Friday, 22 April 2016

43-Soorah-e-Az-Zukhruf-Aayat-89



Soorah-E-Az-Zukhruf

Aayaat-89

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Haa Meem.

2
Kitaab-E-Roshan Ki Qasam.

3
Keh Ham Ne Is Ko Quraan-E-Arabi Banaya Hai Taa-Ake Tum Samjho.

4
Aur Ye Bari Kitaab Yani Loh-E-Mehfooz Main Hamare Pas Likhi Hui Aur Bari Fazeelat Aur Hikmat Wali Hai.

5
Bhala Is Liye Ke Tum Had Se Nikle Hue Loug Ho, Ham Tum Ko Naseehat Karne Se Baaz Rahainge.

6
Aur Ham Ne Pehle Lougon Main Bhi Bohot Se Paigamabar Bhaije The.

7
Aur Koi Paigamabar In Ke Paas Nahi Aata Tha Magar Wo Us Se Tamaskhurr Karte The.

8
Toh Joh Un Main Sakht Zour Wale The Un Ko Ham Ne Halaak Kar Dia Aur Agle Lougon Ki Haalat Guzar Gai.
9
Aur Agar Tum Un Se Poocho Ke Aasmaanoun Aur Zameen Ko Kis Ne Paida Kia Hai Toh Keh Dainge Ke, Un Ko Ghalib Aur Ilm Wale Khuda Ne Paida Kia Hai.

10
Jis Ne Tumhare Liye Zameen Ko Bichona Banaya.Aur Is Main Tumhare Liye Raste Banaye, Taa-Ake Tum Raah Maloom Karo.

11
Aur Jis Ne Aik Andaze Ke Sath Aasman Se Pani Nazil Kia.Phir Ham Ne Us Se Sheher-E-Murda Ko Zinda Kia. Issi Tarha Tum Zameen Se Nikale Jao Ge.

12
Aur Jis Ne Tamaam Qisam Ke Haiwanaat Paida Kiye Aur Tumhare Liye Kashtiyaan Aur Chaar Paye Banaye Jin Par Tum Sawaar Hote Ho.

13
Taa-Ake Tum Un Ki Peeth Par Charh Baitho Aur Jab Us Par Baith Jao, Phir Apne Parwardigar Ke Ehsaan Ko Yaad Karo Aur Kaho, Ke Wo Zaat Paak Hai, Jis Ne Us Ko Hamare Zer-E-Farmaan Kar Dia Aur Ham Main Taqat Na Thi Ke Us Ko Bas Main Kar Lete.

14
Aur Ham Apne Parwardigar Ki Taraf Lout Kar Jane Wale Hain.

15
Aur Unhoun Ne Us Ke Bandoun Main Us Ke Liye Aulad Muqarrar Ki. Be Shak Insane Sareeh Nashukra Hai.

16
Kia Us Nain Apni Makhloqaat Main Se Khud Toh Bitiyan Leen Aur Tum Ko Chunn Kar Bete Diye.


17
Halanke Jab Un Main Se Kisi Ko Us Chez Ki Khushkabari Di Jati Hai Joh Unhoun Ne Khuda Ke Liye Banayan Ki Hai, Toh Us Ka Moonh Siyah Ho Jata Aur Wo Gham Se Bhar Jata Hai.

18
Kia Wo Joh Zewar Main Parwarish Paaye Aur Jhagre Ke Waqt Baat Na Kar Sake Khuda Ki Beti Ho Sakti Hai?

19
Aur Unhoun Ne Farishtoun Ko Ke Wo Bhi Khuda Ke Bande Hain Khud Ki Betiyaan Muqarrar Kia. Kia Ye Un Ki Paidaaish Ke Waqt Hazir The Anqareeb Un Ki Shahadat Likh Li Jaye Gi Aur Un Se Baaz Puras Ki Jaye Gi.

20
Aur Kehte Hain Agar Khuda Chahta Toh Ham Un Ko Na Poojte. Un Ko Is Ka Kuch Ilm Nahi.Ye Toh Sirf Atkalian Dora Rahe Hain.

21
Ya Ham Ne Un Ko Is Se Pehle Koi Kitaab Di Thi Toh Ye Is Se Sanad Pakarte Hain.

22
Balke Kehne Lage Ke Ham Ne Apne Baap Dada Ko Aik Raaste Par Paaya Hai Aur Ham Un Hi Ke Qadam Baqadam Chal Rahe Hain.

23
Aur Issi Tarha Ham Ne Tum Se Pehle Kisi Basti Main Koi Hidayat Karne Wala Nahi Bhaija, Magar Wahan Ke Khushaal Lougon Ne Kaha Ke Ham Ne Apne Baap Dada Ko Aik Raah Par Paaya Hai Aur Ham Qadam Baqadam Un Hi Ke Peche Chalte Hain.





