Tuesday, 19 April 2016

51-Soorah-Adh-Dhariyaat-aayaat-60




Soorah-Adh-Dhariyat

Aayaat-60

Shroo Allah Ke Naam Se Joh Bara Meherbaan Aur Nihayat Rehem Farmane Wala Hai.

1
Bikhairne Waaliyoun Ki Qasam Joh Uraa Kar Bakhair Deti Hain.

2
Phir Paani Ka Bojh Uthaati Hain.

3
Phir Aahista Aahista Chalti Hain.

4
Phir Cheezain Taqseem Karti Hain.

5
Ke Jis Cheez Ka Tum Se Wada Kia Jata Hai Wo Sacha Hai.

6
Aur Insaaf Ka Din Zaroor Waaqe Hoga.

7
Aur Asmaan Ki Qasam Jis Main Raaste Hain.

8
Ke Ae Ehl-E-Makkah Tum Aik Mutnaqiz Baat Main Pare Hue Ho.

9
Is Se Wo Hi Phirta Hai Joh Khuda Ki Taraf Se Phaira Jaaye.


10
Atkal Doraane Wale Halaak Houn.

11
Joh Be Khabari Main Bhoole Hue Hain.

12
Poochte Hain Ke Jaza Ka Din Kab Hoga?

13
Us Din Hoga Jab Un Ko Aag Main Azaab Dia Jaye Ga.

14
Ab Apni Shararat Ka Mazah Chakho. Ye Wo Hi Hai Jis Ke Liye Tum Jaldi Machaya Karte The.

15
Be Shak Parhaizgaar Behshatoun Aur Chashmoun Main Aish Kar Rahe Hougne.

16
Aur Joh Joh Naimatain Un Ka Parwardigar Unhain Deta Hoga Un Ko Le Rahe Hounge.Be Shak Wo Us Se Pehle Naikiyaan Karte The.

17
Raat Ke Thore Se Hisse Main Sote The.

18
Aur Ouqaat-E-Seher Main Bakhshish Maanga Karte The.

19
Aur Un Ke Maal Main Maangne Wale Aur Na Maangne Wale Dono Ka Haq Hota Hai.

20
Aur Yaqeen Karne Waloun Ke Liye Zameen Main Bohot Si Nishaaniyan Hain.
21
Aur Khud Tumahre Nafoos Main Toh Kia Tum Daikhte Nahi?

22
Aur Tumhara Rizq Aur Jis Cheez Ka Tum Se Waada Kia Jaata Hai Asmaan Main Hai.

23
Toh Asmaanoun Aur Zameen Ke Malik Ki Qasam! Ye Ussi Tarha Qabil-E-Yaqeen Hai Jis Tarha Tum Baat Karte Ho.

24
Bhala Tumhare Paas Ibrahim A.S. Ke Moazzaz Mehmanoun Ki Khabar Pohonchi Hai?

25
Jab Wo Un Ke Paas Aye Toh Salam Kaha. Unhoun Ne Bhi Jawab Main Salam Kaha,  Daikha Toh Aise Loug Ke Na Jaan Na Pehchaan.

26
Toh Apne Ghar Jaa Kar Aik Bhuna Hua Mota Bachra Laaye.

27
Aur Khaane Ke Liye Un Ke Aage Rakh Dia. Kehne Lage Ke Aap Tanawal Kion Nahi Karte?

28
Aur  Dil Main Un Se Khof Maloom Kia. Unhoun Ne Kaha Ke Khof Na Kijiye Aur Un Ko Aik Danishmand Larke Ki Bassharat Bhi Sunayee.

29
Toh Ibrahim A.S. Ki Biwi Chillati Aayeen. Aur Apna Moonh Peeth Ke Kehne Lagi Ke Ae Hai Aik Toh Burhiya Aur Doosre Baanjh.

30
Unhoun Ne Kaha Haan!  Tumhare Parwardigar Ne Youn Hi Farmaya Hai. Wo Be Shak Sahib-E-Hikmat Aur Khabardaar Hai.
31
Ibrahim A.S. Ne Kaha Ke Farishto! Tumhara Mudda Kia Hia?

