga.

35
Kia Ham Ne Un Par Koi Aisi Daleel Nazil Ki Hai Ke Un Ko Khuda Ke Sath Shirk Karna Batati Hai.

36
Aur Jab Ham Lougon Ko Apni Rehmat Ka Mazah Chakhte Hain Toh Us Se Khush Ho Jate Hain Aur Agar Un Ke Amaaloun Ke Sabab Joh Un Ke Haq Main Aage Bhaije Hain, Koi Gazand Pohonche Toh Na Umeed Ho Kar Reh Jate Hain.

37
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Khuda Hi Jis Ke Liye Chahta Hai Rizq Faraakh Karta Hai Aur Jis Ke Liye Chahta Hai Tang Karta Hai. Be Shak Is Main Eemaan Laane Waloun Ke Liye Nishaaniyan Hain.

38
Toh Ehl-E-Qarabat Aur Mohtaajoun Aur Musaafiroun Ko In Ka Haq Dete Raho. Joh Loug Razaa-E-Khuda Ke Taalib Hain, Ye Un Ke Haq Main Behtar Hai. Aur Ye Hi Loug Nijaat Hasil Kanre Wale Hain.

39
Aur Joh Tum Sood(Intrest) Dete Ho, Ke Lougon Ke Maal Main Afzaaish(Expand) Ho , Toh Khuda Ke Nazdeek Us Main Afzaaish Nahi Hoti Aur Joh Tum Zakaat Dete Ho Aur Us Se Khuda Ki Raza Mandi Talab Karte Ho Toh Wo Moajjab-E-Barkat Hai Aur Aise Hi Loug Apne Maal Ko Do Chand Seh Chand Karne Wale Hain.

40
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Tum Ko Paida Kia, Phir Tum Ko Rizq Dia, Phir Tumhain Maare Ga. Phir Zinda Kare Ga. Bhala Tumhare Banaye Hue Shareekoun Main Bhi Koi Aisa Hai, Joh In Kaamoun Main Se Kuch Kar Sake .Wo Paak Hai Aur Us Ki Shaan Un Ke Shareekoun Se Buland Hai.

41
Khushki Aur Tari Main Lougon Ke Aamaal Ke Sabab Fisaad Phail Gaya Hai Taa-Ake Khuda Un Ko Un Ke Baaz Aamaal Ka Mazah Chakhaye, Ajab Nahi Ke Wo Baaz Aa Jayen.


42
Keh Do Ke Mulk Main Chalo Phiro Aur Daikho Ke Joh Loug Tum Se Pehle Hue Hain Un Ka Kaisa Anjaam Hua Hai. Un Main Ziada Tar Mushrik Hi The.

43
Toh Us Roz (Day) Se Pehle Joh Khuda Ki Taraf Se Aakar Rahe Ga, Aur Rukk Nahi Sake Ga, Deen Ke Raste Pare Seedha Moonh Kiye Chale Chalo Us Roz Sab Log Muntashir Ho Jaye Ge.

44
Jis Shakhs Ne Kufur Kia ,Toh Us Ke Kufur Ka Zarrar Ussi Ko Hai Aur Jis Ne Naik Amal Kiye Toh Aise Loug Apne Hi Liye Araam Gaah Durust Karte Hain.

45
Joh Loug Eemaan Laaye Aur Naik Amal Karte Rahe Un Ko Khuda Apne Fazal Se Badla De Ga. Beshak Wo Kaafiruon Ko Dost Nahi Rakhta .

46
Aur Ussi Ki Nishaaniyoun Main Se Hai Ke Hawaaoun Ko Bhaijta Hai, Ke Khushkhabri Deti Hain, Taa-Ake Tumko Apni Rehmat Ke Maze Chakhaye Aur Taa-Ake Us Ke Hukum Se Kashtiyaan  Chalain Aur Taa-Ake Tum Us Ke Fazal Se Rozi Talab Karo Ajab Nahi Ke Tum Shukar Karo.

47
Aur Ham Ne Tum Se Pehle Bhi Paigambar Bhaije Toh Wo Un Ke Paas Nishaaniyan Le Kar Aaye,  So Joh Loug Na Farmaani Karte The Ham Ne Un Se Badla Le Kar Chora Aur Mominoun Ki Madad Ham Par Laazim Thi.

48
Khuda Hi Toh Hai Joh Hawaaoun Ko Chalata Hai, Toh Wo Badal Ko Ubhaarti Hain. Phir Khuda Us Ko Jis Tarha Chahta Hai Aasmaan Main Phaila Deta Aur Taih Ba Taih Kar Deta Hai, Phir Tum Daikhte Ho Ke Us Ke Beech Main Se Meenh Nikalne Lagta Hai , Phir Jab Wo Apne Bandoun Main Se Jin Par Chahta Hai Usse Barsa Deta Hai Toh Wo Khush Ho Jate Hain.

49
Aur Paishtar Toh Wo Meenh Ke Utarne Se Pehele Na Umeed Ho Rahe The.

50
Toh Ae Daikhne Wale, Khuda Ki Rehmat Ki Nishaaniyoun Ki Taraf Daikh, Ke Wok Kis Tarha Zameen Ko Us Ke Marne Ke Baad Zinda Karta Hai. Beshak Wo Murdoun(Dead) Ko Zinda Karne Wala Hai. Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.

51
Aur Agar Ham Aisi Hawa Bhaijain Ke Wo Is Ke Sabab Khaiti Ko Daikhe Ke Zard Ho Gai Hai , Toh Is Ke Baad Wo Na Shukri Karne Lag Jayen.

52
Toh Tum Murdoun Ko Bat Nahi Suna Sakte Aur Na Behroun Ko, Jab Wo Peeth Phair Kar Phir Jaye Awaaz Suna Sakte Ho.

53
Aur Na Andhoun Ko Un Ki Gumrahi Se Nikaal Kar Raah-E-Raast Par La Sakte Ho. Tum Toh Un Hi Lougon Ko Suna Sakte Ho Joh Hamari Aayatoun Par Eemaan Laate Hain, So Wo Hi Farmabardaar Hain.

54
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Tumko Ibtida Main Kamzor Halat Main Paida Kia Phir Kamzori Ke Baad Taaqat Inayat Ki, Phir Taaqat Ke Baad Kamzori Aur Burhapa Dia. Wo Joh Chahata Hai Paida Karta Hai Aur Wo Sahib-E-Daanish Aur Sahib-E-Qudrat Hai.

55
Aur Jis Roz Qiamat Barpa Hogi, Gunnehgaar Qasmain Uthaayen Ge Ke Wo Dunia Main Aik Ghari Se Ziada Nahi Rahe The.Issi Tarha Wo Raste Se Ulte Jaate The.

