Soorah-Ya-Seen
Aayaat 83
Shroo Allah Ke Naam Se
Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.
1
Yasin.
2
Qasam Hai Quraan Ki
Joh Hikmat Se Bhara Hua Hai.
3
Ae Muhammad S.A.W. Be
Shak Tum Paigambaroun Main Se Ho.
4
Seedhe Raste Par.
5
Ye Khuda-E-Galib Aur
Meherbaan Ne Nazil Kia Hai.
6
Taa-Ake Tum In Lougon
Ko, Jin Ke Baap Dada Ko Muttnabeh Nahi Kia Gaya Tha, Muttnabeh Kar Do, Wo Ghaflat
Main Pare Hue Hain.
7
Un Mian Se Aksar Par
Khuda Ki Baat Poori Ho Chuki Hai, So Wo
Eemaan Nahi Laayen Ge.
8
Ham Ne Un Ki Gardanoun
Main Touq Daal Rakhe Hain Aur Wo Thoriyoun Tak Phanse Hue Hain, Toh Un Ke Sarr
Ullal Rahe Hian.
9
Aur Ham Ne Un Ke Aage
Bhi Deewaar Bana Di Aur Un Ke Peeche Bhi. Phir Un Par Parda Dal Dia Toh Ye
Daikh Nahi Sakte.
10
Aur Tum Un Ko Naseehat
Karo Ya Na Karo Un Ke Liye Barabar Hai Wo Eemaan Nahi Laane Ke.
11
Tum Toh Sirf Us Shakhs
Ko Naseehat Kar Skate Ho Joh Naseehat Ki Pairwi Kare Aur Khuda Se Ghaaibana
Dare, So Us Ko Magfirat Aur Bare Sawab
Ki Bisharat Suna Do.
12
Be Shak Ham Murdoun Ko
Zinda Karain Ge Aur Joh Kuch Wo Aage Bhaij Chuke Aur Joh Un Ke Nishaan Peeche
Reh Gaye Ham Unko Qalamband Kar Lete Hain. Aur Har Cheez Ko Ham Ne
Kitaab-E-Roshan Yaani Loh-E-Mehfooz Main Likh Rakha Hai.
13
Aur Un Se
Gaaoun(Village) Waloun Ka Qissa Bayan Karo Jab Un Ke Pas Paigamaar Aaye.
14
Yaani Jab Ham Ne Un Ki
Taraf Do Paigambar Bhaije Toh Unhoun Ne Un Ko Jhutlaya. Phir Ham Ne Teesre Se
Taqwiyat Di, Toh Unhoun Ne Kaha Ke Ham Tumahri Taraf Paigambar Ho Kar Aaye
Hain.
15
Wo Bole Ke Tum Aur
Kuch Nahi Magar Hamari Tarah Ke Aadmi Ho
Aur Khuda Ne Koi Cheez Bhi Nazil Nahi Ki Tum Mehez Jhooot Bolte Ho.
16
Unhoun Ne Kaha Ke
Hamara Parwardigar Jaanta Hai, Ke Ham Tumahri Tararf Paighaam De Kar Bhaije
Gaye Hain.
17
Aur Hamare Zimme Toh
Saaf Saaf Pohoncha Dena Hai Aur Bas.
18
Wo Bole Ke Ham Tum Ko
Namubarak Daikhte Hain. Agar Tum Baaz Na Ao Ge, Toh Ham Tumhain Sangsaar Kar
Dainge Aur Tum Ko Ham Se Dukh Dene Wala Azaab Pohonche Ga.
19
Unhoun Ne Kaha Ke
Tumhari Nahoosat Tumhare Sath Hai. Kia Is Liye Ke Tum Ko Naseehat Ki Gai. Balke
Tum Aise Loug Ho Joh Had Se Tajawaz Kar Gaye Ho.
20
Aur Sheher Ke Parle
Kinaare Se Aik Aadmi Dourta Hua Aya, Kehne Lage Ke Ae Meri Qoum Paigambaroun Ke
Peeche Chalo.