24
Paighamar Ne Kaha!  Agarcha Main Tumhare Paas Aisa Deen Laaon Ke Jis Raste Par Tum Ne Apne Baap Dada Ko Paaya Wo Us Se Kahin Seedha Raasta Dikhata Hai, Kehne Lage Ke Joh Deen Tum De Kar Bhaije Gaye Ho Ham Us Ko Nahi Maante.

25
Toh Ham Ne Un Se Initqaam Liya, So Daikh Lo Ke Jhutlane Waloun Ka Anjaam Kaisa Hua.

26
Aur Jab Ibrahim Ne Apne Baap Aur Apni Qoum Ke Lougon Se Kaha Ke Jin Cheezoun Ko, Tum Poojte Ho Main In Se Baizaar Hoon.

27
Haan Jis Ne Mujh Ko Paida Kia Wo Hi Mujhe Seedha Raasta Dikhaye Ga.

28
Aur Ye Hi Baat Apni Aulad Main Peeche Chor Gaye, Taa-Ake Wo Khuda Ki Taraf Rujoo Rahain.

29
Baat Ye Hai Ke Main Un Kuffar Ko Aur Un Ke Baap Dada Ko Muttmatte Karta Raha, Yahan Tak Ke Un Ke Pas Haq Aur Saaf Saaf Bayan Karne Wala Paigamabar Aa Pohoncha.

30
Aur Jab Un Ke Paas Haq Yaani Quraan Aaya Toh Kehne Lage Ke Ye Toh Jaadu Hai Aur Ham Is Ko Nahi Maante.

31
Aur Ye Bhi Kehne Lage Ke Ye Quraan Un Dono Bastiyoun Yaani Makka Aur Taaif Main Se Kisi Bare Aadmi Par Kion Nazil Na Kia Gaya?


32
Kia Ye Loug Tumhare Parwardigar Ki Rehmat Ko Baant-Te Hain? Ham Ne Un Main Un Ki Maeeshat Ko Dunia Ki Zindagi Main Taqseem Kar Dia Aur Aik Ke Doosre Par Darje Buland Kiye Taa-Ake Aik Doosre Se Khidmat Lain, Aur Joh Kuch Ye Jama Karte Hain Tumahre Parwadigar Ki Rehemat Us Se Kahin Behtar Hai.

33
Aur Agar Ye Khayal Na Hota Ke Sab Loug Aik Hi Jamat  Ho Jaye Ge Toh Joh Loug Khuda Se Inkar Karte Hain Ham Un Ke Gharoun Ki Chatain Chaandi Ki Bana Dete Aur Seerhiyan Bhi, Jin Par Wo Charhte.

34
Aur Un Ke Gharoun Ke Darwaze Bhi Aur Takhat Bhi Jin Par Wo Takya Lagate Hain.

35
Aur Khoob Tajammul-O-Aaraaish Kar Dete Aur Ye Sab Dunia Ki Zindagi Ka Thora Sa Samaan Hai. Aur Aakrat Tumhare Parwardigar Ke Haan Parhaizgaaroun Ke Liye Hai.

36
Aur Joh Koi Khuda Ki Yaad Se Aankhain Band Kare, Yaani Taghaful Kare, Ham Us Par Aik Shaitaan Muqarrar Kar Dete Hain Toh Wo Us Ka Sathi Ho Jata Hai.

37
Aur Ye Shaitaan Un Ko Raste Se Rokte Rehte Hain Aur Wo Smajhte Hain Ke Seedhe Raste Par Hain.

38
Yahan Tak Ke Jab Hamare Pas Aaye Ga Toh Kahe Ga, Ke Ae Kaash Mujh Main Aur Tujh Main Mashriq-O-Magrib Ka Fasla Hota, Tu Bura Sath Hai.


39
Aur Jab Tum Zulm Karte Rahe Toh Aaj Tumhain Ye Baat Faida Nahi De Sakti Ke Tum Sab Azab Mai Shareek Ho.

40
Kia Tum Behre Ko Suna Sakte Ho Ya Andhe Ko Rasta Dikha Sakte Ho Aur Joh Sareeh Gumrahi Main Ho Usse Raah Par La Sakte Ho.

41
Agar Ham Tum Ko Wafaat De Kar Utha Lain Toh Un Lougon Se Toh Ham Intiqam Le Kar Rahainge.

42
Ya Tumahri Zindagi Hi Main Tumhain Wo Aazab Dikha Dainge Jin Ka Ham Ne Un Se Waada Kia Hai Ham In Par Qabu Rakhte Hain.