56
Aur Jin Lougon Ko Ilm Aur Eemaan Dia Gaya Tha, Wo Kahain Ge Ke Khuda Ki Kitaab Ke Mutabiq Tum Qiamat Tak Rahe Ho . Aur Ye Qiamat Hi Ka Din Hai Lekin Tum Ko Is Ka Yaqeen Hi Na Tha.

57
Toh Is Roz Zaalim Lougon Ko Un Ka Uzar Kuch Faida Na De Ga Aur Na Un Se Touba Qabool Ki Jaye Gi.

58
Aur Ham Ne Lougon Ke Samjhane Ke Liye Is Quran Main Har Tarha Ki Misaal Bayan Kar Di Hai, Aur Agar Tum Un Ke Samne Koi Nishaani Paish Karo Toh Ye Kafir Keh Dainge Ke Tum Toh Jhoote Ho.

59
Issi Tarha Khuda Un Lougon Ke Diloun Par , Joh Samajh Nahi Rakhte Mohor Laga Deta Hai.

60
Pas Tum Sabar Karo Be Shak Khuda Ka Waada Sachha Hai Aur Daikho Joh Loug Yaqeen Nahi Rakhte Wo Tumhain Oucha Na Bana Dain.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

31-soorah-e-luqmaan-aayaat-34



Soorah-E-Luqmaan
Aayaat-34

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Alif Laam Meem

2
Ye Hikmat Ki Bhari Hui Kitaab Ki Aayatin Hain.

3
Naiko Kaaroun Ke Liye Hidayat Aur Rehmat Hai.

4
Joh Namaaz Ki Pabandi Karte Aur Zakaat Dete Aur Aakhrat Par Yaqeen Rakhte Hain.

5
Ye Hi Apne Parwardigar Ki Taraf Se Hidayat Par Hain Aur Ye Hi Nijaat Paane Wale Hain.

6
Aur Lougon Main Baaz Aisa Hai Joh Behooda Hikayatain Khareedta Hai Taa-Ake Lougon Ko Be Samjhe Khuda Ke Raaste Se Gumraah Kare Aur Us Se Istehzaa Kare Ye Hi Loug Hain Jin Ko Zaleeel Karne Wala Azaab Hoga.

7
Aur Jab Us Ko Hamari Aayatain Sunayee Jati Hain Toh Akar Kar Moonh Phair Leta Hai, Goya Un Ko Suna Hi Nahi, Jaise Us Ke Kaanoun Main Saqal(Lock) Hai, Toh Us Ko Dard Dene Wale Azab Ki Khushkhabri Suna Do.

8
Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Kaam Karte Rahe Un Ke Liye Naimat Ke Baagh Hain

9
Hamesha Un Main Rahain Ge .Khuda Ka Waada Sacha Hai Aur Wo Gaalib Hikmat Wala Hai.


10
Ussi Ne Aasmaanoun Ko Satoonoun Ke Bagair Paida Kia Jaisa Ke Tum Daikhte ho.
Aur Zameen Par Pahaar Bana Kar Rakh Diye,  Taa-Ake Tum Ko Hila Hila Na De, Aur Is Main Har Tarha Ke Jaanwar Phaila Diye. Aur Ham Hi Ne Aasmanoun Se Paani Naazil Kia, Phir Us Se Us Main Har Qisaam Ki Nafees Cheezain Ugaayeen.

11
Ye Toh Khuda Ki Paidaaish Hai, Toh Mujhe Dikhaao Ke Khuda Ke Siwa Joh Loug Hain Unhoun Ne Kia Paida Kia Hai? Haqeeqat Ye Hai Ke Ye Zaalim Sareeh Gumraahi Main Hain.

12
Aur Ham Ne Luqmaan Ko Daanayee Bakhshi.Ke Khuda Ka Shukar Karo. Aur Joh Shakhs Shukar Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai. Aur Joh Na Shukri Karta Hai Toh Khuda Bhi Be Parwah Aur Sazawaar Hamd-O-Sana Hai.

13
Aur Us Waqt Ko Yaad Karo Jab Luqmaan Ne Apne Baite Ko Naseehat Karte Hue Kaha Ke Beta Khuda Ke Sath Shirk Na Karna.Shirk Toh Bara Bhaari Zulm Hai.

14
Aur Ham Ne Insaan Ko, Jisse Us Ki Maan Takleef Par Takleef Seh Kar Pait Main Uthaaye Rakhti Hai, Phir Us Ko Doodh Pilaati Hai Aur Aakhir Kaar Do Baras Main Us Ka Doodh Churana Hota Hai, Apne ,Neez, Us Ke Maan Baap Ke Bare Main Taakeed Ki Hai Ke Mera Bhi Shukar Karta Reh Aur Apne Maan Baap Ka Bhi, Ke Tumko Meri Hi Taraf Lout Kar Aana Hai.

15
Aur Agar Wo Tere Dar Per Houn Ke Tu Mere Sath Kisi Aisi Cheez Ko Shareek Kare Jis Ka Tujhe Kuch Bhi Ilm Nahi Toh Un Ka Kaha Na Maan-Na. Haan Dunia Ke Kaamoun Main Un Ka Achi Tarha Sath Dena Aur Joh Shakhs Meri Taraf Rujoo Laaye, Us Ke Raste Par Chalna, Phir Tum Ko Meri Taraf Lout Kar Aana Hai. Toh Joh Kaam Tum Karte Rahe Main Sab Se Tum Ko Aagaah Karoonga.





16
Luqmaan Ne Ye Bhi Kaha Ke Beta Agar Koi Amal Bilfarz Raayee Ke Daane Ke Barabar Bhi Chota Ho, Aur Ho Bhi Kisi Pathar Ke Andar Ya Aasmaanoun Main Makhfi Ho, Ya Zameen Main. Khuda Us Ko Qiamat Ke Din La Mojood Kare Ga. Kuch Shak Nahi Ke Khuda Baareek Been Aur Khabardaar Hai.
17
Beta Namaaz Ki Paabandi Rakhna Aur Lougon Ko Ache Kaamoun Ke Karne Ka Amar Aur Buri Baatoun Se Mana Karte Rehna Aur Joh Museebat Tujh Par Waaqe Ho Us Par Sabar Karna.Beshak Ye Bari Himmat Ke Kaam Hain.

18
Aur Az Raah-E-Gharoor Lougon Se Gaal Na Phulana Aur Zameen Main Akar Kar Na Chalna. Ke Khuda Kisi Itraane Wale Khud Pasand Ko Pasand Nahi Karta.

19
Aur Apni Chaal Par Aitadaal Kiye Rehna Aur Bolte Waqt Awaaz Neechi Rakhna, Kion Ke Oonchi Aawaaz Gadhoun Ki Si Hai Aur Kuch Shak Nahi Ke Sab Awaazoun Se Buri Awaaz Gadhoun Ki Hai.