21
Aisoun Ke, Joh Tum Se
Sila Nahi Maangte Aur Wo Seedhe Raste Par Hain.
22
Aur Mujhe Kia Hai Ke
Main Us Ki Parastish Na Karoon Jis Ne Mujhe Paida Kia Aur Usi Ki Taraf Tum Ko
Lout Kar Jaana Hai.
23
Kia Main Un Ko Chor Kar Auroun Ko Maabood Banaaon? Agar Khuda
Mere Haq Main Nuqsaan Karna Chaahe Toh Un Ki Sifarish Mujhe Kuch Bhi Faaida Na
De Sake Aur Na Wo Mujhe Chura Hi Sakain.
24
Tab Toh Main, Sareeh Gumrahi Main Mubtila Ho Gaya.
25
Main Tumhare
Parwardigar Par Eemaan Laaya Hoon, So Meri Baat Sunn Rakho.
26
Hukum Hua Ke Behshat
Main Daakhil Ho Ja. Bola Kaash! Meri Qoum Ko Khabar Ho.
27
Ke Khuda Ne Mujhe
Bakhsh Dia Aur Izzat Waloun Main Kia.
28
Aur Ham Ne Us Ke Baad
Us Ki Qoum Par Koi Lashkar Nahi Utaara Aur Na Ham Utaarne Wale The Hi.
29
Wo Toh Sirf Aik
Chinghaar Thi Aatsheen, So Wo Us Se
Nagahaan Bujh Kar Reh Gaye.
30
Bandoun Par Afsos Hai,
Ke Un Ke Paas Koi Paigambar Nahi Aata Magar Us Se Tammaskhurr Karte Hain.
31
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Ham Ne Un Se Pehle Bohot Se Lougon Ko Halak Kar Dia Tha, Ab Wo Un Ki
Taraf Lout Kar Nahi Aayen Ge.
32
Aur Sab Ke Sab Hamare
Ru Baru Hazir Kiye Jayen Ge.
33
Aur Aik Nishaani Un Ke
Liye Zameen-e-Murda Hai, Ke Ham Ne Us Ko Zindaa Kia Aur Us Main Se Anaaj Ugaaya. Phir Ye Us Main Se
Khaate Hain.
34
Aur Us Main Khajooroun
Aur Angooroun Ke Baagh Paida Kiye Aur Us Main Chashme Jaari Kar Diye .
35
Taa-Ake Ye In Ke Phal
Kaayen Aur Un Ke Hathoun Ne Toh Un Ko Nahi Banaya, Toh Phir Kia Ye Shukar Nahi
Karte?
36
Wo Khuda Paak Hai Jis
Ne Zameen Ki Nabataat Ke, Aur Khud Un Ke, Aur Jin Cheezoun Ki, Un Ko Khabar
Nahi, Sab Ke Jore Banaye.
37
Aur Aik Nisaani Un Ke
Liye Raat Hai Ke Us Main Se Ham Dinn Ko Khainch Lete Hain Toh Us Waqt Un Par
Andhaira Cha Jata Hai.
38
Aur Sooraj Apne
Muqarrar Raste Par Chalta Rehta Hai. Ye
Khuda-E-GHalib Aur Dana Ka Muqarrar Kia Hua Andaza Hai.
39
Aur Chaand Ki Bhi Ham
Ne Manzilain Muqarrar Kar Deen, Yahan Tak Ke Ghat-Te Ghat-Te Khajoor Ki Purani
Shakal Ki Tarha Ho Jata Hai.
40
Na Toh Sooraj Hi Se Ho
Sakta Hai Ke Chand Ko Jaa Pakre Aur Na Raat Hi Din Se Pehle Aa Sakti Hai. Aur
Sab Apne Apne Daaire Main Tair Rahe Hain.
41
Aur Aik Nishaani Un Ke
Liye Ye Hai, Ke Ham Ne Un Ki Aulaad Ko Bhari Hui Kashti Main Sawaar Kia.
42
Aur Un Ke Liye Waisi
Hi Aur Cheezain Paida Kee Jin Par Wo Sawaar Hote Hain.
