Tuesday, 19 April 2016

57-Soorah-al-Hadid-Aayaat-29




Soorah-Al-Hadid

Aayaat-29

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Joh Makhlooq Aasmanoun Aur Zameen Main Hai, Khuda Ki Tasbeeh Karti Hai. Aur Wo Ghalib Aur Hikmat Wala Hai.

2
Aasmanoun Aur Zameen Ki Baadshahi Ussi Ki Hai. Wo Hi Zinda Karta Aur Maarta Hai. Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai.

3
Wo Sab Se Pehla Aur Sab Se Pichla Aur Apni Qudratoun Se Sab Par Zahir Aur Apni Zaat Se Posheeda Hai Aur Wo Tamaam Cheezouan Ko Jaanta Hai.

4
Wo Hi Hai Jis Ne Aasmaanoun Aur Zameen Ko Che(6) Din Main Paida Kia,  Phir Arsh Par Jaa Thehra. Joh Cheez Zameen Main Dakhil Hoti Aur Joh Us Se Nikalti Hai Aur Jo Aamaan Se Utarti Aur Joh Us Ki Taraf Charhti Hai,  Sab Us Ko Maalom Hai. Aur Tum Jahan Kahin Ho Wo Tumhare Sath Hai. Aur Joh Kuch Tum Karte Ho Khuda Usko Daikh Raha Hai.

5
Aasmanoun Aur Zameen Ki Baadshahi Ussi Ki Hai. Aur Sab Amoor Ussi Ki Taraf Rujoo Hote Hian.

6
Wo Hi Raat Ko Dinn Main Dakhil Karta Aur Din Ko Raat Main Dakhil Karta Hai. Aur Wo Diloun Ke Bhaidoun Tak Se Waqif Hai.
7
Toh Khuda Par Aur Us Ke Rasool S.A.W. Par Eemaan Lao Aur Jis Maal Main Us Ne Tum Ko Apna Naaib Banaya Hai,  Us Main Se Karch Karo. Joh Loug Tum Main Se Eemaan Laye Aur Maal Kharch Karte Rehe, Un Ke Liye Bara Sawab Hai.

8
Aur Tum Kaise Loug Ho Ke Khuda Par Eemaan Nahi Laate. Halanke Us Ke Paigambar Tumhain Bula Rahe Hain, Ke Apne Parwardigar Par Eemaan Lao Aur Agar Tum Ko Baawar Ho Toh Wo Tum Se Is Ka Ehed Bhi Le Chukka Hai.

9
Wo Hi Toh Hai, Jos Apne Bande Par, Waazeh-Ul-Matlab Aayatain Nazil Karta Hai, Taa-Ake Tum Ko Andhairoun Main Se Nikaal Kar Roshni Main Laaye. Be Shak Khuda Tum Par Nihayat Shafqat Karne Wala Aur Meharbaan Hai.

10
Aur Tum Ko Kia Hua Hai Ke Khuda Ke Raaste Main Kharch Nahi Karte, Halanke Aasmanoun Aur Zameen Ki Wirasat Khuda Hi Ki Hai .Jis Shaksh Ne Tum Main Se Fatha-E-Makkah Se Pehle Kharch Kia Aur Larai Ki Wo Aur Jis Ne Ye Kaam Peeeche Kiye Wo, Barabar Nahi. Un Ka Darja In Logoun Se Kahin Barh Kar Hai Jinhoun Ne Baad Main Kharch-E-Amwaal  Aur Kuffar Se Jahad-O-Qattal Kia. Aur Khuda Ne Sab Se Sawab-E-Naik Ka Waada Toh Kia Hai. Aur Joh Kaam Tum Karte Ho Khuda Un Se Waqif Hai.

11
Koun Hai Joh Khuda Ko Niyat-E-Naik Aur Khaloos Se Qarz De Toh Wo Us Ko Us Se Dugna Ata Kare Aur Us Ke Liye Izzat Ka Sila Yaani Jannat Hai.






12
Jis Din Tum Momin Mardoun Aur Momin Aurtoun Ko Daikho Ge, Ke Un Ke Eeman Ka Noor Un Ke Aage  Aur Daahni Taraf Chal Raha Hai,  Toh Un Se Kaha Jaye Ga Ke Tum Ko Bisharat Ho Ke Aaj Tumhare Liye Baagh Hain Jin Ke Tale Nehrain Beh Rahi Hain Un Main Hamesha Raho Ge. Ye Hi Bari Kaambyani Hai.