20
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Joh Kuch Aasmaanoun Main Aur Joh Kuch Zameen Main Hai Sab Ko Khuda Ne Tumhare Qaaboo Main Kar Dia Hai Aur Tum Par Apni Zaahiri Aur Baatini Naimatain Poori Kar Di Hai. Aur Baaz Loug Aise Hain Ke Khuda Ke Bare Main Jhagarte Hain, Na Ilm Rakhte Hain Aur Na Hidayat Aur Na Kitaab-E-Roshan.

21
Aur Jab Un Se Kaha Jata Hai, Ke Joh Kitaab Khuda Ne Nazil Farmayee Hai Us Ki Pairwi Karo. Toh Kehte Hain Ke Ham Toh Ussi Ki Pairwi Karainge Jis Par Apne Baap Dada Ko Paaya. Bhala Agarcha Shaitaan Un Ko Dozakh Ke Azab Ki Taraf Bulata Ho Tab Bhi?

22
Aur Joh Shakhs Apne Taiyee Khuda Ka Farmabardaar Kar De Aur Naiko Kaar Bhi Ho Toh Us Ne Mazboot Dastaweez Hath Main Le Li.Aur Sab Kaamoun Ka Anjaam Khuda Hi Ki Taraf Hai.

23
Aur Joh Kufur Kare Toh Us Ka Kufur Tumhain Ghamnaak Na Kar De, Un Ko Hamari Taraf Lout Kar Aana Hai, Phir Joh Kaam Wo Kia Karte The Ham Un Ko Jata Dainge. Be Shak Khuda Diloun Ki Baatoun Se Waqif Hai.

24
Ham Un Ko Thora Sa Faaida Pohonchayen Ge Phir Azaab-E-Shadeed Ki Taraf Majboor Kar Ke Le Jaayen Ge.

25
Aur Agar Tum Un Se Poocho Ke Aasmanaoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia Hai, Toh Bol Uthain Ge Ke Khuda Ne. Keh Do Ke Khuda Ka Shukar Hai Lekin Un Main Aksar Samajh Nahi Rakhte.

26
Joh Kuch Aasmanaoun Aur Zameen Main Hai Sab Khuda Hi Ka Hai. Beshak Khuda Be Parwah Aur Saza Waar Hamd-O-Sana Hai.

27
Aur Agar Youn Ho, Ke Zameen Main Jitney Darakht Hain, Sab Ke Sab Qalam Houn Aur Samandar Ka Tamaam Paani Siyahi Ho, Aur Us Ke Baad Saat Samandar Aur Siyahi Ho Jayen, Toh Khuda Ki Baatain Yaani Us Ki Siftain Khatam Na Houn.Beshak Khuda Ghaalib Hikmat Wala Hai.

28
Khuda Ko Tumhara Paida Karna Aur Jila Uthana, Aik Shakhs Ke Paida Karne Aur Jila Uthaane Ki Tarha Hai. Beshak Khuda Sunn-Ne Wala Daikhne Wala Hai.

29
Kia Tum Ne Nahi Daikha Ke Khuda Hi Raat Ko Din Main Daakhil Karta
Hai Aur Wo Hi Din Ko Raat Mian Daakhil Karta Hai Aur Ussi Ne Sooraj Aur Chaand Ko Tumhare Zer-E-Farmaan Kar Rakha Hai. Har Aik Aik Waqt-E-Muqarrar Tak Chal Raha Hai, Aur Ye Ke Khuda Tumahre Sab Aamaal Se Khabardaar Hai.

30
Ye Isliye Ke Khuda Ki Zaat Bar Haq Hai Aur Jin Ko Ye Loug Khuda Ke Siwa Pukaarte Hain Wo Laghw(Wrong) Hain Aur Ye Ke Khuda Hi Aali Rutba Aur Giraami-e-Qadar Hai.

31
Kia Tum  Ne Nahi Daikha Ke Khuda Hi Ki Meherbaani Se Kashtiyaan Darya Main Chalti Hain. Taa-Ake Wo Tum Ko Apni Kuch Nishaaniyan Dikhaye. Beshak Is Main Har Sabar Karne Wala Aur Shukar Karne Wale Ke Liye Nishaaniyan Hain.


32
Aur Jab Un Par Darya Ki Lehrain Saaiebaanoun Ki Tarha Cha Jati Hain, Toh Khuda Ko Pukaarne Aur Khaalis Us Ki Ibaadat Karne Lagte Hain, Phir Jab Wo Un Ko Nijaat De Kar Khushki Par Pohoncha Deta Hai, Toh Baaz Hi Insaaf Par Qaaim Rehte Hain. Aur Hamari Nishaaniyoun Se Wo Hi Inkaar Karte Hain Jo Ehed Shikan Aur Na Shukre Hain.

33
Lougo Apne Parwardigar Se Daro Aur Us Din Ka Khouf Karo,  Ke Na Toh Baap Apne Bete Ke Kuch Kaam Aaye. Aur Na Beta Baap Ke Kuch Kaam Aa Sake. Beshak Khuda Ka Waada Sacha Hai, Pas Dunia Ki Zindagi Tum Ko Dhoke Main Na Daal De. Aur Na Faraib Dene Wala Shaitaan Tumhain Khuda Ke Bare Main Kisi Tarha Ka Faraib De.

34
Khuda Hi Ko Qiamat Ka Ilm Hai, Aur Wo Hi Meenh Barsaata Hai. Aur Wo Hi Haamla Ke Pait Ki Cheezoun Ko Jaanta Hai, Ke Nar Hai Ya Maada Aur Koi Shakhs Nahi Jaanta, Ke Wo Kal Ko Kia Kaam Kare Ga. Aur Koi Muttanaffis Nahi Jaanta Ke Kis Sar Zameen Main Usse Mout Aaye Gim Beshak Khuda Hi Jan-Ne Wala Aur Khabardaar Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

32-Soorah-al-Sajda-30




Soorah As-Sajdah


Aayaat 30


Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Alif Laam Meem.

2
Is Main Kuch Shak Nahi Ke Is Kitaab Ka Nazil Kia Jaana Tamaam Jahaan Ke Parwardigaar Ki Taraf Se Hai.

3
Kia Ye Loug Ye Kehte Hain Ke Paighamabar Ne Is Ko Az Khud Bana Liya Hai Nahi Balke Wo Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Bar Haq Hai, Taa-Ake Tum Un Lougon Ko Hidayat Karo Jin Ke Paas Tum Se Pehle Koi Hidayat Karne Wala Nahi Aaya, Taa-Ake Ye Raste Par Chalain.

4
Khuda Hi Toh Hai Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Aur Joh Cheezain In Donon Main Hain Sab Ko Che (6) Dinoun Main Paida Kia, Phir Arsh Par Qaaim Hua. Us Ke Siwa Tumhara Na Hi Koi Dost Hai Aur Na Sifaaarish Karne Wala. Kia Tum Naseehat Nahi Pakarte.