32
Unhoun Ne Kaha Ke Ham Gunnehgaaroun Ki Taraf Bhaije Gaye Hain.

33
Taa-Ake Un Par Khanngar Barsayen.

34
Jin Par Had Se Barh Jane Waloun Ke Liye Tumahre Parewardigar Ke Haan Se Nishaan Kar Diye Gaye Hain.

35
Toh Wahan Jitney Momin The Un Ko Ham Ne Nikaal Liya.

36
Aur Us Main Aik Ghar Ke Siwa Muslamnaoun Ka Koi Ghar Na Paaya.

37
Aur Joh Loug Azaab-E-Aleem Se Darte Hain, Un Ke Liye Wahan Nishani Chor Di.

38
Aur Moosa A.S. Ke Haal Main Bhi Nishani Hai,  Jab Ham Ne Un Ko Firown Ki Taraf Khula Hua Moajza De Kar Bhaija.

39
Toh Us Ne Apni Quwwat Ke Ghmand Par Moonh Mor Liya Aur Kehne Laga Ye Toh Jadugar Hai Ya Deewana.

40
Toh Ham Ne Us Ko Aur Us Ke Lashkaroun Ko Pakar Liya Aur Un Ko Darya Main Pahaink Dia Aur Wo Kaam Hi Qabil-E-Malamat Karta Tha.


41
Aur Aad Ki Qoum Ke Haal Main Bhi Nishani Hai Jab Ham Ne In Par Na Mubarak Hawa Chalyee.

42
Wo Jis Cheez Par Chalti Us Ko Raiza Raiza Kiye Baghair Na Chorti.

43
Aur Qoum-E-Samood Ke Haal Main Bhi Naishaani Hai,  Jab Un Se Kaha Gaya Ke Aik Waqt Tak Faaida Utha Lo.

44
Toh Unhoun Ne Apne Parwardigar Ke Hukum Se Sarkashi Ki .So Un Ko Karak Ne Aa Pakra Aur Wo Daikhh Rahe The.

45
Phir Wo Na Uthne Ki Taaqat Rakhte The Aur Na Muqaabla Kar Sakte The.

46
Aur Is Se Pehle Ham Nooh Ki Qoum Ko Halaak Kar Chuke The Be Shak Wo Na Farmaan Loug The.

47
Aur Aasmaanoun Ko Ham Hi Ne Hathon Se Banaya Aur Ham Ko Sab Maqdoor Hai.

48
Aur Zameen Ko Ham Hi Ne Bichaya, Toh Daikho Ham Kia Khoob Bichane Wale Hain.

49
Aur Har Cheez Ki Ham Ne Do Qismain Banayee,  Taa-Ake Tum Naseehat Pakro.


50
Toh Tum Loug Khuda Ki Taraf Bhaag Chalo,  Main Us Ki Tarf Se Tum Ko Sareeh Raasta Batane Wala Hoon.

51
Aur Khuda Ke Sath Kisi Aur Ko Mabood Na Banao. Main Us Ki Taraf Se Tum Ko Sareeh Rasta Batane Wala Hoon.

52
Issi Tarha Un Se Pehle Lougon Ke Paas Joh Paigamabar Aata Wo Us Ko Jadugar Ya Deewana Kehte.

53
Kia Ye Loug Aik Doosre Ko Issi Baat Ki Wasiyat Karte Aaye Hain,  Balke Ye Shareer Loug Hain.

54
Toh In Se Airaaz Karo. Tum Ko Hamari Taraf Se Malamat Na Hogi.

55
Aur Naseehat Karte Raho Ke Naseehat Mominoun Ko Nafa Deti Hai.

56
Aur Main Ne Jinnoun Aur Insaanoun Ko Isliye Paida Kia Hai Ke Meri Ibadat Karain.

57
Main Un Se Taalib-E-Rizq Nahi Aur Na Ye Chahta Hoon Ke Mujhe Khana Khilaayen.

58
Khuda Hi Toh Rizq Dene Wala Aur Zor Aawar Aur Mazboot Hai.


59
Kuch Shak Nahi Ke Un Zaalimoun Ke Liye Bhi Azaab Ki Nobat Muqarrar Hai Jis Tarha Un Ke Sathiyoun Ki Nobat Thi, Toh Un Ko Mujh Se Azab Jaldi Nahi Taalab Karna Chahiye.

60
Jis Din Ka In Kaafiroun Se Waada Kia Jata Hai Us Se Un Ke Liye Kharabi Hai.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

No comments:

Post a Comment

Thanks for Visting Need Your Views...!!!