43
Pas Tumhari Taraf Joh Wahi Ki Gai Hai Us Ko Mazboot Pakre Raho. Be Shak Tum Seedhe Raste Par Ho.

44
Aur Ye Quraan Tumhare Liye Aur Tumahri Qoum Ke Liye Naseehat Hai, Aur Lougo Tum Se Anqareeb Pursish Hogi.

45
Aur Ae Muhammad.S.A.W. Joh Apne Paighambar, Ham Ne Tum Se Pehle Bhaije Hain Un Ke Ehwaal Daryafat Kar Lo. Kia Ham Ne Khudaa-E-Rehman Ke Siwa Aur Maabood Banaye The Ke Un Ki Ibadat Ki Jaye.

46
Aur Ham Ne Moosa Ko Apni Nishaniyan De Kar Firown Aur Us Ke Darbaariyoun Ki Taraf Bhaija Toh Unhoun Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigar-E-Alam Ka Bhaija Hua Hoon.



47
Jab Wo Un Ke Paas Hamari Nishaniyan Le Kar Aye Toh Wo Nishaniyoun Se Hansi Karne Lage.

48
Aur Joh Nishani Ham Un Ko Dikhate Hain, Wo Doosri Se Bari Hoti Thi Aur Ham Ne Un Ko Azaab Main Pakar Liya Taa-Ake Baaz Aayen.

49
Aur Kehne Lage Ke Ae Jadugar Us Ehed Ke Mutabiq Joh Tere Parwardigar Ne Tujh Se Kar Rakha Hai, Us Se Dua Kar Be Shak Ham Hidayat Yaab Ho Jayen Ge.

50
So Jab Ham Ne Un Se Azaab Ko Door Kar Dia Toh Wo Ehed Shikni Karne Lage.

51
Aur Firown Ne Apni Qoum Se Pukaar Kar Kaha! Ke Ae Qoum Kia Misr Ki Hukumat Mere Hath Main Nahi Hai. Aur Ye Nehrain Joh Mere Mehloun Ke Neeche Beh Rahi Hain Meri Nahi Hain, Kia Tum Daikhte Nahi.

52
Be Shak Main Us Shaks Se Joh Kuch Izzat Nahi Rakhta Aur Saaf Guftugu Bhi Nahi Kar Sakta Kahin Behtar Hoon.

53
Toh Us Par Sone Ke Kangan Kion Na Utaare Gaye, Ya Ye Hota Ke Farishte Jama Ho Kar Us Ke Sath Aate.

54
Gharz Us Ne Apni Qoum Ki Aqal Maar Di.Aur Unhoun Ne Us Ki Baat Maan Li. Be Shak Wo Nafarmaan Loug The.


55
Jab Unhoun Ne Ham Ko Khafa Kia, Toh Ham Ne Un Se Intiqaam Le Kar Aur Un Sabko Dibo Kar Chora.

56
Aur Un Ko Gaye Guzre Kar Dia Aur Pichloun Ke Liye Ibrat Bana Dia.

57
Aur Jab Maryam Ke Bete Eesa Ka Haal Bayan Kia Gaya Toh Tumhari Qoum Ke Loug Us Se Chilla Uthe.

58
Aur Kehne Lage Ke Bhala Hamare Maabood Ache Hain, Ya Wo Eesa ,Unhoun Ne Joh Eesa Ki  Misaal Tum Se Bayan Ki Hai Toh Sirf Jhagarne Ko. Haqeeqat Ye Hai Ke Ye Loug Hain Hi Jhagraaloo.

59
Wo Toh Hamare Aise Bande The Jin Par Ham Ne Fazal Kia Aur Bani Israil Ke Liye Un Ko Apni Qudrat Ka Namoona Bana Dia.

60
Aur Agar Ham Chahte Toh Tum Main Se Farishte Bana Dete Joh Tumhari Jaga Zameen Main Rehte.

61
Aur Wo Eesa Qiamat Ki Nishai Hain. Toh Keh Do Ke Lougo Is Main Shak Na Karo Aur Mere Peeche Chalo. Ye Hi Seedha Raasta Hai.

62
Aur Kahin Shaitaan Tum Ko Is Se Rok Na De. Wo Toh Tumhara Ailaniya Dushman Hai.





63
Aur Jab Eesa Nishaniyan Le Kar Aye Toh Kehne Lage, Ke Main Tumahare Paas Danayee Ki Kitaab Le Kar Aya Hoon. Neez Isliye Ke Baaz Batain Jin Main Tum Ikhtilaaf Karte Ho, Tumko Samjha Doon. Toh Khuda Se Daro Aur Mera Kaha Mano.