5
Wo Hi Aasmaan Se Zameen Tak Ke Har Kaam Ka Intizaam Karta Hai. Phir Wo Aik Roz Jis Ki Miqdaar Tumhare Shumar Ke Mutabiq Hazaar Baras Ho Gi. Us Ki Taraf Saood Aur Rujoo Kare Ga.

6
Ye Hi Toh Posheeda Aur Zahir Ka Jaan-Ne Wala Aur Gaalib Aur Rehem Wala Khuda Hai.

7
Jis Ne Har Cheez Ko Bohot Achi Tarha Banaya Yaani Us Ko Paida Kia.Aur Insaan Ki Paidaaish Ko Matti Se Shroo Kia.

8
Phir Us Ki Nasal Khulase Se Yaani Haqeer Paani Se Paida Ki.

9
Phir Us Ko Dost Kia, Phir Us Main Apni Taraf Se Roooh Phoonki Aur Tumhare Kaan Aur Aankhain Aur Dil Banaye Magar Tum Bohot Kam Shukar Karte Ho.

10
Aur Kehne Lage Ke Jab Ham Zameen Main Malyamait Ho Jaayen Ge, Toh Kia Az Sar-E-Nou Paida Hounge. Haqeeqat Ye Hai Ke Ye Loug Apne Parwardigar Ke Saamne Jaane Hi Ke Qaail Nahi.

11
Keh Do Ke Mout Ka Farishta Joh Tum Par Muqarrar Kia Gaya Hai, Tumhare Roohain Qabz Kar Leta Hai, Phir Tum Apne Parwardigar Ki Taraf Loutaaye Jao Ge.

12
Aur Tum Taajjub Karo, Jab Daikho Ke Gunnehgaar Apne Parwardigar Ke Saamne Sar Jhukaaye Hounge,  Aur Kahain Ge Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Ne Daikh Liya Aur Sunn Liya, Toh Ham Ko Dunia Main Wapas Bhaij De, Ke Naik Amal Karain Be Shak Ham Yaqeen Karne Wale Hain.

13
Aur Agar Ham Chahte Hain Toh Har Shakhs Ko Hidayat De Dete. Lekin Meri Taraf Se Ye Baat Qaraar Paa Chuki Hai Ke Main Dozakh Ko Jinoun Aur Insaanoun Sab Se Bhar Doon Ga.

14
So Ab Aag Ke Maze Chakho, Is Liye Ke Tum Ne Is Din Ke Aane Ko  Bhula Rakha Tha, Aaj Ham Bhi Tumhian Bhula Dainge Aur Joh Kaam Tum Karte The Un Ki Saza Main Hamesha Ke Azaab Ke Maze Chakhte Raho.

15
Hamari Aayatoun Par Toh Wo Hi Loug Eemaan Laate Hain Ke Jab Un Ko Un Se Naseehat Ki Jati Hai, Toh Sajde Main Girr Parte Aur Apne Parwardigar Ki Taareeef Ke Sath Tasbeeh Karte Hain Aur Gharoor Nahi Karte.

16
Un Ke Pehlu Bichounoun Se Alag Rehte Hain Aur Wo Apne Parwardigar Ko Khof Aur Umeed Se Pukaarte Aur Joh Maal Ham Ne Un Ko Dia Hai Us Main Se Kharch Karte Hain.




17
Koi Muttanaffis Nahi Jaanta Ke Un Ke Liye Kaisi Aankhon Ki Thandak Chupa Kar Rakhi Gai Hai. Ye Un Aamaal Ka Sila Hai Joh Wo Karte The.

18
Bhala Joh Momin Ho, Wo Us Shaks Ki Tarha Ho Sakta Hai Joh Nafarmaan Ho? Dono Barabar Nahi Ho Sakte.

19
Joh Loug Eemaan Laye Aur Naik Amal Karte Rahe Un Ke Rehne Ke Liye Baagh Hain, Ye Mehmani Un Kaamoun Ki Jaza Hai Joh Wo Karte The.

20
Aur Jinhoun Ne Nafarmani Ki Un Ke Rehne Ke Liye Dozakh Hai, Jab Chaahain Ge Ke Us Main Se Nikal Jaayen, Toh Us Main Louta Diye Jaayen Ge. Aur Un Se Kaha Jaye Ga Ke Jis Dozakh Ke Azaab Ko Tum Jhooot Samajhte The Us Ke Maze Chakho.

21
Aur Ham Un Ko Qiamat Ke Bare Azaab Ke Siwa Azaab-E-Dunia Ka Bhi Mazah Chakhayen Ge. Shayad Hamari Taraf Lout Aayen.

22
Aur Us Shaks Se Barh Kar Zaalim Koun Jis Ko Us Ke Parwardigar Ki Aayatoun Se Naseehat Ki Jaye, Toh Wo Un Se Moonh Phair Le. Ham Gunnehgaaroun Se Zaroor Badla Lene Wale Hain.


23
Aur Ham Ne Mooosa A.S. Ko Kitaab Di Toh Tum Un Ke Milne Se Shak Main Na Hona Aur Ham Ne Us Kitaab Ko Ya Mooosa A.S. Ko Bani Israil Ke Liye Zariya-E-Hidayat Banaya.

24
Aur Un Main Se Ham Ne Paishwa Banaye The, Joh Hamare Hukum Se Hidyat Kia Karte The. Jab Wo Sabar Karte The Aur Wo Hamari Aayatoun Par Yaqeen Rakhte The.

25
Bila Shuba Tumhara Parwardigar Un Main Jin Baatoun Main Wo Ikhtilaaf Karte The. Qiamat Ke Roz Faisla Kar De Ga.

26
Kia Un Ko Is Amar Se Hidayat Na Hui Ke Ham Ne Un Se Pehle Bohot Si Ummatoun Ko Jin Ke Maqaamaat-E-Sakoont Main Ye Chalte Phirte Hain Halak Kar Dia. Beshak Is Main Nishaniyan Hain.Toh Ye Sunte Kion Nahi.

27
Kia Unhoun Ne Nahi Daikha Ke Ham Banjar Zameen Ki Taraf Paani Rawan Karte Hain, Phir Us Se Khaiti Paida Karte Hain Jis Main Se Un Ke Chopaaye Bhi Khaate Hain Aur Wo Bhi Khaate Hain Toh Ye Daikhte Kion Nahi.

28
Aur Kehte Hain Agar Tum Sache Ho Toh Ye Faisla Kab Hoga.



29
Keh Do Ke Faisle Ke Din Kaafiroun Ko Un Ka Eemaan Laana Kuch Bhi Faaida Na De Ga Aur Na Un Ko Mohlat Di Jaye Gi.

30
Toh Un Se Moonh Phair Lo, Aur Intizar Karo Ye Bhi Intizar Kar Rahe Hain.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

33-Al-Ahzab-Aayat-73



Soorah Al-Ahzab

Aayaat 73

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Ae Paigambar S.A.W. Khuda Se Darte Rehna Aur Kaafiroun Aur Munafiqoun Ka Kaha Na Maan-Na. Be Shak Khuda Jaan-Ne Wala Aur Hikmat Wala Hai.