13
Us Din Munafiq Mard Aur Munafiq Aurtain Mominoun Se Kahainge, Ke Hamari Taraf Nazar-E-Shafqat Kijiye, Ke Ham Bhi Tumhare Noor Se Roshni Hasil Karian. Toh Un Se Kaha Jaye Ga Ke Peeche Ko Lout Jao Aur Wahan Noor Talaash Karo . Phir Un Ke Bech Main Aik Deewar Khari Kar Di Jaye Gi. Jis Main Aik Darwaza Hoga Joh Us Ki Janib Androoni Hai Us Main Toh Rehmat Hai Aur Jo Janib-E-Bairooni Hai, Us Taraf Azaab-O-Aziyat.

14
Toh Munafiq Loug Mominoun Se Kahain Ge Ke Kia Ham Dunia Main Tumahre Sath Na The Wo Kahain Ge Kion Nahi The. Lekin Tum Ne Khud Apne Taiyeen Bala Main Dala Aur Hamare Haq Main Hawaris Ke Muntazir Rahe Aur Islam Main Shak Kia Aur Laa Tail Aarzooon Ne Tum Ko Dhoka Dia,  Yaahan Tak Ke Khuda Ka Hukum Aa Pohoncha Aur Khuda Ke Baare Main Tum Ko Shaitaan, Dagha Baaz Dagha Deta Raha.

15
Toh Aaj Tum Se Moaawza Nahi Liya Jaye Ga Aur Na Wo Kaafiroun Hi Se Qabool Kia Jaye Ga Tum Sab Ka Thikhana Dozakh Hai. Ke Wo Hi Tumhare Laaiq Hai Aur Wo Buri Jaga Hai.








16
Kia Abhi Tak Mominoun Ke Liye Is Ka Waqt Nahi Aaya, Ke Khuda Ki Yaad Karne Ke Waqt Aur Quraan Joh Khudaa-E-Barhaq Ki Taraf Se Nazil Hua Hai, Us Ke Sunn-Ne Ke Waqt Un Ke Dil Naram Ho Jayen Aur Wo Un Lougon Ki Tarha Na Ho Jaye, Jin Ko Un Se Pehle Kitabain Di Gai Theen. Phir Un Par Zamaana-E-Taweel(Long Time Of Period) Guzar Gaya,  Toh Un Ke Dil Sakht Ho Gaye. Aur Un Main Aksar Nafarmaan Hain.

17
Jaan Rakho Ke Khuda Hi Zameen Ko Us Ke Marne Ke Baad Zinda Karta Hai. Ham Ne Apni Nishaaniyaan Tum Se Khol Khol Kar Bayan Kar Di Hain Taa-Ake Tum Samjho.

18
Joh Loug Khiaraat Karne Wale Hain, Mard Bhi Aur Aurtain Bhi.Aur Khuda Ko Niyat-E-Naik Aur Khaloos Se Qarz Dete Hain, Un Ko Do Chand Ada Kia Jaye Ga Aur Un Ke Liye Izzat Ka Sila Hai.

19
Aur Joh Loug Khuda Aur Us Ke Paigambaroun Par Eeemaan Laye Ye Hi Apne Parwardigar Ke Nazdeek Siddique Aur Shaheed Hain. Un Ke Liye Un Ke Aamaal Ka Sila Hoga. Aur Un Ke Eemeen Ki Roshni. Aur Jin Lougn Ne Kufur Kia Aur Hamari Aayatoun Ko Jhutlaya Wo Hi Ehl-E-Dozakh Hain.

20
Jaan Rakho Ke Dunia Ki Zindagi Mehez Khail Aur Tamahsa Aur Zeenat-O-Aaraaish Aur Tumhare Apas Main Fakhar-O-Sattaaish Aur Maal-O-Aulad Ki Aik Doosre Se Ziada Talab-O-Khuahish Hai, Us Ki Misaal Aisi Hai Jaise Barish Ke, Us Se Khaiti Ugti Hai Aur Kisanoun Ko Khaiti Bhali Lagti Hai Phir Wo Khoob Zor Par Aati Hai, Phir Ae Daikhne Wale Tu Us Ko Daikhta Hai,  Ke Pakk Kar Zard Par Jati Hai Phir Choora Choora Ho Jati Hai Aur Aakhrat Mai Kafiroun Ke Liye Azaab-E-Shadeed Aur Mominoun Ke Liye Khuda Ki Taraf Se Bakhshish Aur Khushnoodi Hai. Aur Dunia Ki Zindagi Toh Mataa-E-Faraib Hai.
21
Bando Apne Parwardigar Ki Bakhshish Ki Taraf Aur Janat Ki Taraf Jis Ka Arz Aasmaan Aur Zmaneen Ke Arz Ka Sa Hai. Aur Joh un Lougon Ke Liye Taiyaar Ki Gai Hai,  Joh Khuda Par Aur Us Ke Paigambaroun Par Eemaan Laye Hain,  Lapko. Ye Khuda Ka Fazal Hai Jisse Chahe Ata Farmaaye.Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.