64
Kuch Shak Nahi Ke Khuda Hi Mera Aur Tumahra Parwardigar Hai Pas Ussi Ki Ibadat Karo. Ye Hi Seedha Rasta Hai.

65
Phir Kitne Firqe Un Main Se Phat Gaye. So Joh Loug Zalim Hain Un Ko Dard Dene Wale Din Ke Azaab Se Kharaabi Hai.

66
Ye Sirf Is Baat Ke Muntazir Hain Ke Qiamat Un Par Nagahaan Aa Mojood Ho Aur Un Ko Khabar Tak Na Ho.

67
Joh Apas Main Dost Hain Us Roz Aik Doosre Ke Dushman Hounge. Magar Parhaizgaar Ke Baham Dost Hi Rahainge.

68
Mere Bando Aaj Tumhain Na Kuch Khof Hai Aur Na Tum Ghamnaak Hoge.

69
Joh Loug Hamari Aayatoun Par Eemaan Laye,  Aur Farmabardar Ho Gaye.

70
Un Se Kaha Jaye Ga Ke Tum Aur Tumhari Bewiyaan Izzat-O-Ehtiraam Ke Sath Behshat Main Dakhil Ho Jao.




71
Un Par Sone Ki Pirchoun Aur Piyaloun Ka Dour Chale Ga. Aur Wahan Joh Ji Chahe Aur Joh Aankhoun Ko Acha Lage Aa mojood Hoga.Aur Ae Ehl-E-Jannat Tum Us Main Hamesha Raho Ge.

72
Aur Ye Jannat Jis Ke Tum Malik Kar Diye Gaye Ho Tumhare Amaal Ka Sila Hai.

73
Wahan Tumhare Liye Bohot Se Mewe Hain Jin Ko Tum Khao Ge.

74
Aur Kuffaar Gunnehgaar Hamesha Dozakh Ke Azaab Main Rahainge.

75
Joh un Se Halka Na Kia Jaye Ga, Aur Wo Us Main Na Umeed Ho Kar Pare Rahainge.

76
Aur Ham Ne Un Par Zulm Nahi Kia.Balke Wo Khud Hi Apne Aap Par Zulm Karte The.

77
Aur Pukarain Ge Ke Ae Malik Tumhara Parwardigar Hamain Mout De De. Wo Kahe Ga Ke Tum Hamesha Issi Halat Main Raho Ge.

78
Ham Tumahre Pas Haq Le Kar Pohonche, Lekin Tum Main Se Aksar Haq Se Na Khush Hote Rahe Hain.

79
Kia Unhoun Ne Koi Baat Thehra Rakhi Hai,  Toh Ham Bhi Kuch Thehrane Wale Hain.


80
Kia Ye Loug Ye Khayal Karte Hain, Ke Ham Unki Posheeda Baatoun Aur Sargoshiyoun Ko Sunte Nahi?  Haan Haan Sab Sunte Hain Aur Hamare Farishte Un Ke Paas Un Ki Sab Batain Likh Lete Hain.

81
Keh Do Ke Agar Khuda Ke Aulad Ho Toh Main Sab Se Pehle Us Ki Ibadat Karne Wala Hoon.

82
Ye Joh Kuch Bayan Karte Hain Aasmaanoun Aur Zameen Ka Malik Aur Arsh Ka Malik Us Se Paak Hai.

83
Toh Un Ko Bak Bak Karne Aur Khailne Do. Yahan Tak Ke Jis Din Ka Un Se Waada Kia Jata Hai Us Ko Daikh Lain.

84
Aur Wo Hi Aik Aasmanaoun Main Maabood Hai Aur Wo Hi Zameen Main Maabood Hai. Aur Wo Daana Aur Ilm Wala Hai.

85
Aur Wo Bohot Babarkat Hai, Jis Ke Liye Aasmanoun Aur Zameen Aur Joh Kuch In Dono Main Hai Sab Ki Badshahat Hai. Aur Ussi Ko Qiamat Ka Ilm Hai Aur Ussi Ki Taraf Tum Lout Kar Jao Ge.

86
Aur Jin Ko Ye Loug Khuda Ke Siwa Pukarte Hain Wo Sifarish Ka Kuch Ikhtiyar Nahi Rakhte. Haan Joh Ilm-O-Yaqeen Ke Sath Haq Ki Gawahi Dain Wo Sifarish Kar Sakt Hain.

87
Aur Agar Tum Un Se Pocho Ke Un Ko Kis Ne Paida Kia Hai,  Toh Keh Dainge Ke Khuda Ne.Toh Phir Ye Kahan Behke Phirte Hain?


88
Aur Basa Ouqaat Paigambar Kaha Karte Hain Ke Ae Parwardigaar Ye Aise Loug Hain Ke Eemaan Nahi Late.

89
Toh Un Se Moonh Phair Lo Aur Salam Keh Do. Un Ko Anqareeb Anjaam Maloom Ho Jaye Ga.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!