2
Aur Joh Kitaab Tum Ko Tumhare Parwardigar Ki Taraf Se Wahi Ki Jati Hai Ussi Ki Pairwi Kiye Jana. Be Shak Khuda Tumhare Sab Amaaloun Se Khabardar Hai.

3
Aur Khuda Par Bharosa Rakhna. Aur Khuda Hi Kaarsaz Kafi Hai.

4
Khuda Ne Kisi Aadmi Ke Pehlu Main Do Dill Nahi Banaye. Aur Na Tumhari Aurtoun Ko, Jin Ko Tum Maan Keh Baithe Ho Tumhari Maan Banaya, Aur Na Tumhre Le Paalakoun(Adopted Child) Ko Tumhare Bete Banaya. Ye Sab Tumhare Moonh Ki Baatain Hain. Aur Khuda Toh Sachhi Baat Fermata Hai Aur Wo Hi Seedha Rasta Dikhata Hai.

5
Momino! Le Paalkoun(Adopted Child) Ko Un Ke Asli Baapoun Ke Naam Se Pukara Karo. Keh Khuda Ke Nazdeek Ye Hi Baat Dururst Hai. Agar Tumko Un Ke Baapoun Ke Naam Maloom Na Houn Toh Deen Main Wo Tumhare Bhai Aur Dost Hain Aur Joh Baat Tum Se Ghalti Se Ho Gai Ho Us Mai Tum Par Kuch Gunnah Nahi. Lekin Joh Qasad Dili Se Karo Us Par Mawaakhza Hai Aur Khuda Bakhashne Wala Meherban Hai.
6
Paighambar Mominoun Par Un Ki Jaanoun Se Bhi Ziada Haq Rakhte Hain, Aur Paighamar Ki Bewiyaana Un Ki Maayen Hain. Aur Rishta Daar Apas Main Kitaab-ul-ALLAH Ke Roo Se Musalmaanoun Aur Mohaajroun Se, Aik Doosre Ke Tarke Ke Ziada Haqdaar Hain . Magar Ye Ke Tum Apne Dostoun Pe Ehsaan Karna Chaho. Ye Hukum Kitaab Yaani Quraan Main Likh Dia Gaya Hai.

7
Aur Jab Ham Ne Paigambaroun Se Ehed Liya, Aur Tum Se Nooh Se Aur Ibarahim Se Aur Moosa Se Aur Maryam Ke Bete Eesa Se. Aur Ehed Bhi Un Se Pakka Liya.

8
Ta-Ake Sach Kehne Waloun Se Un Ki Sachayee Ke Bare Main Daryaaft Kare Aur Us Ne Kaafiroun Ke Liye Dukh Dene Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.

9
Momino Khuda Ki Us Meherbaani Ko Yaad Karo, Joh Us Ne Tum Par Us Waqt Ki, Jab Foujaain Tum Par Hamla Karne Ko Aayen. Toh Ham Ne Un Par Hawa Bhaiji Aur Aise Lashkar Nazil Kiye Jin Ko Tum Daikh Nahi Sakte The. Aur Joh Kaam Tum Karte Ho Khuda Un Ko Daikh Raha Hai.

10
Jab Wo Tumhare Oopar Aur Neeche Ki Taraf Se Tum Par Charh Aaye Aur Jab Aankahin Phir Gayee Aur Dil Mare Dehshat Ke Galoun Tak Pohonch Gaye Aur Tum Khuda Ki Nisbat Tarha Tarha Ke Gumaan Karne Lage.

11
Wahan Momin Aazmaaye Gaye, Aur Sakhst Tour Par Hilaaye Gaye.




12
Aur Jab Munafiq Aur Wo Loug Jin Ke Diloun Main Bimari Hai Kehne Lage Ke Khuda Aur Us Ke Rasool Ne Toh Ham Se Mehez Dhoke Ka Waada Kia Tha.

13
Aur Jab Un Main Se Aik Jamaat Kehti Thi,  Ke Ae Ehl-E-Madeena Yahan Tumhare Theherne Ka Maqaam Nahi, Toh Lout Chalo. Aur Aik Guroh Un Main Se Paigamabar Se Ijazat Maangne Aur Kehne Laga Ke Hamare Ghar Khule Pare Hain, Halaanke Wo Khule Nahi The. Wo Toh Sirf Bhaagna Chahte The.

14
Aur Agar Foujain Itraaf-E-Madeena Se Un Par Aa Dakhil Houn Phir Un Se Khana Jangi Ke Liye Kaha Jaye, Toh Foran Karne Lagain Aur Us Ke Liye Bohot Kam Tawaquff Karain.

15
Halanke Pehle Khuda Se Iqraar Kar Chuke The, Ke Peeth Nahi Phairain Ge .Aur Khdua Sa Joh Iqraar Kia Jata Hai Us Ki Zaroor Purrshish Hogi.

16
Keh Do Ke Agar Tum Marne Ya Maarne Jane Se Bhaagte Ho Toh Bhaagna Tum Ko Faaida Nahi De Ga Aur Us Waqt Tum Bohot Hi Kam Faaaida Uthaao Ge.

17
Keh Do Ke Agar Khuda Tumhare Sath Burai Ka Iraada Kare Toh Koun Tum Ko Is Se Bacha Sakta Hai, Ya Agar Tum Par Meherbaani Karni Chahte Toh Koun Us Ko Hata Sakta Hai, Aur Ye Loug Khuda Ke Siwa Kisi Ko Na Apna Dost Paayen Ge Aur Na Madadgaar.

18
Khuda Tum Main Se Un Lougon Ko Bhi Jaanta Hai, Joh Lougon Ko Mana Karte Hain Aur Apne Bhaaiyoun Se  Kehte Hain Ke Hamare Pas Chale Aao.MAur Larayee Main Nahi Aate Magar Kam.
19
Ye Is Liye Ke Tumhare Bare Main Bukhal Karte Hain. Phir Jab Dar Ka Waqt Aaye, Toh Tum Unko Daikho, Ke Tumhri Taraf Daikh Rahe Hain, Aur Un Ki Aankhian Issi Tarah Phir Rahi Hain Jaise Kisi Ko Mout Se Ghashi Aa Rahi Ho. Phir Jab Khof Jaata Rahe Toh Taiz Zabbnoun Ke Sath Tumhare Bare Main Zabaan Daraazi Karain Aur Maal Main Bukhal Karian . Ye Loug Haqeeqat Main Eemaan Laaye Hi Na The Toh Khuda Ne Un Ke Aamaal Barbaad Kar Diye Aur Ye Khuda Ko Aasaaan Tha.