22
Koi Museebat Mulk Par Aur Khud Tum Par Nahi Parti, Magar Paishtar Is Ke, Keh Ham Usko Paida Karian Aik Kitaab Main Likhi Hui Hai. Aur Ye Kaam Khuda Ko Asaan Hai.

23
Taa-Ake Joh Matlab Tum Se Fout Ho Gaya Ho, Us Ka Gham Na Khaya Karo Aur Joh Tum Ko Us Ne Dia Ho Us Par Itraaya Na Karo. Aur Khuda Kisi Itraane Aur Shaikhi Bhagaarne Wale Ko Dost Nahi Rakhta.

24
Joh Khud Bhi Bukhal Karain Aur Lougon Ko Bhi Bukhal Sikhayen Aur Joh Shaksh Roo Gardaani Kare,  Toh Khuda Bhi Be Parwa Aur Wo Hi Saza Waar-E-Hamd-O-Sana Hai.

25
Ham Ne Apne Paigambaron Ko Khuli Nishaaniyen De Kar Bhaija. Aur Un Par Kitabain Nazil Keen Aur Tarazzu Yaani Qawaaid-E-Adl , Taa-Ake Loug Insaaf Par Qaaim Rahian.Aur Loha Paida Kia Is Main Asleha-E-Jung Ke Lehaaz Se Khatra Bhi Shaded Hai.  Aur Lougon Ke Liye Faaide Bhi Hain Aur Is Liye Ke Joh Loug Bin Daikhe Khuda Aur Us Ke Paigambaron Ki Madad Karte Hain, Khuda Un Ko Maloom Kare. Be Shak Khuda Qawi Aur Galib Hai.

26
Aur Ham Ne Nooh Aur Ibrahim Ko Paigamabar Bana Kar Bhaija Aur Un Ki Aulad Main Paigambari Aur Kitab Ke Silsile Ko Waqtan Fawaqtan Jari Rakha,  Toh Baaz Toh Un Main Se Hidayat Par Hain.Aur Aksar Un Main Se Kharij-Az-Ittaa-At Hain.
27
Phir Un Ke Peeche Un Hi Ke Qadmoun Par Aur Paigamaber Bhaije Aur Un Ke Peeche Maryam A.S.  Ke Bete Eesa Ko Bhaijaa Aur Un Ko Injeel Inayat Ki. Aur Jin Lougon Ne In Ki Pairwi Ki, Un Ke Diloun Main Shafqat Aur Meherbaani Daal Di. Aur Lazzat Se Kinara Kashi Ki, Toh Unhoun Ne Khud Aik Nai Baat Nikaal Li, Ham Ne Un Ko Us Ka Hukum Nahi Dia Tha, Magar Unhoun Ne Apne Khayal Main Khuda Ki Khushnioodi Hasil Kane Ke Liye Aap Hi Aisa Kar Liya Tha,  Phir Jaisa Us Ko Nibhana Chahiye Tha Nibha Bhi Na Sake. Pas Joh Loug Un Main Se Eemaan Laye,  Un Ko Ham Ne Un Ka Ajar Dia  Aur Un Main Bohot Se Nafarmaan Hain.

28
Momino! Khuda Se Daro Aur Us Ke Paigamabar Par Eemaan Lao Wo Tumhain Apni Rehmat Se Dugna Ajr Ata Farmaaye Ga Aur Tumhare Liye Roshni Kar De Ga, Jis Main Chalo Ge Aur Tum Ko Bakhsh De Ga. Aur Khuda Bakhshne Wala Meherbaan Hai.

29
Ye Baatain Is Liye Bayaan Ki Gai Hain, Ke Ehl-E-Kitab Jaan Lain Ke Wo Khuda Ke Fazal Par Kuch Bhi Qudrat Nahi Rakhte. Aur Ye Ke Fazal Khuda Hi Ke Hath Hai Jiss Ko Chahe  Deta Hai Aur Khuda Bare Fazal Ka Malik Hai.

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!