43
Aur Agar Ham Chaahain,
Toh un Ko Gharq Kar Dain. Phir Na Toh Un Ka Koi Faryaad Rass Hua Aur Na Un Ko
Rihayee Mile.
44
Magar Ye Hamari Rehmat
Aur Aik Muddat Tak Ke Faide Hain.
45
Aur Jab Un Se Kaha
Jata Hai Ke Joh Tumhare Aage Aur Joh Tumhare Peeche Hai, Un Se Daro Taa-Ake Tum Par Rehem Kia Jaye.
46
Aur Un Ke Paas Un Ke
Parwardigar Ki Taraf Se Koi Nishaani Nahi Aaye, Magar Us Se Moonh Phair Lete
Hain.
47
Aur Jab Un Se Kaha
Jata Hai Ke, Joh Rizq Khuda Ne Tumko Dia
Hai, Us Main Se Kharch Karo. Toh Kaafir
Mominoun Se Kehte Hain Ke Bhala Ham Un Lougon Ko Khana Khilaaye, Jin Ko Agar Khuda Chahta Toh Khud Khila Deta. Tum
Toh Sareeh Ghalti Main Ho.
48
Aur Kehte Hain Agar
Tum Sach Kehte Ho Toh Ye Waada Kab Poora Hoga?
49
Ye Toh Aik Chinghaar
Ke Muntazir Hain Joh Un Ko Us Haal Main Ke Baham Jhagar Rahe Hounge Aa Pakre
Gi.
50
Phir Na Toh Wasiyat
Kar Sakain Ge Aur Na Apne Ghar Waaloun Main Wapas Ja Sakain Ge.
51
Aur Jis Waqt Soor
Phoonka Jaye Ga Ye Qabroun Se Nikal Kar
Apne Parwardigar Ki Taraf Dour Parainge.
52
Kahain Ge Ke Ae Hai, Hamain Hamari Khuabgaahoun Se Kis Ne Jaga
Uthaaya? Ye Wo Hi Toh Hai Jis Ka Khuda
Ne Waada Kia Tha Aur Paigambaroun Ne Sach Kaha Tha.
53
Sirf Aik Zour Ki Awaaz
Ka Hona Hoga Ke Sab Ke Sab Hamare Ru Baru Aa Hazir Hounge.
54
Us Roz Kisi Shakhas
Par Kuch Bhi Zulm Nahi Kia Jaye Ga, Aur
Tum Ko Badla Waisa Hi Mile Ga Jaisa Tum Kaam Karte The.
55
Ehl-E-Jannat Us Roz
Aish-O-Nishaat Ke Mashgale Main Hounge.
56
Wo Bhi Aur Un Ki
Biwiyaan Bhi, Saayoun Main Takhtoun Par
Takiye Lagaaye Baithe Hounge.
57
Wahan Un Ke Liye Maiwe
Aur Joh Chahain Ge Mojood Hoga.
58
Parwardigar Meherbaan
Ki Tarf Se Salam Kaha Jaye Ga.
59
Aur Gunnehgaaro! Tum Aaj
Alag Ho Jao.
60
Ae Aadam Ki Aulad Ham
Ne Tum Se Keh Nahi Dia Tha, Ke Shaitaan
Ko Na Poojna Wo Tumhara Khula Dushman Hai.
61
Aur Ye Ke Meri Hi
Ibadat Karna. Ye Hi Seedha Rasta Hai.
62
Aur Us Ne Tum Main Se
Bohot Si Khalqat Ko Gumrah Kar Dia Tha. Toh Kia Tum Samajhte Nahi The?
63
Ye Hi Wo Jahannum Hai
Jis Ki Tumhain Khabar Di Jati Thi.
64
So Joh Tum Kufur Karte
Rahe Ho Us Ke Badle Aaj Is Main Daakhil Ho Jaao.
65
Aaj Ham Un Ke Moohoun
Par Mohor Laga Dainge Aur Joh Kuch Ye Karte Rahe The, Un Ke Hath, Ham Se Bayan
Kar Dainge Aur Un Ke Paaon Is Ki Gawahi Dainge.