20
Khof Ke Sabab Khayal Karte Hain, Ke Foujain Nahi Gayee. Aur Agar Lashkar Aa Jaayen Toh Tamanna Karain,  Ke Kaash Ganwaaroun Main Ja Rahain Aur Tumhari Khabar Poocha Karian. Aur Agar Tumhare Darmyaan Houn Toh Larayee Na Karain , Magar Kam.

21
Tum Ko Paigambar-E-Khuda Ki Pairwi Karni Behtar Hai Yaani Us Shakhs Ko Jisse Khuda Se Milne Aur Roz-E-Qiamat Ke Aane Ki Umeed Ho Aur Wo Khuda Ka Zikar Kasrat Se Karta Ho.

22
Aur Jab Mominoun Ne Kaafiroun Ke Lashkar Ko Daikha, Toh Kehne Lage, Ye Wo Hi Hai Jis Ka Khuda Aur Us Ke Paigamabar Ne Ham Se Waada Kia Tha, Aur Khuda Aur Us Ke Paigamabar Ne Sach Kaha Tha. Aur Us Se Un Ka Eemaan Aur Itaa-At Aur Ziada Ho Gai.

23
Mominoun Main, Kitne Hi Aise Shakhs Hain, Ke Joh Iqraar Unhoun  Ne Khuda Se Kia Tha Us Ko Sach Kar Dikhaya. Toh Un Main Baaz Aise Hain Jon Apni Nazar Se Faarigh Ho Gaye Aur Baaz Aise Hain Ke Intizar Kar Rahe Hain Aur Unhoun Ne Apne Qoul Ko Zara Bhi Nahi Badla.



24
Taa-Ake Khuda Sachoun Ko Un Ki Sachayee Ka Badla De Aur Munafiqoun Ko Chahe Toh Azaab De Ya Chahe Toh Un Par Meherbaani Kare. Beshak Khuda Bakhashne Wala Meherban Hai.

25
Aur Joh Kafir The Un Ko Khuda Ne Phair Dia Aur Wo Apne Ghusse Main Bhare Hue The, Kuch Bhalaiyee Hasil Na Kar Sake. Aur Khuda Mominoun Ko Larayee Ke Bare Main Kafi Hua. Aur Khuda Taqatwar Aur Zabardast Hai.

26
Aur Ehl-E-Kitaab Main Se Jinhoun Ne Un Ki Madad Ki Thi, Un Ko Un Ke Qiloun Se Utaar Dia Aur Un Ke Diloun Main Dehshat Daal Di. Toh Kitnoun Ko Tum Qatal Kar Dete The, Aur Kitnou Ko Qaid Kar Lete The.

27
Aur Un Ki Zameen, Aur Un Ke Gharoun Aur Un Ke Maal Aur Us Zameen Ka, Jis Main Tum Ne Paaoun Bhi Nahi Rakha Tha, Tumko Waaris Bana Dia. Aur Khuda Har Cheez Par Qudrat Rakhta Hai.

28
Ae Paigambar S.A.W. Apni Biwiyon Se Keh Do Ke Agar Tum Dunia Ki Zindagai Aur Us Ki Zeenat-O-Aaraaish Ki Khuaastgaar Ho, Toh Aao Main Tumhain Kuch Maal Doon Aur Achi Tarha Se Rukhsat Kar Doon.

29
Aur Agar Tum Khuda Aur Us Ke Paigamabar Aur Aaqbat Ke Ghar Yaani Behshat Ki Talabgaar Ho, Toh Tum Main Joh Naiko Kari Karne Wali Hain, Un Ke Liye Khuda Ne Ajar-E-Azeem Taiyaar Kar Rakha Hai.




30
Ae Paigambar Ki Biwiyo, Tum Main Se Joh Koi Sareeh Na Shaaista Harkaat Kare Gi. Us Ko Dooni Saza Di Jaye Gi Aur Ye Baat Khuda Ko Aasaan Hai.

31
Aur Joh Tum Se,  Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardaar Rahe Gi Aur Amal-e-Naiki Kare Gi. Us Ko Ham Doona Sawab Dainge Aur Us Ke Liye Ham Ne Izzat Ki Rozi Taiyaar Kar Rakhi Hai.

32
Ae Paigambar Ki Biwiyo Tum Aur Aurtoun Ki Tarha Nahi Ho. Agar Tum Parhaizgaar Rehna Cahti Ho Toh Kisi Ajnabi Shakhs Se Narm Narm Baatain Na Kia Karo, Taa-Ake Wo Shakash Jis Ke Dil Main Kisi Tarha Ka Marz Hai Koi Umeed Na Paida Kar Le. Aur Un Main Dastoor Ke Mutabiq Baat Kia Karo.

33
Aur Apne Gharoun Main Thehri Raho,  Aur Jis Tarha Pehle Jaahliyat Ke Dinoun Main Izhaar-E-Tajammul Karti Theen. Uss Tarha Zeenat Na Dikhao. Aur Namaaz Parhti Raho Aur Zakat Deti Raho Aur Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Faramabardari Karti Raho. Ae Paigamabar S.A.W. Ke Ehle-E-Bait Khuda Chahta Hai Ke Tum Se Napaaki Ka Mail Kuchail Door Kar De Aur Tumhain Bilkul Paak Saaf Kar De.

34
Aur Tumhare Gharoun Main Joh Khuda Ki Aayatain Parhi Jati Hain Aur Hikmat Ki Baatain Sunaye Jati Hain, Un Ko Yaad Rakho.Be Shak Khuda Baareek Been Aur Ba Khabar Hai.








35
Joh Loug Khuda Ke Aage Sar-E-Itaa-At Kham Karne Wale Hain Yaani Musalmaan Mard Aur Mulsalmaan Aurtain Aur Momin Mard Aur Momin Aurtain Aur Farmabadar Mard Aur Farmabardar Aurtain Aur Raast Baz Mard  Aur Raast Baz Aurtain Aur Sabar Karne Wale Mard Aur Sabar Karne Wali Aurtain Aur Farotni Karne Wale Mard Aur Farotni Karne Wali Aurtain Aur Khairaat Karne Wale Mard Aur Khairaat Karne Wali Aurtain Aur Roze Rakhne Wale Mard Aur Roze Rakhne Wali Aurtain Aur Apni Sharmgaahoun Ki Hifazat Karne Wale Mard Aur Hifazat Karne Wali Aurtain Aur Khuda Ko Kasrat Se Yaad Karne Wale Mard Aur Kasrat Se Yaad Karne Wali Aurtain. Kuch Shak Nahi Ke Un Ke Liye Khuda Ne Bakhshish Aur Ajar-E-Azeem Taiyaar Kar Rakha Hai.

