Soorah-Al-Haqqah
Aayaat-52
Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat
Rehem Farmane Wala Hai.
1
Sach Much Hone Wali.
2
Wo Sach Much Hone Wali
Kia Hai?
3
Aur Tum Ko Kia Maloom
Hai, Ke Wo Sach Much Hone Wali Kia Hai?
4
Wo Hi Kharkharane Wali,
Jis Ko Samood Aur Aad Dono Ne Jhutlaya.
5
So Samood Toh Karak Se
Halaak Kar Diye Gaye.
6
Rahe Aad, Toh Un Ka
Nihayat Taiz Aandhi Se Sattianaas Kar Dia Gaya.
7
Khuda Ne Us Ko Saat(7)
Raat Aur Aath(8) Din Un Par Chalye Rakha Toh Ae Mukhatib, Tu Lougon Ko Is Mian
Is Tarha Dhaye Aur Mare Pare Daikhe, Jiase Khajooroaun Ke Khokhle Tane.
8
Bhala Tu Un Main Se
Kisi Ko Bhi Baaqi Daikhta Hai?
9
Aur Firown Aur Joh
Loug Us Se Pehle The, Aur Wo Joh Ulti Bastiyoun Mian Rehte The, Sab Gunnah Ke Kaam Karte The.
10
Unhouin Ne Apne
Parawrdigar Ke Paigambar Ki Nafarmaani Ki, Toh Khuda Ne Bhi Un Ko Bara Sakht
Pakra.
11
Jab Paani Tugyaani Par
Aaya Toh Ham Ne Tum Lougon Ko Kashti Main Sawaar Kar Liya.
12
Taa-Ake Us Ko Tumhare
Liye Yaad Gaar Banaye Aur Yaad Rakhne Waale Kaan Isse Yaad Rakhain.
13
Toh Jab Soor Main, Aik
Baar Phooonk Maar Di Jaye Gi.
14
Aur Zameen Aur Pahaar
Dono Utha Liye Jayen Ge. Phir Aik Baar Bhi Tour Phor Kar Barabar Kar Diye Jaaye
Ge.
15
Toh Us Roz Ho Parne
Wali Yaani Qiamat Ho Pare Gi.
16
Aur Aasmaan Phat Jaye
Ga, Toh Wo Us Din Kamzor Hoga.
17
Aur Farishte Is Ke
Kinaaroun Par Uttar Aaye Ge Aur Tumahre Parwadigar Ke Arsh Ko, Us Roz Aath
Farishte Uthaaye Hounge.
18
Us Roz Tum Sab Lougon
Ke Saamne Paish Kiye Jao Ge Aur Tumhari Koi Posheeda Baat Chupi Na Rahe Gi.
19
Toh Jis Ka Aamaal Nama
Us Ke Daahne Hath Main Dia Jaye Ga Wo Doosroun Se Kahe Ga Ke Lijiye Mera
Naam-E-Aamaal Parhiye.
20
Mujhe Yaqeeen Tha Ke
Mujh Ko Mera Hisaab Kitaaab Zaroor Mile Ga.
21
Pas Wo Shaksh Man
Manane Aish Main Hoga.
22
Yaani Oonche Oonche
Mehloun Ke Baagh Main .
23
Jin Ke Maiwe Jhuke Hue
Hounge.
24
Joh Amal Tum
Ayaam-E-Guzishta Main, Aage Bhaij Chuke Ho, Us Ke Sile Main Maze Se Khao Aur
Piyo.
25
Aur Jis Ka
Naam-E-Aamaal Us Ke Baayen Hath Main Dia Jaye Ga Wo Kahe Ga, Ae Kaash Mujh Ko
Mera Aamaal Nama Na Dia Jaata.
26
Aur Mujhe Maaloom Na
Hota Ke Mera Hisaab Kia Hai.
27
Ae Kaash, Mout Abad-Ul-Aabaad
Ke Liye Mera Kaam Tamaam Kar Chuki Hoti.
28
Aaj Mera Maal Mere
Kuch Bhi Kaam Na Aaya.
29
Haaye Meri Saltanat
Khaak Main Mill Gai.
30
Hukum Hoga Ke Isse
Pakar Lo, Aur Touq Pehna Do.
31
Phir Dozakh Ki Aag
Main Jhonk Do.
32
Phir Zanjeer Se, Jis
Ki Naap Sattar(70) Gazz Hai Jakar Do.
33
Ye, Na Toh
Khuda-E-Jaala Shana Hu Par Eemaan Lata Tha.
34
Aur Na Faqeer Ke Khana
Khilane Par Aamaada Karta Tha.
35
So Aaj Us Ka Bhi Yahan
Koi Dostdaar Nahi.
36
Aur Na Peep Ke Siwa Us
Ke Liye Khana Hai.
37
Jis Ko Gunnehgaaroun
Ke Siwa Koi Nahi Khaaye Ga.
38
Toh Ham Ko Un Cheezoun
Ki Qasam Joh Tum Ko Nazar Aati Hain.
39
Aur Un Ki Joh Nazar
Nahi Aateen.
40
Ke Ye Quraan
Farishta-E-Aali Maqaam Ki Zabaan Ka Paigaam Hai.
41
Aur Ye Kisi Shaair Ka
Kalaam Nahi. Magar Tum Loug Bohot Hi Kam Eemaan Laate Ho.
42
Aur Na Kisi Kaahin Ke
Muzzkharfat Hain. Lekin Tum Loug Bohot Hi Kam Fikar Karte Ho.
43
Ye Toh
Parwardigar-E-Aalam Ka Utaara Hua Hai.
44
Agar Ye Paigambar
Hamari Nisbat, Koi Baat Jhoot Bana Laate.
45
Toh Ham Un Ka Daahna
Hath Pakar Lete.
46
Phir Un Ki
Ragg-E-Gardarn Kat Daalte.
47
Phir Tum Main Se Koi
Hamain Us Se Rokne Wala Na Hota.
48
Aur Ye Kitaab Toh
Parhaizgaaroun Ke Liye Naseehat Hai.
49
Aur Ham Jaante Hain,
Ke Tum Main Se Baaz Is Ko Jhutlaane Wala Hain.
50
Neez Ye Kaafiroun Ke
Liye Moajjab-E-Hasrat Hai.
51
Aur Kuch Shak Nahi Ke
Ye Barhaq Qaabil-E-Yaqeen Hai.
52
So Tum Apne Parwardigar
Azz-O-Jall Ke Naam Ki Tanzeeh Karte Raho.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!