66
Aur Agar Ham Chaahain
Toh Un Ki Aankhoun Ko Mita Kar Andha Kar Dain. Phir Ye Raste Ko Dorain Toh
Kahan Daikh Sakain Ge.
67
Aur Agar Ham Chahain
Toh Un Ki Jaga Par Un Ki Sooratian Badal Dain Phir Wahan Se Na Aage Ja Sakain
Aur Na Peeche Lout Sakain.
68
Aur Jis Ko Ham Bari
Umar Dete Hain Toh Usse Khalqat Main Oundha Kar Dete Hain, Toh Kia Ye Samajhte Nahi?
69
Aur Ham Ne Un
Paigambar Ko Sher Goi Nai Sikhaye Aur Na Wo Unko Shayaan Hai. Ye Toh Mehez
Naseehat Aur Saaf Saf Quraan Purr Az Hikmat Hai.
70
Taa-Ake Us Shakhs Ko
Joh Zinda Ho Hidayat Ka Rasta Dikhaye Aur Kaafiroun Par Baat Poori Ho Jaye.
71
Kia Unhoun Ne Nahi
Daikha Ke Joh Cheezin Ham Ne Apne Haathoun Se Banaye, Un Main Se Ham Ne Un Ke Liye Chaar Paaye
Paida Kar Diye Aur Ye Un Ke Malik Hain.
72
Aur Un Ko Un Ke Qaabu
Main Kar Dia Toh Koi Toh Un Main Se Un Ki Sawari Hai Aur Kisi Ko Ye Khaate
Hain.
73
Aur Un Main Un Ke Liye
Aur Faaida Aur Peene Ki Cheezain Hain. Toh Kia Ye Shukar Nahi Karte?
74
Aur Unhoun Ne Khuda Ke
Siwa Aur Maabood Bana Liye Hain, Ke Shayad Un Se IUn Ko Madad Pohonche.
75
Magar Wo Un Ki Madad
Ki Har Gizz Taqat Nahi Rakhte.Aur Wo Un Ki Fouj Ho Kar Hazir Kiye Jayen Ge.
76
Toh Un Ki Baatain
Tumhain Gamnaak Na Kar Dain. Ye Joh Kuch Chupaate Aur Joh Kuch Zahir Karte Hain,
Hamain Sab Maloom Hai.
77
Kia Insaan Ne Nahi
Daikha Ke Ham Ne Us Ko Nutfe Se Paida Kia. Phir Wo Tarraq Parraq Jhagarne Laga.
78
Aur Hamare Bare Main
Misaalain Bayan Karne Laga Aur Apni Paidaaish Ko Bhool Gaya. Kehne Laga Ke Jab
Haddiyan Boseeda Ho Jayen Gi, Toh Un Ko Koun Zinda Kare Ga?
79
Keh Do Ke Un Ko Wo
Zinda Kare Ga Jis Ne Un Ko Pehli Baar Paida Kia Tha. Aur Wo Sab Qisam Ka Paida
Karna Jaanta Hai.
80
Wo Hi Jis Ne Tumhare
Liye Sabz Darakht Se Aag Paida Ki Phir Tum Us Ki Tehniyoun Ko Raggar Kar, Un Se
Aag Nikaalte Ho.
81
Bhala Jis Ne
Aasmaanoun Aur Zameen Ko Paida Kia, Kia Wo Is Baat Par Qaadir Nahi Ke Un Ko
Phir Waise Hi Paida Kar De. Kion Nahi. Aur Wo Toh Bara Paida Karne Wala Aur Ilm
Wala Hai.
82
Us Ki Shaan Ye Hai Ke
Jab Wo Kisi Cheez Ka Iraada Karta Hai Toh Us Se Farma Deta Hai Ke Ho Ja, Toh Wo
Ho Jati Hai.
83
Wo Zaat Paak Hai, Jis
Ke Hath Main Har Cheez Ki Baadshahat Hai Aur Ussi Ki Taraf Tum Ko Lout Kar
Jaana Hai.
^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^
No comments:
Post a Comment
Thanks for Visting Need Your Views...!!!