36
Aur Kisi Momin Mard Aur Momin Aurat Ko Haq Nahi Hai Ke Jab Khuda Aur Us Ka Rasool Koi Amar Muqarrar Kar Dain Toh Wo Us Kaam Main Apna Bhi Kuch Ikhtiyaar Samjhain.Aur Joh Koi Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Nafarmani Kare Wo Sareeh Gumrah Ho Gaya.

37
Aur Jab Tum Us Shakhs Se Jis Par Khuda Ne Ehsaan Kia Aur Tum Ne Bhi Ehsaan Kia, Ye Kehte The Ke Apni Biwi Ko Apne Paas Rehne De Aur Khuda Se Dar, Aur Tum Apne Dil Main Wo Baat Posheeda Karte The Jis Ko Khuda Zaahir Karne Wala Tha Aur Tum Lougon Se Darte The. Halanke Khuda Hi Is Ka Ziada Mustahiq Hai Ke Us Se Daro. Phir Jab Zaid Ne Us Se Koi Hajat Mutliq Na Rakhi Yaani Us Ko Tallaq De Di, Toh Ham Ne Tum Se Us Ka Nikaah Kar Dia Taa-Ake Mominoun Ke Liye Un Ke Moon Bole Baitoun Ki Biwiyoun Ke Sath Nikah Karne Ke Bare Main Jab Wo Un Se Apni Hajat Mutliq Na Rakhain, Yaani Talaaaq De Dain, Kuch Tangi Na Rahe. Aur Khuda Ka Hukum Waaqe Ho Kar Rehne Wala Tha.




38
Paigambar Par Us Kaam Main Kuch Tangi Nahi Joh Khuda Ne Un Ke Liye Muqarrat Kar Dia.  Aur Joh Loug Pehle Guzar Chuke Hain Un Main Bhi Khuda Ka Ye Hi Dastoor Raha Hai.Aur Khuda Ka Hukum Theher Chukka Tha.

39
Aur Joh Khuda Ke Paighaam Joon Ke Toon Pohnchaate, Aur Us Se Darte Aur Khuda Ke Siwa Kisi Se Nahi Darte The. Aur Khuda Hi Hisaab Karne Ko Kaafi Hai.

40
Muhammad S.A.W. Tumhare Mardoun Main Se Kisi Ke Walid Nahi Hain, Balke Khuda Ke Paigambar Aur Nabiyoun Ki Naboowat Ki Mohor, Yaani Us Ko Khatam Kar Dene Wale Hain Aur Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.

41
Ae Ehl-E-Eemaan Khuda Ka Bohot Zikar Kia Karo.

42
Aur Subh Aur Shaam,  Us Ki Paaki Bayan Karte Raho.

43
Wohi Toh Hai, Joh Tum Par Rehmat Bhaijta Hai Aur Us Ke Farishte Bhi. Taa-Ake Tum Ko Andhairoun Se Nikaal Kar Roshni Ki Taraf Le Jaaye. Aur Khuda Mominoun Par Meherbaan Hai.

44
Jis Roz Wo Un Se Milain Ge Un Ka Tohfa Khuda Ki Taraf Se Salam Hoga Aur Us Ne Un Ke Liye Bara Sawaab Taiyar Kar Rakha Hai.

45
Ae Paigambar S.A.W. Ham Ne Tum Ko Gawahi Dene Wala Aur Khushkhabri Sunnane Wala Aur Darane Wala Bana Kar Bhaija Hai.


46
Aur Khuda Ki Taraf Bulane Wala Aur Chiraagh-E-Roshan.

47
Aur Mominoun Ko Khushkhabri Suna Do Ke Un Ke Liye Khuda Ki Taraf Se Bara Fazal Hai.

48
Aur Kaafiroun Aur Munafiqoun Ka Kaha Na Maan-Na Aur Na Un Ke Takleef Dene Par Nazar Karna Aur Khuda Par Bharosa Rakhna. Aur Khuda Hi Karsaaz Kafi Hai.

49
Momino! Jab Tum Momin Aurtoun Se Nikaah Kar Ke Un Ko Hath Lagane Yani Un Ke Paas Jane Se Pehle Tallaq De Do, Toh Tumko Kuch Ikhtiyar Nahi Ke Un Se Iddat Poori Karao. Un Ko Kuch Faaida Yaani Kharch De Kar Achi Tarha Se Rukhsat Kar Do.

50
Ae Paigambar S.A.W. Ham Ne Tumhare Liye, Tumhari Biwiyoun Jin Ko Tum Ne Un Ke Meher De Diye Hain Halaal Kar Di Hain Aur Tumhari Loundiyaan, Joh Khuda Ne Tum Ko Kuffaar Se Bator Maal-E-Ganeemat Dilwayee Hain Aur Tumhare Chachha Ki Baitiyan Aur Tumhari Phoopiyoun Ki Betiyan Aur Tumhare Maamoonoun Ki Betiyan Aur Tumhari Khalaaoun Ki Betiyan, Aur Joh Tumhare Sath Watan Chor Kar Aaye Hain, Sab Halaal Hain,  Aur Koi Momin Aurat Agar Apne Taiyee Paighambar Ko Bakhsh De, Yaani Meher Lene Ke Bagair Nikaah Main Aana Chahe Basharat Ye Ke Paigambar Bhi Un Se Nikaah Karna Chahain, Wo Bhi Haaal Hai Lekin Ye Ijazat Ae Muhammad S.A.W. Khaas Tum Hi Ko Hai, Sab Musalmaanoun Ko Nahi . Ham Ne Un Ki Biwiyoun Aur Loundiyuoun Ke Bare Main Joh Meher Wajib-Ul-Ada Muqarrar Kar Dia Hai Ham Ko Maaloom Hai Ye Is Liye Kia Gaya He, Ke Tum Par Kisi Tarha Tangi Na Rahe Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.



51
Aur Tum Ko Ye Bhi Ikhtiyar Hai Ke Jis Biwi Ko Chaho Alehda Rakho Aur Jisse Chaho Apne Paas Rakho. Aur Jis Ko Tum Ne Alehda Kar Dia Ho Agar Us Ko Phir Apne Paas Talab Kar Lo Toh Tum Kuch Gunaah Nahi. Ye Ijazat Is Liye Hai Ke Un Ki Aankhain Thanndi Rahain Aur Wo Ghamnaak Na Houn  Aur Joh Kuch Tum Un Ko Do. Usse Le Kar Sab Khush Rahain. Aur Joh Kuch Tumhare Diloun Main Hai Khuda Usse Jaanta Hai. Aur Khdua Jaan-Ne Wala Aur Burdbaar Hai.

52
Ae Paigambar S.A.W. In Ke Siwa Aur Aurtain Tum Ko Jaaiz Nahi Aur Na Ye Ke Un Biwiyoun Ko Chor Kar Aur Biwiyaan Karo, Khuah Un Ka Husan Tum Ko Kaisa Hi Acha Lage, Magar Wo Joh Tumhare Hath Ka Maal Hai Yaani Loundiyoun Ke Bare Main Tum Ko Ikhtiyaar Hai Aur Khuda Har Cheez Par Nigaaah Rakhta Hai.

53
Mominoun Paigambar Ke Gharoun Main Na Jaaya Karo, Magar Is Soorat Main Ke Tum Ko Khaane Ke Liye Ijazat Di Jaye Aur Us Ke Pakne Ka Intizar Bhi Na Karna Pare. Lekin Jab Tumhari Dawat Ki Jaye Toh Jao Aur Jab Khana Kha Chuko Toh Chal Do Aur Baatoun Main Ji Laga Kar Na Baith Jao. Ye Baat Paigambar Ko Eeza Deti Thi. Aur Wo Tum Se Sharm Karte The Aur Kehte Nahi The. Lekin Khuda Sachi Baat Ke Kehne Se Sharm Nahi Karta. Aur Jab Paigambar Ki Biwiyoun Se Koi Samaan Mango Toh Parde Ke Bahar Se Mango. Ye Tumhare Aur Un Ke Dono Ke Diloin Ke Liye Bohot Paakezgi Ki Baat Hai. Aur Tum Ko Ye Shayaan Nahi Ke Paigambar Khuda Ko Takleef Do Aur Na Ye Ke Un Ki Biwiyoun Se Kabhi Un Ke Baad Nikaah Karo. Be Shak Ye Khuda Ke Nazdeek Bare Gunnah Ka Kaam Hai.

54
Agar Tum Kisi Cheez Ko Zahir Karo Ya Us Ko Makhfi Rakho Toh Yaad Rakho Ke Khuda Har Cheez Se Ba Khabar Hai.


55
Aurtoun Par Apne Baapoun Se Parda Na Karne Main Kuch Gunaah Nahi Aur Na Apne Baitoun Se Aur Na Apne Bhaaiyoun Se Aur Na Apne Bhatijoun Se Aur Na Apne Bhaanjoun Se Aur Na Apni Qisam Ki Aurtoun Se Aur Na Loundiyoun Se. Aur Ae Aurto Khuda Se Darti Raho. Be Shak Khuda Har Cheez Se Waqif Hai.

56
Khuda Aur Us Ke Farishte Paigambar Par Darood Bhaijte Hain. Mominoun Tum Bhi Paigambar Par Darood Aur Salaam Bhaija Karo.

57
Joh Loug Khuda Aur Us Ke Paigamabr Ko Ranj Pohonchate Hain, Un Par Khuda Dunia Aur Aakhrat Main Laanat Karta Hai Aur Un Ke Liye Us Ne Zaleel Karne Wala Azaab Taiyaar Kar Rakha Hai.

58
Aur Joh Loug Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Aise Kaam Ki Tohmat Se Joh Unhoun Ne Na Kia Ho Eeza Dain Toh Unhoun Ne Bohtaan Aur Sareeh Gunaah Ka Bojh Ape Sar Par Rakha.

59
Ae Paigambar S.A.W. Apni Biwiyoun Aur Baitiyoun Aur Musalmaanoun Ki Aurtoun Se Keh Do Ke Bahar Nikala Karain Toh Apne Moohoun Par Chadar Latka Kar Ghoonghat Nikal Liya Karain. Ye Amar Un Ke Liye Moaajaab-E-Shanakht-O-Imtiya Hoga, Toh Koi Unko Eeza Na De Ga. Aur Khuda Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

60
Agar Munafiq Aur Wo Loug Jin Ke Diloun Main Marz Hai Aur Joh Madeene Ke Sheher Main Buri Buri Khabrain Uraaya Karte Hain Apne Kirdaar Se Baaz Na Ayen Ge, Toh Ham Tum Ko Un Ke Peeche Laga Dain Ge, Phir Wahan Tumahre Paros Main Na Reh Sakain Ge Magar Thore Din.



61
Wo Bhi Phitkaare Hue,  Jahan Paaye Gaye Pakre Gaye Aur Jaan Se Maar Dale Gaye.

62
Joh Loug Pehle Guzar Chuke Hain Un Ke Bare Main Bhi Khuda Ki Ye Hi Aadat Rahi Hai. Aur Tum Khuda Ki Aadat Main Taghaiyurr-O-Tabaadul Na Pao Ge.

63
Loug Tum Se Qiamat Ki Nisbat Daryaaft Karte Hain, Ke Kab Aaye Gi Keh Do Ke Us Ka Ilm Khuda Hi Ko Hai Aur Tumhain Kia Maloom Hai, Shayad Qiamat Qareeb Hi Aa Gai Ho.

64
Be Shak Khuda Ne Kaafiroun Par Laanat Ki Hai Aur Un Ke Liye Jahannum Ki Aag Taiyaar Kar Rakh Hai.

65
Us Main Abad-Ul-Abaad Rahain Ge. Na Kisi Ko Dost Paayen Ge Aur Na Madadgaar.

66
Jis Din Un Ke Moonh Aag Main Ultaaye Jayen, kahain Ge, Ke Ae Kaash Ham Khuda Ki Farmabardaari Karte Aur Rasool-E-Khuda Ka Hukum Mante.

67
Aur Kahain Ge, Ke Ae Hamare Parwardigar Ham Ne Apne Sardaaroun Aur Bare Lougon Ka Kaha Maana Toh Unhoun Ne Hamko Raste Se Gumraah Kar Dia.

68
Ae Hamare Parewardigar Un Ko Dugna Azab De Aur Un Par Bari Laanat Kar.


69
Momino Tum Un Lougon Jaise Na Hona Jinhoun Ne Moosa Ko Aib Laga Kar Ranj Pohonchaya, Toh Khuda Ne Unko Be Aib Sabit Kia. Aur Wo Khuda Ke Nazdeek Aabru Wale The.

70
Momino Khuda Se Dara Karo Aur Baat Seedhi Kaha Karo.

71
Wo Tumhare Sab Aamaal Durust Kar De Ga Aur Tumhare Gunnah Bakhsh De Ga. Aur Joh Shakhs Khuda Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardari Kare Ga Toh Be Shak Bari Muraad Paye Ga.

72
Ham Ne Baar-e-Amanat Ko Aasmanaoun Aur Zamen Par Paish Kia Toh Unhoun Ne Us Ko Uthaane Se Inkar Kia Aur Us Se Dar Gaye. Aur Insaan Ne Us Ko Utha Liya. Be Shak Wo Zalim Aur Jahil Tha.

73
Taa-Ake Khuda Munfiq Mardoun Aur Munafiq Aurtoun Aur Mushrik Mardoun  Aur Mushrik Aurtoun Ko Azaab De, Aur Khuda Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Par Meherbaani Kare. Aur Khuda Toh Bakhashne Wala Meherbaan Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^